Part-100
Aaj woh din aagaya jiska Sujal aur Kashish ko besabri se intzaar tha..........kehte hai Pehli bar jab shaadi hoti hai to khushi ka koi thikana nahi rehta.......lekin jab dusri bar usi insaan se hum jab shaadi karte hai to jaise khushi her badhte kadmo ko chu rahi ho.............aaj Sujal aur Kashish ki her zidnagi ke her kadam pe koi nayi khushi unka intzaar kar rahi hai................aaj phir se Sujal aur Kashish ko saat phere ke saath saat janmo ki kasme khane ka avsar mila hai.........kehte hai jiski shaadi dubara usi insaan se hoti hai jiske saath pehli bar huyi ho uske upper bhagwan ki krupa hoti hai.........aur isse bada saboot kya ho sakta hai ki aaj bhagwaan bhi khud dil se Kashish aur Sujal ko aashirwad dene aaye hai...........ab chaliye dekhte hai ki is haseen sham ki shuruaat kaha se hoti hai.............
*****************************************************************************
Prachi, Kripa, Charu aur Anjali Kashish ko shaadi ke liye taiyaar karne aate hai............
Charu: chaliye ..........bhabhi aaj hum sab aapko milke taiyaar karenge.........kitna maza aayega na.......
Prachi: haa maza to bahot aayega.........aaj to aisa sajayenge ki bhaiyaa dekhte reh jayenge..........
Kripa: to ab baatoin me waqt nahi barbad karte........jaldi karo.....
Kashish: nahi........muje taiyaar nahi hona..........
Charu: per kyun Bhabhi..........
Kashish: main taiyaar hogi zaroor hogi lekin meri ek shart hai.............
Kripa: shart kaisi shart.............
Kashish: meri shart yeh hai ki muje taiyaar karne ki liye Sujal yaha aaye............main Sujal ke haatoin taiyaar hona chahtti hoon........
Anjali: Kashish yeh kya bachpana hai..........yeh koi waqt hai.........ab yeh zidd chod aur jaldi se taiyaar ho.........aur agar mama ko ya phir baharwalo ko pata chal gaya to kya jawab denge............
Kashish: main kyun baharwalo ki baat sunu..........kya kabhi unhone meri parwaah ki hai to main karoon.............aur mama se baat karne me tumhe darr lag raha hai to main baat karne ko taiyaar hoon............
Kripa: Kashish tu fikar mat kar........Mama se main baat karke dekhti hoon...........
Kripa Prerna ko phone lagati hai.........
Kripa: hello.......mama......ek problem hai.............Kashish ki shart hai ki woh tabhi dulhan banegi jab Sujal use khud taiyaar karega..........
Prerna: main tumhare hi phone ka intzaar kar rahi thi.............yeh to Kashish ka Sujal ki aur pyaar hai jo use zidd karne pe mazbur kar raha hai........tum Kashish se kaho ki main Sujal ko Angad ke saath bhijva rahi hoon .....lekin jaldi se sab ho.....samaj rahi hona..........
Kripa: jee mama...........aap yeh jimedari mujpe chod de............achcha ab main rakhti hoon...........
Kashish: kya kaha........
Kripa: Sujal abhi isi waqt ghar se nikal raha hai............
Prachi: Bhabhi........aapki baat to mere samaj me aa gayi lekin yeh samaj me nahi aaya ki aap aisa kyun chahti hai........
Kashish: jab main pehli bar dulhan bani tab main waisi saji thi jaisa main chahti thi,,,,,,,,,,,,lekin ab shaadi ke bad ab muje sabse pehle apne pati ki khawaish ke bare me sochna chahiye...........aaj main waise sajna chahti hoon jaisa Sujal apni dulhan ko dekhna chahta hai...........aur yeh uski khawaish thi ki woh muje dulhan ke liye sajaye........aur main uski khwaish ko kaise nahi pura karti aur maine to apni zindagi uske naam kar di hai.........is liye ab main apne liye nahi balke Sujal ke liye jiti hoon to uski khwaish ko pura karna mera farz hai......
