PURE LOVE ~ Sujal Kashish~**Completed**Last part on page 41 - Page 14

Created

Last reply

Replies

293

Views

69.2k

Users

22

Likes

348

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: ambersaleem

<font color="#cc0033" size="6">veryyy nice part yar bt srarting me ek kami thi reception party me dance hi nhi??😲😲anyways honeymoon agaya lakin wo bhi bohat jaldi khatam hogaya :( pr ye hai kon jo mere sujal ko itna tang kye jarahi??aww sujal prerna ka beta nhi hai feeling sad 😭😭😭hmm to ye dono wapis bhi aagaye anjali is pregnant congratz yar😊😊holyyy intresting very intrsting kitne pyar se wish kya dono ne ek dusre ko or ye akki bhi na ye marega sujal k hathon😆but ye kya yar sujal kashish ko galat na samjhne lage plzzz aisa mat karna very well written keep it up👏cont sooon😊</font>



Thanks again amber sorry I forgot abt dance par ho jata h
Bade bade writers aise chhoti chhoti galtiyan kar dete h 😆 😉
Any ways thanks 😆
Edited by rkchandni - 10 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
*** sk- Pure love ***
part 14

sujal :-how could u kashish??...how could u do this to me...( dhamake on kashish face...sujal uth kar kashish ko uske soldier se kash ke pakadta hai...itani zor se ki kashish ko dard ho raha hai...aur uske aanshun beh rahe hai) kya kiya hai maine ?...aur main bed pe...nahin...aisa nahin ho sakta...mujhey tumse yeh umeed nahi thi kashish...nahin thi...( sujal kashish ko push kark wash room me chala jata hai...aur kashish yahan shocked si kahdi thi...)

sujal wash room me hai aur shower k neeche khada hai...aur ro raha hai...
sujal to him self:- oh god kya hua mere aur kashish ke beech...kashish tumne mera fayda uthaya ...mujhey kuchh yad kyun hai aa raha...nahi nahi kashish aisa nahin kar sakti...jarur mujhey kuchh galat fehmi hui hai...maine use bolne bhi to nahi diya...par kyun nahi kar sakti...akhir wo mujhsey pyar karti hai...aur pyar to insaan se kuchh bhi kara deta hai...kyun kashish kyun kuchh waqt hi to manga tha...tum wo bhi na de saki...but mujhey kashish se puchhna hi hoga ki aakhir main bed par kaise aaya...

thodi der baad sujal bahar aata hai to dekhta hai ki kashish room me nahi hai...aur usne uske kapde nikal kar rakh diye hai...sujal kapde pehen kar neeche jata hai...jahan sabhi baithe they par kashish nahi thi...

dadi:- sujal puttar tu thik to hai na?...

sujal:- ji dadi...i m fine

akki:- sorry bhai wo maine sirf mazak me sabki drink me bahng milayi thi jis wajah se aap sab waisa behave kar rahe they...( dhamake on sujal face)

sujal:- kya kar raha tha main?

dadi:- tu to aaj aisa lag raha tha ki kashish ko chhodega hi nahi...( dhamake on sujal's face ) tu to uske peeche pad gaya tha aur use rang lagaye ja raha tha...jaise pehli baar holi khel raha ho...aur bechari kashish uski to tune halat kharab kardi...itana rang use zindagi me kisi ne nahi lagaya hoga... jitana tune use 2-3 ghanto me laga diya aur sayad room me bhi use nahi chhod raha tha( dhamake )

sujal in his mind:- oh god iska matalab galti meri thi aur maine use itana sab kuchh...par usne mujhey roka kyun nahin...main nashe me itana kaise badh gaya rang lagane tak to thik tha lekin...bed pe...oh god yeh maine kya kar diya...ab main kashish se nazre kaise mnilaunga...

anurag:- sujal...

sujal:- ji papa...

anurag:- kahan kho gaye lo kashish ne khana bhi laga diya hai...chalo sab dinner karo kal office bhi jana hai...aur akki...ab tum bhi join karo...sujal akela pad jata hai...aur rishi agle saal se tum bhi office join karoge...

sujal:- are papa rishi ko rehne dijiye...abhi to wo bachha hai...abhi usey enjoy karne dijiye...

rishi:- yes ...big b is right...par big b ab main bachha nahi raha...main 22 saal ka ho jaunga aur 23 ki age me to aap bhi office jane lage they to main kyun nahi...

sujal:- ok jaise teri marzi...par abhi agla saal aane me pura saal hai... ha... abhi padhayi pe dhyan de...

sabhi dinner kark apne room me chale jate hai...kashish ko jabse sujal ne danta hai...wo chup hai kuchh nahi keh rahi hai...kripa ne notice bhi kiya par socha sayad thak gayi hogi isliye kripa angad kavya anjali aur mehek k sath apne ghar chali gayi...jab sujal anurag se kuchh baat kark kamre me aaya to dekha kashish so chuki thi...isliye sujal bhi bina kuchh kahe...jakar sofe pe so gaya aur yahan kashish k aanshun thamne ka naam tak nahin le rahe they...uski band ankhon se bhi anshun gir rahe they...use yakeen nahi ho raha tha ki ki wo sujal ka vishwaas aaj tak nahi jeet payi...sujal uske bare mein aisa soch bhi kaise sakta hai...agli subah bahut important meeting thi...sujal kashish se baat karna chahta tha par kashish abhi bhi so rahi thi isliye sujal taiyaar hokar anurag k sath 7 baje hi office chala gaya... jab kashish uthi...to usne dekha sujal kamre me nahin tha...sadi k baad aaj pehli baar aisa hua tha jab kashish bina sujal ko dekhe so gayi thi aur use bina dekhe hi uthi thi... kashish ko bahut bura lag raha tha usne socha sayad sujal neeche hoga...wo taiyyar ho kar necche gayi to dadi ne bataya ki sujal jaldi office chala gaya hai...aur kuchh kha kar bhi nahi gaya hai...kashish aur dukhi ho jati hai...

kashish in her mind:- sujal mujhsey itane naraz hai ki...mujhse bina miley cahle gaye...mujhey utha nahi sakte they...

prerna:- kashish tum bhi nasta kar lo...

kashish ( hose me aati hai):- nahin mumma...abhi mann nahi hai...baad me kha lungi...( kashish kitchen me chali jati hai...aur khane ki taiyyari kar rahi hoti hai...uski aankhon se aanshun beh rahe they...tabhi raghu kaka aate...)

raghu kaka:- are bahu rani aap ro kyun rahi hai...

kashish( wiping her tears):- nahin kaka...main ro kaha rahin hun...wo to main pyaz kat rahi thi isliye ankh me pani aa gaya...

raghu kaka:- par aap to tamatar kat rahi hai...( kashish looks down... wo tamatar hi kat rahi thi...)

