The Author of this post have chosen to restrict the content of this Post to members only.
Cops Vs Terrorists
Scene 1- Police station
Police station landline rings,
Acp picks up the call and says " Hello, yes police staion, kahan par, achha hum aa rahe hain"
Gautam, shaurya, vikas aur mayank Acp ki taraf dekh rahe hote hain.
Acp- Gautam, shaurya tum log abhi ke abhi malyam apartments andheri mein jao plot no 115 wahan 1 ladke ka murder ho gaya hai.
Gautam and shaurya- sir.
Scene 2- Crime scene
Gautam and shaurya checks the body check kand vikas vikas checks the house.
Gautam- Goli maar ke murder kiya hai.
Shaurya- Lagta hai goli bahaar nahi nikali, exit point nahi hai body mein kahin bhi.
Gautam- Pocket mein paise aise ke aise pade hain.
Shaurya- Iska matlab lootne ke liye murder nahi hua aur ghar bhi theek ttheek hai, sabhi cheezein apni jagah par hai, koi ched kaani nahi hui. Lekin iski ID bhi nahi mili.
Vikas- Sir ye dekhiye kuch photographs mili hain aur kuch nahi mila.
Gautam- Kuch nature ki photographs and kuch logon ki.
Vikas- Ye photographs bikhri padi thi jaise koi kuch dhoond raha ho inmein.
Shaurya- Ye photos professional lag rahi hain.
Gauatm- Haan aisa lag raha hai jaise kisi professional photographer ne kheechi ho. Kahin ye photographr toh nahin.
Shaurya- Jin logon ne humein phone karke bulaya tha insein puch ke dekhte hain Inhe toh pta hoga.
Gautam- Iska naam kya hai?
Neighbour- Iska naam karan hai, ye ek photographer hai.
Gautam- iska matlab mera shaq sahi tha.
Shaurya- Par humein yahan se koi camera nahin mila.
Gautam- ek baar fir se dekhte hain, shayad mil jaye,.
Shaurya- kahin iska khoon us camera ki wajah se toh nahi hua. Ho sakta ha us mein kuch aisa ho jisse kisi ko khatra ho. Aur wo camera sath le gaya ho.
Gautam- Ho sakta hai.
Shaurya to vikas- Body ko forensic bhej do.
Gautam to neighbour- Tumne yahan kisi ko dekha, jaate ya bhaagte ya ghar ke aas paas?
Neighbour- Nahin sir.
Vikas to neighbour- Ye yahan akela rehta tha?
Neighbour- Ji sir.
Gautam To neighbour- Ye kon se studio mein kaam karta tha?
Neighbour- Rajat studio.
Scene 3- Rajat studio
Gautam, shaurya aur vikas studio pohonchte hain.
Gautam- Ye karan yahin kaam karat hai?
Person of Studio- Yes sir, kyun kya hya sir?
Shaurya- Uska khoon ho gaya hai.
Person- kya!, kaise sir?
Gautam- Abhi ye sab chodo aur vtao kya tumhare paas karan ka camera hai?
Person- Nahin sir, camera humesha uske paas rehta tha.
Gautam- Wo yahan pe kaam karta tha, uski photos ka record toh hoga na tumhare paas, ki wo kis ki photo kheechta hai?
Person- Haan sir, humare paas recoed hota hai aur negatives bhi hote hain, negatives se toh hum hi develop karte hain sir, isliye humare paas duplicate copy rehti hai photos ki.
Gautam- Good, chalo dikhao uski recent photos dikhao jo usne peechle 2-3 months mein kheechi hain.
Person- Ye lijiye sir, ye karan ne peechle 2 months mein kheechi hain.
Gautam- Itni sari photos station mein chal ke dekhte hain.
Scene 4 -Police Station
Acp- Kya information hai?
Gauatm- Sir uska naam karan hai, wo photographer hai, usne 2 monhs mein jitni photos kheechi hain hum wo laaye hain.
