PHIR MILEINGE - Saath Saat Janmo ka.... Sujal Kashish ** Completed**.. - Page 12

Created

Last reply

Replies

253

Views

46.6k

Users

17

Likes

359

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: RNforever

nice part
abhi story flash back me chal rahi h gud
kashish or sujal dono he ek dosre se phele he nazar me pyaar ho gaya h ya yeh sirf ek attraction h lets see
sujal ne bachaya kashish ko par jada herogire na dekha kar akale se kaam liya intelligent h
piyush bachpan se he sujal se jalta h o.m.g kitna bura h wo vasu or piyush kashish ke bare me souch rahe h par kashish sirf 12 pass h piyush nhi karne wala usse shadi
kashish toh sirf sujal ki h



love naina


Ha kashish sirf sujal k hai

Thanks dear naina
drshabnam3 thumbnail
Posted: 9 years ago
hello chandni...this part is also super awsmm...flashback bhut achi h yr sujal kashish scenes too gud...mje lga hi nhi padhte padhte update kb khtm ho gyi...eagressely waiting for next one...thnks for pm..😊
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: drshabnam3

hello chandni...this part is also super awsmm...flashback bhut achi h yr sujal kashish scenes too gud...mje lga hi nhi padhte padhte update kb khtm ho gyi...eagressely waiting for next one...thnks for pm..😊

Oh thanku dear will update soon
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
*** PHIR MILEINGE - sath saat janmo ka***

Part 13

kashish:- mehek...(she left to mehek's room)...

kashish jab mehek ke room me gayi to mehek so rahi thi...kashish ne use nahi jagaya aur apne room me wapas aa gayi...

kashish:- mehek toh apne room me hai...phir us ladke ne phone me aisa kyun kaha tha ki mehek us pub me...kya ho raha hai yeh sab...

mehek's room...

kashish ke jaate hi mehek uthi...usne apne upar se chaadar hataya..wo unhi pub ke kapdo me thi...

mehek:- thank god...rishi ne mujhe waqt pe pahuncha diya warna di aur papa ko kya kehti main... rishi...nice guy...(mehek smiles and left to washroom...)...

next day...

sinha house...

kashish;- achha papa...main chali jaungi...aur ha mehek dhyaan rakhna ok...papa jaise hi anu ki vidaai ho jayegi main wapas aa jaungi...

mehek:- kya di abhi to delhi se aayi thi aap...ab palampur ja rahi ho...fir se...

kashish:- ab anu aur shruti do hi to meri dost thi...ab inki shadi me nahi jaungi to kahan jaungi...ab main college to gayi teri tarah ki mere bhi kai sare dost bane...

mehek;- ok di aap jao...

kashish:- papa main chalu...warna meri bus miss ho jayegi...

proff sinha:- ha beta dhyaan rakhna...

R&G house...

veena:- dhyaan rakhna apna...theek hai...

sujal;- ok mumma...bye aunty...

vasu:- byee...(sujal left ...)...

here on bus...

kashish bus me baithi thi...ki ticket checker ata hai...

TC:- madam aapki ticket...

kashish:- bhaiya maine to aapko pehle hi ticket di thi jab main bus me chadi thi...

tc;- kyun jhooth bol rahi ho madam...chaliye ticket dijiye...

kashish:- are main kyun jhoot bolungi...maine aapko ticket di hai...

tc:- dekho mera dimaag kharaab mat karo...aur ticket ke paise do...

kashish:- oh ab samjhi...phir se paise chahiye isliye naatak kar rahe ho...main paise to dubara nahi dungi...

tc:- achha main naatak kar raha hu...oh raju...gadi rok...chalo madam utaro bina ticket ke main aapko nahi leke jaunga...

kashish:- kya pagal ho gaye ho kay..main yahan kaha utru...

tc;- nahi main naatak kar raha hu na...to ab aap yahan se dusri bus aapko mil jayegi...usi se jana...

kashish:- chhodungi nahi main tumhe...bhad me jaao...dekhna tumhari ye bus aage jakar puncher ho jayegi...ek nahi cahro tyre puncher ho jayege...

a passenger:- oh madam...ek to bina ticket baithi ho...dikhti to achhe ghar se ho aur...