kashish ( hadbada kar ) :- ahhh, wo pehle pyaaz kat rahi thi na to uska asar hai...aap jao dusra kaam dekh lo main...kitchen dekh lungi...( kaka wahan se chale jate hai aur inki baat prerna ne suni wo hairaan thi ki kashish ro kyun rahi hai...kyuki kashish saf saf jhut bol rahi thi kyuki usne pyaz kaata hi nahi tha...kyuki kahi par bhi kati pyaz nahi thi , par prerna ne kuchh nahi kahan aur wahan se chali gayi...)

prerna hall me baithi hai aur kuchh soch rahi hai:- yeh kashish ro kyun rahi thi...usne nasta bhi nahin kiya...kahin iske aur sujal k beech koi prblm to nahin...ab main kya karu... hmmm sujal se baat karni hi hogi...

kashish room me hai aur apna cupborad saf kar rahi hai...tabhi uski nazar sujal ki wall size pic pe padti hai aur wo rone lagti hai... wo ja kar apne room ka door lock karti hai aur bed par let kar ro rahi hai...

main tenu samjhawaan ki... na tere bina lagda jiii
main tenu samjhawaan ki... na tere bina lagda jiii
( kashish bas roye ja rahi hai... use samajh nahi aa raha hai ki wo kya kare...)

tu ki jaane pyaar mera... main karu intezaar teraa...
tu dil tu hi, jaaan... meriii...
jaaan meriii...
jaaan meriii...
( use sirf sujal ke sath bitaye pal yaad aa rahe they ki bachpan se sujal uski zindagi tha... par wo sujal ka vishwaas tak na jeet payiii)

mere dil ne... chun laiya ne... tere dil di ya rahaan...
mere dil ne... chun laiya ne... tere dil di ya rahaan...
( kashish sirf yahi soch rahi hai... ki kyun use sujal se itana pyar hai... ki woh chah kar bhi usse naraz nahi reh sakti...)

tu jo mere naal ture ta... turpe meriya saahaan...
jeena mera... hieee... hun hai tera...
( in kuchh ghanto ki judayi ne kashish ka haal behaal kar diya tha)

ki main karaaan...
tu kar aitbaaar meraa... main karu intezaar teraa...
tu dil tu hi, jaaan... meriii...
jaaan meriii...
jaaan meriii...
( kashish bas ghadi ko dekh rahi hai aur use bas sujal ka itezaar hai ki kab wo aayega aur kab kashish use samjha sake ki wo use galat samajh raha hai)

main tenu samjghawaan ki... na tere bina lagda jiii
ve changa naiyo kita bebaaa...
ve changa naiyo kita bebaaa... dil mera todd ke...
ve bada pachhtaiyaan ankhaaan... naal tere jod keee...
( rat k 8 bajne ko aaye hai par sujal abhi tak nahi aaya tha... kashish khidki pe khadi sujal k aane ka intezaar kar rahi thi )

movie:- humpty sharma ki dulhaniyaan - female version

kashish khidki me khadi sujal ka wait kar rahi thi usne subah se kuchh nahi khaya hai...tabhi sujal ki gadi garewaal mension k andar aati hai...kashish use dekhte hi khud ko sambhal nahi paati aur wash room k andar chali jati hai aur phut phut kar ro rahi hai...

yahan sujal ghar k andar aata hai to prerna use bulati hai...sujal prerna k room me jata hai...jahan anurag bhi hota hai... jo bed pe baitha koi book padh raha tha...

sujal:- mumma aapne bulaya...

prerna:- tere aur kashish k beech kya hua hai...kya prblm hai tum dono k beech...( sujal is shocked ki kahin kashish ne prerna ko kuchh)

anurag:- prerna yeh kaisa sawal hai...pati patni k beech to sabh chalta rehta hai...bachhe bade hai...unhe apni prblm khud solve karnbe do...waise to tumhe sujal ki zara si bhi parwaah nahin hai...to aaj itani fikra kyun dikha rahi ho...( dhamake on sujal's & prerna's face. )

sujal:- papa plzzz...aisa mat kahiye...aur mumma...mere aur kashish k beech koi prblm nahin hai...sayad aapko kuchh galat...

prerna:- main kyun fikra karungi...mujhey fikra kashish ki hai...uski zimmedari hai hum par...tulsi se wada kiya hai maine...ki kashish ko koi takleef nahi hogi...aur tu...bahut fikra hai na tujhey sabki...to zara apni patni ki bhi fikra kar liya kar...subah kitchen me ro rahi thi wo...aur aaj na usne nashta kiya aur na hi lunchh ( dhamake on sujal's face) aur na hi kisi se baat ki hai... dopahar se kamre se bahar nahi aayi...
mujhey kal subah tak sab sahi chahiye...samjha...( sujal nods in yes)

anurag:- sujal jao aur dekho...kya prblm hai...aur raghu ko keh do...tum dono ka khana upar hi le jaiyega... ur use pyar se mana lena...pati patni me chalta hai ( anurag smiles)

sujal:- ji papa...GN papa...GN mumma

anurag ( with smile ):- GN beta...

sujal left aur kitchen me jaakar apna aur kashish ka khana leta hai raghukaka se aur apne room me chala jata hai... aur neeche sabhi dinner kar rahe hai...anurag ne sab ko keh diya haiki sujal kashish aaj apne room me hi khalenge... unke beech jhagda hua hai... to sujal use mana raha hai... sab covince ho jate hai... yahan sujal jab room me aata hai to dekhta hai... ki kashish room me nahi hai... wo apna bag aur plates table par rakhta hai... tabhi use shower ki aawaz sunayi deti hai... wo apni tie aur cout ko bed pe nikal kar rakhta hai aur khidaki k paas ja kar khada ho jata hai... thodi der baad kashish wash room se bahar aati hai... uska chahra pale pad chuka hai... uski nazar sabse pehle... sujal k cout aur tie par padti hai ... phir khane ki plate pe wo turn ho kar dekhti hai ki... sujal khidki k pass khada hai aur bahar aasmaan ko dekh raha hai... kashish ja kar sujal ka samaan utha kar rakhne lagti hai... tabhi sujal bolta hai...

sujal:-kashish itana naraaz ho ki baat tak nahi karna... ( kashish closes her eyes vey tightly... pur 26 ghante baad usne apna naam sujal k muh se suna tha... uski aankhon se aanshun phir se behne lagte hai... sujal uski taraf mudta hai... aur kashish ka chehra dekh kar hairaan reh jata hai... kashish ka chehra ro ro kar pila pad gaya tha aur upar se usne subah se kuchh nahi khaya tha to aur bhi shurkh ho gaya tha... sujal uske kareeb gaya...) kashish mujhey pata hai... ki galti meri thi... mujhey kuchhh hose hi nahi tha... i m sorry kashish maine tumhe bahut bura keh diya tha... par kashish tumne mujhey roka kyun nahi...( kahsish is crying bitterlly) kashish plzz mat ro aur tumne subah se kuchh khaya kyun k nahin ( sujal holds her by soldier, par kashish jhatke se uska haanth hata diya... sujal hairaan tha... par wo janta tha ki kashish abhi gussa hai...)

