Mohabbat:(RP ff)-imp note on pg 81. - Page 8

Created

Last reply

Replies

598

Views

52.7k

Users

39

Likes

51

Frequent Posters

watch rajeev thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 17 years ago
#71
wonderful yaar..........raj is just awesome .....i mean aditya...........bhut flirt bhi hai par cute hai...ud yaar asap ๐Ÿ˜Š
watch rajeev thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 17 years ago
#72
wonderful yaar..........raj is just awesome .....i mean aditya...........bhut flirt bhi hai par cute hai...ud yaar asap ๐Ÿ˜Š
Shaina_b thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#73
Too good!!!Awesome!!!!

Wow!!!Aise girne wala pehli mulakat!!! ๐Ÿ‘ Kya baat hai!!! ๐Ÿ‘

Adi ko Niharika dekhte hi pasand aa gayi!!!Haaaiiiii!!!! ๐Ÿ˜ณ

Mujhe toh meri favourite film DDLJ ki yaad aa gayi!!! ๐Ÿ˜ณ Bilkul jaise train mein tha waise hi!!! ๐Ÿ˜‰

Aditya bhi kuch kam nahi hai!!!Aise haalat mein bhi flirt kar raha hai!!! ๐Ÿ˜‰

I loved his dialogue "Aise bade bade buson mein aisi chhoti chhoti baatein hoti rehti hai senorita." ๐Ÿ˜‰ Bilkul SRK ki tarah tha!!!! ๐Ÿ˜ณ

Mujhe toh pura time DDLJ ke Shahrukh aur Kajol ki yaad aa rahi thi!!! ๐Ÿ‘

Niharika bhi na!!!! ๐Ÿ˜ก Adi ne uski madad ki par Niharika ne usse hi daat diya!!! ๐Ÿ˜ก

Adi ne bhi kya jawab diya!!! ๐Ÿ˜†

Dono ko bus ke peeche jakar baithna padhta hai sabse alag!!!! ๐Ÿ˜‰ This again reminded me of DDLJ!!!! ๐Ÿ˜†

Accha huya ish bar girne se pehle hi Adi ne usse sambhal liya!!!! ๐Ÿ˜‰

Jab Niharika ne Adi ka haath pakad liya darr ke maare that was so romantic!!!! ๐Ÿ˜ณ Adi bhi usse dekhe jaa raha tha!!!! ๐Ÿ˜ณ

Adi usse senorita bula raha!!!! ๐Ÿ˜ณ Haiiii mere Sharukh!!!! ๐Ÿ˜ณ

Nihal ki entry bhi film jaisi hi thi!!!Lekin kaash nahi aata ush waqt!!! ๐Ÿ˜ก Thoda aur saath rehte dono!!!! ๐Ÿ˜Š

Adi kaafi flirty type lagta hai!!! ๐Ÿ˜‰ Nihal bhi uske saath ek ladki ko dekh kar surprised nahi huya!!!! ๐Ÿ˜‰ Toh kya yeh regular baat hai?? ๐Ÿ˜•

Waise I know maine kaafi kuch DDLJ se compare kiya par kya karu woh meri favourite film hai!!!I really love it!!!I think everyone does!!! ๐Ÿ˜Š

I loved Adi and Niharika's first meeting!!! ๐Ÿ˜ณ

I hope Niharika aur Adi ki love story jaldi shuru ho jaye!!!! ๐Ÿ˜ณ

Nihal aur Kiran ki mulakat ka mujhe intezzar hai!!!! ๐Ÿ˜ณ


M@h@k Sinh@ thumbnail
Posted: 17 years ago
#74

Originally posted by: pritib0

Thanky very much ki tumhe mera ud itna pasand aaya,aur especially adi aur niha ka intro waala scene,actually maine pehle se hi soch kar rakha hua tha, ki, in dono ka intro thoda alag tarike se karwaungi.aur mujhe khushi hai ki tumhe yeh pasand bhi aaya.

love priti.

tat's y i lov Adi n Niha.

update soon.

362035 thumbnail
Posted: 17 years ago
#75

PART 7

SAGAR-Magar aap dono ki mulaqaat kahan, aur kaise hui?

ADI-Well woh bahut lambi kahani hai, phir kabhie phursat se sunaonga, by the way yeh nihal kahan hai?

SAGAR-Actually woh thode se busy hain kisi ke saath.