kashish:- abe oh...kya ha...dikhti hu ka kya matalab ha...main achhe ghar se hu..aur aapko kisne bola apne yeh meethe wachan bolne ko...bhaad me jaao...aur kashish gusse me apna samaan lekar neeche utar gayi...aur bus aage chali gayi... jahan kashish utari thi wahan door - door tak ek parinda bhi nahi tha...

kashish:- hey bhagwaan yeh maine kya kiya...yahan toh koi bhi...kashish tu sabse badi paagal hai,...ab kya karegi...use paise hi de deti...par usne kaha tha ki bus aayegi...chal thodi der wait kar saayad bus aa jaye...

kashish wahi par road pe ek rock type jagah pe baith gayi...20 minute ho gaya koi nahi aaya..kashish ko ab bahut dar lag raha tha...ki achanak uski nazar ek red coloure ki sport car pe padi...usne lift lene ka ishara kiya...wo gaadi aakar kashish ke saamne ruki...aur kashish bas us ladke ko dekh rahi hai...

sujal;- aap yahan bhi...

kashish;- aap...

sujal:- ab aap yahan is sun saan raste me kise dhoondh rahi hai... aapki behen phir se kho gayi...(kashish makes irritating face...) ok ok...par batao to...

kashish:- wo mujhe palam pur jana hai...lift milegi...?

sujal:- ha jarur main bhi wahi ja raha hu...par aap batayeingi ki paidal palam pur kyun ja rahi thi... (kashish apna samaan peeche rakhti hai...aur car me jakar baith jati hai...) wah kya jabarjasti hai...

kashish:- kya abhi aapne hi toh kaha ki aap bhi paalam pur ja rahe hai..to mujhe bhi chhod dijiye...

sujal;- woh to main chhodunga hi...par aapne mere sawaal ka jawaab nahi diya...

kashish:- pehle aap gaadi chalaiye...(sujal starts the car...)...

sujal:- ab aap bataiyengi ki aap yun paidal paalam pur kyun ja rahi thi...

kashish:- main paidal nahi thi...wo hua yeh ki...(then kashish told him about her fight with TC)...

sujal:- kya...aap u know what aap se jayada paagal insaan maine nahi dekha...is sun raste me aap utar gayi bas se...agar main nahi aata toh...

kashish:- toh kya koi aur lift de deta...

sujal;- aap itani bholi sach me hai...ya banne ka naatak karti hai...

kashish:- matalab...

sujal:- yelo... kashish aapko pata hi hoga ki aap bahut khubsurat hai...(kashish smiles...)..yahan aaj kal loge kisi chhoti umra ki ladki ya...kisi badi umra ki kuchh khaash na dikhne waale aurto tak ko to apni hawash ka shikaar bana lete hai...aur aap is yug kisi mard se expect karti ho ki koi aapko yahan sun saan raste me yunhi chhod dega...aapke sath kuchh galat nahi karega...(kashish dar gayi...)...are...woh main waisa nahi hun...plzz ha...woh main bata raha tha ki aage se khyaal rakhna... i promise u... main aapko sahi salaamat pahuncha dunga paalam pur ghar tak...pakka...aap araam se baitho...(kashish relax hoti hai...) sorry agar maine aapko kuchh galat keh diya ho toh...

kashish:- nahi aapne sahi kaha...galati meri thi...par aapse ek sawaal puchu...

sujal;- ha puchiye...

kashish:- aap bhi toh ek ladke hai...aapke man me nahi aaya...mera fayda uthaana...( sujal stops the car... with anger...)...

sujal;- look...main unme se nahi hun...ha main yeh nahi kehta ki main har ladki ko apni behen ki nazaro se dekhta hu... par main aurto ki izzat karta hu...kyuki meri mumma bhi ek aurat hai...aur main unse bahut pyar karta hu...aur mere saamne jo bhi aurat ya ladki ho...wo bhi kisi ki mumma, behen ya beti hogi...samjhi...

kashish:- sorry...

sujal;- its ok...aap ki galti nahi hai...

kashish:- aap se ek baat kahu...

sujal:- hmm kaho...

kashish:- aap mujhe aap keh kar mat bulaiye... mujhe aisa lagta hai ki main aapki aunty hun...(sujal starts laughing...)...

sujal;- achha...to main kya tumhara uncle hun... nahi na...toh fir tum bhi mujhe tum kaho...

kashish:- nahi...nahi keh sakti...

sujal:- are kyun...

kashish:- bola na...

sujal:- ok cool...

kashish:- waise kitna azeeb hai na...us din se jab bhi main kisi musibat me hoti hun aap aa jate hai...