kashish:- aapne mujhey bolne diya...nahin na... ( sujal apni nazare jhuka leta hai...) main aapko batana chahti thi ki aap jo soch rahe hai... humare beech waisa kuchh nahin hua tha( dhamake) akki ne kal aapki drink me bhang mila di thi isliye aap bas mujhey bar bar gulal laga rahe they... bahut der tak aap nahi mane to maine appke dudh me sleeping pill mila kar aapko sula diya aur aapke kapde geele they... aapko shardi lag jati isliye aapki shirt utar di... bas... kya ab mera itana bhi haq nahi hai...

ab sujal ko apne aap par aur jyada gussa aa raha tha ki kyun usne kashish ki baat nahi maani & kashish bed me jaakar baith jati hai aur phut phut kar ro rahi hai... sujal kashish ke kareeb jata hai aur uske pair ke pass zameen pe apne knees k bal baith jata hai aur apne hanthon se kashish ka chahra pakadta hai... kashish anshun liye sujal k chehre ko dekh rahi thi...

sujal(with very sad face):- i m sorry kashish... plzzz mujhey maaf kardo... i promise u main aisa dubara kabhi nahin karunga... par sach kahu kashish main tumse gussa nahi tha... mujhey apne aap pe gussa aur sharm aa rahi thi ki main kaise tumahre sath kuchhh...

kashish( with tears ):- kyun sujal... kyun nahiin... aapka mujhpar pura haqq hai... aap jo chahe mere sath kar sakte hai... kya main aapki patni nahi hun... kya aap mujhey apni patni nahin mante... par main kabhi yeh nahi chahungi ki... aap koi bhi aisa kaam kare jise aapka dil gawahi na de... aur jab aapko hose hi nahin to main aisa soch bhi nahin sakti... sujal main aapse bahut pyar karti hun ( sujal looks kashish kyuki aaj pehli baar kashish ne apane pyar ka izehaar kiya tha) mere liye aap mera sab kuchh ho... mere pati, mere pyar, mere bhagwaan,,, sab kuchh... main sapne mein bhi koi aisa kaam nahin kar sakti jisse aapko dukh ho... kyuki yeh kashish marna pasand karegi... par apne sujal ko dukhi nahi dekh sakti ( sujal bed par baithta hai and he hugs kashish )

sujal:- i promise kashish ki main humare rishtey ko kamiyaab aur mazboot banae ki puri kosis karunga... bas mujhey kuchh aur waqt dedo...( kashish seperates )

kashish:- maine aapse pehle bhi kaha hai sujal... main sari zindagi aapka intezaar kar sakti hun... aur plzz aap mujhey sorry mat kahiye... kisi aur ke saamne to kya... mere saamne bhi aap ko jhukna pade mujhey achha nahi lagta ( sujal laughs little)

sujal:- tum pagal ho kashish... & thanx mujhey itana pyar karne k liye... jab ki maine to ... main iske layak bhi (kashish puts her hand on his mouth )

kashish;- mere liye aap is puri kaynaat k sabse achhe insaan hai... aur agar aap mere pyar k kaabil na hote to... mujhey kabhi apse pyar nahi hota... aur ha khabardar jo mere sujal ko bura kaha to... ( bachho ki tarah muh fula leti hai... & sujal smiles at this gesture of hers)

sujal:- to mam... aapne mujhey maaf kiya...

kashish:- sujal abhi bhi batane ki jarurat hai...?

sujal:- ok ok samajh gaya... to ab plzzz aap khana khalo... warna kal mujhey mumma ke jute khane padeinge... ( kashish laughs)

kashish;- wo bhala kyun aur aapko kaise pata ki maine subah se kuchh nahi khaya...

sujal:-wo mumma ne bataya jab main ghar aaya... aur bahut danta bhi... aur kaha ki agar maine tumhe subah tak nahiin manaya to meri waat lag jayegi...

kashish:-kya mumma ne ( sujal nods in yes kashish thinks:- iska matalab mumma ko humari parwaah hai... to phir wo kuchh dino se ... ab bahut ho gaya mujhey mumma se baat karni hi hogi... )

sujal;- kahan kho gayi... chalo khana kha lo... & for ur kind information madam maine bhi aaj kuchh nahi khaya hai... mujhey bahut bhuk bhi lagi hai...

kashish ( angry ):- kya... aapne subah se... mujhey pata tha ki aap apana gussa khane pe hi nikaloge... aap bhi na sujal bachhe hi ho... ( ja kar plate lekar aati hai aur bed par baith jati hai aur spoon with food sujal ke saamne rakhti hai...) lijiye ab khaiye... ( sujal mushkura kar wo kha leta hai then wo chapati tod kar kashish ke muh me dalta hai...)

sujal:- agar main bachha hu to aap bhi kuchh kam nahi hai...samajhi...( aur isi tarah dono khaana kha lete hai... sujal fresh hokar aata hai... aur sofe pe ja kar so jata hai... aur kashish 1 smile k sath bed par so jati hai...)

aise hi 3 din beet gaye... sujal office jane k liye ready ho raha tha... ki kashish aati hai aur use uka bag deti hai...

sujal:- kashish...

kashish:- ji...

sujal:- tumne apne butique k bare me kya socha hai...

kashish:- kya butique...?

sujal:- haan... tumhi ne 1 baar mujhey kaha tha ki ... tum apni training k baad butique khologi... specially bridle... par humari sadi k chakkar me wo sab dimaag me hi nahi aaya to ab puchh raha hu... main chahta hu ki tum bhi apna kaam shuru karo... jo tumahra sapna hai...

kashish:- nahin sujal... ghar me itane kaam hote hai... kaise manage hoga... rehne dijiye...

sujal:- nahin kashish ghar k kam k liye naukar hai... aur zarurat padi to aur rakh lenge... par main kabhi nahin chahunga ki tum meri ya mere pariwaar ki wajah se apne sapne pure na karo...( kashish smiles ) jab sadi k baad 1 ladke ki zindagi nahi rukti... uske sapne nahi tutte to 1 ladki ke kyun?... aur tumne hi kaha hai ki tum meri har baat manti ho... to plzzz... aur na kehna ka sochna bhi mat... maine ek butique already kal hi kharid li hai... ab waha tumhara butique hoga...

kashish:- to aapne pehele se sab... ok main apana kaam zarur suru karungi...

sujal ( smiles ):- yeh hui na baat... chalo byee... main chalta hu... jaise hi baki sab final ho jayega tumhe bata dunga...

kashish:- sujal 1 baar... aap mumma se puchh lete to?

sujal:- jitana main mumma ko janta hu... wo mana nahi karegi... aur ha papa ne already permision de di hai... to mumma ki bhi haan samjho...