ADI-Busy, kiske saath?

SAGAR-Aap khud hi kyun nahin dekh lete, aur sagar ishara karke dikhata hai ki nihal kisi ladki ke saath baatein kar raha hai, yeh dekh kar aditya nihal ke paas jaata hai aur dekhta hai ki, woh ladki koi aur nahin balki kiran hai, undono ki college friend.

ADI-Kiran tum yahan? what a pleasant surprise.

KIRAN-Hi adi so what's up? aur tum kaise ho?

ADI-Kaisa lag raha hoon?

KIRAN-Hmmm....perfect.Aur main , main kaisi lag rahin hoon?

ADI-Tum toh hamesha hi perfect lagti ho, kyun nihal maine sahi kaha nahin,(aur aditya nihal ko halke se muskuraakar aankh marta hai).

Nihal thoda sa ghabrakar aur haklaakar bolta hai.

NIHAL-Haan......absolutely.

KIRAN-So tumhari dream girl mili ya nahin?

ADI-Kahan woh toh ab tak dream hi mein hai, pata nahin kab reality mein aayegi?

KIRAN-Don't worry bahut jald aajaayegi, magar aisa bhi toh ho sakta hai, ki woh aachuki ho par shayad tumhari nazrein hi use na pehchaan pa rahin ho.

Kiran ki baat sunkar, aditya ko ek pal ke liye niharika ka chehra yaad aata hai.(flashback-jab aditya niharika ke upar girta hai, aur uski julfon ko hatakar use dekhta hai),

ADI-Yeh kya tha?

KIRAN-Halo.......adi kahan kho gaye?

ADI-Ahmm......... nahin kuch nahin, khair meri baat chodo, yeh batao ki tumhe koi mila ya nahin?

Isse pehle ki kiran kuch bol paati, ki tabhie wahan par sagar aata hai.

SAGAR-Agar aap login ki baatein khatam ho gayin ho toh, chalen.

ADI-Kahan?

Tabhie unhe piche se kisi ke gaane ki awaaz sunai deti hai.

Nagmein hain, shikwein hain, kisse hain, baatein hain. Baatein bhool jaati hain, yaadein yaad aati hain, yeh yaadein kisi dilo jaanam ke, chale jaane ke baad aati hain........yaadein, yaadein, yaadein.........

ADI-Yeh gaana kaun ga raha hai?

SAGAR-Aap khud hi jaakar dekh lijiye.

Aditya turn hokar piche jaata hai, jahan use kaafi bheed dikhayi deti hai, jo ki kisi ko ghere hue hain, aur woh awaaz bhi bheed ke andar se hi aa rahi hoti hai, aditya dheere-dheere apne dono haathon se bheed ko hatata hai, aur dekhta hai ki, gaana koi aur nahin balki niharika gaa rahi hai, aditya niharika ko ek tak dekhta rehta hai, tabhie niharika ki nazar aditya par padti hai, aur woh chup ho jaati hai.

ADI-Kya hua?aap chup kyun ho gayin, gayiya na.

adi ki baat sunkar niharika pooja ki taraf dekhne lagti hai.

POO-Meri taraf kya dekh rahi hai, gaa na.

itne mein sagar, nihal aur kiran bhi wahan par aa jate hain, aur kehte hain, common niharika gao na, niharika sab ko dekh ne lagti hai, aur phir apni aankhen band karke dobara gaana shuru karti hai.

Nagmein hain, shikwein hain, kisse hain, baatein hain, baatein bhool jaati hain, yaadein yaad aati hain, yeh yaadein kisi dilo jaanam ke chale jaane ke baad aati hain......yaadein, yaadein, yaadein........

Duniya mein hum saare, yaadon ke hain maare, kuch khushiyan, thode gham, yeh humse, inse hum.........yaadein, yaadein, yaadein.........

Duniya mein yun aana, duniya se yun jaana, aao toh le aana, jao toh le jaana............yaadein, yaadein, yaadein..........

