Sirf Tere Liye Kabeer & Ananya**completed**Last part on page 49 - Page 4

Created

Last reply

Replies

304

Views

48.5k

Users

25

Likes

398

Frequent Posters

7APK thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 9 years ago
#31
Super - Duper Awesome
Amazing Update
Post Next Part Super Soon
Thanks for the PM
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#32
hi
the up is really good
so due to some reason Kabir left his house and went away from everyone
and same thing happens with Annaya's
plz cont soon and pm me
[/QUOTE
Sure ria
Thanks a lot

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#33

Originally posted by: 7APK

Super - Duper Awesome

Amazing Update
Post Next Part Super Soon
Thanks for the PM


Thanku will update on Friday
rinku95 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#34
Fantastic
Thanks for pm
Continue soon
jasminerahul thumbnail
Posted: 9 years ago
#35
Did vinod put Kabir out?But why?Even Ananya is not in her house.she is living alone.Hope Lakshya Suhana find out d past.not only Kabir Anaya 3 friends r also separated.why?Did Nupur die?What happened?
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#36

Originally posted by: jasminerahul

Did vinod put Kabir out?But why?Even Ananya is not in her house.she is living alone.Hope Lakshya Suhana find out d past.not only Kabir Anaya 3 friends r also separated.why?Did Nupur die?What happened?


Wait dear u will no every thing
N yes nupur is no more
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#37
thanks everyone for liking and commenting on part 1...
thanks a ton...posting part 2 in a while...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#38

*** Sirf Tere Liye***

Part 2

suhana:- KABEERRR...

shimla...jannat sa seher, india ka ek bahut hi khubsurat sa seher jo pahado aur barf se dhaka hua rehta hai...par is seher ke ek kone ek aisa insaan bhi rehta hai...so sayad sapne me bhi kisi ka bura nahi sochata jo chahta hai ki sabhi sukhi rahe khush rahe...par na chahte hue bhi usse uske ateet me kuchh aisi galtiyaan hui hai ki wo unn galtiyon ke bojh se daba hua hai...par phir wo galat hote hue to bilkul nahi dekh sakta...agar isne dekha ki koi uske saamne galat kar raha hai...to use sabak shikhana inka pehla kaam hai...kyuki inka mantra hai...ki main kisi ko chhedta nahi...aur koi mujhe chhede to use chhodta nahi...

hum dekh sakte hai ki almost raat hone wali hai...shimla ki wadiyon me thandi hawa chal rahi hai...ki humari nazar ek road pe padti hai...ki yeh kya kisi ki hanthapahi ho rahi hai...are haan...yahan to ek ladka kuchh logon ko maar raha hai...oh god...de laat...de ghuse...what a muscles yaar...hieee kya aankhien hai...kya physic hai...torn blue jeans...black shirt...uper buttons are open...oh god he is hot man...par yeh in logon ko maar kyun raha hai...poor they are...

a man:- manf kardo...plzzz maanf kar do aaj ke baad kabhi bhi dubara galat kaam nahi karunga...plzz kabeer mujhe manf kar do...

right he is none other than our darling hero one & only Kabeer sharma (Rajeev khandelwal)

kabeer:- so...kaisi rahi...aaj ke baad agar kabhi bhi kabeer ke ilake me to kya pure shimla me kisi ladki chheda na to main tum sab chhodunga nahi...

man:- nahi kabhi nahi...

kabeer:- abe to kis muhurat ka wait kar raha hai...chal manfi mang...

man to a girl:- mujhe manf kar dijiye...

kabeer:- abe aise nahi...bol behen ji mujhe manf kar dijiye...aaj ke baad aage se aapko to kya...duniyaa ki saari ladkiyon aur aurton ko siway apni biwi ke... apni behen aur maa ki nazaro se dekhunga...aur jo harkat aaj maine ki hai...waisi harkat kabhi kisi apne saamne karne nahi dunga...bolll...

man:- ha ha...behen ji aaj se aap aur baki sabhi ladkiya meri behen hai...kabhi kuchh galat na hi karunga na karne dunga...

