Humko tumse pyar hai ~Rajveer Naina~ *completed* Last part on page 51 - Page 26

Created

Last reply

Replies

387

Views

142.5k

Users

31

Likes

579

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
thanks alot every one...for reading...liking...and commenting on my fic...
thanks a ton

lots of love and hugss...

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

***RN-Humko Tumse Pyar hai***
Part - 19

raj:- par vaseem khan ka kya...uske pass backup plan to hoga hi na...abhi bhi pure 12 ghante hai uske pass bahut kuchh ho sakta hai...anyways..camp chalo...aalekh tu apni style se armaan ke sath milkar razzak se sab kuchh ugalwayega aur sketch banwa vaseem khan ka...now lets go...ali order dedo ki in sabhi saheed hindustaniyon ka antim sanskaar achhe se karaya jaye...(both proceeds towards their work)

ali ne waisa hi kiya jo raj ne kaha tha

sabhi base camp pahuch chuke hai...aur jaisa ki raj ne kaha tha...aalekh aur armaan ne razzak ansaari ko bahut torture kiya par wo tha ki apna muh kholne ko taiyyar hi nahi tha...thak haar kar aalekh ne raj ko bataya...to raj ne abhi kuchh bhi karne ko mana kar diya...aur upar se orders bhi aa gaye the ki razzak ansari ko kuchh bhi nahi hona chahiye...

at meeting room...

naveen;- ab kya raj...tune to kaha tha ki operation millan ke liye tere pass ek plan hai...

raj:- tha naveen...but kahin na kahin maine vaseem khan ko kamzor samajh liya tha...par ab meri gut feeling keh rahi hai ki humne jaise hi ansaari ko pakda hai wo kuchh bada jarur karega...achha ali...ram nath singh ne kuchh kaha...

khan:- ha sir...usne sab ugal diya hai...usne hi razaak ansari aur vaseem khan ko finance kiya tha...kyuki agar operation millan kamiyaab ho jata hai to...iski seat ko bahut bada khatra tha...usne kuchh aur politicians aur business man ka naam liya hai...jinhe bhi arrest karne ke orders paas kar diye gaye hai...sabhi lambe jayenge sir...humara mission almost 90% kamiyaab hua hai...but abhi bhi jab tak operation millan kamiyaan nahiho jata khtara to hai...

raj;- good...be alert...sabhi koi apne kaam me lag jao...aur apni dressing karwa lo...abhi adhi jang bachi hai...

kuchh gante yunhi gujar jate hai...ab operation millan ko hone me bas 8 ghante bache hai...aur raj aur baki sabhi loge security ke kaam me lage hai ki tabhi military base camp me vaseem khan ka phone aata hai...phone brig saab uthate hai par vaseem khan ka naam sunte hi we use speaker par dal dete hai...

vaseem khan:- kaise ho brig...kya baat hai capt shekhawat...manna padega...is baar to tumne mere baaye hanth ko hi chheen liya...chalo koi baat nahi...par tumne kya socha agar tum razzak ansari ko apne kabze me kar sakte ho to kya hum nahi...capt humne bandi pura hijack kar liya hai(dhamake on all's face)aur ha main wo galti nahi karunga...jo razzak ne ki...razzak ne to sirf chetawani dene ke liye hijack kiya tha ki operation millan ko rok do...par hindustaan ki sarkaar nahi mani...nh nh nh...wo to maan bhi jate kyuki hindustaan ki sarkaar hijdo ki toli jo hai,...

raj:-vaseem khan...

vaseem khan:- awaaz neeche capt...ab dhyan se suno...bandipura ke logon ko humne agwa kark rakha hai...operation millan me sirf 8 ghante bache hai...razzzak ko chhod do aur operation millan ko rukwa do...hum kisi ko kuchh nahi kareinge...aur ha yahan aane ka plan to bilkul mat banana...kyuki yahan charo taraf bombs biche pade hai...jaise hi tum sab yayah aaoge...bombs phateinge aur loge mareinge...samajh gaye...vaseem khan jo kehta hai karta hai aur ha...razzak ansaari ko lekar tum aaoge capt rajveer shekhawat...aur haan akele aana bina kisi hathiyaar ke warna...ha ha ha...khuda hafiz...

naveen:- what the hell...ab kya kare...

armaan:- ya its very dangerous...

raj:- par jana to hog hi aakhir operation millan ka sawaal hai...aur unn masum logon ka bhi...

naina:- mujhe to ek baat samajh nahi aati ki inn logon ko in masum logon ko hathiyaar bana kar waar karne me kya maza ata hai...pahle hi poonch me itane saare loge maare gaye hai...aur ab yahan bandipura me bhi...

aalekh:- raj usne tere ko akele bulaya hai...tu kya karega...??

raj:- jaunga...aur kya...(All are shocked)...

naina:- are u out of ur mind...?

ishaani:- naina is right...raj wahan aatank wandi hai..gali k gunde nahi...tum akele no way...

naveen:- exactly...tu akele nahi jayega...samjha...aur ha...main aur aalekh bhi jayeige...tere sath...

naina:- aur main bhi jaungi...

brig:- cool down officers...par aap loge ab bachho ki tarah behave karna band karo...wahan sakdo logon ki jaan aur operation millan ka sawaal hai...hum risk nahi le sakte...capt rajveer aap akele hi jayeinge...

