Originally posted by: Sabdabhala
AJNABI PART 36
CHACHAJAAN KI BAATEIN SUNKAR STABDH AUR VYATHIT HUI HARKA BAI
SHITHIL ANG AUR BAND MASTISHK, KUCHH NA USKO DIYA SUJHAAYI
(Chachajaan's words left Harka deeply shocked and distressed. Her body was listless and her mind was closed. She just was not able to function normally)
'SWASTHYA KHARAB HAI KYA TUMHARA HEERA?' GAURI NE POOCHHA HOKAR HAIRAAN
'AKELI YUUN BAITHI HO, KABKE YAHAN SE CHALE GAYE MIRZA SAHIB AUR CHACHAJAAN'
('Are you feeling unwell Heera?' Gauri questioned seeing her thus. 'Why are you sitting here alone when Mirza Sahib and Chachajaan left long ago?')
BAUKHLAAYI SI HARKA CHAUNK KE JAAGI, 'JAANA HAI MUJHKO SAHIB KE PAAS
ATYANT AAVASHYAK HAI UNSE MILNA,' HARKA BOLI LE GEHRI SAANS
(Harka suddenly got up from her disorientation. 'I have to go to Sahib. It is extremely imperative that I meet him urgently', she mumbled, taking a deep breath)
JHAT PHIR WAHAN SE HARKA BHAAGI, PAHUCHI SEEDHEY SAHIB KE DWAAR
MILE USE DO PRAHARI WAHAN PAR, KHADE THHE ROKNE KO USKI RAAH
(Harka rushed from there and reached the Sahib's chamber. There she saw two guards blocking her path)
HAATH JOD AUR VINATI KARKE HARKA KAKSH KE BHEETAR GAYI
SAMAAN DEKH ANUMAAN LAGAYA KI SAHIB ABHI TAK HAIN NIKLE NAHI
(She begged with folded hands and was hence allowed inside the chamber. Looking at the stuff lying about she guessed that the Sahib had still not left for his mission)
SAHIB AUR AZEEZ THHE GUPT KAKSH MEIN, KARTE PATRON KA LEKHA JOKHA
TABHI SAHIB NE THAND KE KAARAN AZEEZ KO ZARA SA KAANPTE DEKHA
(Sahib and Azeez were in the secret hideout working on the letters received, when, suddenly, Sahib noticed Azeez shivering slightly due to the cold)
KAARYA SAMAPT HUA TO SAHIB BOLE, 'THAND HAI NA AZEEZ MIYAAN?'
TURANT HI AZEEZ AKAD KAR BAITHA, 'NAHI SAHIB, THAND ABHI SE KAHAN?'
(When they finished their business, Sahib jovially remarked, 'It's cold, isn't it Azeez Miyaan?' Immediately Azeez straightened up and replied, 'No Sahib, isn't it too early to be cold?')
'SAHIB AAP RAJDHANI SE AAJ HI LAUTE HAIN, EK DIN TO KAR LIJIYE VISHRAAM
SAYYID KO AAPKI JAGAH BHEJ DIJIYE, DEGA WO SAHI SE HAR KAAM KO ANJAAM'
(Sahib, you have just returned from the Captial today itself. Why don't you rest for a day at least? You can send Sayyid instead, he will finish all your tasks admirably')
'SAYYID TO GAYA HAI GUPT-GRAH MEIN, HARKARON KA MUDDA SAMBHALNE KO
YE KAM TAALNA SAHI NA HOGA, BAS NIKLOONGA ABHI MILNE GUPTCHAR KO'
('Sayyid has already left to tackle the messengers at the Safehouse. It would be unwise to delay this mission, I will be leaving immediately to meet with the informer')
'MAIN SAATH CHALTA HOON AAPKE SAHIB. NEEND AA RAHI HAI AAPKO AZEEZ MIYAAN
PEHLE AAP JISM MEIN PHURTI LAAIYE, TABHI TO AAYENGE AAP KAAM YAHAAN'
(Azeez offered to accompany the Sahib,but the Sahib ignored his offer in jest. 'You are too sleepy, Azeez Miyaan, first get your limbs working, only then you can handle your tasks')
JAANTE THHE SAHIB KI AZEEZ KO UNKI FIKR THHI, HARSHIT HUA BHI UNKA HRIDAY
PAR GUPTCHAR FAIZAN KI KHABAR LA RAHA THHA, AZEEZ KA HONA THHA NA VIVEKMAY
(Sahib knew Azeez was showing his concern, and his heart was happy for it too. But the informer was bringing news about Faizan, and hence it was not prudent for Azeez to be there)
JHAT SE PHIR PATR SAHIB NE AZEEZ KI ORE PHENKE NAT KI TARAH USNE LIYE SAB SAMET
DONO KE MAN MAIN USS DIN KI CHHAVI THHI JAB SAHIB AUR AZEEZ KI HUI PEHLI BHET
(Suddenly Sahib tossed a few letters towards Azeez. He deftly caught each one of them. Both Azeez and Sahib were reminded of the day of their first meeting)
FAIZAN NE KISI KA BATUA THHA MAARA AUR UCHHAL KAR USE PHENKA ZOR SE, DOOR
BATUA SEEDHEY AA GIRA AZEEZ KE HATHON MEIN, KHA RAHA THHA WO NAN E TAINOOR
(Faizan had just pick-pocketed someone's purse. He immediately threw it with great force, and very far. The purse deftly landed in Azeez's hands, who was calmly sitting and eating Nan e Tainuri)
POORA TAMASHA SAHIB NE DEKHA, BOLE NAHI KUCHH, BAS CHALE APNI RAAH
PAR DONO KI DAKSHATA SE THHE ITNE PRABHAAVIT, KI APNI SENA MEIN DE DI JAGAH
(Sahib witnessed the whole scene as a spectator, but he walked away without saying a word. But he was impressed with their skills and hence he recruited both of them in his army)
ACHANAK SAHIB NE AZEEZ SE POOCHHA, 'WO MANTRI KA PATR MUJHE NAHI DIKHA?'
AZEEZ NE SAARE HI PATR TATOLE, 'SHAYAD MAIN KAKSH MEIN HI USE CHHOD DIYA'
('I can't see the letter regarding the minister?'. Azeez looked through all the letters, and said, 'May be I left it in the room itself')
'ABHI BHAG KAR LATA HOON', AZEEZ BOLA, 'NAHI HAI ISKI ZAROORAT NAHI
KAKSH KI ORE HI JA RAHA HOON MAIN, DEKH LOONGA USE MAHIN WAHIN'
('I'll just run and get it for you', said Azeez. 'There is no need for it. I am going towards my chambers. I'll just look it up there')
GUPT KAKSH KO BAND KAR DONO HI NIKLE AUR BADH CHALE SAHIB KE KAKSH KI ORE
PRAHARI NE KAHA KI SAHIBA HAIN BAITHI, TO SAHIB KE MAN MEIN THHE PRASHN HAR ORE
(Both of them locked the secret hideout carefully and started walking towards Sahib's chamber. When the guards alerted the Sahib that Harka Sahiba is inside, Sahib's mind was filled with tumultuous thoughts)
'UNKE AANE KA KAARAN KYA HO SAKTA HAI? AAJ PHIR WO YAHAAN KYON AAYI HAIN?'
AISA KYON HAI KI PRAHARI KE ROKNE KE BAWAJOOD, KAKSH KE ANDAR WO BAITHI HAIN?'
('What could be the reason for her coming here? Why has she come here yet again today? Why is it that despite being stopped by the guards, she is still sitting inside my chamber'?)
694