PURE LOVE ~ Sujal Kashish~**Completed**Last part on page 41 - Page 15

Created

Last reply

Replies

293

Views

69.1k

Users

22

Likes

348

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: jasminerahul

Gud that mu btw SK is over.Loved prerna opening her heart 2 Kashish.so thats y prerna is behaving like this 2 sujal.Kashish may put d property in her name 2 save sujal's life.but i worry if she gets misunderstood by others.sujal's accident?Oh!




Thanx a lot dear
Keep.reading
Keep smiling
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago


*** sk- Pure love ***
part 15

kashish:- SSujjjaaalll... ( kashish ki awaz sun kar sabhi daud kar aate hai... aur prerna wo to bahut jyada darr jati hai )

rishi:- bhabhi... ( shakes kashish) bhabhi ... kya hua... big b kahan hai...aur aap chikhi kyun... bahbhi kuchh boliye...

kashish ( rote hue):- r r rishi... sujal...ka... ac... accident ( dhamake on all's face's)

dadi ( rote hue):- puttar mera sujal kahan hai... kis aspataal me hai... ?

kashish:- st.. life...

aur sabhi hospital ki taraf bahgte hai... kashish ka to pura huliya hi bigada hua hai... ro ro kar... uske baal bikhre hai... uski saari bhi kharab ho chuki hai... par use hose nahi hai... prerna ka bhi yahi haal tha... kashish daud kar receptionist k paas jati hai...

kashish:- mere sujal kahan hai...

receptionist:- ji...?

rishi:- big b...a sujal garewal...

receptionist:- ji go streight...then left...in ICU...

sabhi ICU ki taraf bahgte hai... ki wahan se doctor nikalte hai...

akki:- doc mere bhai kaise hai... theek to ho jaiengena...

anurag:- doc aapko sujal ko kisi bhi tarah theek karna hona... aap paise ki fikara bilul nmat kijaiye bas use theek kar dijiye... ( kashish ICU k mirroe se sujal ko dekh rahi hai... uske pure body me bandage lage hue they )

doc:- dekhiye...accident bahut bura hua hai... humein jald se jald operation karna hoga... aap plzz yeh form fill kar dijiye... aur bagwaan se dua kijiye ki unhe kuchh ( rishi catches his collar aur akki use pakadat hai )

rishi ( gusse me ):- heyyy... kuchh nahi hona chahiye mere big b ko samjha... warna, main tujhe...

doc :- dekhiye hum apni taraf se puri kosis kar rahe hai... ab plzz hume apna kaam karne dijiye...

operation suru ho chuka hai... ab tak angad, kavya, anjali, kripa, mehek, aur priya bhi aa gaye hai... kripa jakar kashish ko sambhali hai... wo achhi tarah janti hai... ki kashish pe kya beet rahi hogi... aur priya dadi k paas hai... to anjali aur mehek prerna k pass hai... kavya, angad, rishi, akki aur anurag... yahan se wahan tahal rahe hai... kareeb 4 ghante bad operation khatam hota hai... doc bahar aata hai...

anurag:- doc ab sujal kaisa...

doc:- kya... inka pehle bhi kabhi accident hua hai...?

angad:- haan... aaj se kareeb 3 saal pehele... uske sir pe chot aayi thi... kya hua woh...

doc:- hmmm. tabhi... dekhiye is baar bhi unke sir k usi hisse pe chhot lagi hai... uske baki sareer par to jayada ghaav nahi hai... par sir me bleeding hui hai... isliye prblm badh gayi thi... main operation to kar diya hai... par jab tak unhe hose nahi aata... kuchhh kaha nahin ja sakta... dua kijiye ki unhe agle 24 ghante tak hose aa jaye warna wo koma me jaa sakte hai... ( sabhi ke pairo tale zameen hi nikal gayi thi...) filahal hum unhe wapas ICU me shift kara rahe hai...

8 ghante beet gaye par sujal ko abhi tak hose nahi aaya tha...prerna aur dadi hospital k mandir me khade sujal k liye prarthna kar rahe hai... aur baki sab bhi bahut pareshaan hai... par kashish uski haalat to sabse jyada kharab hai... wo dheere se uth kar chali jati hai...

angad:- kashish kahan jaa rahi ho? ( par kashish koi jawaab nahi deti aur chali jati hai...) kashish suno to...

kripa:- angad use jane dijiye... wo nahi rukhegi... mujhe pata hai wo kaha gayi hai

yahan hum dekhte hai ki kashish church me khadi hai... aur ro rahi hai... uske alwa koi nahi hai...

