Sirf Tere Liye Kabeer & Ananya**completed**Last part on page 49 - Page 3

Created

Last reply

Replies

304

Views

48.5k

Users

25

Likes

398

Frequent Posters

syndeyshine00 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 9 years ago
#21
Great cs
It seems very much interesting
Itne saare villians
And I think both our hero and heroine have a past
But jab ek dusare SE Milne Kai baad to kabhi na kabhi pyaar hona hi hai
So plz continue soon
And if possible plz pm me
Plzz
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#22

Originally posted by: syndeyshine00

Great cs

It seems very much interesting
Itne saare villians
And I think both our hero and heroine have a past
But jab ek dusare SE Milne Kai baad to kabhi na kabhi pyaar hona hi hai
So plz continue soon
And if possible plz pm me
Plzz


Thanks dear I will cont soon
Surely going to pm u
RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#23
beautiful introduction
looking forward for fither updates


love naina
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#24

Originally posted by: RNforever

beautiful introduction
looking forward for fither updates


love naina



thanks naina wooo...your IF is working...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#25
thankyou every one for liking the start...thanks a ton...posting part 1 in few minutes...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#26
wish u alll...a very happyyy diwaali...have a prospurous year a head...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#27


*** Sirf Tere Liye***

Part 1

yeh kahani hai teen dosto ki, 3 best friends jo ek dusre ke liye apni jaan tak de sakte hai, itna pyar hai in 3no ke beech ki chot ek ko lagti hai to dard baki dono ko hota hai...kehte hai jinhe sachhi dosti mil gayi aur us sachhi dosti me pyar mil gaya, ,mano unhe jannat is dharti me hi naseeb ho gayi...par kya sach me jab dosti me pyar aa jata hai to kya dosti khatam ho jati hai... par jab in 3no ki zindagi me pyar aaya to kyun inki kismat hi badal gayi...kya waqai pyar dosti ko kamzor bana deta hai...??...yehi sawal hai aaj Kabeer(Rajeev Khandelwal), Aalekh(Arjun bijlani) aur Ronnie(Puru chhibber) ke mann me...

''October 2015''

Hum dekh sakte hai ki ek bahut hi shaandaar ghar hai jo ki mumbai ke bandra ilake me hai...jispar name plate laga hai...'' Sharma Mansion'' jab hum ghar ke ander jate hai to dekhte hai ki sharma house ke maalik mr. Vinod sharma (Mohneesh behl ) dining table par baith kar news paper padh rahe hai...aur unhi ke bagal me unke dono bete Karan (Hiten tejwani) aur Naman(Sabbir alhuwalia) baithe hai aur apna breakfast ka intezaar kar rahe hai...aur shadhna ji (Tabu) unhe chai de rahi hai...ki tabhi nandani(Gauri tejwani) kitchen se breakfast lekar aati hai...aur sab ko breakfast serve karti hai...ki tabhi upar stairs se ek bahut hi pyari si bachhi daud kar aati hai...wo bachhi koi aur nahi balki Karan aur Nandini ki 5 saal ki beti Riya (Harshali malhotra) hai...

riya:- dadu, dadu...yeh dekho maine kya banaya hai...

tabhi vinod ji use apni lap pe bitha lete hai...sabhi ke chehro pe ek muskaan aa jati hai...

vinod:- are hum bhi to dekhe ki humari gudiyaa ne kya banaya hai...

vinod ji riya ke hanth se ek card lete hai...

naman:- aisa bhi kya kamal kar diya aapne jo itni khush ho...haan?

riya:- oh ho chachu...maine na kabeer chachu ke liye card banaya hai...unka birthday aane wala hai na...isliye...

kabeer ka naam sunte hi sabka chehra utar jata hai...aur shadhna ki aankh me paani aa jata hai...par wo khud ko sambhal leti hai...

nandini:- riya bachha chalo, jaldi se nasta karo...aapko school ke liye late ho jayega...

naman wahan se uth kar jane lagta hai...

nandini:- are naman nasta to kar lo...