naina:- par sir...

brig:- let me complete lft...capt shekhawat aap jakar razzak ko le jane ki taiyyari kijiye...its an order...

raj:- yes sir...and guys trust me mujhe kuchh nahi hoga...aur agar ho bhi gaya to operation millan rukna nahi chahiye...byee...(raj left)

naveen:- sir dekhiye hum jante hai ki hum bachho ki tarah behave kar rahe hai par...sir samjahne ki kosis kijiye...hum raj ki jaan...(naveen is having teras)

brig:- dekho capt main raj ki jaan bachane ke liye...itane masum logon ki jaan daav par nahi laga sakta...aur raj ne kaha hai operation millan nahi rukna chahiye...aur agar marna hi hai..to raj hi sahi..(dhamake on all's faces)...kurbaani ek hi banda de to hi sahi hai...par mera dil keh raha hai ki raj ko kuchh nahi hoga...raj ko aarmy head is mission ka leader yunhi nahi bana diya gaya hai...usme wo quality hai ki wo dusman ki duniyaan me jaakar unki duniyaan tabaah kar sakta hai...isliye trust karo uspar aur bhagwaan se pray karo ki na use kuchh ho na hi humare desh k swaabhimaan ko...capt armaan...ap capt ishaani kesath fulll monitor kareinge operation millan ko...khan lft ali aap dono jaiye aur operation millan ki security ko aur badhaiye koi gadbad na ho...capt aalekh and capt naveen plzzz shant ho jaiye aur jakar capt shekhawat ki madad kijiye...taki wo aage proceed kar sake...and lft naina...go and help armaan and ishaani...

all:- yes sir...(brig left...after him ishaani, armaan, khan and ali too left...naina starts crying...)

naveen:- naina...plzz mat ro...raj ko kuchh nahi hoga...

aalekh:- apun dono tujhse wada karte hai...hum raj ke liye...

naveen:- wo humein lekar to nahi jayega par hum jayeinge uske peeche...aur tere raj ko sahi salamat wapas lekar aayeinge...

naina:- bhaiya...use kuchh nahi hona chahiye...agar raj kuchh ho gaya to main...apni apni jaan de dungi...

aalekh:- chup kuchh nahi hoga...na raj ko na hum dono ko...aur operation millan bhi kamiyam hoga...samjhi...aur ab rona band kar...army officer hokar bachho ki tarah ro rahi hai...aur raj ko kuchh ho gaya to hum apane bhanja...bhanjiyon ko kaise khilayeingee...

naina:- kya...

naveen:- ofcrs...ab tere aur raj ke bachhe humare bhanja...bhanji hi to hue na...(naveen winks at naina)

aalekh:-aur hum unke mama...

naina(shocked):- whattt...bhaiya aalekh...main itani tense hu raj ke liye aur aap dono ko mazak sujh raha hai...

aalekh:- humne kab kahan ki hum mazak kar rahe hai...

naina:-stopit aalekh...achha bhaiya...plzz aap loge apna aur raj ka khayal rakhna ha...

naveen:- natak mat kar...sirf yeh bolna chahti thi na ki raj ko kuchh na ho...hum loge to aiwayii...

naina:- bhaiya aisa kuchh nahi hai...aap dono bhi mere liye bahut mayne rakhte ho...aap 3no ke bina meri zindagi adhuri hai...

aalekh:- good...ab jaa aur armaan aur ishaani ki help kar...hum raj ke pass jate hai...aur ha rona mat...(naina wipes her tears and left to monitor room...)

naveen:- humne use keh to diya par kya aisa hoga...?

aalekh:- jarur hoga...ab chal...sale us vaseem khan ko shradhanjali jo deni hai...(naveen nods and both left behind raj)

monitor room...

ishaani:- armaan...detect karne ki kosis karo ki bambs kaha kaha biche ho skate hai...

armaan:- look at that ishaani...pure bandipura k ilaake me...density bahut high dikh rahi hai...specially yeh dekho...yeh point jo dikh raha hai na...yahan se jana sabse jyada khatarnaak ho sakta hai...naina raj ko inform karo...ki in jagaho pe savdhaan rahe...aur haali ko kaho ki force taiyyar rakhe raj ke orders hai...ki kisi bhi waqt attack karna pad sakta hai...(but naina is thinking some thing else...)naina...kaha khoyi hui ho??naina...

naina:- raj ko kuchh hoga to nahi na?

armaan:- kuchh nahi hoga use...

naina:- bhaiya aur aalekh gaye hai raj ke peeche...par mera dil bahut ghabra raha hai...agar mere raj ko hua to main...(ishaani and armaan both were shocked)...

armaan:- tumhara raj??

naina:- i love him...i love him alot...use kuchh nahi hona chahiye armaan...kuchh bhi karo...(dhamaake on ishaani's face...)

ishaani:- kya tum raj se...(now naina realised what she said infront of ishaani but its was too late...not making eye contact with ishaani...)

naina:- ha ishaani... i know i m rwong... mujhe pata hai u and raj meant to be to gether(ishaani and armaan both were shocked) par main raj se abhi se nahi balki tabse pyar karti hun jab hum kma me padhte the...par us waqt main kuchh keh nahi paayi aur ab bahut der ho chuki hai...ab raj tumse pyar karta hai...