Nagmein hain, shikwein hain, kisse hain, baatein hain, baatein bhool jaati hain, yaadein yaad aati hain, yeh yaadein kisi, dilo jaanam ke chale jaane ke baad aati hain..........yaadein, yaadein, yaadein...........(song-from the movie yaadein)

jaise hi gaana kahtam hota hai, sab log taali bajaate hain, aur niharika jo ki apne gaane mein khoi rehti hai, dheere se apni aankhen kholti hai, aur sab ko dekh kar halke se muskuraati hai, phir sab log wahan se chale jaate hain, par aditya wahan par khada hokar ek tak niharika ko dekhe hi jaa raha hai, niharika apni seat se uthti hai, uski aankhen nam rehti hain, woh halke se apni aankhen pochti hai, aur wahan se jaane hi lagti hai ki, tabhie, uski nazar aditya par padti hai, jo ki ek tak bas use hi dekhe jaa raha hai, yeh dekh kar niharika, ko thodi si uljhan hoti hai, aur woh apni nazrein jhukakar, aditya ke bagal se guzarne lagti hai, ki tabhie aditya use awaaz deta hai.

ADI-Suniye.

Aditya ki awaaz sunkar, niharika thodi door par jaakar ruk jaati hai, aditya turn karta hai, aur dekhta hai ki niharika, piche mudhkar, khadi hui hai, aditya dheere-dheere, niharika ki taraf jaane lagta hai, aur doosri taraf, aditya ke kareeb aane ka ehsaas, niharika ki dhadkano ko badha raha hota hai, aur niharika, apni nazrein jhukakar idhar-udhar dekhne lagti hai, itne mein aditya uske ek dum paas aa jaata hai, aur paas aakar uske kaano mein dheere se kehta hai.

ADI-Agli baar use yaad kijiyega, jisse aapke hoton par muskaan aaye, kyunki mujhe aisa lagta hai, ki shayad aap muskuraati hui zyaada achchi lagti hain.

itna kehkar aditya turn hokar wapas chala jaata hai, aur niharika apne mann mein sochti hai.

NIHA-(To herself)-usne aisa kyun kaha? kya main muskuraati nahin? aur yeh mujhe ek pal ke liye kya ho gaya tha? aisa pehle toh kabhie nahin hua?

yeh sochkar niharika, ek baar turn hokar aditya ko dekhti hai, jo ki sagar aur nihal se baatein kar raha hota hai, aur phir woh wapas mudhkar, wahan se chali jaati hai, aur jaakar piche ki seat par baith jaati hai.

shaam ho chuki hai, niharika piche ki seat par baithkar so rahi hai, aur neend mein bhi woh aditya ko hi dekh rahi hai.(flashback-ki kis tarah se aditya use ek tak dekhe jaa raha tha aur phir kaise uski dil ki dhadkane badh rahi hoti hain, jab woh uske kareeb aa raha hota hai, aditya ki kahi hui baat bhi niharika ke kaano mein goonj rahi hai).

tabhie niharika ki neend toot ti hai aur woh jaise hi apni aankhen kholti hai, ki use saamne aditya dikhayi deta hai, aditya ko dekh kar niharika shock hokar, dobara apni aankhen bandh kar leti hai, aur zor-zor se kehne lagti hai.

NIHA-Yeh nahin ho sakta? no, nahin, aisa nahin ho sakta?

niharika ko dekh kar aditya chaunk kar kehta hai.

ADI-Kya nahin ho sakta?

Niharika dheere se apni aankhen khol kar dobara aditya ki taraf dekhti hai, aur dheere se kehti hai.

NIHA-Yeh toh sach mein yahan par hai, iska matlab yeh sapna nahin haqeeqat hai, itna kehkar woh apni seat se uth kar khadi ho jati hai, aap yahan?aap yahan kya kar rahein hain?

ADI-Meri chodiye, pehle yeh batayiye, ki aap thik toh hai na.

NIHA-( ghabrakar bolti hai)-Haan kyun mujhe kya hua hai?

ADI-Nahin woh mujhe laga ki aap kuch.............

NIHA-Kya?

ADI-Chaliye chodiye, actually main aapko yahan par bulaane aaya tha, woh aapke dost aapko yaad kar rahein hain.

NIHA-Oh!

yeh kehkar niharika aage chali jaati hai.Aditya use ek baar mudhkar dekhta hai, aur apne mann mein sochta hai.

ADI-(To himself)-aakhir iski problem kya hai? samhalne ki bajaye phisalne lagti hai, baithne ko kaho tho khadi rehti hai, baat-baat par sorry aur thanky kehti hai, mujhe dekhkar kabhie chup ho jaati hai toh kabhie shock ho jaati hai,gaane ke baad rone lagti hai, aur jab dekho apni aankhen bandh kar leti hai, isko samajhna is next to impossible hai.

yeh sochkar aditya seat par baith jaata hai.

cut to niharika, jo ki pooja ke paas baithi hui hai, magar uska dhyan kahin aur hai.

