Ek to ITV par mental illness, developmental challenges wale kirdar ko galat tareeke se dikhate hain (I mean na accuracy ki parwah aur na hi is baat ki wo is tarah se disabled ko mock kar rhe)... Aur dusra aise characters ko keval filler ki tarah kyon dikhana hai?
Frankly... Mujhe lead actress ki acting/uski screen presence se koi problem nahi. Balki uske character se hai jo baasi hai. Hamesha koi Bala ki khubsurat + talented aur akele hi sabko rescue/rehabilitate karne wali FL ki hi kahani kyo dikhate hain? Wo alag baat hai ki in FLs ko maayke se achha support milne, khud me unrealistically talented + beautiful hone ke bavjud forced marriage hi karni padti hai, jahan Inka Pati inhe simp karte hue inhe kisi Father figure jaisa pyar/guidance deta hai aur Dominant bhi karta hai. So far.... Ghum ki ab tak ki saari kahaniya aisi hi rahi hain. Ye heroines normal ladkiyo ki tarah khud se apna career banate nahi dikhaai jati.
Mera major problem is baat se hai ki hamare ITV ki sari heroines Sai, Savi ya Tejo hi kyon hain? Devi Tai ya Aditi kyon nahi? Inhe bas pagalo ki tarah unrealistically hanste/apna time waste karte kyon dikhai jati hai? Are... Sara potential to inhi characters me hai. Ki kaise so society/family ke pressure/neglect/prejudice ke baavjud persist kar rhi hain... Dheere 2 kar aage badh rhi hain aur unhe koi badhiya pyar krne wala saathi bhi mil jata hai. This will be both romantic and progressive also.
Abhi bhi wahi sab bekaar sa scenario dikha rahe hain ki Khubsurat ladki se takrakar bina uske baare me kuch jaane bas Hero ko usse pyaar ho gya hai! Waah! Chalo Tejo to Starstruck hai. It's much understandable and also, uska ye so called "pyar cum fascination" fus hone wala hai. Plot wise bhi it makes sense. Kaun sa rockstar apne kisi "random fan" se pyar/shadi kar leta hai? Bolo jara!
Saari kahani to Aditi ki hai. Uske paas real struggles hain.. UK/US ka chodo... Even Pakistani tak aise characters ko centre me rakhkar stories bana rahe hain... Lekin Indian Audience ko wahi Bakwas FL stereotype chahiye!
1