Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 25th Sep 2025
TRAUMA KAHA 🤧24. 9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 25, 2025 EDT
🏏T20 Asia Cup 2025: IND vs BD, Match 16, A1 vs B2 - Super 4 @Dubai🏏
All the activism/feminism is reserved for kachara FL?
ROOM SERVICE 25.9
Happy 200 MANNAT❤ ....MHKPK🥳
🏏T20 Asia Cup 2025: PAK vs BD, Match 17, A2 vs B2 - Super 4 @Dubai🏏
Suggest Name For Vicky Katrina Baby
Hawt Geetmaan Moments 🔥🔥💋💋
Deepika to reunite with Vin Diesel for XXX 4?
Movies of Sonam Kapoor's which I enjoyed
Important Questions
Sameer Wankhede takes Aryan Khan’s series TBOB to Court
Hrithik at Homebound screening…what happened?
Quiz for BB19 Members.
OTT vs. theatre: which one do you prefer?
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 26, 2025 EDT
Arjun mv "I know Riya main shayad tumhe hurt kar raha hun, lekin mere liye ye jaanna bahot zaroori hai ki woh Roshni hai ya nahi kyunki main firse apne pyaar ko nahi khona chahta...
Next day
Riya ghar se nikalne ke liye ready ho rahi hai, mv "nahi...main itni selfish nahi ho sakti, agar Shruti aur Roshni sach mein ek hai toh ho sakta hai ki uski bhi koi majburi ho jiski wajah se use Arjun sir ko chodna pada, mujhe pata karna hi hoga ki yeh chakar kya hai
Determinedly woh waha se R&AW office jaati hai.
Indonesia,
Sikandar ke ghar mein
Sikandar recliner par baitha hai, tabhi darwaaze par knock hota hai. Ek guard andar aata hai aur use laptop deta hai. video conferencing...
Sikandar: kya pata chala?
Firoz: ye sab India ki wajah se hua hai.
Sikandar thoda choukta hai: India ki wajah se matlab...Saddam?
Firoz nods: ha Saddam urf Armaan use kuch din pehle arrest kiya gaya tha.
Sikandar: ha lekin media ne toh khabar di thi ki kisine us par fraud ka case kiya tha isliye woh judicial custody mein hai
Firoz: lekin woh jhut tha, ye sab unka plan tha, usine un logon ke saamne apna muh khola hai. koi ETF hai, Mumbai mein, unhone hi yeh sab kuch kiya hai. (woh table par team members ki photos rakhkar Sikandar ko dikhata hai) ye hai unki team.
Sikandar: nahi Firoz...ye sirf mamuli policewaalon ki bas ki baat nahi hai, zaroor koi na koi aur chakar hai.
Firoz: ho bhi sakta hai. Baakhi sab toh theek hai lekin...
Sikandar: lekin
Firoz: (ek photo ko point karke) ye ladki Riya Mukherjee iska ETF ke baahar background fake hai aur (dusri photo ko point karke) ye...Vijay Karmakar iska toh ETF ke baahar koi background hi nahi hai. aur ek aur baat ye (teesri photo ko point karke) Arjun Rawte iski biwi ka murder hua tha aur record ke hissab se uske kaatil aap hain
Sikandar: Bullshit!!! Maine toh shakal nahi dekhi is admi ki puri zindgi mein.
Firoz: ho sakta hai ki unki investigation mein koi galti ho, lekin mera maanna yahi hai ki yeh sab usi wajah se aapke piche pade hai aur isi ne (Riya aur Swami ki taraf point karke)in dono ki madad lekar ye sab kiya hai.
Sikandar: I Don't Care Kisne Kya Kiya Ya Kyun Kiya!! Maar Daalo Sabko Aur Armaan Ko Bhi Acha Sabak Milna Chahiye SAMJHE!!!!
Firoz nods
Sikandar: abhi kaha ho tum?
Firoz smile karta hai: India
Sikandar khush hota hai: very good!
Firoz nods and cuts the call. Mv "this bloody bas***d better be able to pay me for everything... I care hell to kill them
India,
Riya ETF office enter karti hai. conference room mein Arjun nahi hai ye dekhkar uske cabin mein jaati hai. andar jaate hi Riya darwaaza band karke use lock karti hai. Arjun use darwaaza lock karte dekh confuse hokar apni jagah se uthkar uske paas jaata hai.
Arjun: kya hua Riya tum darwaaza kyun band...
Riya: maine Shruti se baat ki
Arjun thoda tensed hota hai: kya pata chala?
Riya: woh..Shruti...Shruti hi hai, uski sirf... shakal Roshni ji se milti hai
Arjun use shoulders se pakadta hai: tum...tum pakka sure ho?