ishaani:- yeh tum kya...(but armaan holds ishaani hands and hint her not to say anything now...and ishaani stops...)naina...hum bad me baat kareinge abhi kam jyada impt hai...(naina nods)...

naina:- armaan plzzz...

armaan:- naina abhi tumhe jo bhi orders mile hai unhe follow karo...main dekhta hun...(naina turns to but stops)

naina:- mujhe raj ke pass jana hai...main use wahan marne ke liye nahi chhod sakti...(dhamake on ishaani's and armaan's face)

ishaani:- are u out of ur mind naina...tum jaogi...dekho naina wahan terrorist hai...kitna khatara hai wahan aur tum...

naina:- main kya...ha...ishaani...wahan raj ki zindagi aur maut par bani hai aur maina shanti se kaise...

armaan:- look naina...i know what u r feeling now...but just listen to me...raj ko in sab ki adat ho chuki hai...use pata hai use is waqt kya karna hai...but u r a fresher...its ur first mission...plzzz try to understand...bas bhagwaan se pray karo ki sab kuchh theek ho jaye aur raj ko kuchh na ho...aur abhi tumne hi to kaha na ki...naveen aur aalekh gaye hai...(naina nods in yes) to bas...bharosha rakho hum indian aarmy itane kamzor nahi hai...aur fir...raj ki baat hi alag hai...just calm down and go...(naina left to ali...)she love him alot...uski aankhon me dikh raha hai ki wo raj ko bahut chahti hai...aur tumne suna kya kaha...use lagta hai ki tum aur raj couple ho...

ishaani:- haan...aur raj ko lagta hai ki naina aur huda couple hai...

armaan(smiling):- pyar to dono ko hai aur wo bhi sirf ek dusre se aur...sirf khel koi khel raha hai...to wo hai inki kismat...jo inke beech itani sari galat fehmiyaan hai...bas raj sahi salamat aa jaye...ab sab theek hoga...hum kareinge theek...

ishaani:- i hope so too...

armaan:- to kya socha hai??

ishaani:- kis baare me??

armaan:- are mere bare me yaar... main bhi to tumse bahut pyar karta hun...mera koi chance hai...?

ishaani:- just shut up aur raj naveen aur aalekh ko track karo...

armaan(to him self a loud ):- chal armaan beta...tera koi chance nahi...sab paththar ke bane hai...lag jaa kaam par...(ishaani roled her eyes with cute smile like...iska kuchh nahi ho sakta hai)


naina in her cabin...

naina in her mind:- nahin...mera dil bahut ghabra raha hai...bat sirf raj ki nahi hai...wahan aur bhi bahut se log hai...bhaiya ya aalekh ko kuchh ho gaya to...to kya hua...yeh mera 1 mission hai main jaungi raj ke paas...bhaiya aur aalekh ki help karungi...bhad me jaaye orders...abhi mera main motive raj, aalekh bhaiya ka sath dena aur operation millan ko kamiyaab babana hai...

naina bina soche samjhe...apne hi junoon me kuchh guns ko apni body par attach karti hai...ali ko sab kuchh samjha kar bahana bana kar waha se nikal jati hai...aur yahan dusri taraf naveena ur aalekh bhi dheere dheere raj ka peecha kar rahe the

Bandipura...

raj razzak ansaari ko lekar almost unke thikane tak pahuch gaya hai...use jara bhi ehsaas nahi hai ki naveen aur aalekh uske peeche hai...aur naina naveen aur aalekh ke peeche hai...par galti se hi sahi vaseem khan ke kuchh admiyon ne naina ko dekh liya...aur ab we naina par nazar rakhe hue the...raj jaise hi aage badhta hai...ek bomb blast hota hai...aur vaseem khan bahar aata hai...(rajveer was completely shocked to see vaseem khan bcz he is non other than brig of J&K base camp)

vaseem khan:- capt rajveer...kya baat hai...manna padega...indian army ke bando ko bina kuchh soche samjhe...yunhi nikal padte hai...apne sathiyon ki madad karne...

raj:-ab wakai sharm aati hai mujhe ki maine aapki...nnhhh teri baat mani...to isiliye tune kaha tha ki main akela aaun han...

vaseem khan:- to achhe se manna tha...mana karwaya tha na ki koi aur sath na aaye tumhare...tum akele aaoge...

raj:-kya bakwaas kar rahe ho...main yahan akela aayan hun...jaisa tumne kaha tha...ansaari mere sath hai...ab ise lo aur unn sabhi masum logon ko chhodo...waise bhi bahut gaddari kar chuke tum...

vaseem khan:- itani jaldi bhi nahi capt...abhi operation millan to rukh jaye...

raj;- wo bhi nahi hoga...bas unn logon humne tumhari ek shart maani aur main ansaari ko lekar aaya hu...ab tum apna kaha mano...man jayeinge...

vaseem khan:- mujhe bewakoof samajh rakha hai...mujhe pata hai...tumne abhi bhi...operation millan ko rukwane k orders nahi pass karwaaye hai...

raj:- to tune hi kyun nahi karwa diya...

