PURE LOVE ~ Sujal Kashish~**Completed**Last part on page 41 - Page 16

Created

Last reply

Replies

293

Views

69.2k

Users

22

Likes

348

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
HEY EVERYONE thanks alot for reading...
liking...and commenting on my fic...PURE LOVE...sujal kashish ff...

i will update part 16 on 12 june...thanks a ton...

love Chandni...
____________
Rajeev diwaani...

Sanjana4Rajeev thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
Wonderful updates Chandini..
Seriously..Loved how you have written the journey on Kashish's pure love.
Saach main..her love is truly pure..she loves Sujal since her childhood days and I can imagine that she must have feeling deeply hurt that Sujal loves Arohi..but she is strong..
Loved how you have described the wedding scenes..and Sujal's accident part was extremely touching, couldn't stop crying..Kashish risked her life by burning her hand in order to save Sujal's life..and I'm glad Sujal ko kucch bhi nahin hua hai..aur voh thik hai..
Awwee..Sujal is also fallen for Kashish..and that song " Ek Ajnabee sa , ehsaas dil" truly described the feelings..and it is a sweet gesture of Sujal buying a dress for Kashish for the upcoming occasion..
Looking forward to read their love journey further..
Please do update soon😊
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: Sanjana4Rajeev

<font face="Georgia, Times New Roman, Times, serif">Wonderful updates Chandini..</font>

<font face="Georgia, Times New Roman, Times, serif">Seriously..Loved how you have written the journey on Kashish's pure love.</font>
<font face="Georgia, Times New Roman, Times, serif">Saach main..her love is truly pure..she loves Sujal since her childhood days and I can imagine that she must have feeling deeply hurt that Sujal loves Arohi..but she is strong..</font>
<font face="Georgia, Times New Roman, Times, serif">Loved how you have described the wedding scenes..and Sujal's accident part was extremely touching,couldn't stop crying..Kashish risked her life by burning her hand in order to save Sujal's life..and I'm glad Sujal ko kucch bhi nahin hua hai..aur vohthik hai..</font>
<font face="Georgia, Times New Roman, Times, serif">Awwee..Sujal is also fallen for Kashish..and that song " Ek Ajnabee sa , ehsaas dil" truly described the feelings..and it is a sweet gesture of Sujal buying a dress for Kashish for the upcoming occasion..</font>
<font face="Georgia, Times New Roman, Times, serif">Looking forward to read their love journey further..</font>
<font face="Georgia, Times New Roman, Times, serif">Please do update soon😊</font>



Thank you so much vishakha
Keep reading keep smiling
love_sujalkash thumbnail
Posted: 10 years ago
part 14: sb se sad part ab tk ka...sujal ka accident 😕 yar ye sujal ki life m khushiyan kb ayein gi...
part 15: Thank god sujal bach gyA 😊 kashish ka pyar usy wapis ly aya...kashish k jale hath ki sujal ko b fikr but wo kuch khta Q nhi 😒
akki & charu 🤣 AwSmmm...hehehehe
chup chup k love krty😳
welldone chandni..clapppiinnggg 4 uHhh👏👏👏
w8ng 4 ur nxt part...cont soon
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: love_sujalkash

<font color="#ff0000" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="5">part 14: sb se sad part ab tk ka...sujal ka accident😕yar ye sujal ki life m khushiyan kb ayein gi...</font>

<font color="#ff0000" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="5">part 15: Thank god sujal bach gyA😊kashish ka pyar usy wapis ly aya...kashish k jale hath ki sujal ko b fikr but wo kuch khta Q nhi😒</font>
<font color="#ff0000" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="5">akki & charu🤣AwSmmm...hehehehe</font>
<font color="#ff0000" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="5">chup chup k love krty😳</font>
<font color="#ff0000" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="5">welldone chandni..clapppiinnggg 4 uHhh👏👏👏</font>
<font color="#ff0000" face="Comic Sans MS, Times, serif" size="5">w8ng 4 ur nxt part...cont soon</font>



Thanks anmol sis
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
thankyou so muchh all of u...plzzz keep reading...and keep commenting...thanks a ton

love chandni
__________
Rajeev diwaani...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

*** sk- Pure love ***
part 16

kashish( smile ):- haa... bahut jyada kimati...

NEXT DAY...

aaj akki aur charu ki engagement hai... aur sabhi kam me busy hai... sujal k sir me dard tha to wo kamre me aa gaya aur bed me leta hai... kashish ne kaha bhi ki wo uska sir daba deti hai... waise bhi abhi sagai me time hai... par sujal ne mana kar diya yeh kehkar ki kashish kaam me dhyan de wo theek hai... kashish maan gayi aur darwaja band kark neeche chali gayi... sujal k sir ka dard badhta ja raha tha... isliye usne socha koi balm laga le usne drawer khola to use kashish ki dairy dikhi... uska mann kiya ki padh ley... par kisi ki dairy padhna achhi bat nahi isliye usne balm nikala aur drawer band kar diya...

sujal to him self:- sujal... kashish teri biwi hai... biwi ki dairy padhne me koi burayi nahi... dekh to kashish ne kya likha hai... nahin- nahin... kashish kya sochegi... are kuchh nahi sochegi... waise bhi use kahan teri baat ka kabhi bura lagta hai...

sujal jakar door andar se lock karta hai aur... dairy nikalta hai... uske chehre me smile hai... aur wo padhna suru karta hai...

first page...
ohhh i m so happy today... aaj sujal first aaya... usne sabko hara diya... wo best hai... use to jeetana hi tha... akhir kar wo kashish ka best frnd hai... kashish yani mera... (sujal smiles at this )

next page...
ohhh i m so happy today aaj sujal ka birthday hai... aur maine uske liye gift bhi liya hai... mumma ne kharid k diya... main aaj sujal ko gift dungi...wo bahut khush ho jayega...aur maine use sabse pehle wish kiya hai...(sujal smiles & thinks... kahsish k har panne me sirf mera naam kya main itana khas tha kashish k liye...)

next page...
ohhh god aapne aisa kyun kiya... aaj mujhe bilkul bhi achha nahi lag raha hai... aaj sab mumbai chale gaye aur sujal bhi... anurag uncle aapne aisa kyun kiya...kyun sabko lekar chale gaye... ab main kiske sath khelungi... aur sabse jayada i will miss u SUJAL... i love u SUJAL plzzz come back ( sujal was shocked kyuki yeh sab kashish ne aaj se 13 saal pehle likha tha aur wo yeh jaankar shocked tha ki kashish usse bachpan se pyar karti hai...aur panno par aanshun ke nishan abhi bhi bane they iska matalab kashish bahut ro rahi thi...)