naman:- its ok bhabhi...mera pate bhar gaya...

aur naman bina kuchh khayae wahan se chala jata hai,...aur fir karan bhi riya ko school drop karta hai aur office chala jata hai...karan jab office pahunchta hai to seedhe naman ke cabin me jata hai...wo dekhta hai ki naman window ke pass khada hai aur kuchh soch raha hai...aur naman ki ankhon me aanshun hai...jab karan aur aage jakar dekhta hai to pata hai ki naman k hanth me ek photograph hai jisme wo 3no bhai(Karan, Kabeer, aur Naman) hai...karan naman ke kandhe me hanth rakhta hai...naman karan ko apni bheegi palko se dekhta hai...karan naman ko na rone ka ishara karta hai...par naman karan ke gale lag jata hai aur na chahte hue bhi karan aur naman ki ankhon se aanshun rukne ka naam nahi le rahe the...aaj dono bhai apne bhai k liye jee bhar kar anshun baha rahe the...

Sharma mansion...

shadhna apne room me baithi kuchh soch rahi thi ki tabhi nandini uske room me aati hai...

nandini:- mumma...

shadhna:- are nandini, tum kuchh kam tha beta?...

nandini shadhna ke bagal me baith jati hai...aur unke hanth pe apne hanth rakhti hai...

nandini:- mumma...sabhi loge sirf ek hi cheez chahte hai ki...humara kabeer wapas aa jaye...to phir kyun sab andar hi andar...plzz mumma...aap ek baar to papa se...

shadhna:- tum janti ho...yeh nahin manenge...dono ne hi zidd jo pakad li hai...yeh use bulayeinge nahi aur wo khud wapas aayega nahin...4 saal pehle jo kuchh bhi hua...wo na yeh bhul paye hai...aur na hi kabeer...wo nahin aayega...

nandini:- par mumma...maine papa ki aankhon me dekha hai...wo kabeer ko bahut pyar karte hai...karan, naman, aap, papa, main hum sab sirf kabeer ko wapas chahte hai...bas ek pahal ki zarurat hai...plzzz mumma...

shadhna apni bheegi palko se badi ummeed ke sath nandini ko dekh rahi hai...par indono nahin pata tha ki vinod inki bat sun rahe hai...

vinod (bhari awaaz me):- shadhna...(both turns to vinod) hazaar baar kaha hai...aur akhiri baar keh raha hun...ki us ladke ka naam is ghar me nahi liya jana chahiye...kuchh nahi lagta hai wo humara...koi rishta nahi hai uska is ghar se...samajh gaye aap loge...(and he turns to go)...

nandini:- lagta hai papa...(vinod stops at his place )...bahut kuchh lagta hai hai wo is ghar ka...wo is ghar ka...

shadhna:- nandini...bas kar...

nandini:- nahin mumma...aaj nahin...papa...wo ladka is ghar ka beta hai...is ghar par...aap sab par...is ghar ke pyar par...is ghar ki mamta par...is ghar ki jayjaad par aur aap par bhi...uska utna hi haq hai jitna...karan aur naman ka...aap yeh mat bhuliye...aapka KKN jispar aapko naaz hai wo kabeer ke bina adhura hai...kyuki KKN, karan, kabeer aur naman se milkar bana hai...(vinod jaanta hai ki nandini jo kuchh bhi keh rahi hai wo sach hai)...aur aap keh rahe hai kuchh nahi lagta wo is ghar ka...to suniye papa...warish hai wo is ghar ka...mumma ka ladla hai...mera dever hai...karan ka chhota, to naman ka bada bhai hai kabeer...wo riya ka chachu hai...papa riya ne to apne hosh me kabeer ko dekha tak nahi hai...ek saal ki thi riya jab kabeer chala gaya...phir bhi...meri aur karan ki baaton me jiya hai usne kabeer ko...chaliye...papa hum sab ko to chup kara lienge aap par riya ka kya haan?...maanf kijiyega papa...par kabeer galat nahin hai...aur yeh aap bhi jante hai...par maante nahin...