razzak khan:- kab ka karwa dete agar yeh asli brig hote to...

raj:- asli??

then vaseem apna nakli plastic face nikalta hai...aur uske peeche se apna asli chehra dikhata hai...(raj was shocked to see some other man behind the face of brig)

vaseem khan:- chauko mat...base camp ke brig ne koi gaddari nahi ki...ha maine jarur ki hai...uske chehre ke peeche chhip kar...humne tumhare brig ko to bahut pehle hi agwa kar liya tha...aur main yeh naki chhera aur contaxct lences lagakar tumahre sath tumhare camp me hi tha...yahan tak ki jab tum pehli baar camp aaye tab bhi tumhara swagat maine hi kiya tha...bahut kosis ki maine tum sab ko divert karne rokne ki par tum to mane hi nahi...isliye mujhe yeh karna pada...

raj:- brig sir kaha hai?

vaseem khan:- dont worry wo humare hi sath hai aur zinda bhi hai...ab tum yeh puchhoge..ki main ek taraf brig ban kar tumhare sath tha...aur dusri taraf vaseem khan se tumhare saamne hi baat kar raha tha kaise"? hai na...(raj nods)to wo kya hai...mere aadmiyon mujhe hi vaseem khan ban kar baat ki thi...to socho capt main aur kya kya kar sakta hun...ab operation millan rukwaao...warna uss naina ko jaan se maar dunga...(raj is shelll shocked)chauko mat...are tumhe nahi pata...are ha...pata bhi kaise hoga...manna padega doisti ho to aisi...tumhe bachane ke liye tumhare peeche -peeche aa rahi hai...kyun capt koi pyar wyar ka chakkkar hai kya...(raj is too angry but at same time some of vaseem khan's guys held him)khair mujhe kya...aane do lft naina ko bhi aane do...dono premi ek sath marna...

raj;- vaseem khan...agar naina ko tune hanth bhi lagaya na...kat dalunga...

vaseem khan:- wah kya pyar hai...kuchh nahi karunga use bhi aur tumhe bhi...bas meri ek baat manlo...phone karo aur operation millan rukwa do...tumhare pass sirf 3 ghante bache hai...\

raj;- kabhi nahi...tujhe jo karna hai karle...operation millan ho kar rahega...

vaseem khan :- theek hai capt hai tumhare pass abhi ek ghanta hai..soch lo...(apne admiyon ko)aye suno...us ladki ko utha lao...

raj;- vaseem khan...chhod mujhe... teri toh...(aur vaseem khan raj ko pakad kar ander band karwa deta hai...jahan par brig aur baki k gaao wale mauzud hai...)

raj wahan un logon ke sath kaid hai...aur raj ko darane ke liye vaseem khan uski aankhon ke saamne hi kai logon par zulm karwa raha hai...par raj nahi maan raha hai...aur dusri taraf naveen aur aalekh bhi vaseem khan ke thikane par pahuch gaye hai...aur abhi tak kisi ne unhe dekha bhi nahi...par dono ko hi ander ki power ka nadaza nahi hai...aur dusri taraf naina ko wo loge pakad le aate hai aur jahan raj hai wahi le jate hai raj aur naina dono hi ek dusre ko is haal me dekh kar shocked hai...

raj:- naina...tum theek to hona...

naina:- raj...yeh loge...

raj(gusse se shouting at her):- what the hell is this...kisne kahan tha ki tum yahan aao...bina soche samjhe kuchh bhi kar deti ho...kabhi to akal laga liya karo...u r such a stoborn...and impulsive...i cant beleive this ki tum itani badi bewakoofi karogi...abhi to main akela marta but ab hum dono mareinge...aur tum...naina kya karu main tumhara...(but naina is crying...)ab rona band karo aur...oh god...kahan fas gaya main...naina just crying ha...koi bachhi nahi ho tum...

naina:- to kya karu...ek to main tumhare yahan aayi aur tum ho ki mujhpe hi guss kar rahe ho...raj u r very bad...(now crying more and more)...tum to...

a man:- ae ladki chup kar jyada halla kiya to...(naina hugs raj with frighten)

raj:- oye...kya hai ha...ja apne us boss ki chamchagiri kar...mere saamne jyada hero panti dhikhai na to...(man left)naina calm down wo chala gaya...mujhe to samajh me nahi aata ki tumhe aarmy officer kisne bana diya...oh god help me...