Acp- Good, dekho kya pta chalta hai, shayad in photos se hint mil jaye karan ke dost aur dushmano ke baare mein.
Gautam- Ye kya! Inn mein se maximum photos mein Abhigyan hai ek aadmi ke sath!
Acp- Iss photographer ka Abhigyan ke sath kya link hai? Shaurya, Abhigyan ko phone lagao aur usey abhi ke abhi police station bulao.
Shaurya- Sir.
Shaurya- Hello Abhigyan, kahan par ho? Achha ek case aaya hai, tum jaldi se station aa jao.
Mayank- Ho sakta hai Abhigyan sir karan ko pehchante ho.
Acp- Dekhte hain Abhigyan aa jaye fir hi pta chalega.
Abhigyan- Sir.
Acp- Abbigyan ye tumhari photos is photographer karan ke camera mein kaise?
Abhigyan looka at other officers and keeps silent.
Acp- Chup kyun ho, Jawaab do, tum jante ho isey?
Shaurya- Kya hua Abhigyan, tum jawaab kyun nahi de rahe? Maloom hai iska khoon ho gaya hai?
Abhigyan shocks.
Abhigyan- Mujhe kaise pta chalega, main toh ghar par tha. Aur main isey nahi janta.
Acp- Toh isne tumhari photos kyun kheechin?
Abhigyan- Pta nahi sir.
Gautam- Tumhe pta nahi chala ye tumhari photos kheech raha hai chupke se?
Abhigyan- Nahin.
Gautam- Aisa kaise ho sakta hai Abhigyan tum ek intelligent cop ho aur is karan ne tumhari 50 se zyada tumhari photos kheechi aur tumhe shaq nahi hua?
Abhigyan- Mene kaha na mujhe shaq nahi hua.
Acp- Tum itna ajeeb kyun behave kar rahe ho?
Abhigyan- Nahi sir aisa kuch nahi hai.
Shaurya- Tumhare sath photo mein kon hai?
Abhigyan gets silent again.
Gautam- Ab kyun fir se chup ho gaya? Tumhare sath photo mein tumhe pta hoga.
Acp- Tum kuch chupa rahe ho Abhigyan? Kya baat hai? Btao.
Abhigyan- Koi baat nahi hai sir.
Scene 5 Forensic lab
Lady doctor- Karan ko 0.11 point calibre ki goli se maara gaya hai aur bohot paas se maara hai isliye gloi body mein hi thi, humne nikal li hai.
Shaurya- Abhigyan bhi toh 0.11 point calibre ki gun use karta hai.
Gautam- Tum Abhigyan pe shaq kar rahe ho.
Acp- Gautam shaurya theek keh raha hai, iss case mein aur koi naam bhi toh nahi aaya abhi tak. Tum aur shaurya Abhigyan ke ghar jao abhi.
Gautam and Shaurya- Sir.
Lady doctor0- Sir meri baat abhi poori nahi hui hai.
Acp- Btayie.
Lady doctor- Mujhe iss bullet par finger prints mile hain.
Everone gets alert.
Acp- Fingers prints mile hain? Toh btayie na kis ke finger prints hai, iska matlab wo hi khooni hai aur hum usey asani se pakad sakte hain.
Lady doctor- Abhigyan ke.
Acp- Abhigyan ke? Oh my god.
Scene 6- Abhigyan's house
Gautam- Darwaaza khula hai
Shaurya- Abhigyan Abhigyan
Mayank- Lagta hai sir ghar pe nahi hain.
Gautam- Pta nahi kahan gaya hai apna ghar khula chod ke. Chalop ghar check karte hain shayad Abhigyan ki gun mil jaye.
Shaurya- Gautam
Gautam- Haan kuch mila?
Shaurya- Ye 4 sketches aur 5 maps mile hain.
Gautam- Sab kuch kitna confusing lag raha hai.
Mayanl- Sir gun mil gayi aur ye khali jai is mein bullets nahi hain.
Gautam- Achha, Isey forensic bhej do.