sujal:- ha i m superman...(both laughs... aise hi 1 ghanta beet gaya...) kashish...

kashish:- hmmm...

sujal:-yar main bore ho raha hu...

kashish:- main bhi...waise aap kaha ja rahe hai...?

sujal;- main...are tumhe kal maine mere frnd se milaya tha na...pratham...usi ki shaadi hai...wo aaj subah hi nikal gaya apni family ke sath...main ab ja raha hu...

kashish:- oh pratham...unki hone wali wife ka naam kya hai...

sujal;- anu...

kashish:- anu punj...?

sujal;- ha...par tumhe kaise pata...

kashish:- kyuki wo meri school frnd hai...hum 12th tak sath hi padhe hai... aur main usi ki saadi me paalam pur ja rahi hu...

sujal:-oh wow...matalab humari manzil ek hi hai...

kashish:- ha...

sujal;-waise tumne college kaha se kiya hai..?shimla se...?(kashish ka chehra utar gaya...)...wo kya hai na...main anu se college me mila hu...par tumko kabhi nahi dekha...

kashish:- wo...main kabhi college nahi gayi...

sujal;- kya...?

kashish:- ji actually main 12 std me thi jab meri mumma ki death ho gayi...meri behen mehek mujhse chhoti thi...mumma ke jaane ke baad papa ki tabiyat bhi bigad gayi...bas fir mehek ko sambhalna...papa ko sambhalana..is sab me main aage padh nahi paayi...sirf 12th pass hu main...

sujal;- oh...tumhe dekh kar lagta nahi hai...khair padhaai nahi insaan matter karta hai...ki aap ki soch kya hai...aapka nazariyaa kya hai...aur jitna in chand dino me maine tumhe jana hai tum to un logon me se ho jinki main umra bhar izzat karunga...(kashish just looking at him with lots of respect and likeness)...

kashish:- sach...aapko fark nahi pada ki main kam padhi likhi hun...

sujal;- nahi...look mujhe dekho...main to india se baahar padha hu...to kya mere sir pe singh ug aaye hai nahi na...janti ho kashish...meri mumma ne humesha mujhe ek baat sikhaai hai ki...beta sujal...zindagi me... aap kya kaam karte ho wo mayne rakhta hai...aap kya the ya kya ho nahi...aapki baat mayne rakhti hai...aapka naam nahi... aapke karm bolte hai...aap ka audha nahi... aapka behaviour maayne rakhta hai...aapki degree nahi...aur jahan tak tumhara sawaal hai... tum to ek dam perfect ho...(Sujal smiles...and kashish too...)...

kashish;- thanku...aap pehle wo insaan hai jise mujhme koi kami nahi dikhi...jinse meri kami ko bhi meri khubi me badal diya... aap bahut achhe ho sujal...

sujal;- look main koi achha wachha nahi hun... i m a devil...(both laughs...)...waise ab tumhare ghar me koi problem hai kya...

kashish:- nahi...u know mere papa proff hai...sab yahi kehte hai.ki proff hote hue bhi beti ko na padha paye...

sujal;- what rubbish...isme unki galti nahi hai...halaat hi aise rahe honge...ab meri baat suno...agar ab koi problem nahi to tum apni studies fir se continue karo...abhi tum budhdhi thodi na hui ho... dekho bura mat manna par..bhale meri soch aisi hai...abhi tumhi ne kaha na...ki logon ko kehne ka mauka milta hai to unka muh band kar do...college start karo...aur un sabke muh pe degree mar kar dikhao...u will feel proud... kya kehti ho...

kashish:- idea achha hai...ab mera pati agar izazat dega to jarur karungi...(sujal stops the car...)...

sujal;- kya... tum shadi suda ho...

kashish:- nahi nahi...wo papa keh rahe the ki jald hi meri shadi kar deinge...

sujal:- oh...(starts again..) waise itani umra bhi nahi hogi tumhari...kya age hai waise abhi...

kashish:- 22...

sujal:- bas... i m 24 meri abhi tak nahi hui aur tum itani jaldi karogi...

kashish:- aao ek ladke ho...aur main ek ladki fark hai hum me...

sujal;- ha india har maamle me better hai yaar...par yeh ladka ladki ka fark... i just hate this...

kashish;- ab kya kare sabki soch aap jaisi nahi hai na...

sujal:- yup...

