PART 6
Next morning at the bus stand, subah ke paune saat baj rahe hain, bahut tez baarish ho rahi hai, kashmir jaane waali bus aa chuki hai, saare students, proff's, including puja, rahil, sagar, nihal, kiran bus mein chad chuke hain.Aur niharika bhi bus mein chad hi rahi hoti hai, ki tabhie, bus ki sidiyon se uska pair phisalne lagta hai, aur achanak piche se use aditya aakar pakadta hai.Aur kehta hai ''samhal ke'', niharika jaldi se bus ka handle pakad leti hai, lekin handle aur uski hatheliyan gili hone ki wajah se uska haath bhi bus ke handle se phisalne lagta hai, ki, tabhie, aditya apna haath niharika ke haath ke upar rakh kar handle ko pakad kar usko phir se ''samhaalta'' hai. Aur kehta hai ki ''ab aap upar chadiye, don't worry main hoon na'', niharika upar chad hi rahi hoti hai ki use dhyan aata hai ki us ladke ne apna haath uske haath ke upar rakha hua hai, jiski wajah se, woh upar chad nahin pa rahi hoti hai, yeh dekh kar woh usse kehti hai.
NIHA-Magar pehle aap apna haath toh hatayiye.
ADITYA-Kyun?
NIHA-Kyunki jab tak aap apna haath nahin hataenge, tab tak main upar chadoongi kaise.
ADITYA-Lekin agar maine apna haath hata liya, aur aap dobara se phisalne lagin toh, is baar aapke saath-saath, main bhi phisal ke neeche gir jaonga.
NIHA-Don't worry, na main khud phislungi, aur nahin aapko phisalne doongi.
ADITYA-Ok, best of luck,itna kehkar aditya apna haath hata leta hai, niharika bus main chad jaati hai, aur turn hokar aditya ko apna haath dekar kehti hai, ''aayiye'', aditya apna haath niharika ke haatho mein deta hai, ki tabhie bus ka driver engine start karta hai aur bus ek zor ka jhatka marti hai, jiski wajah se pehle niharika bus ke andar girti hai, aur uske upar aditya bhi aakar gir jaata hai, girne ke baad aditya, dheere se niharika ke upar se uthne ki koshish kar hi raha hota hai ki tabhie uski nazar, niharika par padti hai, aur woh dekhta hai ki, niharika ke baal uske chehre ke upar bikhre hue hain, jiski wajah se niharika ko kaafi uljhan ho rahi hai, yeh dekh kar aditya apne haathon se uske gile baalon ko hatakar dekhta hai ki, niharika ki aankhen bandh hain, aur uske chehre par baarish ki halki-halki boonde hain, jo ki uski chehre ki khubsoorti aur saadgi ko aur bhi badha rahin hain,aditya ek pal ke liye niharika ko dekhta hi rehata hai❤️ , tabhie niharika apni aankhen kholti hai aur aditya ko dekhti hai, yeh dekh kar aditya apni nazrein hata leta hai, aur niharika ke upar se uthkar khada ho jaata hai, niharika bhi uthkar khadi ho jaati hai, aur dono agal-bagal dekhne lagte hain, phir dono ek saath kehte hain, ''woh main'', aham........aham.........
NIHA-Thik hai pehle aap hi kahiye.
ADITYA-Well, maine aapse kaha tah na, ki is baar aapke saath-saath main bhi phislunga.
NIHA-I am sorry.
ADITYA-It's ok aur waise bhi bade-bade buso mein toh aisi choti-choti baatein hoti hi rehti hain.
NIHA-Jiiiiii............?😕 .
ADITYA-Mera matlab hai ki, are woh dialogue tha na ''DDLJ'', ka, jismein shahrukh, kajol ko, hamesha bolta rehta hai, ki............haan yaad aaya ki, ''bade-bade deshon mein aisi choti-choti baatein toh hoti rehti hain senurita'', by the way kya aapka naam bhi senurita hai?
