Humko tumse pyar hai ~Rajveer Naina~ *completed* Last part on page 51 - Page 17

Created

Last reply

Replies

387

Views

142.5k

Users

31

Likes

579

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: castlebones

Really good job.

I have to thank Sam, meri maan ke sara varas nikal di hai usne.



thankyou so muchh dear for taking interest in my writing😊
keep reading...keep smiling...😊😊😊

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
HEY EVERYONE thanks alot for reading...
liking...and commenting on my fic...humko tumsey pyar hai...Rajveer naina ff...

i will update part 15 on 12 june...thanks a ton...

love Chandni...😊
____________
Rajeev diwaani...
😊
arpita25 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Hey nice update.👏 Finally Naveen realized his mistake thanks to Sam.😃 As a gud sis Naina made Naveen's marriage fixed to Shalu. I so wish Raj and Alekh didn't go and they meet Naveen and sort out their confusions.😊 Update fast n do pm me.
vishu10 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
sorry dear
write now i m very busy ..
want read all updates.
this month ending wll read all update
sorry for not reply u .
thanx for sending all pm.


rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: vishu10

sorry dear

write now i m very busy ..
want read all updates.
this month ending wll read all update
sorry for not reply u .
thanx for sending all pm.



Thank you so much dear
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: arpita25

<font size="2">Hey nice update.👏 Finally Naveen realized his mistake thanks to Sam.😃 As a gud sis Naina made Naveen's marriage fixed to Shalu. I so wish Raj and Alekh didn't go and they meet Naveen and sort out their confusions.😊 Update fast n do pm me.</font>



Thank you so much dear
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
thankyou so muchh all of u...plzzz keep reading...and keep commenting...

love chandni
__________
Rajeev diwaani...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago


***RN-Humko Tumse Pyar hai***
Part - 15

naina:-koi fayda nahi...unki bus jaa chuki hai...unki bus 4 baje ki thi and its already 4:45...aur waise bhi main nahi jaungi...kyuki raj mujhe nahi chahta...par ha bhaiya ho sake to apne aur uske beech ki duriyaan kam jarur kar lena...(naina room se bahar chali jati hai...aur sam rote hue wash room me...aur naveen bejaan wahi par khada hai...)

naveen ka mann fir bhi nahi manta hai to wo bus stop ki taraf jata hai aur wo sabse puchhta hai par raj aur aalekh ja chuke hai...naveen bas wahi khada hai aur roye ja raha hai...aaj naveen ko apne aap par sharm aa rahi thi...wo sir jhukaye kma wapas aata hai...aur sam usse puchhti hai ki kya raj aur aalekh mile par...par naveen ne apna sir na hilaya aur apne room me jakar packing karkar bina naina se mile nainitaal laut gaya...

ab in sab ki leaves khatam ho chuki hai sabhi apni apni jagah posted hai...in kuchh dino me raj ne apna no bhi change kar liya hai...sirf aalekh se baat karta hai wo...naveen ne kai baar kosis ki raj se baat karne ki but no use...naina to ab puri tarah badal chuki hai...wo huda se baat tak nahi karti hai...use huda se itani nafarat ho gayi hai ki naina ka bas chale to o huda ko jaan se maar de...sam ne kai baar naina ko kaha huda ko sabak shikhane k liye but naina chup hai wo sahi waqt ka intezaar kar rahi hai...par naina ne yeh thaan ke rakha hai ki wo huda ko usi ke hisaab se sabak shikhayegi...aur ab naina ke mann me huda k liye bhi ek plann chal raha hai...

dusri taraf raj bhi pura badal chuka hai...wo ab sirf serious rehta hai...sir apne kaam se kaam rakhna aur apna mission karna yahi kaam reh gaya hai raj ka...raj ke kaam ko sabhi sarah rahe hai bcz raj khatarnaak se khataranaak mission me jata hai aur apne desh ko pure tan mann se serve kar raha hai...aur yahan naveen aur aalekh bhi apne duty kar rahe hai...aur shalu bhi apni padhayi kar rahi hai...

academy me ab naina sam aur huda ka 2 yr khatam hone ko aa raha hai...naina ab sam ke sath milkar huda ke sath pyar ka natak kar rahi hai...huda bahut khush hai ki akhirkar uski jeet hui...abhi naina ne direct huda ko nahi kaha hai ki wo usse pyar karti hai par usne huda ko kai aise hint diye hai...wahi sam bas huda ko apni taraf attract karne ki kosis kar rahi hai...aur dono hi ab huda aur nair ke beech devide and rule ka farmula pana rahe hai...wahi ab jabse raj loge academy se gaye hai nair huda ko take k bhav leta hai ...ab kahin na kahin huda ko bhi aisa lagta hai ki usne galat kiya hai...par uska ego kahin na kahin uske ander k insaan ko peeche chhod deta hai...

naina ka bas yeh last year bacha hai academy me...ab uska bhi main moto life ka apne desh ko serve karna hai... naina yunhi apni window k pass khadi hai aur use bas apne purane din yaad aa rahe hai is acaedmy me..jo usne raj, naveen,aalekh,aur shalu ke sath guzaar the...

nagme hai...shikwe hai...kisse hai... baatein haui...
nagme hai...shikwe hai...kisse hai... baatein haui...
(naina ko pal yaad aa raha hai jab wo pehli baar raj se takraayiii thi aur dono ek dusre me kho gaye the...)

baatein bhool jati hai...yaadein yaad aati hai...
baatein bhool jati hai...yaadein yaad aati hai...
(naina ko wo sabhi baatein yaad aa rahi jo usne aalekh naveen aur shalu ke sath bhi isi academy me guzare the...)

yeh yaadein kisi, dilon jaanam ke...
chale jaane ke baad aati hai...
(use hal uss pal ka afsos hai jab wo raj ko apne dil ki na baat keh paayi...na hi use jaane se rok paayii...)

yaadien...yaadien...oh yaadien...
yaadien...yaadien...yaadien...
(naina ke aankhon me aanshun unn kadvi yaadon ke liye hai to wahi uske honthon pe muskaan kuchh achhi yaadon ki daastaan suna rahi hai)
...
...
bandhan ho to...hum chhode...
darpan ho to...hum tode...
(raj apne quater se aasmaan ko dekh raha hai...aur use sirf yahi lag raha hai ki is saal me sab ko peeche to chhod aaya...par uski achhi aur buri yaad uska peecha kyun nahi chhodti...)

hum sab hai... mushqil me...
yeh dil hai... is dil me...
yaadien...yaadien...oh yaadien...
(use aaj bhi chand me naina ka chehra nazar aata hai...kehno ko usne is ek saal me aalekh ke siwa kisi se baat tak nahi ki par sabhi ek - ek baat ek - ek yaad raj ke dil me humesha ke liye bas chuki hai...)

nagme hai...shikwe hai...kisse hai... baatein haui...
baatein bhool jati hai...yaadein yaad aati hai...
(naveen yunhi apne bed par baitha hai aur uske hanth me uski raj aur aalekh ki 1 yr ki pic hai jisme 3no apne dil se muskura rahe hai...naveen bahut hi pyar se raj aur aalekh ke chehre ko chhhuta hai)

yeh yaadein kisi, dilon jaanam ke...
chale jaane ke baad aati hai...
yeh yaadien...heiii yadiein...yadien...
(naveen ko wo har pal yad aa raha hai jab usne raj ko galat samjha...wo gussa hai apne aap se ki kyun nahi rok paya wo raj ko...kash...kash usne raj par bharosha kiya hota...)

yaadien...yaadien...yaadien...
(aalekh yuhi raste me chal raha hai...aur apni daru ki bottle ko dekh raha hai...fir wo raste me baith jata hai...)

duniyaan me... hum saare...
yaadoin ke...hai maare...
(aalekh ko yaad aa raha hai ki kaise raj aur naveen humesha usse uski daru ki bottle chheen lete the use peene nahi dete the...)
kuchh khushiyaan...thode gam...
yeh humse...inse humm...
(fir aalekh ko apne naveen aur raj ke sath me bitaye hue kuchh pal yaad aa rahe hai...jisme wo khush bhi hai...aur udaash bhi...)
yaadien...oh meethi-meethi yaadien...
khatti meethi yaadien...
(aalekh ke chehre pe pehle muskaan aa jaati hai yeh yaad kark ki we sab kitane prancks karte the...aur phir apna academy me akhiri din yaad kark wahi muskaan kahin khojati hai...)

nagme hai...shikwe hai...kisse hai... baatein haui...
baatein bhool jati hai...yaadein yaad aati hai...
(sam bhi wo sare pal miss kar rahi hai jo uske is academy me best pal the...jab wo humehsa hi raj ki taariff karti thi aur naina ko chhedti thi...aalekh ke sath masti kati thi to huda ko sabak sikhana unka main maksad tha...)

yeh yaadein kisi, dilon jaanam ke...
(naina apni palke jhukati hai aur aanshun ki ladi uske chero ko bhigo rahi thi...)

chale jaane ke baad aati hai...
(naveen ko apne aap se nafarat hai wo yunhi jameen par baith kar ro raha hai...

yeh yaadien...heiii yadiein...yadien...
(aalekh yuhin...wahi road par late jata hai aur aasmaan ko dekh raha hai...aur uski ankhon se aanshun beh rahe hai...)

yaadien...yaadien...oh yaadien...
yaadien...yaadien...oh yaadien...
yaadien...yaadien...oh yaadien...