kashish:- personal hai...

sujal;- are puchho na...

kashish:- aapne kabhi kisi se pyar kiya hai...

sujal;- nahi toh kyun..?

kashish:- nahi woh us din train me aap jab ga rahe the toh aisa laga ki aapko kisi ka intezaar hai...

sujal;- ha wo toh hai...mere pyar ka...look...main pyar par bahut vishwaas karta hun...bachapan se mumma ne mujhe humesha se yahi kaha hai...koi na koi aapka intezaar jarur kar raha hoga...jo sirf aapko pyar karega...aap kaun ho...aap kya ho...is baat se use koi fark nahi padega...woh sirf aap se pyar karega...aapki rooh se pyar karega...u know... is zindagi ke is paar hi nahi...balki us paar bhi aapka aks ban kar aapke sath chalega...pyar bahut hi khubsurat ehsaas hai kashish...

kashish:- achha... toh aap mujhe pyar ka real matalab batayeinge...

sujal:- ha jarur...

kashish:-
la la la la la la la la laalalala...
la la la la la la la la laalalala...
(kashish is singing and sujal looking at her...)

kya hai pyar bataao na...dil ka chain ya dil ka rog...
bada kathin hai pyar nibhana...aisa kyun kehte hai loge...

kya hai pyar bataao na...dil ka chain ya dil ka rog...
kya hai pyar bataao na...dil ka chain ya dil ka rog...
bada kathin hai pyar nibhana...aisa kyun kehte hai loge...
(sujal stops the car...aur dono bahar aate hai...kashish abhi bhi ga rahi hai...aur sujal kue( wel) me ke pass jakar khada hota hai...)

sujal:-
yun toh pyar sabhi karte hai...magar nibhate hai kuchh loge...
(sujal balti se kue me se paani nikal raha hai...)

kashish:-
kya hai pyar bataao na...dil ka chain ya dil ka rog...
(kashish use bagal me jakar khadi hui...)

kashish:-
pyar chubhan hai...pyar agan hai...
pyar chubhan hai...pyar agan hai...
aisa sab kyun kehte hai...
sunte hai do pal ki khushi me..aanshun umar bhar behte hai...
(sujal pani pee raha hai aur kashish wahi ek bade se rock me baith jati hai...aur aasmaan ko dekh rahi hai...)

sujal;-
hoo...pyar samarpan hai...pyar hai pooja...
pyar ke rang sa...na rang koi dujaa...
pyar me do aanshun jo,bahe bhi to kya hai...
pyar ki barkha ka apna maja hai...
lekin pyar kiya nahi jata...yeh toh hota hai sanjog...

(sujal balti lekar kashish ke bagal me aakar baith gaya...aur aasmaan ki ore dekhne laga... kashish pani peeti hai...aur apni chunni se apna muh saaf karti hai..)

kashish:-
kya hai pyar bataao na...dil ka chain ya dil ka rog...
kya hai pyar bataao na...dil ka chain ya dil ka rog...

(kashish jakar car ki bonut par baith jati hai...aur sujal ko dekh rahi hai...)

kashish:-
achha toh kuchh aur bataao...pyar me kya - kya hota hai...
pyar kisi se ho jaye toh...kaise bayaan wo hota hai...
(sujal ek pyari se smile ke sath aata hai aur uske bagal me baith jata hai...)

sujal:-
are...pyar hai wo kaisa jo, karna pade bayaan...
nazaro se padhte ha..i dil ki jubaan...
pyar ki duniyaan toh sabse juda hai...
pyar se meheka yeh saraa jahaan...
(sujal kashish ke kareeb jakar uski aankhon me dekhta hai...aur use wink karta hai...kashish muskura deti hai...sujal kashish ki ek palak utha kar kashish ke hanth me deta hai...aur kashish ki ankh ko apne hath se band kar deta hai)

kashish;-
samajh gayi main pyar ka matalab...
yunhi kehte hai sab loge...
(kashish apni aankhien kholti hai...tab tak sujal wapas driving sheet me jakar baith jata hai..)

sujal;-
yun toh pyar sabhi karte hai...magar nibhate hai kuchh loge...
(kashish bhi jakar baith jati hai...)

kashish:-
yun toh pyar sabhi karte hai...magar nibhate hai kuchh loge...
(sujal gadi chala raha hai...kashish bhi smile ke sath use dekh rahi hai...)

sujal:-
pyar se duniyaan...

kashish:-
pyar se khushiyan...
phir bhi isko kehte roge...