NIHA-Jii nahin mera naam senurita nahin hai 😡.
Aur tabhie bus ka conductor aata hai, aur undono se kehta hai.
CON-Aap dona kripya karke yahin par baith jaayein, kyunki aage ki saari seats full hain.
ADI-Ok, humein koi problem nahin hai, hum dono yahin piche ki seats par baith jaayenge.
itna sunkar conductor wahan se chala jaata hai, aur tab niharika, aditya se bolti hai.
NIHA-What do u mean by humein?😡.
ADI-Humein matlab aap aur main hum dono.
NIHA-Dekhiye mr. aapka jo bhi naam hai, aapne meri madad ki, iske liye thanky very much, maine aapki madad ki hisaab barabar, ab aap yahan aaraam se baitheye, aur main aage jaakar baithungi.
ADI-Ok as u wish,by the way agar aap girane ko madad karna kehti hain toh thanky very much aapko bhi, and one more thing, mera naam ''jo bhi'', nahin hai balki aditya hai.
itna kehkar aditya apni seat par baith jaata hai,niharika uski baat sunkar thoda sa embarrass😳, feel karti hai,aur apne mann mein sochti hai.
NIHA-(to herself)-mujhe inse is tarah se baat nahin karni chahiye thi, after all jo bhi ho, lekin inhone meri madad toh ki hi hai,i think i should se sorry to him.
NIHA-I am sorry.😳.
Itna keh kar niharika aage ki taraf chali jaati hai, aditya use ek pal ke liye dekhta rehta hai,aur phir apni seat par so jaata hai.🥱.
cut to niharika jo ki aage jaakar dekhti hai, ki saari ki saari seats full hain aur sab log so rahein hain,yeh dekhkar woh wapas piche ki taraf aa jaati hai, wapas aakar dekhti hai ki aditya bhi so rah hai.yeh dekhkar niharika bus ke darwaaje ki khidki ke paas aakar khadi hojaati hai, aur bahar dekhne lagti hai.tabhie dobara bus ka conductor aata hai aur niharika se kehata hai.
CON-Madam ji aap baith kyun nahin jaati hain.
NIHA-Actually saari seats full hain toh mujhe samajh mein nahin aaraha hai ki main kahan par baithun.
CON-Koi baat nahin madam ji, main in bhai sahab ko utha deta hoon,aur aap inke bagal mein baith jaayiye.
NIHA-Nahin-nahin, rehne dijiye iski koi zaroorat nahin hain, aap jayiye main yahin par thik hoon.
CON-Lekin madam ji aap darwaaje ke paas mat khade rahiye, yeh khatarnaak ho sakta hai, aur waise bhi bahar bahut tez baarish ho rahi hai.
NIHA-Thik hai aap chinta mat kijiye main kuch der mein baith jaongi.
CON-Ok madam ji.
itna kehkar conductor wahan se chala jaata hai.Aur tabhie aditya ki aankhen khulti hain, woh uthta hai aur niharika ka haath pakad kar use khinch kar seat par bitha deta hai.
NIHA-Yeh kya battamizi hai.😡.
ADI-Yeh battamizi nahin hai, aap baar-baar phisalne lagti hain toh maine socha ki, is baar aapke phisalne se pehle hi main aapko samhaal loon.
NIHA-Aap khud ko................😡.
isse pehle ki niha kuch aur bol paati ki tabhie achanak se bahut tez awaaz aati hai, aur bus ka darwaaja khul jaata hai,jisse niharika ghabrakar aditya ka haath pakad leti hai,yeh dekh kar aditya ek pal ke liye chaunk jaata hai, aur niharika ki taraf dekhne lagta hai, niharika ki aankhen bandh hain, aur usne kas ke aditya ka haath pakada hua hai,aditya niharika ko dekh kar halke se muskuraata hai, aur phir karah kar kehta hai.