vinod:- nandini...to tum kya kehna chahti ho...ki main galat hun maine jaan bhujh kar...

nandini:- main yeh nahi keh rahi papa ki aap galat hai...par main itna jarur manti hun ki kabeer galat nahi hai...(hanth jodte hue) aapse hanth jod kar vinti karti hu...apne bete ko le aaiye papa...4 saal ho gaye...uska kuchh pata nahi hai ki kahan hai wo...kaisa hai...in 4 saalon me usne 1 baar bhi humse contact tak nahi kiya...aur ha papa...mujhe pata hai ki jis tarah hum sab ko uske bina adhure hai...wo bhi humare bina adhura hai...mujhe mera dever, mera bhai, mera dost lauta dijiye...plzzz papa...

aur nandini rote hue apne kamre me chali jati hai...vinod ek nazar shadhna ko dekhta hai...jo ki bed par baithi hai aur uske hanth me kabeer ki tasveer hai...aur ankhon me apne bete ke liye anshun...vinod ka mann kiya ki jakar shadhna ko shahara de par ek baar phir uska dimaag uske mann pe havi ho gaya...aur vinod bina kuchh kahe wahan se study room me chala gaya...

Kashyap house...

ek bahut hi pyara sa ghar hai...is ghar ki betiyaan hi is ghar ki jaan hai...ya kaha jaye thi...kabhi ek waqt tha...jab yeh ghar ananya (Kritika Kamra) aur janvi (Shriti jha) ki mehek se mehekta tha...inki kashish pure ghar ko khusiyon se bhar deti thi...is ghar me sirf aur sirf khusiyaan aur pyar tha...aaj bhi wo pyar to hai, par kehte hai na ki waqt aur haalat sab kuchh badal dete hai...parivartan sansaar ka niyam hai...par aisa parivartan kabhi na aaye jo in sab ki zindagi me aaya...waqt aur halaat ne inke pyar ko aisi nazar lagayi hai...ki ab is ghar me kisi ki hanshi ki gunj sunaai hi nahi deti... sudheer aur anita kashyap ki do betiyaan, ananya aur janvi is ghar me basti thi...par ab to is ghar me na ananya ki kashish hai aur mano janvi to apni khushbu hi bikheran bhul gayi hai...kashyap house mumbai ke borowali me hai...aur sudheer kashyap ka apne ek business hai..jise ab unki choti beti janvi kashyap sambhalti hai, janvi ko ek ladke se bahut pyar hai...wo ladka bhi janvi se utna hi pyar karta hai...par uski kuchh mazburiyaan hai..jis wajah se wo janvi se shadi nahi karna chahta...par janvi abhi bhi uske intezaar me hai...sayad ise hi sachha pyar kehte hai...

aur is ghar ki badi beti...ananya kashyap...wo ab is ghar me nahi rehti hai...4 saal pehle kuchh aisa hua hai ki ab wo mumbai sehar se door bhagti hai...is liye ananya is waqt delhi me hai aur wahin par job karti hai...shrma's ki tarah Kashyap's ke ghar se bhi khusiyon ne muh mod kar rakha hai...aur pata nahi yeh silsila kab tak chalta rahega...par akhir 4 saal pehle aisa kya hua jisne kabeer aur ananya dono ko hi apno se door kar diya...

London...Singh's house...

ek bahut pyara sa ghar hai...jahan par ek bahut hi khubsurat si ladki...kab se sofe par baithi hai aur door ki taraf dekh rahi hai...sayad wo kisi ka intezaar kar rahi hai...ki tabhi koi andar aata hai...

richa (Shivangi verma):- ronnie...kahan the tum...kitna late kar diya tumne...main kitani tense thi aur tum ho ki...

ronnie (puru chhibber):- bas bas...kitna bolti ho tum richa...a big sorry...wo kya hai na office me bahut kam tha wahin fas gaya...bas isiliye...

par richa samajh ki ronnie kuchh pareshan hai kyunki anjaane me hi ronnie ne apni richu ko richa keh diya...ronnie aakar sofe pe baith jata hai aur apni aakhien band kar leta hai...