(aise hi haste gaate inka safar pura hota hai...aur finally yeh loge anu ke guest house pahunche...)

movie:- Pardeshi Babu...


kashish sidha anu ke kamre me gayi to sujal pratham ke pass...

pratham;- to finally tu aa gaya...ab jamega meri shadi me rang...

sujal:- ofcrz...hum hai hi aise...u know...

pratham:- sujal the best...waise tu kashish ko kyun lekar aaya...?

sujal:- are wo anu ki frnd hai...maine use yaha tak lift di...wo bhi yahi aa rahi thi...

pratham:- oh...waise nice ha...

sujal;- chup be...

anu's room...

anu;- hey kashish finally u came...kaisi hai...aur tu late kaise ho gayi...

kashish:- are kya batau kya panga ho gaya tha...agar sujal nahi hote na toh...

anu:- sujal...pratham ka frnd...tu use kaise janti hai...wo bhi toh aane waale tha...

kashish;- ha wahi...actually...(then kashish told her every thing...and smiling...)

anu;- kya baat hai...picnic manate aaye ho ha...?

kashish:- are nahi yar wo toh bas... u know wo sabse alag hai...

anu:- kuch kuch hota hai...

kashish;- kya...

anu;- are ab aap apni love story aise batayiengi toh...

kashish;- kya bol rahi hai...main sujal se pyar nahi karti...

anu:- are maine kab kaha ki tu SUJAL se PYAR karne lagi hai...

kashish:- anu ki bachhi ruk...(anu ran away...) pyar...sujal se...kya sach me...par itani jaldi kisi se pyar hota hai kya...

anu from wash room's door:- meri jaan...pyar toh ek pal me ho jata hai...sochna jarur...waise main mil chuki hu usse...banda hai to bada dhaashu yar...kya dikhta hai...

kashish:- tu ruk...(anu close the door... kashish just smiling...)...

rat me sabhi kha pee kar so gaye...sujal aur pratham ek sath ek bed pe the...sujal kuchh soch raha tha...uske saamne aaj ke safar ki tasveere guzar rahi thi...

pratham;- kya baat hai...kashish ke baare me soch raha hai...

sujal;- hmmm...are nahi nahi...main to bas...

partham;- dekh sujal...agar tu use pasand karta hai...to isme bura kya hai...achha yeh bata tune kaha tha ki tu usse pehle bhi mil chuka hai...kab kaise...

sujal:- wo toh train me...actually...( then he told him every thing till tonight...)...

pratham;- wow..yeh to kisi hit hindi film ki kahani lag rahi hai...(sujal give him a sharp look)... ok ok par man ja tujhe wo achhi lagne lagi hai...aur hum sab ko pyar ka path padhaane wale sujal ko khud confusion hai...strange...sach kehte hai ki...jab baat khud pe aati hai tab pata chalta hai...

sujal;- sahi kaha tune...par i m not sure ki i know i like her...bcz wo aur ladkiyon ki tarah nahi hai...par may be its just an infatuation...

pratham:- may be na...may be its true love...soch time le...abhi to pure 4 din hai yahan uske sath...khud b khud pata chal jayega...aur fir yeh jaan lena ki woh kya sochti hai...

sujal;- hmm..right...chal so jaa...(both slept...)...

anu's room...
kashish aur anu bhi agal bagal lete hai...

kashish:- anu...kya mujhe sach me sujal se...

anu;- dekh kashish...jo mujhe laga teri aankhon ki chamak dekh kar...ha...par baki tujhpe hai...soch samajh aur abhi to tu uske sath 4 din yahi hai...fir tujhe khud pata chal jayega...

kashish:- achha tujhe kaise pata chala ki tu pratham se pyar karti hai...

anu;- mujhe pratham ka sath pasand tha...uski baatien pasand thi...uski harkate pasand thi...fir dheere dheere..har jagah main use miss karti thi...aankhine band karu to sirf pratham nazar aane laga...bas...

kashish:- par kya sujal bhi mujhse...mujhme aur unme bahut fark hai...tujhe pata hai unhone us din train me kaha tha ki wo first time indian train me baithe hai...soch kitne paise waale honge wo,...

anu;- ha wo hai to bahut ameer...

kashish:- aur fir wo foreign se padh kar aaye hai...aur main to kabhi college tak nahi gayi...

anu;- oh common kashish...yeh baat tu bhool ja...i dont think so use yeh sab matter karega...filhal yeh sab chhod...aur sirf apne dil ki sun...samjhi...ab so ja...kal bahut kaam hai...do - do tareeko se shaadi hai...

kashish:- hmm... gn...

anu:- gn...(both slept...)