naina gusse se raj ko chhod deti hai aur muh bana kar waha baith jati hai...raj ek nazar naina ko dekhta haiactually mein is waqt use naina pe bahut pyar bhi aa raha tha bcz wo bilkul bachho ki tarah muh fula kar baithi thi...ki tabhi raj ki nazar upar chhat par padi jahan ek hole tha...usne dekha ki kuchh halchal si ho rahi hai...usne naina ko ishara kiya to naina ne bhi upar dekha...upar koi aur nahi naveen tha jisne badi hi chalaki se apni rakhi ka dhaga naina ke upar hi feka...jab naveemn ne upar se naina ko dekha to wo bahut shocked ho gaya tha par fir wo samajgh gaya ki naina wahan kyun aur kaise pahunchi hogi...naina bhi dhage ko dekh kar samajh gayi ki naveen hi hai upar...usne raj ke kaan me bata diya ki naveen upar hai...raj ne aas pass dekha to unke aas pass abhi koi bhi admi nahi tha...naveen ne upar se ek bahut moti rassi fekhi...jisse pahle raj ne naina ko chada diya...then asli brig ko bhi...par khud nahi chada...aur naveen ko ishara kiya for attacking...naveen, aalekh, naina aur brig...sabhi attack karne ke liye taiyyar the...aur naina naveen ne usi rassi ke through kuchh hathiyaar raj ke pass bhi bhej diye aur dusri taraf raj usi rassi ke sahare jin logon se ho pa raha tha unhe bahar nikal par kuchh ladies aur aur kuchh bugurg logon se nahi bann pa raha tha to weabhi wahi hai...jo sab bahar aa chuke the unme se kuchh mardo ne naveen aalekh aur naina ki help ki jisse...in sabhi ne desh ke dusmano par attack kar diya...aur andar raj ne bhi...

zindagi maut na bann jaye...sambhalo yaro...
zindagi maut na bann jaye...sambhalo yaro...
kho raha chain o aman...
haaa...mushqilo mein hai watan...
mushqilo mein hai watan...
sarfaroshi ki samaan...
dil mein jala lo yaaro...
(raj ander vaseem khan ke aadmiyon se lad raha hai...uske pass kuchh weapons bhi hai...but wo jyada se jyada hanth ka istemaal kar raha hai...)

zindagi maut na bann jaye...sambhalo yaro...
zindagi maut na bann jaye...sambhalo yaro...
kho raha chain o aman...
kho raha chain o aman...
(bahar aalekh ne kuchh logon par hamla kar diya toh...dusri taraf naveen ne...)

haaa...mushqilo mein hai watan...
mushqilo mein hai watan...
sarfaroshi ki samaan...
dil mein jala lo yaaro...
yaroo..yaroo...yaroo...
(naina aur real brig shooot kar rahein hai...aur logon ko lagatar bacha rahe hai...)

sarfaroshi ki samaan...
dil mein jala lo yaaro...
(udhar ishaani aur armaan lagatar unhe msgs de rahe hai about all the bombs kyuki is hamle se kuchh bombs bhi blast ho rahe hai)

ek taraf pyar hai... chaahat hai...wafadaari hai...
(wahi hindustaan aur pakistaan ki border pe indian aur pakistaani governer khade hai...aur apas me operation millan ko suru kar rahe hai...unke honthon pe muskaan hai aur we ek dusre se hanth mila rahe hai)

ek taraf desh mee...desh meee...
dhoka ha gaddarri hai...
bastiyaan...sahemi hui...
shehma chaman saaraa hai...
gam me kyun duba hua...
aaj sab nazaara hai...
(dusri taraf ansaari aur vaseem khan lagatar blast pe balst kar rahe hai...ab ander koi nahi reh gaya hai...sirf raj ansaari aur vaseem khan hi bache hai...)

aag paani ki jagah...abke jo barsaayeinge...
lahlahate hue sab...khet sab jhulash jayengiee...
jayengiee...jayengiee...jayengiee...
(yahan bahar naina brig aur aalekh unn sabhi civilians ko bachane ki kosis kar rahe hai...bcz firing ki wajah se vaseem khan dwara bichhaye gaye sare bombs ek ek kark balst ho rahe the...loge ghayal bhi ho rahe hai...har taraf aag ki lapte hi hai...)
kho raha chain o aman...
kho raha chain o aman...
(but all officer are donig their best...ab tak military ki vans bhi aa chuki hai...aur yeh loge sabhi ghayalo ko unn par bitha kar hospital ki ore rawana kar rahe hai...)

haaa...mushqilo mein hai watan...
mushqilo mein hai watan...
sarfaroshi ki samaan...
dil mein jala lo yaaro...
zindagi maut na bann jaye...sambhalo yaro...
zindagi maut na bann jaye...sambhalo yaro...
kho raha chain o aman...
kho raha chain o aman...
(yahan raj akele hi ansaari aur vaseem khan se lad raha tha...we lagatar raj ko marne ki kosis kar rahe hai par raj...dono par hi bhari pad raha hai...)

haaa...mushqilo mein hai watan...
mushqilo mein hai watan...
sarfaroshi ki samaan...
dil mein jala lo yaaro...
(achanak se bahut bada blast hua aur naveen behosh ho raha tha...naina ne dekha ne to wo uske pass daudi...aur use sambhalne lagi...tabhi naveen ne kaha...naveen:- naina...raj...raj abhi bhi andar hai...jao...use bachao...ander bahut se baombs hai...go naina...i m fine...go...)

zindagi maut na bann jaye...sambhalo yaro...
zindagi maut na bann jaye...sambhalo yaro...
(naina turant andar ki ore bhagi...)
;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;
;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;

chand sikko ke liye...
tum na karo kaam bura...
na karo kaam bura...
na karo kaam bura...
(yahan border pe operation millan pura ho raha tha...)
na karo kaam bura...
na karo kaam bura...
(sabhi pakistaani bandi...apne watan ki mitti ko salaam kar rahein hai...to sabhi hindustaani bhai apne watan ki mitti ko chum rahe hai...sabhi hindustani aur pakistaani logon ko apne watan aur apne logon ke millan ki khushi unke chehro par dikh rahi hai...)