Mayank- Sir itne saare sketches aur maps ka Abhigyan sir ke ghar pe kya kaam?
Scene 7 -Police station
Acp- Kuch pta chala? Abhigyan se baat hui?
Gauatm- Nahi sir wo ghar pe nahi tha.
Acp- Ghar pe nahi hai, toh kahan gaya?
Shaurya- Uske ghar se ye sketches aur maps mile hain.
Vikas- Sir ismein se ye wala aadmi toh ek bohot bada terrorist hai. Ye kubar gang se hai.
Gauatm- Tumhe kaise pta?
Vikas- Sir mene kal hi iska face dekha tha humare records mein. Iska naam tha humare records mein.
Gautam- Jo sketch humein Abhigyan ke ghar se milta hai wo ek terrorist ka hai, Abhigyan ki gun se khoon hua, yakeen hi nahi hota, Abhigyan aisa kar sakta hai. Sir ho sakta hai jaise ye twerrorist hai waise baaki log jinke sketch mile hain wo bhi twerrorists ho ya unka koi criminal record ho?
Acp- Haan, vikas tum check karo.
Vikas- Sir.
Vikas- Ye raha sir. In sabhi ka record hai. Ye sab terrorists hain. Par ye sab alag alag gang se hain. Ye sare gang bade hain aur inhone desh aur desh ke desh ke bahar kul mila kar 20 se zyada hamle kiye hain.
Acp- My god. In sab ke sketches Abhigyan ke ghar pe kya kar rahe the?
Vikas- Ek kubar gang se hai iska naam nukun, dusra nayak gang se iska naam vishu , teesra humar gang se iska naam satil aur chotha paitar gang se hai iska naam farhan hai.
Shaurya- Sir kahin ye Abhigyan in gang ke peeche toh nahi tha?
Gautam- Ho sakta hai usey kuch information mili ho inn gang ke bare mein?
Acp- Agar aisa tha toh us ney humein btaya kyun nahin? Usey btana chahiye tha. Akele thodi na inka samna karna chahiye.
Landline phone rings.
Acp- Hello, yes doctor, what? Are you sure? Ok.
Mayank- Kya hua sir, doctoer ne kya kaha?
Acp- wo bullet jisse karan ka khoon hua tha wo Abhigyan ki gun se hi chali hai.
Myank- Iska matlab Abhigyan sir ne uska khhon kiya hai? Ab kya hoga sir? Abhigyan sir ka bhi pta nahi wo kahan hain.
Gauatm- Ye amaps dekhte hain. Ye kon si jagah hain...Ho sakta hai ye maps inn terrorists ke chupne ke theekane ho.
Shaurya- Inn maps ko dekh ke toh kuch samajh nahi aa raha ki ye kon si jagah hain...na koi nishan hai na koi naam likha hua hai.
Gautam- In mein se ye wale map ke baare mein main baar baar soch raha hoon ki ye kon si jagah hai, ye jaani pehchani lag rahi, jaise main yahan pe gaya hoon.
Acp- Achha yaad karo Gautam. Tumhara yaad aana bohot zaroori hai, tabhi humein ota chalega ki Abhigyan aur terrorists kahan hain.
Gauatm- Yaad aaya sir ye varli ke bilkul end mein hai,ye varli ka khoofiya rasta hai pune airport pe jaane ka. Ye jagah bohot sunsaan hai. Aatangwadi yahan pe asani se chup sakte hain.
Mayank- Iss dusre map mein ye aadi jagah khali hai aur ye ship jaisa kuch bana hua hai. Toh kahin ye khali jagah samundar toh nahin. Ho sakta hai ye ship ke neeche island ho. Aatangwadi wahan pe bhi chup sakte hain.
Acp- Haan correct. Ab do map ka toh pta chal gaya. Baki 3 maps ka kaise pta chalega? Mujhe Abhigyan aur wo terrorists zinda chahiye.
Gautam- Sir hum ye shapath ye lete hain ki un terrorists ko aape kadmon mein gira denge.
