PART 5
POO-Tumhe bhi niha aur RS ki tarah mujhhe bhi apne doston ki list main shaamil karna hoga.Shart manzoor hai.
SAGAR-Yeh bhi koi kehne waali baat hai,woh toh main kab ka kar chuka hoon.Aur waise bhi main toh tumhe dekhte hi samajh gaya tha ki tum shuru se hi lekar ab tak sirf mazak hi kar rahi thi.
POO-Kya,π€ͺ,iska matlab tumne mujhe pehle hi pakad liya tha.
SAGAR-Yes,i had caught u,kyunki itni over-acting toh maine filmon mein bhi nahin dekhi thi,jitni ki tum reality main kar rahi thi.
POO-Kyaaaaaa..........! main aur over-acting.
NIHA aur RS-Not again.
POO-Ok.Common SM let's go.Ab tum dono ko kya special invitation dena padega.
SAGAR-SM...........!
POO-Haan SM,kyun tumhe pasand nahin aaya.
SAGAR-Nahin.......
POO-Kya?
SAGAR-Mera matlab hai ki,agar tum mujhe SM ki bajaye sagar kehkar bulaaogi toh mujhe zyaada achcha lagega.
POO-Hmmmm.............toh phir SAG kaisa rahega.
SAGAR,NIHA aur RS-SAG...........NOOOOOOOOπ‘.
POO-Ok,just chill main tumhe sagar hi kehkar bulaaongi,ab chalein.
Aur chaaron canteen ki taraf ravana ho jaate hain.
Next scene in the canteen .
RS, Sagar ko apne doston se milane ke liye jaata hai aur niha,pooja ko, subah ke incident ke baare mein , sab kuch batati hai ki , kis tarah se Sagar ne uski help ki, aur un students ko daantkar unse maafi bhi mangwayi.
POO-Kya,itna sab kuch ho gaya tere saath,aur tu mujhe ab bata rahi hai. Un students ki toh main............π‘.
NIHA-Bas...bas,meri jhansi ki rani apne gusse ki raftar ko lagaam laga,itna over-react karne ki koi zaroorat nahin hai.
POO-Over-react aur main,niha ab tu bhi.
NIHA-Haan main bhi.Ab shant ho ja meri maa,sagar aur rahil dono idhar hi aa rahe hain.
SAGAR aur RAHIL-So guys kya baatein chal rahin hain?
NIHA-Kuch khaas nahin bas aise hi.
Aur tabhi sagar ka mobile ring hota hai.
SAGAR-Excuse me guys.
NIHA,POOJA aur RS-Ya sure.
Itna kehkar sagar canteen se bahar aakar corridoor main chal raha hota hai.
SAGAR-Halo "AB" kya baat hai?aaj itni subah-subah.
ADITYA MALHOTRA-RAJEEV KHANDELWAL-RAJVEER.
ADITYA-Guess kido!
SAGAR-Hmmmm........I can't guess,aap hi bata do na.
ADITYA-I am back kido.
SAGAR-What!aap mazak kar rahe ho na.
ADITYA-Maine aaj tak tumse kabhie bhi mazak kiya hai kido.
SAGAR-Seriously,aap kahan ho,ghar par.
ADITYA-No,Guess.
SAGAR-Not again ''AB''.
ADITYA-Waise aaj tum is white jacket main kaafi handsome lag rahe ho.
SAGAR-Aap ko kaise pata ki maine white jacket pehni hai.
ADITYA-Kyunki kido main tumhe dekh raha hoon.
SAGAR-Kahan se........kahan se.
Aur sagar daayein- baayein, upar- niche apni nazrein daudata hai. Aur phir kehta hai.
SAGAR-Aap kahan ho ''AB''?mujhe toh kahin bhi nahin dikh rahe ho.
ADITYA-Tumne apni nazrein daayein-baayein,upar-niche,toh dauda li,ab ek baar apne piche bhi dekh lo.