kashish:- plzzz jesus... bachapan se lekar aaj tak... sirf aapse unki salamati mangi hai... unhe bacha lo... plzzz god unhe bacha lo... tumhe lena hai na... to meri jaan le lo... par mere sujal ko kuchh nahi hona chahiye... sab meri wajah se hua... na main mumma ko kuchh kehti na sujal mujhse naraz hokar ghar se bahar jate... plzz god plzzz...( aur kashish waha jalti hui candle par apna hanth rakh deti hai...) yeh hanth ab tab tak nahi hatega... jab tak mere sujal ko hosh nahi aa jata... wo takleef me ho aur main... main aram se rahu... yeh is janam me to mumkin nahi hai... aur agar sujal ko kuchh hua... to yeh kashish bhi nahi rahegi... aapko unhe theek karna hi hoga... warna mera aap par se vishwaas uth jayega... ( aur kashish aisa hi khadi hai pichhle kareeb 1 ghante se uska hanth puri tarah jal gaya hai... par wo uff tak nahi kar rahi hai... aur jejus ki ankhon me dekhe ja rahi hai... ( tabhi kripa aur priya aate hai aur kashish ko aisa karta dekh )

kripa ( chilla kar ):- kashish... tu pagal ho gayi hata hanth... tera hanth puri tarah jal gaya hai... hata ( kripa hanth hatane ki kosis karti hai par kashish nahi hatati...)

kashish:- nahin jab tak sujal thik nahi ho jate... yeh hanth nahi hatega...

priya:- kashish... sujal ko hosh aa gaya hai... hum yahi batane to aye hai ( kashish looks at priya )

kashish( with smile ):- sachhh...

kripa:- haan ab chal... apne sujal se nahi milna...( kashish apna hanth hatati hai... aur apne dono hanth jod kar)

kashish:- thankyou goddd... aapne...mujhe meri zindagi lauta di( aur kripa ke sath age chali jati hai aur priya kashish ko hi dekhe ja rahi hai...)

priya to herself:- kashish se jyada pyar tumhe koi nahi kar sakta sujal... aur kashish k rehte koi uske sujal ka kuchh nahi bigaad sakta... ( then priya bhi cahli jati hai...)

hospital...
kripa, kashish aur priya daud kar aate hai...

anurag (khusi se ):- kashish beta... kahan thi tu sujal ko hose aa gaya hai... ab wo bilkul theek hai... jaa ja kar mil le... ( kashish with wide smile & tears nods in yes ...tabhi prerna ki nazar kashish k hanth par padi... kashish jane lagti hai... par prerna uska hanth pakad leti hai...)

prerna;- kashish... yeh sab kya hai... tera hanth jala kaise... ( sabhi shocked they yeh dekh kar...)

kashish:- kuchh nahi mumma... aise hi hai... main sujal se mil kar aati hu... aur wo daud kar andar chali jati hai...

prerna kripa ki taraf dekhti hai... aur kripa use batati hai ki... kashish church me thi aur usne kya kiya... sujal ko bachane k liye... sabhi ki ankhon me anshun aa jate hai... kashish ka pyar dekh kar... aur yahan kashish dheere se ander jati hai... sujal ankhein band kark leta hai... medicine ki wajah se so raha hai... kashish use disturb nahi karti bas uske pass baithi hai... aur use dekhe jaa rahi hai... phir wo uth kar sujal ke fore head par kiss karti hai... aur uske anshun sujal ke chehre pe girte hai... jisse sujal uth jata hai... kashish jaldi se apne anshun pochti hai... aur sujal ki taraf smile karti hai... par sujal kuchh nahi kehta... kashish samajh jati hai ki sujal abhi bhi usse naraz hai... par sujal sahi salaamat hai yehi kashish k liye is waqt kafi tha...

2 din beet gaye hai... sujal ki haalat ab theek hai... wo sabse baat bhi karta hai... par kashish se nahin... kashish ko bahut takleef bhi hoti hai... par wo kuchh nahi kehti... aise hi kuchh aur din beet gaye aaj sujal ghar ja raha hai... in dino me kashish pure time hospital me hi rehti thi... sujal ka pura khyal rakhti thi... use bilkul bhi stress lene nahi deti thi... abhi kashish sujal ki packing kar rahi hai... tabhi sujal ki nazar kashish k hanth pe padi...

sujal:- kashish... ( kashish looks at him... kashish ki ankhon me aanshun aa gaye... kyuki itane dino baad kashish ne sujal k muh se apna naam suna tha...) yeh tumhare hnth ko kya hua... isme bandage kyun hai?

kashish:- ji... wo kuchh nahi... thodi si chot lag gayi thi... apki packing ho gayi hai... main doc se prescription le kar aati hu... tab tak rishi bhi aa jayega... phir ghar chalenge... ( sujal nods & kashish left... kuchh minutes baad rishi aata hai )

rishi( with smile ):- hows u big b?

sujal:- i m fine rishi... to cahle...

rishi...:- ji rarur... par bhabhi kahan hai...

sujal:- wo doc se milne gayi hai...

rishi:- oh... ( rishi ja kar sofe me baith jata hai...)

