***KHUSHBOO KI ZUBAN***LAST PARTpg-31 9/5 - Page 9

Created

Last reply

Replies

226

Views

55.5k

Users

24

Likes

1

Frequent Posters

Paru6 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#81

Originally posted by: cool_SK



or kashish usay aunty iss liye bulati hai k she want to make her jeolous 😆

lol
ana

aunty right name😆😆 ana now cont soon

..oneOone.. thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 19 years ago
#82
Part 9

Or phir main nay har cheez par nazar rakhni shuru ki……………………or iss aunty ki baatoon nay tau mujhay surprise kar diya……….sujal k samnay tau who bachoon pay bohut muhabbat lutatin theen………….likin sujal k jatay hi who bachoon ko bhula k apnay ghar chali jatain………………..or bachay………sara din ganday kapray pehnay phirtay rehtay
Ajab main nay khud ko sheeshay main dekha tau laga k uss k muqablay main main tau bilkul ghar main kaam karnay wali hi lagti hoon……………….mera simple kapray or bina make-up k kaun keh sakta hai k abhi kuch din pehlay meri shadi howi……………….
Main nay jaldi say kapray change kiye or halka sa make-up kia…..likin zyada make-up say khud hi ruk gayee……..kyoun k iss k baad main apnay app ko dekh kar hi ghabra jati thi………..phir main nay halki si jewellary pehen li
"hello"………video game kheltay howay mujhay dekh kar bachay bhi khairan reh gaye
"app kaun hain"……….sunny video game choor kar meri taraf ayee
"main app ki mummy hoon"……….main nay bed par beth kar unh ki school ki copies check karnay lagi
"kia uss raat wali"……………..doosra bacha bhi khairan tha
"kia raat ko mask charha kar app hamaray saath khel rahin theen"…….sunny meray pass aa chukka tha………likin phir bhi careful ho kar door kharay thay……….main khud ba kud muskura dii……………….bhagwan poochay us beauty-parlour wali ko……………kia make-up kia tha…………….movie tau or bhi zabardast aye hogi
"jii beta………….. amain nay socha…….itnay din hogaye hain……………..patah nahin meray bachoon nay koi khel bhi kheka hoga yaan nahin."………..main nay pyar say kaha
"accha"…..doosray bachay ki baaton main daar tha……"likin aunty tau kehti hain k meri mother mar chukain hain………………….or jo marr jaa hai wapis nahin atta."……..phir app kaisay hamari mother hoo saktain hain………………………….or agar app hamari mother hotain tau app ko patah hota…………..k jab say app gain hain………….koi bhi hamaray saath nahin khelta…………..papa tau itnay busy hotay hain k hum say baat bhi mushkil say kartay hain"
baray bachay ki ankhoon main ansoo aa rahay thay………mera dil pigal gaya
"app ka naam kia hai beta"…………mujhay dekhiye…….main nay unh k naam bhi nahin janay thay
"agar app mother hain tau app ko tau patah ho ga na"…………who ziddi andaz main bola
"beta……baat yeh hai k …..jab app ki pehli mother chali gain….tau app log tanha ho gayee…………app ka koi khiyal na rakhta………app udaas rehnay lagay……….tai bhagwan nay mujhay kaha k jaoo……….abh tum inh ki mother hoo…………or mujhay yahan bhej diya"……………main nay aik stupid si bachoon wali kahani sunaiyee
"iss ka matlab app ko bhagwan nay bheja hai"………chota agay bharha or meray pass aa kar mujhy dekhnay laga………jaisay bhagwan nay identity k liye koi mark lagaya hoo
"sunny…………app ko patah nahin yeh hamari step mother hain………..abh yeh bat say hamain marain gain……..or ghar ki safai bhi karwain gain…" bharay bhachay dartay howay kaha
"bhagwan na karay"……….mera dil kanp gaya……….patah nahin sunny ka kia khal howa or aik dam pechay ho gaya…
"itni hi deer hain………aunty jaldi say kamray main enter howain ……………yeh aunty mujhay zaher lagti theen………….us nay bohut khoobsurat magar ajeeb sa dress pehna tha………..kabhi tau mujhay lagta k who iss ghar ki malkan or main kaam karnay wali hoon.
Kambhakth aisay aisay kapray pehen k sujal k samnay atti thi k saans rukk rukk jati thi…………………or khud pata nahin who kaisay saans leti thi……………..mera tau aksar dil karta k isay kuch kapra gift doon…….taa k iss k pass kaproon ki kammi na hoo………….atay hi iss nay ghar ka control sambhal liya…………………..or main peechay reh gayee

abh agay agay dekhoo hota hai kia............kia kas iss aunty ko peechay chor paye gii