(raj apni khidaki nband kark apne anshuon ko pochh kar turn karta hai ki koi uske kamre me aata hai jisse raj jaldi se peeche mud kar apne chehre ko sahi karta hai...)

movie:- yaadien

raj:-are tum... tum kab aayi...bata diya hota to...tumhe pic karne aa jata...

that girl:- usi waqt veer...jab tum apne hi khayalo me khoye hue the...aur kisi ko yaad kar rahe the...aur jab mujhe dekha to apne anshun chhipa rahe the...

raj:- are aisa kuchh nahi hai...main bhala kyun rone laga...achha aao baitho na...(raj jakar us ladki ko apne bed par bithata hai...)

that girl:- you know what veer is regisnment me sirf main hi hun...jisse aaj tak tum jhuth nahi bol paaye to aaj kyun yeh kosis kar rahe ho...ha...veer bahut yaad ati hai unn sab ki na...sabse jyada naina ki...veer plzz ek baar meri baat man lo aur ek call karlo...naina ko na sahi...atlest naveen ko...

raj:- nahin ishu...main aisa kuchh nahi karunga...maine usse nahi kaha tha ki humari dosti khatam...par usne jo kiya wo main kabhi nahi bhool sakta...itane saal ke rishte ko usne...usne mujhpar ilzaam lagane se pahele ek baar bhi nahi socha...aur usi naveen ki wajah se main apne pyar se door hun...sirf naveen ke khatir...uski dosti ke khatir maine naina se door rehne ka faysla kiya tha...par usne...usne kya kiya...jhuthe sabooto par yakeen kiya mujhpar nahin...its ok...agar wo khush hai to theek hai main bhi khush hun apni zindaggi me...

ishaani:- aur naina ka kya?? uske baare me kabhi socha...

raj:- tum bhool rahi ho...ki main naina ko chahta tha...wo mujhe nahin...use to ab yaad bhi nahi hoga...ki koi rajveer nam ka ladka bhi tha uski zindagi mein...aur main mere liye yahi kafi hai ki maine ek pal ke liye hi sahi...sachhe pyar ko mehsoos kiya...usko jii paya...aur mere liye naina k sath guzare wo pal kafi hai jinke share main apni puri zindagi guzaar sakta hun...

ishaani:- aisa nahi hai raj...maine naina ko kabhi nahi dekha...kabhi nahi mili main usse...par jitana suna hai uske bare mein sirf tumse suna hai...aur yakeen mano raj...mera mann kehta hai ki wo bhi tumse pyar karti thi...

raj(with sad smile ):-wah kya baat hai to ab lft. ishaani kashyap bina kisi se mile uske baare me dave ke sath pridiction bhi karne lagi hai...

ishaani:- its not pridiction raj...its about love and faith...aur kisne kaha ki main naina se nahi mili...rajveer ki aankhon me naina ko dekha hai maine...rajveer ki baaton me mehsoos kiya hai use...rajveer ki har aahat me naina se mili hun main...aur tum jaante ho raj...jab rajveer jaisa koi...naina jaisi ladki se ibadat ki hadd tak pyar kare aur badle me naina use na chahe yakeen ka mere liye thoda mushqil kya impossible sa hai...mera yakeen mano raj...mera dil kehta hai...ki agar tum bas ek baar apne dil ki baat naina ko keh doge...to tumhe timhara pyar mil jayega...

raj:- ab aisa nahi ho sakta...aur tumhara dil galat hai...kyuki...

ishaani:- kyuki kya...ha...kyuki kya raj...tell me kyun naveen ke kiye ki saza apne aap aur naina ko de rahe ho...tum hi klehte ho na ki ab naveen aur tumhara koi rishta nahin hai...to bhool jao ki naveen kabhi tumhara dost...bas itana yaad rakho ki naina tumhara pyar hai...aur jakar bol do...bol do naina ko ki tum uske bina nahi reh skte bahut pyar karte ho tum use...bol do raj...jakar bana lo use apna...(raj is continuosly crying)

raj(shouts):- yeh namumkin hai...ishu...yeh na mumkin hai...kyuki naina mujhe nahin kisi aur ko chahti hai...(dhamake on raj's face..)usne mujhe kaha tha ki wo mujhe harayega...aur dekho aaj usne mujhe hara diya...\

ishaani:- yeh tum...

raj:- ha ishu...naina mujhse nahin huda se pyar karti hai...(raj closed his eyes with pain)

ishaani:- huda...yeh..yeh tumhe kaise pata chala...?tell me raj mujhe lagta hai tumhe kuchh galatfehmi hui...\

raj:- galat fehmi nahi hai yeh...sach hai yeh...aankhon dekha sach...tumhe yaad 3 mahine pehle jab main independay ke baad leave lekar delhi gaya tha...tab ayaan ne mujhe bahut force kiya ki main bas ek baar jakar kma me naina se mil lu...kyuki ghar me sirf ayaan ko pata hai...mere aur naina ke baare me...aur uske kehne pe mere dil ne bhi kaha ki bas ek baar kosis kar le raj...bas ek baar jakar naina ko apne dil ki baat kehde...aur maine bina naveen ke baare me soche...main KMA gaya...us din sabhi ki leave thi...maine ek orderly puchha to pata chala ki naina lake side ki taraf gayi hai...main gaya wahan...par jab wahan gaya to apni aakhiri ummed bhi kho di maine...

falshback...

naina:- huda...achha yeh bata...ki tu mujhe kitana pyar karta hai...

huda:- oye phoolan...tu aise kyun pooch rahi hai...huda to tujhse is duniyaan me sabse jyada pyar karta hai...

naina:- are wo to main bas...ab jab tu mujhse saadi karega to...itana to main poochh hi sakti hun na...

huda:- oye hoye...ki bola tune...soniye...

naina:- ha huda...tu hi kuchh din pehle keh raha tha ki tu mujhe apni mummy ji milana chahata hai...unhe dikhana chahata hai ki...unke bete ne unke liye kitani achhi bahu pasand ki hai...

huda(hugs naina):- oye phoolan...main tujhse bahut pyaar karta hun yaar...sabse jayada...aur tune aaj yeh sab keh kar to meri life bana di...aur ha tu chinta mat kar...main tujhe palko pe bitha kar rakhunga...tere liye is huda ki jaan bhi haazir hai...i love you yaarrr...tune mujhse sadi ke liye haan kar diya...i m tooo happy...

naina in her mind:- ha huda...pyar aur tujhse is janam to kya... tu agar mar kar 100 janam bhi le lega na to bhi main tujhse pyar kar hi nahi sakti...main tujhse sirf natak kar rahi hu...taki jo dard tune mujhe, bhaiya raj aur aalekh ko diya hai uska badla le saku...tune hum sab se humari dosti chheni thi...main tujhse teri dosti chheenugi...tune mujhse mere pyar ko door kiya...main ab tera pyar chheenungi...bas dekh huda...tere sath kya hota hai...

raj naina aur huda ko aise dekh raha hai...aur uski aankhon me anshun hai...wo apne aanshun pochhta hai...aur wahan se bina naina se mile...chala jata hai...aur orderly ko bhi mana kar deta hai wo kisi ko uske baare me naa bataye...

flashbach ends...

raj:- ab tum batao ishu...kya main galat kar raha hu...

ishaani:- i m sorry raj...maine fir se tumhe takleef di...kis mitti ke bane ho raj tum...i m sorry...

raj;- nahi tum sorry kyun...ek tumhi to ho ishu jiske saamne main ro sakta hun...warna...main to bas itana chahta hun...wo jahan rahe jiske bhi sath rahe khush rahe...(raj hugs ishaani and both have tears)bas sada khush rahe ...agar wo khush hai to main bhi bahut khush hun...

ishaani:- yeh ab chup ho jaao...warna agar kisi ne dekh liya na...to sab yahi kaheinge...ki lft shekhawat ko rona bhi ata hai...tumhari wo hitler wali image ka kya hoga raj...(raj laughs a bit)

raj:- shut up ha main hitler nahi hun...

ishaani:- aur yeh tumse kaha...pure regisnment me sab tumse darte hai...sab kehte hai ki yeh pehla banda hai jo sirf lft hai par harkate hitler wali hai...jo kabhi nahi hasta...

raj:- ya ya...par tum to aisa nahi maanti na...

ishaani:- main... main to...

raj:- ha ha bolo tumhe kya lagta hai...

ishaani:- mujhe lagta hai ki...

raj:- kya lagta hai...ishu...

ishaani(naughty smile):- mujhe lagta hai ki tum hitler nahi..(raj smiles...)hitler ke baap ho...(she runs...raj smiles faded away...and he also runs behind her to catch her...and after about 5 minutes of tom and jerry running they both felll on bed and laughing...but sudenly raj stops...then ishaani looks at him...) kya hua raj...