sujal( hichkicha kar ):- rishi... ( rishi looks at him ) yeh kashish k hanth ko kya hua hai?

rishi:- wo big b actually jab aap ( then rishi batata hai ki... kashish ne sujal ke liye apna haanth jala liya tha... sujal was completely shocked ... tabhi priya aati hai...)

priya:- hey sujal... kaise ho yarr...

sujal:- i m fine priya...

priya:- rishi... tujhe kashish bula rahi hai bahar... use kuchh dawayi mangwani hai... ( rishi nods in yes and left priya sujal k pass jakar baithti hai aur kuchh soch rahi hai)

sujal ( naughty smile ):- kya hua priya... kya soch rahi hai... kahin koi bakra phasa liya hai kya ?

priya :- ha ha ha... very funny... main to tere bare me soch rahi thi...

sujal:- mere bare mein?... aisa kya soch rahi thi...

priya:- yehi ki... tu bahut kismat wala hai... kashish tujhe bahut chahti hai... (sujal looks at priya) aise mat dekh ha... par mujhey aisa kyun lagta hai ki aaj bhi tum dono ke beech wo pyar nahi... ( sujal looks down)dekh sujal... arohi tera past thi... par kashish tera aaj aur aane wala kal hai... aur wo tujhey bahut pyar kari hai... uski ankhon se dikhta hai... main yeh nahi keh rahi ki tu kosis nahi kar raha hoga... par apni kosiso ko badha... kyuki har 1 insaan pyar k badle pyar ki umeed karta hai... kashish kisi se kuchh kehti nahi iska matalab yeh nahi ki wo khush hai... wo khush nahi hai... aur maine in dino notice bhi kiya hai ki... tu sabse baat karta tha par kashish se nahi... agar tum dono ke beech prblm hai... to use suljha... pati patni k ristey me ye chalta hai... par 1 limit tak... uske baad prblm solve kar leni chahiye... kahiin aisa na ho... ki tu arohi ki tarah kashish ko bhi kho dey ( sujal looks at priya )

sujal:- priyaaa... aisa duubara sochna bhi mat... kashish meri zindagi ka bahut impt hissa hai... haan main usse naraz hu... par main ab apni zindagi uske bagair soch bhi nahi sakta... and i promise u uske aur apne beech ki prlm solve kar lunga...

priya( smile):- wah mere sher lage rahe ( aur uske gale lag jati hai... kahsish door pe khadi sab sunn rahi thi aur uski aankhon me aanshun they par khushi ke wo anshun pochti hai aur andar jati hai...)

kashish:- priya, sujal... chale rishi neeche intezaar kar raha hai...

priya ( seperates frm sujal ):- ha ha chalo ( aur teeno neeche chale jate hai... sujal ko chalne me prblm ho rahi hai... isliye wo kashish ke kandho ka shahara le kar chal raha hai... thodi der bad sab ghar pahunchte hai... to dadi sujal ki nazar utarti hai... aur phir rishi sujal ko apne kamre me le jata hai...)

in the night...
sujal kashish apne room me hai... suajl bed pe leta tv dekh raha hai... aur kashish cupborad theek kar rahi thi... tabhi sujal ki nazar fir se kashish k hanth pe padi sujal ne tv off kiya aur kashish ki taraf dekha

sujal;- kashish...

kashish:- ji...

sujal:- yahan aao... ( kashish confused si jaakar sujal k saamne baithti hai... sujal kashish ka hanth pakad kar bandage kholne lagta hai... )

kashish:- sujal yeh aap kya kar rahe hai...?

sujal :- yehi dekh raha hun ki tum kitani badi pagal ho...

kashish:- kya... ( sujal kashish ka hanth dekhta hai...jo bahut buri tarah se jala tha... par ab pehle se kaafi better tha... sujal ki ankhon me anshun aa jate hai... aur 1 anshun kashish k ghav par girta hai...)

sujal:- dard ho raha hai? (sujal looks at kashish,& kashish nods in no with smile...) kashish tum pagal ho kya... koi aisa kabhi karta hai... ( aur sujal bagal k drawer se first aid box nikal kar, kashish ki dressing karta hai...) plzz tum kuchh kam mat karo, khabardar so aisa pagal pan dubara kiya to...

kashish ( tears ):-bhagwaan na kare sujal ki aapko kabhi kuchh ho... aur mujhe kuchh aisa karna pade... par agar aage bhi ... karna pada to main jarur karungi...

sujal:- kashish tum...