richa:- kya baat hai...koi pareshaani hai...mujhe nahi bataoge...

ronnie:- kal kabeer ka birthday hai...

kabeer ka naam sunte hi richa ki aankh bhar aayi...and she hugs ronnie...

richa:- kyun ronnie?...kyun hua yeh sab...kya hum milkar sab kuchh pehle jaisa nahin kar sakte...sab kuchh theek...

ronnie(anger and tears):- nahi richa...jo jaisa hai use waisa hi rehne do...un dono ne ek baar nahi socha to main kyun sochu...haan yeh sach hai ki unke sath bitaye hue we pal main kabhi nahi bhool sakta par ab...ab hum sab apni zindagi me aage badh chuke hai...and i m sure wo dono bhi apni zindagi me khush honge...

richa:- par tum bhul rahe ho ronnie ki agar tumne kabeer aur aalekh ko khoya hai to maine bhi...ananya aur nupur ko khoya hai...ronnie...pata nahi kyun sach jante hue bhi...mera dil sirf yahi kehta hai ki 4 saal pehle jo kuchh bhi hua...usme hum me se kisi ki bhi koi galti nahi thi...ronnie bas ek baar...ek baar kosis to...

ronnie(with anger):- bas richa...main ab aur kuchh nahi sunna chahta...galti meri hi thi jo maine tumse kuchh kaha...

ronnie uth kar wahan se jane lagta hai...richa holds his hand and with tears...

richa:- to khao meri kasam...to khao apne hone wale bachhe ki kasam (she placed his hand on her tummy) ki tum nahi chahte ki tum 3no wapas ek ho jaao...ki tum nahi chahte ki tum aalekh aur kabeer wapas apni zindagi jiyo...kaho na...kya tum khush rehna nahi chahte...?

ronnie (shouting):- ha ha ha...main chahta hu ki mujhe mere dost mil jayein...par main yeh nahi bhul sakta ki un dono ne mere sath kya kiya tha...kabhi nahi bhul sakta main...main unse apni sachhi dosti nibhayi...par un dono ne...(wiping his tears) khair tum nahi samjhongi...aur behtar yahi hai ki hum dono is baare me koi bat na kare...(aur ronnie gusse me apne room me chala jata hai)...

richa to herself :- main jaanti hun ronnie...tum sirf nafarat ka dikhawa kar rahe ho...tum un dono se aaj bhi utna hi pyar karte ho...rab ji aap se bas itni duaa hai ki hum sabko phir se ek kardo...bas aur kuchh nahi chahiye...

Bhopal...

ek ghar hai jahan ek ladka couch pe baitha hai...charo taraf andhera hai...kuchh candles jal rahi hai...aur wo ladka wall pe lagi ek ladki ki tasveer ko dekh raha hai...uski aankhon me aanshun hai to hanthon me guitaar hai...wo bas apni bheegi palkon se us ladki ki tasveer ko dekhe ja raha hai...us tasveer pe chandan ka haar chada hai...wo tasveer kisi aur ki nahi Nupur (Rati pandey) ki hai...jo mar chuki hai...aur wo ladka koi aur nahi Aalekh(Arjun bijlani) hai...

aalekh:- 4 saal ho gaye hai nupur tumhe gaye hue...par main aaj bhi usi mod par khada hu..jahan tum mujhe chhod kar gayi thi...mujhe nahi pata ki main kabhi apni zindagi me aage badh paunga ya nahin...par mera dil sirf itna hi kehta hai ki inn 4 saalon me jo kuchh bhi hua galat hua hai...tum to chali gayi par peeche na jane kitne saare sawal chhod gayi...tumhare jaane se kitne rishtey bikhar gaye...kitne loge tabaah ho gaye...is baat ka tumhe andaaza bhi nahi hai...pata hai mujhe, tum nahi aaogi...par kam se kam apni parchhai ko hi bhej do jo sab kuchh theek karde...jo bhi bikhra hai...use samet de...plzzz nupur...ab na jaane kyun un sab ko dekhne ka mann karta hai...unse milne ki chah hai...jaanta hu main ki aaj main agar tumse door...apne pyar se door hu to sirf unki wajah se...par aaj dil bahut bechain hai...kyunki kal...(a tears drops from aalekh's eyes and he closed his eyes)...wish u a very happy birthday in advance Mr. Kabeer Sharma...