raj:-nahi bas naveen aur aalekh ki yaad aa gayi...

ishaani:- every thing will be fine...achha ab main chalti hun bye...

aise hi inki is viraan zindagi ka 1 aur saal kab beet gaya inhe pata hi nahi chala...is ek saal me bahut kuchh hua inaki zindagi me...shalu aur naveen ke parrents ne inki saadi karne ka faysla kiya hai...they both are happy...naina bhi apne bhai ke liye khush hai...par apne liye nahi...naina, huda aur sam bhi ab lft bann chuke hai...aur jaisa naina ne apne aap se vaada kiya tha..naina hi apne batch ki best cadet pass out bani hai...in do salo me aalekh sirf ek baar raj se mila hai...warna naveen aur naina ne to raj ka chehra tak nahi dekha hai...ab naveen, aalekh , rajveer aur ishaani...in charo ka promotion ho chuka hai ab yeh charo hi lft nahi balki captain bann chuke hai...par raj abhi bhi har cheez me ishaani se aage hai...kyuki raj ne sirf do saal me bahut saare bahaduri aur intelligence wale mission bina kisi darr k kiya hai wo ab humesha apni team ko lead karta hai...aur aalekh ko bhi uski bahaduri ke kaaran ab captain bana diya gaya hai...aur aaj bhale hi kabhi aalekh k maa baap uske taporigiri aur galat aadto ki wajah se uspe sharm khate the par aaj unhe aalekh par naaz hai...aur naveen wo apni zindagi me bahut khush hai kyuki ab uski aur shalu ki jald hi shadi bhi hone wali hai...par dil k kisi kone me aahj bhi naveen ko apne kiye par afsos hai...use aaj bhi is baat ka dard satata hai ki wo inn do saalo me ek baar bhi raj se na mil paya na baat kar paya...wo raj se milna chahta hai...manfi maangna chahta hai...par ab uski raj se dubara mil paane ki ummeed khatam si nazar aa rahi hai...wahi aalekh aaj bhi raj ki di hui kasam se bandha hua hai...wo naveen se baat karta hai...naveen ne kai baar raj ke bare me puchha par aalekh humesha mana kar deta hai...par aalekh dil se chahta hai ki...sab theek ho jaye aur raj naina ek ho jaye..par raj hai ki jab bhi aalekh naina ya naveen ki usse bat karta hai raj use kat deta hai...

wahi raj aur naina..kehte hai jab do loge ek dusre se door ho jate hai to ek dusre ko dheere dheere bhool jate hai par...inke case me sab ulta tha...inke kuchh waqt ke rishtey ne kabhi khushi nai dekhi...dekha to sirf dard...inke kuchh pal ke pyar ne milan nahi dekha...dekha to sirf judaayi...inke jajbaaton ne kabhi inke honthon me hasi nahin aane di...aaye to inke aankhon me sirf aanshun...phir bhi inka pyar kabhi bhi kam nahi hua...jitna yeh ek dusre se door rahe hai utna hi ek dusre me kho rahe the...jitna ek dusre ko bhoolna chahte the..utna hi ek dusre ko yaad kark rote the...to kabhi inki yaadein hi inke honthon par mushkaan bann kar chha jati thi...naina ko aisa lagta hai ki raj use pyar nahi karta hai...raj to use bhool chuka hoga...aur raj use yeh galat fehmi hai ki naina huda se pyar karti hai...aur naveen aaj bhi usse nafarat karta hai...wahi ishaani jabse use pata chala hai ki naina huda se pyar karti hai...usne raj ko samjhana to chhod diya...par kab uski dosti pyar mein badal gayi use pata hi nahi chala...pehle wo dil se chahti thi ki raj aur naina ek ho jaye...par ab, ab wo sirf raj ko pana chahti hai...par wo yeh bhi janti hai ki raj use nahi chahta hai par wo zindagi bhar raj ka intezaar karne ko taiyyar hai...usne apne dil ki baat raj se nahi kahi hai...kyuki wo sahi waqt ka intezaar kar rahi hai...wo apne pyar ki chahat me apne dost ko nahin khona chahti thi...isliye wo abhi bhi chup hai...bas dil hi dil me raj se pyar kar rahi hai...aur bas har pal raj ki khushi hi chahti hai...

wahi is 1 saal me sabse bada badlaav aaya hai to wo hai huda aur sam ki zindagi me...us din jab huda aur naina lake side me baat kar rahe the...aur raj ne sunn liya tha..us din ke baad kuchh mahino tak naina ne huda ke sath love aur sadi ka game khela...jisme sam ne uska poora sath diya...ek din huda apni poori family ko lekar aay tha naina se milane...uss din...

falshback...

huda:- phoolan inse mil...yeh hai meri mummy jii..., aur mummy ji yeh hai naina...main naina se bahut pyar karta hoon...

mummy ji:- are puttar jinda reh..jawaniyaan maar...kitani soni bahu chuni hai tune mere waste...puttar ji tere mummy papa kaha hai..jaldi se unhe bhi bula le...jaise hi tum dono afser banoge...maine na tum dono da vyaah kara dena hai...

naina:- aunty ji yeh aap kya keh rahi hai...saadi...

mummy ji:- oh haan puttar ji...mere amar ne mujhe sab bata diya hai ki tum dono ek dusre ko bahut pyar karte ho...

naina;- yeh aap kyakeh rahi hai...apko koi galat fehmi hui hai...main huda se pyar nahi karti...(dhamake on huda & mummyji's face)namaste...(naina wahan se jaane lagti hai)

huda:- oh phoolan yeh tu kya keh rahi hai...tu. tu yeh tu mujhse pyar karti hai na...aur hum sadi...

naina:- kaisi saadi...kaheka pyar ha...huda tujhe bahut badi galat fehmi hui hai...maine tujhe kabhi nahi kaha ki main tujhse pyar karti hun...bol kabhi kaha maine..ki huda i love u(huda yaad karta hai...aur wakai naina ne kabhi use nahi kaha tha ki she love him)aur jahan tak baad hai sadi ki to maine to just puchha tha ki tu mujhse kitana pyar karta hai...aur apni mummy ji se kab mila raha hai...kyuki tu hi kehta tha ki tune apni mummy ji ke liye bahu dhundh li hai...bas...ab aunty ji ap hi bataiye...jab main huda se pyar hi nahi karti to saadi ka to sawal hi nahi uthta... i m sorry aunty aapko takleef hui...ab main chalti hun...(naina turns to go...but huda catches her hand)

huda(shouts):- kyun...kyun kiya tune mere sath aisa ha...kya bigada tha maine...kyun dikhaye mujhe pyar ke sapne..ha bol...jiski wajah se tune yeh sab kiya main use isi zameen me gaad dunga...

sam:- huda...uska hanth chhod...maine kaha uska hanth chhod...

huda(shouts):- nahi... tune mere sath..kyun phoolan..bol...kya bigada tha maine tera...

naina(tears):- maine tera kya bigada tha...ha ab tu bol ki maine tera kya bigada tha,...jo tune mujhse mera pyar chheen liya...mujhse mera raj chheen liya(dhamake on huda's face...)tujhe aisa lagta hai na...ki mujhe kuchh nahi pata...mujhe sab pata hai huda...kya bigada tha raj ne tera jo tune usse uska dost chhen liya...alag kar diya tune bhaiya aur raj ko...jis dosti ke liye wo loge jeete the...tune unse wahi chheen li...teri wajah se bhaiya ne raj par hanth tak uthaya...ab tu bata kya bigada tha maine tera jo tune meri aur raj ki photo graphs dikha kar mere aur raj k rishtey ka tamasha bana diya tha...yeh saabit kiya tune ki raj aur mere beech nazayaj sambandh hai...hai. na...(dhamake on huda's face...)to aaj sunn huda...ha rishta tha mera raaj se...bahut gehra rishta tha...aur wo rishta tha PYAR ka...bharoshe ka...dosti ka...(dhamake on huda's face...)par tune...tune mujhse mera pyar chheen liya...mujhse mera dost chheen liya...meri khusiyaan chheen li...meri hasi chheen li...tune mujhse mera PYAR chheen liya... ab bol kis zameen me gaadu tujhe...(dhamake on huda's face... huda closes his eyes with guilt)bahut takleef ho rahi hai na tujhe...tujhe pata hai na huda tere sirf ek pagal pan ne...kitane logon ki zindagi barbaad kar di...kitane rishtey bann nahi paaye...kitani dostiyaan toot gayi...par tujhe...tujhe to zara bhi afsos nahi hua...tune nair ke sath milkar jitane bhi gande khel khele sab ka pata hai mujhe...ab bol kaun sa gaddha khodu main tujhe gadne ke liye...tu mujhse puchh raha tha na ki kis wajah se maine tujhe dhoka diya...to sunn maine tujhe dhoka diya, kyuki main Rajveer singh shekhaawat se pyar karti hun...tu ek janam to kya 100 janam bhi lekar aayega na huda to bhi yeh naina apne veer ki ho chuki hai...is janam to kya har janam ke liye...(dhamake on huda's face...)jis naina se tu pehli baar mila tha wo naina to rajveer k is academy se jaate hi marr gayi...tune naina ki hasi chhheen li...uski khushi chheen li...uski duniyaan uzaad di...ab bol tujhey saja dene k liye kaun se gaddhe me gadu tujhe...huda kisi ke pyar aur vishwaas kho dena bada asaan hai...par kisi ko chahna...use poojana aur use paa lena utana hi mushkil...(to mummy jii)ab aap bataiye aunty ji...kya galat kiya maine...apke is bhatke hue bete ko sabak shikhane ke liye...agar mujhe aisa karna bhi pada to kya galat kiya maine...lekin yeh bhi sach hai ki maine aaj tak kabhi huda se nahi kaha ki main usse pyar karti hu ya sadi karna chahti hun...kyuki pyar ka dard kya hota hai mujhe achhey se pata hai...(aur naina rote hue wahan se chali jati hai...)

