Humko tumse pyar hai ~Rajveer Naina~ *completed* Last part on page 51 - Page 31

Created

Last reply

Replies

387

Views

142.5k

Users

31

Likes

579

Frequent Posters

Vartika07 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
Comment for part 21:-

Oye hoye, kya mast wala update tha yaar.👏 👏 👏 The best part was when Raj ko shopping pe le jane k liye Naina held his collar and warned him.😉 😉 😉 The way Raj teased her than was awesome...😳 😳 😳 The competition between boys and gals was outstanding.😛 😛 😛 Naina helped Raj so as he should not have to defeat in front of everyone.😊 😊 😊 This is thought of every Indian woman who want his/her hubby not to loose or not to get embarrassed in front of everyone.
Naina to Raj ko bankrupt kar degi lag raha hai.😆 😆 😆 Aryan teased Naina by telling her that he calls her chudail.😆 😆 😆 The best part was when Veena jee overhead Aryan and Raj and she talked to Naina's parents.👍🏼 👍🏼 👍🏼 Naveen k to armaan dhare k dhare hi reh gaye us ne socha tha Raj us k saamne aa k haath paav jod k us se kahega that he wants to marry Naina but really ab us ne high command ko hi set kar lia.🤣 🤣 🤣 Jab Naveen se raha nahi gaya to us ne pooch lia and got the shocking response. 😆 😆 😆
RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
nice part
ab sab kuch acha ho raha h
naveen or alekh ki shaadi ho gayi

great man
finally naina raj ki engagement ho gayi or shadi ki date bhi fix ho gayi
dono phir se saath me posted h
pta h hume kaam kam or romance hada hota hoga dono ka

kahani me ye kasa twist aaya h
villan toh har story me aata h par inki story me toh
comedy villan h
par ye story me comedy villan kaha se aa gay
raj ki shadi kise moti se ho rhi h
hahaha great fun
looking for next part
thanks for pm
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: Mahak Sinha

<font color="#0033CC" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="3">Comment for part 21:-

Oye hoye, kya mast wala update tha yaar.👏👏👏 The best part was when Raj ko shopping pe le jane k liye Naina held his collar and warned him.😉😉😉 The way Raj teased her than was awesome...😳 😳 😳 The competition between boys and gals was outstanding.😛😛😛 Naina helped Raj so as he should not have to defeat in front of everyone.😊😊😊 This is thought of every Indian woman who want his/her hubby not to loose or not to get embarrassed in front of everyone. </font><font color="#0033CC" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="3"><font color="#0033CC" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="3"> </font></font><font color="#0033CC" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="3"><font color="#0033CC" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="3"><font color="#0033CC" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="3"></font></font> Naina to Raj ko bankrupt kar degi lag raha hai.😆😆😆 Aryan teased Naina by telling her that he calls her chudail.😆😆😆 The best part was when Veena jee overhead Aryan and Raj and she talked to Naina's parents.👍🏼 </font><font color="#0033CC" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="3"><font color="#0033CC" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="3">👍🏼 </font></font><font color="#0033CC" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="3"><font color="#0033CC" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="3"><font color="#0033CC" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="3">👍🏼</font></font> Naveen k to armaan dhare k dhare hi reh gaye us ne socha tha Raj us k saamne aa k haath paav jod k us se kahega that he wants to marry Naina but really ab us ne high command ko hi set kar lia.🤣 </font><font color="#0033CC" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="3"><font color="#0033CC" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="3">🤣 </font></font><font color="#0033CC" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="3"><font color="#0033CC" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="3"><font color="#0033CC" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="3">🤣 </font></font>Jab Naveen se raha nahi gaya to us ne pooch lia and got the shocking response. </font>😆 😆 😆



Thanks vartika
ronojoy_ria thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 10 years ago
hi
the up is really very good
so naveen and alekh both got married to their beloved and in their this celebration one more feather got added as Raj-Naina got engaged
their marriage is after 3 months
Raj-Naina resumed their duty and Brig sent them to the mission where they met the adibasis
oh god now raj have to marry their adabasi girl
plz cont soon and pm me
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

yup updating shorty
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago


***RN-Humko Tumse Pyar hai***
part 23

rambha:- abba dabba chabba...

raj & naina:- kyaaa..???

raj:- oye...yeh kya bol rahi hai...

3 aadivasi:- wo bol rahi hai...use aap pasand ho...

raj:- par mujhe yeh pasand nahi hai...

3 aadivasi;- ek to tumne humara niyam toda hai...pehle tumne kaha tum wahi karoge jo hum kaheinge...ab tum mukar rahe ho...agar tumne shadi nahi ki to tumhari bali de di jayegi...

raj:- nahi- nahi...mujhe marna nahi hai...

naina:- toh kya tum iss moti se shadi karoge...??

raj;- nahi nahi...kabhi nahi...oh god...yeh baki ke sipaahi kahan reh gaye jaldi se jao...ek tarah kua hai ek taaraf...aur yeh sab tumhari galati hai...tum jo meri baat nahi sunti...

naina:- ab maine kya kiya...

raj:- bar bar main yeh keh raha tha ki yahan side mat aaoo naina...par tum...ab socho kya hoga...humare bachho kya hoga...bechare...ab anath hi reh jayinge...


naina:- bachhe??...(raj winks at her...) ha ha...raj humare bachho ka kya hoga...humare tolu molu...aaa

raj;- naina...plzz chup jao ab kya kar sakte hai...jaise sab anatyh jeete hai...waise hi jeeyeinge we bhi...thokar khayeinge...aur kya...

3 aadivasi:- kya tum dono aadmi aurat ho...aur tumhare bachhe bhi hai...

raj:- ha bhai yeh meri biwi...aur main isse bahut pyar karta hun...main apne aap se wada kiya tha ki apni antim saans tak sirf isi se pyar karunga...isliye main rambha se shadi nahi kar sakta...mujhe manf kar dena rambha(in full nautanki style...naina controls her laughter)chalo bhai saab mere bachho ko anath ho jane do...khane do unhe dar dar ki thokre bechare hai bhi sirf 5 saal ke...khair bhagwaan unki raksha karega...ya phir wo bhi aap hi ki tarah aadiwasi ban jayeinge aur kya,...