Scene 8 at Flower market
Shaurya- Gautam hum yahan kis liye aaye hain aur kab se yahan khade hain. Koi aane wala hai? Hum kisi ki wait kar rahe hain? Wahan pe Abhuigyan chup tha, ab tum chup ho. Tumhare dimag mein chal kya raha hai?
Gautam- Aag, Aag lagi hai mere dimag mein. Main chahta hoon jaldi se jaldi ye terrorists mere hath lag jaue aur ek ek ko main sabakh sikhaon.
Shaurya- Gusse se kaam nahi chalega Gauatm.
Gautam- Mene yahan pe apne aur Abhigyan ke informers ko bulaya hai shayad unhe un 3 maps ke baare mein pta ho. Inn logon ko khabar rehti hai khoofiyan jagahon ke baare mein. Aur Abhigyan ke informer ko iss liye bulaya hai ki shayad usey pta ho ki Abhigyan inn terrorists ke baare mein kya janta tha aur wo ab kahan hai.
Vikas- Sir kahin wo aapka khabri toh nahi?
Gautam To Informer- Aa gaya, ye dekh ke bta inn maps mein jo jagah hain inke baare mein janta hai?
Informer- Sir wo wo
Gauatm- Wo wo kya? Paise? Dunga dunga, pehle jagah ke baare mein bta, mera dimag ghuma hua hai nahi toh kuch ho jayega.
Informer- Sir ye jagah juhu mein kishore area mein hai. AQur ye jo dusra map hai ye jagah kaanti nagar ke paas jungle hai ye sare wo hi ped hain.
Gautam- Aur ye wala?
Informer- Saab iske baare mein nahi pta.
Gautam- Achha Abhigyan ke baare mein kuch pta hai?
Informer- Nahi sir.
Gautam- Chal theek hai ja. Ye le(He gives him 500 rupee note)
Shaurya- Bas 1 map ka pta chal jaye toh asaan ho jayega Abhigyan aur terrorists ko dhoondhna.
Gauatm- Abhi Abhigyan ka informer aayega, usey zarur kuch na kuch pta hoga.Vikas- Sir wo humari taraf aa raha hai,. kahin wo toh nahin?
Informer To Gautam- Kya hua sahab mujhe kyun bulaya? Aur Abhigyan sir aapke sath nahi aaye?
Gauatm- Kya, mene tere oisliye bulaya ki tere ko pta hoga ki Abhigyan kahan par hai aur tu hum se pooch raha hai ki Abhigyan humare sath nahi hai. tu informer hai na Abhigyan ka, tere ko pta kaise nahi Abhigyan kahan hai?
Informer- Sir meri kal baat hui thi Abhigyan sir se unhone mujhe unhe phone karne se mana kiya tha aur kaha tha jab unhe zarurat hogi toh wo mujhe khud phone kar lenge.
Shaurya- Kitne baje baat hui thi Abhigyan se?
Informer- Saab dupehar ko 3 baje.
Gauatm- Achha iss map ke baare mein pta hai?
Informer- Haan saab, ye map mene ho la ke diya tha Abhigyan sir ko. Abhigyan sir ko 1-2 aatankwadi mile the toh sir unke peeche hain. Ye 4 aatankwadiyon ka common theekana hai. wo ek sath yahin therte hain aur yahin se desh ke bahar jate hain. Ye jagah desh ke bahar jane ka sabse aasan rasta hai. Iss raste pe kharta nahi hota. Army force bohot kam hai yahan pe.
Gauatm- Kahan hai ye jagah?
Informer- Aam Aam...
A jeep comes and shots the informer at heart and informer is taking his last breathe.
Gautam shouts at people in jeep. They could not see the faces or people sitting inside.
Gauatm- Shaurya unka peecha karo.
Shaurya runs towards their jeep andtris to start the jeep but jeep does not start.
Shaurya- Damn it.
Gauatm- Vikas ambulance ko phone karo jaldi.
Vikas dials ambulance no.
vikas- Hello, main sub inspector vikas bol raha hoon, jaldi se amnulance bhejo flower market mein.
