Yeh Rishta Kya Kehlata Hai August 5, 2025 Episode Discussion Thread
SATYAMEV JAYATE 5.8
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 06 Aug 2025 EDT
The Ultimate PotterHead Challenge
Dhanush And Mrunal Thakur Reportedly Dating
Abhira’s infertility issue
SHIFTING BACK 6.8
Anupamaa 05 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Sonam Kapoor receiving the national award
AI is crossing all Rekhas ft Jaya,Amitabh
What if (Fun Post)
Karan and Nandini Kids
AI reimagines Titanic with Bollywood stars
Rate episode 66: "Ekk Insaan Do Maut"
amazing part
part 41 was really good i really felt 4 kashish the way she was disheartened 2 find out that she was not pregnent and couldn't give sujal a child.but the way the family supported her was really good.Poor kashish can see sujal but the way rudra was behaving with her was really sad hope they realise kashish is not mad but she truly loves sujal and doesn't want to let him go.The scene were kashish says to everyone that she only wants 2 live with sujal's memories and doesn't want to leave the house was really emotional.You actually have shown kashish's true love 4 sujal.the last scene between kashish and sujal was really beautifully described.i really liked the way sujal made kashish realise that she has to let him go .
part 42 was really good
i really liked the way kashish was dealing with everything and the way she was fulfilling sujal's dreams.The scene were kashish is crying looking at sujal's picture was really very sad and emotional.i really liked the way prem and rudra were supporting kashish.The scene were kashish is telling everyone to help her with the wedding arrangments was really good finally things are getting back to normal it seems kashish will do everything to make the wedding happening.I really liked the way kashish was helping everyone decide what 2 wear and nihaal is right kashish's choice is the best afterall she did choose sujal as her life partner.The scene were all the gang wanted kashish 2 wear the red sari was really nice it showed how much they cared 4 her.poor kashish cant get over the fact that sujal didnt fullfill his promise of always being with her. kashish didnt want to ruin the occasion by putting the mehndi on first however i liked the scene between kashish and her mum it was really nice.The song u included in the part was really nice it really went with the scene.
part 43 was mind blowing
I Really liked the scene were kashish puts the sherwani near sujal's picture it really shows how much kashish wants sujal to be their on the happy occasion.the scene were the guys are teasing each other was really nice and i really liked the way kashish explained to rudra and prem the importance of marriage and how they should keep their wives happy.The scene betwen prerna and kashish was amazing the way prerna supported kashish and gave her strength was really good.I really liked the way kashish accepted nihaal as her brother and the way nihaal wanted to make kashish happy was really nice.The last scene was really sentimental kashish really wants 2 go to sujal hope she starts to deal with the pain of loosing sujal.
Part-44
Aaj ki subaah pata nahi lekin kuch ajeeb si baat thi..........sab kuch pehle ki jaise hoke bhi bahot kuch badla hua hai...........pehle is ghar me insaan ki aawaze sunai deti thi lekin ab sirf deewaro ki khamoshi sunai deti hai........Subaah me prerna mandir me apni geeta padh rahi hoti hai.......Shanta tai Khushi ke saath kitchen me nasta bana rahi hoti hai.........Kashish table set kar rahi hoti hai jab Mehek aur heer aate hai..........
Kashish: yeh kya ..........nayi naveli dulhan aise taiyaar hoti hai kabhi.......aur Heer tujme kab akkal aayegi ......aaj ke din koi aisa rang pehnta hai..........na koi rang na koi gehne.....tum dono chalo mere saath aaj main tum dono ko batati hoon ki nayi dulhan kaise sajti hai............
Kashish dono ko apne kamre me leke jati hai aur phir use apni saree pehen ne ko deti hai ........phir woh Mehek aur Heer ko bithake taiyaar karne lagti hai...........
Kashish: pata hai Sujal hamesha kya kehte the.......woh hamesha yeh kehte the ki Kashish tum janti ho tum choodiyaan kyun pehnti ho kyunki uski meri choodiyon ki khanak se woh muje dhundh lete the.........aur pata hai woh yeh paayal ke bare me kya kehte the.....kehte the ki is paayal ki aawaz unhe meri aur khichti hai........is liye hamesha ek patni ko yeh sab pehenna bahot zaroori hai.........aur mere liye sabse zaroori tha to mere sindoor ke saath mere mangalsutra ka hona..........shayad abhi tum dono ko lagta hoga ki main aisa kyun keh rahi hoon lekin abhi bhi tumhe iski taqat ka andaza nahi lekin kabhi kabhi..........
