Part-3
Khurana parivaar mein ek tradition hai ki yahan par sab love marriage karte hai...maan ke dada-dadi ki marriage bhi love marriage thi...uske mumma-papa ki marriage bhi love maariage hai...ab ridhima bhi kisi se pyaar karti hai aur uski shaadi bhi jald hone wali hai...aur jo sabse chota hai vicky wo bhi kisi se pyaar karta hai par yeh baat alag hai ki usne abhi tak us ladki ko apne pyaar ke baare mein batya nahi hai...par uske dad issi baat se khush hai ki wo kissi se pyaar to karta hai...ab baari humare hero Maan Singh Khurana ki jisse abhi tak kissi se pyaar nahi hua kyuki use ek aisi ladki ki talash hai jo maan se pyaar kare...na ki The MSK se...soo maan abhi tak single hai...yahi baat ram ko bilkul nahi pasand...to aaj maan ka din bahut bura jane wala hai kyuki aaj uski daadi aur dad ne uske liye kuch plan kiya hai....
In Khurana Mansion
At breakfast table
Subah-subah sab breakfast table par baithe hai aur vicky ka wait kar rahe hai tabhi maan ki dadi aur dad apna natak shuru karte hai...
dadi :Ram mujhe lagta hai humare tradition ki kisiko kadar hi nahi hai..
ram :are maa aap yeh kya keh rahe ho humare ghar mein sab ko tradition ki kadar hai..
ab maan jo bahut hi accha beta hai aur apne traditions mein bahut vishwas rakhta hai vo tabhi kehta hai are dadi aap aise kyu keh rahe ho hum sab apne tradition mein bahut vishwas rakhte hai
dadi :nahi maan aap to humse baat hi mat kijiye
maan:are dadi aap aise kyu keh rahe ho ???
dadi :aur nahi to kya kahe maan apne to pura mann bna liya humara tradition todne ka
ram :han maan maa sach keh rahi hai aapka to pura mann hai humare ghar ki parampara todne ka...aapko to apne parivaar ke reeti-riwazo ki koi kadar hi nahi hai..
ab maan apni dadi aur apne dad ki baatein sunkar pareshaan ho jata hai aur kehta hai ki dad mene to aisa kuch bhi nahi kiya jisse humare tradition tut jaye'''''priya jo paas mein hi baithi hai wo samajh jati hai ki uski sasu maa aur pati kya karne ki koshish kar rahe hai par wo chup rehti hai kyuki wo bhi wahi chahti hai jo wo dono chahte hai to ab priya bhi unke natak mein shamil ho jati hai
priya :nahi maan tumse bahut badi galti ho gyi hai jisse humara tradition tutne ja rha hai...beta mujhe tumse yeh umeed nahi thi
ab priya ko bhi aise kehte hue dekhkar maan pareshaan ho jata hai aur apni maa se puchta hai ki maa par mene aisa kya kar diya jisse humara tradition tut rha hai????????ki tabhi daadi kehti hai ki maan aap apni maa se kya puchte ho humse puchiye hum btate hai aapko ki aapki kya galti hai...aapne konsa tradition toda hai..
maan :to btayiye na dadi aisa kya kar diya mene jo aap sab naraz ho mujhse????
daadi :beta aapko malum hai na ki humare ghar mein love maariage ka tradition hai...humare ghar mein sab ki love marriages hoti hai
maan :haan dadi mujhe malum hai to??
ram :to kya???kya tujhe kissi bhi ladki se abhi tak pyaar hua hai???
maan :nahi...
ab maan ko samajh lagta hai ki yeh kya kehne ki koshish kar rahe hai
dadi :dekha tujhe abhi tak pyaar nahi hua...maan tu ab 25 ka hai aur agle teen(3) mahine mein 26 ka ho jayega''isiliye hume lagta hai ki tujhe aage bhi pyaar nahi hoga isiliye hum teri arranged marriage karane ki soch rahe hai
ram :isiliye maa keh rhi thi ki humari love marriage ki tradition tut jayegi aur wo bhi teri wajah se...dekh vicky tere se chota hai phir bhi use pyaar ho gya hai aur ek tu hai ki bas...
maan :par dad vicky ne abhi tak us ladki ko kha bhi nahhi hai..kya pta wo ladki vicky ko reject kar de
ram :mein yahan pyaar karne ki baat kar rha hu...vicky ko kam se kam kissi se pyaar to hua hai par tujhe to wo bhi nahi
priya :isiliye maan hum teri arranged marriage kar rahe hai aur humne tere liye ladki bhi pasand kar li hai.
maan :nahi maa aap mere saath aisa nahi kar sakte...are pyaar to kabhi bhi kahin par bhi ho sakta hai..aur aap sab to aise baat kar rahe hai jaise ki mein budha ho gya aur koi ladki kabhi bhi mujhe pasand hi nahi karegi..