next page...
aaj mumma ne bataya ki sujal ne pure college me top kiya hai... first year me... main unke liye bahut khush hu... hey bhagwaan ji bas sujal ko aise hi kamiyabi dena... aur kal valentines day hai... humesha ki tarah is baar bhi unke liye gift to kharid liya par pata hai bhej nahi paungi... kash main sujal ko bata pati ki main unse kitana apyar karti hun... har saal unke liye gifts kharidati hu aur is cupboard me rakkh deti hun kabhi himmat hi nahi hoti ki unhe de saku ya bhijwa hi du... kash jitana pyar main sujal se karti hun wo bhi mujhse utana hi pyar kare... i love u SUJAL ( sujal ki ankh me anshu aa jate hai... aur wo deewar pe lagi kashish ki tasveer ko dekhta hai aur phir dairy padhne lagta hai...)

next page...
aaj mera birthday tha... in salo me kabhi aisa nahi hua ki sujal ne mujhey mere birthday pe phone na kiya ho... par is baar kya hua ki wo bhul gaye... saal me sirf do hi baar to baat hoti hai unse... 1 unke birthday pe aur 1 mere... par is baar unhone mujhey wish tak nahi kiya... koi baat nahi kashish... sayad wo busy honge... hey bhagwaan agar mujhey mere birthday pe aap koi gift dena chahte hai...to mere sujal ko hamesha sahi salamat aur khush rakhna... mere liye bahut hai... i love u SUJAL ( sujal kashish ki tasveer ko dekhta hai aur phir padhne lagta hai...)

next page...
aaj sujal ka birthday hai... aur hamesha ki tarah maine sabse pehle unse baat ki hai aur unhe wish kiya ... aur
aaj na maine unse pure 27 minute aur 39 sec tak baat ki phone par, first time itani lambi baat ki hai... oh! i m so happy in 12 saalon, 3 mahine aur 14 dino me main pehli baar itana khush hui hun...unhone kahan ki unka mood udash tha par mujhse baat kark bilkul theek ho gaya... par aaj unhe dekhne ka mann kar raha hai... pichle 12 salo mein maine sirf unhe chaha hai... wo kaise dikhte honge... kaise chalte honge...? oh god main pagal ho jaungi... aap k pyar ne mujhe pagal bana diya hai... aap ko abhi tak dekha bhi nahi aur aap k liye itani pagal hu jab dekhungi to pata nahi kya hoga... i love u veryyy muchhh SUJAL muuuaaahhh... (sujal ko apna last birthday yaad ata hai... jab usne kashish se yeh kaha tha...uske chehre pe 1 smile aa jati hai... aur anshu bhi... ki koi use is had tak kaise pyar kar sakta hai... wo bhi bina kisi aash ke...)

next page...
thankyou... thankyou... thankyou... bhagwaan ji... aaj main bahut khush hu... finally main apne sujal se milungi... main mumbai ja rahi hu... aur sujal k sath unke ghar me rahungi... bhagwan ji bas meri madad karna ki main sujal k dil mein apne liye thodi si jagah bana lu... kyuki agar sujal mujhey nahi miley to main mar jaungi... main unke bina nahi jee sakti... i love u SUJAL ( sujal k anshun kashish ki dairy par girte hai wo agla pnna palatata hai)

next page...
aaj jab sujal se mili to pehchan hi nahi payi unhe jhagda kar baithi thi...aur unhe towel wala chor bola ( sujal smiles at this ) aur jab pata chala ki jis insaan se main beech raste mein lad rahi thi wahi mere sujal hai... to meri saans hi rukh gayi thi... haiii allah jitana socha tha sujal to usse bhi kahiiinnn jyada hot & hansome hai ( sujal blushes at this ) aur bina shirt k to mujhey aisa lag raha tha ki meri saans mere gale me atak gayi thi... sujal kisi bhi bollywod ke hero ko peeche chhod de... itane hansome hai wo aur ab main unke sath is ghar me rahungi aur unhe apna bana lungi ab to mujhey aur jayada pyar ho gaya unse... abhi tak to sirf kalpna me jeeti thi ab haqeeqat me me bhi jee rahi hu i love u SUJAL ( sujal ko apna aur kashish ka pehli baar airport k bahar milna aur unka jhagda yaad aata hai )

next page...
kyun... kyun hua mere sath aisa maine aapka kya bigada tha bhagwaan ji... sujal mujhse pyar nahi karte wo aarohi ko chahte hai... main jeena nahi chahti ... main ab kya karu ... kaise jiungi main... par sujal wo kaise jee rahe honge... main jis insan se pyar karti hu... kam se kam unhe dekh sakti hu...unse bate kar sakti hu... par sujal... wo jisse pyar karte hai... wo to ab is duniyaan me hi nahi hai... tum bahut kismat wali ho aarohi... ki sujal tumhe chahte hai... kas tumhari jagah main hoti... mujhe apni maut ka zara bhi gumm na hota... bas khushi hoti ki main sujal ki muhabbat hu... par nahi main aise tut nahi sakti main sujal ko aise dard me nahi dekh sakti... main unhe unki khusiyaan lautaungi... main unhe jeena shikhaungi... aur main prerna aunty aur unke beech ki sari tension bhi dur karungi... sahi kaha hai kripa di ne... ki mera pyar itana kamzor nahi hai... ki 1 sach mere pyar ki buniyaad hila de...to kya hua sujal mujhse pyar nahi karte... main to karti hun... aur apni akhiri saans tak karti rahungi... agar sab ko pyar me milan milega to judaii bhi to kisi ko milani chahiye sayad wo main hi hu...jise uska pya nahi milega... par main aapko pyar karna nahi chhod sakti sujal... kyuki yeh mere bas mew nahi... bachpan se sirf aapko chaha hai... aur aapko hi chahungi... i love u SUJAL ( sujal kashihs ki tasveer ko dekhta hai uski ankhon se anshun beh rahe hai wo kashish ka dard samajh raha tha... aur phir padhne lagta hai...)