kashish:- aap nahi jaante ki aap mere liye kya hai... khair jane dijiye aur aap aram kijiye... (aur kashish jakar sofe pe late jati hai... aur sujal bhi kashish k bare me sochta hua so jata hai... )

aise hi kuchh aur din beet jate hai... sujal aur kashish ki sadi ko 6 mahine se upar ho gaya hai...sujal ab bilkul theek hai aur office bhi jane laga hai... in dino phir vasu ne prerna ko phone kiya aur use bataya ki sujal ka accident usne hi karaya tha... prerna bahut shocked thi usne kashish ko kuchh nahi bataya... par anurag ko bata diya aur anurag ne...special force lagayi hai... is mamle ki chhan been karne k liye... police ne sujal ka bayan bhi liya tha... par sujal ko sirf yaad tha ki use kisi truck ne thokar mari thi aur uski gadi khayi ki taraf gir gayi thi... ab sujal ne kashish ko manf bhi kar diya tha aur kashish ka khayal bhi rakhta tha... ab sujal kashish ki taraf atract bhi hone laga hai... sabhi kehte hai ki wo bahut kismat wala hai... jo use kashish jaise pyar karne wali patni mili hai... aur jab kashish sujal ka khayal rakhti hai to sujal ko bahut hi achha lagta hai...


Ek ajanabi sa... ehsaas dil ko satayeee...
sayad yahi to... pyar hai...
( sujal office k liye ready ho raha hai... aur kashish phone par apne client se bat kar rahi hai... sujal ka dhyan sirf kashish pe hai... )

betabiyon me dhadkan meri... chal payeee...
sayad yahi to... pyar hai...
( kashish bat khatam kark neeche chali jati hai... par sujal abhi bhi usi direction me dekh raha hai)

kuchh bhi kaha na... kuchh bhi suna na...
phir bhiii... bechain dil hai humara...ohhoo...
( kashish hanth me sujal ke liye juice aur uski medicine leke ati hai )

behke kadam hai... mushqil me hum hai...
dekho...sambhale bhala kaise yara...
( par sujal bas kashish ko dekh raha hai... kashish sujal ke hanth ko chuti hai to sujal hose me ata hai...)

chahe bina hi... nazdeek hum chale aaye...
sayad yahi to... pyar hai...
( sujal embarresed ho jata hai aur dawayi kha kar bahar bhag jata hai...)

nazare bichha dee... pehre laga de...
dil pe... par dil kisi ki na maane...
( kashish mushkura rahi hai... kyuki usne sujal me aaye badlaav ko notice kiya hai...)

kanto pe chalke...solo pe jalke...
roke... mike rahenge diwaane...
( kashish apni khidki me khadi hai aur sujal ki gadi ko jata hua dekh rahi hai...)

chahat ki low to... andhi me bhi jhilmilayeee...
sayad yahi to... pyar hai...
(kashish sujal k liye khana leke office pahunchti hai... aur sujal kisi se baat kar raha hai... kashish bas sujal ko dekhe jaa rahi hai...)

Ek ajanabi sa... ehsaas dil ko satayeee...
sayad yahi to... pyar hai...
( sujal jab kashish ko dekhta hai... to bahut khush ho jata hai...)

yeh mulakate... yeh teri aankhien...
baatein... ek pal bhi na main... bhul paun...
( sujal apni cabin me baitha hai... angad uske samne project discuss kar raha hai par sujal ko to kuchh hose nahi hai... wo bas kashish k bare me hi soch raha hai...)

kitani muhabbat...hai kitani chahat...
tumse... kaise... bhala main... bataun...
( kashish sofe pe baithi magzine ke panne palat rahi hai... par uski nazar sujal ki wall size photo pe hai... aur uske chehre pe badi pyari si muskaan hai)

accha lage jo... tu samne mushkurayein...
sayad yahi to... pyar hai...
( tabhi sujal aata hai aur wo kashish ko mushkurate hue dekta hai... aur door se tik kar kashish ko dekh raha hai... jo sujal ki tasveer ko dekhne me busy hai)

Ek ajanabi sa... ehsaas dil ko satayeee...
sayad yahi to... pyar hai...
( sujal dheere se jata hai aur kashish k soldier pe hanth rakhta hai... kashish hadbada jati hai... aur embaressed hokar neeche chali jati hai...)

kuchh bhi kaha na... kuchh bhi suna na...
phir bhiii... bechain dil hai humara...ohhoo...
( sujal bas yahi soch raha hai... ki kyun wo kashish ki taraf itana atract ho rah hai...)

behke kadam hai... mushqil me hum hai...
dekho...sambhale bhala kaise yara...
( kashish... dining table set kar rahi hai... aur use samajh nahi aa raha ki sujal ke is tarah behave kane ka kya matalab hai...)