Anjali: kis zamane ki tum baat kar rahi ho...........main nahi manti ki aaj ki is kalyug si duniya me tere jaisi koi Sita ho sakti hai.............woh Sita jo sirf apne Ram ke liye jiti thi.........Sita Ravan ke saath ek saal rehne pe bhi uske dil me sirf unke Ram base huye the..........lekin Sita janti thi ki ek din uske Ram unhe lene aayenge lekin Sujal jaha gaya tha waha se to aane ki kisi ko umeed bhi nahi thi..........lekin tum janti thi ki woh ek din wapas aayega aur woh aaya..........lekin un jab woh nahi tha tab bhi tumne kisi aur ko apni aur aane bhi nahi diya........itna pyaar to shayad Sita ne bhi Ram se nahi kiya hoga...........woh to bhagwan the tab bhi jo nahi kar paye tumne woh insaan hoke............to tum kaun ho............kyun tum is hadd tak pyaar kar sakti ho aur hum nahi...........
Kashish: Anjali tum to sawaal bhi khud karti ho aur jawaab bhi khud deti ho.............yeh mera pyaar nahi mera junoon hai........pyaar sabhi karte hai lekin mera pyaar to marke zinda hua hai............to mera pyaar tumhare pyar se kaisa ek sa ho sakta hai.............Sujal aur Kashish ke jaisi mohabbat na aaj se pehle kisi ne ki na koi kar payega.........hamare jaise mohabbat ke bare me koi soch bhi nahi sakta............is duniya me Sujal aur Kashish apne pyaar ke liye jane jayenge............
jab neeche Sujal ki car ki aawaz aati hai...........
Charu: lagta hai woh log aa gaye.......hum log chalte hai....Good Luck Bhabhi........
Sab log neeche chale jate hai..........
*****************************************************************************
Sujal aur Angad andar aate hai..............
Sujal: baat kya hai.......mama ne pucha to usne kuch nahi kaha........sab thik to hai mera matlab Kashish.............
Prachi: Bhabhi bilkul thik hai..............apne kamre me hai............Bhabhi aur Kamra dono aapka hua.........
Sujal bina kuch kahe kamre me jata hai..........jab woh dekhta hai to Kashish dressing table ke samne bethi hoti hai sirf deam light me............pure kamre me andhera hota hai...........Sujal Kashish ke pass jata hai aur Kashish ke kandhe pe haath rakhta hai............
Sujal: Kashish............muje yaha is tarah bulane ki koi khas waje..........
Kashish: aaj meri zindagi ka sabse bada din hai aur main chahti hoon ki mera pyaar muje dulhan banaye............kya tum mere liye itna karoge......
Sujal: yeh to mere liye khushi ki baat hogi ki main khud apni dulhan ko sajau...........
Kashish sirf Sujal ko aaine me dekhti hi rehti hai.........
Sujal: aise kya dekh rahi ho.....
kashish: jante ho kal raat tum mere pass nahi the lekin phir bhi muje darr nahi laga.............aur yeh sab tumhari waje se hai Sujal.......tumne mujse mere khauf ko durr kiya hai...........kya tum aaj khush nahi..........
Sujal: kya mere chehre se meri khushi nahi jalak rahi..........
Kashish: tumhari khushi ko dekhne ke liye muje tumhare chehra dekhne ki zaroorat nahi kyunki main unhe mehsoos kar sakti hoon...........lekin tumhare labzo me sunna muje achcha lagta hai......
Sujal: haa aaj main bahot khush hoon aur sabse jyada kismatwala bhi samajta hoon.......lekin Shaadi ke liye muje bhi taiyaar hona hai................to kya main shuru karoon........
Kashish: hmmm..........
sapno ki sadeeli chunariya (Sujal Kashish ke sir pe dupatta dalta hai)
mehendi ki rangeeli butein (Sujal Kashish ko uska necklace pehnata hai)
tere pyar bina sab jhute (Sujal Kashish ke forehead pe kiss karta hai)
payal ki chanakte jhanjar (Sujal Kashish ke pairo me payal pehnata hai)
haathon ki khanakte kangan (aur phir haatoin me dher sari chudiyaan)
tera rasta dekhe saajan (Sujal Kashish ke haath ko chumta hai)
baharon ki mausam hai (Kashish sharmake Sujal ke khandhe pe apna sir rakh deti hai)
dhoond rahi phir kyun ankhe nam hai (Sujal kashish ko apne aap se durr karke Kashish ko zumke pehnata hai)
teri sindoor ki lali ab nahi hai mitne wali (Kashish ke sir pe woh tikka lagata hai)
keh rahi har dhadkan saat janamon tak saajan (Sujal Kashih ko aaine me dikhata hai)
banooo mein teri dulhan (jo puri tarah se Sujal ki dulhan lag rahi hoti hai)
banooo mein teri dulhan (Kashish ki aankh sharm se zuk jati hai)
Sujal: bahot khubsurat lag rahi ho..........
kashish: kyun na lagoon aakhir mere pyaar ne muje jo sajaya hai.......
jab sab kamre me aate hai..........