sam:- huda...mujhe, naina aur naveen ko usi din sab pata chal gaya tha jis din raj aur aalekh yahan se gaye the...sab kuchh badal gaya...par tu... tu nahi badla...tune sirf raj se ek thappad ka badla lene ke liye itani saari zindagiyaan barbaad kar di...and u know what...un barbaad zindagiyon me ab ek zindagi teri bhi hai...ho sake to ab sudhar jaa...manfi maang le naina, naveen aur raj se...warna aisa na ho ki tu ek din khud se nazare bhi na mila paaye...aur yakeen maan huda...us din tu jii bhi nahi payega...aur na marr payega...( sam too left)

huda ki mummy ji huda ko apni taraf karti hai...

mummyji:- kya jo usne kaha wo sach hai...bol huda kya wo sach hai...

huda(tears):- ha mummy jii...

mummyji slaps hard across his face 3 times...

mummyji:- Kyun...kyun huda kyun...tune itana galat kiya...yahi shikhaya tha maine tujhe...us phool si bachhi ki zindagi barbbaad kardi tune...aur tu kehta hai ki tu usse pyar karta hai...chheee...tu ise pyar kehta hai...are jise pyar karte hai uski khushi chheente nahi balki uske liye apni khusiyon ki kurbaani di jati hai...agar humara pyar khush hai to hum khush hai...par tune to pyar ko badnaam kar diya puttarji...meri parvarish ko gaali di tune...(dhamake on huda's face...and he was crying badly with guilt on his face...)

huda:- mummyji...

mummyji:- mat keh mummy ji mujhe...mujhe naaz tha tujhpar huda...par ab...ab sharm aati hai ki tu mera beta hai...(dhamake on huda's face..)

huda:-plzz mummy ji mujhe maaf kardo...apne puttar nu manf karo...ab aisi galti kabhi nahi karunga mummy ji...plzz mummy ji main aapse wada karta hu ki ek din sab theek kar dunga...plzzz mummy ji...

mummy ji:- manfi mangni hai to mujhse nahi unse mang jinke sath tune galat kiya hai...aur ha ab tu mujhe tabhi apni sakal dikhana jab tu yeh sakal dikhaane laayak ho...(and mummmyji left with tears and huda is crying there)

aise hi ek hafta guzar gaya...huda ko ehsaas ho gaya tha ki usne kitani badi galti ki hai...usne sam se manfi bhi mangi par sam ne kaha jis din naina aur raj use maaf kar denge us din wo bhi use manf kar degi...
naina wahi lake side par baithi thi aur uski aankhon se aanshun gir rahe the tabhi huda wahan aata hai...naina huda ko dekhte hi wahan se jaane lagti hai...

huda:- phoolan meri baat to sunn...(naina stops) dekh phoolan...mujhe pata hai ki maine bahut badi galti ki hai...aur tune mere sath bilkul sahi kiya...phoolan main janta hun ki meri galti mafi ke laayak nahi hai...par plzzz phoolan mujhe manf kar de...main tujhse wada karta hun ki zindagi meiin kabhi koi galat kaam nahi karunga...(naina phir jaane lagti hai)plzzz phoolan ruk ja...tujhe raj ki kasam...(naina stops and tears appears in her eyes)phoolan tujhe saza deni hai to mujhe dede par aise chhup mat reh...plzzz phoolan...main tujhse wada karta hun..maine tujhse tera pyar chheena tha na...ab main hi tujhe tera pyar lautaunga...(naina looks at huda)
plzzz phoolan main tere aage hanth jodta hu(huda hanth jod kar naina k saamne khada hai aur sam door se yeh dekh bhi rahi hai...3no ki ankhon se aanshun rukne ka naam nahi le rahe the... naina ko aaj peheli baar huda ki ankhon me sachhayi dikh rahi hai...)theek hai mat manf kar maine kaam aisa kiya hai ki...sach kaha tha mummy ji ne...ki pyar wo nahi jisme aap sirf pana chaho aur apni khushi dekho...pyar to wo hai jahan aap sirf apne pyar ko khush dekhna chaho... chahe wo aapke sath ho ya door pyar to sirf dena janta hai...aur agar yeh pyar hai to naina...maine kabhi tujhe pyar kiya hi nahi...kyuki maine kabhi teri khushi ke baare me socha hi nahi... ha main to sirf tujhe pana chahta tha...fida ho gaya tha tujhpe...ya sirf teri khubsurti pe,...main yahi desrve karta hun...mummyji ne bhi mujhse saare rishtey tod liye hai...ab kuchh nahi bacha mere pass na pyar na dost na rishtey...main to kangaal ho gaya yaar...par ho sake to apne is dost ko manf kar dena(naina looks at him) ha phoolan dost... kyuki tu huda ko apna dost mane ya na maane huda tujhse apni akhiri saans tak dosti nibhayega...aur tujhe teri khusiyaan bhi dila kar rahega...(huda waha se jaane lagta hai...but naina holds his hand...)

naina:- huda...dosti ki hai gale nahi lagega...(huda smiles..)

huda:-phoolan...

naina:- ha huda...tujhe teri galti ka ehsaas ho gaya yehi kafi hai...aur jahan tak baat hai raj aur meri to huda..main raj se pyar karti hun yeh sach hai...par raj mujhse pyar nahi karta...

huda:- oye tujhe kisne kaha ki raj tujhse pyar nahi karta tha...maine mehsoos kiya tha phoolan ki wo bhi tujhse bahut pyar karta hai...mujhe is baat ka pata tha ki tu raj se pyar karti hai par jahan tak raj ka sawaal hai to mujhe ab poora yakeen hai ki raj bhi tujhse pyar karta tha...

naina:- kya usne tujhe kabhi kuchh kaha tha...

huda:- nahi par mujhe poora yakeen hai...aur dekhna main ab tum dono ko mila kar rahunga...

naina:- kaise huda inn do saalo me raj se ek baar bhi nahi mili...na usne phone kiya...

huda;- oye phoolan tu huda ki dost hai sab theek ho jayega...yeh mera wada hai...ab to gale ja yaar...(they hugs..tabhi )

sam:- oye aur main...

huda:- tu bhi aa ja meri jhashi ki rani...(and now they three hugs...)

flashbacks ends

in kuchh mahino me huda to sudhar gaya aur naina aur sam se sachhi wali dosti bhi ho gayi thi uski par...kehte hai...kutte ki dum 12 saal tak bhi nali me rakho tedi ki tedi hi rehti hai...waisa hi haal apne huda bhai jaan ka bhi tha...naina ka bhoot to unke sir se kabka utar chuka tha...par sam ka bhoot kab chad gaya inhe pata hi nahi chala...ab huda sam ke peeche pada hai...hath do kar nahi naha dho kar...aur naina bhi huda ka pura sath deti hai...aur aise hi inki dosti ke kuchh mahine guzar gaye...ab inke finals ko sirf ek hi month bacha tha...sam bhi ab huda ko chahne lagi thi...kyuki sab theek hone ke baad huda wakai bahut achha insaan ban gaya tha...par sam ne waqt manga hai huda se...aur huda ne sari zindagi intezaar karne ka wada bhi kiya hai...naina sam aur huda dono ke liye bahut khush hai par naina ka kya...wo to aaj bhi pyar ki usi raah par tanha khadi thi jahan raj aaj se 2 saal pehle use chhod kar gaya tha...

ab naina best cadet ban chuki hai aur in sab ke duty ke orders bhi aa chuke hai wahi raj, naveen aur aalekh ka bhi dusri units aur mission ke liye transfer kar diya gaya hai...

naina ki duty jammu & kashmir ke chhote ilaako me ki gayi hai to wahi huda ko jaisalmer aur sam ko ambala me hi duty join karne ke orders mile hai...wahi naveen aur aalekh ko bhi apne transfer orders mil chuke hai par raj ab delhi aa gaya hai...aur ishaani ko bhi naina ke sath hi J&K ke mission me bheja gaya hai...

naina apne ghar kuchh din rehne ke baad J &K ke liye nikal jati hai wahi dusri side ishaani bhi J & K ke liye nikal gayi hai...dono ek hi train se j & K pahunchti hai...jab dono taxi ka wait kar rahi hoti hai...tabhi ishaani ka phone bajta hai...naina just uske bagal me khadi hai par naina ko is bat ka ilm nahi hai ki ishaani bhi aarmy officer hai...tabhi ishaani phone pick karti hai...

