PHIR MILEINGE - Saath Saat Janmo ka.... Sujal Kashish ** Completed**.. - Page 6

Created

Last reply

Replies

253

Views

46.6k

Users

17

Likes

359

Frequent Posters

RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#51
lovely update
sk ke ladai ho gayi hope jaldi sab thi ho jaye or yeh saath ho
cont soon
thanks for pm


love naina
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#52

Originally posted by: RNforever

lovely update
sk ke ladai ho gayi hope jaldi sab thi ho jaye or yeh saath ho
cont soon
thanks for pm


love naina


Thanku naina n they will b together thanks
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#53

Originally posted by: nilusoni

wonderful part

thanx for pm



thanks nilu & welcome...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#54
every one thanks for liking & commenting.. on part 7...i have said that i will post part 8 on friday...but i got time today it self...so here is tha part 8...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#55


*** PHIR MILEINGE - sath saat janmo ka***

Part 8

sujal aur kashish both are embarassed...aise hi haste khelte sab aadhi door pahuch gaye...ab raat ka waqt tha... to sabne hill area me hi tent lagaya aur sab kha pee kar sone ko gaye...

R&G house...

piyush:- now its over...bahut time waste ho gaya... aunty aap viraj se tushar aur kashish ki saadi ki baat kar lijiye...kyuki i dont think so ki tushar kabhi kashish ko apne pyar me phasa payega...

tushar;- par dad...

rewa:- sahi keh raha hai wo...waise bhi viraj se meri kal hi baat hui thi uska australia me kam khatam ho gaya hai... aur ab wo england jayega...to 2 din yahi kashish ke sath rahega... main kosis karungi ki in 2 dino me hi kashish aur tushar ki sagai ho jaye...

swayam:- sahi kek rahe ho aap loge.. kahin aisa na ho ki kashish ko koi aur mil jaaye...

rewa ne jab viraj se baat ki toh wo khush ho gaya... kyuki wo kashish ke liye bhara pura pariwaar hi chahta tha... wo bhi indian... aur viraj ki nazaro me to R&G india ke bahut hi reputated aur achhe logon me se hai... to maan gaya hai...aur usne kaha hai ki wo kashish se baat karega...

manali ke raaste par...

a man:- sujal kashish...beta aap dono us tent me chale jaao...

sujal;- ok thanku uncle...

sujal kashish chale gaye...

in tent...

kashish gusse se sujal ko dekh rahi hai...

sujal:- kya ha...

kashish;- jhooth bolne ki kya jarurat thi koi main tumhari biwi hun...

sujal;- oh...agar nahi bolta na..to wo loge mujhe ander kara dete...

kashish:- ander..?

sujal:- meri angregi mem...jail karwa dete...

kashish:- but y...?

sujal:- dekh kashish...yeh london nahi hai... aur tum jaise rehti ho kisi ko bhi lagta main tumhe bhaga kar laya hun...aur wo mujhe... samjhi...aur dusri baat humein lift nahi milti...

kashish:- ok... par i cant sleep with u...

sujal:- to mujhe bhi tere sath sone ka koi saukh nahi mazburi hai... aur ha yeh mat sochna ki apun bahar jakar soyega... itnai thand hai...aur kabhi nahi...tere ko jana hai... tu jaa...

kashish;- theek hai main hi jaati hu...

kashish bahar jakar aag ke pass late gayi...aur sujal maje se tent ke ander so gaya... thodi der baad kashish kapne lagi...to wo wapas aai...aur sujal ke bagal me late gayi... par thand itani jyada thi...aur upar se uske kapde... usse bardast nahi hua...aur usne sujal ko kas kar hug kar lia aur so gayi...dono hi ek dusre ki baahon me so rahe the...subah jab sia ne aake unhe jagaya...tab sujal ki neend khuli...

sia:- goodmorning sujal...

sujal;- GM...

sia;- wow... kashish kitane pyar se so rahi hai...

sujal;- kya...( sujal looks at his other side and shocked to see kashish beside him... sleeping peacefully)...aahh...

sia:- chaliye uth jaiye... aur ha... yeh aap dono ke liye... wo... hum gujraati hai na... aur aaj dadi dadu ki anniversay hai to...aap dono yeh hi pehenana...hum sab mandir jayeinge manali ke...jahan dadu dadi mile the...aur aap dono bhi aa rahe hai...uske baad jahan jana ho aap log chale jana...