kabeer:- abe teri biwi bhi...??

man:- kya...

kabeer:- chod waise bhi...tujhse sadi karega kaun...chal bhaag yahan se...

that girl:- thankyou...

kabeer (with cute smile):- its ok...

a boy:- are kabeer bhaiya...agar jan kalyaan khatam ho gaya ho...to news cover karne bhi aapko jana hai... warna...shimla samachar ke daftar me taale lag jayeinge...

kabeer:- kya anurag tu bhi na...chal chalte hai...waise tu kuchh jyada hi interest nahi le raha hai mere kaam me...padhai ka kya haa...

anurag:- kabeer bhaiya...padh to raha hu...wo kya hai na ki mujhe bhi aapki tarah daring reporter banna hai...bas isliye aapke...pathchinnho par chal raha hu...

kabeer (remembers somthing);;; kabeer to karan:- dekhna bhaiya ek din na main humare kkn ko nahi uchaiyon par pahunchaunga...best reporter ban kar dikhaunga...ki log mujhe follow kareinge...kahienge...reporter ho to kabeer sharma jaisa...

anurag:- bhaiya...bhaiya kya hua...kya soch rahe ho...

kabeer:- ahh...haan...kuchh nahi...chal...

kabeer anurag ko lekar chala jata hai...aur ek cover report ki coverage karke wapas aata hai...ki ek ladki peeche awaaz deti hai

girl:-hmmm...hnnn...

anurag:- oye tarini tujhe kya hua...

tarini(Aditi gupta ):- anurag...apne kabeer bahiya ko bol...itna gussa achha nahi hota...kya jarurat thi...unn logon ko mar kar tamasha khada karne ki...haan...shanti se bhi to maamla suljhaya ja sakta hai na...

kabeer:- tujhse kisi ne rai mangi...??

tarini:- main kisi ko free me rai deti bhi nahi...

kabeer:- to yahan bhajan karne aayi hai...

tarini:- dekh kabeer...khair chhod tujhse to baat karna hi bekaar hai...chal khana laga diya hai...

anurag:- ha ha chalo chalo...mujhe to bahut bhook lagi hai...

kabeer:- par mujhe bhook nahi hai...tum log jaao...

anurag:- kya par aapne to subah se kuchh bhi nahi khaya hai...

kabeer :- bola na mujhe bhook nahi hai...tu ja...

anurag:- ok...(and anurag rans away to a house...)

tarini:- kabeer aaj tumhara janam din hai...maine bahut pyar se banaya hai...chalo na khalo...

kabeer:- ek baar kaha na mujhe bhook nahi hai...rat me aaunga to kha lunga...abhi mujhe kahin jana hai...

tarini:- itani rat ko tujhe kahan jana hai...

kabeer:- tu apne kaam se kaam rakh...bye...(kabeer left)

tarini to herself:- akhir kar yeh itani rat ko jaa kaha raha hai...kuchh batata bhi to nahi...khair...bahut ho gaya...aaj main pata laga ke rahungi ki yeh jata kahan hai...aur chhipa kya raha hai...

kabeer apne ghar se nikal jata hai...tarini chhip kar kabeer ka peecha kar rahi hai...kabeer ek dargah pe jata hai..jahan bahut bheed hoti hai..puri tarah se duaao ka mahaul hai bagal me hi kuchh log qabbali ga rahe hai...jo un sabhi dua mangne walo k dil ki awaaz hai...par tarini uske peeche jati hai aur bas kabeer ko dekh rahi hai...

tere darbaar me dil tham ke,wo aata hai...
jisko tu chahe, aye navi tu bulata hai...

(kabeer bas us dargah ko dekh raha hai)

tere dar pe sir jhukaye, main bhi aayaa hu...
jiski bigdi hiee...aye navi tu banata hai...

(na chahte hue bhi uski aankh bhar aayi)

bhar do jholi meri yaa mohd...
laut kar main na jaunga khali...
bhar do jholi meri yaa mohd...
laut kar main na jaunga khali...