next page...
ohhh!!! god mujhse to sach muchh yakeen nahin ho raha hai ki finaly mujhe mera pyar mil jayega... jis insaan se sadi ka sapna dekha bachapan se usi se meri sadi ho rahi hai... par mujhe pata hai ki main sujal k liye sirf unki achhi dost hu ... par main apne aap se wada karti hu ki apni puri jaan laga dungi is rishtey ko kamyaab banane k liye... apne 12 saal ke intezaar ko safal banana hai mujhey... aur mera khud se wada hai ki unke upar aane wali har 1 musibat ko pehle mujhse hokar gujarna hoga... bas bhagwaan ji aap se itani hi dua hai ki main bas unke dil me apne liye 1 chhoti si jagah bana saku... jise bachpan se chaha hai usi k naam ke sindur aur mangal sutra ka sapna dekha tha aur ab wo sapna bahut hi jald pura ho jayega... mujhe itani shakti dena ki main iski laaz rakh saku... I LOVE U SUJAL... I LOVE U alot more than any thing in this world...

next page...
aaj main bahut khush hun... aaj mere hanthon me sujal ke naam ki mehandi lagi hai... aur kal mere naam ke sath sujal ka naam humesha humesha k liye judd jayega... mujhey pata hai... main sujal ka pyar nahi hu... par 1 din sujal bhi mujhse utna hi pyar kareinge jitana main unse karti hu... nahi, utna to kabhi nahi kar payeinge,,,,,, kyuki jitana pyar main sujal se karti hu... koi kisi se karne ka soch bhi nahi sakta... par ha agar uska 1 % bhi sujal mujhey pyar kareinge...to mere liye wahi bahut hoga... par mujhey pata hai... mujhey sujal ko waqt dena hoga... aur yakeen maniye sujal main aapka apni puri zindagi intezaar karungi... nahin- nahin puri zindagi nahi... puri zindagi k 1 din pehle tak... kyuki meri zindagi k us akhiri din... aap sirf mere honge... sirf mere... sujal par sirf kashish ka haq hoga... i love u SUJAL

sujal to himself:- sach kaha kashish tumne... tumhare jitana pyar koi kisi se nahi kar sakta... mujhey to ab bhi yakeen nahi ho raha hai... ki tum mujhsey bachpan se pyar karti ho aur itana pyar jiski koi seema hi nahi thi... aur aaj bhi bina kisi umeed k mujhse pyar kar rahi ho... aur maine kya kiya tumhe galat samjha tumhe dard diya... mujhey manf kardo kashish... tum jeet gayi kashish tumhara pyar jeet gaya aur main haar gaya... par main apni is haar se bahut khush hun... aaj se yeh sujal sirf tumhara ho chuka hai... main tumsey pyar karne laga hu yeh to mujhe pata chal chuka tha... par ab main tumse aur zyada pyar karne laga hu... kyun kashish kyun nahin batayaki tum itana pyar karti ho mujhsey jabki main ishke laaiq hi nahi... par ab is sujal par sirf aur sirf SUJAL ki KASHISH ka haq hai... sirf kashish ka... i love u kashish... i love u alot... aur ab tumhara har sapna main jarur pura karunga aur kal to kashish ka birthday bhi hai... kal kashish jo chahegi wo hi hoga... ( sujal apne anshun pochhta hai aur age padhne lagta hai... )

next page...
aaj main bahut khush hu... kal charu ki sagai hai... aur di maa banne wali hai... di kitani kismat wali hai... ki jisse pyar karti hai... usi ke bachhe ko janm degi... par main... kya kabhi mujhey yeh khushi milegi... main bhi to chahti hun ki main 1 din sujal k bachhe ko janm du... wo mujhey mumma aur sujal ko papa kahe... aaj jab dadi ne kaha ki main unhe yeh khush khabri kab suna rahi hun...to mujhey bahut sharma aa rahi thi... par ab main unhe kaise samjhun ki sujal ko mere kareeb aane se bhi darr lagta hai... unhe lagta hai ki wo arohi k sath bewafaii kareinge... par aisa nahi hai sujal... kisi ke chale jane se zindagi khatamn nahi hoti... aur arohi jahan bhi hogi wo bhi aapko khush aur apni zindagi me age badhte dekhna chahegiii... kash ki aap kabhi samajh pate ki main aapse kitana pyar karti hu... i love u SUJAL...

sujal dairy band kark wapas drawer me rakh deta hai... aur bed me jakar late jata hai... use apne aur kashish k bitaye hue sare pal yad aa rahe hai... uske chehre pe 1 muskaan aa jati hai... aur wo aise hi so jata hai... thodi der baad kashish aake door knock karti hai... jiski awaz se sujal ki neend khulti hai aur wo jakar door kholta hai...

kashish;- sujal aap so rahe they kya... sorry maine disturb kar diya...

sujal:- nahin its ok... andar aao... ise apna hi kamra samjho... ( kashish smiles)

kashish:- ab aapka sir dard kaisa hai?

sujal:- i m fine dont worry... ab bahut sukun mil raha hai...

kashish:- thank god... achha ab aap ready ho jao main bhi taiyyar ho jati hun... dadi aapko neeche bula rahi hai... sagai ka time ho raha hai... ( kashish ja kark sujal k kapde nikal k sujal ko deti hai aur sujal wo lekar wash room me chala jata hai... thodi der bad jab sujal aata hai to kashish use dekhti hi reh jati hai bcz sujal mehroon sherwani me bahut hi jyada hansome lag raha tha... kashish wash room me jane lagti hai sujal uska hanth pakad leta hai... kashish ankh band kark wahi khadi reh jati hai... sujal naughty smile k sath uske saamne jata hai aur )

sujal:- kashish... ( opens her eyes ) wo mujhey yeh dekhna hai... ki uss cupboard aisa kya khash hai (cupboard ki taraf ishara karte hue )... jo tumne itana sambhal ke... lock kar k rakha hai... ( kashish hairaan hai ki sujal ne use yeh puchhne k liye roka... ) batao na... achha mujhey chabhi do main khud dekh leta hu...

kashish:- kya... nahin nahin... abhi nahin jab waqt aayega to main khud aapko sab dikha dungi...

sujal:- aur wo waqt kab ayega?

kashish:- jab aap... ( kashish peeche badh rahi hai... aur sujal uske kareeb ja rah hai... )

sujal:- jab main kya... ( aur aisa karte karte kashish bed se takra jati hai aur bed par girti hai... aur sujal bhi uske upar girta hai... kashish hairaan reh jati hai... ki sujal ko kya ho gaya hai...) bolo kashish jab main kya (sujal ne kashish ko uske bare waist se pakda hua hai... aaj pehli baar kashish sujal ki aankhon me intensity aur pasiion dekh rahi thi... aaj pehli baar sujal uske itane kareeb tha... uske to sabd nahi nikal rahe they...)
i dont think so tum bol paogi chalo main kar hi deta hun...