ishaani:- ha veer bolo...(naina looks at her with shocked expression)ha baba pahuch gayi...achha yeh batao tumhare orders mile tumhe...kya abhi nahi...achha kab tak mileinge...oh...u know na veer mujhe bilkul bhi achha nahi lag raha hai...hum do sal sath me the...ya i know,... ok baba take care ha..bye...(naina wipes her tears use raj ki yaad aa jati hai... tabhi dono hi ek hi taxi ko bulati hai aur...)

ishaani & naina:- aarmy base camp...(both smiles)

ishaani:- hey i think humein ek hi jagah jana hai so we can share the taxi...

naina:- ya sure... (now both are in taxi...)

ishaani:- hi i m captain ishaani kashyap...

naina:- oh hellow mam...i m lft naina singh alhuwalia...(ishaani's smile faded away)

ishaani:- naina?

naina;- ji kyun...

ishaani:- ah...nahi nice name...(thinks)kya yeh wahi naina hai...jisse raj... ( to naina) so lft ha...

naina:- ya mam...

ishaani:- kaun sa year pass out ho...

naina:- mam bas yahi...mujhe bas 15 days hue hai pass out hue...from KMA...( ishaani is shocked )

ishaani:- oh nice...i m from NDA mujhe do saal ho gaye hai...

naina:- wow...to aap kaha posted thi...

ishaani:- leh...laddak...

naina thinks:- laddak...wahi to raj bhi..kya raj ke bare me puchhu.. nahi nahi...

ishaani:- kya hua naina...

naina:- nothing mam...

ishaani:- oh coomon nain... duty hrs me u can call me mam but off duty...u have to call me by my name...that is ishaani...

naina( smiles ):- ok mam... i mean ishaani...

ishaani:- thats great...we are going to work together...lo hum base camp pahuch bhi gaye...lets go...( both headed towards base camp and starts their work)

end of part 15
plzzz do comment...
with love chandni...
********************************************************
********************************************************
Edited by rkchandni - 10 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago


***RN-Humko Tumse Pyar hai***
Part - 16

ishaani:- thats great...we are going to work together...lo hum base camp pahuch bhi gaye...lets go...( both headed towards base camp and starts their work)

naveen aur aalekh bhi apne- apne ghar se nikal chuke hai wahi shalu naveen ke jaane se bahut dukhi to neelu bhi aalekh k sath jyada time spend nahi kar pa rahi thi isliye neelu aur aalekh ke parrents ne milkar inki saadi ki date bhi fix kar di hai...alekh ke is mission ke baad neelu aur aalekh ki saadi bhi ho jayegi...both are very happy...kyuki inke parrents ne inki mangni bhi kar di hai...sirf ghar ke loge hi the...raj aur naveen ke bina aalekh mangni ke liye taiyaar nahi tha par phir sabke samjhane aur raj ke phone aane ke baad aalekh maan gaya...

naveen apna samaan lekar j & k base camp pahuch chuka hai...wo wahan ke corridore se gujar hi raha tha ki wo kisi se takra gaya aur dono hi gir gaye...

aalekh:- kaun hai be...( tabhi naveen aur aalekh dono ne ek dusre ko dekha,,,,dono ki ankhon se aanshun beh rahe the...aur dono hi ek dusre ke gale lagna chahte the... par lag nahi paye...kyuki naveen ka guilt use rok raha tha...to aalekh ko raj ka dard rok raha tha...)kaisa hai tu...

naveen;- main theek hu...tu bata kaisa hai..aur neelu kaisi hai...?

aalekh:- apun aur neelu bilkul theek hai...humari engagement ho gayi hai...is mission ke baad shaadi bhi ho jayegi...

naveen:- itana paraya kar diya ki mangni kar di par bulaya tak nahin...

aalekh:- nahin yaar wo baat nahi hai..sab itani jaldi me hua ki...aur phir raj bhi wahan nahi tha...usne phone me mujhe samjhaya aur...

naveen:- kya raj tujhe phone karta hai...??

aalekh:- ha uska sirf mujhse contact hai bas...

naveen:- oh matalab woh mujhe bhool huka hai

aalekh:- naveen tu bhi yeh janta hai ki galat wo kabhi nahi tha...galti tune ki thi...

naveen:- haan sahi kaha tune...achha mujhe uska no de na mujhe usse baat karni hai...

aalekh:- sorry apun ne raj se wada kiya hai ki uske bare me tujhe kabhi kuchh nahi bataunga...par ab ha ab raj ki bhi posting kahin aur hone wali hai...isse pehle wo laddak me tha...

naveen:- laddak...iska matalab abhi kuchh mahino pehle jo laddak me terrorist attck hua tha...

aalekh:- ha us mission ko raj ne hi lead kiya tha...abhi wo ghar par hai...uske posting orders milte hi wo nikal jayega...achha bata naina kaisi hai aur shalu...

naveen:- like u is meri aur shalu ki bhi jald hi shadi ho jayegi aur..naina wo bilkul theek hai...aur wo bhi yahi posted hai...

aalekh:- naina bhi yahan...to tu use apne sath laya hai...

naveen:- nahin wo akeli aayi hai...actually uske orders usko pehle mil gaye the...to wo 2 din pehle hi yahan aa chuki hai...aur mujhe mere orders jab mile tab main nainitaal me nahi tha...isliye hum alag alag aaye hai...naina ne best cadet ka award bhi jeeta hai...

aalekh:- sach...chal phir chalte hai usse bhi mil lenge...

naveen :- ha chal...

delhi...

raj apne room me hai aur uske hanth me ek letter hai...tabhi veena uske pass aati hai...

veena:- raj...kya baat hai kaha khoya hai...

raj veena ji ki gode me sir rakh leta hai aur apni ankh band kar leta hai...

raj:- mom mere tarsnfer orders aa gaye hai...

veena:- kya itani jaldi...par abhi kuchh hi din to hue hai tujhe ghar aaye aur...

raj:- mom mujhe ghar aaye 15 din ho chuke hai...mom mujhe J& k jana hai...waha ek mission hai...

veena:- ok beta par apna khayal rakhna ha...aur sabhi ke achhe se...

raj:- mom dont worry...aalekh aur ishaani bhi wahi hai...

veena;- kya sach...are yeh to bahut achhi baat hai...raj tujhse ek baat puchu...in do saalo me tu aalekh ki baat to karta hai...par naveen uska kya...tum dono ke beech sab theek to hai na beta... i mean...

raj:- ha mom... mere aur naveen ke beech kya hona hai...

veena:- achha to yeh bata ki naveen is samay kahan hai...aur ha uski wo behen kya naam tha ha naina...wo bhi ab officer ban hi gayi hogi na...kaha hai wo sab...

raj:- wo mom...mujhe nahi pata wo loge kahan hai...bahut din se baat nahi hui...phir mom humara kam hi aisa hai ki sabhi frnds humesha to sath nahi reh sakte na...

veena:- chal apna khayal rakhna...kab jana hai tujhe...

raj:- parso...kal dehli head quaters me kuchh info ke liye mujhe bulaya hai...

veena:- theek hai...sara samaan achhe se rakh lena ha...main ayaan k hanthon tera dudh bhijwati hoon...pee kar so jana...

raj:- ji mom...(veena ji kissed him on his fore head and left)

raj thinks:- naina...ab to tum lft bhi bann gayi hogi...mujhe yakeen hai ki tumhe bahut achhe marks mile honge...mujhe nahin pata tum is waqt kaha ho...par jahan bhi ho...humesha khush rehna...aur achhe se rehna...

ayaan:- kya baat hai bhaiya...phir usi chudail ke bare me soch rahe ho...

raj:- kitani baar kaha hai...aisa mata bola kar...aur aa ja...jaldi se soja warna santa tai abhi apna jhadu lekar aayegi aur humari safai kar degi...( ayaan jakar raj ko uska dudh deta hai aur uske bagal me jakar late jata hai...

ayaan:- bhaiya aapko lagta hai na...ki mujhe kuchh samajh nahi aata hai par main bachha nahi hun mujhe sab samajh me aata hai...mujhe pata hai ki aap use chahte ho par aaj tak kabhi keh nahi paaye...ek baar aur kosis to karlo mujhe pura yakeen hai ki mere itane pyare bhaiya ko koi ladki naa keh hi nahi sakti...

raj:- ayaan chal soja tujhe school bhi jana hai kal...

ayaan:- bhaiya par...

raj:- ayaan...

ayaan:- ok good night...

raj thinks:- ab main tujhe kaise bataun ayaan ki main aur naina kabhi ek nahi ho sakte hai...(raj also slept)

next day...delhi head quarters...

colonel.:- hello captain...i m very happy with your track record and success in laddak...rajveer main utumhe bachpan se janta hun...tumhare father aur main dost the...isliye mujhe tum par aur bhi naaz hai...wakai jo kuchh bhi vikash kehta tha apne bete ke baare me wo sach hai...tum pehle bahut saitaaniyaan karte the to mujhe yakeen hi nahi hota tha ki tum kabhi apne desh k liye itana sab kuchh bhi kar paaoge...(rajveer smiles)par aaj i m very proud of u...