ADI-Aaah............
aur tabhie niharika apni aankhen khol kar aditya ki taraf dekh kar kehti hai.
NIHA-Kya hua?
ADI-Kya hua? yeh hua.
aditya ishare se niharika ko dikhata hai ki, usne, uska haath kas kar pakada hua hai, yeh dekh kar niharika jaldi se apna haath hata leti hai, aur aditya se kehti hai.
NIHA-Oh! i am sorry.
ADI-It's ok, aur haan plzzzzz aap baar-baar mujhe sorry mat kahiye ok senurita.
NIHA-Phir senurita, maine kaha na ki...........................
ADI-Ki aapka naam senurita nahin hai, toh phir aapka naam kya hai?
NIHA-Niharika chowdhary.
ADI-Niharika, nice name,hi i am aditya malhotra.
NIHA-Hii nice to meet u, and thanky dobara meri help karne ke liye.
ADI-U r most welcome, aur plzzzzzz aap mujhe baat-baat pe sorry aur thanky mat kahiye.
NIHA-Ok.
isse pehle ki aditya aur niharika kuch aur baatein kar paatein ki tabhie nihal wahan par aa jaata hai.
NIHAL-Oh! thank God adi ki tum yahan par ho,humne toh socha ki kahin tumne bus toh nahin miss kar di.
ADI-Thanky so much ki tum logo ne mere liye itna socha, waise main shayad bus miss bhi kar deta, agar koi phisalta nahin.
tabhie niharika aditya ko chaunk kar dekhti hai.😲.
NIHAL-Main kuch samjha nahin.😕.
ADI-Tumhare liye wahi achcha hai, any ways kuch kaam tha.
NIHAL-Haan tumhara kido tumhe bahut yaad kar raha hai.
ADI-Oh! achcha thik hai tum chalo, main aata hoon.
aur nihal wahan se chala jaata hai.phir aditya apni seat se uthta hai, aur aage jaane hi wala hota hai ki, tabhie use niharika ka dhyan aata hai.
ADI-Are, aap bhi kyun nahin aaga chalti.
NIHA-Nahin main yahin par thik hoon, aap jayiye.
ADI-Lekin aap akeli yahan par baith kar kya karengi?
NIHA-Achcha thik hai, chaliye.
tabhie aditya ka mobile ring hota hai.aur woh niharika se kehta hai.
ADI-Aap chaliye main abhi aata hoon.
NIHA-Ok.
aur niharika aage ki taraf chali jaati hai, aage pahunchkar woh dekhti hai ki,pooja, rahil, aur sagar aapas mein baatein kar rahein hain,achanak se pooja ki nazar niha par padti hai.
POO-Niha tu kahan par thi,hum log tera kab se yahan par wait kar rahein hain, aur yeh kya haal bana rakha hai tune apna? ek toh tu poori tarah se bheeg chuki hai, upar se tere kapdon par mitti bhi lagi hui hai, aakhir tu kar kya rahi thi?kahin tu phir se toh nahin gir padi 😲.
NIHA-Woh main................haan.
tabhie piche se ek awaaz aati hai,''actually yeh giri nahin thi balki phisal gayin thi'',aur aditya niharika ke piche se nikal kar sab ke saamne aata hai.
ADI-Hii everybody😊.
POO-Aapki taarif?
SAGAR-Main batata hoon.Yeh hain mr.aditya malhotra, mere bhaiya. and ''AB'', Yen sab mere dost hain.she is pooja,he is rahil.
POO & RS-Hii aditya nice to meet u.😊.
ADI-Hii to both of u, and nice to meet u too.😊.
SAGAR-And last but not the least, she is........
ADI-Niharika right.
SAGAR-Magar aapko kaise pata?
ADI-Kyunki humara intro pehle hi ho chuka hai.
SAGAR-That's gr8.
END OF PART 6.WAITING FOR COMMENTS.
Edited by pritib0 - 17 years ago
193