There is silence in the room for several moments as JandA confront each other on the issue of Gulmohur's expansion. Finally Raj musters up the will to speak.
Raj: Mujhe lagta hai….hume Maddy k opinion lena chahiye….ki wok is market ke liye design karte hue zyada comfortable mehsoos karega.
Maddy: Raj, main ek creative person hoon…main tumhare plans ke according designs nahin banata…main bas designs banata hun aur tumhara kaam hai yeh dekhna ki wo tumhare plans mein kahan fit hote hai!
Neha: Well……mujhe toh Jassi ka suggestion achcha lag raha hai….main khud ek small town se hoon aur jaanti hun ki wahan ke logon ki kya requirements hoti hai….
Raj: But Neha….hum apne overseas expansion ko bhi toh nahin ignore kar sakte na…..
Armaan: (grimly) Maine kaha na Raj….inn sab baton ka koi faayda nahin…..decision leni ki power toh Jassi ki hi hai na!
Jassi stares at him, then speaks quietly—" Main bina sabki consent ke, koi decision nahin le sakti….aur main manti hun ki iss stage pe mera idea poori tarah develop nahin hua hai…..issliye meri aapse request hai ki mujhe 2 din dijiye….main iss plan ke details ek business proposal ke form mein work out karke apke saamne present karungi."
Nandu: Mujhe nahin lagta, isme koi objection honi chahiye.
Ruby mom, Maddy, Neha and Raj nod agreement. Finally Armaan also nods with a not-too-pleased expression.
Later, Jassi comes to meet him in his office. He is sitting with his entire attention apparently fixed on his computer screen when she enters, and does not look up. She goes and stands in front of him.
Jassi: Armaan…kya baat hai….tumhe mera idea pasand nahin aaya?
Armu: (without looking up) Yahin baat main tumse poochun toh?
Jassi: Matlab?
He looks up angrily. "Jassi….mera overseas expansion ka idea tumne bilkul ek side pe kar diya….mera kitna bada sapna tha yeh….ki Gulmohur ka maan poori duniya mein pahunche….par tumhe iski koi parwah nahin? Sabke saamne tumne mere plan ko koi importance hi nahin di?"
Jassi: Yeh baat nahin hai Armaan…mujhe tumhara idea pasand hai….lekin mere hisaab se local expansion bhi utna hi zaroori hai.
Armu: Toh yeh baat tum meeting se pehle bhi discuss kar sakti thi na? Mujhe andhere mein kyun rakha?
Jassi: (irritated) Kyunki ye idea mujhe poori report dekh kar hi aaya….aur uss waqt mujhe jo theek laga maine keh diya….isme itna upset hone wali kya baat hai?
Armu: (getting up and grabbing her shoulders) Baat hai Jassi! GM ki kaamyaabi, hum dono ka sapna hai…aur agar hum dono alag-alag sapne dekhne lage toh yeh kabhi poore nahin honge !
Jassi: Inn sab sapno ki manzil toh ek hi hai na Armaan…..hum inko mil ke poora karenge!
He stares exasperatedly at her, then sighs. "It's not so easy Jassi…..maanta hun ki hum grow kar rahe hain, par itna nahin ki do-do markets ko ek saath tackle kar sake…"
Jassi: Kar sakte hai Armaan….tum 2 din ruk jao…main apne plan ka business proposal banake koi raasta nikaal lungi…..please trust me, Armaan!
He touches her cheek slightly. "I trust you Jassi…..lekin tumhe bhi mujh par bharosa hai na?"
She gazes deeply into his eyes. "Khud se zyada!"