3 aadivasi:- nahi nahi...main aisa nahi hone dunga...(starts crying loudly)...mera bhi bachapan anath ki tarah guzara hai...aur main kisi aur bachhe ko aadivasi nahi banne dunga...(raj & naina both have twinkle in thier eyes bcz...raj ne to sirf andhere me teer chhoda tha...par wo bilkul nishaane me laga)...par ek minute...5 saal ke bachhe...wo bhi do...tum logon ki shadi bachapan me hui thi kya...

naina:- nahi nahi...wo kya hai...us waqt main sirf 17 saal ki thi...aur yeh 19... isiliye...bas...ab samjha kariye...baba...

3 aadivasi:- baba...main bhi apne bapu ko baba kehta tha...

naina:- toh baba...aap apni beti ki bali chada deinge...aur apne natiyon ko anath kar deinge...

raj thinks:- iske saamne to daily soap ki heroine fail hai...raj tera kya hoga...

naina:- veer...kuchh kaho na...

raj:- ha ha...

3 aadivasi:- ruko ruko...main baat karta hu...(then yeh aadivasi rambha aur sardaar se kuchh bolta hai...aur raj ko aankh marta hai...)

actually wo aadivasi...raj naina ko bahana bana kar unke ilaake se door lekar aata hai...

3 aadivasi;- yeh lo bachho...tum dono k kapde...aur ha...tolu molu ka khyal rakhna...

naina:- ha ha...jarur...apka bahut bahut sukriya...thankyou baba...

raj:- suniye...main aap logon ki sifarish karunga...taki aap logon ko bhi rehne ke liye ghar mile...ab hum chalte hai...dhanyabaad...

aur phir wo aadivasi wahan se chala gaya...aur apne sardar ko kaha ki raj naina use mar kar bhag gaye hai...sardar ne yakeen kar liya...aur bhechari rambha ka dil toot gaya...naina aur raj ne jhad ke peeche...apne kapde change kiye..aur bhage wahan se...aur phir apna mission bhi complete kiye...aur main point par aakar mile...ab sabhi loge wapas base camp ja rahe hai...naina lagatar has rahi hai...

naina:- wo moti...abba...dabba...chabba...hahahahahahahahaha...

raj:- shut up naina...

naina:- kyun...

raj:- jarur bataunga...abhi shant raho...

sabhi ne base camp report kiya...aur aise hi inki zindagi ke yeh khubsurat 3 mah kab beet gaye inhe pata hi nahi chala...agle hafte raj aur naina ki shadi hai...7 october ko...par is samay kargil me war ka mahaul bhi bana hua hai...kabhi bhi inki leaves cancel ho skati hai...specially raj, naveen aur aalekh ki,...kyuki inhe war zone me bhi jana pad sakta hai...par phir bhi sabhi ko emergency basis...aur past record ke according leaves mill hi gayi thi...raj naina ko nainitall drop karke seedha delhi chala gaya...kyuki 5 din baad use wapas jo ana hai...

aalekh aur naveen bhi leaves lekar aa gaye the...par armaan ko leave nahi mili...isliye ishaani bhi nahi aa pa rahi hai...raj ishaani se naraaz bhi hai..par phir wo maan gaya...ki country comes first...aise hi dekhte dekhte dono hi gharo me sari taiyyariyaan ho gayi...ab kal raj aur uska pariwaar nainitaal aa raha hai...kal in dono ka sangeet hai aur parso mehndi...aur 2 din baad shadi...

at sangeet...

subah hi raj aur uski family aa gaye..unka swagat bahut hi dhum dham se hua...raj naina se milna chahta tha...par kisi ne bhi use naina se nahi milne diya...sabhi ne yeh kahan ki raj naina ab sirf...sangeet me hi milienge...is baat se naraz raj apne hotel room ke chakkar kat raha hai...

ayaan:- kya bhaiya...aap bhi na...bhabhi ko mil tak nahi paye...lalat hai...

raj;- chup be...tu bada ho ja...phir batata hun...

ayaan:- to kya..main to bindaas jaunga...khidki se...aur jakar khub...

raj:- kya khub...

ayaan:- jakar use chocolates dunga...aur hum loge milkar chocolates khayeinge...

raj:- chocolates..??

ayaan:- kyun bhaiya...aapne kya socha...ahhh bhaiya...aap itna ganda sochte ho...

raj;- mere baap maine kuchh bhi to nahi kaha...

ayaan:- kaha nahi...par kya mujhe bachha samajh rakha hai...sab pata hai mujhe jab ek ladka aur ladki...(raj jakar uske muh ko apne haanth se band kar deta hai...)

raj;- agar tu kuchh bola...to mujhse bura koi nahi,,...abhi jakar mumma...(ayaan raj ko apne muh se hanth hatane ko kehta hai...aur raj hatata hai)

ayaan:- ok nahi bolunga...main to aapse yeh kehne aaya tha...mom aur shanta tai aapko apne room me bula rahi hai...jao...(raj left frm their...aur ayaan is smiling...)

at night...

naina ko bahut hi khubsurti ke sath taiyaar kiya tha...usne cream colour ka lehenga pehena hai...aur bahut hinkhubsurat lag rahi hai...aur use center me stage pe bithaya gaya hai...thodi der baad raj bhi apni family ke sath aata hai...pure hafte bhar baad raj naina ko dekh raha tha...naina to aaj bala ki khubsurat lag rahi thi...raj bas use dekhe ja raha tha...

ayaan:- bhaiya...muh band karlo...makkhi ghush jayegi...(sab hasne lagte hai...aur raj embarassed ho jata hai...neelu aur shalu...raj ko pakad kar late hai...aur naina ke bagal me bitha dete hai...sono ek dusre ko tirchhi nazaro se dekh rahe hai...)