R&G house...

vasu:- pata kiya hai maine us ladki ka...kashish sinha naam hai uska...sach batao piyush karoge us ladki se shaadi...wo middle class hai...

piyush:- i dont care mom..par main is maamle me sujal se aage rehna chahta hu...usse pehle meri shaadi hogi...aur aap hi keh rahi thi na ki veena aunty sujal ke liye ladki dhundh rahi hai...aur kashish unhe bahut achhi lagi...to kyun na main hi kashish se...achha wo khubsurat to hai na...

vasu:- ha khubsurat to bahut hai...

piyush;- then just go mom...jab sujal yahan lautega to uske liye surprize hoga...uske bhaai jaise dost ki shaadi...

vasu:- ok...main kal hi jati hun unke ghar lalit ko lekar...aaj hi lalit se baat karti hun...

piyush:- ok... gn mom...

vasu ne lalit se baat ki...toh lalit bahut khush hua...vasu ne kashish ka address bhi pata karwaya hai...ab kal charo loge kashish ke ghar ja rahe hai...aur piyush bhi...

next day...

paalampur...

aise hi shaadi ki taiyaariyon me sabhi lage hue hai.shadi do tareeko se hogi...subah church me acoording to pratham and rat ko hindu riwaj se...sujal kashish ko ek saath kam karne ka mauka bhi mil raha hai... aaj anu ki mehendi aur haldi thi...haldi me sujal kashish ne dulhe dulhan pe kam aur ek dusre pe jyada haldi lagaai... aur shaam ko mehendi ka function bhi chal raha hai...kashish anu ko mehendi laga rahi thi...par sujal ki nazar kashish pe thi... now use ab yakeen ho gaya tha ki he loves kashish...aur kashish wo sujal ki nazar khud par mehsoos kar rahi thi...yahan aise hi function chal raha hai...

shimla...shinha house...

veena, cg, lalit, vasu aur piyush baithe hai...proff sinha bhi unke pass baithe hai ki mehek chai nasta lekar aati hai...veena mehek ko dekh kar khush ho jati hai...

proff sinha:- yeh meri chhoti beti hai mehek...

vasu;- are bahut pyari hai...

cg:- are vasu...tumne pehle bataya nahi... proff shab humare college me hi toh hai...wo kya hai proff saab humari vasu ko aapki beti bahut pasand aai hai humare piyush ke liye...ab aap bataye...

lalit:- ji ha jabse vasu ne kashish ko dekha hai...bas use apni bahu banane ki thaan li...iska bas chale to kal hi in dono ki shaadi kara de...

veena:- kashish..par...

vasu:- are veena...wahi ladki...jise tum mandir me baat kar rahi thi...aur keh rahi thi ki kash humare bachho ke liye aisi bahu mile...maine soch liya...aisi kyun yahi kyun nahi...

veena:- oh...

lalit:- waise vasu ne to kashish ko dekha hai...ab hum bhi dekhna chahege kaha hai wo...

proff shinha;- are yeh toh humara saubhagya hai ki...aap jaise bade loge meri beti ke liye rishta lekar aaye hai...par maanf kijiyega kashish ghar me nahi hai...

cg;- par...

mehek:- uncle...actually di apni frnd ki shaadi me gayi hai...wo shimla me hi nahi hai...

lalit:- oh...

proff shinha:- agar humein pata hota ki aap sab aa rahe hai toh main use rok leta...

vasu;- are koi baat nahi bhaai saab..maine to use dekha hai...aap in sabko khash karke mere piyush ko kashish ki tasveer hi dikha de..

proff sinha:- are ha...mehek...(mehek kashish ki ek bahut pyari tasveer laati hai...jisme wo kisi pari se kam nahi lag rahi thi...sabhi use tasveer ko dekhte hai...piyush ko kashish bahut jyada achhi lagi...)

lalit:- wakai vasu...baat toh hai...humari taraf se toh yeh rishta pakka samajhiye...

proff sinha:- par aap log to mile bhi nahi hai...