sujal:- ji thanku...( sia left...) kashish...kashish...uth...(kashish ki neend khuli...)...

kashish:- GM...

sujal:- gm gaya tel lene...pehle yeh bata... ki tu apun ke bagal me kaise aai...

kashish;- wo mujhe bahar thand lag rahi thi isliye ander aa gayi...

sujal:- to mujhse chipak kar sone ki kya jarurat thi aur...mujhe jagaya kyun nahi...

kashish;- oh hello... mujhe koi shaukh nahi hai...tumse chipak kar sone ka... aur tumhe kosis ki thi jagane ki par tum hi ghode bech kar so rahe the...

sujal;- hey bappa... yeh mujhe pagal kar degi...achha chal uth aur yeh pehen le...(kashish ko saadi dete hue...)...

kashish:- ye kya hai...

sujal;- ise hindi me saaree kehte hai...

kashish;- wo to mujhe bhi pata hai...par mere pass mere kapde hai...

sujal:- ha mujhe pata hai... par wo sia dekar gayi hai... usne kaha hai ki... dadu aur dadi ki aniversay hai to we aak mandir jayenge manali ke to wo chahte hai ki hum bhi unke sath jaye...aur waise bhi kya fark padta hai...hum bhi apna mandir dhoondh rahe hai...aur waise bhi we sab kitane khush hai... sach bata kar unka dil nahi dukhana chahta main...

thodi der baad kashish wo saree pehen kar bahar aati hai...sujal use dekhta reh jata hai...wo saree red aur green colour ki thi...kashish ne chudiyaan bhi pehni..sia ne use di...she looking stunning...aaj pehli baar sujal ko kashish itani khubsurat lagi...wo bas use dekh raha tha...aur sujal ne bhi kurta pehna hai...wo bhi bahut handsome lag raha tha...

shivam:- are sujal...tumhari hi biwi hai yar...aise kya dekh rahe ho...

hema:- are wah... bahut khubsurat lag rahi ho...tum par hindustaani kapde jayada achhe lagte hai...

kashish;- thanku aunty...

hema:- chalo sab nasta karo...aur fir hume nikalna hai...

sujal:- kya baat hai...,. bahut khubsurat lag rahi hai... ( kashish just looking at him...)... kya hua...

kashish:- aaj tumne pehli baar meri taarif ki hai...

sujal:- kyuki aaj pehli baar tu mujhe achhi lagi...chal...

sabhi nasta karte hai aur manali ke liye nikal jate hai...sujal kashish bhi is family ke sath khush the...after about 2 hrs wo pahunch gaye... sabhi mandir jate hai...kashish ladies ke sath hai.. to sujal boys ke sath... sabhi pooja karte hai... dadu dadi ek dusre ko har pehnate hai...aur dadu dadi ki mangh bharte hai...aur mangalsutra bhi pehna dete hai...

pandit ji:- agar aapke pariwaar me abhi kisi ki nayi saadi hui hai to we sabse pehle inka aashirwaad lele.. isse unki jodi sada bani rahegi inki tarah...

sia:- humare pariwar me to...ha sujal kashish... tum dono jaao...

kashish;- kya... hum...

hema:- ha beta chalo...

sujal kashish jate hai aur dadu dai ka ashirwad lene hi wale hote hai ki...

pandit ji;- aap dono pati patni hai... ( sujal kashish looks at eachother)...

sujal;- ah... ji...

pandit:- to inki maangh suni kyun hai,... ( sindoor dete hue...) yeh lijiye...inki pehle mangh bhar dijiye...suhagan ki mangh suni nahi honi chahiye...khas kar mandir jaise pavitra sthan me...

sujal;- par...

dadi:- are bhar do na... tumhari hi biwi hai...

sujal:- ji...

sujal thal se sindoor leta hai...aur kashish ki mangh bhar deta hai...kashish closed her eyes...ek azeeb sa ehsaas hua use...uski aankh bhar aai...phir dono ne dadu dadi ke pair chhukar aashirwaad lia...

dadi;- jite raho...sada suhagan raho...sach me tum dono ko dekh kar aisa lagta hai mano...tumhari jodi janmo janmo ki hai... are kashish...teri aankh me aanshun...