daadi :beta humne aisa kab kha ki koi ladki tujhe pasand nahi karegi hume malum hai ki ladkiyan to tujhse shaadi karna chahti hai par yahan baat to teri kissi ladki ko pasand karne ki hai jo iss zindagi mein to lagta hai kabhi hone wala nahi hai
maan :dadi aap aise kyu keh rahi hai mujhe khud par vishwas hai ki mujhe pyaar jarur hoga mujhe bas apne liye bani us special ladki ka intezaar hai..
dadi :beta aur yeh intezaar hume kab tak karna padega...
maan :dadi aap aise kyu baat kar rhe ho???
dadi :to kaise baat kare maan????aapko to malum hai ki hum heart patient hai malum nahi kab hume bhagwan ke ghar se bulawa aa jaye...hum to bas yahi chahte hai ki marne se pehle mein tumhari biwi ka chehra dekh lu...
maan :dadi aapko kuch nahi hoga aur aap yeh sab baatein kyu kar rahe ho???
tabhi ram kuch aisa kehta hai jise sunkar sabhi shocked ho jate hai...
ram :maan hum aapko 1 year ka time de rahe hai agar is beech aapko kisi se pyaar hua to theek nahi to hum aapki shaadi apni marzi se kahin kar denge
maan apne dad ki yeh baat sun kar ek dum shocked ho jata hai aur tabhi kehta hai..
maan : dad this is not fair...how could you do this with me???aap aise kaise mujhe pyaar karne ka time de rhe hai????yeh koi business hai kya dad???? yahan par hum kissi project ki deadline final kar rahe hai
ram : maan this is our last decision...ab sab breakfast karo ab iss topic par koi baat nahi hogi
maan :par dad...dad meri baat to suno..
ram :nahi maan hum aur kuch sunna nahi chahte aap bas apna breakfast kijiye..
maan :maa aap hi dad ko samjhaiye na ki aise kaise wo mujhe pyaar karne ke liye keh sakte hai
priya :beta iss issue par mein ram ke saath hu...so chup chap apna nashta karo
maan :di aap hi dad se baat karo na
ridhima :nahi maan mein tumhari koi help nahi karne wali dad bilkul theek keh rahe hai
maan apne dil mein kehta hai ki sab k sab mile hue hai...pta nahi aaj subah mene kiska chehra dekha tha jo mein yahan phas gya aree maan yeh kya keh rha hai tu bhul gya subah subah tune khud ka hi chehra dekha tha..isliye to mere saath yeh ho rha hai mujhe maa ka chehra dekhna chahiye tha ya phir di ka to sab theek hota chal maan ab lag ya apni wo special ladki ko dhundne ke mission par''nahi to malum nahi dadi teri shaadi kis se karwa dengi itne mein vicky aa jata hai aur maan ko gusse mein dekhkar ridhima se halki si awaaz mein puchta hai ki kya hua?to ridhima usko saari baat btati hai to vicky jor jor se hasne lagta hai...then maan gives an angry glare to vicky then also he is laughing madly...tou maan gusse se breakfast table se uth kar chala jata hai...uske jaane ke baad sab log hasne lag jate hai...aur priya ram se kehti hai..
priya :ram aapne yeh aaj accha nahi kiya..dekho mera beta bina breakkfast kiye hi chala gya...ram pyaar to apne aap hota mere ya phir aapke kehne se to wo pyaar nahi karega...yeh to ek khubsurat ehsaas hai jo khud-b-khud hota hai kissi ke force karne se nahi'.
ram :mein janta hu priya..par kya kare tumhara beta apne kaam mein itna involve hai ki usse yeh yaad dilwana jaruri tha ki ab uski shaadi ki age hai aur wo kaam ko side par rakh kar apne liye ek jeevansangini dhunde
priya :ha par ram...
ram :nahi priya ab bas kuch aur nahi mujhe malum hai ki mere bete ko iss duniya ki sabse acchi ladki milegi aur usse bhi jarur pyaar hoga
ridhima :are maa aap itni tension kyu le rahe ho dad kaunsa maan ki sach mein hi shaadi karne lage hai so just relax maa...waise maan ki itni to class lagni hi chahiye thi
vicky :waise agar kisi ne The MSK ko aise dekha hota hai to wo to behosh hi ho jata...ki The MSK ko apne ghar se pyaar karne ke liye deadline mili hai...
vicky ki yeh baat sunkar sabhi hasne lagte hai aur pray karte hai ki unke maan ki zindagi mein bhi koi acchi si ladki aa jaye...
precap :maan in office with angry mood😡
prev :- part2
next :- part4
Edited by angel_smily - 12 years ago