Heer: lekin kabhi kabhi kya Dii......aapne apni baat puri nahi kii.........
Kashish: lekin kabhi kabhi na koi choodiyon ki khanak na pairo ki paayal kisi ko jane se rok sakti hai...........jab mera yeh sindoor aur mangalsutra ki taqat mere Sujal ko jane se na rok sako waha ek patni ka pyaar use rok leta hai...........aaj bhi mere pyaar me Sujal zinda hai.........sirf itna jaan lo ki ek patni ko apne pati pe vishwas aur pyaar hona chahiye aur woh bhi beimtihaan........
Mehek: Dii aapne to sabse jyada pyaar aur vishwas jiju pe kiya tha phir bhi kya hua woh aapko chod ke chale gaye.........
Kashish: nahi Mehek woh muje chod ke kahi nahi ja sakte............woh aaj bhi mere pass hai mere saath hai............kyunki rooh ab mujme bas chuki hai............
Heer; yakeen nahi hota Dii ki koi kisi se itna pyaar kar sakta hai............
Kashish: yahi sawaal maine Sujal se bhi kiya tha...........aur unka jawaab kya tha............unka jawaab tha ki mujse beimtihaan pyaar karna unke bas ki baat nahi thi......shayad ab muje mere sawaal ka jawaab mil gaya ki Sujal se itna pyaar karna bhi mere bas ki baat nahi...........ab hum teeno mere aur Sujal ke bare me baat karte rahenge to shaam yahi ho jayegi..........ab tum dono mere saath neeche chalo aaj main tum dono ko batati hoon ki yaha subaah subaah kya hota hai..........
teeno neeche aake mandir me jati hai............
********************************************************************************************
kashish: is ghar me meri subaah hamesha Mama ki puja ki thali ko sajate hoti hai...........
Prerna: aur Mandir ka sabse pehla diya bhi Kashish hi jalati hai.........
Kashish: aur aaj se hum teeno ko saath milke yeh diya jalana hai..............jaise din ki subaah ek saath hogi waise hum zindagi bhar ek dusre ke saath rahnege.........
Teeni behen milke ek saath pehli bar mandir me diya jalati hai...........aur phir Prerna ka aashirwad leti hai.........
Prerna: Bhagwan kare tum teeno ko kisi ki nazar na lage.............hamesha aisi hi khush rehna aur ek dusre ke saath rehna.............
Kashish: ab tum dono chalo main batati hoon ki yaha sabko naste me kya chahiye...........
sab log table pe aate hai jaha pe Khushi aur Nihaal hote hai...........
Nihaal: main koi sapna to nahi dekh raha.....
Khushi nihaal ke pair pe zor se lat marti hai.......
Nihaal: iska matlab main koi sapna nahi dekh raha hoon ....balke sach sach meri aankhoin ke samne meri teen teen GF hai...........aur woh bhi teen teen Kashishbhabhi jaisi.............
Kashish aake zor se Nihaal ka kan khichti hai...............
Kashish: meri devrani ko GF bola na to teri sikayat main Papa se karungi.................
Nihaal: Bhabhi main to sirf mazak kar raha tha...........
Kashish: to main bhi mazak kar rahi thi kabhi aaj tal maine kaha hai kuch...............
Nihaal: kyunki aap sabse best bhabhi hai...........
Kashish: achcha yeh sab chod.............Mehek ...Heer............aaj main batatii hoon yaha pe naste me kise kya dena hai.........Papa ko bina sakkar ki chai...........Mama ko bina oil ke parathe...........Rudra, Prem aur Khushi ke liye aloo ke parathe.......Bua aur Nihaal ke liye upma..........aur tum dono apne liye jo chaho...........
Mehek: aur aapke liye......
Kashish: mere liye gobi ke parathe hi...........
Heer: lekin aapko to gobi bilkul pasand nahi...........
Kashish: lekin Sujal ko to hamesha se gobi ke parathe hi pasand the............ab tum dono betho main kitchen me jake dekhti hoon.........aur ek baat jab tak tum dono ki mehndi ka rang nahi nikalta tab tak tum dono koi bhi kaam ko haath bhi nahi laga rahi...............