raj:- naina...u r looking so beautiful...

naina:- tum bhi bahut achhe lag rahe ho...(raj is bearing a balck sherwaani and looking stunning)...

sangeet suru hota hai...shalu, neelu,pooja, sam sabhi dance kar rahe the...ki tabhi huda aata hai...

hey chal dance kar...chalo raj...common...

raj;- no no...tum loge karo hum bas deikhienge...

sam:- kya naina plzzz...

veena;- ha naina...raj...bahut kam naseeb wale hote hai...jinhe apni shaadi me dance karne,,,,...nachne gane ko milta hai...chalo utho...common...

neelu:- dekh naina...ab to sasu maa ne bhi keh diya...chal uth...

neelu kheech kar naina ko le jati hai...aur sab use nacha rahe hai...ki naina achanak gana suru karti hai...

;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;
;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;
jas main... huna si parayii...
das tu aini preet kyun...payiii...maieee...
;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;
;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;
;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;
;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;
mehandi laga ke aayii...
heiii...
bindiya sajake aayii...
oyee...hoye...
mehandi laga ke aayii...
bindiya sajake aayii...
chudi khanka k aayii...
payal chanaka ke aayii...
ohhh
ab geet millan ke gana hai...
mujhe saajan ke ghar jana hai...
mujhe saajan ke ghar jana hai...
mujhe saajan ke ghar jana hai...
mujhe saajan ke ghar jana hai...
haa...mujhe saajan ke ghar jana hai...
mujhe saajan ke ghar jana hai...
mujhe saajan ke ghar jana hai...
mujhe saajan ke ghar jana hai...
(naina dance karna start karti hai...aur shalu aur neelu uske sath nach rahe hai...naina apne dil ki baat apne gane ke jariye bayaan kar rahi hai...)

chorus:-
guddiya patole itheee...
meriyaan...nishaaniyaan...
yaad reh jaaniyaan...

naina:-
bachapan beeta...jawaani aayi...heiii
bachapan beeta...jawaani aayi...
saajan ka sandeshaa...laayii...
saiyaan ji i sej ko jaake...
phoolon se mehkaana hai...
mujhe saajan ke ghar jana hai...
mujhe saajan ke ghar jana hai...
haa...mujhe saajan ke ghar jana hai...
mujhe saajan ke ghar jana hai...
(naina...apne pure sasuraal ke taraf dekh kar nach rahi hai...aur wo khush hai...is baat ki gawaahi uska chamakta hua...chehra de raha hai...)

janmdiya..maa pyo to...paraiyaan ho jandiyaan...
piyaan...mar jaaniyaan...
(maya ji ki ankh bhar aati hai)
;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;
;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;
naina:-
pal me naata tod chali main..heiii
pal me naata tod chali main..
babul ka ghar chhod chali main...
ab to piya ke desh me...
sara jeevan mujhe bitaana hai...
mujhe saajan ke ghar jana hai...
mujhe saajan ke ghar jana hai...
haa...mujhe saajan ke ghar jana hai...
mujhe saajan ke ghar jana hai...
(phir naina apne mayke ki taraf...asha bhari nigaho se dhekhti hai... ek pal k liye uski ankh bhar aati hai...par phir...wo apne aanshun daba kar nachnelagti hai)

maya:-
ohhhohhh
beti ki takdeer ka likha...heiii...
beti ki takdeer ka likha...
padhke mamta royiii...
kisi ne ise janam diya...aur
le jaaye ise koi...
(naina apni maa ko dekhti hai...aur fir unke gale lag jati hai)

naveen...:-
sajh dhaj ke aaye baraati...
laaye ghode...hanthi...
ohhh teri saadi ke mauke pe...
milke shehra gayeinge...
sada suhagan...rahe tu banno...
tujhe duaayein...de jayeine...
aaj ki raina...hum logon ko...
jhum jhum ke gana hai...
oyeee...hoyeee...
(naveen aalekh ke kandhe me haanth rakh kar naina ki ore dekhte hue ga raha hai)

naina:-
mujhe saajan ke ghar jana hai...
mujhe saajan ke ghar jana hai...
hann mujhe saajan ke ghar jana hai...
mujhe saajan ke ghar jana hai...
(par naina...naveen ko naa ka ishara karti hai aur phir se nachne lagti hai)

naveen & aalekh:-
tujhe saajan ke ghar jana hai...
tujhe saajan ke ghar jana hai...
hann tujhe saajan ke ghar jana hai...
tujhe saajan ke ghar jana hai...
(naveen aur aalekh dono hi naina ke liye ga rahe hai...aur naina bas..gol gol ghum rahi hai...aur nach rahi hai...)

movie:- lajja...

tabhi raj naina ko best dance karne ka ishara karta hai...

aur isi tarah khushi khushi inka sangeet ho jata hai...

mehendi day...

aaj rat naina ki mehendi thi...uar subah ko hi raj ko lagayi gayi haldi naina ke liye aayi...aur haldi ki rasm bhi puri hui...ab rat ka waqt tha...naina ko beech me bitha kar mehendi lagayi ja rahi hai...tabhi raj aata hai...aur bagal me padi cone utha kar naina ke hanth me bilkul center me ''Rajveer'' aur naina sharma jati hai...

naveen:- waise raj is hishaab se tujhe bhi naina ke hath me apna naam likh dena chahiye...

raj;- pagal hai kya...main ladki hun kya...

aalekh:- to kya hua...aaj bhi bahut se sehro me ...sadi ke dulhe ke bhi hanth aur pair me mehendi lagti hai...

raj;- lagti hogi...par mujhe nahi lagani...

sam;- are bas karo tum dono kitana chedoge...achha naina...dekh na...kitana boring sa mahaul hai...kal tune kitana achha gaya tha...kuchh gade...