Shaurya- Nikal gaye hath se.
Gautam to informer- Bolo aam kya. Bolo.
Informer dies in seconds.
Vikas- Kaash wo log pakde jate aaj sab kuch saaf ho jata.
Gautam- Bachenge toh wo ab bhi nahi. Dhoondh ke rahenge.
Vikas- Sir par kaise? Ye jo unka main adda hai wo toh pta chala nahi. Khali aam pta hai, isse kaise dhoondhenge?
Gautam- Aam se kya ho sakta hai, ped ho sakte hain ya godown ho sakta hai kyunki aam ke bageeche yahan hain nahi.
Vikas- Aam ke ped toh jagah hogi hi nahi toh aam ke godown ho sakte hain.
Gautam- Exactly. Humein aam ke sare godown check karne hain.
Vikas- Sir yahan pe toh bohot sare godown honge.
Gautam- Chahe kitne saare hi kyun na ho waise humein sare check karne ki zarurat nahi hai sirf unka pta lagao jo lambe samay se bandh hain.
Shaurya- Mujhe lagta hai humein baki4 jagah bhi check karne chahiye jo maps mein thi.
Gautam- Theek hai. Viaks tum bandh aamke godown ka pta lago hum baki jagah dekh kar aate hain.
Vikas- Sir.
Gautam, shaurya and mayank goes to those 4 places but don''t find anything there. Everything is vacant there.
Gautam receives call from vikas.
Gautam- Haan bolo viaks, theek hai hum abhi aate hain. Humara intzaar karo. Apne aap kuch bhi mat karna. Khatra ho sakta hai.
Shaurya- Kya hua Gautam, pta chala?
Gautam- Pehli baar iss case mein kuch achha hua hai. Sirf ek godown hai jo bandh hai aur wo samundar se kawan jungle ke raste mein padta hai wahan pe thodi army hoti hai wahan se desh ke bahar jaya ja sakta hai.
Mayank- Sir ho sakta hai Abhigyan sir bhi wahin ho.
Shaurya- Wo wahin par hoga. Bas ab hum us jagah pe jate hain. Ab un aatankwadion ki khair nahi.
Scene 9 Mango Godown near kawan forest
Nukun(Terrorist) To Abhigyan- Saara kaam ho gaya hai na? Aur koi chaalaki toh nahi ki na? Nahi toh ptaa hai na kya hoga?(Pointing gun on his head)
Abhigyan- Nahi mene sab kuch apne aap kiya hai aur tum logon ko koi pareshani nahi aayegi.
Vishu(terrorist) To Nukun(Terrorist)- Ye plice wakla hai, ispe bharosa mat kar, tu khud ja ke sab kuch check kar.
Nukun- Abhi thodi der mein humne yahan se nikal jana hai, dekhne jane ki kya zarurat hai. Mujhe yakken hai isne sab theek se kiya hoga nahi toh uska anjaam ye achhi tarah janta hai, kyun inspector Abhigyan?
Vishu- Agar isne kuch gadbad kari ho toh hum nikalenge kaise? Tu anhi jayega toh main ja ke dekh kar aata hoon.
Abhigyan- Ruko, jo tum logon ne mujhe riifles di thi bullets bharne ke liye wo nahi check karoge. Unke bina tum kuch bhyi nahi ho.
Vuishu- Oh haan, dikhao.
Abhigyan- Toh please zara idhar aayo.
Abhigyan- Ye lo dekh lo.
Vishu- main poori tassali karunga, tere jaise inspector ka kya bharosa, ismein nakli goliyan ho.
Abhigyan- Sure, zarur check karo.
Vishu- Par kaise check karu, ye confused hoo, hawa mein chala kar main 1 goli waste nahi karna chahta, tumhare pe test kar ke dekh lu? Kyunki tumhari ab mujhe koi zarurat nahi hai.
Nukun- Nahi abhi humein iski zaurat hai, abhi iska kaam thodi khatam hua hai, ye toh humare bahar jane ka rasta hai, agar border pe kuch problem ho gayi toh.
