part-6
recap: Raichands ke ghar party hoti hai and the Sarans too join them..yaha aakhir Rhea aur Rahul ki mulaqat ho hi jati hai..
iss party mein Lalit Rahul ka sabhi se official introduction karvate hai... but Rahul is least interested in all this..jiski wajah se
Rahul aur Lalit ke beech chota sa argument hota hai....
ab aage.....
its a bright sunny morning..Rhea is still sleeping like a small kid...uske chehre pe sweet si smile hoti hai.... just then nandini (dadi)
comes in her room...
nandini just looks at rhea and smiles..
Nandini to herself: meri bachchi kitni pyari lag rahi hai..bas uperwale se yehi duva karti hu ki Rhea ki iss muskurahat ko
u hi barkarar rakhna hai.. [and she keeps her hand on rhea's forehead..just then rhea feels sumone's touch & she wakes up]
Rhea: gud morning dadi...
Nandini: gud morning beta.. chalo ab utho
Rhea: ji dadi..
Nandini: aur tayyar hokar neeche aa jao,Yash aur Hiten bhi aate hi honge aur jab tak tum nahi aaogi wo bhi breakfast
nahi karenge..
Rhea [smiles] ji dadi...aap chaliye main bas 2 minute mien aati hu..
Nandini:thik hai, jaldi aana...
[saying this nandini leaves...Rhea gets ready & goes to the dinning table where hiten, yash and nandini were waiting
for her]
Rhea: gud morning papa, gud morning bhaiya..
Yash: gud morning beta...
Hiten: gud morning sweetheart...
Yash: so Rhea bete, aaj aapke kya plans hai?
Rhea: papa mujhe office join karna hai..
Hiten: per Rhea tum abhi abhi to apni studies karke lauti ho, thoda enjoy kar lo, apne dosto se mil aao..kuch din
baad office join kar lena..itni jaldi kya hai?
Rhea: nahi bhaiya.. mujhe aaj hi se office join karna hai..Dadi aap kuch kahiye na
Dadi: thik hi to keh raha hai wo... aur phir abhi aarti ki shaadi bhi hai..iss waqt tumhe uske saath hona chahiye..
uski madat karni chahiye..
Rhea: per dadi, i can manage..
Yash: beta, maa thik keh rahi hai.. aap office kuch din baad join karlena..
Hiten: ha..filhal to tum aarti ki shaadi mein enjoy karo..aakhir wo tumhari best friend hai bhai..
[tabhi the servant comes]
Ramu: Rhea madam, aapke liye aarti madam ka phone hai.. [& hands over the phone to her]
Rhea: hi aarti..
Aarti: hi Rhea, i hope ki aaj aap free hai, aur agar nahi bhi hai tab bhi aaj aapko hamare saath shopping ke liye chalna hoga... aap tayyar rahiyega
hum bas kuch hi der mein waha aa rahe hai..
Rhea: yes madam... aapka hukum sar aankho per.. i'll be ready
Aarti: that's like my sweet friend.. hum bas kuch der mein waha pohoch rahe hai... bye
Rhea: bye.. dekha bhaiya aapki wish puri ho gayi..Aarti mujhe pick karne aa rahi hai aur phir hum shopping ke liye ja rahe hai...
Hiten: [smiles] isiliye kehta hu, ki kabhi kabhi apne bhai ke baat maan liya karo...
Nandini: achcha ab baatein kam karo aur breakfast khatm karlo..
[all of them finish their breakfast and Hiten & Yash leaves for office while Rhea gets ready and is waiting for Aarti just then Aarti comes]
Aarti: hi Rhea... namaste dadi..
Nandini: namaste beta..
Rhea: hi Aarti..
Aarti: achcha dadi hum chalte hai, lautne per fursat se aapse baatein karenge..chalo Rhea,,
Nandini: thik hai beta...
[Rhea and Aarti leaves...& they reach the shopping mall]
Aarti: Rhea aap apne liye bhi kuch zaror lijiyega..
Rhea: bhai pehle hum apni dulhan ki shopping to puri karle, phir apni bhi kar lenge...
[they both laugh]
Aarti: achcha chaliye..
[Aarti aur Rhea pehle kuch clothes , aur phir kuch jewellery purchase karte hai, phir Rhea ki nazar toys section pe padti hai]
Rhea: Aarti woh dekho toys section section..yaha kitne sweeeetttt teddies hai..
