Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 27
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 11, 2025 EDT
KIARA EXPOSED 11.9
🏏T20 Asia Cup 2025- BD vs HK 3rd Match, Group B, Abu Dhabi 🏏
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 12, 2025 EDT
HUM JEET GAYE 12.9
Is it just me or…
MAJOR REVAMP TIME FOR STAR PLUS
Bigg Boss 19 Daily Discussion Thread - 12th Sept 2025
Patrama Prem ~ A Gosham SS ~ Chapter 4 on pg 2
🏏T20 Asia Cup 2025- Pak vs Oman 4th Match, Group A, Dubai🏏
Anupamaa 12 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
The 71st National Film Awards are September 23 in Delhi
Part-4
The planning of treaty…
Next morning in Indian camp
CGM: Acharya!!!! Hum vijayi huye!!! Un yavano ko humne unki sahi jagah dikha hi di… Humari sena mein se shayad hi koi sainik mara hoga aur humne unhe samarpan karne par vivash kar diya… isse badhkar uplabdhi kisi ne kabhi bhi itihaas na paayi hogi…
Chanakya: Ye toh hona hi tha… Aaj un yavano se apni matribhumi ko bacha ke aap sahi maayne mein ban gaye hain……Samrat Chandragupta Maurya!!!
CGM: Ye kya acharya aap aaj mujhe ye "aap" keh kar sambodhit kyon kar rahe hain… Main aaj bhi wahin moorkh balan chandu hoon jisse har kadam par aapke margdarshan ki aavashyakta padti thi aur sada padti rahegi…
Chanakya: Tum se sadaiv isi shishtachaar ki asha rehti hai aur yahi asha hume tumhare putra se bhi hai parantu…..
CGM: Parantu kya Acharya??? Kya Bindusara se koi bhool huyi hai??? Agar aisa hai toh uski taraf se main aapse kshama maangta hun…
Chanakya: Yahi to tumhari bhool hai…. Tum uska apradh jaane bina hi meri kshama ki kamna kar rahe ho .. balki tumhe toh ye jaan ne ki ichcha honi chahiye ki bidusara ne kiya kya hai?? Taaki uski iss bhool ko sudhara jaa sake…
CGM: Toh bataaiye na Acharya iss baar usne kya kiya??
Chanakya: Maharani Kalyani ka patra aaya hai jisme unhone Bindusara ke uddand vyavahaar ke bare mein bataaya hai… vo kisiki bhi baat nahin suntan ….tumhare alaava!!!
CGM: Kshama kijiyega acharya parantu ek patra mujhe bhi aaya hai… bindu ka… jisme usne likha hai ki sab kuch thik hai aur haal hi mein huyi apni uddandta ke liye usne kalyani se kshama bhi maangi hai… ab aap hi bataaiye main kiski baat par vishwas karoon ??? apne putra ki ya phir dhanand ki putri ki???
Chanakya: Dhananand ki baat hi nahin aati hai yahaan!!! Tum bhool rahe ho shayad ki dhananand mar chukka hai, uski putri ab tumhari patni hai aur amatya rakshas mere diye huye magadh ke amatya bane rehne ke avsar ko thukrakar na jaane kahaan hain??? Aur waise bhi jab prashansa aur ninda ke beech chunaav karna ho toh sada….
CGM: … jaanta hun … sada ninda ko hi chun lena chahiye… isi mein humari bhalaai hoti hai… thik hai acharya agar aap kehte hain to main magadh chal kar bindu se is vishay mein aavashya baat karoonga… parantu usse pehle humein apne naye naye jeete huye rajya par dhyaan kendrit karna chahiye… [with a big smile and glitter in his eyes] tanik sochiye acharya hum bharat ki seema ko sirf akhand hi nahin bana rahe balki aage paschim mein bhi badha sakte hain….
Chanakya: Aisa karna moorkhta hogi chandragupta!!!
CGM: aisa kyon acharya???
Chanakya: Tumne abhi abhi bharat ki rajyon ko jeeta hai jisme se abhi ek mukhya rajya Kalinga reh gaya hai aur hum par akraman karne ki pratiksha kar raha hai… isiliye aavashyak hai pehle un rajyon ko sthir kiya jaaye… umeed hai tum sab kuch samajh rahe ho…
CGM: Ji acharya…. Lagta hai aap sahi keh rahein hai… Toh aage kya??? Sandhi ka prastav???