(kabeer jata hai...aur wahi par baith jata hai)

band deedo me bhar dale aanshun...
sil diye maine, dardo ko dil mein...
(usko bas us dard ka ehsaas hai...jo wo itane saalon se apne dil me dabaye hue hai...)

jab talak tu bana de na bigdi...
dar se tere na jaye sawaali...
(uski aankhon me ek aas hai...ki sayad sab theek ho jaye...)

bhar do jholi meri yaa mohd...
laut kar main na jaunga khali...
bhar do jholiii...aaka jii...
bhar do jholiii...hum sab ki...
bhar do jholiii...navi jii...
bhar do jholi meri sarkaar madinaa...
laut kar main na jaunga khali...
(tarini bas kabeer ke chehre ko door se dekh rahi hai...kabeer ka dard mano wo mehsoos kar rahi thi...)

khojte-khojte tujhko dekho...
kya se kya main navi ho gaya hun...
khojte-khojte tujhko dekho...
kya se kya main navi ho gaya hun...
(kabeer ko ehsaas hai...ki wo jis rah me chal raha hai uski koi manzil nahi hai...kyuki wo apni mazil ko to bahut pehle hi chhod kar aa gaya hai)

bekhabar...dar badar phir raha hun...
main yahan se wahan ho gaya hun...
(kabeer sharma...aaj wo nahi hai...jo 8 saal pehle hua karta tha)

de-de ya navi mere...dil ko dilasha...
aaya hun door se main...hoke ruhasha...
de-de ya navi mere...dil ko dilasha...
aaya hun door se main...hoke ruhasha...
(na chahte hue bhi kabeer ro pada...aj uska janam din hai par aaj wo sabse jyada tanha hai)

ohhh...
karde na...karam navi...mujhpe bhi jara saa...
jab talak tu, bana de na dil ki...
dar se tere, na jaaye sawaali...
bhar do jholi meri yaa mohd...
laut kar main na, jaunga khali...

(kabeer uth kar jata hai...aur dargah par mannat wala dhaga bandhta hai)

jaanta hai na tu, kya hai dil me mere...
bin sune hi gin raha hai, na tu dhadkane...
jaanta hai na tu, kya hai dil me mere...
bin sune hi gin raha hai, na tu dhadkane...
(yeh wahi kabeer hai..jo kabhi bhagwaan pe vishwaas tak nahi karta tha...par ab ise sirf us par bharosha hai)

aah nikli hai, to door tak jayegi...
tere taaron se , meri duaa aayegi...
aye navi kabhi to subah aaayegii...
jab talak tu sunega na, na dil ki...
dar se tere na jaye, sawaali...
(kabeer wapas jakar yunhi baith jata hai...aur bas dargah ki chadar ko dekh raha hai)

bhar do jholi meri yaa mohd...
laut kar main na, jaunga khali...
be darash...tu tarash kha mujhpe aaka...
ab laga le tu , mujhko bhi dil se...
jab talak tu, mila de na bichhadi...
dar se tere, na jaye sawaali...
(kabeer ki ankhon ke saamne se uske beete hue kal ki yadein ja rahi hai...mano wo un yahod ko apni muththi me pakadna chahta hai par unhe kaid nahi kar pa raha tha)

bhar do jholi meri yaa mohd...
laut kar main na jaunga khali...
bhar do jholiii...aaka jii...
bhar do jholiii...hum sab ki...
bhar do jholiii...navi jii...
bhar do jholi meri sarkaar madinaa...
laut kar main na jaunga khali...
(fir thodi der bad wo wahan se jane lagta hai ki uski nazar tarini pe padi...use tarini pe gussa bhi aa raha tha...aur wo rona bhi chah raha tha...par wo dono hi nahi kar sakta )

dam ali - ali...dam ali - ali...dam ali - ali...dam ali...
dam ali - ali...dam ali - ali...dam ali - ali...dam ali...
dam ali - ali...dam ali - ali...dam ali - ali...dam ali...
(kabeer tarini ko ignore kark bahar ki ore jane lagta hai...aur bheed ko cheeerte hue tarini uske peeche)

movie:- Bajarangi Bhaijaan...