Kashish yeh kehke apne aanshu ko rokti huyi andar chali jati hai............
Khushi: woh Sujalbhai ke jane ke bad Kashishbhabhi wahi khana khati hai jo Bhai ko pasand tha...........shayad abhi bhi Bhabhi in choti choti baatoin me Bhai ko dhundh rahi hai..........
Mehek: pata nahi kab tak Dii in yaadoin ke sahare..........
Nihaal: puri zindagi.......Bhabhi Sujalbhai ki aatma ke saath ji rahi hai......aur shaayad woh aise hi......yeh dekho sab log aa rahe hai..........
sab log saath milke nasta karte hai...........
********************************************************************************************
ab raat ke aath baje sabhi log Garewal Hotel pahonchte hai....
Kashish: excuse me ladies and gentalman...........pehle to main aap sab ka sukhriya karna chahti hoon......aaj hamare ghar kitne dino ke baad itni khushi aayi hai ki hum aapko bata nahi sakte.......lekin isi khushi me main kuch khushi aur bhi samil karna chahti hoon...........aaj bhi Garewal Hotel ke president ki kurshi khali hai........lekin aaj ke baad nahi.........kyunki aaj ke bad us kurshi pe Rudra Garewal bethega..........aaj se Garewal Hotels ka naya president Rudra Garewal aur MD Prem Garewal hai...............ple welcome Rudra and Prem Garewal,..........
Rudra aur Prem dono stage pe Kashish ke pass aate hai..........
Rudra: itna bada faisla karne se pehle ek bar bhi aapne humse nahi pucha........
Kashish: nahi pucha kyunki iski zaroorat hi nahi padi........kyunki muje laga ki aap sab mere apne hai..........aur apno pe mera pura hakk banta hai yaha tak ki apne se chote ki zindagi ka faisla karne ka bhi.......aur Sujal ki jagah kisi aur ko dene ke liye muje kisi ki bhi izzat lene ki zaroorat nahi kyunki yeh mera hakk hai jike koi nahi badal sakta..............
Rudra: lekin aapne kaise soch bhi liya ki main ......main Bhai ki jagah lunga............woh jagah hamesha se bhai ki thi aur aage bhi rahegi..........
Kashish: tumhare Bhai ke her sapne ko pura karne ke liye tumhe us kurshi pe bethna hoga..............
Rudra: to aisi baat hai to aap Bhai ki jagah kyun nahi leti.............
Kashish: kyunki yeh mera faisla hai........aur jise tum nahi badal sakte...........aur iske aage muje kuch sunna nahi .........ab maine faisla kar liya hai to tumhe bhi use manna hi hoga............aur phir bhi tum ne meri baat nahi mani to tum dono ko tumhare Sujalbhai ki Kasam............
Prem: unki kasam ko main kaise tod sakta hoon.........hum dono jaisa aap keh rahe hai waisa karne ko taiyaar hai.............
Rudra aur Prem dono Kashish ke gale lagte hai lekin aaj Kashish me use Sujal ka ehsaas hota hai............Kashish dono se alag hoke dono ke aanshu pochti hai..........
Kashish: yeh kya aaj ke din bhi tum dono muje rulaoge............
Prem: aapko main nahi Rudrabhai rula rahe hai........
Rudra: mere pe ilzam lagayega na to ek thapad dunga...........
Prem: meri shaadi ho gayi hai........
Rudra: to kya hua..............
Kashish: ab tum dono kam se kam apni biwi ke samne to sambhal jao.............ab chalo woh hum sab ka intzaar kar rahi hai..............
sab log aapas me baatein kar rahe hote hai..............
********************************************************************************************
ab thodi dair bad Anurag, Kavya, Harsh aur Rudra ek dusre se baat kar rahe the............
Nihaal: kya baat hai papa aaj aap khush nahi hai itni badi khushi ke bad bhi...........
Anurag: kaise khush reh sakta hoon..........meri char betiyaan hai.........teen betiyaan bahot khush hai lekin meri ek beti..........meri ek beti ke liye main kuch nahi kar saka..........aaj bhi uski taraf dekhta hoon to sirf uski aankhoin ke aanshu muje dikhai dete hai.............jis beti ko dulhan bante her waqt dekha tha use aaj...........