veena:- toh kya hua...main aur vasu uski hone wali saas hai...humein koi aitraaz nahi hai...aur humare ghar me wahi hota hai...

lalit:- jo yeh chahti hai...piyush tum batao..kya tum apni mom aur aunty ki pasand ki ladki se shaadi karoge...

piyush:- ji dad...mujhe kashish pasand hai...

cg:- lijiye...ab toh aapki aur kashish ki ha kehne ki der hai...

proff sinha:- agar aisa hai toh humari taraf se bhi hai...jaise hi kashish aati hai...uske kuchh din baad inki shaadi pakki...

veena:- are bhai shaab...aap kashish se to puchh lijiye...

piyush:- ha uncle...shadi toh umra bhar ka sath hota hai...

proff sinha:- sach me bahut kismat waali hai meri beti...aur kashish ki bhi haa hi samjho kyuki wo wahi karti hai jo main kehta hu...aaj tak usne meri koi baat nahi taali...main aapko wachan deta hu kashish ki shaadi piyush se hi hogi...

vasu;- chaliye phir..isi baat pe muh meetha ho jaaye...

vasu & veena hugs mehek...and all mens hugs eachother...

lalit:- achha toh ab hum chalte hai...jaise hi kashish aayegi...hum sagun kar deinge...

proff sinha:- ji jarur...(All left...)...

mehek:- papa...yeh aapne...di se puchhe bina...

proff sinha:- are isme puchhne waali kya baat hai...aur waise bhi mujhe pata hai ki wo kabhi na nahi kahegi...aur phir unhe humari kashish itani pasand hai...vasu ji uski saas ko koi problem nahi hai...

mehek:- par...

proff sinha:- dekho mehek..itana achha rishta dubara nahi milega...isliye main ha kahi hai...kashish aa jaye main baat kar lunga...mujhe yakeen hai ki wo bhi na nahi kahegi...(mehek hugs her father...)...

mehek;- theek hai papa...aapko sahi lagta hai toh...waise sach me...jiju bahut achhe hai...aur di bhi itane bade ghar me bahut khush rahegi...

paalam pur...kashish anu ko mehendi lagane me busy hai...aur reh reh kar sujal ko dekh rahi hai...tabhi bebe aai...

bebe( dolly bindra):- are o khotyo...yahan meri puttar ki shaadi ki mehendi hai...aur koi naach gana nahi...kyun pratham..tere sabhi dost yahan sirf thusne ke liye aaye hai kya...kyun sujal subah toh bahut badi badi baatein kar raha tha...ab kya hua fuss...

sujal;- are bebe...hum ladke waale kuchh kam nahi hai...par sangeet to kal hai...kal nacheinge na...

kashish:- waise maine suna hai aap bahut achha gate hai..nach aapka kal dekh leinge...mehendi hai mere frnd ki...kuchh ga hi de...

bebe:- are kashish yeh kya gayega..chalo o dhol waalo...(tabhi sujal starts singing looking at kashish...pratham teases him...but he didnt care...)

teekhi - teekhi adaa se teri...
chatakne lage...atakane lage iraade mere...
leheki leheki lato se teri...
ulajhne lage...sulajhne lage hai waade mere...
(sujal kashish ko dekh raha tha...kashish uski nazare mehsoos kar rahi thi...baki sab dance kar rahe hai...)

teekhi - teekhi adaa se teri...
chatakne lage...atakane lage iraade mere...
leheki leheki lato se teri...
ulajhne lage...sulajhne lage hai waade mere...
(sujal kashish ke bagal me aakar baith jata hai...anu sab samajh rahi thi...she hits kashish a bit..on which kashish blushed)

dariyaan na sahi...tu chaahat ka...
dede na mujhe...bas ek katra...
tinka - tinka mere dil ka
karta hai tujhse, duaa...
(sujal slowly placed his hand on kashish...no one noticed it but anu does...)

meri mannat tu...
tujhko hai tujhse manga...
tujhko hai maulaa mana...
meri mannat tu...
tujhko hai maulaa mana...
meri mannat tu...
meri mannat tu...
(sujal center me jaakar pratham ke sath khada ho gaya...aur kashish ki dekhe ja raha tha...on which pratham winks at him...and keep his thumps up...)

some other singers.:-
jahtak - jhatak julfo ki guzariyaan...
guzariyaan...guzariyaan...
jahtak - jhatak julfo ki guzariyaan...
mare re - maare re fatkaare...
(sujal gaya aur kashish ko pakad kar center me le aaya...)