chahe bina hi... nazdeek hum chale aaye...
sayad yahi to... pyar hai...
( sujal khidaki k paas khada hai... aur chand ko dekh raha hai... wo apni aankhein band karta hai... to use kashish ka chehra nazar aata hai... wo fauran apni ankhien khol leta hai)

sayad yahi to... pyar hai...
( kashish dining table k pass kade musukura rahi hai)

sayad yahi to... pyar hai...
( sujal bhi apne aap me mushkurata hai aur jaakar...apni aur kashish ki shadi ki pic uthata hai)

sayad yahi to... pyar hai...
( kashish halke se apne sir pe mushkurate hue haanth marti hai aur apne kamre ki taraf chali jati hai)

sayad yahi to... pyar hai...
( sujal pic pe kashish k chehre pe bade hi pyar se hanth pherta hai...)
movie:- lucky

kashish:- sujal... ( sujal hadbada kar wo pic apne pichhe chipa leta hai...)

sujal:- ha... ha kashish... kuchh kam tha?

kashish:- main to apko dinner k liye bulane aayi thi...

sujal:- ha tum chalo main aata hu...

kashish wahan se chali jati hai... aur sujal wo photo wahan rakh kar neeche jane lagta hai... tabhi uski nazar calender par padti hai... uski nazar 16 july par jati hai... wo wahin khada reh jata hai... aur uski ankhon me anshun aa jate hai... sujal apne anshun pochh kar neeche chala jata hai... sab dinner karte hai... par sujal kuchh nahi kehta hai... aur khana kha kar apne kamre me ja kar sofe me so jata hai...

16 july 1 din baad hai... aaj 15 july hai... sujal subah se hi kuchh bujha - bujha sa tha kashish ne notice bhi kiya hai... par use karan samjh nahi aa raha tha... usne jakar prerna se puchha par use bhi kuchh nahi pata tha... to use priya ka dhyan aaya... wo apne kamre me gayi aur usne priya ko phone kiya...

priya :- hi kashish... kaise ho...

kashish( sad smile ):- main bilkul sahi hun... tum batao...

priya:- main bhi mast... tum theek nahi lag rahi... kya bat hai... yeh tumhari awaz

kashish:- actually priya...sujal kal sham tak to bilkul theek they... muskura rahe they... par uske bad se abhi tak ek bhi bar nahi mushkuraye... subah bhi kahi khoye khoye lag rahe they... jaise unhe koi pareshani ho...( priya samjh jati hai ki bat kya hai) maine mumma se bhi pucha... par unhe bhi kuchh nahi pata...

priya:- actually kashish wo...

kashish:- kya bat hai... priya mujhe batao na... plzzz...

priya:- actully kashish wo kal 16 july hai... kal aarohi ka birthday hai... ( kashish sab samajh jati hai...) kashish tum sujal ko galat mat samjhna... but akhir kar ab chahe jo halat ho... sujal use bahut pyar karta tha... to

kashish( smiles):- nahi priya... main kabhi is baat ka bura maan hi nahi sakti... balki main to unke jazbato ki kadra karti hun... tum bilkul chinta mat karo... ab mujhey pata hai ki mujhey kya karna hai... chalo main rakhti hun byee...

priya:- kashish... thanx... sujal ko samjhne k liye...

kashish:- nahi priya thanx kehkar mere pyar ko chhota mat karo... pichhle 13 salo mein maine sirf sujal ki khushi hi chahi hai... kya karu bahut swarthi hun main... kyuki meri khusi sujal ki khushi ki mohtaaz jo hai... ( priya is shocked)

priya:- kya tummm...

kashish:- ha ... priya... main sujal ko bachapan se chahti hu... jab main sirf 9 ya 10 saal ki thi... jab sujal ne shilma chhoda to... shimla k sath sath wo kashish ko bhi chhod aaye the... jo sirf sujal k rang me rang chuki thi... aur aaj tak wo rang nahi utara... in 13 salo me kashish ne sirf aur sirf sujal ka chehra dekhna chaha hai... use sirf aur sirf sujal ke darash ki aash thi... bina yeh soche ki sujal kashish k bare me kya sochte hai... kashish ne har pal sirf sujal ko chaha hai... tumse jhuth nahi kahungi... jab mujhe aarohi k bare me pata chala to... mujhse aarohi se nafarat ho rahi thi... kyuki sujal mujhe nahi aarohi ko chahte they... par maine faisla kiya ki main sujal k dard ko kam kark rahungi... aur unke dil mein kabhi bhi aarohi ki jagah nahi lungi... balki apni jagah banaungi... aur mujhey aisa lagta hai ki... 50% to main kamiyaab ho bhi chuki hun...

priya:- kashish... koi kisi se itana pyar kaise kar sakta hai...?

kashish( proudly):- sach kaha tumne...koi nahi kar sakta... sirf kashish kar sakti hai... wo bhi sirf aur sirf apne sujal se... mujhey jyada sujal ko koi pyar nahi kar sakta,... aur mujhey is baat par fakra hai...