raj:- thankyou sir...

colonel:- raj jaiswa ki tumhe pata hai ki tumhara transfer ab J&K ke base camp me special mission ke liye kiya ja raha hai...yeh mission kab tak chalega is baat ka abhi humein khud bhi andaZa nahi hai...par rajveer...tumhare track record aur leadership quality ko dekhte hue...tumhe is mission ko lead karna hai..is tha clear...

raj:- yes sir i m ready...

colonel...:- yeh itana asaan nahi hone wala hai its a very dangerous mission...tumhare upport ke liye hum subedaar khana ko bhej rahe hai delhi se...baki sare mission ke bare me is chhip me hai...humne alresdy kuchh officers ko desh ke alag alag resignment se waha bhej bhi diya hai...aur zarurat padi to future me aur bhi officers tumhe join kareinge...filhal jo officers already wahan pahuch chuke hai...usnme kuchh freshers bhi hai...but they are bset from NDA, KMA...

raj:- KMA...

colonel:- ha kuchh KMA ke officcer bhi hai wahan...ok bcz u r going to lead this mission..main tumhe unn sab ki kuchh pics dikhta hun aur batata hun ki kaun kaun is mission me tumhare sath hoga...

colonel apne lappy me raj ko pics dikhana start karte hai...par raj ka mann bahut bechain sa ho rah tha..

colonel..:- so ye hai...captain aalekh sharma...yeh hai captain armaan khurana...yeh hai captain ishaani kashyap...yeh hai captain naveen singh alhuwalia...(raj is shocked)yeh hai lft ali beg...aur yeh hai lft naina singh alhuwalia...(raj again got a shock)yeh 6 logon ki team hai jinhe lead karna hai...tum khud bhi ek captain ho par with the success record u have tumhe is team ka leader chuna jata hai...raj inn sab ko to nahi pata hai abhi ki kaun inhe lead karega..ya yeh ek dusre ke sath kam karne wale hai...par mujhe inn sabhi par trust hai...isliye inhe chuna gaya hai is mission ke liye...aur jahan tak sawal hai lft naian aur lft ali ka...to they are best cadets pass out from KMA and NDA isliye inhe bhi iss mission me mauka mula hai...humne inka test bhi liya tha jisme inhone proove kiya hai ki they are loyal...and trust worthy...baki jab tum J&K pahuchoge is device ko study kar lena...humara main moto razzak ansari se apne desh ki raksha karna hai...

raj:- yes sir...i will never going to let u down...

colonel:- mujhe tumse yahi ummeed hai captain...all the very best...

raj;- thankyou sir jai hind...(raj left...raj road me chal raha hai...)

raj in his mind:- kyun ho raha hai yeh sab...jitana main naina se door rehna chahta tha...utana hi uske kareeb hota gaya...use aur jyada chahne laga...aur ab to mujhe usi ke sath kaam...kaise kar paunga main...hey bhagwaan meri madad karna...aur naveen...kal tak to mujhe yeh lagta tha ki wahan sirf aalekh aur ishaani honge par yahan to...ab chahe jo bhi ho mera main makshan mera mission hai bas...they are just my fellow officers...aur kuchh nahi...

raj apne mann me decide kark ki use koi fark nahi padta ki wahaan naina ya naveen bhi honge apne ghar chala gaya uar nikalne taiyyari me lag gaya...

dusri taraf jab sabhi loge mess me mile to hairaan the...kyuki naina ko yakeen hi nai hua ki pure 2 saal ke baad wo aalekh aur naveen dono ke sath hogi...par aalekh ne jab naina ko dekha to use bhi yakeen nahi hua ki koi itana kaise badal sakta hai...naina poori tarah badal chuki thi...wo ab wo naina nahi reh gayi jise wo kma me janta tha...yeh naina to koi aur hi thi jo bahut mature aur strong thi...

naina;- hi aalekh kaisa hai tu...(naina hugs aalekh and both have tears...)

armaan:- kya baat hai...lagta hai aap log pehle se ek dusre ko jante hai... by the way i m captain armaan khurana...

naina:- hi i m lft naina singh alhuwalia... wo hum sab ek hi academy se pass out hai KMA se... he is my frnd and he is my brother...bhaiya kaise ho...aur bhabhi...(they both hugs)

naveen :- main bhi bilkul theek hu aur shalu bhi...(to armaan)...hi i m capt. naveen singh alhuwalia...(ishani bahut der se inko dekh rahi hai aur kuchh khoyi si hai,,,)

aalekh:- apun capt. aalekh sharma...

ali:- humara naam lft ali beg hai hum NDA se hai...

naveen:- oh wow nice to meet you guys...(to ishaani)par aap

ishaani:- hi every one i m capt ishaani kashyap...

armaan:- wo hum sab yahan par mission ke liye aaye hai guys...hum 6 milkar jarur apna mission achhey se pura kareinge...now we are going to work togther lets start chit chat and masti too yar...(all smiles and sit together)

ishaani in her mind:- kash aaj yahan raj bhi hota...aaj uske sabhi frnds yahan hai...kash raj in sab se mil pata aur in sab ki galat fehami door ho pati par...

armaan:-capt kashyap...kahan khoyi hui hai aap...

ishaani:- a...wo nothing...

naveen;- so kal se naya mission start ho raha hai...lets see abhi kuchh bhi nahi pata ki mission actually hai kya?...

ali:- sir actually...jahan tak hume pata hai...yeh loge humein kal tak inform karienge about mission...

naveen:- hey ali common...mana ki m ur senior but...call me naveen only...on duty u can call me sir...but off duty only naveen...

armaan:- ha mujhe bhi mere naam se bulao yar buddhe nahi hai hum loge...kyun ishaani ji...

ishaani:- ya...ofcrs...

naina:- ishaani...kya bat hai tum koi prblm hai kya...?

ishaani:- nahi toh...mujhe kya problm hogi...

naina:- nahi main kal se notice kar rahi hun tum sayad kuchh tensed ho...

ishaani:- nahin- nahin kisi ke baare me soch rahi thi...

naveen:- wooo...some one special ha...??

ishaani:- ha naveen sone one special...

armaan:- ab humein bhi bata dijiye kaun hai wo khushnaseeb...

ishaani:- he is my frnd...actually my best frnd...pichhle 2 saal se hum sath me the...aur ab main yahan posted hun aur wo pata nahi kahan posted hai...

armaan:- tumhe tumhare frnd ke baare me nahin pata ki wo kahan posted hai...

ishaani:- nahin actually main kal subah hi veer se baat ki thi(naina, naveen and aalekh looks at ishaani unhe veer sunte hi rajveer ki yaad aa gayi thi..) but tak uske posting orders nahin aaye the..keh raha tha sayad aaj tak aa jaye...par aj uska phone hi nahi aaya...

armaan:- oh nice... very guys...aaj jitna sona wobna ho so lo...kal se kaam suru hi hoga...(tabhi an orderly comes)

orderly;- aap sab ko brig sir ne apne cabin me bulaya hai...

naina:- ok hum abhi aate hai...(all go to brig room)

brig:- so officers...welcome to j&k base camp...india ka sabse senstive aur khatarnaak camp...jahan duty apni jaan ko daav par laga kar ki jati hai...aap sab ready hai apne naye mission ke liye...

all;- yes sir...

brig:- good...main aap sab ko bas yeh batana chahta tha...ki is mission me sirf aap 6 hi nahi hai...2 aur loge hai jo is mission me aap logon ke sath honge...jitana mujhe pata hai unme se ek captain rank me hai..aur dusra koi subedaar hai...jo captain hai unke paas sari details hai is mission se related...jo ki kal aa jayenge...to aap sab ko is misson ka pura knowledge hoga plus aapko kya karna hai is bare me bhi wahi aap sab ko lead kareinge...

armaan:- sir akhir wo bhi humari hi tarah captain rank me hi hai...to wo humein lead kareinge...

brig:- ya the question i asked to colonel but he said he is the best...aap sab ko bhi unhone hi select kiya hai...aur yakeen maniye officers is mission me best ko hi choose kiya gaya hai...to agar unhone ne capt ko hi chuna hai aap sab ko lead karne ke liye...then he must be capable for that...aur lft alhuwalia and lft beg...u both are freshers but u have chosen by colonel then u both that capabelity so guys...be ready for tommorrow...

all;- yes sir... (and all left...)

armaan:- yeh kya yaar...humein lead karne k liye kisi capt ko hi bhej rahe hai...kisi major ko bhejte to baat alag thi...aii bhi kya khaas baat hai us captain mein jo humme nahin hai...

ali:- guru...jarur wo is kaabil honge...dekhte hai..kal sab pata chal hi jayega...

naina:- yes ali is right...so byee mujhe apna room set karna hai...

armaan:- hey naina need any help??

naina:- no thanks armaan thanx...( all retires to their room...)

inka pura din apna room aur baki sab kamo me nikal gaya... aur yahan raj apna sara samaan pack kark subedaar khan ke sath j & k ke liye nikal padta hai...raj ne pehle socha ki wo ishaani ko bata de ki wo bhi j&K aa raha hai...par baad me yeh soch kar ki wo pareshaan ho jayegi raj ke liye usne nahi bataya...