sujal presses his lips on hers and starts kissing her... firstly kashish is taken a back with sunnden action of sujal...but then she surrenders and responding him with same passion & intensity... they both were in hevean of pleasure... they both were exploring eachother lips... sujal's hands were running through her bare waist & kashish was running her hands through his hair... after about 10 minuts they both aparts, to breath...sujal looks at kashish who is breathing haveily with closed eyes... sujal goes near her ears...

sujal:- I LOVE U kashish...

kashish opens her eyes...now sujal gets up from her...kashish is still lying on the bed with amussed expression...sujal smiles and looks at the mirror...sets him properly aur left down staires closing door behind him...sujal knows very well...that kashish needs some time to register in her mind that what has happened some minutes ago and what she heard was true aur she was not day dreaming...when sujal left kashish gets up from the bed...goes infornt of mirror...and then she touches her lips with her hands...and closes her eyes...she can feel sujals lips on hers...then she touches her ears and she can feel sujal's voice:- I LOVE U kashish...now she is happyly crying with closed eyes...aaj uska barso ka intezaar khatam ho gaya tha...tabhi kripa aati hai... aur kashish ko aise dekh kar shocked reh jati hai...wo turant door lock kar deti hai aur kashish k paas jati hai...

kripa:- kashish kya hua...tu ro kyun rahi hai...(aur kashish kripa ko hug kar leti hai aur roe ja rahi hai...) bol kya hua hai...

kashish:- di sujal...sujal praposed me di...( kripa use apne se dur karti hai )

kripa:- sachhh ( she nods in yes ) kab...kaise? i mean ( kripa is very happy for her little sister )

kashish:- abhi kareeb 10 minute pehle...

kripa:- tabhi woh neeche khush tha...oh kashish i m so happy for you...tera pyar jeet gaya kashish...aur tune kya kaha use ?... ( kashish ka chehra utar jata hai )

kashish:- maine to kuchh bhi nahi kaha...

kripa:- kyaaa? tu pagal hai kya...wo tujhey i love u bol raha tha aur tune jawab tak nahi diya...

kashish ( embarresed ab kya batati ki wo kyun kuchh nahi keh payii ):- a...wo di mujhe time laga samajhne me ki wo kya keh kar chale gaye...unhone wait bhi nahi kiya aur chale gaye...par aap chinta mat karo unhe pata hai ki main unse bahut pyar karti hun...aur aaj rat ko main unhe unka jawab de dungi...

kripa:- hmmm de hi dena...warna...ab chal jaldi se taiyaar hokar neeche aa...

kripa neeche chali jati hai aur kashish sujal ki di hui saree aur jwellery pehen kar taiyar hokar neeche aati hai... sujal use dekhta hi reh jata hai...aisa nahi tha ki sujal ne kabhi kashish ko aise taiyyar nahi dekha tha...par aaj wo apne PYAR ko apne diye hue tohfe me dekh raha tha...uska mann kar raha tha ki abhi kashish ko apne seene se laga le par abhi sahi waqt nahi tha...isliye wo bas dekh kar kaam chala raha tha...tabhi angad uske kareebjata hai aur uske kaan me kehta hai...

angad:- abe aise akhein fad fad kar use dekhega to sab samjhe ki tu apni biwi ko nahi balki padosan ko dekh raha hai...aur wo bhi pehli baar...jitana dekhna hai...use raat ko dekh liyo...ab bakiyon ko bhi dekh ley jaise hum... ( sujal angad k pair par zor se laat mar ke wahan se chala jata hai... jo kripa aur kashish dono hi dekkhte hai... aur has padte hai...)

sujal ja kar kuchh guests se baat karne lagta hai... tabhi angad kashish ke pass jata hai jo kripa se baat kar rahi hoti hai... aur kuchh sweets bhi sahi kar rahi thi...

angad:- kashish... yeh sujal ko kya hua hai... tumne uske sath kiya kya hai?. ( kashish & kripa both looks at angad with shocking expression )

kripa:- angad...aap pagal to nahi ho gaye na... yeh koi puchhne wala sawal hai? ( angad ko samajh aya ki yeh do no kya samajh rahi hai)

angad:- are nahi nahi... actually bat yeh ki jabse kashish tumhare sath shimla aayi hai... sujal ajeeb behave kar raha hai... uska kaam me mann hi nahi lagta tha... workoholic sujal garewal ka kam me mann nahi lag raha tha... aur yahan aane ke liye akki se jyada utavla tha... aur aaj kashish ko aise dekh raha tha... jaise pehli baar dekh raha ho... sujal bhi ajeeb hai...

rishi :- angad bhaiya yahan aayiye...

angad:- ha ha aaya... ( & angad left )

kripa:- iska matalab... jab tum sujal se dur yahan aa gayi tab sujal ko yeh ehsaas hua ki wo tumse pyar karta hai... theek usi trarah jab sujal yahan se mumabai chala gaya tha tab tumhe ehsaash hua tha ki tum sujal ko kitana chahti ho... kabhi - kabhi... pyar me duriyaan bhi jaruri hoti hai... hai na...

kashish ( looking at sujal ):- haan di... aap bilkul sahi keh rahi hai...

aur yahan dusri taraf abhinav lagatar priya ko irritate kar raha hai... abhinav priya ko pasand karne bhi laga hai... par abhi use lagta hai ki yeh sirf attraction hai...kyuki usne to sirf kashish ko chaha tha... abhinav kashish aur sujal ki sadi k time hi priya ko jaan paya... phir yeh dono 2-3 baar alag alag jagah mile bhi hai... kabhi kabhi priya abhinav se bahut jyada irritate ho jati hai... to kabhi kabhi use abhi ki company bahut pasand aati hai... aur phir thodi der bad akki aur charu ki engagement ho jati hai aur sabhi bahut khush hai... kal kashish ka janamdin hai isliye sabhi shimla me hi hai... sabne kashish se puchha wo kya chahti hai... to usne kaha ki wo subah church jayegi... aur baki ka din bas apne pariwaar aur apno ke sath hi rehna chahti hai... wo koi party nahi karna chahti...aur sab maan bhi jate hai... ab sabhi apne kamre me chale gaye hai... kashish bhi neeche ka kaam nipta kar apne room me jati hai aur door lock kar deti hai...aur wash room ki taraf jane lagti hai... tabhi dekhti hai ki sujal khidki k pass khada chand ko dekh raha hai... kashish k chehre pe smile aa jati hai aur wo sujal k kareeb jati hai...