next day...its Kabeer's birthday...16 october...Sharma mansion...

aaj sabhi Sharma's udaash hai...kyuki aaj is ghar ke bete kabeer ka janam din hai...aur kabeer nahi hai...par koi bhi kuchh jata nahi raha hai...wahin shadhna ne mandir me kabeer ke naam ki pooja rakhwayi...aur vinod ne bina kuchh kahe usme bhag bhi liya...


Delhi...shri ram college...

dopahar ka waqt hai aur claases chal rahi hai...tabhi humari nazar ek journalism ki class par padi jahan par ek ladki light pink colour ki saree pehne hue hai aur black board pe kuchh likh rahi thi ki achaanak se tej hawa aayi aur us ladki ne window ki taraf dekha aur dekhti hi reh gayi...wo koi aur nahi Ananya Kashyap (Kritika kamra )hai in sabhi students ki communication teacher...ananya ki aankhon me ek pal ke aanshun aa gaye aur usne khud ko sambhalte hue kaha...

ananya:- ok students aaj itna hi aage ka kal continue kareinge...

a student:- mam kal to sunday hai...aap theek to hai na mam...

ananya:- ha lakshya (Harshad chopra) i m fine...(And ananya left frm there)

par wahan koi aur bhi tha jo ananya ko bade gaur se dekh raha tha...aur bahur der se notice bhi kar raha tha...saari class chali gayi par wo insaan wahi baitha raha...aur kuchh soch bhi raha tha ki lakshya uske pass gaya...

lakshya:- oye suhana (Ragini khanna) kya hua tere ko...sab ja chuke hai...tu aise kyun baithi hai...kya soch rahi hai...

suhana (chewing gum khate hue):- kuchh nahi bas aise hi...tu nikal main aati hu...

lakshya:- par jaa kaha rahi hai...

suhana;- ananya mam se milne...

tabhi suhana daud kar staff room ki taraf jati hai par use wahan ananya nahi milti...

suhana to a proff:- excuseme sir...aapne ananya mam ko dekha hai...where is she?...

proff:- i dont know...abhi sayad bahar ki taraf gayi hai...

suhana:- ok thankyou sir...

aur suhana daud kar bahar gayi par use ananya kahin nahi dikhi...phir suhana ki nazar watch man pe padi aur wo uske pass gayi...

suhana:- bhaiya...aapne ananya mam ko kahin dekha?

watchman:- haan wo abhi college ke bahar gayi hai...church ki taraf...

suhana:- church is waqt...ok thankyou...

aur suhana college ke bagal wale church me jati hai..to dekhti hai ki ananya wahi baithi hai...church me ananya ke alawa aur koi bhi nahi hai...suhana ananaya ke kareeb jakar dekhti hai to hairaan ho jati hai kyuki ananya ka pura chehra aanshuon se bheega hua tha...yeh suhana ki woh hasti muskurati ananya mam nahi thi jise suhana janti thi yeh to koi aur hi thi...khair hasti muskurati kya...suhana ko is baat ka ehsaas bahut dino se hai kaha jaye to pichhle 2 saalon se ki ananya jaisa apne aap ko dusro ke saamne dikhane ki kosis karti hai waisi wo hai nahi...usne apne andar kuchh chhipa kar rakha hai...suhana ne pehle bhi kai baar kosis ki hai ki wo ananya se jaan sake ki usko kya problem hai par ananya taal deti thi...par suhana ab determined thi ki wo jaan kar hi rahegi...ananya ka sach kyuki...suhana ananya ko bahut pasand karti hai...ananya suhana ki favourite teacher hai...aur specially dono ki umra me jyada fark bhi nahi hai...so suhana takes ananya like her friend too...par suhana ko sabse jyada azeeb baat yeh lagti hai..ki ananya itani jyada khubsurat hai...aur almost 27 years ki hai but still she is not married even she dont have any men in her life...she is still single why...bcz sabhi ko pata hai ki ananya jaisi pyari aur itani khubsurat ladki ko to koi bhi ladka mil jata...