Sagar apne piche turn karta hai.Aur uska chehra khushi se khil jaata hai.π,kyunki uske ''AB'',Yaani ki ''ADITYA BHAIYA'',uske saamne hi khade rehte hain.
SAGAR-''AB'',aap aur woh bhi yahan.
ADITYA-Yes,kido,main yahan,ab yuhin khade rahoge,ya phir apne ''AB'' ke gale bhi miloge.
Aur sagar,aditya ko hug karta hai.
ADITYA-That's like my kido.π.
SAGAR-Oh!bhaiya,main aapko bata nahin sakta,ki aaj aapko yahan par dekh kar main kitna khush hoon.π.
ADITYA-I know kido.
SAGAR-Magar aap yahan kaise?''AB'',aap toh london.........
ADITYA-Ab mera chota bhai koi farmaish kare,aur main use poora na karun,aisa aaj tak kabhie hua hai.
SAGAR-Oh!''AB'',u r the best.
ADITYA-I know that.
SAGAR-(Apne mann main sochta hai)-ki college aane se pehle usne apne ''AB'',se baat ki thi.
In the past in sagar's house.
SAGAR-Halo ''AB''.
ADITYA-Hii kido,so what's up?tumhari college jaane ki tyayaari poori ho gayi.
SAGAR-Haan.π.
ADITYA-Aaj toh tumhara pehla din hai college main,so don't be late ok and best of luck.
SAGAR-Thanky ''AB'',and don't worry i won't be late.
ADITYA-Kya baat hai kido?tum itne low kyun sound kar rahe ho?
SAGAR-Koi baat nahin hai ''AB'',bas aise hi.
ADITYA-Oh!common kido,tell me,ab tum mujhse toh chahkar bhi kuch bhi nahin chupa sakte ho.
SAGAR-Aap hamesha se hi mere mann ki baat ko jaan leyte ho.
ADITYA-Yes,kyunki main tumhara bada bhai hoon,ok ab batao kya baat hai?
SAGAR-Bas,aaj aapki bahut yaad aa rahi thi,kaash aap............. anyways ok ''AB'',ab main phone rakhta hoon bye.
ADITYA-Bye kido,and once again best of luck.
SAGAR-Thanks ''AB''.
Cut to the present scene in the college.
ADITYA aur SAGAR dono corridoor main chal rahein hain.Aditya ne apna haath sagar ke kandhe par rakha hua hai.
ADITYA-Kya baat hai?tum kya sochne lage achanak se.
SAGAR-Bas yahin soch raha hoon ki,main kitna khush-kismat hoon ki aap jaisa bhai mila hai,aaj ke zamane main toh log apno ke liye bhi itna nahin karte hain,jitna ki aapne is paraye..........
ADITYA,SAGAR ke hoton par apni ungli rakhta hai aur kehta hai.
ADITYA-Ssshhh,chup,aaj keh diya hai,dobara mat kehna.Kisne kaha ki tum paraye ho.Tum kal bhi mere kido the,aaj bhi mere kido ho,aur hamesha mere hi kido rahoge.
Itna kehte maan dono ki aankhon mein aansoon aa jaate hain,aur dono dobara ek doosre ke gale milte hain.
SAGAR-I love u bhaiya,i mean,''AB''.
ADITYA-I love u too kido.
phir dono alag hote hain aur ek doosre ke aansoon pochte hain.
SAGAR-Oh!main toh bhul hi gaya.Chaliye ''AB'', main aapko apne doston se milwata hoon,woh canteen main hain.
ADITYA-Pehle hi din tumhare itne dost ban gaye,that's gr8 chalo.
Tabhie aditya ka mobile ring hota hai.
ADITYA-Halo,bas aa raha hoon.
SAGAR-Kya hua ''AB''?
ADITYA-Sorry kido magar mujhe abhi jaana padega,tumhare doston se main phir kabhie mil loonga.
SAGAR-Magar abhi toh aap aaye the,aur itni jaldi jaa rahein hain.