kashish:- sujal aap aise kyu khade hai... kya hua...?( kashish is standing and gazing at the floor )

sujal(turns towards her with tears ):- i m sorry kashish... ( kashish loked at sujal with confused expression and sujal frwrds and huggs her...)

kashish:- sujal ye aapko kya...

sujal( in hugging possition ):- kyun kashish... kyun nahi bataya mujhey ki tum itana pyar karti ho mujhse... kyun chhipaya... ki tum mujhsey bachapan se chahti ho ( kashish is shocked... sujal seperates... sujal jata hai aur kashsih ki dairy nikal kar lata hai aur kashish k hanth me rakhta hai...) ye sab kya hai... ha?... kashish koi kisi se itana pya kaise kar sakta hai... ( kashish is crying...) ab aanshu bahana band karo aur batao mujhey kyun... kyun meri wajah se apni zindagi barbaad kar rahi thi ha... are maine to kabhi sapne me bhi kisi ke sath bura karne ka nahi socha... aur anjaane tumhara hi sabse jyada bura kar raha tha... ( kashish nods in no... and sujal has tears ) tumhara hi dil dukha gaya...

kashish(with tears):- nahi sujal aisa mat kahiye... plzzz... aap kabhi bhi mere gam ki wajah ho hi nahi sakte... aap mera to kya...aap kisi ka bhi bura soch hi nahi sakte... sujal ha ye sach hai... ki maine aapko bahut chaha hai... aaj bhi utana hi chahati hun... yahan tak ki yeh sach bhi meri chahat ko kam nahi kar paya ki aap mujhey nahi... aarohi ko chahte hai... aap hi ne kaha tha na sujal... ki pyar sharto par nahin kiya jata... sach kaha tha... kyuki maine bhi aapse pyar bina kisi shart ke... bina kisi ummed k kiya hai wo bhi bachapan se... sach maniye sujal mera bas chalta to main kabhi aapse pyar nahi karti (smiles )... par kya kru mera bas hi to nahi chalta... main chah kar bhi apne aap ko aap se pyar karne se nahi rok pati... dewangi ki hadd se jyada chaha hai aapko( sujal closed his eyes with satisfaction ) sabse jyada chaha hai... ha maine chhipaya kyuki main nahin jaanti thi ki aap mere baare me kya sochte hai... aur jab batana chaha... batane ka waqt aaya to pata chala...ki jis sujal k naam se meri saanshein chalti hai... usi sujal ki zindagi me mera hona ya na hona sab ek barabar hai... wo mujhse nahi aarohi ko chahte hai... ( sujal who was looking at floor... looks at kashish ) juth nahin bolungi sujal us mujhey aarohi se nafarat ho rahi thi kyuki aap mushse nahin usse pyar karte hai... main yahi sochti thi ki aakhir aarohi me aisa kya tha jo aap usse itana pyar karte hai... aur mujhmey aisi kya kami hai... jo main aapke dil me jagah hi nahi bana saki... phir mujhey yeh ehsaas hua ( wiping her tears )... ki to kya hua aap mujhse pyar nahi karte ... main to karti hun na... aur jab tak yeh saansein chalengi... sujal se pyar karna yeh kashish kabhi nahi chhod sakti...kyuki yeh uske bas me hi nahi... aur phir humari saadi ho gayi... mujhey pata hai sujal aapke liye yeh sadi sirf ek samjhauta hai... par mere liye... meri puri zindagi... kyuki... kam se kam mera naam to aapse juda hai... kam se kam main aapko dekh to sakti hun... aap mere sath to hai... ( sujal wants to say something but stops) aur mere liye yeh kafi hai... mana... ki is janam me aap mujhsey pyar nahi karte apar agle janam me... aapke pyar pe sirf kashish ka haq hoga aur kisi ka nahin... aur main us pal ka intezaar karungi... jab sujal par aur sujal k pyar par... sirf kashish ka haq hoga... sirf kashish ka... ( kashish turns to go... when sujal holds her hand and she stops and closed her eyes... sujal faces her back... sujal and kashish both has tears )

sujal:- aur agar khud sujal tumse yeh kahe... ki aaj se... abhi se... is pal se... is janam me to kya... balki aane wale har ek janam me sujal par sirf aur sirf kashish ka hi haq hai... (kashish open her eyes with not believing expression ) sujal k pyar par sirf kashish ka haq hai... ( kashish turns... and sujal holds her by her soulders ) ha kashish yeh sach hai ki tum mera pehla pyar nahin ho... aur yeh bhi sach hai... ki main aarohi ko kabhi nahin bhul sakta... aur tum aarohi ki jagah kabhi nahi le sakti... wo isliye kyuki tumne apni alag jagah banayi hai... (kashish closed her eyes with satisfaction ) tumne kabhi bhi mujhse koi umeed kiye bina... bina kisi shart k pyar kiya hai... tumne kabhi bhi mujhse kuchh nahi manga, sirf diya hai... kabhi bhi aarohi ki jagah lene ki kosis nahi ki... humesha diya... janti ho kashish... pyar kya hota hai... yeh maine aarohi se shikha hai... aur pyar ko nibhaya kaise jata hai yeh maine tumse sikha hai... kashish main nahi janta ki kab... kaise... tum mere liye dost se jyada bann gayi... main tumhe chahne laga...( kashish smiles a bit ) aur ab main apni zindagi ka 1 pal bhi tumhare bina nahi soch sakta... aaj main tumse kehta hoon kashish i love u... i love u alot... ( kashish hugs him very tight...and sujal also responds her with same force & passion and both closed thier eyes... both want to live this moment ) kashish... aaj main tumse puchhta hun... ki kya tum meri ardhangini banogi...? kya tum mera hanth umra bhar tham k rakhogi...? kya tum mere sath meri khushiyann... mere aanshun... meri hasi batogi...?

kashish ( with smile, tears and still hugging him ):- ha sujal... ha... main har pal aapke sath hun... kyuki main aapse bahut pyar karti hun... nahin jii sakti main aapke bina sujal... i love u sujal... i love u very muchhh

sujal:- i love u too... ( kashish seperates him )

kashish:- phir se kahiye... mujhey abhi bhi apni kismat par yakeen nahin hai...

sujal(smiles and wiping her tears):- i love u...

kashish( smiles widely):- 1 baar kashish k sath kahiye... ( sujal smiles and just gives a small peck on her lips... her lips curved into a small smile )

sujal:- i love u KASHISH... i love u KASHISH... i love u KASHISH... ( kashish hugs him and both are stanging at the window side for long time...then after some time sujal picks her up in his arms and take her to the bed... both are lying on the bed sujal is looking at the ceiling... and kashish has her head on his soulder... both are qiut for some time...)

