PART 4
Days were passing . Brij and Maan friendship was getting stronger day by day. Both Maan and Brij were in 10th standard. Both of them decided though they are in different school. But they will take admission in same junior college.
Geet was in 6 th standard .Day by day she sensed Devki's behaviour towards her was not same like she is with Brij. She understand when Brij and Maan are together then she dont want her to be with them. Mohinder always controlled situation regarding Geet when it happened before him. Rano tried to handle situations nicely in absense of Mohinder. Between all this one thing was good she was pampered by Anjali , Savitri and Amar. And obviously Maan also liked her. Though they sometime feel Devki's cold behaviour but brushed off thoughts thinking may be she is from Hoshiarpur so this is her thinking about Geet.
On sunday
Maan in his thoughts" Aaj kal snowwhite mujhse baat hi nahi karti. Na hi Brij ke piche aati hai waise to veerji veerji karti rehti hain."
Brij came to meet maan
Brij: Good morning Maan.
Maan: Good morning Brij. Geet nahi aayi tumhare sath waise to tumhare aage piche ghumti rehti hai.
Brij: Meri gudiya ke bare me aisa mat bolo.
Maan: Sorry.
Brij: Wo Gudiya Maa papaji ke sath niche hai. Waise Aaj hame maths ki padhai karni hai.
Maan: Haa.par thodi der me , chalo neeche chalte hai
Brij : Ok
In Hall,
Rano, Mohinder greeted Savitri, Amar and Anjali.
Mohinder: Wo hum bahar ja rahe hai. Tab tak Brij
Just then Brij and Maan came.
Rano: Beta hum Geet ke sath bahar jaa rahe hain. Kuchh ghanto me aa jayenge.
Amar: Ye bhi kehne ki baat hai kya. Dono bache hai sath me.
Maan was watching Geet
Maan: Uncle aunty hum bhi chalte hain.
Anjali: Maan...
Brij: Chalo hame maths padhna hai kal test hain.
Mohinder Rano and Geet tooleft.
Amar: Kitni pyari hai Geet
Anjali:Kash Geet ki tarah meri bhi beti hoti.
Savitri: To kya hua anjali bete Geet hai na
Anjal: Haa maa isliye to khush rehti hoon.
After returning Rano took Geet with her to room
Devki: Aa gaye. Samajhte kyun nahi ho Mohinder
Mohinder: Mujhe kuch nahi sochna. Waise bhi ab hum Delhi main hain mujhe kuch nahi sochna.
After having lunch Geet slept. Mohinder and Rano in their room started discussion.
Rano: Aisa kab tak chalega. Geet mujhse sawal puchti rehti hai, "Dadi mujhse pyar kyun nahi karti main jaise taise sambhal leti hun hamari bachi ko. Aur Brij ko jab
pata chalega to kya hoga ji .
Mohinder: Brij umar ke hisab se boht samajhdar hain. Sahi waqt aane par hum use bata denge. Maa ki chhodo wo nahi samajh payegi. Hum dono ka pyar Geet ke liye kafi hai
Rano: Aur Brij ka bhi. Wo sabse acha bhai hai.
Rano and Mohinder smiled.
Mohinder: Waise Brij lauta nahi.
Rano: Maan ke sath hai. Sham se pehle to nahi lautega.
Mohinder: Maan bhi boht samjhdar bacha hai.
Rano: Jis ghar ke sanskar itne ache hai. To wo to acha hoga na. Chaliye ji aap thodi der aaram kar lijiye.
Mohinder: Haa
As we say Time flies so fast.
Maan and Brij did the way they decided. Not only junior college but also they took admission in same college too. Maan and Brij took admission for architecture.
Geet was busy with her studies. And as always tried to avoid when both Brij and Maan were together
In college ,
Girls always tried to hit on Maan, Brij was always followed by one girl. But Brij always avoided her.
Maan: Kya yar Brij , Sakshi tumhe pasand karti hain. Kam se kam friendship to karlo. Bechari pichle tin sal se tere piche ghum rahi hai. Itne handsome ho.
Brij: Ye main tere bare me bhi bol sakta hun. Itni sari ladkiyan MSK ke piche pagal hai. Tu to kisi ko bhav nahi deta.
Maan: Wo mujhe abhi career par concentrate karna hai. Warna papa ka to tujhe pata hai na.
Brij: Main bhi yahi keh sakta hun. Mujhe bhi career par concentrate karna hai. Aur ek baat she is Sakshi Singhania. Uske papa boht bade businessman hai. Just like you eklauti waris hai. Waise she is perfect match for you. Mujhe meri haisiyat ke hisab se rehna hai.
Maan was taken aback with his comment.
Maan: No. Wo bas meri dost hain. Papa aur uske papa friends hain.
Brij: Haa haa pata hai.
Maan in his thoughts " Mujhe to bas meri snow white meri Geet hi achi lagti hai. "
Brij: Kaha kho gaya.
Maan: Kuch nahi agla sal hamara last year hai na.
Brij: Wow. Very nice
Maan: Isme very nice?
Brij: Meri Gudiya bhi agle sal yahi admission legi. I must say Maan. My gudiya is very talented.Wo padhai puri kar legi. Bas aur ek sapna hai uske liye
While drinking water, Maan asked
Maan: Aur kya sapne hai tere Geet ke liye? Waise bhi to tu sare sapne uske liye dekhta hai.
To himself" pata nahi mere liye kuch chhodega ki nahi jo main Geet ke liye karu".
Brij: Kya badbada raha hai
Maan: Kuch nahi kya sapna hai tera Geet ke liye?
Brij: Yahi Ek achhe ladke ke sath, ek achhe se ghar me Geet ki shadi karwakar use vida karna hai.
Maan who was drinking water coughed it.
Brij: Dheere maan. Aram se piyo.
Maan: Ek sawal puchu.
Brij: Puch naa
Maan: Ek achha ladka aur ek acha ghar ki defination kya hai tere liye jo tuze teri gudiya ke liye chahiye?
Brij: chal canteen main baithte hai.
Maan: Haa chal.
Brij: Haa to mujhe Gudiya ke liye aisa ladka chahiye jo use boht pyar kare.
Maan to himself "Main bhi karta hun"
Brij: Use khush rakhe
Maan to himself" Hamesha khush rakhunga"
Brij: Ek achi si job karta ho . Aur khud ka ghar ho bhale hi chhota kyu na ho. In short I want a guy from good middle class family.
Maan: Tumhara kehne ka matlab main acha nahi hun. Bas middle class family ke ladke ache hote hain.
Brij: Are gussa kyun ho rahe ho. Main tumhe nahi bol raha. You are very nice.
Maan: Wo to main hun
Brij: Chalo ghar chalte hain.
Maan left with Brij .
Part 5 pg 6
Edited by priyal12 - 8 years ago
770