POO-Niha main tujhse baat kar rahin hoon, tera dhyan kahan par hai?

NIHA-Haan.......woh main, i am sorry, aham......haan toh tu kya keh rahi thi.

POO-Kya baat hai niha tu kya soch rahi hai? tujhe koi problem hai toh mujhe bata?

NIHA-Actually mujhe tujhse kuch poochna tha?

POO-Toh pooch na.

NIHA-Sach-sach batana haan.

POO-Aisi bhi kya baat hai? ki tujhe lagta hai ki main tujhse jhuth bolungi.

NIHA-Mere kehne ka matlab woh nahin tha, bas main tujhse itna jaanna chahti hoon ki, kya main kabhie nahin muskuraati?

Pooja chaunkar niha se poochti hai.

POO-Yeh kaisa sawaal hai?

NIHA-Seedha sa sawaal hai, uska seedha sa jawaab de.

POO-Magar achanak se yeh sawaal kyun?

NIHA-Tu mujhse sawaal pe sawaal kyun pooch rahi hai? jitna poocha gaya hai uska jawaab kyun nahin deti?

POO-Ok, just chill yaar, well mera jawaab toh yeh hai ki, tu sach mein kabhie nahin muskuraati.

NIHA-Kyaaa......iska matlab ki tujhe bhi aisa hi lagta hai ki main..........

POO-Kyun aur bhi koi hai kya jiski soch mujhse milti hai.

itna kehkar pooja halke se muskuraane lagti hai.

NIHA-Shut up, aur niharika wahan se uthkar chali jaati hai.

POO-Are magar meri baat toh sun.......yeh achanak se isko kya ho gaya? itne ajeebo-gareeb sawaal kyun pooch rahi thi mujhse.

kuch der baad sagar wahan par aata hai, aur kehta hai.

SAGAR-Hey guys main abhi-abhi conductor se milkar aaraha hoon, usne kaha ki kuch der mein hamari bus aage ek dhaabe par rukegi.

RS-Chalo achcha hua, ab kam se kam, yeh bus kahin toh rukegi, aur waise bhi, main in seats par baith kar pak gaya hoon, isi bahane kam se kam bahar ka nazara toh dekhne ko milega aur saath mein kuch khane ko bhi milega, kyun pooja?

POO-Haan sahi kaha tumne, kyunki mujhe bhi, bahut tez bhookh lagi hai, lekin main tumhare baad hi khaongi.

RS-Baad mein kyun ? hum sab saath-saath khayenge.

POO-(To herself halke se muskuraate hue)-main jaanti hoon RS ki tum chahte ho ki, main tumhare saath hi khaon, kyunki saath khane se pyaar jo badhta hai, lekin nahin main tumhare saath nahin, balki tumhaare baad khaongi, after all patni toh hamesha apne pati ke baad hi khaati hai.

RS-kuch kaha tumne.

POO-Nahin, kuch nahin.

SAGAR-By the way yeh niharika kahan hai? kahin nazar nahin aa rahi hai.

NIHA-Main yahan hoon kya baat hai?

sagar turn karke dekhta hai ki niharika uske piche khadi hai.

END OF PART 7. PLZZZZZZZZ COMMENT.

sweta2005 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Visit Streak 500 Thumbnail + 7
Posted: 17 years ago
#76
awesome too good very nice part waitingggggg for next asap.
362035 thumbnail
Posted: 17 years ago
#77

Originally posted by: Shaina_b

Too good!!!Awesome!!!!

Wow!!!Aise girne wala pehli mulakat!!! ๐Ÿ‘ Kya baat hai!!! ๐Ÿ‘

Adi ko Niharika dekhte hi pasand aa gayi!!!Haaaiiiii!!!! ๐Ÿ˜ณ

Mujhe toh meri favourite film DDLJ ki yaad aa gayi!!! ๐Ÿ˜ณ Bilkul jaise train mein tha waise hi!!! ๐Ÿ˜‰

Aditya bhi kuch kam nahi hai!!!Aise haalat mein bhi flirt kar raha hai!!! ๐Ÿ˜‰

I loved his dialogue "Aise bade bade buson mein aisi chhoti chhoti baatein hoti rehti hai senorita." ๐Ÿ˜‰ Bilkul SRK ki tarah tha!!!! ๐Ÿ˜ณ