priya:- sach kaha tumne... aur main bhagwaan se dua karungi... ki 1 din tumhe sujal ka pyar jarur milega... wo puri tarah se sirf tumhara hoga... aur 1 baat kahu kashish... us din tum khud mujhey kahogi... ki sujal se jyada pyar karne wala tumhe mil hi nahi sakta... bas use thoda waqt dedo... kyuki main sujal ko bahut achhi tarah se janti hun... wo tumhe bahut pyar dega... apni palko par bitha kar rakhega...

kashish:- janti hun... 1 din aisa jarur hoga... achha chalo byeee

priya:- byeee

sujal ghar aata hai aur kuchh nahin kehta... aur dinner kark sofe pe jakar late jata hai... kashish uske paas jati hai...

kashish:- sujal... ( sujal apni aankh se apna hanth hatata hai...) sujal wo mujhey kal subah mandir jana hai... to aap le chaleinge kya? plzzz mana mat karna... actually maine mannat mangi hai... ki kal aapke sath mandir me puja karke ... gareebo me kapde daan karungi...

sujal( very low tone ):- hmmm..

kashish:- good night...

sujal:- good night... ( dono so jate hai...)

agle din kashish jaldi uth kar sare kam khatam karti hai... aur phir sujal ko utha deti hai... sujal ka mann udash hai par phir bhi kuchh nahi kehta aur kashish ke sath mandir chala jata hai... kashish ne red colour ki saree pehni hai aur sujal ne white colour ka kurta payjama... dono mandir me pravesh karte hai...

kashish:- pandit jee... aaj meri behen ka janam din hai ( sujal looks at kashish) par ab wo is duniyaan me nahi hai... unka naam aarohi hai... ( sujal is shocked uski ankhon me anshun aa jate hai ) unhi ki yaad mujhe badi pooja karani hai...aur kapde daan karne hai...

pandit jee:- yeh to apne bahut hi achha socha hai... unki aatma ko shanti milegi... main abhi karta hun (kashish smiles & looks at sujal )

kashish:- main jaant hun ki aarohi aap k liye kya thi... par humein aaj ke din use haste hue yaad karna chahiye... na ki udas hokar... aur haan aap mujhse agar bata dete ki kis wajah se aap udash hai to sayad main isse achha kuchh kar pati... par wo mujhey pata hi kal sam ko chala isliye... socha ki... maine kuchh galat to...

sujal nods in no ,,... pandit jee akar sujal aur kashish ko aarti ka thal dete hai... aur dono radha aur krishna ji ki aarti karte hai... sujal pandit jee ko daksheena deta hai aur phir dono jakar... gareebo ko prashad, paise aur kapde daan karte hai... sujal ko wakai bahut sukun mil raha tha... wo bhi sirf kashish ki wajah se... aaj use pura yakeen ho gaya tha... ki kashish se achhi sangini use mil hi nahi sakti thi... aur kashish se jyada use koi samajh hi nahi sakta... yahan tak ki...wo khud apne aap ko itana nahi samajhta tha... jitana kashish use samjhati thi... sujal ke dil me kashish ke liye izzat aur pyar aur bhi badh gaya tha... mandir ke baad dono ghar aate hai aur sujal taiyaar hokar office chala jata hai...

aise hi kashish aur sujal ki zindagi k 2 maheene kab beet gaye inhe pata hi nahi chala ... 1 din kashish yunhi apne kamre me ja rahi thi ki use akki k kamre se kuchh awaje sunayi di usne andar dekha to akki kisi se phone pe baat kar raha tha... kashish wo sunne lagi...

akki on the phone:- u know what tumhari isi ada pe to mujhe pyar ata hai... yakeen mano mera bas chale to abhi tumhare sath phere le lu... par kya hai na... abhi tumhari padhayi puri nahi hui hai... oh how sweet love u too...nahin main jyada...nahin main... CHARU... maine kaha na main tumse jayada pyar karta hu ( kashish is shocked & akki turns & find kashish in shocking state) abe main to gaya...

charu:- akki kya hua?

akki:- call u later byeee... bhabhi aap yahan...

kashish:- tere aur charu k beech kya chal raha hai...?

akki:- woh bhabhi...

kashish ;- kya wakai tum dono...

akki ( shyly ):- ji bhabhi... main aur charu 1 dusre ko pasand karte hai...plzz aap sujal bhai se bat karo na... aur apne ghar walo se bhi... aur plzz aap villian mat banna... ha...

kashish:- main tum dono k liye bahut khush hu main aaj hi sujal se baat karti hun...