Kavya: Uncle...bura mat maniye lekin aap Kashish ki dusri shaadi kyun nahi kar dete.........isse uske jeevan ka yeh adhurapan bhi durr ho jayega...........
Harsh: Kavya yeh to tumne bahot hi achcha socha hai........lekin Kashish ke saath ab kaun.......
Kavya: mera ek dost hai........bahot hi achcha hai........muje nahi lagta ki use koi aitraaz hoga.............
Anurag: to tum kal hi use leke mere ghar pe dinner pe aa jaana...........
Kavya: thik hai uncle.........main kal hi Raj se baat kar lunga..................
Anurag: shayad ab yeh Raj hi meri beti ki suni zindagi me rang bhar sakta hai.................
Harsh: sahi kaha aapne.........iske alawa aur koi rasta bhi nahi............shayad woh apna ghar basa legi to Sujal ki yaadoin se ubhar payegi...............
yeh log abhi baatein kar rahe the lekin unko nahi pata ki koi unki baat sun raha hai...........Kashish ne puri baat sun li hoti hai................Kashish bina kuch kahe jake piono pe beth jati hai............aur apni ungli se bajane lagti hai............sab log hairan hoke Kashish ki aur dekhte hai...........
********************************************************************************************
Soona Soona Lamha Lamha (Kashish abhi bhi piono baja rahi hoti hai)
Meri Rahein Tanha Tanha (aankhoin se bepanah aanshu beh rahe hai)
Aakar Mujhe Tum Tham Lo (woh apne aanshu poch ke apne gharwalo ki aur dekhti hai)
Manzil Teri Dekhe Rasta (Kashish waha se jane lagti hai lekin uski saree piono table me fas jati hai)
Mud Ke Zara Ab Dekh Lo (Kashish mud ke dekhti hai jab woh piono ke piche Sujal ko dekhti hai)
Aisa Milan Phir Ho Na Ho (Kashish dheere dheere Sujal ki aur chalne lagti hai)
Sab Kuch Mera Tum Hi To Ho (Kashish jake Sujal ke chehre ke chuti hai)
Bapanah Pyaar Hai Aaja (lekin woh gayab ho jata hai)
Tera Intezaar Hai Aaja (aur Kashish apne haath ko dekhti rehti hai)
Bichhde Bhi Ham Jo Kabhi Raston Main (jab bahar ke hawa ke zonke se khidki lal rang ke parde udate hai)
To Sang Sang Rahungi Sada (Kashish mudke use dekhti hai aur apne haath se chuti hai)
Kadmon Ki Aawaaz Sun Ke Chalungi (jab use piche se Sujal ka ehsaas hota hai)
Tumhe Dhoond Loongi Sada (Kashish uske piche jati hai lekin woh us udte parde me gayab ho jata hai)
Bhooli Mohabbat Ki Yeh Khushbuye Hain (Kashish us parde ko apne haath me leke apne sine se lagati hai)
Hawaon Main Phaili Hui (aaj bhi in lal rang me woh Sujal ko mehsus kar sakti hai)
Chhu Kar Mujhe Aaj Mahsoon Kar Lo (Kashish apna haath aage karke us parde ko chod deti hai)
Vo Yadein Meri Unchhui (Kashish khidki ke pass jake bahar chand ko dekhti hai)
Aisa Milan Phir Ho Na Ho (jab use apne aur Sujal ki khidki ki mulaqat yaad aati hai)
Sab Kuch Mera Tum Hi To Ho (lekin jab ehsaas hota hai to Sujal uske pass nahi)
Bapanah Pyaar Hai Aaja (Kashish ke aankh se behte aanshu woh mehsus karti hai)
Tera Intezaar Hai Aaja (aur phir use poch deti hai)
Vadon Ke Dhagon Main Hum Tum Bandhe Hain (Kashish waha se wapas piono ki aur jane lagti hai)