Kripa: bahot bahot pyari lag rahi ho..........
Charu: kyun na ho Bhabhi aakhir hamare bhaiyaa hi aise hai.......
Anjali; wake me Kashish agar aaj hum tumhe taiyaar karte to tu itni khubsurat na lagti..........yeh khubsurati to Sujal ke pyaar ki hai.........
Angad: ab aap sabki baat khatam ho gayi...hamari Dulhan taiyaat ho to ab hamare dulhe taiyaar ho jaye.......
Kripa: haa haa zaroor.....aur waise bhi tum log dair se gaye to mama muje bahot dategi ab niklo tum log................
ab Sujal aur Angad nikal jate hai...........
*****************************************************************************
Sujal apne kamre me taiyaar ho raha hota hai jab sab aate hai..............
Angad: yeh kya tum taiyaar ho gaye........
Sujal: haa.....kyun achcha nahi lag raha.....
Angad: nahi .........agar tu aise taiyaar hoke jayega to Kashish bhag jayegi...........
Sujal: kya main itna bura lag raha hoon......
Angad: mujpe yakeen nahi to Neev se puch...........Neev tu bata kya main sahi nahi.......
Neev: Angadbhaiyaa bilkul sahi keh rahe hai..........pata hai pichle hafte main apne Driver ki shaadi me gaya tha bechara woh bhi aapse achcha lag raha tha.........lagta hai baat kuch wake me serious hai.........
Sujal: sach me ...main itna bura lag raha hoon ........ab kya karoon...........
Akshat: bhaiyaa ab to kuch nahi ho sakta.........koi baat nahi aapki shaadi ki video me sirf bhabhi ki tarif hogi.......
Sujal: ab kuch bolo na ki main kya karoon.........kuch hi waqt me shaadi hai bahot se log aanewale hai...........
Akshat: sorry bhaiyaa ab kuch nahi ho sakta.......
Sujal:tum logo ke pass dimag hi nahi........main abhi mama se puchke aata hoon.........woh muje koi to rasta zaroor batayegi........
Kavya: ab tum sab apna mazak bandh karo.........Sujal yeh sab tumhe chida rahe hai.........tum bahot hi achche lag rahe ho,,,,,,,,,,kyunki aaj ka din tumhare liye bahot khas hai..........
Neev: din ya raat.........
Sujal: ab sab ke samne poll kholega.............tum sabki sekayat hogi tum logo ki biwi se..........
Angad: bhai yeh kissa yahi khatam karte hai..........aur chal mere bhai neeche ghodi tera intzaar kar rahi hai..........
Neev: Bhaiyaa zara sambhal ke..........kyunki mere driver ki shaadi me fatake ke dhamake se ghoda bechara darr gaya aur mere bechare driver ko girake bhag gaya..............aur bechare ko paidal jana pada.......
Sujal: aisa kuch nahi hoga.......kyunki hum fatake hi nahi jalayenge............ab tum log batein hi karte rahonge............ab chalo muje meri shaadi ki jaldi hai...........
Angad: yeh pehla dulha hai jo apni shaadi ke liye utavla ho raha hai............
Sujal: pehla aur aakhri.......ab tum log chal rahe ho ki main akele hi chala jau..........
Kavya: chalo...............
*****************************************************************************
Ab Barat Hotel Hyyat ke bahar khadi hoti hai..............
Anjali: jaldi chalo tum log.........barat aanewali hai..........
Charu: aanewali hai aayi to nahi.........
Anjali; koi baat nahi agar tumhe Sujal ko ghodi pe nahi dekhna to main dekhne ja rahi hoon.........
Charu: yeh kaho na,,,,,,,,main bhi chalti hoon..........
Kripa: main bhi........
Prachi: main bhi.........
Kashish: main bhi.............
Anjali: tum kaise.......kisine dekh liya to..........
Kashish: to kya..........pehli bar maine moka gava diya tha ab nahi.........main to dekhungi dulhe ko ghodi pe........aakhir muje pura hakk hai........