Riya ko thoda bura lagta hai par: ha sir...
Arjun relieve hota hai: shukar hai
Ab Riya confuse hoti hai: kya?
Arjun: kya?
Riya: aap...aap upset nahi ho? I mean ..woh aapki wife hai...aapka pehla pyaar?
Arjun: ha Riya woh pehla pyaar hai lekin meri wife ...hai nahi thi, jab woh meri zindgi mein aayi toh meri zindgi ka rukh hi badal gaya, uski wajah se mujhe pyaar ka ehsaas hua aur jab woh gayi...toh apne saath woh sab kuch le gayi...mujhe toh zindgi se koi umeed hi nahi bachi thi, par fir (Riya ki taraf dekh kar) woh umeed laut aayi, (Riya ka face cup karke) woh ehsaas fir hua mere dil ko...tumhari wajah se. apne ateet mein jee kar thak chuka hun ab...ab main apne aaj mein jeena chahta hun...tumhare saath.
Riya emotional ho kar Arjun ko hug karti hai mv "aap nahi chahte the ki aapka ateet ka saaya aapke aaj par pade aur main na chahte hue bhi aapka vishwas tod kar aapko dhoka de rahi hun.
Kuch pal baad dono alag hote hai, Arjun Riya ke aansu wipe karta hai
Arjun: ye moti samundar mein ache lagte hai, tumhari aakhon mein nahi
Riya hasti hai: kyun filmi hero ki tarah dialogue maar rahe hai?
Arjun use waist se pakadta hai: hmmm...shayad tumhe impress karne ki koshish kar raha hun
Riya: trust me uski koi zaroorat nahi hai
Arjun: nahi hai toh bolo
Riya: kya?
Arjun: kya, kya? Abhi itni lambi chaudi speech di maine, koi toh jawab do
Riya(playfully): kis baat ka?
Arjun: abhi batata hun.
Arjun use kiss karne ke liye pull karta hai lekin tabhi koi darwaaze par zorse knock karta hai. Riya haskar use push karti hai.
Arjun frustrate hota hai: GodDamnIt!!!...Pakka Sam Hoga...Jab Dekho Tab Bich Mein Aa Jaata Hai!! ...Ugh!!!. Aur door kholta hai
Waha darwaaze ke baahar sach mein Sameer hai. Arjun ko use dekhkar aur gussa aata hai.
Arjun :KYA HAI???
Sameer enter karta hai : are itna chilla kyun raha hai aur darwaaza kyun...(uski nazar Riya par padti hai, jo silently apni hasi chupa rahi hai halke se blush kar rahi hai) oh...disturb kiya?
Riya aakhein faadkar Sameer ko dekhti hai
Arjun: nahi...nahi...usmein kaunsi nayi baat hai?
Ab Riya Arjun ko dekhne lagti hai
Sameer: so sorry...mujhe nahi pata tha
Arjun: tumhe kaha kabhi kuch pata hota hai?
Sameer: are? Ek baar sorry bola na? zyaada bhaav mat kha
Isse pehle ki Arjun kuch bole, Vijay hadbadahat mein waha aata hai
Vijay: Arjun (Sameer ko dekhkar)...sir!!
Teeno use face karte hai
Arjun: kya hua?
Vijay: Armaan ke ghar ke naukrani ka phone aaya hai...uske biwi aur beti ka murder ho gaya hai
Teeno(shocked): Whaat????
Vijay: ha
Sameer: let's go!!
Puri team parking ki taraf jaati hai
Sameer: are ek minute! Hum sab waha nahi jaa sakte, Armaan ko aaj court le jaanewaale hai, local police toh hogi lekin humare bhi ek do officers ko saath jaana hoga
Chotu: sir... Uske pariwar ko kisine maar diya hai...use batana nahi hai?
Ayesha: ha sir, dushmani apni jagah lekin atleast unki laashein dekhne ka toh haq hai hi use
Sameer understandingly nod karta hai: lekin use court bhi toh jaana hai
Arjun: hearing kitne baje hai?
Sameer: 11 baje
Arjun: theek hai, Riya! Chotu! Tum dono Armaan ke saath court jaao aur waapis aate waqt use yaha le aana taaki woh Elina aur Anaya ko dekh sake.
Dono nod karte hai
Sameer: court se nikalkar ek message de dena
Riya: ji sir
Sameer: go!
Riya aur Chotu jail jaate hai, wahase Armaan aur kuch police officers ke saath court pahunchte hai. idhar dusri taraf ETF Armaan ke bungalow mein jaate hai aur crime scene ko unki power mein lete hai. Waha kuch padosi aur naukar bhi jama hai. Vijay aur Liza laash dekh rahe hai. Arjun idhar udhar sabut dhundh raha hai. Sameer local police se unki report le raha hai.