kashish:- ok... byeee... lunch time pe kar lena... ( sujal left with smile )

aise hi kuchh aur din beet gaye... ab kashish apne butique bhi jati hai... thoda bahut kaam usne suru kiya hai par jayada kam ghar pe hi reh kar karti hai... sare sketches ghar pe hi taiyyar karti hai... aur butique me workers ko kaam samjha k wapas ghar aa jati hai... uske kapde sabhi ko pasand bhi aa rahe they uski first bridle dress k liye use pure 1 lakh rupaye mile they... jisse wo ghar me sabhi k liye kuchh na kuchh lekar aayi thi... aur usne sujal k liye ek bahut pyara sa jacket bhi kharida jo sujal ko bahut pasand aaya ... 1 din rat ka waqt ho raha tha...kashish yunhi apne kamre ki taraf ja rahi thi ki uski nazar prerna k room pe padi... wo andar gayi to dekha ki... prerna apne hanthon me sujal ki tasveer liye baithi thi aur kisi soch me gumm thi... kashish prerna ke soldier pe apna haanth rakhti hai...

kashish:- agar apne bete se itana hi pyar hai... to humesha nafarat ka dikhawa kyun karti hai ( prerna looks at kashish with shocked expression)...

prerna:- tum yahan kya kar rahi ho... bina knock kiye andar kaise aayi...?

kashish:- mumma... mujhe pata hai... ki aap sujal se bahut pyra karti hai... to phir kyun jatati nahinn... kyun mumma... mumma aapko nahi pata par aapke is bartaav se sujal bahut dukhi hote hai... wo aapse bahut pyar karte hai mumma... plzzz kya bat hai mujhe bataiye... aise kaun si dor hai... jo aapko apne bete se dur kiye hue hai... main wada karti hun ki us dor ko kat k hi rahungi... plzzz mumma( she is crying... prerna ki aankhon me bhi aanshun aa jate hai...)

prerna ( stern face ):- yeh meri prblm hai kashish... tum beech me na pado to hi achha hai... aur main apni prblm tumhe batana jaruri nahi samajhti... ab tum ja sakti ho

kashish:- mumma sujal ko 1 anjaan aurat kai dino se phone karti hai(dhamake on prerna face ) aur yeh kehti hai ki wo sujal ki ma hai... ( 1 aur dhamaka) aur aap sujal ki asali maa nahi hai... isliye aap sujal se nafarat karti hai... ( 1 aur dhamaka... prerna ki aankhon ka dard kashish dekh pa rahi thi...) lekin sujal ko uspar yakeen nahi hai... aap janti hai... unme to itani himaat nahi hai ki wo aap se yeh sab puchh sake... kyuki unhe lagta hai... ki unki mumma agar unse kuchh chupa rahi hai... to bhi is ghar k bhale k liye hoga... unme to himmat nahi hai... lekin mujhey janna hai... kya yeh sach hai ki aap sujal ki asali ma nahi hai... kya yeh sach hai ki aap unse nafarat karti hai... ( ab kashish ki himmat badh jati hai) main sujal ko aapke julm sehte nahi dekh sakti (dhamake on prerna face)... boliye mumma kyun kiya aapne aisa... ( kashish bahut hi tej aawaj me baat kar rahi thi... is wajah se baki sabhi bhi prerna k room k bahar aa kar khade ho gaye... anurag aur sujal bhi ab aa chuke they aur kashish ki baat sun kar shocked they)

prerna:- ha, ha, ha... yeh sach hai... sujal ko maine janm nahi diya ... (dhamake on kashish & all other's faces sujal k to pairo takle zameen hi nikal gayi thi... anurag apni aankhein band kar leta hai... aur dadi anurag ka hanth jor se pakad leti hai...) nahi hai wo mera beta kuchh nahi lagta wo mera... wo mera nahi balki anurag k bade bhai... lalit aur vasu ka beta hai... ( dhamake ) par maine apna farz nibhaya hai... use pal posh kar bada kiya ... aur kya chahiye use haan... puri comapny ka to maalik ban kar already baitha hai... ( dhamake...) mere bachho ka haq chhen raha hai wo... koi bhi kaam office me uski marzi k bina nahi hota... ( 1 aur dhamaka )... aur anurag apni jagah use dena chahte hai... jo ki akshat ka haq hai... kyuki jo bhi kamaya hai...anurag ne kamaya hai... sujal ki maa ne is ghar ko barbaad kar diya tha... aur sujal bhi ek din...

kashish:- mumma... aapko aisa lagta hai... yahi soch hai aapki sujal k baare me... are apni jaan se jyada chahte hai wo apne bahiyo ko... aur aap... aap itana ghatiya... ( ab sujal ko bardast nahi ho raha tha )

sujal:- KASHISH... ( prerna & kashish both turned around & find entire family at the door in shocking state ... par kashish chhup nahi hoti)

kashish:- aapko sujal ki aankhon me apne liye... pyar nazar nahin aata kya?,... kitana chahte hai wo aapko aur apne is pariwaar ko... kehte hai ki paalene wali maa bahut badi hoti hai... par aap ki soch to ghatiya hai... are aap to sujal ki maa kehlane ke laaiq hi nahi... ( tabhi sujal kashish ko zor se khichta hai aur use zor daar thappad marta hai... everyone is shocked... kashish ki ankhon se anshun gir rahe hai...)

sujal:- just shut up... how could u... tumhari himmat kaise hui... meri mumma se is baat karne ki... meri mumma galat nahi ho sakti samanjhi... manfi maango... kashish maine kaha maanfi maango...

kashish( with tears ):- i m sorry mumma... mujhse bahut badi galti ho gayi... mujhe maanf kar dijiye...

sujal( with tears):- i m sorry mumma... aaj meri wajah se aapko itana sab kuchhh... and thankyou mumma... mujhe palne k liye... main aapka ehsaan kabhi nahi bhulunga... aur yakeen maaniye mere rehte... akshat aur rishi ka haq koi nahi cheen sakta... koi nahin... (sujal wahan se cahala jata hai... aur kashish bhi... anurag prerna ko bahut hi gusse se dekh raha tha... tabhi akki aata hai prerna ke paas...)

akki:- wah mumma... wah mumma... kya pyar nibhaya hai aapne... kya mamta hai aapki...( prerna ki ankhon me aanshun hai aur wo bed me jaakar baith jati hai) are mumma aap kyun ro rahi hai... jaaiye ja kar jashn manaiye... kyuki ab aapka shautela beta aapke sage beto ka haq nahi cheenega... ( dhamake on prerna face) are kam se kam is baat ka to maan rakh liya hota... ki aaj tak sabse jyada aapko pyar aur samman sujal bhai ne diya hai... aap jo kehti hai... wo wahi karte aaye hai... 1 baar wo bhagwaan ko kisi bhi baat k liye mana kar sakte hai par aapko nahi... ab mujhe samajh me aaya ki aap kyun unke sath aisa bartaav karti thi... lekin achha hua jo aaj bhabhi ki wajah se yeh sach samne aa hi gaya... aur aapka asali chehra bhi( again dhamaka) ab kam se kam sujal bhai... is bhram me to nahi rahenge ki 1 din aap unse pyar karogi... par yeh mat bhuliyega ... ki unka bhi ish ghar aur property me utana hi haq hai kyuki hai to wo garewaal khandaan k hi bete... ( aur gusse se wahan se chala jata hai... raste me use kashish dikhti hai jo uski baat sunn kar ruk gayi thi...) i m sorry bhabhi ( & he left aur kashish bhi rote hue apne kamre me chali jati hai... aur yahan rishi prerna k pass jata hai... uski aankho me sirf aur sirf gussa hai...)