naina:- kya...tu bhi na...kal kiya na...ab aaj nahi...sab kya socheinge...

shalu:- sahi to keh rahi hai sam...achha chal nach mat bas gade...phir se aa tere mann me kya hai...wo sunna de,...waise to tujhe bade filmy gane aate hai...aaj kuchh ga de naina...ab raj plzz tum hi kuchh kaho...

raj;- naina...jab sab itana keh rahe hai to gado na...waise bhi i like ur voice...

naina:- sach...

raj;- haa...(and raj left)

naina:- ab tumne kaha hai to...

neelu:- are waah...badi jaldi maan gayi...raj ke kehte hi...

fir naina raj ko dekhti hai jo huda , aur aalekh se baat karne me busy hai aur wo gana suru karti hai naina ki awaaj sunte hi raj uski taraf dekhta hai

haathon me in haathon me
likh de mehndi se sajna ka naam
(naina jo raj ko dekhkar gana shuru karti hai)

haathon me in haathon me
jise padhti hoon main subah sham
(raj ek dum hairan hoke naina ko dekhta hai kyunki raj ko nahin laga ki aaj naina apne dil ki baation ko sabdo me sab ke samne baya karegi)

haathon me in haathon me
likh de mehndi se sajna ka naam
(shalu aur sam naina ko chedna shuru karte hai aur naina maya ji ke pass jake uske piche chup jati hai)

yaad muje jab unki aaye
hai re hai bada sataye
(neelu aur pooja naina ko khich ke wapas stage pe le jate hai aur woh dono naina ko raj se durr bethate hai lekin naina abhi bhi mud ke raj ko dekhti hai)

dekhu surat main unki subah sham
(raj naina ko dekhta aur use apne pass aane ko kehta hai)

haathon me in haathon me
likh de mehndi se sajna ka naam
(naina use isaro me nahin aane ko kehti hai aur apna sir zuka deti hai)

ab uske bin lage na mann
woh jogi hain main hoon jogan
(raj naina ki aur aane lagta hai lekin naina ko abhi bhi pata nahin kyunki uski palke abhi bhi zuki huyi hai)

apne dekhu saajan ki subah sham
(Raj naina ke saamne aake bethta hai aur naina use dekhke pehle ek dum khush hoti hai phir use sab gharwalo ki yaad aati hai aur woh sharma jati hai)

haathon me in haathon me
likh de mehndi se sajna ka naam
(Raj waha pe padi mehndi uthata hai aur naina ka hath pakadta hai)

haathon me in haathon me
likh de mehndi se sajna ka naam
(raj naina ke haath me mehndi lagana shuru karta hai aur naina to use dekhti hi rehti hai)

haathon me in haathon me
jise padhti hoon main subah sham
(raj mehndi puri karke naina ko apna hath batata hai jispe raj ne naina ke dusre haanth me sir '' veer'' likha tha.)

haathon me in haathon me
likh de mehndi se sajna ka naam
(naina raj ka naam apne haathon pe dekh ke kahi apne khayalon me kho jati hai)

aur unhi mehandi ki rasm poori ho jaati hai

naina ki aankh se aanshu girte hai

raj; yeh kya tum aaj ke din bhi ro rahi ho

naina: yeh to khushi ke aanshu hai

raj: khushi ke aanshu

naina: muje kabhi yakeen hi nahi tha ki yeh din bhi meri zindagi me aayega, tumhare naam ki mehndi ka maine sirf sapna dekha tha...un galat fehami ki wajah se hum itane door ho gaye the raj ki...

Raj: lekin aaj woh sapna haqeeqat ban chuka hai

naina: abhi bhi yakeen nahi hota.

raj; kal to yakeen ho jayega.kal hamari puri rasmo riwaaz k sath shaadi hai jo sapne humne saath dekhe the woh kal pure ho jayenge...

naina: ab to upperwale se ek hi dua hai ki zindagi aise hi haste khelte kat jaye.hamari zindagi me sirf khushiyaan ho.

raj; ab jaisa tum chahogi waisa hi hoga hamari zindagi me. m always at ur service mam...(raj apna sir jhuka deta hai...on which naina laughs)naina aise hi hasti raha karo...bahut achhi lagti ho...aur jab roti ho...by god...bahut hi buri dikhti ho...

naina:- kya...raajjj...

shalu: naina tera khana...

naina:-nahi bhabhi.aap ise le jao.

shalu: kyun,tujhe to bhukh lagi thi na.

naina: haa lekin main kaise kha sakti hoon mere haatoin me mehndi hai

shalu: naina,zara nazar utha ke dekhiye to.yeh mahashay kis din kaam aayenge.kyun raj...

naina:- raj...

raj: haa main.shalu yeh dish muje do.aur tum jao.

shalu: as u wish...

raj; muh kholo Naina...

naina: raj.sab dekh rahe hai

naina: to kya hua.tumhe apne pati ke hath se khane me sharam aa rahi hai...

naina: aisi baat nahi.tumahare haanth se to main umra bhar kha sakti hu

raj: to chalo muh kholo.

raj naina ko khana khilane lagta hai,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

next day...7 october...Rajveer weds Naina...