kashish:- nahi wo bas aise hi...

sujal:- main abhi aaya...(sujal left)...

dadi:- bahut pyar karti hai na sujal ko...( kashish looks at dadi)... teri aankhon me dikhta hai...wo bhi karta hai... tum dono khush raho yahi dua hai...

pandit ji:- ab baki sabhi bhi inka aashirwaad le lijiye...

sabhi loge dadu dadi ka ashirwaad le lete hai...kareeb ek ghante baad,...

shivam;- to sujal kashish...ab hum to yahan se kullu jayenge...aur aap...

sujal;- nahi humein yahan kaam hai...aap sab ka sukriyaa...ab hum chalte hai...

dadi;- chalo achha...tum dono se milkar achha laga...

all;- bye...

sujal & kashish;- bye...

sujal;- yeh to wo mandir nahi hai...chal...aur logon se puchhte hai...tujhe kya hua...itani shant kyun hai...

kashish:- nahi kuchh nahi...(kashish remembers dadi's word...bahut pyar karti hai na sujal ko...wo bhi karta hai... teri aankhon me dikhta hai... tum dono khush raho yahi dua hai... then she rembers about sujal filling her mangh...a tear flows down to her cheek...and a smile appears on her lips...)

sujal:- kya hua...

kashish:- kuchh nahi...wo bahut achhe the...

sujal:- ha..apun ko bhi unse jhuth bolna achha nahi laga...chal...

thodi der sujal kashish sabhi se aur guide se us mandir ka puchhte hai...par unhe kuchh pata nahi chalta hai...ab kashish aur sujal ek dhaabe me baithe hai...

sujal:- bol kya khayegi...

kashish:- kuchh bhi...tum order karo main abhi aai...

sujal khana order karke aata hai...to dekhta hai ki kashish apna muh dho rahi hai...thandi hawa uske chehre ko chhu kar ja rahi thi...uske kaan ke kundan uske kandhe ko choom rahe the... kashish khubsurat hai yeh to sujal ko pata tha...par aaj wo kuchh jyada hi haseen lagi sujal ko...kyuki usne saree jo pehen rakhi hai... tabhi sujal ki nazar kashish ke head par gayi... use yaad aaya ki kis tarah usne uski mangh bhari... aur sujal apne hi khayalo me kho gaya...

-------------------------------------------
ek din kabhi jo...khud ko tarashe...
meri nazar se... tu jara...
haaiii ree...

(sujal is looking at her...)

aankhon se teri... kya- kya chhipa hai...
tujhko dikhaau main... jara...
haaiii ree...

(kashish turns & find sujal looking at her she smiles)

ek ankahi si...daastaan...daastaan...
kehne lagega aainaa...

(kashish just sits infront of him)

subhalallaah...jo ho raha hai...
pehli dafaa hai wallaahh...
aisa hua...

(sujal looking at her...kashish waves her hand infront of him)

subhalallaah...jo ho raha hai...
pehli dafaa hai wallaahh...
aisa hua...

(sujal felt embarasing starts to eat)

meri khaamoshi se... baatien chun lena...
unki dori se... taarife bun lena...
aaahhh...
hooo meri khaamoshi se... baatien chun lena...
unki dori se... taarife bun lena...
(sujal is standing at a rock and just thinking about moments of kashish and his)

kal nahi thi jo... aaj lagti hun...
taarif meri... hai khama kha...
tohfa hai tera...meri adaa...
(kashish is feeling his gaze on her...she is a bit liking this attitude of sujal...she is remembering abt how sujal was looking at her when she was in saaree)

ek din kabhi jo...khud ko pukaare...
meri jubaan se...tu jara...
haaiii ree...
(kashish closed her eyes and imagining her & sujal on the ice place hugging eachother)

tujhme chhupi si...jo sayari hai...
tujhko sunaau main jara...
haaiii ree...

(now sujal also thinking like that... sujal separates some layers of her hair from her eyes)

yeh do dilon ka wasta...wasta...
khul ke bataya jaye naa...
(both hugs eachother...very tightly...)

subhalallaah...jo ho raha hai...
pehli dafaa hai wallaahh...
aisa hua...