rishi:- mumma... yeh aapne achha nahin kiya... aap 1 din bahut pachhtaaogi... ( aur rishi bhi gusse me chala jata hai...)

dadi:-anurag main madir ja rahi hun... ab yeh ghar tutata hua nazar aa raha hai... prerna tune sab tabah kar diya... (dadi left & anurag prerna k pass ja kar baithta hai aur uske kandhe pe haanth rakhta hai...)

prerna ( crying ):- ab aap bhi yahin kahenge na? ki main galat hun...

sujal kashish room...
sujal apni khidaki k pass khada hai... aur ashmaan ko dekh raha tha... uski ankhon se anshun beh rahe hai... tabhi kashish uske pass jati hai aur uske kandhe pe haanth rakh deti hai... sujal kashish ki taraf 1 baar dekhta hai...aur uska hanth hata kar turn hokar bahar jane lagta hai...

kashish ( crying ):- sujal plzzz mujhey maanf kar dijiye... maine jaan bujh kar... ( par sujal uski baat bina sune hi apni car ki chabhi lekar ghar k bahar chala jata hai... aur kashish uske peeche bhagti hai... par anurag aur prerna ki bat sunn kar ruk jati hai...)

anurag prerna room...

anurag:- ab bataogi ki kyun kiya yeh sab?... (prerna anurag k gale lag jati hai aur ro rahi hai...)

prerna:- phir se uska phone aaya tha... us din bhi aapko yaad hai sujal k jamn din k pehle... usne mujhey phone kiya tha... aur mujhey dhamkaya bhi ki... agar maine sujal ki taraf jyada pyar dikhya to wo phir se sujal ko nukshaan pahuchayegi...( dhamake ) aur wo aisa kar bhi chuki hai anurag... kai baar kar chuki hai... ab mujhey usse bahut darr bhi lagta hai... aur jo jo humare kul k pandit ji ne kaha tha sujal k baarey me ab sab sach bhi ho raha hai... aapko bhi pata hai... aur kal to usne mujhey dhamaki bhi di ki agar ab maine sujal k dil mein apne liye nafarat paida nahi ki aur use is ghar se alag nahi kiya to wo... sujal ko... wo mere sujal ko jaan se ( she crying bitterly in anurag's arm ) main kya karu anurag... maine uske sath itana bura kiya hai... phir bhi wo mujhse nafarat kyun nahi karta... aaj bhi itana sab kaha maine... main hi jaanti hun ki mere dil pe kya guzri thi... par phir bhi usne kashish pe hanth tak utha diya meri wajah se... jabki kashish bilkul sahi keh rahi thi... jis sujal se main duniyaan me sabse jyada pyar karti hun... usi se mujhe nafarat ka dikhwa karna padta hai... sirf VASU ki wajah se...( tabhi anurag ki nazar kashish pe padti hai jo darwaaje pe khadi thi... aur ro rahi thi...)

anurag:- kashish... ( prerna looked at kashish with horror face... kashish door lock karti hai aur dheere se prerna k pass ati hai...)

kashish:- kyun mumma... kyun aap itana sab kuchhh sehti rahi... sirf sujal k liye... par mumma 1 bar to hum sab ko bataya hota hum sab vasu ko dhundh nikalte... main abhi sujal ko sab bata dungi... aur wo sab sahi kar denge,... aur aap dono ke beech ki duriii...

prerna ( darte hue ):- nahin tu aisa kuchh nahin karegi... tujhe sujal ki kasam hai... tu sujal ko kuchh nahin batayegi ( dhamake on kashish face ) tune jab sab sunn hi liya hai... to main tujhe pura sach batati hun... ki kyun main sujal k sath aisa karti hun... kashish yeh sach hai ki sujal mera aur anurag ka beta nahi hai... vo lalit bhaisaab aur vasu ka beta hai... lalit bhai saab anurag k bade bahi they... sadi k kai salo tak vasu ko koi aulaad nahi thi aur phir meri sadi anurag se hui aur aur anjali paida hone wali thi... vasu humesha hi mujhse jalti thi kyuki anurag har cheez me bahisaab se aage they aur mere bachhe hone k baad wahi garewaal khandaan k waarish hote... isliye vasu ki lalach aur bhi badh gayi... anjali paida hui to vasu ko thodi shanti mili... par tabhi kuchh dino bad hume pata chala ki vasu bhi ma banne wali hai ... to hum sab bahut khush they ki bahgwaan ne vasu ki god bhar di... par vasu anurag se jalti thi isliye usne apne bahi aditya k sath milkar anurag ka accident karana chaha taki anurag mar jaye aur sari property lalit bhaisaab aur uske bachhe k naam ho jaye... indirectly uske naam ho jaye... ( kashish looks at anurag... anurag nods in yes ) par sayad anurag ki kismat achhi thi ki jis din aditya ne anurag ka ccident plan kiya tha us din anurag kam me phas gaye aur anurag ki gadi... lalit bhai saab lekar office se nikal gaye aur raste me uska accident hua aur lalit bahisaab ki maut ho gayi... ( kashish ko apne kano par yakeen nahin ho raha tha ki ek patni ne hi apne pati ko... ) tere papa... mihir bahisaab ko vasu par saq bhi hua par us waqt hum sab vasu par bahut yakeen karte they isliye ... anurag ne mihir bhaisaab ki baat na maani... aur vasu ne faida bhi uthaya aur anurag aur mihir bhaisaab k beech bhi galatfehami paida kar di thi... aur inhi galat fehami ke chalte aage jakar humare business alag hue aur hum mumbai aagaye they... vasu to itani giri hui thi ki use apni pati ki maut ka nhi koi gum nahi tha... aur jo bachha uski kokh me tha... wo bhi sirf uske liye paise paane ka zariya tha... anjali 14 mahine ki thi jab vasu ne sujal ko janam diya... main bahut khush thi... ki hume humara warish mil gaya tha... par vasu jara bhi sujal ka dhyan nahi rakhti thi... uska pura khyaal main hi rakhtai thi... kaha ja sakta hai ki... usne sirf sujal ko janm de kar chhod diya tha... uske janm ke dusre din se hi maine sujal seene se laga kar pala... mere liye wo meri zindagi bann gaya tha ( smiles appears on prerna's lips )... anjali ka khayal to maa rakhti thi... par sujal chhota tha to main har waqt use apne seene se laga kar rakhti thi... maine aur anurag ne humesha kosis ki... ki sujal ko kabhi apne pita ki kami mehsoos na ho... par vasu se bardaast na hota... par phir bhi use apne bachhe ki koi parwaah nahi thi use apni parties se fursat hi kahan milti thi... chot sujal ko lagti thi... par dard mujhey hota... mujhse uska 1 aanshun bardast nahi hota tha... yahan tak ki vasu ke pass itana waqt nahi tha ki apne bete ko dudh pila sake... yahan tak ki sujal ko maine dudh pilaya hai ( kashish looks at prerna with tears ) ab bata kahan se hui main uski sauteli maa...( kashish presses her hand on prerna's ) jab sujal do saal ka tha to akki aaya humari zindagi me... vasu aur uske bhai aaditya ko yeh laga ki ab jo property sujal ki hoti ab uska hissedar aa gaya hai... isliye usne bahut bada khel racha... usne 1 plane crash me marne ka naatak kiya... jabki us plane crash me uski sheet khali gayi thi... usne plane board hi nahi kiya tha... aur wo aaj bhi jinda hai... aur jo aurat sujal ko phone karti hai... wo koi aur nahi vasu hi hai... dheere dheere din beetne lage bachhe bade ho rahe they anurag aur mihir bahisaab bhi wapas kareeb aa rahe they par pehle wali baat nahi thi... kyuki vasu ne kai baar pehle mihir bhai saab par fraud ka ilzaam lagaya tha... jiski wajah se tere papa bahut hurt bhi they... sujal us waqt sayad 12 saal ka tha jab hum shimla me apne kul devta k mandir gaye tab hume nahin pata tha ki vasu zinda hai... sabhi bachho k bare ,me pandit ji ne achha bataya... par sujal k bare me bataya wo sunn kar humare hose hi udd gaye they...