Aaj ka din woh hota hai jo sab ke aankhoin me sapne leke aata hai...Dulhan ne bachpan se ek sapna dekha hota hai ki kab woh bahi hogi aur uske ghar uska pyaar doli leke aayega...her ladki ke maa-baap ne beti ke paida hone pe ek sapna dekha hota hai apni beti ke kanyadan ka...Dulhe ne bhi ek sapna dekha hota hai apne pyaar ko dulhan ke jode me dekhne ka...her ladke ke maa-baap ka sapna hota hai ki ek din uska beta ghode pe chad ke uske ghar ki bahu leke aayega...Shaadi ke is do ghante ki rasam me bahot se naye rishtey janam lete hai...in rasmo me sabse jyada parivartan aata hai to woh hai ladki ki zindagi me...apna ghar, apne maa-baap, apna parivar yaha tak apni pehchaan ko bhi piche chod ke paraye ghar chali jati hai...ek anjaan aadmi ka haath tham ke use apna pati bana leti hai...kya janti hai woh us anjanabee ke bare me kuch bhi to nahi...lekin ek umeed ke saath woh uski zindagi me aati hai kahi na kahi woh apne pati ke dil me ek choti si jagah bana le to uska jeevan safal ho jaye...shaadi ka matlab do jismo ka milna to nahi hota...shaadi ka asli matlab to do aatma ka do dilo ka milan hota hai...


naina ko sam neelu aur pooja ready kar rahe the...ki maya ji wahan aati hai

naina: ma..main thik to lag rahi hoon na...

maya: Meri beti to aaj bahot hi khubsurat lag rahi hai...kisi ki nazar na lage...shaadi se pehle ek maa apni beti se kuch baatein karti hai...aaj main bhi kuch baatein batane aayi hoon...ek aise hi din pe meri maa ne mujse jo kuch kaha tha woh aaj main tumhe kehne ja rahi hoon...shaadi ke bad ek ladki sabse pehla rishta apne pati se hota hai...pati ki khushiyaan me hi patni ki khushiyaan hoti hai...apne pati ke sukh dukh me saath dena tumhara farz hai...apne pati ko zindagi ki her musibat se bachana tumhara jeevan ka lakshay hai...kabhi bhi kisi ko sikayat ka moka mat dena...apne dil se apne pyaar se us ghar me tumhe apne liye ek jagah banani hai...aaj tum apna ek ghar basane ja rahi ho lekin hum ghar basate nahi hum to khud us ghar ke her ek khone me bas jate hai...ghar ke chote chote khone se tumhe khushiyaan dhundh ke sabke saath mil batni hai...aaj se Rajveer hi tumhare liye sab kuch hai...aur apne desh ke sath sath tumhe ab tumhare rishto ko bhi dekhna hai...par kabhi bhi farz ke aage riste aaye to apne desh ke prati apna kartavya jarur nibhana...

naina: ma...main aapse vaada karti hoon ki meri aur se kabhi aapko sikayat ka moka nahi milega...main apni aur se puri koshish karungi raj ko khush rakhne me...

maya: meri beti to wake me bahot badi ho gayi hai...(tabhi harshad ji aate hai)

Harshad: is liye to shaadi ho rahi hai...aaj phir paraye ghar chali jayegi...

naina daud ke apne baba ke gale lagkar rone lagti hai...

Harshad: beta...yeh kya aaj to khushi ka din hai...aise nahi rote...ab chalo wo loge aate hi honge...

tere dwaare pe aayi baraat
oh tere dwaare pe aayi baraat
prem ke moti luta de
nain swaagat me bichha de
zaraa aadar ke sath

aur yuhi thodi der baad raj ki barat dhum dhaam se alhuwalia house pahunchti hai...jahan maya ji uski naak kheech kar uska swagat karti hai...raj hairaani se dekh raha tha...

aalekh:- oye aise kya dekh raha hai...har saas ka haq banta hai...

aur phir naveen aur aalekh dono hi pure samman ke sath raj ko mandap me bitha dete hai...aur raj pooja suru karta hai...thodi der ke baad pandit ji naina ko bulane ko kehte hai...tabhi shalu, neelu, pooja aur sam naina ko lekar aate hai...naina ne mahroon colour ka lehnge pehne hai...she is looking like an angel...raj ki to nazar hi nahi hat rahi thi...wahi raj bhi cream sherwaani me gajab dha raha tha phir sabhi naina ko raj ke pass khada kar dete hai...raj uthta hai aur dono ek dusre ko varmala pehnaane hi wale hote hai ki naveen aur aalekh aa kar naina ko upar utta lete hai...

raj:- oye yeh cheating hai...use neeche utaro main haar kaise dalu?

naveen:- no way...meri behen nahi jhukegi...naina dalna hai to aise hi daal...

raj;- huda...ali...

tabhi huda uar ali aate hai aur raj ko upar karte hai..phir raj naina dono hi ek dusre ko varmala dalte hai...aur inka vivah suru hota hai...naina ki maa naina ka haath raj ke haath me de deti hai, aur sadi ki vidhiyaan suru ho jaati hai

vivaaahh subh vivaahhh
vivaaahh subh vivaahhh
vivaaahh subh vivaahhh
vivaaahh subh vivaahhh
vivaaahh subh vivaahhh
vivaaahh subh vivaahhh
vivaaahh subh vivaahhh
vivaaahh subh vivaahhh

ab phero ka waqt hota hai

dilli ka raja aayaa
warne ko nainital ki raani

raj aur naina phere le rahe hai...sabhi un par phool barsha rahe hai...

hone ko hai aaj puri
inki adhuri kahaani

aisi hi phere pure hote hai ab raj naina ki mang me sindoor bhar deta hai aur mangalsutra pehna deta hai

fool khusiyon ke khile hai
badi mushkil se mile hai

shaadi puri hoti hai,dono sabhi bado ka aashirwad lete hai

hayee tarse do haanth
tere dwaare pe aayii baraat
oh tere dwaare pe aayi baraat

sabhi bahut khush hai ki aakhir kaar inke pyar ko anjaam mil hi gaya...

thodi der baad raj apne jute dhundh raha tha par use nahi mile...

sam:- kyun raj inhe dhundh rahe ho...

raj:- are ha...yeh tere pass kaise aayein...la de mujhe...

pooja:- raj...itane bhole mat bano...pehle nek phir jute...

huda:- oye nek kaisa nek ha...

pooja;- oye huda tu chup kar haan beech mein mat pad...

sam:- ha...humien 10000 chahiye...warna hute nahi mileinge...

ali:- 10000 me 10 jodi jute aa jayeinge...kuchh to kam kariye...