Charu: Bhabhi sahi keh rahi hai..........chaliye na......isse pehle sab log bahar aa jaye.........
suno ek thi kaanch ki gudiya ,suno ek thi pyaar ki pudiya, sadke us pyaar ke (Kashish chat pe bahar aati hai)
suno ek tha pind da shera, aaya kas ke baadh wo shehra, sadke us yaar ke (durr se barat aa rahi hoti hai )
saji thi doli wo chadha tha ghodi wo khoya jana kahan inna sona pyaar baliye..(Kashish Sujal ko dekhti hai jo ghodi pe betha hua hota hai)
Dil thaame hue wo tha khada chupke se yun (Sujal upper Kashish ko dekhta hai)
door baithe hue umra gaiyaan jaane na tu (jo sharmake Kripa ke piche chali jati hai)
suno ek thi kaanch ki gudiya ,suno ek thi pyaar ki pudiya, sadke us pyaar ke (Kashish sharmake wapas apne kamre me chali jati hai)
suno ek tha pind da shera, aaya kas ke baadh wo shehra, sadke us yaar ke (Sujal bhi andar chala jata hai)
*****************************************************************************
ab barat darwaze pe khadi hoti hai...........
Kavya: agar barat ka swagat karne ke liye koi na ho to hum barat leke wapas ja rahe hai......
Anjali: aa gayi........tum bhi na.........
Prerna; ab tum dono bandh ho.........yaha rasme chal rahi hai.......
Anjali Sujal ki aarti karti hai.........Anjali sujal ki nak khichne wali hoti hai ki Sujal piche hat jata hai.......
Sujal: ek bar dhoka khaya ab dubara nahi..........
Anjali: lekin yeh mera hakk banta hai..............
Sujal: lekin halke se..........
Anjali: paka......
Sujal Anjali ke samne aata hai aur Anjali nak khichne wali hoti hai ki Kripa beech me aake zor se khichti hai.............
Sujal: yeh kya......itni zir ki koi khichta hai..........
Kripa: pichli bar Anjali ko moka mila............to is bar muje......ab hisaab barabar.............
Prachi: ab baatein bad me shaadi ka muhurat nikla ja raha hai..............aaiye aap sab...............
Sujal mandap me betha Kashish ke aane ka intzaar kar raha hota hai jab Charu aur Prachi Kashish ko leke aate hai.........Sujal ke taiyaar karne ke bawzud bhi aise dekh raha tha jaise pehli bar apni dulhan ko dekh raha ho..........Sujal pehle Kashish ko varmala dalti hai jab Sujal ki bari aati hai to Sujal jukta hi nahi............
Charu: yeh kya bhaiyaa........jukiye taki Bhabhi bhi varmala dal sake...........
Akshat: nahi Bhaiyaa aaj juk gaye to puri zindagi zukna padega.........
Kashish: to main bhi intzaar karti hoon kab tak nahi zukega............
Kashish aise hi varmala leke khadi rehti hai jab Sujal apne ghutno pe Kashish ke aage zuk jata hai..............
Sujal: juk to pehle hi gaya hoon tumhare pyaar ke samne.......aur agar aaj ke zukne se main sada tumhare samne zuka rahunga to yeh saza muje manzur hai.......
Kashish Sujal ko varmala pehnati hai.............ab shaadi shuru hoti hai............panditjee gath bandan ke liye Anjali ko bulate hai..........
Prerna: Anjali....is bar itna kas ke bandhna ki puri zindagi khul na paye.........
Anjali Kashish ka haath Sujal ke haath me de deti hai......
Anjali: Mama.......yeh ganth bandhan rahe ya na rahe lekin yeh jo haath mile hai yeh ab saath janmo tab ek dusre ko nahi chodenge.........
ab phero ka waqt hota hai.........
Akshat: bhaiyaa....is bar ke phero me kuch to special hona chahiye.....kuch aisa jo aapne pichli bar na kiya ho lekin is bar karna chahte hai........
Sujal: muje koi aitraaz nahi lekin teri bhabhi ko..........
Charu: Bhabhi ko bhi koi aitraaz nahi..........
Sujal Kashish ki aur aage badhta hai.......aur Kashish ke pass jake use apni god me uthake phere lena shuru karte hai.................Kashish sirf Sujal ko dekhti hi reh jati hai...........baki ke sab ki aankhein bhi bahar nikal aati hai............aisi hi phere pure hote hai.......ab Sujal Kashish ki mang me sindoor bhar deta hai aur mangalsutra pehna deta hai.........aur shaadi puri hoti hai.........dono sabhi bado ka aashirwad lete hai..........