Aarti: [smiles] ah! hum to bhool hi gaye the ki hamari friend ko iss puri duniya mein sabse jyada kuch pasand hai to wo
yeh soft toys hai...chaliye yeh bhi le lete hai, waise yeh wakaye mein kitne sweet hai...
Rhea: ha...
[rhea unn toys ko dekhkar bilkul bachchi bann jati hai... uski nazar waha desk pe rakhe white and red color teddy pe padti hai..wo
use haath mein leti hai..tabhi waha salesgirl aati hai]
girl: yes mam, how can i help u?
Rhea: yeah, i wud like to purchase this one...
girl: i'm sorry mam, per yeh already bik chuka hai..
Rhea: oh..to koi baat nahi aap mujhe dusra piece de dijiye..
girl: i'm sorry mam but this was the last piece... aap chao to main aapko kuch aur dikhayu?
Rhea: mm..no its ok..
Aarti: kya hua Rhea?
Rhea: dekho na Aarti yeh teddy kitna sweet hai, mujhe yeh chahiye tha..per..
[isse pehle ki Rhea apni baat puri karti, peeche se awaaz aati hai]
person: thik hai aap ise rakh lijiye..
[Rhea & Aarti turns around]
Rhea: Rahul...aap?
Rahul: ji main... hi, hi bhabhi...
Aarti: hi Rahul.. aap yaha?
Rahul:ha bas bhaiya ke liye koi gift lene aaya tha, to socha sur ke liye bhi kuch le lu..yaha yeh teddy dekha to le liya..sur ko
teddies bahot pasand hai...
Aarti: [smiles] lagta hai aapki aur Rhea ki pasand kaafi milti hai..Rhea ko bhi yehi teddy pasand aaya
[Rahul & Rhea look at each other and smile.... Rhea ki smile dekhte hi Rahul ki chehre pe ek ajib si khushi hoti hai... ]
Rahul: koi baat nahi..Rhea aap ise rakh lijiye, main kuch aur le leta hu...
Rhea: no its ok, aap ise rakh lijiye.. waise bhi aapne ise pehle pasand kiye the..so ise aap hi rakh dijiye..
Rahul: ab kya kare hamari pasand jo ek hai.. anyways aap ise rakhiye..bhabhi aap kahiye na..please...
Aarti: Rhea.. ab le bhi lo..waise bhi tumhe yeh pasand hai, aur ab jab Rahul khud tumhe de rahe hai to..
Rahul: achcha thik hai, ise hamari hamari taraf se gift samajhke hi rakh lijiye..
Rhea: well.. ab aap dono itna insist kar rahe hai to thik hai, i'll take it.. thanks a lot Rahul..
Rahul: my pleasure...waise bhabhi achcha hi hua ki hamari mulaqat yaha ho gayi....
Aarti: kya matlab?
Rahul: aapko to pata hi hai ki parso Dev bhaiya ka birthday hai...
Aarti: ji
Rahul:to isse pehle ki ek aur party ho, maine aur sur ne bhaiya ke liye kuch plan kiya hai.. bas ek chota sa get together hoga jaha bas kuch [looking towards
Rhea] khass log aur kareebi log honge.. per ismein mujhe aapki help chahiye..
Aarti: ji khaiye...
Rahul: actually yeh sab bhaiya ke liye surprise rahega, to main bas itna chahta hu ki aap unhe shaam se pehle wish naa kare...
Aarti: thik hai.. aap jaisa kahenge hum waisa hi karenge...
Rahul: thanks bhabhi..sur aapke baare mein bilkul thik kehti hai...
Aarti: kya?
Rahul: yehi ke aap bahot sweet hai...
[aarti smiles and hearing their conversation rhea too smiles..]
Rahul: thik hai, ab yeh tay raha..waise bhabhi aap chaho to apne dosto ko bhi invite kar sakte ho..
Aarti: are hamari sabse pyari dost to yehi hai..[looking at rhea] aur use to hum saath le hi aayenge..
Rhea: per Aarti, main waha... i mean main waha hardly kisi ko janti hu..
Rahul: mujhe to jaanti ho na..
[Rhea just looks at him in amazement]
Rahul: i mean waha bhabhi honge, sur se to aap mil chuke ho, aur aapke bhai Hiten ko bhi humne invite kiye hai, aur phir hum bhi to hai..ab itne
saare logo ko to aap jaanto ho na.. khair..u too are invited..ab aana ya na aana aapki marzi... chaliye bhabhi main chalta hu.. bye..
Aarti: bye..