sam;- ok...9999...aur raj socho...agar tum jute nahi loge...to bidai nahi hogi...bidai nahi hogi...to naina tumhare sath nahi jayegi...socho raj wo humesha ke liye tumse door...

raj:- oye break maar...yeh le paise...

pooja;- yeiii...(then sam jute de deti hai...)

thodi der baad bidayi ka waqt hota hai...

teri taraf badh rahe rahe hai
nanhe pag beete kal k
sukh dukh k is sangam pe
naina kyun chhalke chhalke

ab naina, apne baba ke pass khadi hai aur ro rahi hai,,,harshad ji bhi naino ko gale lagaye hue hai...phir naina apni maa ke pass jati hai...aur unse bhi gale lag kar ro rahi hai...raj se naina ka rona dekha nahi ja raha hai...
phir naina naveen, aalekh, shalu aur neelu sabhi ke gale lagti hai...sabhi ki aankhien num thi...

reet baabul ki nibha de, apni bitiyaa ko bida de
reet baabul ki nibha de, pyarrii bitiyaa ko bida de
re aashisho ke sath

phir harshad ji , naveen aur aalekh , bade hi pyar se naina ko raj ki car me bitha dete hai

leke dulhan ko laute baraat
baraat

aur raj apne sath apni nayi dulhan ko lekar hotel pahunchta hai... aata hai, jahan uska swagat badi hi dhum dham se hota hai

ohh leke dulhan ko laute baraat
ohh leke dulhan ko laute baraat


raj naina ka room bilkul ready tha...raj naina ko lekar apne room me jane hi wala tha ki naveen daud kar aata hai...

raj:- kya hua naveen...is every thing ok??

naveen:- humein jana hoga...order aayein hai.,...abhi isi waqt pehle delhi jana hai aur wahan se order lekar kargil...war chhid gayi hai...condition bahut najuk hai...

veena:- kya lekin beta aaj hi kyun...aaj to...

raj:- nahi mom...its ok...naveen hum me kis kis ko jana hai...

naveen: u me aalekh huda and ali...baki abhi naina ke liye kuchh nahi kaha hai...border hai to obiously no girls...

raj;- chal taiyyari kar hum abhi nikaleinge...mom mujhe jana hoga i m sorry...(to naina) naina i have to go...\

naina:- veer i know...main bhi sipahi hu...tum sab jao...

vikash;- ek minute naveen pehle tum loge delhi jaoge na...(naveen nods in yes)

shanta tai:- to aisa karo na...ki hum sab bhi delhi hi chalte hai abhi...

veena:- haan...aur bas 10 minute raj...ghar me pravesh ho jaye tere sath...phir tu chale jana...

raj:- par mom...

naveen;- raj its ok...itana time to waise bhi lagega...

raj:- ok...but fast...

sabhi koi with naina,naveen and aalekh...urgent flight se 3 ghante me delhi pahuch jate hai...aur phir raj ke ghar...naina apne ghar ko bade pyar se dekh rahi thi...phir veena ji sabhi rasmo aur riwaaz ke sath raj aur naina ka grah pravesh karati hai...aur raj aur naina turant raj ke room me jate hai...naina is memrised by the beauty of the room...raj ka room...pure white aur red ke cobination me hai...aur bahut khubsurat hai...raj ke bed ke upar hi raj ki wall size photo lagi hai...aur side table me raj naina ki sagai ki pic...

naina:- veer...mujhe bata do...main kar deti hun tumhari packing ...jaldi ho jayega...

raj;- nahin naina...tum rest karo...waise bhi tumhe nahi milega...

raj jaldi jaldi me apni packing karta hai...aur naina use dekh rahi hai...naina na chahte hue bhi ro deti hai...kyuki janti hai ki raj jahan ja raha hai,...wo kargil war hai...koi mission nahi...raj sayad hi wapas aaye,...par phir bhi use apne sindoor aur magalsutra pe vishwaas hai ki raj ko kuchh nahi hoga...

raj:- yeh kya naina...yum ro kyun rahi ho...oh common naina...tum bhi soldier ho...chalo smile...

naina:-veer...tum wapas aaoge na...

raj:- i promise u naina main jarur aaunga tumhare liye...now plzz smile...(naina smiles a bit...par annshun the ki ruk nahi reh rahe the...)

aur raj dhukh to use bhi tha ki wo apni kuchh ghanto purani biwi ke sath kuchh pal bhi na bita saka...raj jata hai aur apne bag se ek box lekar aata hai...aur naina ko deta hai...naian kholti hai to usme...ek bahut hi khubsurat daimond ring hoti hai...

raj:- socha tha...first night pe dunga...par mauka hi nahi mila...isi liye aise hi de raha hu...naina plzz rona mat ha...aur sabka khayal rakhna ab main chalata hu...

yunhi lamha-lamha meri yaad mein...
hoke tanha-tanha mere baad mein
naina ahsq na ho...
mana kal se honge hum door...
naina ahsq na ho...naina ashq na hooo...
(raj naveen, aalekh huda,ali ke sath nikal jata hai...par bar bar use naina ka mayush chehra nazar aa raha hai)

naina, lauta...aane wale saal jo...
meri wardi bole... mera haal to...
naina ahsq na ho...
yeh samjahna main hoon mazboor...
naina ahsq na ho...naina ashq na hooo...
(raj head office pahuchta hai aur phir kuchh info ke sath we sabhi kargil ke liye nikal jate hai...raj ko gaye 4 din ho gaye hai..naina udaas si rehti hai...par ayaan uska poora khyaal rakhta hai)

beete hue lamho ke taarein... ginunga mainnn...
aake tujhe khwabon mein... tere milungaa mainnn...
jab kabhi halki-halki barkha aayeiieee...
jab kabhi dil bhi yunhi...bhar sa jaayeeiieee...
jab kabhi halki-halki barkha aayeiieee...
uspar jhauka ik banke... aaunga mainn...
uspar julfe bann ke daaman chhu jaunga mainnn...