(both are lost in eachother arms...both are imagining same things...)

subhalallaah...jo ho raha hai...
pehli dafaa hai wallaahh...
aisa hua...
(some one said some thing to sujal...and he came out out of his actually unwanted dreamland)

subhalallaah...jo ho raha hai...
pehli dafaa hai wallaahh...
aisa hua...

(sujal is now out of his thought...he came to kashish...and called her out)

subhalallaah...jo ho raha hai...
pehli dafaa hai wallaahh...
aisa hua...

(kashish was still smiling...sujal touched her soldier...which make her out of her beautifull dream land)

movie:- yeh jawaani ha diwaani...


sujal:-kashish chale... bahut late ho raha hai...(sujal nazare chura kar baat kar raha tha...)

kashish;- ahh... ha chalo...

dono chale jate hai...aur kuch aur mandiro ko dekhte hai...

sujal:- maine pata kiya hai...yeh yahan ka last madir hai...iska matalab yeh mandir yahan nahi hai...tabhi wahan ek buzurg aaye...

old man:- kya hua bachho...kuchh dundh rahe ho kya...mandir ke baahar aaye ho ander chalo...

sujal:- kaka...yeh mandir dekhiye...hum is mandir ko talash kar rahe hai...aap bata sakte hai kya ki yeh madir kahan hai...

wo buzurg us sketch ko bahut gaur se dekhte hai...

sujal;- humne yahan manali ke saari mandiro ko dekha...yahan to nahi hai...aap bata sakte hai ki utranchal pradesh ke kis jagah par yeh mandir hoga...kuchh andaza ho to bhi bata de...

old man:- yeh mandir toh...ha ha...yeh madir toh shimla me hai...

sujal & kashish:- shimla...

old man:- ha...main ja chuka hun is mandir mein...bahut purana mandir hai shimla ka...

kashish:-ji thankyou uncle...sujal...shimla chale...

sujal:- thanku kaka...kashish abhi toh koi bus nahi milegi...chalo station jakar pata karte hai...

sujal aur kashish station jakar pata karte hai par subah se pehle koi train bhi nahi thi...

kashish ;- ab kya kare...

sujal:- ab kya fir se raat guzarne ka intezaam karna hoga...chalo kisi se kisi hotel ka puchhte hai...

fir dono hi ek chhote se hotel me raat guzarte hai...aur yahan dusri taraf viraj mumbai aa gaya hai... jab wo hotel gaya to maahi ne use kashish ke naa hone ke bare me bataya...viraj ka gussa saatve aasman pe tha... rat bhar maahi aur viraj kashish ko call kar rahe the par kashish ka phone switch off aa raha tha... viraj ne tushar ko bula liya... wo bhi hotel me hai... badi muskil se subah kashish apna phone charge karti hai to dekhti hai ki uske papa ke aur mahi ke missed calls hai...to usne redail kiya...

kashish:- ha dad kya hua...

viraj;- what the hell is this kashish... tum ho kaha...

kashish;- dad wo main...

viraj;- mujhe kuchh nahi sunna... jahan bhi ho isi waqt aao main maahi ke sath tumhara wait kar raha hun...

kashish:- par dad...

viraj:- kashish no other words...(he cuts the call)...

sujal;- chale shimla...teri manzil...

kashish:- nahi...humein abhi mumbai wapas jana hoga...

sujal:- hat gayi hai kya teri...itani muskil se yahan tak pahunche hai aur tu hai ki...

kashish:- sujal dad india aa gaye hai...bahut gusse me hai... mujhe jana hoga sujal... hum shimla baad me aa jayeinge...

sujal;-kya baad me...

kashish;- dekho sujal... plzz samjho.. mere dad...unhe nahi pata...( kashish is almost crying...)

sujal:- achha... ro mat yar... chal wapas chalte hai...

phir sujal kashish manali se mumbai ki pehli train pakad kar wapas aate hai...wo kareeb 14 ghante baad mumbai pahunchte hai...

sujal:- chal tujhe hotel drop kar du...

sujal kashish ko uske hotel drop karta hai...dono hi R&G ke ander ja rahe hote hai ki saamne se piyush aur swayam viraj se milkar laut rahe hote hai...sujal ne sawayam aur piyush dono ko dekha...par jaise hi swayam aur piyush ki nazar wahan padne ko aai...sujal ko kisi ka dhakka laga aur wo peeche mud kar dekhne laga...jisse kashish bhi mud gayi...aur swayam aur piyush unke bagal se nikal gaye...yahan maahi aur tushar dono hi viraj ke sath hai...tabhi kashish door knock karti hai...aur maahi darwaja kholti hai...

