Part-10
Agle Din Sujal Preet ko college chod ke apni office chala jata hai.........Preet Mehek ka intzaar kar rahi thi jab Mehek aati hai..........
Preet: kitni diar kar di.......
Mehek: pehle meri baat to sun........meri Dii ki shaadi tai ho gayi hai......aaj se thik 21 din baad hai............
Preet: yeh to bahot khushi ki baat hai.........bahot bahot mubarak ho.........
Mehek: woh to thik hai lekin tumhe mere saath shopping pe chalna hoga.........
Preet: tu to muje janti hi hai........mera bhi bahot dil kar raha hai......lekin Papa ko to tu janti hi hai..........Papa ko mera kahi akele jana pasand nahi hai......
Mehek: thik hai.......lekin muje vaada kar ki meri Dii ki shaadi me tu apne pure parivar ke saath aayegi.........
Preet: main apne pure parivar ka to vaada nahi kar sakti lekin main apne Bhai ke saath zaroor aaungi.........
Mehek: thik hai..........lekin tumhe shaadi ki her rasam me mera haath batana hoga......
Preet: vaada karti hoon ki main tera sara kaam karugi.......ab andar chale ........class shuru hi honewali hai......
Mehek: chalo.....
Mehek aur Preet class me chale jate hai..........
************************************************************ *******************
Kashish apni book ko publish karane ke liye ek publication ke pass jati hai.............
Kashish: main aapse phone pe to baat ki hi thi..........
Amit: haa........jis tarah se aap bata rahi thi .....usko leke main kafi utsuk hoon........
Kashish: yeh rahi woh book.........aap jaise hi ise publish karne ka soche muje ek phone kar dijiyega.......
Amit: unki koi zaroorat nahi......muje to aapki book ki dastan se hi pyaar ho gaya tha.......aur muje pura yakeen hai ki hamari yeh book india ki number one me se ek hogi..........aaj kal ke bache ise ho to padhna chahte hai........aur aapne to khud itna waqt nikal ke pyaar ka matlab samjaya hai........ise to hum zaroor publish karenge.......
Kashish: thank you so much........
Amit: thank you to muje kehna chahiye.....kyunki aapki book ke baad meri company ke share ki keemat badh jayegi...........
Kashish; achcha main chalti hoon........
Amit: aaj se thik do hafte bad is book ki innovation hogi........aur aapko iske liye aana hoga.........
Kashish: main zaroor aaungi.........aakhir aap mera sapna pura karne ja rahe hai........
Amit: thik hai main aapko jaise hi book taiyaar hoti hai aapko phone kar deta hoon......thik hai.........
Kashish: Ok........Good bye.........
Amit: good bye.............
************************************************************ *******************
Kashish aur Angad Shopping karne ek mall me jate hai aur usi mall me Sujal aur Ritu bhi aate hai...........sabhi log ek hi store me hote hai lekin ek dusre se anjaan.......
Sujal; ritu woh saree kitni khubsurat hai na.........
Ritu: haa hai.....lekin tumhe to pata hai muje woh rang bilkul bhi pasand nahi.........main koi aur dekhne ja rahi hoon........
Sales: sir.........aap ko yeh saare pack kar doon.......
Sujal: haa.........
Sujal
(apne aap se): aaj yeh saree kashish pe kitni khubsurat lagti na........agar kabhi zindagi me dobara milna hua to main use shaadi ke tohfe me yeh saree de dunga...........dusri aur dekhte hai........
Angad: kashish humne kitni sareeiyaan dekhi lekin tumhe ek bhi pasand nahi aayi.......
Kashish: woh jo muje chahiye woh inme nahi hai.......
Angad: aisa kaun sa rang chahiye.........
Kashish: muje safed saree me lal rang ka work chahiye......
Angad: aisa kyun.....
Kashish: woh tum nahi samjoge.........
Jab Kashish counter pe ek saree dekhti hai.......
Kashish: tum yahi betho main ek minute me aati hoon..........
Kashish: suniye.........yeh saree aap muje pack kar dijiye......
Sales: mam......yeh saree kisi ne kharid li hai.........
Kashish: dekhiye....mere liye yeh saree bahot mayne rakhti hai.............yeh mere pyaar ki pasand hai........aap samaj rahe hai na.........aap ple jake ek bar unse request kijiye na .......ple......
Sales: ok mam........
Sales sujal ke pass jata hai......
Sales: excuse me sir.........woh ek lady aayi hai......unko woh saree bahot pasand hai aur keh rahi hai ki woh saree unke pyaar ki pasand hai.........aur woh saree unke liye bahot mayne rakhti hai...........agar aap chahe to main unko mana kar sakta hoon.......
Sujal: nahi.........unse kehna ki main samaj sakta hoon kyunki maine bhi kisi se pyaar kiya hai.........aap meri aur se unko yeh gift kar dijiyega...........aur yeh bill main aake pay kar dunga.....thik hai........
sales: ok sir..........
Sales wapas Kashish ke pass aata hi..........
Kashish: kya kaha........
Sales:woh man gaye hai.........aur unhone to yeh saree aapko tohfe me di hai.......aur unhone kaha ki unhone bhi kisi se pyaar kiya hai is liye woh aapka haal samaj sakte hai...............
Kashish: Thank you so much.........kya main unse mil sakti hoon.........
Sales: lekin woh to chale gaye........
Kashish: koi baat nahi.....koi nek insaan ho hoga..........
Kashish woh saree leke Angad ke pass chali jati hai............
324