kashish:- sujal... mujhey abhi bhi yakeen nahiin ho raha ki yeh sach hai... ( looks at her)

sujal( kissed her on her fore head... she closed her eyes):- yeh sach hai kashish... tumne ise sach kiya hai...

kashish:- sujal aapko meri dairy kahan mili aur aapne kyun padhi its a bad manners ( she gets up and muh fula kar baith jati hai...)

sujal:- oh to ab mera itana bhi haq nahin... ( also getting up...) mujhey to laga tha ki tumhari har 1 cheez pe mera haq hai... par tum hnnn... chal beta sujal yahan kisi ko teri value nahi (sujal uth kar jane lagta hai kashish holds his hands with guilty expression sujal looks at his hand then kashish with fake anger)

kashish( v cutely):- ab maine aisa to nahin kaha na... sorry... kashish ki koi cheez to kya... puri ki puri kashish par aapka haq hai... (sujal bahut tezi se apna hanth chhuda kar kashish k kareeb jata hai aur use uske balo se tezi se pakad leta hai... kashish hairaan ho jati hai...)

sujal( with passion in his eyes):- kashish ki kisi bhi cheez par kisi ka bhi haq ho... mujhey koi farq nahi padta ... par kashish pe sirf aur sirf SUJAL ka haq hai... sirf SUJAL ka... ( kashish has small smile...) kyuki sujal ne batana nahin seekha... aur apna pyar to kabhi nahin... ( sujal looks at her lips and then kissed her very hard... she is also responding with the same passion and intensity... both are involved in the kiss deeply... when clock indicates that its 12 am... sujal seperates... kashish has closed eyes but smile on her face...) happy birthday kashish... ( kashish smiles widen... kyuki aaj uske janamdin par use is puri kayanaat ka sabse haseena uar anmol tohfa jo mila hai... aaj use uska sujal mil gaya hai... sujal ka pyar mila hai... aur use kya chahiye... ( kashish opens her eyes ) yeh kya thanks nahi kahogi...( she hugs him again)

kashish;- thankyou sujal... aaj meri zindagi ka sabse bada din hai... aur aaj apne mujhey mera pyar dediya... isse bada tohfa mere liye kya ho sakta hai... ( sujal smiles) thanks alot... (sujal separets her and wipes her tears )

sujal( bed par baithte hue):- achha ab batao... tumhe kya tohfa chahiye... wo kya hai na ki mere pass kuchh nahi hai... mujhey yaad hi nahin tha ki aaj tumhara birthday hai... par tum jo bologi main tumhe dunga...

kashish( places her head on his soulder):- mujhey aap mil gaye ... ab mujhey kuchh nahin chahiye...par ha agar kuchh dena hi chahte hai to... zindagi bhar aur zindagi k us taraf bhi sath dene ka wada de dijiye...

sujal:- wada kashish... wada...

kashish:- sujal kal main chahti hun... ki aap bhi mere sath church chalen... chaleinge? (sujal nods in yes tabhi sujal ki nazar us cupborad me jati hai...)

sujal:- kashish... maine to tumhe tumhara tohfa de diya na...?(kashish nods in yes ) to ab mere tohfe kab dogi...? ( kashish looks at sujal woth confused expression )

then sujal bahut pyar se kashish k chehre ko chhuta hai aur uska face cupboard ki taraf turn karta hai... kashish sab samajh jati hai...

kashish :- aap isaki baat kar rahe they...?

sujal:- haan... ab tumhi ne to likha tha... ki mere liye... lekar rakhe hai... to do na... dikhao to kya hai...

kashish bed se uthati hai... side table se keys nikal kar cupborad ki taraf jati hai... sujal bhi uske pas jata hai... kashish door kholti hai... aur sujal use dekh kar hairaan reh jata hai... kyuki cupborad upar se neeche tak gifts se bhara hota hai... sujal ko to apni aankhon par yakeen hi nahi ho raha tha... wo kashish ki taraf dekhta hai...

kashish:- aise kya dekh rahe hai...

sujal(with open mouth ):- kashish itane saare... puri dukaan khareed li thi kya... kisi ne kuchh kaha nahi...

kashish:- are yeh sab 1 din k thodi na hai... sab bachapan se kharidate aa rahi hun... iname se kuchh aapke birthday k... kuchh valentines day k... kuchh rose day, hug day, kiss day, frndships day, promise day...sabke hai... ab aap baithiye... main 1 - 1 kark nikal k deti hun... phir ap dekhiye ga...

then kashish sare gifts nikalti hai... aur sujal bahut hi exitment k sath gifts khol raha hai... kuchh ko dekh kar use kashish par pyar aa raha hai... to kuchh ko dekh kar kashish pe hasi... kisi me uski pasand ki pencil aur rabar ka set hai... to kisi me cricket kit... kisi me uske liye bahut pyara bachho wala dress hai... to kisi me book... kisi me uske liye jacket hai... to kisi me tie... to kisi me watch... sujal ko sab bahut pasand aaya kyuki yeh sab kashish bachapan se aur bahut pyar se uske liye kharidate aa rahi hai... yahan tak ki wo pencil aur eraser ka kit dekh kar aise khush ho raha hai... mano kisi ne use bahut keemati cheez di ho... aur cards... kareeb 100 se jyada cards hai... sujal sabhi cards bhi padta hai... kashish bhi bade pyar se sujal ko dekh rahi thi... kyuki aaj use 1 alag hi sujal nazar aa raha tha... wo sujal jise kashish ne pyar kiya hai... wo sujal jiski kalpana bachpan se hi kashish karti aayi hai... wo sujal jo aaj se sirf uska hai...ab kareeb rat k 3 baj rahe hai... aur sujal sabhi gifts aur cards ko 1 bag me sambhal kar rakhta hai ... wo kashish k pass jata hai... aur use fore head par kiss karta hai kashish use gale laga leti hai... koi kuchh bhi nahi bolta hai... par dono k hi chehro se nazar aa raha hai ki dono kitane khush hai...aur dono aise hi ek dusre ki bahon me so jaate hai...