(aise hi war ko chalte hafta bhar ho chuka hai...kafi sare sipahi mare bhi gaye hai...aur kafi saare ilako me indian aarmy ne fateh bhi haashil ki hai...par bhagwaan ki dua se abhi tak yeh sabhi sahi salaamat the...aalekh ko goli bhi lag gayi thi...par wo ab theek hai...raj yunhi rat ke waqt ret par baitha hai...aur naina ko yaad kar raha hai...)

oh teri chudi... nagme gaaye jo mere...
teri palko pe ho saayein jo mere...
aanshun karde humein kamzor...
naina ahsq na ho...naina ashq na hooo...
(aise hi 1 mahina beet gaya...raaj aur naina dono hi ek dusre ko bahut yaad karte hai...maya ne naina ko bulaya ki wo nainitaal aa jaye par usne mana kar diya...isi beech naina ne delhi head office join kar liya hai...aur wo ab base camp jati hai)

tere liye saansien aayee...tere liyeee jayee...jayeeiii reee
tere liye saansien aayee...tere liyeee jayee...jayeeiii reee
jaayeeiii reee
rabba... rabba pairi se bhi chhode... jane kisne banaayee...
hieee re...hieee ree...heiiee reeeh...
duri tadpaayee...mere baad chahe aaye...yaad mereeiii...
naina ahsq na ho...naina ashq na hooo...
naina ahsq na ho...naina ashq na hooo...
(naina yunhi rat me apne bed room ke window pane par baithi hai...aur diwaar par lagi raj ki tasveer ko dekh rahi hai)

oh likhi khat me maine...tujhe baat joo...
oh sona rakh ke takiye...tale raat ko...
naina ahsq na ho...
yeh judaai bhi hai dastoor...
naina ahsq na ho...naina ashq na hooo...
(bahut dino baad pehla raj ka khat aaya..kyuki war time pe phone allowed nahi the...naina bahut hi pyar se unhe padh rahi hai...)

naina, lauta...aane wale saal jo...
meri wardi bole mera haal to...
naina ahsq na ho...
yeh samjahna main hoon mazboor...
naina ahsq na ho...naina ashq na hooo...
(naina ghar par hi thiwo kuchh kam kar rahi thi ki naina ki dupatta raj ki pic me phas jata hai aur side table par rakhi raj ki tasveer gir jati hai...naina ka mann ghabara raha hai)

naina ahsq na ho...naina ashq na hooo...
naina ahsq na ho...naina ashq na hooo...

movie:- holiday...

us khat ke baad kisi ki koi bhi khabar na aayi thi,...is war me gaye in sab ko 2 mahine ho chuke hai...naina apna aur raj ka cupbord saf kar rahi thi ki naina ki nazar raj ki dairy par padi...usne wo dairy uthai...aur bina kisi parwaah ke randomly padhne lagi...

first page...

oh god aj fir wahi sapna dekha...pata nahi kya ho raha hai mujhe...naveen aur aalekh to mujhe pagal bulane lage hai...oh god help me yar...maine dekha ki charo taraf barf hi barf hai, aur wo off white colour ki saree me thi, uske baal khule hue the aur hawa ki wajah se lehra rahe the, aankhon me kajal, haanthon me bhar bhar k chudiyaan, pairo me payal, mathe pe bindi, uske kaan k jhumke uske kandho ko bade pyar se chum rahe the, aur uske wo gulabi honth jispar 1 pyari si muskaan thi aur wo barf ki chaadar par baithi hui thi, main uski god ( lap) pe sir rakh kar leta hua tha main uski zulfo ko hata kar uska chahra dekhne hi wala tha ki...us gadhe ne mujhe lat mari aur mujhe utha diya...

naina thinks:- oh toh yeh thi raj ki dream girl aisi ladki chahta tha veer apni zindagi me...par main to aisi bilkul bhi nahi hu...to kya hua...phir veer loves me...koi nahi main aisi hi ab ban kar dikhaungi...

onther page...
i m sorry naina...aaj meri wajah se tumhari ankhon me aanshun the...i m really sorry...mujhe pata hai...tum to sirf mujhse normally as a freind baat karne aayi thi par maine tumhare sath achha nahi kiya...kya karu naina...mujhe dar hai ki kahin apne pyar ko pane ke raste me main apni dosti na kho du...jo main... main kisi bhi haal me nahin khona chahta...naveen meri zindagi ka bahut important hissa hai...naveen aur mera rishta tumhare meri zindagi me aane se bahut pehle hi judd gaya tha...isliye main ab kabhi bhi apni maryada par nahin karunga...kabhi bhi naveen ke vishwaas ko nahin tutne dunga...aalekh aur naveen ke bina rajveer... rajveer nahi hai...aur jahan tak sawaal tumhara hai to...main tumse pyar karta hun naina tum mujhse nahi...mujhe pata hai...main tumhare layak nahi hun...tum to sirf mujheapna dost manti thi aur main...ab to sayad main tumhara dost bhi nahi hun...but I LOVE U NAINA... i love u always and forever...

naina ko wo sab yaad ata hai...aur uski aankhein bhar aati hai...use saf samajh aa raha hai ki raj yeh likhte waqt ro raha tha...

onather page...

aaj mera is academy me as a student akhiri din hai...kal main kma se ja raha hu...mujhe kma ne bahut kuchh diya to mera sab kuchh chheen bhi liya hai...aaj mera ek sapna pura ho gaya hai main best cadet pass out bana hun...par wahi mere pyar meri dosti ka sapna humesha ke liye peeche chhod kar ja raha hun...kyun naveen aaj tujhpe mujhe bahut gussa aa raha hai...ek baar mera naam nahi liya meri taraf dekha bhi nahi tune itani nafarat karta hai mujhse ki...plzz naveen ek baar baat kar le...sirf ek baar...humne ek sapna dekha tha sath me jab pass out honge to yeh kareinge...wo kareinge...par aaj kuchh bhi nahi hai waisa...aalekh hai mere pass par tu nahi hai...naina ko pyar karne ki itani badi tune ,mujhe si hai naveen...main kya bura hun...main to kahin ka nahin raha na...itana mazboor hun ki mera pyar mere saamne hai par use apna nahin bana sakta aur itna badkismat ki dosti tak nahi nibha paya...i m sorry naina...i m sorry naveen...