flash back 13 saal pehle...

kul pandit jee :- beta jab sujal apni umra k 15 saal paar kar lega... isaki zindagi me mushibate aana suru ho jayeingi... (dhamake on prerna's & anurag's face...) sujal ki jaan ko khatra badhta jaayega... uski zindagi me dukh laga rahega... sujal ko sabse bada khatra apni maa se hai ( prerna is shocked)

anurag:- guru ji yeh aap...

kul pandit jee :- main bilkul satya keh raha hun... tumhare pure kul ki bhavishyawaani maine hi ki thi jo aaj tak satya hota aaya hai... aur jo main sujal k baare me keh raha hun wo bhi satya hai... ha sujal bahut bahgya se aur bahut tej lekar paida hua hai... yeh jo chahega... ise milega... par iski zindagi ko khatara laga rahega... kai baar iski jaan jate jate bachegi... par kab chali jaye iska koi bharosha nahi... yahan tak ki sujal ki zindagi me aane wali pehli kanya ki maut bhi ho jayegi ( dhamake)... wo sujal k sath apni zindagi nahi bita paayegi... sujal use bahut chahega par wo sujal ke khatare ko apne sath le jayegi... phir bhi sujal ka sankat khantm nahi hoga...

prerna( rote hue ):- guru ji main apne bete se kaise dur reh sakti hu... aur sujal ki maa to vasu hai... jo ab nahi rahi... to phir main kyun...

kul pandit jee :- nahi prerna... ma... sirf janm dene se nahi hoti... ma to ma hoti hai... jahan tak mera gyan keh raha hai... ki sujal ko apni maa se khatara hai... aur yeh bhi satya hai... uski ma hi uski sabse badi dushman ban kar saamne aayegi... aur mera gyan yeh bhi keh raha hai... ki sujal ki janmadata ma is duniyaan me hai... wo mari nahin hai,... ( dhamake)

anurag:- guru ji... sujal k sir se yeh bala kab jayegi... ? kuchh to upaye bataiye... hum apne sujal ko nahin kho sakte...( kul pandit jee sujal ki taraf dekhte hai... jo akki, rishi aur anjali k sath madir k ground pe khel raha tha... aur bahut hi has raha tha...)

kul pandit jee :- jaisa maine pehle bhi kaha... ki sujal ki zindagi me do kanya aayeingi... jinme 1 uski kuchh mushkile le kar apne sath cahli jayeigi... uski maut ho jayegi... par sujal ki zindagi se sari musibate us din khatam hongi... jab wo puri tarah se apne grahast jeevan me pravesh karega... uski patni uski sabhi mushqeelo kal hal hogi... wo sujal pe aanch bhi nahi aane degi... wo sujal ko apni jaan se jyada chahegi... par tab tak jab tak sujal 27 sal ka nahi ho jata uski jaan ko khatra bana rahega... isliye... tab tak prerna tumhe bahut savdhani rakhni hogi... aur jahan tak ho sake shimla chhod do... kyuki sujal ka janm yahan se juda hua hai... aur uska khatra uske janm se hai... isliye tab tak sujal k 27 saal ka hone tak intezaar karo aur uski sadi us umra tak kara dena...

flash back ends...

kashish k to hose hi udd gaye they...

prerna:- phir humne faisla kiya ki hum shimla me nahi raheinge... isliye hum kuchh dino baad mumbai aa gaye... par mera darr badhta gaya... kyuki guruji ne yeh kaha tha ki sujal ko uski maa se khtara hai... par mera mann nahi manta maine sujal se duri bana li thi sujal dukhi bhi rehta tha... par 1 din... us din sujal ka janm din tha isliye maine us din bade pyar se uske liye khana banaya aur use khilaya ... main us din guruji ki baat bhul hi gayi thi... par usi din sujal apni school me cricket khel raha tha... aur ball aakar uske seene pe lagi... sab use hospital le gaye... sujal ki halat bahut kharab thi... ( prerna is crying) doctor ne yahan tak keh diya tha... ki uska bachna bahut mushqil hai... us din pehli baar mujhe ehsaas hua ki main apne sujal ko kho dungi... par kisi bhi tarah anurag ne foreign se specialist ko bulwaya aur sujal ko bachaya gaya... par jaisa guru ji ne kaha tha... sujal k sath koi na koi hadshaa hota hi rehta... 1 baar wo gadi k neeche aata ata bacha tha... aur 1 bar rishi ko bachne ke liye wo khud... 1 bike k neeche aa gaya tha... rishi ko to kuchh nahi hua... par sujal uska pair fracture ho gaya tha... aise hi din beetne lage main sujal se dur hi rehti thi... wo is wajah se mujhse naraz bhi rehta tha... bachha tha to lazmi tha ki naraz hoga... par jaisa bada hota gaya wo mujhse kuchh na kehta meri har baat chup chap maan leta... par jab sujal lagbhag 20 saal ka tha... tab ... tab 1 din mujhey vasu ka phone aaya...

flashback 5 saal pehle...

prerna:- hello...

vasu:- hello prerna... ( prerna is shocked) kya hua itani chhup kyun pehchaan to liya hi hoga...na...( vasu laughs ) kya baat hai prerna mere bete ka bahut fayda utha rahi ho... puri nazar rakhti hu main sujal par... dekh lena wo ek din mere pass jarur aayega...

prerna:- aisa kabhi nahi hoga... sujal tumhare pass kabhi nahi aayega...wo mera beta hai... wo mujhse pyar karta hai... are tum... tum to uski maa kehlane k layak hi nahi ho... are bahut, bahut kismat wali ho vasu ki tumhari kokh se ram jaise bete ne janm liya...kash maine use janm diya hota to aaj mujhe mere sujal k sath aisa na karna padta...