Mujhe toh pura time DDLJ ke Shahrukh aur Kajol ki yaad aa rahi thi!!! ๐Ÿ‘

Niharika bhi na!!!! ๐Ÿ˜ก Adi ne uski madad ki par Niharika ne usse hi daat diya!!! ๐Ÿ˜ก

Adi ne bhi kya jawab diya!!! ๐Ÿ˜†

Dono ko bus ke peeche jakar baithna padhta hai sabse alag!!!! ๐Ÿ˜‰ This again reminded me of DDLJ!!!! ๐Ÿ˜†

Accha huya ish bar girne se pehle hi Adi ne usse sambhal liya!!!! ๐Ÿ˜‰

Jab Niharika ne Adi ka haath pakad liya darr ke maare that was so romantic!!!! ๐Ÿ˜ณ Adi bhi usse dekhe jaa raha tha!!!! ๐Ÿ˜ณ

Adi usse senorita bula raha!!!! ๐Ÿ˜ณ Haiiii mere Sharukh!!!! ๐Ÿ˜ณ

Nihal ki entry bhi film jaisi hi thi!!!Lekin kaash nahi aata ush waqt!!! ๐Ÿ˜ก Thoda aur saath rehte dono!!!! ๐Ÿ˜Š

Adi kaafi flirty type lagta hai!!! ๐Ÿ˜‰ Nihal bhi uske saath ek ladki ko dekh kar surprised nahi huya!!!! ๐Ÿ˜‰ Toh kya yeh regular baat hai?? ๐Ÿ˜•

Waise I know maine kaafi kuch DDLJ se compare kiya par kya karu woh meri favourite film hai!!!I really love it!!!I think everyone does!!! ๐Ÿ˜Š

I loved Adi and Niharika's first meeting!!! ๐Ÿ˜ณ

I hope Niharika aur Adi ki love story jaldi shuru ho jaye!!!! ๐Ÿ˜ณ

Nihal aur Kiran ki mulakat ka mujhe intezzar hai!!!! ๐Ÿ˜ณ


Hii shaina thanks alot ki tumne apna comment bhej diya, i was eagerly waiting for ur comments, mujhe khushi hui ki tumhe adi aur niha ka intro pasand aaya, aur rahi baat ddlj ki yaad ki toh i am so glad ki mera ff tumhe ddlj ki yaad dila raha hai, aur waise ddlj aur srk&kajol toh mere bhi all time favourites hain, lekin maine ddlj ko dhyan mein rakh kar adi aur niha ka intro nahin karwaya tha, aur rahi baat adi ke character ki toh maine uske character ko thoda sa mazakiya, fun loving, aur flirtious type ka is liye banaya hai kyunki main rajeev ko is type ke role main dekhna chahti thi hamesha se, uske serious image se thoda hatkar aur alag.

love priti.

362035 thumbnail
Posted: 17 years ago
#78

Originally posted by: watch rajeev

wonderful yaar..........raj is just awesome .....i mean aditya...........bhut flirt bhi hai par cute hai...ud yaar asap ๐Ÿ˜Š

Thanks alot for ur comments, and iam glad that u liked adi's character.

love priti.

362035 thumbnail
Posted: 17 years ago
#79

Originally posted by: M@h@k Sinh@

tat's y i lov Adi n Niha.

update soon.

Thanky so much tha u liked adi and niha's characters.

love priti.

watch rajeev thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 17 years ago
#80
hiiiiii.....this part was as awesome as the previous one....mujhe adi ka dialouge bhut accha laga ki agli baar kisi aise ko yaad karke gaana jo use muskuraane mein madad kare.....aur jo adi ne nihaarika ke baare mein kaha ki usse samajhna next to imposssible hai ๐Ÿ˜† par mujhe aisa lagata hai ki agar raj aur naina ke naaam same hote to....humein unhe imagine karne mein aasaani hoti aur saare unke character se zyaada attached ho paate.....agar tum plzzzzzzzzz aisa kar paao to bhut bhut hi accha hota par agar nhin then also its fine kyunki it's ur decision afterall......i m sorry agar tumhein bura laga ho to...
luv
s............that's initial of my name ๐Ÿ˜Š

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

8 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand โ–ผ
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".