next day morning...

all officers are in mess having their breakfast...tabhi an orderly comes and informs them ki brig ne unhe unke cabin me bulaya hai...sabhi apna break fast kahatam karke brig ke office jate hai to dekhte hai ki brig k hanthon me koi fax hai jisme se we kuchh padh rahe the...all inter in cabin...

brig:- morning officers...actually maine apko isliye bulaya hai ki captain aur subedaar camp pahuch chuke hai aur bas aa hi rahe honge yahan then we will start our meeting...mujhe abhi thodi der pehle hi fax aaya hai ki is mission me aap 8 log hi honge...its a secret mission to aap 8 ke alaawa yahan par sirf mujhe pata hoga ki kya ho raha aur kya nahi...baki sabhi logon ke samne aap just normal officers ban kar duty karienge...(then brig ki nazar entrance par padi jahan par raj aur khan khade the...raj faces alls back...)ligiye...here is your leader officers...Capt.Rajveer Singh Shekhaawat...(naina, aalekh, naveen and ishani are completly shocked to here raj's name)and his assistant
subedaar khan...(all turns an looked at raj...but is having...no expression face...he inters straight to brig...)

raj(salutes him):- Capt. Rajveer Singh Shekhaawat reporting sir...(naina, naveen and aalekh have tears of happiness in their eyes...and ishaani too)

brig:- relax capt...let me introduces u to ur fellow officers...he is capt armaan khurana...(raj shakes hand with him..)he is lft ali beg(raj shakes hand with him..)he is capt naveen singh aluhwaalia...(raj shakes hand with him..)he is capt aalekh sharma(raj shakes hand with him..)she is capt ishaani kashyap(raj shakes hand with her and smiles.)and she is lft naina singh aluhawalia..(raj shakes hand with her...with no expression...)and officers..he is capt rajveer singh shekhaawat...ur leader and ur fellow officer in this mission...and he is subedaar khan..going to assist u all...(to rajveer)so capt shekhaawat...aapko to sari infomation i think kal personally colonel ke through mil hi gayi hai...so now u can start ur meeting...

raj:- sure sir...(now raj was siiting in middle of them...)so officers...lets start our meeting...as u all know about...razzak ansari and his terror in kashmir...(then raj explain about all the details of mission and razzak ansaari..)to humara main motive..in sab se chhip kar inhe zinda pakadna hai...aur sath hi sath is samay jo bhi kashmir me waar chal rahi hai...aur jitane bhi terrorist attack ho rahe hai...unhe rokna...to yeh kuchh phootage hai jo razzak ansaari se related hai...(then raj shows them some phootage...)

armaan:- par rajveer yeh ammunitions jo inhe provide karate hai we kaun ho sakte hai...

ali:- i m sure they pakistaani

raj:- ji nahi lft beg...we loge na pakistaani hai na hindustaani...we loge sirf aur sirf aatankwadi hai...jo loge pakistaan se yeh dandha kar rahe hai...wo loge pakistaani citizen hote hue bhi pakistaani nahi hai...balki pakistaab ke naam pe kalank hai...and the same with indian...ye log apni bebuniyaad ladayi...pakistaan aur hindustaan ki neev par rakhte hai...inka maksad sirf insaaniyat ko tabaah karna hota hai...yeh kete hai ki apni kaum aur apne mazahab ke liye lad rahe hai...par na yeh apni kaum ke sage hai na to apne desh ke sage hai...they are not hindu or muslim...they are not hindustaani or pakistaani...they are just a bloody terrorist...so main aap sab se ummeed karunga ki humara yeh mission kamiyab hoga yo zarur par insaaniyat ki bali chad kar nahi...kyuki hum sab yeh nahi bhool sakte ki is mission ka base point kashmir hai...jo ki hindustaan aur pakistaan border to hai hi...par aatankwadio ka pehla nishana bhi hai...to kisi insaan ki bali nahi chadni chhiye...kyuki hum hindustaani hai aur hindustaani sipaahi kabhi bhi kisi bekasoor ko saza nahi de sakta...is that clear...

all:- yes capt...

raj:- last but not least...abhi tak is baare me sirf colonel, superiors of indian aarmy aur mujhe pata thi ab aap sab bhi is operation ka hissa honge...jiska naam hai operation milan...

brig:- operation milan...?

raj:- yes sir...actually...ane wale 15 august ko india aur pakistaan ke beech operation milan hoga...kyuki 14 aug ko pakistaan ka independence day hai aur 15 august ko himdustaan ka...to dono hi desho ki country ne is operation ko mukaam dene ka faysla liya hai...jisme us din sakdo hindustaani bandiyo jo ki is waqt pakistaan me reh rahe hai...jo ki hindustaani hai aur apne watan lautna chahte hai...aur sakdo pakistaani bandiyon jo ki india me hai jo apbne watan lautana chahte hai...unke azaad kiya jayega...aur aman aur shanti ke sath we sabhi loge apne apne watan...apne logon ke pass lauteinge...jisse hindustaan aur pakistaan ke beech dosti ka bahut bada kadam mana jayega...jisse bahut si problems solve hongi...par jaisa ki aap sabhi jante hai its not going to be easy...is operation millan ko rokene ki kaosis bahut se aatankwaadi giroh kareinge...jo yeh nahi chahte ki hindustaan aur pakistaan kabhi dost bane ya in dono hi mulko me aman aur shanti kaayam rahe. wo kuchh na kuchh jarur kareinge ise rokne ke liye aur humara maksad hai...ki operation millan kamiyab ho...hume unn aatankwadio ko rokna hai..taki insaaniyat ki jeet ho...na ki hindustaani ya pakistaani ki...aur jahan tak baat hai razzak ansaari ki wo toh sirf ek kadi hai...us jaise na jaane kitane loge...is mission ko rokne ki purozore kosis kareinge par humein ise kamiyaab banana hai...aur yakeen maniye agar yeh mission kamiyaab ho gaya na...to is 15 aug unn sabhi shahido ko humari sachhi shradhanzali hogi jinhone humare desh ke liye jaane di...aur un sakdo bandiyon ke liye sach muchh ka asli swantantrta diwas hoga...bas mujhe itana hi kehna hai...any questions...

all :- no...we are ready...

brig:- really its not going to be easy...ab samajh me aaya ki kyun colonel saab ne is baar sabse best officers ko hi yahan bheja...aur main motive razzak khan nahi...operation millan hai...hain na??

raj;- yes sir u r right...so guys...kal se humara plan of action suru hoga...

brig:- yes..be ready every one...i will take ur leave aap sab bhi apas me apna mission discuss kijiye...bye every body...(brig left)

armaan:- wooo...hey raj a...u dont na if i call u raj...

raj(smiles):- no not atoll...

armaan:- and u can call me just armaan ha...no capt ok... hey tumne to hila diya yaar...kya dhasu mission lekar aaye ho...kal to main tumhe aiwayii under estimate kar raha tha...

raj(looking at naveen...with sad smile):- its ok armaan...aksar loge mujhe galat hi samajhte hai...(naina is just looking at him with moist eyes)

naveen;- raj wo...(raj cuts him)...

raj;- aalekh mere room me aa tujhse kuchh kaam hai...(aalekh nods in yes..)

ishaani:- ek baar naveen ki baat to sunn lo...(but raj give her a sharp look and moves towards his room...a tear flows down from naveen's eyes...and naina's too)veeerrr...plzzz veeer listen(ishaani runs behind raj and naina is shocked to here veer from ishaani's mouth)

aalekh;- ishaani raj ko janti hai...

armaan:- hey yeh sab ho kya raha hai...and y u guys crying...kya tum sab rajveer ko pehle se jaante ho...??

ali;- ha naina...baat kya hai...ishani ji bhi kya rajveer sir ko janti hai...??

aalekh;- wo apun tum dono ko baad me batayega...abhi apun ko raj se milne jana hai...(aalekh also left...and naina too)

ali(placing his hand on naveen's soulder):- naveen bhai...sab theek to hai na...

naveen:-(wiping his tears):- ya ali...wo bas...main baad me milta hoon...(he too left)

ali:- armaan bhai...yeh panga kya hai..yeh sab rajveer sir ko dekhne ke baad aise kyun...

armaan:- pata nahi yaar par inke beech kuch to preoblem hai pata karna hoga...aur tu kya yeh rajveer sir rajveer sir keh raha hai..use bhi uske naam se hi bula...wo bhi humari tarah capt hi hai...

ali:- ha wo to hai par...wo thode..humara matalab tha ki serious ke type ke hai na...jab se aaye hai...unhe haste hue nahi dekha...

armaan:- ha wo to hai...but him some time...chal baad me sab pata chal jayega...abhi chalte hai...thoda reserch karte hai...(ali nods and both left)

raj's room...

ishaani:- veer tum yahin aane wale the aur tumne mujhe bataya kyun nahin...i mean...

raj:- ishu kaise batata...haan...mujhe khud parso rat ko hi letter mila phir kal pura time head office me beet gaya...aur waise bhi it was surprise for u...