maahi:- kashish...(both hugs...)

kashish:- dad...

viraj:- what is this kashish...(viraj ne sujal ko dekha...)..yeh kaun hai...

kashish:- dad...yeh mera frnd hai...

viraj:- yeh tumhare sath kya kr raha hai...?

sujal;- uncle...apun ka naam sujal hai...apun hi kashish ke sath tha wo...

tushar in his mind:- sujal...yeh naam to...khair ek naam ke kai loge hote hai...par yeh kashish ke sath...

viraj;- maine tumse pucha...khair kya karte ho aur rehte kahan ho?

sujal;- apun ka khud ka garaze hai...aur apun borivali ki chawl me rehta hai...

viraj:- kashish...tumhari dosti is do kaudi ke...

kashish:- dad aap...

sujal:- oh sun mana ki tere paas bahut paise hai...par khabardar jo apun ko kuchh kaha to... rakh apni beti apne pass... (sujal kashish ka bag wahi fek kar chala jata hai...)

tushar:- oh god uncle...he is so ilitrate...

kashish:- tumse kisi ne puchha... wo jaisa bhi hai tumse to behtar hai...

viraj;- kashish...tum tushar se aise...khair just leave it...aaj ke baad us machanic se nahi milogi...(dhamake on kashish face)...

kashish:- lekin kyun dad...aap aise kyun wo mera dost hai aur...

viraj;- bas keh diya na...aur aaj ke baad kahi jaogi to tushar ke sath jana... maine ek faysla kiya hai...main tumhari saadi tushar se karawa raha hu...( dhamake on kashish & maahi's face)...

kashish:- kya... no way...

viraj;- lekin kyun...tushar is very nice guy...indian hai...achhe ghar ka hai...aur ab tumhari harkate achhi nahi hai...ab i think tumhari saadi kara hi deni hogi...aur maine rewa aunty ko keh bhi diya hai...ki tumhari saadi hogi to tushar se...aur ha kal main london ja raha hu...3 din baad wapas aaunga...tab tak ready rehna...tumhari engagement kar denge...

viraj itana keh kar swayam aur rewa se milne gaya aur uske peeche tushar bhi...yahan kashish sirf ro rahi hai...

kashish;- maahi... dad aisa kaise kar sakte hai main us tushar se nahi kar sakti... dad kyun nahi samajhte...

maahi:- chup ho ja kashish...chup...abhi wo gusse me hai...unhe london se aa jane de...phir main aur tu shanti se unhe samjha denge...

kashish:- unhone sujal ko bhi...( maahi is thinking something...)

maahi:- waise kya kami hai tushar mein...kyun nahi karna chahti tu usse saadi...

kashish:- yeh tu puchh rahi hai... mahi tu janti hai ki main india kyun aai hun mera...

maahi:- uska teri saadi se kya lena dena... kahin aisa to nahi ki tu kisi aur se saadi karna chahti hai...

kashish:- maahi mujhe kuchh samajh nahi aa raha hai... mera dil use chahta hai mahi...par maahi...par maahi wo bahut alag hai...

maahi:- bhul ja ki usme aur tujhme economy disparity hai...ab apni aankhien band kar...(kashish closes his eyes) ab soch tu kya chahti hai...

kashish ko apni band aankhon se sirf aur sirf sujal ka chehra nazar aa raha hai...unki pehli mulakat...jhagda..dosti manana...holi...dance...ladna...ek hi tent me sona...aur fir sujal ka kashish ki maangh bharna... kashish apni aakhien kholti hai...jahan ek taraf uske aankhon se aanshun beh rahe the to dusri taraf...suke honthon par muskaan thi...usne maahi ko hug kar liaa...

kashish (still hugging):- i love him maahi... i love sujal...par wo nahi karta maahi...

maahi;- wo sab chhod...yeh le phone...kar viraj uncle ko phone wo gaye hai na...R&G house un logon se baat karne... par tu unhe keh de ki tu kya chahti hai...abhi...

kashish:- par...

maahi:- trust me... kar...