har buraayi ka...sada...
hota hai anzaam buraa...
(yahan raj lagatar...apni puri bhadash vaseem khan par nikal raha hai...ki tabhi naina wahan daud kar aati hai...aur ansaari naina ko apna nishana bana leta hai...

ansaari:- capt...vaseem khan ko chhod do warna...yeh gayi...

raj ruk jata hai...aur yahan...vaseem khan raj ko marna suru karta hai...naina raj ke liye cheekh rahi hai...par raj hai ki mar kha raha hai...uski nazar bas naina par tiki hai...use is baat ka ilm bhi nahi hai ki koi use berahmi se maar raha hai...use to bas koi baat takleef de rahi hai to wo yeh hai ki ansaari naina ko hurt kar rah hai...aur naina ki aankhon se aanshun beh rahe hai...)

har ek buraayi ka...
hota hai anzaam buraa...
(naina:- raajjj...
ki achanak se raj ko ek gun dikhti hai wo use uithata hai aur ansaari ke sir pe shoot kar deta hai...ansaari wahi dher ho jata hai...)

anzaam bura...anzaam bura...
anzaam bura...anzaam bura...
zurm waalo ki kahan...umra badi hai yaaron...yaaron..
inki raahon me sada...maut khadi hai yaaron...yaaron...
(ab raj aur naina milkar vaseem ko marna suru karte hai...vaseem khan dard se tadap raha hai...par raj aur naina dono ki aankhon me aag barash rahi thi...)

zulm karne se...sada zulm hi haasil hoga...
jo na yeh ko kahe...woh koi buzdil hoga...
(raj bahut hi berahami se vaseem ko maar raha hai...)

sarfarasho ne jise lahu de kar seecha hai...
aise gulsan ko ujadne se bacha lo... yaaron...
(vaseem khan almost behose ho chuka tha...tabhi naina raj ke saame kuchh bombs aur pistols lekar aati hai...)

sarfaroshi ki samaan...
dil mein jala lo yaaro...
(yahan aalekh ne almost sabhi ko surakshit jagaho par bhej ddiya hai tabhi aalekhk ki nazar naveen par padi...aur wo naveen ki taraf dauda...usne naveen ko pani pilaya...aur ab naveen aur brig dono hi theek the...)

zindagi maut na bann jaye...sambhalo yaro...
zindagi maut na bann jaye...sambhalo yaro...
kho raha chain o aman...
haaa...mushqilo mein hai watan...
mushqilo mein hai watan...
sarfaroshi ki samaan...
dil mein jala lo yaaro...
(naveen:- raj aur naina...andar hai...
yahan raj aur naina vaseem aur ansaari ko ek jagah par rakh kar unhe bombs se dhak dete hai...)

zindagi maut na bann jaye...sambhalo yaro...
zindagi maut na bann jaye...sambhalo yaro...
(raj naina ka hanth pakadta hai aur dono uss cottage se bahar bhagte hai...jahan naveen aur aalekh already hai...unhe sahi salamat dekh kar...raj aur naina jab unke pass pahuchte hai...to sabke chehro par ek bahut hi badi victory smile hoti hai...aur raj apni gun ko cottage ki taraf point karta hai...aur lagatar 6 shoots karta hai...jisse pura cottage...patto ki tarah jal jata hai...aaj do haivaano ko apne kiye ki saza mil gayi thi...)

zindagi maut na bann jaye...sambhalo yaro...
zindagi maut na bann jaye...sambhalo yaro...
(tabhi armaan inhe msg deta hai ki border par operation millan puri tarah se safal raha...sabhi ke chehro par apni jeet...inshaniyat ki jeet aur aatank ki haar ki muskaan thi...)

movie:- sharfarosh...

brig:- rajveer...aaj tak main yahi samjhta tha...ki aaj kal ke yuva...aarmy aa to jate hai par apni matrabhumi ke mar mitane ka jajba sab me nahi hota...isliye yeh ansaari aur vaseem khan jaise loge...jeet rahe hai aur inshaaniyat haar rahi hai...par aaj...aaj..tum sab nemujhe.. galat saabit kar diya...wakai..pyar aur dosti me bahut takat hoti hai
today...i salute all of u...(brig salute them)and u lft naina singh aluhwalia...impulsive ho...stubborn bhi ho...but...utani hi kabil aur brave bhi ho...(naina smiles)...ab chale...(but raj was exausted...bcz vaseem ne raj ko bahut buri tarah mara tha...isliye he is fainted...)

naina:- raj...

brig:- lagta hai..faint ho gaya hai...common boys...ise camp le chalo...iske sath sath hum sabko ilaaz ki zarurat hai...

base camp...hospital...