suhana aur age badh kar ananya ke kandhe pe apna hanth rakhti hai...

suhana:- kya baat hai mam...aisa kaun sa dard hai jo aap chhipa kar bhi nahi chhipa pa rahi hai...

ananya looks at suhana..and wiping her tears...

ananya:- tum? are aisi koi baat nahi hai suhana...bas aise hi aaj kuchh achha nahi lag raha tha...isiliye yahan aa gayi...achha ab chalti hu bye...

ananya gets up to go...

suhana:- muh pherne se kuchh nahi hoga mam...mam aap jitna mujhse door bhagegi main utna hi aapke sack ke kareeb aaungi...mam main aapko pichhle 2 saalon se janti hu kuchh to hai jo aap chhipa rahi hai...mujhe pata hai ki...

ananya:- aisi koi baat nahi hai suhana...tum kuchh jyada hi soch rahi ho...

ananya frwded to go...

suhana:- i know its very personal...par aapke father ka kudh ka itna achha business hai mumbai me...aapki family, aapke apne mumbai me hai...phir bhi aap delhi me apne ghar apni family se door kyun hai...aur sabse badi baat yahan par aapka koi dost tak nahi hai...aap kahin aati jati nahi...bas ghar se college aur college se ghar...kyun mam kyun...

ananya:- thats none of ur business suhana...yes, u r my favourite student but maine kisi ko bhi yeh haq nahi diya hai ki meri personal life me... (ananya ko katate hue)

suhana:- aapne abhi tak saadi kyun nahi ki mam...(dhamake on ananya face)kahin aap kisi se pyar to nahi karti...(Again dhamaka)oh yes kahin usne aapko dhoka to nahi diya isiliye aap...

ananya (with lots of anger):- suhanaaa...shut up...just shut ur mouth...

suhana (now suhana is fully determined to break ananya):- oh to iskqa matalab...aapne...oh i was right...usne nahi balki aapne use ditch kiya hoga...aapne uska use kark use chhod diya hoga...(dhamake hi dhamake)tabhi to dekhiye na...aaj almost 4 saal tak delhi jaisi city me rehne ke baawzood aap ek dost tak nahi bana payi...iska matalab problem aap me hai...aap hi kisi se pyar karne ke layak hi nahi...

ananya slaps suhana very hard across her face...

ananya(crying):- tum mujhe shikhaogi ki, pyar kya hota hai...tum...are tum kya jaano ki pyar kya hota hai...bahut pyar kiya hai maine use...apni jaan se jyada sabse jayada...par usne mujhe kabhi pyar nahi kiya...sirf dost samjha...aaj main apni family se door hun kyuki main use bahut pyar karti hun...aaj mera koi dost koi apna nahin ban saka kyuki main use sabse jyada pyar karti hun...(now suhana is feeling very bad for ananya...she also has tears)aaj bhi main akeli hun to sirf isliye kyuki agar yeh ananya kisi ki ban sakti hai to sirf apne pyar ki...(wiping her tears) sirf aur sirf apne KABEER ki...

suhana:- Kabeer...?

ananya:- ha kabeer...mera pehla pyar...mera dost mera sab kuchh...aur aaj main yahan hu to sirf isliye...kyuki aaj mere kabeer ka janamdin hai...

aur ananya wahan par suhana ko na jane kitane sawaalon ke sath chhod klar chali gayi...aur ghar aakar ananya ne kuchh kiya to wo tha rona...sirf aur sirf rona...apni kismat par...apni tanhaai par...apni bebasi par...uske aakhon ke saamne se uske aur kabeer k sath bitaye hue pal guzar rahe the...par wo chah kar bhi unhe apni muththi me kaid nahi kar pa rahi thi...