viraj R&G house me baitha hai...sabhi loge baat kar rahe hai,...rohan aur ruhi bilkul khush nahi hai ki kashish ki saadi tushar se...wahi veena ko bhi yeh rishta manzoor nahi kyuki uske mutaabit kashish ka janm sujal ke liya hua hai...bhale abhi tak wo sujal se nahi mili par use yakeen hai ki sujal ayega...ki tabhi achanak se viraj ka phone bajta hai...wo phone pick karta hai...

viraj;- ha kashish...

kashish:- dad... i love sujal... main tushar se saadi nahi karungi...( dhamake on viraj's face...) main sujal se shadi...

viraj (shouting):- chup...bahut bol lia...tum us 2 take machanic ke lie...mujhse jabaan lada rahi ho... tumhari saadi hogi to tushar se...samjhi tum...aur khabardar jo aaj ke baad kaha bhi to ki tum us do kaudi ke ladke se pyar karti ho...(R&G me sabhi shocked the...) viraj phone kat deta hai...

rohan in ruhi's ears:- machanic...di iska matalab kashish sujal se...

ruhi:- hmmm... i m very happy for themm... abhi chup reh kuchh mat bol... koi sun lega to...

rewa:- kya hua viraj... yeh tum...aur kashish kisi aur se...

viraj;- aunty main kashish ko yahan isliye chhod kar gaya tha ki mujhe yakeen tha ki wo yahan par rahegi to aap logon se ghul mil jayegi...aur fir tushar aur ki kashish ki shadi par... i m sorry par...kashish ki dosti kisi do kaudi ke gunde gawar ladke se ho gayi hai...yahan ki kisi chawl me rehta hai... do kaudi ka garaze hai uska bloddy machanic... pata nahi meri beti ka kaisa brain wash kiya hai...ki wo ab yeh keh rahi hai ki wo us ladke se pyar karti hai...

lalit:- kya to.. kashish ki shadi usi se kara do jisse wo pyar karti hai...

viraj;- yeh aap kya keh rahe hai lalit uncle...wo ladka mere ghar me naukar banane layak nahi hai...aur aap chahte hai ki main use apna damaad...

vasu;- oh common lalit...ek itani khubsurat aur paise wali ladki ko koi macahanic to definietly deserve nahi karta hai...

viraj;- dekho piyush jo sach tha wo maine bata diya...ab kya tum tushar ke liye kashish ko...

vasu;- isme kya hai... waise bhi keechad heere ko deserve nahi karta.. tum chinta mat karo...kashish ki saadi tushar se hi hogi...

viraj;- thanku...to main london se aate hi in dono ki sagai kar dunga...bahut important hai warna main jata hi nahi... waise rishi..tum kuchh nahi bol rahe...

rishi:- main kya bolu jo aap logon ko sahi lage...waise pyar karne wale milte jarur hai...

next day...chawl...

end of part 8
press like if u really liked it
do comment
love chandni

**********************************************************
**********************************************************
Edited by rkchandni - 9 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#56

Originally posted by: nilusoni

gr8 part

thanx for pm


Thanks nd wlcm
.FlyingClouds. thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#57
Wow!!
Gr8
But when will sujal realise his love? When will he meet his family members? Sk ki memory kab aaygi? When will they take revenge? There are so many questions to be asked. Hope they get answered soon.
0913155 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#58
Wowooo beautiful suberb update😊ppz cont soon thanks for pm😃😆
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#59
Sub se pehle to ek baraaa wala sorry late coment krne kelye pr wajha me tumhe bta chuki hain dear par phr bhi tumhare kaan pakar k shooorry
To ab aate hen story ki taraf

Part 1
To sujal kashish are already maaried thats the lovly thing in this story or unki ek cute si beti bhi hai wowww to sujal kaahish ek dusre se bphat pyar krte hen...or ye tushar bacha hai??? Oh desh piyushe him 😡😡😭 anyways very nice part

ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#60
Part 2


Oh god ruhi ko kidnap krlya piyush pr soyam ne bichare sujal kashish...ab kahin kashish sujal pe police lane ka ilzam na lgade...hawww ruhi ko mardya yeh kya krdya yar

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: goodkashish · 6 years ago

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 3 months ago

This story has been inspired by the 2002 Malayalam film Nandanam, and was written at the request of Jasminerahul. It is my humble attempt to...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 1 months ago

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 3 months ago

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".