naina ko wo sab yaad ata hai...aur uski aankhein bhar aati hai...use saf samajh aa raha hai ki raj yeh likhte waqt ro raha tha...use ab raj ke bhi dard ka ehsaas ho raha tha...ab wo samajh gayi thi raj kis had tak use chahta tha...sirf wo hi nahi raj ne bhi dard saha hai...


onother page...
kyun ho raha hai...jitana naina se door jane ki kosis karta hu waqt utana hi mujhe uske kareeb le aata hai...bus bahut hua...ab mujhe koi fark nahi padta ki yahan naina aur naveen bhi hai...main bas apna kam karunga...unhe lead karunga...orders dunga thats it...

naina ko wo pal yaad aa gaye jab we sab pehli baar raj se J&K me mile the...

onother page...
sach kaha tumne ishu...bahut fark padta hai mujhe...mere liye naveen aaj bhi utana hi important hai...aur naina... uske liye to aaj bhi is rajveer ki jaan hazir hai,...par main yeh kaise bhool jaun ki sirf maine naina se pyar kiya hai...naina ne mujhse nahin...wo to...

tears flows down to her cheeks but she wipes...and looks at raj's pic...starts reading again...

onother page...

wooo...i m so happy to day... i cant belive it...naina praopsed me...par naveen...uska kya...kya wo mere aur naina ke rishtey ko accept kar payega...maine toh haar hi maan li thi...mujhe lagta tha ki naina loves huda...but i was completly wrong...sach me pyar naam ki cheez hai is duniyaan me...par ab chahe jo ho jaye...main naveen ko mana kar rahunga...aur naina ne bhi to kaha hai ki mujhe uska hanth naveen se officially mangna hoga...yeh dono bhai behen na...humesha meri jaan ke peeche kyun pade rehte hai...but m so happy ki naina love me too...

another page...
bas ek hafta aur naina...ek hafte baad tum meri patni ban kar is ghar me aaogi...naina main sayad aaj tak tumhe bata nahi paaya ki kis had tak mujhe tumse pyar hai...kyuki main khud bhi nahi janta ki main main tumse kitana pyar karta hun...bas janta hun to yeh ki...tumhare bina ab main apni zindagi ke baare me soch bhi nahi sakta...i love u naina...aur un sabhi ka dil sukriya...jinki wajah se mujhe meri naina mil rahi hai...

naina closed his dairy aur...uske hothon me mushkaan hai to aankhon me nami...wo raj ki dairy wapas usi jagah rakh deti hai...aur khidki ke paas ja kar khadi ho jati hai...aur apne aur raj ke sath me bitaye hue acche aur bure sabhi palo ko yaad kar rahi hai...

at kargil...

end of part 23
plzzz do comment...
with love chandni...
**********************************************************
**********************************************************

Edited by rkchandni - 10 years ago
Vartika07 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
Reply for part 22:-

That was funny update at the end.👏 👏 U r moving ur FF at very fast speed.😊 😊 I mean Raj and Naina got engaged very quickly.😆 😆 Naina is a gud gal as she didn't hide anything from her parents.😊 😊 Last part was funny where RN got trapped between aadvasis.😆 😆 Now what would Poor Raj has to do? 😆 😆 Naina ne to bina sune hi haan kar di thi na.😛 😛 Naina wanted to see them na lo ab dekho n enjoy karo. Update soon.

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: Mahak Sinha

<font color="#993366"><font size="2">Reply for part 22:-

That was funny update at the end.👏👏 U r moving ur FF at very fast speed.😊😊 I mean Raj and Naina got engaged very quickly.😆😆 Naina is a gud gal as she didn't hide anything from her parents.😊😊 Last part was funny where RN got trapped between aadvasis.😆😆 Now what would Poor Raj has to do? 😆😆 Naina ne to bina sune hi haan kar di thi na.😛😛 Naina wanted to see them na lo ab dekho n enjoy karo. Update soon.</font>
</font>



I love fast pace story na 😉 😆

Anyways thanks alot
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
sorrryyy for late reply
part 21
it was too funny
naina ne to abhi se raj ke credit card ka haaal bigr dya shadi k bad to shayad raj kangaal hojayega haha
lunch pe raj ne sb boys ko phasa dya bt naina ne use bachaliya wowww kya pyar hai
hmm to raj k parents ne naina ka rishta mang liya pr raj chup k bat sunna burri bat hai
lets see naina k parents kya jawab dete hain or raj ne navven k bjaye direct head command se order pas kara liya he is too smart
to finally huda ki shadi hogai
greattt part
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
part 22
aalekh or naveen ki bhi shadi hogai
too much fun
naina or raj ki engajment bhi hogai woww
dono ne duty join karli
ab phir se wohi jungle ye kya musibat haia???
but ye dono hi namune hain kya zarurat thi un marks k piche jane ki
hahahahaha raj or naina ohhh my god kya chiz hain ye dono or naina is musibt me bhi use mazaq sujh raha hai
hahaha phas gaye beta raj
abba dabba chabba hahaha it was tooo funny

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

4 months ago

Student of the Year: When Love Lost Its Way [Completed]

Author's Note: Based on the Prompt by @JasmineRahul in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: The alternative version of the...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

4 months ago

More Than Enough ~ A Rumya Three-Shot [Completed]

Author's Note: Based on the Prompt by @oh_nakhrewaali in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: Character A has body image...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

4 months ago

Deewaniyat ~ A Jeenat Five-Shot [Completed]

Author's Note: Based on the Prompt by @Indulekha00 in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: A prompt for the mysterious lovers...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".