naina, aalekh, naveen aur brig ka first aid ho chuka tha...aur dr ne unhe bas rest karne ko kaha tha...but raj he was serious...kisi ko pata nahi tha...par raj ke hanth aur tummy par goli lagi thi...raj ne uss waqt kisi ko ehsaas nahi hone diya tha...uske hanth ki goli to chhu kar nikal gayi thi...but tummy ke pass jyada damage hua hai...all are tensed for raj...naina ka to haal kharab ho gaya hai...kyuki dr ne kaha hai ki raj ko agar 24 ghanto me hose nahi aya to kuchh bhi ho sakta hai...bahar sabhi bahut tensed hai...tabhi...naveen ki nazar unke pass aate salu, neelu,huda aur sam par padi...huda ko dekhte hi naveen aur aalekh ka dimaag kharab ho gaya...huda turant naina ke pass gaya...aur naina uske gale lag kar rone lagi...naveen se dekha na gaya..wo gaya aur usne huda ko marna suru kiya...aur aalekh ne bhi huda pe apna hanth saf kiya...naina shalu, neelu aur sam sabhi un dono ko rokne ki kosis kar rahe hai...par naveen aur aalekh dono ko hi huda par itana gussa tha ki wo sunne ko taiyaar nahi the...

naina(shouts):- bhaiya...aalekh just stopit...ruk jaao...apko mere aur raj ki kasam...(both aalekh and naveens stoped)

aalekh:- teri himmat kaise hui yahan aane ki haan...tune jo kiya hai humare sath uske baad...

huda:- aalekh, naveen...i know maine bahut galat kiya hai...par mujhe meri galati ka ehsaas hai...plzz mujhe manf kar do yar...main janta hoon maine phoolan aur raj dono k sath bahut galat kiya hai...aur aap phoolan se pooch lo usne mujhe manf kar diya hai...(aalekh and naveen both looks at naina)usme mujhe saza bhi di hai...plzz aalekh...naveen...

naina:- bhaiya wo actually...(then naina told them abt huda and her love drama...shadi...huda ka pachhtawa...huda aur sam ka pyar...unki engagement...aur naina huda aur sam ki dosti...)

naveen:- kya itana kuchhh...

ishaani:- oh god toh yeh baat thi...jise raj ne galat samajh liya...

aalekh :- kya galat samjha raj ne...(ishaani goes to naina)...

ishaani:- naina tumhe lagta hai ki raj mujhse pyar karta hai...naina yeh bilkul galat hai..haan raj mujhse pyar jarur karta hai...par like a freind only(dhamake on naina's face)...janti ho naina in do saalon jab raj naveen aur aalekh se door tha..to uska koi aur freind nahi bana...wo mujhse usi tarah ladta tha jaise wo naveen aur aalekh se ladta tha...par pyar...pyar wo nahi kar paya naina...akhir karta bhi kaise...uske dil me toh koi aur hi basa tha..

naina:- k k kaun??

ishaani:- tum naina(naina closed her eyes...and tears flows down to her cheek...)main tumse jhooth nahi bolungi naina...haa yeh sach hai ki main raj se pyar karti thi...(all r shocked)main uski jindagi mein wo jagah lena chahti thi jo tumhari thi...main raj ki zindagi mein bahut special banna chahti thi...isliye sab use...raj bulate the aur main use veer...

sam:- but u cant...bcz pichhle 3 saalon me jab bhi naina ne mujhse yeh kaha ki wo raj ko pyar karti hai...uske jubaan se kabhi yeh nahi nikla ki wo raj ko pyar karti hai...uski jubaan se sirf yehi nikla ki wo apne veer ko bahut pyar karti hai...aur aapne raj ko veer kah kar naina ka haq le liya tha...sayad isliye laga hoga ki aap aur raj...

ishaani:- i m sorry for that...veer sirf tumhara hai...sirf tumhara...wo tumse bahut pyar karta hai...itane saalon me agar wo roya hai to naina ke liye...hasa hai to naina ke liye...uski saansein to chal rahi thi naina...par wo jee nahi raha tha...kyuki wo apni zindagi to kma me hi chhod aaya tha,...wo mushkurata to tha par uski hasi to kma me thi...wo bolta tha to uski baaton mein naina thi...wo rota tha to uske aanshun me naina thi...(now naina is crying...ki how muchh raj loves her now she is luckiest girl in this world...)wo chalta tha par uski har aahat mein naina thi...uska dil dhadakta jarur tha par...uska dil to kma me tha...har pal uske sath ek dar chalta tha...janti wo mujhse kya kehta tha...ki ishu...naina ko paya bhi nahi aur kho bhi diya...wo naveen pe gussa tha ki kash naveen ne wo sab na kiya hota to aaj naina uski hoti na ki huda ki...(dhamake on all's face...naina is shocked)...haan naina...tum bilkul sahi sunn rahi ho...raj ko yeh lagta hai ki tum aur huda commited ho aur shadi karne wale ho...tum huda sepyar karti ho...(again dhamake)...aur mujhe bhi yahi lagta tha...isliye maine tumhe nahin bataya ki raj tumse pyar karta hai...wo to armaan ne pata lagay ki huda uar sameera couple hai...aur kal jab tumne khud mujhse yeh kaha ki u love raj...tab mujhe sach pata chala...aur yeh bhi pata chala ki tum mere aur raj ke baare me kya soch rahi ho...

huda:- par raj ko kyun lagta hai ki main phoolan...

aalekh:- apun batata hai...(all looks at aalekh...then aalekh told them about raj visting to kma and heard abt huda and naina's confrontation and raj misunderstanding...)

huda:- kya par wo sab to galat hai...raj ne galat samjha aalekh...