ab agle din kashish jab uthati hai to khud ko sujal ki baahon me pati hai... use kal raat jo hua sab yad aata hai aur uske chhre pe ek pyari si smile aa jati hai... phir kashish taiyaar hokar neeche jati hai aur sab ka ashirwaad leti hai... aur sabhi use wish bhi karte hai... kripa kuchh ajeeb sa dekhti hai... to kashish se puchhti hai ki kya baat hai...to kahsish use sab bata deti hai ki kal raat kya hua uske aur sujal k beech... kripa apni behen k liye b ahut khush hai ki finaly kashish ko uska pyar mil gaya... aur in dono ki baat angad sunn leta hai aur jakar priya ko batata hai...dono hi sujal k liye bahut khush hai... thodi der baad sujal ki neend khulti hai... aur wo khud ko bed pe pata hai... pehle to wo hairaan ho jata hai... phir use kal ki sabhi batein yaad aati hai... aur wo apne aap ko bahut khuskismat samajhata hai ki koi use itana chahta hai... phir sujal neeche jata hai ... sabhi breakfast karte hai aur thodi der baad kashish sujal ko lekar church jati hai... sujal is church me bachpan me aa chuka hai... par waqt k sath is church ki khubsurati aur bhi badh gayi hai... kashish aur sujal dono hi jesus k samne apne hanth fold kark khade hai...

Sujal in his mind :- hey bhagwaan ji... meri wajah se kashish ne bahut dard saha hai... ab bas mujhey itani himmat aur takat dena ki main kashish k har aanshun ko hasi me badal saku... aur uske har sapne ko pura kar sakun... aur mere sabhi apno k honthon par muskurahat ho... sabhi khush aur sahi salamat rahe...

kashish:- hey bhagwaan... sab sahi kehte hai... tere ghar der hai andher nahi... maine sujal ko kho hi diya tha... par aaj... aaj mujhey sujal mil gaye... unka pyar mil gaya... ab mujhey kuchh nahi chaiye... sirf mere sujal ko khush aur salamat rakhna aur wo jo mange unhe de dena... mujhey sada suhagan rakhna... (dono hi apni ankh kholte hai aur ek dusre ko dekh k musukurate hai...)

sujal:- kya manga...

kashish:- nahi main nahin bata sakt... kyuki agar jo bhagwaan se manga jaye wo kisi ko bata de to wish puri nahi hoti...

sujal:- are aisa kuchh nahi hota yar...main aur koi dusra thodi na hun...batao na...( tabhi father aate hai...)

kashish:- father... gm father...

father:- gm kashish and very happy birthday my child...may god bless u...

kashish:- thankyou father... aur father aapko yad tha ki aaj meri salgirah hai...

father :- ofcourse my child akhir bachapan se tum yahan aati ho... aur apne har janamdin par bhi apne liye kabhi bhi kuchh nahi manga tumne...(tabhi father ki nazar sujal par padati hai... jo unhe bahut hi sammanit nazaro se dekh raha tha...)...my child tum sujal hi ho na...?( sujal hairaan hokar unhe dekhta hai...)

sujal:- ji father... par aapko kaise pata...?

father:- mana ki hum pehle nahi mile... par kashish ki duaao me tumhe dekha hai maine... kashish ki har baat me mila hun tumse ( sujal looks at kashish...and she smiles) sujal tum bahut kismat wale ho... kashish tumse bahut pyar karti hai... humesha iska khyala rakhna... maine jab bhi ise dekha hai... tumhare bare me sochte dekha hai... jab bhi isne khuch manga hai god se to sirf apne sujal ki khushi... jab bhi iske honthon pe hasi aayi to sujal k naam se( sujal has tears ) jab bhi yeh royi... to sirf sujal k liye... pyar to sabhi karte hai... par kashish... kashish to sujal ko pujati hai... humesha iska khayal rakhna... ise khush rakhna... ( sujal looks at kashish and holds her hand)

sujal:- father i know... maine kashish ko sdamajhane me deri kardi hai... par ab main... kashish aur kashish k pyar dono ko hi samajh chuka hun... aur ab main bhi kashish se bahut pyar karta hun... aur main aapse aur bahgwan se wada karta hun ki jab tak jiunga... kashish ki aankhon me aanshun na aaye is baat ki puri kosis karunga... kosis karunga ki kashish ko humesha khush rakh saku... kashish jitana mujhey chahti hai,... sayad utana pyar to main use kabhi na kar paaun... par apni taraf se kashish k sath puri wafa karunga... aur mujhey aapka aashirwaad chahiye... aur sujal father k pair chhuta hai...

father:-kashish... aaj samajh me aaya ki tum kyun ise itana chahti ho... kyuki sujal hai hi aisa ( kashish smiles) tumne bilkul sahi kaha tha jis din main tumhare sujal se milunga... mujhey samajh aa jayega... ki sujal kya hai... mujhey tumahre sujal aur tumhare pyar pe naaz hai... main god se pray karunga ki we tum dono ko humesha sath rakhe... tum dono ki zindagi khusiyon se bhar de... ab main chalta hun... i have some important work... bye my childrens god bless u... ( father left )

sujal :- kashish yahan k father tak ko yeh pata hai... ki tum mujhsey pyar karti ho... sivay mere sabko pata tha (kashish smile)

kashish:- ha... kyuki main apna adha waqt to apki yad me bitatai thi... aur adha yahan church me god se ya jesus se apki bat kark bitati thi isliye... ( kashish smile ) aur maine na father se wada kiya tha ki main apne sujal ko unse jarur milaungi...

sujal :- oh to pehle kyun nahi bataya... hum pehle hi sath me aate yahan...

kashish:- sujal... maine kya kaha... apne sujal ko... aur maine apna sujal kal hi to paya hai... itane din to main sirf apne dost k sath thi... apne pyar k sath nahi... ( sujal smiles and hugs her)

hmmm...hmmm.hmmm...hmmm
aate aate... aa gaye hummm...
jate jate... le gaye tum sanamm...
( kashish aur sujal dono church k bahar ate hai aur ek dusre ko dekh rahe hai...)

meri neendein... mere saare...sapane...
le chalo tum mujhko bhi... sath apne...
tum maan to... tumko kasam...
( sujal jakar gadi ka darwaja kholta hai aur kashish use dekhte hue... gadi me baith jati hai...)