ADITYA-It's urgent kido,tum ghar aaya tumhe sab pata chal jaayega,ek surprise ghar par tumhara intzaar kar raha hai.Ok bye see u.
Itna kehkar aditya wahan se chala jaata hai
SAGAR-Surprise.................!
Yahi sochte-sochte,sagar canteen main pahunchta hai,aur niha pooja aur rs ki nazar us par padti hai aur teeno ek saath poochte hain.
NIHA,POOJA,RS-Kahan chale gaye the tum?hum kabse yahan par tumhara wait kar rahe the.
SAGAR-Woh main..................
Isse pehle ki sagar kuch aur keh pata,ki achanak bell baj jaati hai,aur chaaron class-room main chale jaate hain.
Next scene in the class-room.
Class chal rahi hai,tabhie raju class main enter karta hai uske haath main ek kaagaz ka tukda rehta hai,jo woh proff. ko deta hai.
PROFF-Attention plzzzz,well students here is a notice from the principal.A tour has been organised for the staff and the students to 'kashmir',sponsored by sahara travels.So those of u who are interested can join this tour.Ek aur baat ki aap log apni family aur friends mein se kinhi do logo ko is tour par le jaa sakte hain.
Itna padhne ke baad proff. uspar sign kar dete hain.aur raju woh notice lekar chala jaata hai.
PROFF-Aur baaki ki jaankaari ke liye aap log class khatam hone ke baad notice board main jaakar padh lijiye ga.
Aur kuch der baad bell baj jaati hai.
NIHA,POOJA,RS aur SAGAR,chaaron notice board ki taraf jaate hain aur notice padhne ke baad,tour par jaane ka faisla karte hain.Aur phir sagar apne ghar,aur niha,pooja aur rs apne-apne hostel chale jaate hain.
Next scene sagar apne ghar pahunchta hai,aur jaise hi woh darwaaje ki ghanti bajane hi waala hota hai ki,use bahar lawn se,kisi ki hasne ki awaaz sunai deti hai,woh lawn ki taraf jaata hai toh use aditya dikhta hai,jo kisi ke saath baat kar raha hota hai,woh aur nazdeek jaata hai.
SAGAR-(to himself)-yeh ''AB'',kisse baat kar rahein hain?
Isse pehle ki sagar,aditya ke paas jaakar dekh pata ki woh,kisse baat kar raha hai,ki achanak,sagar ke piche se,koi shaqs aakar uski aankhon par haath rakhta hai.
SAGAR-Nihal bhaiya.
NIHAL OBEROI-HITEN TEJWANI-KARAN.
NIHAL-So,u caught me.
SAGAR piche turn karta hai.
SAGAR-Yes i caught u bhaiya.
NIHAL-Maine tumse kitni baar kaha hai,sagar ki atleast tum mujhe bhaiya toh kehkar mat bulaaya karo,call me nihal yaar,mana ki main aditya ka best friend hoon,aur tumhare bhi bhai jaisa hoon,magar jab tum mujhe bhaiya kehkar bulaate ho,toh it sounds so old yaar.Mujhe toh aisa lagta hai ki mano main.................
ADITYA-Ki mano tum sau saal ke budhe ho right.
NIHAAL-Main yeh nahin kehne waala tha,aur abhi toh main jawan hoon yaar,aur abhi tak toh meri shaadi bhi nahin hui hai,kam se kam meri ek cricket team toh ban jaane do,magar mujhe toh aisa lagta hai ki tum toh mujhe sau saal ka budha bana ke hi chodoge.
ADITYA-Achcha mere budhe- jawan,ab baaki ki baatein hum log andar chal kar karein.common kido lat's go.
cut to the hostel room,raat ho chuki hai, pooja aur niha packing kar rahein hain.
POO-Oh!niha i am so excited ,main bata nahin sakti ki main kini khush hoonπ,just imagineπ,''KASHMIR'',dharti ka swarg,aur us swarg mein,main aur mera RS,hum dono,chandni raat mein,shikare mein baith kar haathon main haath,aur aankhon mein aankhein daal kar,aur...........aur.............aurβΊοΈ.hihihi......