Ayesha: sabse pehle laash kisne dekhi?
Ek naukrani aage aati hai: maine
Ayesha: jab tum aayi toh exactly kya hua tha?
Naukrani: woh...madam, main sabse pehle aati hun subah ko, jab main aayi toh maine ghanti bajayi lekin kisine darwaaza hi nahi khola, na memsahib ne aur na bitiya ne. maine thodi der intezaar kiya fir bhi kisine koi jawab nahi diya. Toh maine ghar ki duplicate chaabi se darwaaza khola...
Shree: ek minute! Tumhare paas duplicate chaabi hai?
Naukrani: woh...saab, ek chaabi darwaaze ke paas gamle ke niche hoti hai, hum sab naukar logon ke liye ki kabhi koi ghar par na ho toh hum apna kaam karke chale jaaye
Ayesha: fir kya hua?
Naukrani: fir madam, maine darwaaza khola, andar aayi aur...aur...dekha ki...dono ki laash yaha padi thi aur fir maine police ko phone kiya.
Liza: sir! (Sameer turn hota hai) inhe bilcul sar ke beecho beech goli maari hai. jisne bhi kiya hai woh bahot acha nishane baaz hai aur sir goli point blank par nahi chali. Mere hissab se inki maut ko bhi zyaada waqt nahi hua. Accurate distance aur time autopsy ke baad pata chalegi.
Sameer nod karta hai: kisine goli chalne ki awaaz suni thi?
Sab negatively nod karte hai
Vijay(uthte hue): iska matlab silencer...
Arjun: nahi sniper
Sab uski taraf turn karte hai. Arjun hall ki khidki ke paas hai. woh turn hokar shift hota hai, waha sabko khidki ke kaanch par do bullet holes dikhayi dete hai.
Vijay(moving towards the window): it's a well planned murder! (holes ko aur baahar background ko study karte hue) inke angle ke hissab se...lagta hai ki woh jo bhi tha ya toh us ped ke paas tha ya fir wahi garden ki deewar par.
Arjun: dekhte hai
Dono baahar jaate hai
Vijay: shells!! Woh ped ke niche zameen par se do shells utatha hai.
Arjun deewar ko study karte hue: ye deewar laandh kar aaya tha, lekin kisi equipment ke koi nishaan nahi hai sirf thodi mitti jo shayad uske jooto mein lagi hui thi...iska matlab...woh koi trained criminal hai.
Vijay: is deewar ki height kam se kam 8 feet ki hai, ek average gymnast ka record 6 se 7 feet ki hoti hai, isse special training di gayi hai, bina equipment ke 8 feet ki deewar kudna koi choti baat nahi hai.
Andar
Sakshi: mere samaj mein ye nahi aa raha ki koi Armaan ke pariwar ko kyun marega?
Shree: hogi koi business ya personal rivalry
Ayesha: nahi Shree, tumhe kuch ajeeb nahi laga? I mean abhi kuch din pehle hi toh Armaan arrest hua hai, Sikandar ka pura business thap ho chuka hai tabhi achanak koi Armaan ke pariwar ko koi maar deta hai.
Sameer: tum sahi keh rahi ho...mujhe bhi aisa lagta hai ki ye us case se connected hai.
Sakshi: lekin inhe maar kar Sikandar ko kya milega
Sameer: shayad badla...usne Arjun ke saath bhi toh aisa hi kuch kiya tha. Use shayad pata chal gaya ki Armaan ki wajah se hume information mili hai...anyways yaha sab kuch ho gaya hai, aage autopsy ke baad dekhte hai kya pata chalta hai.
Sab nod karte hai. ETF waha sab kuch wrap karke office jaati hai. on the other hand court ki hearing khatam ho gayi hai. Riya, Chotu aur kuch police officers Armaan ko ETF ki taraf le jaa rahe hai. Chotu Rathore ko text kar deta hai. unki van normally apne route par ja rahi hai, raaste par zyaada traffic nahi hai tabhi achanak Driver brake lagata hai.
Riya: kya hua? Gaadi kyun roki?
Driver: woh madam aage rasta band hai, pathar pade hai
Chotu: lekin is road par toh koi kaam nahi chal raha hai.
Havaldaar: hum pathar hatate hai
Chotu nod karta hai. do Havaldaar uthkar van ka darwaaza kholte hai...usi pal koi andar ek canister fenkta hai. usme se gas nikalne lagti hai.
Riya : Apni Saansein Roko!! aur apna nose cover karke baahar jaati hai...
Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...
[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...
Hello everyone! I will be posting my 5 one-shots over here which I sent in for the Pyaar Ka Trope-fest contest. They are all standalones and...
44