jhat jhatak.. matak naina se guzariyaan..
mare re maare re jhatka re...
jhataka re...jhataka re...
(pratham anu ko le aaya...and make her dance...)

kashish:-
ghan - ghan ghor..ghataa...mera jauban...
ang - ang angara...
lapto se lipat jana..meri...
har rang ke rasiyaa ko hai pyaraa...
(kashish starts dancing... sujal looking at him)

haa...jal - jal tap- tap bas aanch nahi...
meri boond - boond thandaai...
jhar- jhar..bhar - bhar..gaagar me saagar...
chhanan..chhan chhanan preet barsaaii...
(kashish dancing around sujal...all are sencing something but happy too..)

sujal:-
tu hai thumari... dadara main...
raag main...tu raagini hai...
sur se mere sur mila le...
chahe jahaaan...
(sujal holds kashish hands...on which kashish stops...)

kala gora har rang mora...
kala gora har rang mora...
(sujal kashish ka duppata leta hai...aur uske sir par rakh deta hai...)

karta hai tujhse duaa...
meri mannat tu...meri mannat tu...
meri mannat tu...meri mannat tu...
(sujal wahan se door ja kar khada ho jata hai...aur kashish gate hue kashish ko dekh raha tha...)

aankhon me, laakhon ishaare tere...
palko me, aaja chhupa lun tujhe...
apni nazar ka, main tikaa karu...
sabki nazar se, bacha lun tujhe...
(kashish imagine karti hai ki pura hall khaali hai...kewal sujal aur wo center me khade hai...)

chhup - chhup ke chanda jo taade tujhee...
mud - mud ke taare jo taake tujhee...
cheer ke raaton ki awaaragi...
til- til jala dun main aage tere...

(sujal kissed on kashish's forehead...kashish hugs him tightly...both are lost in eachother...)

meri mannat tu...
tujhko hai tujhse manga...
tujhko hai maulaa mana...
meri mannat tu...
tujhko hai maulaa mana...
(anu ka dhakka kashish ko laga aur wo apne sapno se baahar aai...smiles a bit...)

meri mannat tu...
meri mannat tu...

(kashish looks at sujal who was standing at corner...who winks at kashish...on which kashish smiles...)

movie:-Daawat - E -Ishq...


then anu ke father sujal ko bhi beech me laate hai...all are dancing...with full swing...kashish bas sujal ko dekh rahi thi...dono hi ek dusre ke liye apne pyar ko mehsoos kar rahe the...bas ab alfazo ki zarurat thi...

end of part 13
press like if u really liked it
do comment
love chandni

**********************************************************
**********************************************************
precap:-

kashish;- i m so happy anu...bas wo izehaar kar de...

anu:- jitna aaj dekh kar pata chala hai...100% karega...chal sote hai...waise teri aur meri dono ki mehendi ka rang khoob chada hai...

kashish:- ha...maine socha nahi tha ki...teri shaadi me meri mulaakat meri zindagi se ho jayegi...

Edited by rkchandni - 9 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
hiii...thanku for liking and commenting on part 12... part 13 posted above...keep reading and keep smiling always...love...
0913155 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Lovely update😛😃tooo good 😛😃totally loving it😛😃plz cont soon thanks for pm😛😃
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: 0913155

Lovely update😛😃tooo good 😛😃totally loving it😛😃plz cont soon thanks for pm😛😃


Thankuu
golu_1677 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Loved sujal n kashish... but hate cash n piyush... waiting for more
RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
great ab pyaar ka izhar hoga
i hate piyush n vasu kitne planning kar rahe h yeh
hope sk ke liye koi problem creat na ho isme
loved the update
cont soon


love naina
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Awsome part :) toba hai sujal k dailogue itni sunsan sarak pw kisko dhund rahi hain :p yes i m superman haha kasish ne bhi jse sujal ki gari ko apna samjha hai khud hi aake saman bhi rakh dya...dono ko pyar ka ahsas horaha hai pr ye piyush ne kya panga krdya oh god cont soon

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: goodkashish ¡ 6 years ago

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 ¡ 3 months ago

This story has been inspired by the 2002 Malayalam film Nandanam, and was written at the request of Jasminerahul. It is my humble attempt to...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 ¡ 1 months ago

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 ¡ 1 months ago

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 ¡ 3 months ago

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".