Zara Dor Tum Tham Lo (jab thokar khane ki waje se woh girne wali hoti hai jab koi use pakadta hai)
Bahon Main Aise Pighal Jane Do Mujhko (woh apni aankhein upper kar ke dekhti hai to Sujal hota hai)
Aise Mera Naam Lo (Kashish sirf Sujal ko dekh ke muskurati hai)
Main Vo Shama Hoon Jo Roshan Tumhe Karke (Sujal kashish ka haath pakad ke use leke ja raha hota hai)
Khud To Pighal Jaungi (Kashish sirf uske piche piche ja rahi hai)
Subah Ka Sooraj Tumhare Liye Hai (Sujal Kashish ko piono ke pass bitata hai)
Main Hoon Raat Dhal Jaungi (Sujal apne haath ki ungli se Kashish ke haath ki pagli pe rakh ke piono bajata hai)
Aisa Milan Phir Ho Na Ho (Kashish sirf mudke Sujal ko dekh rahi hoti hai)
Sab Kuch Mera Tum Hi To Ho (Sujal jo Kashish ki aur muskuratta hai)
Bapanah Pyaar Hai Aaja (Kashish aise hi apne khayalon me khoyi huyi hoti hai)
Tera Intezaar Hai Aaja (jab Nandini kashish ke sir pe haath rakhti hai aur Kashish mudke piche dekhti hai aur Nandini ko pakad ke rone lagti hai)
********************************************************************************************
Anurag: Kashish yeh sab kya tha.........maine tujse mana kiya tha na is pagalpan ko leke............Beta Sujal chala gaya hai..............use bhul kyun nahi jati.........main tuje khush dekhna chahta hoon.........
Kashish: aap muje khush dekhna chahte hai is liye aapne mujse puche bina meri dusri shaadi karne ka socha..........
Anurag: haa kyunki meri beti ke liye main koi bhi faisla kar sakta hoon...........
Kashish: aap galat hai Papa...........yeh hakk maine aapko nahi diya.........yeh hakk to maine khud ko bhi nahi diya............kyunki Kashish ko kiske saath apni zindagi bitana chahti hai woh faisle karne ka hakk sirf Sujal ka tha sirf mere Sujal ka...........aur aaj bhi yeh hakk usi ka hai..........
Harsh: mare huye log kisi ki zindagi ka faisla nahi karte..........
Kashish: aap logo ki nazar me Sujal mar chuke honge lekin mere liye.........mere liye woh aaj bhi zinda hai.....main unhe mehsoos karti hoon in yaadoin me...yeh hawa jo muje chuke niklati hai unme Sujal ka ehsaas hai.......yeh lal rang jisme main Sujal ko dekhti hoon........mere kan me aaj bhi uske hasne ki aawaz aati hai.......aaj bhi main roti hoon to woh mera ehsaas ban ke pochte hai..........woh aaj bhi mere dil me meri saansoin me mere jism me zinda hai.........meri her ek rooh me sirf Sujal baste hai.........meri her dhakan se sirf aapko Sujal hi naam sunai dega.........
Anurag: lekin tuje ab Sujal ko bhulna hoga............
Kashish: kya aap saansien lena bhul sakte hai......nahi na kyunki yeh aapke bas me nahi.........aur aap logo ne soch bhi kaise liya ki main Sujal ko bhul jau.....aap log jante hai phir bhi.....kya aap log nahi jante ki woh mere liye kya the.......kis hadd tak maine Sujal ko chaha hai.....aur bhula use jata hai jo hume chodke chala jaye.........Sujal aaj bhi zinda hai meri yaadoin me.......aur is duniya me kisi ko hakk nahi mujse meri in yaadoin ko chinne ka.............
Harsh: lekin Sujal bhi to yahi chahta hoga ki tum bhi..........