kabeer bas apni aankhon me der sara dard liye chal raha hai aur tarini use awaaz lagati hai...

tarini;- kabeer ruko...kabeer...plzzz kabeerrr...litsen to me...kabeer...(but kabeer nahi rukta )kabeer tumhe us wajah ka wasta jis wajah se aaj tum is dargaah pe aaye the...tumhe us kabeer ka wasta jise aaj maine dekha...(kabeer stops...tarini kabeer k saamne jati hai..)kabeer...aisi kya wajah hai...aisi kya baat hai jo tumhe is kadar pareshaan kar rahi hai...kyun aaj tumhari aankhon me anshun hai...kyun tumhara dard, tumhari bechaini mujhe saaf saaf nazar aa rahi hai...kya chhupa rahe ho kabeer...mujhse..hum sab se...apne aap se bolo kabeer bolo...

kabeer (shouting very loud ):- kyun bolun, kya bolun...ha ? kya lagti ho tum meri...ek baat yaad rakho...main kuchh nahi chhupa raha hu tumse...aur ha agar kuchh chipa bhi raha hun na to main tumhe batana jaruri nahi samajhta...(& kabeer left in anger and tarini have tears...jis kabeer ko tarini itna chahti hai...aaj wo kabeer use keh gaya hi ki wo uski lagti kya hai...)

tarini:- sach kaha tune kabeer...main teri kuchh nahi lagti...par tu mera sab kuchh hai...pyar karti hun main tujhse...bahut pyar...aur main tere in aanshun ki wajah jaan kar rahungi...

aise hi 3 din guzar gaye...ek taraf suhana puri kosis kar rahi hai ki wo ananya se uska ateet jaan sake to dusri taraf tarini wo janna chahti thi ki akhir kabeer ke mann me aisa kya hai jo use itani takleef de raha hai...sach kaha jaye to kabeer me takleef me tha bhi..kyuki usne apne gusse me hi sahi apni sabse achhi dost tarini ka dil dukhaya tha...aur is baat ka ehsaas hai kabeer ko...aur wo apne behaviour ke liye tarini se manfi bhi mangna chahta tha...par tarini hai ki kabeer se baat nahi kar rahi hai..kyuki wo naraz hai...kabeer shimla samachar se laut hi raha tha ki uski nazar tarini pe padi jo apni balcony pe kapde sukha rahi thi...kabeer tarini ke saamne ek pyari si smile ke sath jata hai...

kabeer:- heyy tarini...(but tarini makes a face like not interested)oye kya yar...manf karde na yar...m sorry...main us waqt bahut disturb tha yar...plzzz...(par tarini apne ghar ke andar jane lagti hai...)apne dost ko ek mauka bhi nahi degi...i m really sorry yar...(tarini stops)

tarini:- ek shart me manf karungi main tujhe...

kabeer;- are bol na mujhe teri har ek shart manzoor hai...

tarini:- soch le...mukarana nahi...warna...

kabeer :- are soch liya...bol toh...

tarini:- mujhe sach jaanna hai...main janna chati hun...ki teri is muskuraahat ke peeche,...teri is hasi k peeche wo kaun sa dard chhipa hai...bol batayega...??(kabeer turns to go but stops...with tears)

kabeer :- ha bataunga...sab bataunga...mere ghar chal...

tarini (smiles):- chal...

they both left to kabeer house...tabhi anurag bhi aata hai...

anurag;- kya hua...koi mar gaya hai kya...??

kabeer has a sad smile on his face...

Delhi...
some one knocks the door of ananya's house...and she found suhana and lakshya there...

ananya:- tum dono? is waqt yahan...?

lakshya;- ahh...mam...ahh...(suhana hits his albow )mam wo suhana aap se kuchh baat karna chahti hai...

ananya:- hmm... come in...

both enters and ananya locks the door sits on the couch...