vasu ( laughs):- sach kaha tumne...bilkul sach kaha... aur waise bhi mujhe sujal se koi pyar nahi hai... mujhe na mere pati se pyar tha... par ha sujal mera trumph card hai...jise main sahi waqt aane par istemaal karungi... aur haan...mujhe uske jeene marne se koi fark nahi padta...( dhamake on prerna face) mere liye bus uski property important hai... jab sujal 24 saal ka ho jayega...to garewaal khandaan ki adhi property uske naam ho jayegi... tab tak use kuchh nahi hona chahiye... phir uske baad wo property mere aur bahiya k naam hogi...aur ha...uska khayal rakhna...

prerna:- aur tumhe aisa kyun lagta hai vasu... ki sujal apni property tumhare naam karega...wo kabhi nahi karega... kyuki main use aisa karne nahi dungi... use to pata bhi nahi ki tum uski maa ho... aur ha sujal ka haq kisi aur ko nahi milega...

vasu:- milega... jarur milega... kyuki tum aisa karogi... tumhe sujal k dil me apne liye nafarat paiyda karni hai...( dhamake on prerna's face) jitana pyar dikhana tha use bachpan me dhikha diya... ab sirf usse nafarat dikhana hai tumhe... tumhe uske saamne yeh saabit karna hai ki tum use jara sa bhi pyar nahi karti... balki nafarat karti ho...

prerna( gusse se ):- main aisa kuchh nahi karungi...

vasu:- karna padega tumhe prerna... tumhe karna padega... warna main tumhare sujal ko jaan se maar dungi...( dhamake ) aur ha yeh mat sochna ki... main uski maa hun to aisa nahi kar sakti... jab main lalit ko marwa sakti hun to sujal ko bhi...( vasu laughs) baki tum khud samjhdar ho... waise meri nazar sujal par har waqt rehti hai... soch lena...dubara phone jarur karungi... byeee darling...( &vasu cuts d call aur prerna bahut hi shocked tareeke se khadi hai... use guruji ki sari bate yad aa rahi haiki... sujal ki maa hi uske liye khatra hai... aur yeh sach bhi ho raha tha...)

flash back ends...

kashish bahut ho shocked thi ki... koi maa apne bete ki jaan...

prerna:- main kuchh dino tak bahut disturb thi sujal ki bahut chinta lagi rehti thi... vasu ki bat reh reh kar yad aati thi... jab tak sujal ghar nahi aa jata mujhey neend nahi aati thi... aur 1 din akki ki bday party pe sujal ki jan phir jate jate bachi... kisi ne main hall ke jhumar ki rassi kaat di thi... aur sujal jhumar k neeche hi khada tha... wo to sukra tha angad ka, jisne dekh liya aur sujal ko dhakka de diya warna... mera sujal ( kashish ke chehre pe dhamake aur prerna ro rahi hai...) phir usi raat vasu ka phone aaya... aur usne mujhey bataya ki yeh sab uske bhai aaditya ne hi karwaya tha... us din mujhey yakeen ho gaya ki vasu kuchh bhi kar sakti hai... uske baad jaisa vasu kehti gayi... main karti gayi...vasu ki baat maine anurag ko nahi batayi thi... main bahut darr gayi thi... vasu sujal ko kuchh nahi batana chahti thi kyuki sujal 24 saal ka nahiin hua tha... par mujhsey sujal se yun door rehna bardast nahi hota tha... sujal college me student of the year bana tha... usne apni trophy lete hue apna sara credit mujhey diya... main bahut khush thi par kuchh nahi kar sakti... itani mazboor thi... use gale tak nahi laga sakti hi... par vasu ne is baat ka galat matalab nikala use laga main sujal ko apne pyar k jaal me abhi bhi phasa rahi hun isliye usne... mujhey sabak shikhane k liye... sujal ka accident kara diya... yeh wahi accident tha kashish jisme aarohi ki jaan gayi... ( dhamake on kashish face ) mujhey aarohi k bare me kuchh pata nahi tha... par angad ne bataya tha ki sujal ki halat bahut kharab thi... bahut mushkil se bachaya tha doctor ne use... aur phir sujal bilkul chup sa rehta tha... haan aarohi ki wajah se par mujhey is baat ka sukun tha ki wo sahi salamat hai... aur sujal ki chuppi se...vasu ko lagne laga ki... ab sujal mujhse nafarat karta hai... par aisa nahi hai kashish... yeh tum bhi achhi tarah janti ho... aur uske baad kya hua tumhe pata hai... kal bhi uska phone aaya tha... usne mujhey bataya ki usne sujal ko bataya ki main sujal ki maa nahin hu to sujal ne yakeen nahi kiya... sayad wo kai baar sujal ko call kar chuki hai... par sujal uski baat nahi manta tha... aur uska phone kaat deta tha... isliye usne kal mujhey final warning di ki main sujal ko tyakeen dila du ki main uski asali maa nahi hun... main usse pyar nahi karti... main yahin sab soch rahi thi ki kaise main sujal ko bataungi... aur tum aa gayi... aur maine apna gussa tumpe nikal diya aur sujal ne sab sunn liya... wo kyun mujhse nafarat nahi karta kashish... maine use humesha dard diya hai... to kyun wo meri itani izzat karta hai... aaj meri wajah usne tum par hanth tak utha diya... uski taraf se main tumse manfi mangti hu ( hanth jod kar, par kashish uska hanth pakad leti hai...)

kashish:- nahin mumma yeh aap kya keh rahi hai... aur sujal ne jo kiya... bilkul sahi kiya... kyuki wo aapse bahut pyar karte hai... aur wo apka apmaan nahi seh sakte... aur manfi to mujhey mangni chahiye... bina sach jane... maine na jane... kya kuchh keh diya aapko... mujhey maanf kardo mumma... ( both hugs & crying )...mumma sahi mayno me aap hi sujal ki maa ho...kyuki aap to sabse jyada dard seh rahi ho...koi bhi ma apne bachhe ki jaan bachane ke liye kisi bhi hadd tak ja sakti hai...aap sahi ho mumma aap bilkul sahi ho...

prerna:- mujhey pata hai kashish... tu sujal ko bachapan se chahti hai... bahut pyar karti hai... bachpan se hai na...( anurag is shocked and looks at kashish) isliye tu uske khilaf kuchh nahi sunn sakti... aur yakeen maan kashish maine teri sadi sujal se apne swarth me aakar karayi hai... kyuki maine teri aur kripa ki baat sunn li thi... aur jo kuchh bhi guruji ne sujal k bare me kaha tha... sab sach hua... jab mujhey aarohi ka pata chala tab mujhey yakeen ho gaya ki... ab sujal ki patni hi use mishibato se bacha sakti hai... aur tere se jyada kaun sujal ka bhala soch sakta hai hai...