Prerna: chalo apne ghar chalte hai.....
Kashish: ek minute mama..............maine abhi kuch kaha nahi.......
Prerna: kya......
Kashish: aaj main in sabhi ko batana chahti hoon ki Kashish Sujal Garewal apna vaada barkhubi nibhati hai........maine aap sabse vaada kiya tha ki main ek waqt isi agni ko saakshi man ke apne Sujal ka haath tham ke saat phere lungi aaj maine apna vaada nibha diya...........aaj aap sabki aankhoin ke samne sujal ne meri maang bhari hai...........muje patni hone ka adhikar diya hai.............Sujal meri saansein hai aur meri saansoin ka chalna is baat ka saboot hai ki mera pyaar zinda hai aur maine aaj yeh sabit kar diya hai isi liye aage se mere ya Sujal ke rishtey ke bare me bolne se pehle itna yaad rakhna ki Sujal Kashish ki jaan hai...............
yeh kehke sabhi log ghar ki aur nikal jate hai lekin sab logo ki aankhein sharam se juki huyi hoti hai..........
*****************************************************************************
ab sab log Sujal aur Kashish ke saath ghar aate hai...........Charu aur Anjali jake aarti ki taiyariyaan karti hai.........Prerna dono ki aarti karti hai........phir Kashish kalash girake kumkum wale pair karke ghar me pravesh karti hai.........
Prerna: Bhagwan tum dono ko dher sari khushiyaan de.......isi tarah se khushiyaan tumhare kadam chumte rahe.....................bhagwan kare tumhe kisi ki nazar na lage...........
Charu: mama aap ki baat khatam ho gayi ho to main ek rasam ada karna chahti hoon jo hamare yaha karte hai..........
Kripa: kaisi rasam........
Charu: anguthi dhundh nikalne ki........dono ko ek saath 3 moke milenge jo jyada bar dhundh lega woh hi raj karega is shaadi me............to kya kehte hai.........
Angad: bahot hi majedar rasam hai to shuru karo.......
Charu: abhi aayi.......
Charu ek thal me dhudh, rose pedals aur kumkum dal ke aati hai..........aur phir usme Kashish ki shaadi ki anghuthi dalti hai.............
Charu: ab jo pehle dhundh lega jeet uski..........
sujal aur Kashish dono nadar haath dalte hai.....anguthi Kashish ke haath me aati hai lekin Sujal uska haath pakad leta hai............'
Kashish (whispers): haath chodo......
Sujal: aise kaise.........
Sujal Kashish ki anguthiwala haath bahar nikalta hai.........
Charu: yeh kya aap dono ne ek saath koi baat nahi ek aur bar..............
is bar bhi aisa hi hota hai............
Kripa: Sujal kahi tum jan bujke to aisa nahi kar rahe,,,,,,,,,,,
Kashish: dekhna Kripa is bar main hi jitungi...........
Sujal: koshish karke dekh lo.............
phir se dono andar haath dalte hai.....lekin is bar ring pehle Sujal ko milti hai...........jo kuch had tak bahar nikalta hai lekin phir Kashish ke haath me deke uska haath pakad ke bahar nikalta hai..............
Charu: is bar bhi Bhabhi jeet gayi..............
Akshat: nahi Charu.............bhabhi jiti nahi balke Bhaiyaa ne unhe jitaya hai...........bhaiyaa jan bujke anguthi ki bhabhi ke haath me rakh ke unka haath bahar nikalte hai.....................pata nahi bhaiyaa jan bujke kyun haar gaye.........
Sujal: apno ke saath jo harne me jo maza hai woh jitne me kaha..........aur rahi baat haar jeet ki to anguthi ek saath humne haath pakad ke nikali to hum dono ki jeet huyi...............
Kashish: tumhare bhaiyaa sahi keh rahe hai.............hum dono ki jeet ek hi to hai............
Anjali: ab bahot raat ho chuki hai...sujal tum Kashish ko leke apne kamre me jao.................tum log thak gaye honge...............
Sujal: sahi kaha.....chalo Kashish.............
Sujal aage jane lagta hai jab dekhta hai to Kashish wahi ki wahi khadi rehti hai............
Sujal: tumhe andar nahi chalna kya...........
Kashish: tum kuch bhul nahi rahe........
Sujal: nahi to........
Kashish: hamare yaha ek rasam hoti hai ki dulhan ko kis tarah se kamre me leke jane ki...........
Sujal: oh woh.......