akki:- oh thanx bhabhi i love u... u r the best ( akki hugs kashish )

kahish:- maska haa... ( akki sharma jata hai ) chal ab main chalti hu... ( aur kashish chali jati hai)

raat me jab sujal ghar aata hai to kashish use akki aur charu k bare me batati hai... sujal bahut khush ho jata hai... aur anurag , prerna aur dadi se baat karta hai... anurag mihir se phone pe baat karta hai... mihir tulsi bhi khush hai... par kyuki abhi charu ki padhayi bhi puri nahi hui thi to yeh sab sirf inaki sagaii karna chahte hai aur sadi agle saal kareinge... agle din hi dadi pandit ji ko bula kar sagaii ka muhurat nikalwati hai... aur sagayii agkle hafte hi hai... charu aur akki dono hi khush hai... aur isliye inhe agle hafte shimla jana hai... tulsi prerna se kehti hai ki sadi k baad kashish 1 bhi bar shimla nahi aayi hai to wo kashish ko abhi hi bhej de aur jab sagaii ke baad sab wapas jayeinge to kashish bhi unke sath chali jaye... prerna haa kar deti hai... par sujal aur kashish dono ka hi mann nahi tha... kyuki 1 hafte unhe alag rehna padega... par dono hi kuchh nahi kehte aur agle hi din kashish kripa ke sath shimla chali jati hai... kashish k jate hi ghar ki raunak chali gayi thi... prerna aur dadi to sagayii ki taiyari me busy they... par sujal uski halat kharab ho gayi thi 1 hi din me use kashish ki importance samjh me aa gayi thi... 1 to wo late utha... upar se late office gaya bcz use apna 1 bhi saman nahi mil raha tha... aur bar bar kashish ko phone kark puchh raha tha ki uski watch kaha hai, rumal kahan hai, wallet kaha hai, uska bag , files, sab kuchh kashish ne hi use bataya ki kaha milega... ya tak ki sujal ko apna towel tak nahi mil raha tha... aur yahan kareeb subah se sujal kashish ko 15 se 20 bar call kar chuka tha wo bhi sirf 1 ghante me aur kashish badi pateintly use sab kuchh bata rahi thi... aur uske ghar wale yeh sab dekh kar has rahe they... par kashish ko koi fark nahi pad raha tha... wo khush thi ki wo sujal se bat kar rahi hai... ho bhi kyun na... akhir sujal uska pati hai... agle din sujal ne sirf kashish se baat karne k liye phone kiya... aur aise hi din beet gaye kashish ka mann bilkul bhi nahi lag raha tha ab kal hi sujal aur pura pariwaar aa jayega yehi soch kar wo bahut khush hai... isliye kal wo sab kuchh sujal ke pasand ka khane me banane wali thi... aur yahan sujal ka haal bhi kuchh aisa hi tha... use yakeen ho gaya tha ki ab wo kashish ko pyar karne laga hai isliye... mall jakar khud kashish k liye sagai me pahenne ke liye bahut hi pyari hari rang ki saree with maching jwellery kharid kar lata hai...aur usne decide kiya hai ki wo jald se jald kashish ko bata dega ki wo bhi use chahne laga hai...wo bahut khush hai ki wo apni zindagi ki nayi suruaat karega...

next day...

sabhi shimla pahuch chuke hai... par kavya anjali nahi aaye hai... bcz anjali ab 8.5 months pregnant hai aur use travel karna mana hai... uski delivery kabhi bhi ho sakti hai... sabhi direct sinha house pahuchte hai... kashish sabhi ko dekh ke khush ho jati hai... aur phir sabhi chai nasta karte hai... aur apne kamre me chale jate hai... kal sagai hai aur bahut kam hai... kripa angad ko apne room me aur kashish sujal ko apne room me le jati hai...

sujal:- kashish...

kashish:- ji... aapko kuchh cahiye... ( sujal 1 packet lekar kashish k saamne rakhta hai... )

sujal:- wo kal agar tum yeh pehnogi to mujhe achha lagega... actually tum to khud bahut badi designer ho... na pasand aaye to tum apne pasand ka kuchh aur pehen sakti ho... mujhey koi prblm nahi hai... main abhi ata hun... ( aur sujal akki k room me chala jata hai kashish wo packet khol k dekhti hai... usme bahut hi khubsurat hari saree hoti hai... kashish ko bahut pasand aati hai... aaj pehli baar sujal khud uske liye kuchh laya tha... kashish ko kaise pasand na ata... wo muskura deti hai aur apne kaam me lag jati hai... )

kashish aur kripa kitchen me kaam kar rahe hote hai aur angad akki sujal rishi bahar baithe baat kar rahe hote hai ki... tabhi kripa khade khade behose ho jati hai... kashish ki cheekh sun kar sab kitchen me jate hai... angad kripa ko utha kar room me le jata hai... mihir doc ko bulata hai... doc batata hai ki kripa 2 months prergnant hai... sab bahut khush hote hai... sujal angad k gale lag jata hai... aur kashish kripa ke...

kashish:- wow di... bahut bahut mubarak ho... congrats jiju...

dadi:- sach me kripa tune bahut badi khusi di hai... aur kashish tu kab hume khush khabri sunayegi haa?... (kashish aur sujal dono sharma jate hai ) are bol bhi 8 maheene ho gaye hai sadi ko...