suhana:- mam i m really sorry mam...mam i know...that day...i have crossed my all limits...but mam i was just concerned about u...you know na mam...we like u so much...mam main pichhle 3 saalon se aapko janti hun..main aap jaise kai logon se mili hun par pata nahi kyun...apki ankhein kuchh kehti hai...aap mushkurati hai...hasti hai...jokes bhi crack karti hai but khush nahi hai...(tears again appears in ananya's eyes...she is glad that koi to hai jo uske baare me sochta hai...uski parwaah karta hai...)mam main chah kar bhi apne aap ko rok nahi payi us din...mere dil me bas baar- baar ek hi khayal aat hai ki, aakhir wo kya wajah hai...jis wajah se aap...apni zindagi is tarah guzaar rahi hai...apne pyar se...(ananya looks at her)apne pariwaar se door...bas aur kuchh nahi... but mam i promise u aaj ke baad aapse hum is baare me kabhi koi baat nahi kareinge...again i m really sorry...chal lakshya...mam u can trust both of us...(both turn to go)

ananya:- kahaani...bahut lambi hai suhana...baith kar sunna pasand karogi...(both lakshya and suhana looks at ananya with astonished..ananaya sadly smiles)...yes i will tell u...bcz i trust both of u...

lakshya:- wooo...great...but mam...coffee milegi...

suhana:- lakshya...

ananya:- sure lakshya...wo kitchen udhar hai...humare liye bhi...

lakshya:- what...ok main hi banata hun...aakhir do bahut hi khubsurat ladkiyon ki jo demand hai...(lakshya left)...

Shimla...

Tarini kabeer ko coffee deti hai...aur usi ke sath sofe pe baith jati hai...

Kabeer:- mera pura naam...Kabeer Vinod sharma hai...mere dad mumbai ke ek bahut hi bade news channel KKN ke maalik hai...aur meri mumma...hosuewife...hum 3 bhai hai...mere bade bhaiya...Karan Sharma, main aur mera chhota bhai, Naman sharma...aur inke alawa mere do best frnds Ronnie aur Aalekh...bas yahi loge meri duniyaan the...par 8 saal pehle jis safar ki suruaat hui usi ki wajah se aaj main yahan hu...jisne meri hi nahi sabhi ki zindagi badal di...main, ronnie, aur aalekh yahi hum 3no koi 20 saal ke the...tab...

Delhi...

ananya:- main ananya kashyap...sudheer kashyap aur anita kashyap ki badi beti...hum mumbai me rehte the...main aur meri chhoti behen jaanvi hum dono hi humare ma aur papa ki jaan the...aur meri zindagi me thi meri 2 best friends...Richa aur Nupur... they were sisters...wo bhi twins...par chehra harkate bilkul juda dono ki...
bas inhi sab ke sath main bahut khush thi...meri chhoti si duniyaan thi...jo hasi...shararton aur khushiyon se bhari thi...(her smile faded away...)magar...8 saal pehle jo safar suru hua...wo aaj bhi chal raha hai...kareeb 8 saal pehle ki baat hai..mera richa aur nupur ka college ka first day tha...yahi hum 3no koi 19 saal ke the...bahut khush the...school se nikal kar college jaa rahe the...par tab hume nahi pata tha ki hum 3no jis college me ja rahe hai wo jagah...humari zindagi badal degi...

Flashback...
8 YEARS AGO...MUMBAI...2007...


end of part 2
press like if u really liked it
do comment
love chandni

***********************************************************
***********************************************************

Edited by rkchandni - 9 years ago
rinku95 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#39
Superb
Continue soon
Thanks for pm
Shona77 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 9 years ago
#40
Awesome update
thanks 4 pm
continue soon

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: jasminerahul

6 months ago

Tere Ho Gaye Hain Hum(I have become Yours)Sameer Nandini ZaBir SS

Parth,Adnan and Ketaki version I dedicate this to my friend Sydell who wants the Parth,Adnan,Ketaki version of the movie Hum dil de chuke sanam...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

5 months ago

Student of the Year: When Love Lost Its Way [Completed]

Author's Note: Based on the Prompt by @JasmineRahul in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: The alternative version of the...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

5 months ago

More Than Enough ~ A Rumya Three-Shot [Completed]

Author's Note: Based on the Prompt by @oh_nakhrewaali in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: Character A has body image...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".