ananya to herself:- kahan ho tum...nahin janti main...bas itna jaanti hun ki tum jahan bhi raho...khush raho...tumhe meri umra bhi lag jaye...happy birthday Kabeer...I Love U...i love u more than i love myself...

its late evening...at suhana's house...

suhana jab se college se aayi hai...bas kuchh soch rahi hai...aur yahan se wahan apne room me chakkar laga rahi hai...aur use baar baar sirf ananya ki baatien yaad aa rahi hai...tabhi lakshya jo itani der se suhana ko dekh raha hai...bolta hai...

lakshya:- oye meri maa...tab se dekh raha hun...yahan se wahan chakkar laga rahi hai...aakhir kaar ho kya gaya hai tujhe miss james bond 007...

suhana:-lakshya just shut up ok...main ananya mam ke baare me soch rahi thi...(lakshya ke bagal me baithti hai...)yaar m sure usnke sath kuchh to story hai...kuchh to galat hua hai...

lakshya:- story...aisa kar tu na yeh journalism wagarah chhod kar na...police factory join karle ya woh jasoos ha...waise bhi tera pura dhyan to bas dusro ki hi story pe hi rehta hai...

suhana:- lakshya i m very serious yaar...i m damn sure kuchh to aisa hua hai unke sath jo wo kisi ko batati nahi hai...aur aaj to unhone qubool bhi kya ki she loves some one...aur jab wo yeh sab keh rahi thi to maine uski aankhon ek azeeb sa dard dekha...i mean main itane logon se milti hun...sabki life me koi na koi problem to rehti hi hai...par ananya mam ki taraf main pata nahi kyun kheechi chali jati hun...dekh hum loge unhe almost 2-3 saal se jaante hai...aur main bahut sare dino se notice kar rahi hun unki aankhon ka khali pan...yar wo itani sweet hai...wo jab hasti hai to kitani pyari lagti hai...mujhse unki yeh udashi nahi dekhi jati...isiliye i have decided ki main unki problem solve kark rahungi...isiliye hume yeh pata lagana hi hoga ki unke sath kya hua tha...

lakshya:- humien...??

suhana(making puppy face):- haan...tu mera best freind hai...mera sath nahi dega...

lakshya:- ofcrs dunga...achha yeh bata...tune kaha...she loves some one...par kisse??

suhana:- Kabeer...

lakshya:-Kabeer...par yeh kabeer hai kaun...aur kahan hai...?

suhana( determined):- yehi to ab humein pata karna hai...ki Kabeer hai kaun...aur is waqt hai kahan...??

lakshya:- tu ananya mam se kyun nahi puchhti...

suhana(determined):- puchhungi...jarur puchhungi...aur ab unhe mujhe batana hi hoga...kyuki mujhe unki kamzori jo pata hai...

lakshya:- kamzori...what kamzori...??

suhana:- KABEERRR...


end of part 1
press like if u really liked it
do comment
love chandni

Edited by rkchandni - 9 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#28

Originally posted by: syndeyshine00

Awesome chapter

Continue sooon


Thanks a lot
gargy4u thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 9 years ago
#29
awsmmm strttnnn...so many tracks...ud soon. happy diwali
ronojoy_ria thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 9 years ago
#30
hi
the up is really good
so due to some reason Kabir left his house and went away from everyone
and same thing happens with Annaya's
plz cont soon and pm me

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: jasminerahul

6 months ago

Tere Ho Gaye Hain Hum(I have become Yours)Sameer Nandini ZaBir SS

Parth,Adnan and Ketaki version I dedicate this to my friend Sydell who wants the Parth,Adnan,Ketaki version of the movie Hum dil de chuke sanam...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

5 months ago

Student of the Year: When Love Lost Its Way [Completed]

Author's Note: Based on the Prompt by @JasmineRahul in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: The alternative version of the...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

5 months ago

More Than Enough ~ A Rumya Three-Shot [Completed]

Author's Note: Based on the Prompt by @oh_nakhrewaali in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: Character A has body image...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".