Vishu- Toh goli kaise check karu? Na karu? Chalo bharosa kar leta hoon, end mein toh main tujhe isi gun se hi maroonga.
Vishu turns his back and Abhigyan pushes nukun and hit him and thus grab vishu and beats him, vishu and Abhigyan fight and vishu falls down. Nukun comes forward, Abhigyan beats him too and nukun falls on his foot. Suddenly light goes and there is darkness all around. Abhigyan is not able to view anything. Suddenly someone hits Abhigyan with his gun at his head from behind. Abhigyan feels pain and falls down and gets unconscious.
Satil(Terrorist)- Humse pamga le raha tha, hero banta hyai.
Nukun and vishu manages to stand up.
Vishu- Chalo yahan se boss ke sath. Iska kaam tamaam ho jayega 15 minute mein.
They leave with their rifles and a group of small terrorists who work with them.
They come outside of that room and the area is plain now...They are heading towards the border area which is at distance of 1 kilo meter from that room.
Acp reaches the godown with entire team where Abhigyan is.
Acp- everybody be alert.
Everybody ahs their own guns in hand and they enter the godown and searches the whole area. Gautam and shaurya comes in a room where Abhigyan is lying unconscious.
Gauatm- Abhigyan, Abhigyan utho.
Shaurya- Sir (In loud sound)
Acp- Kya hua?
Vikas- Abhigyan sir.
Shaurya- Abhigyan
Mayank- Sir ye darwaaza khula hai, isi taraf border hai.
Acp- Aatankwadi wahin gaye honge, chalo humein unhe pakadna hai.
Acp goes towards border with entire team except Gautam. Gauatm is with Abhigyan.
Gautam- Abhigyan.
Gauatm hears a tick tick tone.
Gautam- Ye awaaz kahan se aa rahi hai?
Gautam looks around in the empty room and gets confused. Then he suddenly hears a louder sound near a wall while looking around. He takes ear to that wall nad confirms taht boll is fixed in wall.
Gauatm- Abhigyan utho yahan bomb hai.
Abhigyab regains consciousness.
Gautam- Ye lo apni gun.
They run outside.
Acp and team manage to take over the terrorists and stand in front of them
Acp- Ruk jao.
Every police officer points gun towards terrorists.
Shaurya- Bas tumhara khel khatam.
Farhan-(the boss and a main planner and a powerful terrorist) to other terrorists- Dekha fasa diya na us inspector ne.
Acp- Apne aap ko humare hawale kar do.
Farhan- Tum apni gun neeche rakho aur ja je apne us inspector bachao. Ab tak toh uska kaam tammaam ho gaya hoga.
Acp- Kya matlab? Kya kiya tumne uske sath?
Farhan- Bomb rakha hai wahan. Jao ja ke usey bachao. Hunein jane do.
Acp- Nahi.
Farhan- Nhai? Theek hai ab dekho yahan pe jo army hai aur jo maasoom log hai unke khoon ki nadi bahegi. Tab pta chalega tumhe. Yahan pe army walon ka function ho raha hai. Ye function tumhare pyaare Abhigyan ne hi rakhwaya hai taki hum yahan se assani se nikal sake. Aur yahan pe isliye bohot sare masoom log bhi hai jo ye function attend kar rahe hain.
Acp- Nahi, tum un logon ko kuch mat karo. Hum gun neeche rakhti hain. Shaurya gun neeche rakho.
Everyone drops the gun. Terrorists point the gun towards each police officer. Thwey took a step ahead. Gauatm and Abhigyan shots at farhan hand and leg. Every terrorist looks behind to see who has fired on Farhan. Each officer snatches the rifle from each terrorist's hand and baets them in their own style. There were 10 terrorists and 10 police officer.. Each officer handles one terrorist.
Scene 10- Police station-
Farhan- Itna maara aap logon ne.