naina:- tujhe sab sach pata tha hai na??

aalekh:- ha pata tha...bahut pehle se pata tha...par sale tum dono ne apun ko kabhi kuchh karne hi nahi diya...tum dono ke pass dimmag nahi hai...phir khali pili istemaal zarur karte hai...baki har ek cheez me no 1 par pyar ke maamle me sale tum dono hi ek no ke bhondu ho...ek taraf tu thi...jo raj ke dil ki baat janna chahti thi isliye tune apun ko roka...aur dusri taraf wo raj usne bhi apun ko kasam de di ki tujhse ya is naveen se kabhi kuchh na kahu...kya karta apun...haa...ek taraf dost tha...to dusri taraf behen...isliye chhup tha...hone diya jo ho raha tha...

naveen:- naina...ab sab galat fehmi door ho gayi na...ab to tujhe pata chal gaya na ki raj bhi tujhse pyar karta hai... ja naina...ja raj ke pass use apne dil ki baat keh de...

ishaani:- haan naina...kyuki raj kabhi khud nahi kahega...

ali:- naina...aap bahut kismat waali hai...kyuki hume do tarafa pyar badi hi mushkil se milta hai...

sam:- ja naina...maine dekha hai tujhe raj ke liye tadapte hue...ja andar mujhe poora yakeen hai...tere ehsaas se hi raj theek ho jayega...(par yahan naina bas raj ke kamre k door ki taraf dekh rahi hai...par uske kadam uth hi nahi rahe the...tabhi huda aata hai aur naina ka hanth pakadta hai)

huda:- meri hi wajah se tum dono alag hue the...maine kaha tha na...ki ek din tujhe tera raj lauta ke rahunga...chal phoolan tera hero andar hai...aur ek baat kahu...tu aur raj ek dusre k liye perfect ho...main galat tha...par ab galti nahi karunga..chal...(aur huda naina ko andar lekar jata hai...aur use raj ke bagal me bitha deta hai...aur khud bahar aa jata hai...)naveen...aalekh ho sake to maanf kar dena...(now both naveen and aalekh hugs huda...all are having smile on theie faces...but still having tears for raj and naina)

naina raj ke bagal me baithi hai aur bas raj ko dekhe ja rahi hai...uske aanshun rukne ka naam nahi le rahe hai...usne apne ek hanth me raj ka hanth liya...ab naina apne aur raj ke bitaye hue sabhi haseen pal yaad aa rahe hai...unka milna...unka ladna...pyar ka ehsaas aur sath me unki judaaiii

end of part 19
plzzz do comment...
with love chandni...
********************************************************
********************************************************


Edited by rkchandni - 10 years ago
RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
wow great part
opreation millan kamyab ho gaya
raj ne naina ko phir se danta or
naina bacho ki tarah muh bana kr bath gayi h hehehe...
ishani ne sare misunderstanding clear kr de great
huda phir pita wase kam he usne pitne wala kiya h

raj naina ab saath ho gay yuppiii...
sare problem solve ho gayi
par abhi abhi raj hosh me nhi aaya
koi nhi aa jayega naina jo uske pas bathi h
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: meenuraj97

wow great part
opreation millan kamyab ho gaya
raj ne naina ko phir se danta or
naina bacho ki tarah muh bana kr bath gayi h hehehe...
ishani ne sare misunderstanding clear kr de great
huda phir pita wase kam he usne pitne wala kiya h

raj naina ab saath ho gay yuppiii...
sare problem solve ho gayi
par abhi abhi raj hosh me nhi aaya
koi nhi aa jayega naina jo uske pas bathi h



Thanks alot naina
Me too hope so ki sab theek hoga
Keep reading nd keep smiling
yoginisahakari thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 10 years ago
Mind blowing!!!!!
Pl continue soon


Love and prayer
Yogini
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: yoginisahakari

Mind blowing!!!!!
Pl continue soon


Love and prayer
Yogini



Thanks dear
Keep.reading
Keep smiling
rinku95 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Fantastic
Finally this mission is complete
raj get well soon
Continue soon
Thanks for pm
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: rinku95

Fantastic
Finally this mission is complete
raj get well soon
Continue soon
Thanks for pm



Thanku so muchh rinku
Keep reading
Keep smiling
naujoker thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
Fantastic update!!
Finally mission is complete!! misunderstanding between all the gang and about rajraj 😊
Please unite raj and naina soon!! 😔
Thanks for the pm! 😊
Update soon!!!
Eagerly waiting!!
naujoker thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
Fantastic update!!
Finally mission is complete!! misunderstanding finished between all the gang and about raj and ishaani 😊
Please unite raj and naina soon!! 😔
Thanks for the pm! 😊
Update soon!!!
Eagerly waiting!!

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

4 months ago

Student of the Year: When Love Lost Its Way [Completed]

Author's Note: Based on the Prompt by @JasmineRahul in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: The alternative version of the...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

4 months ago

More Than Enough ~ A Rumya Three-Shot [Completed]

Author's Note: Based on the Prompt by @oh_nakhrewaali in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: Character A has body image...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

4 months ago

Deewaniyat ~ A Jeenat Five-Shot [Completed]

Author's Note: Based on the Prompt by @Indulekha00 in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: A prompt for the mysterious lovers...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".