lol
ana
purishivani thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 19 years ago
#83
Great Job
I loved the part when you said that "kabhi to lagta hain ki mein use kapre gift kar dun taki iske pas kapro ki kami na ho."
That was very funny 😆
..oneOone.. thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 19 years ago
#84
thanx purishivani
thats ur love 4 sk that u like my story
hope k main agla part jald hi likhoon gi

lol
ana
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 19 years ago
#85

ana zabardast...jaise jaise tumhari story aage badthi ja rahi hain story line badi hi dilchasp hothi ja rahi hain... 👏
plz koshish karna ki agli part jaldi likhdo.. 😃 😊

aur haan thanku for naina's description.........😊

Edited by sun_423 - 19 years ago
KulBin thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 19 years ago
#86
hey ana gr8 gng... 👏 👏
at least ek baar toh ab kash ko aage dikhao uss aunty se... 😉
plz cont soon... 😊
..oneOone.. thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 19 years ago
#87
Part 10

sujal ayye tau usay dekh kar khush ho gaye..............main tau shayad unhain nazar bhi nahin ayee thi
dinning table pay aunty hamesha sujal k kareeb bethti theen...............likin aj main nay jaldi say wahan par kabza kar liya.................aunty meri iss jald bazi pay pareeshan or sujal khairan thay.......likin phir woh iss baat ko bhool gaye likin unh kay forehead pay kai bal(tension main jo forehead pay wrinkles say partay hain) par gaye...........
"mujhay nahin patah tha k app itni jaldi apnay sautelay pan pay aa jain gii".................unhon nay cold voice main kaha
"kia matlab"............mujhay kuch samjh main na aaya
"app din bhar free hoti hain.............kam say kam bachoon k kapray hi change kar diya karain.............patah hai kitna din say woh school nahin gaye................aj agar Principal ka phone na atta tau mujhay tau pata hi na chalta"........main chup rahi........yeh meri hi galti thi
"bachay sara waqt aunty k saath hotay hain......meray pass tau attay hi nahin".................main nay unhain explain kia.......likin aunty nay meri baat poori na honay dii....
"main tumhari aunty nahin hoon....................umar main tau main tum say choti hi hoon gii"...............bohut proud tareeqay say kaha
"choti tau nahin...............haan jhooti zaroor hain"...................main nay dil main socha likin chup rahi..................kyoun k sujal mujhay hi dekh rahay thay........or main sab k samnay apni or izzat nahin karwana chahti thi
"hayee..........sameera kitna khayal rakhti thi bachoon ka.................... inh ko dekh kar tau meray dil kannap jata hai............mera tau dil hi nahin karta k inhain yahan chor kay jaoon.............janay sauteli maa kia kia zulam karti hogi............main chali tau jati hoon.............likin mera dil idher hi laga rehta hai..........din main kaiiee bar phone karti hoon"............zabardast acting jari thi
sujal nay gussay main plate zameen par phenk dii...................."main nay mama say pehlay hi kaha tha......k mujhay aisii shadi nahin karni jiss main meray bachoon ka khal pehlay say bhi zayada kharab hoo...........naina agar app na hotain tau patah nahin meray bachoon ka kia khal hota"
woh gussay main khana chor kar chalay gayee......................aunty muskurati nazroon say mujhay dekh rahi theen............or sameer mujhay dekh raha tha........................uska khayal tha k papa ka gussa main us pay nikaloon gii kyoun k unh hi ki wajha say mujhay dantt pari thi..............likin main nay inh say kuch na kaha.............main unhain khona nahin chahti thi
or sach tau yehi hai k woh itnay ganday banay howay thay....................kia agar main unh ki real mama hoti tau kia unhain itna ganda phirnay deti................kia unhain gussa rehnay deti...................unhain manati na..............patah nahin aunty nay unhain sara din kuch hanay ko bhi diya tha yaan nahin.
saari meri galti thi................maa unh ki main thi or khafa woh mujh say thay..............or main unh ki parwa kiye bina hi apnay gham main khoyee thi.........
sameer mujhay us ko iss tarhan dekhnay say daar gaya
"kia hai step mother............app aisay kyoun dekh rahi hain".....woh bola
"main dekh rahi hoon k meray bachay kitnay pyaray hain".......main aram say boli.............
"kia"............donon apnay kamray main bhaag gaye
"main kia karoon k tum loog maan jaoo"
aunty hamesha ki tarhan aag laga k ghar jaa chuki theen

lol
ana
PuIchritudinous thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 19 years ago
#88
👏 kareena kapoor ki watt laga di apne to 😉... nexty part bhi jald likhna!!!
rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#89
😆 😆 😆 ..woow ho...kareena kapoor....lolz....nice part.....continue soon ana! 👏 👏
..oneOone.. thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 19 years ago
#90
ONE OF THE NAINA'S CLOTHES PREVIEW



hahahahahahahahahahahaha

lol
ana

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

3 months ago

Aradhana & Reyaansh SS : Na Jaane Kyun (last chp + epilogue pg 3)

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

8 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".