kashish( wiping prerna's tears):- haan... mumma main sujal se bahut pyar karti hun... aur main aapse wada karti hun ki... main ab vasu ko mere sujal ka kuchh bhi bigadne nahin dungi... main sujal ki dhal banungi... aur apke aur sujal k beech ki sari duriyaan 1 din kam ho jayeingi... i promise u... ( now to anurag...) par papa aapke to itane contacts hai... aap vasu ka pata kaise nahi laga payein...

anurag:- bahut kosis ki beta... par vasu hamesha private no se call karti hai... aur wo india me bhi nahin hai... par uske log har jagah faile hai... aur haan aditya vasu ka sath isliye de raha hai... kyuki vasu k father ne apni puri property jo ki billions me hai... apne naati yani ki sujal k naam tab hi kar di thi jab sujal sirf 12 saal ka tha... kyuki aditya achha insaan nahi tha... isliye use kuchh nahi mila aur ab vasu k father mar chuke hai... to bas kashish samajh lo ki sujal k pass bahut jyada property hai... jiska care tacker sujal k 24 saal k hone tak main aur prerna they kyuki humne sujal ko leagally adopt kiya tha... par ab agar sujal ko kuchh ho jata hai... to uski saari property uski patni yani tumhe milegi...aur agar tumhe kuchh hua to garewals wali property akshat rishi aur anjali ko mil jayegi aur vasu k father ki property aaditya ko... isliye vasu aur jyada naraz hai

kashish:- par papa agar yeh sari property sujal mere naam karde to... ( anurag prerna looks at kashish with confused expression ) to agar vasu aur aditya sujal ka kuchh bigadenge to unhe kuchh nahi milega... yeh property aaditya ko hasil karne k liye mujhe maarna hoga... kyuki sujal ko markar unhe kuchh nahi milega...

prerna:- yeh tum kya keh rahi ho kashish hum tumhari jaan khatare me nahi daal sakte... mana ki sujal humara beta hai... par tum,... tum bhi to humari beti ho... aur...

kashish ( intrupts prerna ):- nahin mumma... maine soch liya hai... aur ab aap dono ko meri kasam hai... aap hi ne kaha na... ki guru ji ne kaha tha ki sujal ki patni unki sari mushibato ka hal hogi to ab main kuchh aisa hi karungi... achha... ab aap dono rest kijiye aur sab mujhpar chhod dijiye... aur mumma mujhey sujal ki bahut chinta ho rahi hai... gusse mey kahin chale gaye hai... main unhi ko rokne aayi thi jab maine aap dono ki baatein sunli...

prerna:- kya... kahan gaya itani raat ko... yeh ladka bhi na... anurag aap phone lagaiye aur puchiye kahan gaya hai... aur fauran ghar bulaiye use... ( anurag sujal ko phone lagata hai... par sujal phone switch off bata raha tha... )

anurag:- uska phone to switch off aa raha hai... hey bhagwaan kahan hoga yeh ladka...( tabhi hall ka land line bajta hai aur kashish jakar pick karti hai )

kashish:- hello...

other person:-ji kya ye mr sujal garewal ka ghar hai...

kashish ( tensed ):- ji haan... main unki patni hu... kahiye...kya kam hai...

other person:- dekhiye mai... main st. life hospital ki nurse bol rahi hu... humein apke pati ke credit card se aapka pata aur number mila hai ( dhamake on kashish face)

kashish:- sujal kaha hai?

other person:- maim aap plzz shant ho jaiye... aur fauran hospital cahle aaiye... aapke pati ka bahut bura accidet hua hai ( kashish k hanth se phone gir jata hai aur she sreams...)

kashish:- SSuuujjjaaalll... ( kashish ki awaz sun kar sabhi daud kar aate hai... aur prerna wo to bahut jyada darr jati hai )

end of part 14
plzzz do comment...
with love chandni...
*********************************************************
**********************************************************
Edited by rkchandni - 10 years ago
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago

Originally posted by: rkchandni



Thanks again amber sorry I forgot abt dance par ho jata h
Bade bade writers aise chhoti chhoti galtiyan kar dete h 😆 😉
Any ways thanks 😆

nilusoni thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Omg gr8 part
Sk fight and theirpatching up
Lots of revelations and finally why prerna behave rudely to sujal is out
Kashish and anurag prerna is going to support each other for sujal
Omg sujal's accident
I hope he will get fine
Excited for next part
Thanks for pm
Plz pm me for next part
Continue soon
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
ufff ye sujal na bina kuch puche bina kuch samjhe bus shuru hi hogaya bechari kashish 😭 lakin chao jaldi hi aqal aagai sorry bhi kehdya 😃😃 lakin yar sujal oh no😭 itna dard prerna ne kitna hurt krdya kasish ko thapar mar dya pr wo pyar hi itna krta hai apni muma se to kse sune unke khilaf kuch 😭😭 bechari prerna usne bhi kitna dard saha apne bete kelye yarrr sujal ki qismat aisi kyun hai 😭 itna dard itni takleef?? or ye desh vasu 😡 pr kasish ne acha desicin lya property apne nam karne ka but mjhe nhi lgta sujal manega lets see 😒 yar sujal ko kuch hua na jaye plzzz use sahi rakhna plzzz😭 overall a very nice part but sad part 😭😭 cont soon
golu_1677 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Superb parts... Waiting for more... continue soon...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: nilusoni

Omg gr8 part

Sk fight and theirpatching up
Lots of revelations and finally why prerna behave rudely to sujal is out
Kashish and anurag prerna is going to support each other for sujal
Omg sujal's accident
I hope he will get fine
Excited for next part
Thanks for pm
Plz pm me for next part
Continue soon



Thanx a lot nilu
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: ambersaleem

<font color="#ffcc00">ufff ye sujal na bina kuch puche bina kuch samjhe bus shuru hi hogaya bechari kashish😭lakin chao jaldi hi aqal aagai sorry bhi kehdya😃😃lakin yar sujal oh no😭itna dard prerna ne kitna hurt krdya kasish ko thapar mar dya pr wo pyar hi itna krta hai apni muma se to kse sune unke khilaf kuch😭😭bechari prerna usne bhi kitna dard saha apne bete kelye yarrr sujal ki qismat aisi kyun hai😭itna dard itni takleef?? or ye desh vasu😡pr kasish ne acha desicin lya property apne nam karne ka but mjhe nhi lgta sujal manega lets see😒yar sujal ko kuch hua na jaye plzzz use sahi rakhna plzzz😭overall a very nice part but sad part😭😭cont soon</font>



Thanx a ton amber keep reading
jasminerahul thumbnail
Posted: 10 years ago
Gud that mu btw SK is over.Loved prerna opening her heart 2 Kashish.so thats y prerna is behaving like this 2 sujal.Kashish may put d property in her name 2 save sujal's life.but i worry if she gets misunderstood by others.sujal's accident?Oh!

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

a month ago

The Unending Dream OS [Completed]

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

1 months ago

Moh-Maya ~ MayRa OS [Completed]

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".