Kashish: Sujal kya chahte hai kya nahi woh main nahi janti......haa sirf itna janti hoon ki jabse maine pyaar ka matlab samja to Sujal se...........pyaar ko nibhana shikha to woh bhi Sujal se..........aur unhi pyaar ki yaadoin se jina sikha to woh bhi Sujal se............Kashish ne to usi din faisla kar liya tha jab Sujal is dil me aake bas gaye the ki ab saat janam tak yeh Kashish to hamesha ke liye Sujal ki ho chuki hai.......chahe Sujal inhe apnaye ya chod ke chale jaye.......kyunki Sujal aur Kashish naam kabhi koi alag nahi kar sakta..........woh dono to pyaar ki aisi dor se jude hai ki use koi bhi tod nahi sakta...........Kashish kaise kisi dusre ki ho sakti hai jab ki Kashish ko pyaar karne ka...........Kashish ke saath zindagi bitane ka.........Kashish ko chune ka hakk sirf Sujal ka tha to...........galti aap ki nahi meri hi hai ki main apne pyaar ko sabit nahi kar saki.........aap logo ko laga ki main kamzor hoon .....aap logo ko lagta hai ki main in yaadoin ke sahare nahi jee sakungi.........are Kashish to usi din mar gayi thi jis din uski maang ka sindoor poch diya tha.......ab yeh to sirf Sujal ki saasein mujme chal rahi hai........yeh dil Sujal ka hai jo apni Kashish ke sine me dhadak raha hai.......aap log aaj aakhri bar sun lijiye....Kashish Sujal ki thi aur hamesha Sujal ki hi rahegi...suna aapne........main Kashish Sujal Garewal hoon......
yeh kehke woh gusse me ghar chali jati hai.............
********************************************************************************************
Kashish ghar jake apna darwaza bandh karke Sujal ki tasvir ko leke puri tarah se tut ke rone lagti hai...............
Kashish: Sujal.........kaha hai aap..............muje aapki zaroorat hai.................Sujal mujse milne aap kyun nahi aate...........Sujal ek bar to apni Kashish se baat kar lijiye..........mujse is tarah se naraz mat rahiye.................
yeh kehke woh wapas apni aankh bandh karke rone lagti hai.........
Sujal: Kashish.............
Kashish apni palke uthake Sujal ki aur dekhti hai aur phir uske gale lagkar rone lagti hai..........
Sujal: Kashish...........aaj kyun aanshu baha rahi ho........aaj to tumhe khush hona chahiye..........
Kashish: yeh aap kya keh rahe hai........woh log meri dusri shaadi ke bare me soch rahe hai aur aap chahte hai main khushiyaan manau..........boliye Sujal.......chup kyun ho gaye..........
Sujal: itna hi yakeen karti ho apne Sujal pe................
Kashish: khud se jyada tumhe pyaar kiya hai to khud se jyada yakeen bhi to kiya hai........
Sujal: to tumne soch bhi kaise liya ki mere hote huye tum kisi aur ki ho sakti ho............Kashish tum sirf Sujal ki ho.........sirf meri........aur yeh main kabhi nahi hone dunga ki Kashish ke saath kisi aur ka naam jude.......suna tumne Sujal aur Kashish ek saath hai............
Kashish: to phir aap kyun khush hai......aapto muje kisi aur ke saath nahi dekh sakte to...........
Sujal: kyunki tum aajse aazad ho.........
Kashish: main samji nahi........aazad hoon kisse.........
Sujal: Kashish tumne meri aur apni sari jimedari nibha di hai........ab tum aazad ho apni jimedariyon se...........ab tum jo chahe woh kar sakti ho apni zindagi me...............
Kashish: to phir main aapke saath chal rahi hoon........ab muje nahi rehna yaha.......sab mere apne mere khilaf ho gaye hai............koi mere saath nahi..........
Sujal: nahi Kashish kisne kaha koi tumhare saath nahi....sab tumhare saath hai.......main bhi tumhare saath hoon..........aur main apna vaada pura karne aaya hoon..........tumhe lejane.......bahot intzaar karaya tumne muje..........
Kashish: janti hoon maine aapko bahot intzaar karaya.........main aapke saath hi ab rahungi..........to phir chale..........
Sujal: abhi nahi........
Kashish: abhi........abhi kyun nahi ja sakte.........maine kaha na main taiyaar hoon.........
Sujal: kashish.........tumhe tumhari duniya se meri duniya me aane ke liye tumhe ek raste pe chalna hai.........woh rasta aasan nahi lekin itna yaad rakhna ki manzil ki us aur main tumhara intzaar kar raha hoon..........tum aaogi na yeh safar katke.............
Kashish: main zaroor aaungi........aap mera intzaar karna..........main aapke paas aaungi............
Sujal: ab mere jane ka waqt ho gaya hai.........lekin main intzaar karunga...
Kashish: Sujal.......
Sujal Kashish ki anakhen bandh karke bahar hawa me kahi chala jata hai............Kashish aankhein kholke us sitare ko dekh ke muskurati hai............
Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...
COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...
324