POOJA sharmake apne haathon se apna chehra dhak leti hai,aur NIHARIKA irritate hokar kehti hai.
NIHA-Aur background mein gaana bajega''tu mera chaand main teri chaandi hooooooooo.............''kyun.
POO-Haanπ,how romantic naaβΊοΈ.
NIHA-Shut up,aur apni bakwaas bandh karo.
POO-Kya shut up,haan-haan,tujhe toh meri baatein bakwaas hi lagengi,are kabhie toh apni kitabon ki duniya se bahar nikal kar dekh,apni aankhon par pada hua yeh chashma utaar,tab tujhe pata chalega ki ''MOHABBAT'',kitni khubsoorat hoti hai,ek baar jo ismein pad jaata hai.
NIHA-Woh poori tarah barbaad ho jaata hai right.
POO-Wrong,tujhe nahin pata ki ''MOHABBAT'',ka jazba kya hota hai?
NIHA-Mujhe jaan naa bhi nahin hai?ab kya hum log so jaayein plzzz,aur waise bhi kal subah humein jaldi uthna hai,is ''MOHABBAT'', ke chakkar mein yeh mat bhul jaana ki kal subah,saat baje ki bus hai humari.Good night.
Aur itna keh kar niha so jaati hai.π₯±.
POO-(Apne mann mein bhagwaan se prarthna karti hai)Hey Bhagoo,maine aaj tak aap se kabhie bhi apne liye kuch bhi nahin maanga hai,magar aaj main aapse,sirf itna maangti hoon ki,aap niha ko ''MOHABBAT'', ke jazbe ka ehsaas kara dein plzzzzzzzz.
Aur itna kehkar pooja so jaati hai.
Next scene in sagar's house.
Aditya,sagar aur nihal,tino drawing room mein baith kar baat kar rahein hain.
SAGAR-thanky so much ''AB'',ki aapne tour par jaane ke liye haan kar di.
ADITYA-Kaise haan nahin karta,aaj tak maine kabhie bhi tumhari koi bhi baat taali hai.
SAGAR-U r the best ''AB'',i love u.
ADITYA-I love u too kido.
NIHAL-Agar aap dono ki pyar bhari baatein khatam ho gayi ho toh yeh naacheez bhi apne hone ka indication de.
ADITYA aur SAGAR-What?
NIHAL-Mera matlab hai ki,yeh banda bhi kuch arz kare,aapki khidmat main.
ADITYA-KIS-MAT-MEIN?
NIHAL-Kismat nahin.khidmat mein.
ADITYA-Oh!kahiye mr.naacheez aapko kya kehna hai.
NIHAAL-Woh main keh raha tha ki ab hum log so jaayein.
ADITYA aur SAGAR-Itni jaldi.
NIHAL-Jaldi , raat ke 11:00pm,bajne waale hain,ek baar ghadi par bhi nazar daal lo tum dono,aur sagar tum shayad kuch bhul rahe ho ki tumhi ne kaha thi ki humein subah 6:30am,baje tak bus stand par pahunch jaana hai.
SAGAR-Oh!no main toh bhul hi gaya tha,.
NIHAL-Don't worry main hoon na yaad dilane ke kiye.Aur haan shukriya kehne ki koi zaroorat nahin hai.
ADITYA-Tumhe aisa kyun lagta hai ki hum dono tumhe shukriya kehne waale hain.
NIHAL-What do u mean by lagta hai,kehna hi chahiye.
ADITYA-Aur agar hum tumhe shukriya na kahein toh tum kya karoge?
NIHAL-Kuch nahin bas chup-chap apne kamre mein sone chala jaaonga aur kya?
ADITYA aur SAGAR , NIHAL ki baatein sunkar hasne lagte hain,aur phir teeno apne-apne room mein sone chale jaate hain.
END OF PART 5.PLZZZZZZZ DO COMMENT.
193