Acp- Desh ke sath gaddari kate hue sharam nahi aati tum logon ko. Aur Abhigyan ye sab kya hai? Tumne humein btaya nahi? Sab kuch akele kar rahe the? Maloom hai na ye itna serious maamla hai, mujhe upar jawaab dena hota hai.
Abhigyan- Main majboor tha sir.
Acp- Aisi kya majboori thio Abhigyan?
Abhigyan to Farhan- Mujhe ytoh teri saari planning pta hai par inn sab ko bta kya plan tha tera ya main teri body ki shape ki planning karun?
Farhan- Humare bhi kuch informers hote hain jinse humein police ki activities ki khabar rehti hai ki kon sa officer kab aur kahan milega. Mene Nukun ko Abhigyan se jaanbhooch kar takarane ke liye kaha taki main iske zariye iss desh se bahar nikal sakun. Mene karan ko phone kiya aur kaha Inspector Abhigyan ek aatankwadi se mil raha hai aur usey photos kheechne ke liye kaha taki main Abhigyan ko black mail kar saku.
Gautam- Kaisa blackmail? AQur tumhe karan ka number kahan se mila?
Faqrhan- Mujhe karan ka number newspaper ki ad mein mila. Mene Abhigyan ko blackmail kiya ki agar usney humari maddad KARE India se bahar nikalne mein aur aap logon ko inform na kare isliye mene iske kapdon, phone aur ghar mein bugs laga diye. Aur agar isne humari maddad na kari aur aap logon ko inform kiya toh main usey America ki police se arrest karwa dunga aur America mein blast karwa dunga apne sathiyon ko kehke jismein iske parents bhi maare jayenge kyunki wo wahan rehte hain.
Gauatm- Toh tumhe hum logon ke parivaar ki khabar rehti hai? Hain?
Farhan- Haan rakhni padti hai.
Gauitam- Ye sab sun kar mera khoon khol raha hai. Aur tu blast karwayega, main btata hoon tujhe kaise blast karwate hain(In anger, benting upon Farhan)
Acp- Aur isliye us din Abhigyan tum station mein chup the.
Abhigyan- Ji sir, agar main kuch bolta toh ye America mein blast karwa deta aur masoom log maare jate jo main nahi chahta tha.
Acp- Magar Abhigyan unn finger prints ka kya jo humein tumhai gun se mile hain jisse karan ka khoon hua?
Abhigyan- Isney mujhe kaha tha ki ye karan ko kuch nahi karega par isney maar diya usko. Mene karan ko bachane ki bohot koshish ki, mujhe maloom tha ye log usey nahi chodenge, mene usey btraya ki ye aatankwadi hai, usko bachane ke liye usko england bhejne ke liye tickets book karwa di par inn logon ne useu maar diya aur tickets faad di.
Acp- Toh gun pe tumhare nishan kaise aaye?
Farhan- Jab Abhigyan Nukun se mila toh Abhigyan ne gusse mein uska colar pakda toh uski ungliyon ke nishan usjke colar pe aa gaye. Mian Kran ko maarna chahta tha toh mene Abhigyan ko fasane ka plan banaya aur usey dhamka ke mene gun le li aer uspe Abhigyan ke fingers print laga diye ayr gloves pehan ke karan ko holi maari isliye mere fingers prints nahi aaye gun par.
Acp- Ayr jab isse laga hum is tak pahuch jayenge tumhare informer ke zariye toh isne usey bhi maar diya.
Abhigyan- Haan sir. Wo bechara kurbaan ho gaya.
Gautam- Ab isko apni zindagi ki kurbaani deni hogi aur iske saathiyon ko bhi.
Abhigyan- Hum shapath lete hain inke Amwerica ke sathiyon ko pakad ke jail jki hawa khilayenge. Kisi ko nahi chodenge.
Acp- Vikas, Aditya, Mayank, Aanand, Chandan, Astha le jao inn logon ko mere saamne se.
Acp- Well done Abhigyan, Well done boys. I am proud of you.
Abhigyan, Gautam and Shaurya join the hands.