Kashish: haa woh...........agar tum nahi chahte to waise bhi main aise nahi aanewali is liye tumhe to rasam nibhani hi hai..............
Sujal aake Kashish ko apni god me leke jata hai.........aur sab log cheer up kar rahe hote hai..............
*****************************************************************************
Sujal Kashish ko kamre me leke jata hai ..........jo diye ki roshni se jagmaga raha hota hai...............chand ki roshni khidki se aa rahi hoti hai...........
Sujal: yeh kamra ek aisi jagah jahan..........tum main....main tum..........aur hamare beech beimtihaan mohabbat........
Sujal Kashish ka haath pakad ke use bed pe bithata hai aur khud Kashish ke samne apne ghutno pe bethta hai........
Sujal: ek sapna sa joya tha maine apni is dubara shadi ka lekin aaj sapne ko haqeeqat me sach hota dekha hai..........tumhari is khubsurati ko apne pyar me rangna chahta hoon..........
Kashish: aaj bahot pyari baatein kar rahe hai.......
Sujal: ishq najane insaan ko kya se kya banata hai.........apne mehboob ko pyaar ke rango me dhalne ke liye tarif kafi nahi hoti.......kyunki mehboob ki khubsurati uske jism ka her moh khudmkhud in haatoin ki dor ban jata hai.........kehte hai ki woh khubsurati hi kya jiski parkh uske pyaar karnewalo ke pass nahi...........aur tumse haseen na maine kabhi kuch dekha hai na kabhi koi hoga...............
Kashish: tere pyaar ke her rang me dhal jane ke liye main sada tumhari hoon..........ek bar haath aage karna zindagi bhar teri hoke rahungi .........jis rang me tu muje rangega usi rang ko mang me sajaugi..........
Sujal: aaj ki raat na main kuch bolunga na tum..........aaj koi bhi durri nahi koi dard nahi...........aaj is khamoshi ko apne pyaar ki gehrai ko mehsoos hone do...........
Sujal Kashish ke sir se uska dupatta nikalta hai...........Kashish sharmake apni nazare zuka deti hai..............Sujal uske mathe se tikka nikalke uske forehead ko kiss karta hai.............phir uske kan ke zumke nikalta hai jab woh uske kan me kuch gungunata hai jo Kashish ko madhosh kar rahi hoti hai.............Sujal Kashish ki her ek chudi ko nikalta hai lekin her chudi ke waqt woh uske hath ko chumta hai...........Sujal kashish ke pairo se payal nikalta hai...............jab woh Kashish ka har utarne jata hai to kashish sharamke sujal ke gale lag jati hai...........Sujal uske kandhe pe kiss karta hai jisse Kashish sharmake aur uski baahoin me chali jati hai..........Sujal dheere se kashish ke bal ko khol deta hai..........Sujal Kashish ko apne aap se durr karta hai jaha pe Kashish ki nazare zuki huyi hoti hai.....Kashish sharmake khidki ke pass chali jati hai Sujal Kashish ko piche se hug karta hai aur uske haath ko apne haath me leta hai...........
Sujal: Kashish yeh mehndi ka rang hamare pyaar ki gehrai ka saboot hai.........mere liye kabhi is naam ko apni hatheli se mat mitne dena........main her subaah tumhare haath me apne naam ki lakeer dekhna chahta hoon...........kyunki tum sirf meri ho.............tumpe sirf mera hakk hai..........
Kashish: yeh Kashish hai tumhari...........kashish ki her saans pe sujal ka naam hai...kashish ke dil ki her dhadkan sujal ki dhadkan se judi hai....kashish ke jism ke her hisse pe sujal ka hakk hai.........
Sujal Kashish ko god me utake bed pe leke jata hai.............Sujal first start to kiss kashish from forehead to coming down...........jab Kashish apna chahra dusri aur kar deti hai...........jiski waje se kashish ke khule bal uske chehre pe hote hai.............sujal use apni ungli se hatata hai..............aur kashish ki bandh aankhoin ko chumta hai............phir Sujal Kashish ke hoth ki aur aage badhta hai..........aur phir ek khaas lamhe me dono ke hoth ek dusre ke hoth ko chu jate hai.............yeh lamha ek pal ke liye wahi tham gaya hota hai..............aaj phir se woh khadi thi jaha do premi ek huye the...........jaha pe aaj bhi do jism ek jaan thi............jab khidki se pawan ki laher andar aati hai aur sare diye bhuj jate hai..............
324