ishaani:- surprise for me or for??kya tumhe pata tha ki naina, naveen aur aalekh bhi yahan hai...??

raj:- haan pata tha kal hi pata chala...jab mujhe letter mila tha to mujhe laga ki main tumse aur aalekh se bas milunga par yahan to khair...ab to u r happy na? use ro rahi thi ki hum ab alag ho rahe hai...

ishaani:- raj r u ok na? i mean naina...

raj:- look ishaani...hum kab kisse mileenge yeh hum tai nahi kate hai yeh pehle se likha hai ki kya hona...aur humare liye to duty comes first...and u dont worry i m alright...turst me...mujhe un logon ke hone na hone se ab koi fark nahi padta...aur waise bhi tum ho na bas mujhe kuchh nahin chahiye... (a tears flows dows down to his cheek)now just give me a hugg...(and both hugs)

par in dono ko hi nahin pata tha ki naina raj se milne aayi thi aur usne inki baat sunli...she is broken now aur wo daud kar rote hue wahan se chali jaati hai...

ishaani:- aaj bhi naina se bahut pyar karte ho na??

raj(aankhon ko churate hue):- nahi...

ishaani(sad smile):- aaj bhi naveen utana mayne rakhta hai na tumhare liye...

raj(aankhon ko churate hue):- nahi...

ishaani:- raj tum jhoot nahi bol pate mujhse...khair plzzz take care and i m always there for u...and stop crying...bahut hi bure lagte ho...(now raj smiles)byee... gn...

raj:- hey ishu...thanks yaar...gn(ishaani left)

naina's room...

naina is crying badly...use raj ki bahut yaad aa rahi hai...aaj phir uske ghaav taja ho gaye the...she is completly broken from inside...aj jab naina ne raj ko pure 2 saal bad dekha to wo hairaan reh gayi thi kyuki raj ki ankhon ki chamak kahi kho gayi thi...wo bahut hi strict sa dikhayi de raha tha...jabki raj wo kabhi itana saitaan tha ki major nair ke naak me dam kark rakhta tha...jo kabhi major nair se nahi dara aaj loge usse darne lage hai...he is focused only on his mission aur kuchh bhi nahi...raj ne naina ki taraf dekha tak nahi jabki naina ki nazar pure waqt sirf raj par thi...naina ko bas abhi thodi der pehle jo hua wo sab yaad aara hai...aur ishaani ka raj ko veer bulana naina ke dil ko chubh raha hai...

naina remembers...
ishaani:- ha veer bolo...(naina looks at her with shocked expression)ha baba pahuch gayi...achha yeh batao tumhare orders mile tumhe...kya abhi nahi...achha kab tak mileinge...oh...u know na veer mujhe bilkul bhi achha nahi lag raha hai...hum do sal sath me the...ya i know,... ok baba take care ha..bye...
...
naina:- ishaani...kya bat hai tum koi prblm hai kya...?

ishaani:- nahi toh...mujhe kya problm hogi...

naina:- nahi main kal se notice kar rahi hun tum sayad kuchh tensed ho...

ishaani:- nahin- nahin kisi ke baare me soch rahi thi...

naveen:- wooo...some one special ha...??

ishaani:- ha naveen sone one special...

armaan:- ab humein bhi bata dijiye kaun hai wo khushnaseeb...

ishaani:- he is my frnd...actually my best frnd...pichhle 2 saal se hum sath me the...aur ab main yahan posted hun aur wo pata nahi kahan posted hai...
...
ishaani:- raj r u ok na? i mean naina...

raj:- look ishaani...hum kab kisse mileenge yeh hum tai nahi kate hai yeh pehle se likha hai ki kya hona...aur humare liye to duty comes first...and u dont worry i m alright...turst me...mujhe un logon ke hone na hone se ab koi fark nahi padta...aur waise bhi tum ho na bas mujhe kuchh nahin chahiye... (a tears flows dows down to his cheek)now just give me a hugg...(and both hugs)
...
naina in her mind:- kyun...kyun raj..maine yahan her par her lamha sirf tumhe chaha aur tum...tum puri tarah badal gaye raj...mujhe kabhi lagta tha ki sayad tum mujhse pyar nahi karte ho...par ab yakeen ho gaya ki tum mujhse pyar nahi karte ho...but main kya karun main aaj bhi tumse bahut pyar karti hoon...bahut pyar...

raj's room...he is standing on his window side...and thinking...
raj in his mind:- sach kaha tumne ishu...bahut fark padta hai mujhe...mere liye naveen aaj bhi utana hi important hai...aur naina uske liye to aaj bhi is rajveer ki jaan hazir hai,...par main yeh kaise bhool jaun ki sirf maine naina se pyar kiya hai...naina ne mujhse nahin...wo to...(raj closed his eyes in tears flows down to his cheeks)

naina:- i love u veer...

raj;- i love u naina...

pyar ke liye...char pal kam nahin the..
pyar ke liye...char pal kam nahin the..
kabhi tum nahin the...

kabhi hum nahin the...
kabhi tum nahin the...

kabhi...hum nahin the...
(naina apni window me khadi chand ko dekh rahi hai aur use apne aur raj ke sath me bitaye kuchh achhey pal yaad aa rahe hai...)

pyar ke haseen...kab yeh mausam nahin the...
kabhi tum nahin the...

kabhi hum nahin the...
kabhi tum nahin the...

kabhi...hum nahin the...
(raj bhi apni window par khada hai aur bas yahi soch raha hai kash aaj wo aur naina ek hote to unki zindagi kitani alag hoti)
...
yeh din... barso ke baad aaya...
kuchhh tumhe...kuchhh humein yaad aayaa...
kasak... phir ye, dil me uthi hai...
honthon pe...baat aake... ruki hai...
kabhi itane...mazboor hum nahin the...
kabhi itane...mazboor hum nahin the...
(naina ko yaad aaya jab aaj usne raj ko pure do saal baad dekha...kabse intezaar tha naina ko iss pal ka par aaj wo itani mazboor hai ki raj ko keh nahi sakti ki wo use kitana chahti hai)

pyar ke liye...char pal kam nahin the..
pyar ke haseen...kab yeh mausam nahin the...
kabhi tum nahin the...

kabhi hum nahin the...
kabhi tum nahin the...

kabhi...hum nahin the...
(raj ko yaad aa raha hai ki kaise usne aaj naina ko puri tarah se ingnore kiye usne usse baat tak nahi ki)
...

agar tum...yeh dil maang lete...
jaane mann...hum tumhe jaan dete...
tum kaise...hum bhool jate...
marr ke bhi...tum humien yaad aatein...
tumein hai pata...bewafa hum nahin the...
tumein hai pata...bewafa hum nahin the...
(raj bas yahi soch raha hai ki kyun wo sab hua jo nahin hona chahiye tha...aur aaj bhi wo naina se utana hi pyar kyun karta hai jabki naina to kisi aur ko chahti hai...)

pyar ke liye...char pal kam nahin the..
pyar ke liye...char pal kam nahin the..
kabhi tum nahin the...

kabhi hum nahin the...
kabhi tum nahin the...

kabhi...hum nahin the...

(naina ko bhi yahin khayal ab mar raha hai ki raj sayad usse nahi balki ishaani ko chahta hai...wo to raj k liye koi mayne hi nahin rakhti hai)

pyar ke haseen...kab yeh mausam nahin the...
kabhi tum nahin the...

kabhi hum nahin the...
kabhi tum nahin the...

kabhi...hum nahin the...
(raj aur naina dono hi apni window side se take lagakar khade hai aur jaise hi apni aankh band karte hai dono ki hi aankhon se aanshun gir rahe hai aur dono ko hi ek dusre ka muskurata hua chehra dikh raha hai...aur wo dono ek dusre ka naam lete hai...)

movie:- dil kya kare...

naina:- veerrr...

raj:- nainaa...

end of part 16
plzzz do comment...
with love chandni...
******************************************************
******************************************************
pics of ishaani...armaan and ali...
https://www.indiaforums.com/forum/fan-fictions/4380909/humko-tumse-pyar-hai-rajveer-naina-completed-last-part-on-page-51?pn=26

ishaani played by gauri tejwaani..

armaan played by hiten tejwaani

ali played by harshad chopra

Edited by rkchandni - 10 years ago
naujoker thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
Beautiful update hai yaar, thoda rula dua toh thoda hassa diya.
Mindblowing!!!!
Inki misunderstanding jaldi khatam karo yaar please 😔
Mission details aur new intro was nice.
Thanks for pm!!
Update soon!
Eagerly waiting

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

1 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

4 months ago

Student of the Year: When Love Lost Its Way [Completed]

Author's Note: Based on the Prompt by @JasmineRahul in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: The alternative version of the...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

4 months ago

More Than Enough ~ A Rumya Three-Shot [Completed]

Author's Note: Based on the Prompt by @oh_nakhrewaali in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: Character A has body image...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

4 months ago

Deewaniyat ~ A Jeenat Five-Shot [Completed]

Author's Note: Based on the Prompt by @Indulekha00 in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: A prompt for the mysterious lovers...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".