[Rahul leaves, while Rhea remains standing there with absolutely blank look]
Aarti: hello..??? kaha kho gaye?
Rhea: nahi..kuch nahi..Aarti..tumhara yeh dever thoda pagal nahi hai..!
Aarti: nahi to, hume to wo kaafi achche aur samajhdaar lagte hai...
Rhea: hey bhagwan! main to bhool hi gayi thi..woh Dev ka bhai hai to achcha hi hoga.. chalo ab...
[after a while Rhea and Aarti reaches Rhea's house..and are sitting and relaxing..Dadi is too is with them]
Nandini: to aaj to tum logo ne khub saari shoping ki hongi?
Aarti: ji dadi, humne kuch sarees kharidi, kuch dresses aur phir kuch jewellery aur ha kuch teddies bhi..
Nandini: ah..yeh zaroor Rhea ne hi kharide honge..
[Rhea cumes and hug Naina]
Rhea: oh dadi..
Aarti: achcha dadi aap Rhea se keh dijiye ki parso yeh hamare saath chale..
[just then Hiten comes]
Hiten: hi evryone..
Rhea: hi bhaiya
Aarti: hi hiten..
Nandini: are hiten aaj jaldi aa gaye?
Hiten: ha dadi, mujhe zara bahar jana tha, socha Rhea ko bhi saath leta chalu..
Rhea: kaha bhaiya?
Hiten: actually mujhe ek client se milna hai aur phir wahi se mujhe Dev ke liye ek achcha sa gift bhi lena hai..to socha Rhea ko saath lekar jau,
main in sab mien kaafi confuse ho jata hu..
Rhea: oh..to isiliye aap mujhe saath le jana chahte hai..
Aarti: mmm...Hitenn
Hiten: ab tumhe kya hua?
Aarti: nahi, hua to kuch nahi bas aapse itna kehna tha ki aap Dev ko parso wish mat karna..
Hiten: kya? per kyun?
Aarti: actually Rahul aur surveen ne unke liye kuch surprise plan kiya hai [and she tells him evrything bout Rahul's plan].. aur isiliye aap bhi
Rhea ko lekar part mein aa jana..
Hiten: are ha..mujhe Rahul ne bataya tha.. main to bhool hi gaya tha...thik hai..as u say..
Aarti: ok then, Rhea ab hum chalte hai, mama intezar kar rahe honge...
Rhea: thik hai.. kuch kaam ho to phone kar dena i'll be there..
Aarti: ok.. chalo then bye..bye dadi, bye hiten..
[aarti leaves]
[time passes, and today its Dev's birthday..its morning time & Dev is all set to leave for office waiting for Rahul to come]
Dev: mama, yeh Rahul kaha hai? office ke liye deri ho rahi hai yeh ab tak tayyar nahi hua hai..
Naina: are per Rahul to kab ka chala gaya..
Dev: kya? per ..main to.. achcha sur kaha hai?
Naina: wo bhi abhi abhi kahi gayi hai
Dev: oh..thik hai, main bhi chalta hu..
Naina: are breakfast to karte jao
Dev: nahi mama, main chaltu hu..,waise bhi aaj kaafi late ho gaya hai.. bye..
[saying this Dev leaves for office ..office mein he looks out for Rahul..but Rahul isn't present in the office too.Nobody wishes Dev on his birthday and Dev
too isnt much bothered about it as if he's forgotten his own birthday..Time passes & its evening time..Dev is still in the office & now he's a bit tensed for Rahul
as he was not present in the office for the whole day.He tries Rahul's cell but of no use..,just then surveen calls him]
Dev: Sur.. tum kaha ho? aur kya Rahul tumhare saath hai?
Surveen: bhaiya..wo..Rahul bhaiya..
Dev: kya baat hai? tum kuch kehti kyun nahi? itni ghabrayi hui kyun ho?
Surveen: bhaiya..wo..wo main aur Rahul bhaiya yaha farmhouse aaye tha..aur..
Dev: aur kya sur..? Rahul kaha hai?
Surveen:bhaiya aap please abhi isi waqt farmhouse aa jayiye
Dev: ha.. per Rahul kaha hai? wo thik to hai na?
Surveen: ha..wo Rahul bhaiya..aap..please yaha aa jayiye..
Dev: thik hai, main bas abhi waha pohoch raha hu...
[Dev hangs down the phone & rushes towards the farmhouse]
.......... END OF PART-6 ..........
hope u enjoyed reading it..
Comments awaited!!!
35