prerna:- ma ab rehne bhi dijiye... kripa tum aram karo... aur sab chalo bahut kaam hai...

then sabhi angad aur kripa ko badhai dekar apne kaam me lag jate hai... rat ka waqt hai... sujal kamre me jata hai to dekhta hai...ki kashish apni dairy me kuchh likh rahi thi... but sujal ko dekhte hi wo chhipa leti hai...

sujal:- kashish... kya likh rahi thi...

kashish:- nahin- nahin kuchh nahi...

sujal:- its ok... agar tum nahi batana chahti to... ( sujal turn to go towash room )

kashish:- nahin aisi koi bat nahi hai ( sujal looks at kashish ) wo bas dairy likh rahi thi...

sujal:- dairy... tum dairy bhi likhti ho...strange maine itane dino me dekha nahi...

kashish:- kaise dekhte yeh dairy to yahin shimla me reh gayi thi... aur main daily thodi na likhti hun... wo to jab mann kiya tab... jab bahut khush hui ya bahut udash hui tab...

sujal:- to aaj kyun...?

kashish:- kyuki aaj main bahut khush hu... 1 hafte ke baad mami ban jaungi... aur ab masi bhi banne wali hun... aur kal charu ki sagai hai... bas isliye... or ye meri bachapan ki dairy hai...

sujal:- ohh!!! matalab ki tumhare sare raz is dairy me hai...ok phir thik hai... tum likho main aata hu... ( tabhi sujal ki nazar kashish k us cupborad me padi jo locked tha jisme kashish ne ab tak sujal k gifts rakhe hue hai...) kashish... is cupboard me aisa kya hai... jo ise is tarah lock kark rakha hai...

kashish:- nahin kuchh nahi bas meri kuchh purani cheeje hai...

sujal:- lagta hai... kuchhh kimati hai... jo aise lock kark rakha hai... chalo main ayaa (sujal left )

kashish( smile ):- haa... bahut jyada kimati...

end of part 15
plzzz do comment...
with love chandni...
*************************************************************
*************************************************************
Edited by rkchandni - 10 years ago
nilusoni thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 10 years ago
superb part
finally sujal is fine and its because of kashish and her love
yipee sujal started feeling for kashish
omg akki and charu sceret love
excited for upcoming parts
thanx for pm
plz pm me for next part
continue soon

jasminerahul thumbnail
Posted: 10 years ago
Sujal is saved.Kashish did a lot 2 save his life.Sujal understands her value.SK moments were nice.Kripa is preg.wow.surprise is that akshat charu r in luv.
naujoker thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
Superb update!!!
Thank god he was okay
And their talk was awesome!!!!
Lovely!!!
Thank you very much for all the updates, i read all them and truly it was pure love!!!
Ps. Thanks for the pm
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: nilusoni

superb part

finally sujal is fine and its because of kashish and her love
yipee sujal started feeling for kashish
omg akki and charu sceret love
excited for upcoming parts
thanx for pm
plz pm me for next part
continue soon



Thanx a ton nilu
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: jasminerahul

Sujal is saved.Kashish did a lot 2 save his life.Sujal understands her value.SK moments were nice.Kripa is preg.wow.surprise is that akshat charu r in luv.



Thanks a lot dear
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: naujoker

Superb update!!!
Thank god he was okay
And their talk was awesome!!!!
Lovely!!!
Thank you very much for all the updates, i read all them and truly it was pure love!!!
Ps. Thanks for the pm



Oh thanks great finally u read all d parts of both ff
Now onwards I need ur big comments on.both ff 😆

Anyways thanks a lot dear
RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
wow nice part
sujal ka accident ho gaya or kashish ne church ja kr prathna ki apne sujal ke liye gud
par bechare ne apna haath tak jala diya sujal ke liye kya pyaar h its too gud yr
kashish ke ise pyar ki wajah se sujal aj thik h
jab sujal ko pta chala ki kashish ne kya kiya h toh use uske dil me ek soft corner ban gaya kashish ke liye
finally sujal ko kashish se pyaar ho gaya h
ab sab khch acha hoga
i m too existed for next part
plz continue soon
thanks for pm
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: meenuraj97

wow nice part
sujal ka accident ho gaya or kashish ne church ja kr prathna ki apne sujal ke liye gud
par bechare ne apna haath tak jala diya sujal ke liye kya pyaar h its too gud yr
kashish ke ise pyar ki wajah se sujal aj thik h
jab sujal ko pta chala ki kashish ne kya kiya h toh use uske dil me ek soft corner ban gaya kashish ke liye
finally sujal ko kashish se pyaar ho gaya h
ab sab khch acha hoga
i m too existed for next part
plz continue soon
thanks for pm



thankyou so muchh naina...
keep reading...😊

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

26 days ago

The Unending Dream OS [Completed]

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

27 days ago

Moh-Maya ~ MayRa OS [Completed]

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".