aate aate... aa gaye hummm...
jate jate... le gaye tum sanamm...
( sujal gadi drive kar raha hai uska dhyan road pe kam aur kashish pe jyada hai...)
...
chahe dil manglo... chahe jaan manglo...
(kashish window se bahar dekh rahi hai aur mushkura rahi hai )

chahe dil manglo... chahe jaan manglo...
na ji.. na naji...na haji..ha manglo...
aaj tum humse... sara jahan manglo...
( kashish chori chori sujal ko kabhi dekhti hai to kabhi car k bahar)
aate aate... aa gaye hummm...
jate jate... le gaye tum sanamm...
( sujal 1 mall k bahar gadi rokta hai aur dono hanth pakad kar mall me jate hai..)
...
pass itane hai... aata nahin kuchh nazar...
( kashish pane liye saree kharid rahi hai aur sujal usko dekhe ja raha hai)
pass itane hai... aata nahin kuchh nazar...
humko apni khabar ... na kisi ki khabar...
dhundh lena humein... kho gaye hum agar...
( kashish sujal se puchh rahi hai ki konsi dress uspe achhi lag rahi hai par sujal sabhi pe hmm keh raha hai... jabki uska pura dhyan sirf kashish pe hai...)

aate aate... aa gaye hummm...
jate jate... le gaye tum sanamm...
( kashish sujal ko dekhti hai aur sharm k mare uske gale lag jati hai... wahan khade sabhi log taliyan bahja rahein hai..)

meri neendein... mere saare...sapane...
( sujal kashish ko apne aap se dur karta hai aur uske fore head par kiss karta hai..)

le chalo tum mujhko... sath apne...
( kashish fir se use gale laga leti hai... use hose hi nahi hai ki woh mall me hai...)

tum na maan to... tumko kasam...
( sujal kashish ko unhi utha kar gadi me le aat hai aur sab unhe dekh kar has rahe hai)
movie:- chori chori

sujal:- oh know kashish... dekho tumhare chakkar me main tumhare kapde to wahin bhul aaya tum yahin baitho main... abhi lekar aaya ( kashish nods... aur sujal daud kar andar jata hai aur sarees ki payament karta hai aur unhe lekar bahar aa raha hota hai ki use ek bahut hi khubsurat har dikhta hai jo daimond platinum ka hai... aur bahut hi achha lag raha hai... sujal us jwellery shop k andar jata hai...) excuseme... yeh neckless pack kar dijiye...

sales man..:- ok sir... waise maanna padega sir,,, greart choice...

sujal thinking abt kashish:- hmmm... greatest choice... ( then sujal pays and goes towards kashish)

dono hi bahar lunch karte hai aur phir ghar jate hai... kashish bahut khush hokar sabko apni shopping dikhati hai... aur yunhi puri sham sab sath me haste khelte guzar dete hai... aur agli subah sabhi wapas mumbai aa gaye hai... thodi der baad unhe pata chalta hai ki anjali hospital me hai... sabhi gabra jate hai aur anjali ke pass jate hai... tab kavya batata hai ki anjali ki delivery kisi bhi waqt ho sakti hai... yunhi adha din beet jata hai aur sham k waqt anjali ek bahut hi pyari si beti ko janm deti hai... jise sabhi milte hai aur mehek uska naam suhana rakhti hai... sabhi bahut khush hai kavya aur anjali ke liye... do din beet jate hai aur anjali suhana k sath ghar garewal house aati hai... kyuki parso karwa chaowth hai aur prerna chahti hai ki anjali apna karwa chaowth yahin uske ghar me manaye aur kavya aur mehek bhi yahin hai... prerna phone kark charu ko bhi mimbai bulati hai aur ab charu bhi kal aa jayegi... sujal aur kashish apne kamre me hai... dono hi ek dusre ki bahon me lete hue hai... aur sujal kuchh soch raha hai...

kashish:- sujal...

sujal:- hmmm...

kashish:- kya soch rahein hai...?

sujal:- di k bare me... aaj di kitani khush thi na... aur jiju... unke chehre se to smile jane ka naam hi nahin le rahi thi... i m so happy for them... suhana k aane k baad unki family puri ho gayi na...

kashish:- ha... sujal... aap jante... ek aurat tabhi puri hoti hai... jab wo maa banti hai... aur aap dekhiye kuchh dino baad kripa di bhi ma bann jayegi... kripa di aur angad jiju ki zindagi bhi khusiyon se bhar jayegi... main sabhi k liye bahut khush hun... ( sujal kashish ko dekh raha hai... jiske chahre par ek azeeb si chamak hai...)

sujal:- ha kashish... sabki zindagi me sirf khusiyaan hongi... ( he kissed her forehead and both sleep in each other arms)

tabhi humari nazar... chhatrapati shivaji, airport, mumabi par padti hai... jahan abhi abhi... london ki flight land hui hai... wahan se ek 29-30 saal ka aadmi aa raha hai... usne grey colour ka suit pehna hai... ankhon me power wale glasses hai... aur chehre pe ek wicked smile hai... tabhi camera uske shoes se hota hua uske chehre pe jata hai... he is non other than...piyush raheja...

piyush...:- i m back... welcome to INDIA piyush... aaj se tera naya safar suru hota hai... jisme jeet sirf aur sirf teri hogi... aur haar... har hogi sirf SUJAL GAREWAL ki... sujal tumhara sabse bada dushman ab aa chuka hai tumhari zindagi barbaad karne... be ready... kyuki ab main tumse tumahri har ek khushi ko cheen lunga... wo sab jo tumne mujhey cheena hai... and u know what the best thing is... ki tumhe pata hi nahin hoga ki tumhara asli dushman hai kaun...( piyush laughs and left towards his hotel)...

end of part 16
plzzz do comment...
with love chandni...
**********************************************************
**********************************************************
Edited by rkchandni - 10 years ago
RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
nice part
sujal ko pta chal gaya ki kashish usse bachpan se pyaar karti h
or ab usne bhi apna love confess kr liya
so cute kashish ne kitne cute se gifts sujal ke liye liye h
gifts dekh kr toh sujal ko kashish se or bhi jada pyaar ho gaya
ab kahani ne ek naya twist aa raha h piyush ki enty ho rhi h
ab ye kya problem laye gay kashish or sujal ke life me
thanks for pm
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
wowww great part feeling like dancing 👏 maza aagaya sujal ko pta chal gaya k kashsish use kitna pyar krti hai or us ne kashish ko keh bhi dya naughty sujal cupboard me kya hai??😛 first kisss wowww aazing yar great part feeling so happy for kashish and sujal but ye end me kya krdya abhi to sb thik hua tha ab villan bhi aagaya 😭😭 piyush k bajaye tushar ko lati yar zyada maza aata😛 wese veryyy nice paart cont soon
Lavi_dovey thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
beautiful part.
now sujal knows everything.
and the gift part was really cute.
loved it.
thank u so.much for pm.

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

28 days ago

The Unending Dream OS [Completed]

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

29 days ago

Moh-Maya ~ MayRa OS [Completed]

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".