Chanakya: Bilkul!!! Sandhi ke prastav mein kya shartein rakhni hain ye to tumhe akele hi sochna padega!!! Ismein mujhse madad ki koi umeed mat rakhiyega….. Samrat!!!![smiles and leaves the camp]
CGM: Mere liye sandhi ki sharton se adhik mahatvapurna hain Bindusara… kash!! Durdhara aaj yahaan humare saath hoti… uske rehte Bindusara ko itna kashta na jhelna padta…. [then sitting on the nearby throne and talking to himself] Par main ab kar bhi kya sakta hoon??? Jo bhi kar sakta tha kiya.. har baar jab sandhi hetu vivaah kiya ye umeed rakhi ki unme se kisi ko toh Bindu apni maa ka sthan dega… parantu… Ishwar hi jaanta hai kab Bindu ko koi aisa milega jo use samajh sake… aur shayad mujhe bhi….
[then suddenly emerging out of his seat, he sat on the back of his horse and launched towards the thick vegetation to the banks of river Beas]
Meanwhile in Greek camp
[Cornelia enters the camp of her father]
Cornelia: Pitaji!!! Aap thik toh hain na??? paani peeyenge???
Seleucus: Paani???? Mujhe toh laga tha kit um aate ke saath hi kahogi ki " maine kaha tha na" …
Cornelia: Aur aapko aisa kyon lagta hai ki main kuch iss tarah ki baatein aapse boloongi???
Seleucus: Mujhe tumhari baat maan leni chahiye thi …. Helen!!…
Cornelia: Pitaji!!!![ with a smile on her face] Pata nahin kitne varsho baad aapne mujhe iss naam se bulaya hai… Yaad hai mujhe iss naam se aap mujhe mere bachpan mein bulaaya karte the… jabtak samrat Alexander ne mera naam "Cornelia" nahin rakha tha….
Seleucus : Alexander???? [then suddenly as if regaining his consciousness] Alex kahaan hai??? Woh thik toh hain na??
Cornelia: Ji Pitaji… Alex aur Antiochus dono hi thik hain…. Unki suraksha ke liye Omegas hai wahaan… Who sab chodiye aur meri baat dhyaan se suniye [kneeling on her knee on ground near Seleucus with her hands kept on Seleucus' hands] … jaisa ki aap jaante hain ki Cassender hum par aakraman karne ki yojna bana raha hai… Aur abhi ki sthiti mein jab bhaari varsha ke kaaran humare kayi sainak bimaar pade hain aur humari sena yudhdha haar chuki hai… iss baat ka laabh Cassender aavashya uthayega… isliye hume chahiye ki Bharat ki sena humein suraksha pradaan kare!!
Seleucus: Parantu bharat ki sena humein suraksha pradaan kyon karegi???
Cornelia: Sandhi ke liye!!! Wo log aavashya sandhi ka prastaav rakhenge!!!
Seleucus: par Helen!!! Tumhe aisa kyon lagta hai????
Cornelia: Unke bare mein puri jaankari hai mere paas jiske hisaab se agar unme thodi si bhi budhdhi hogi toh ve aavashya hi humse shaantipriya sandhi karenge!!!! Aur humari sena ke liye ye bahut mahatvapurna hai….. isiliye mera aapko yahi sujhav hoga ki unke dwaara sandhi mein rakhi huyi har shart ko aap maan lijiye!!!
[Seleucus tries to say something but before he could speak, Cornelia moves out of the camp. Outside she gets on the back of her horse and was about to ride when Omegas comes from back]
Omegas: Rajkumari! Aap kahaan jaa rahin hain???
Cornelia: Nadi ke kinaare… bas thodi der akele rehna chahti hoon…. Kisi ko iss bare mein mat bataana…
Omegas: Toh phir main bhi aapke saath chalta hoon!!
Cornelia: Maine kaha akele …. Main tumhari iss samay aavashyakta nahin…
Omegas: Helen!!! Tum meri bachpan ki dost ho… aur ek dost ke naate tum se keh raha hoon… apna dhyaan rakhna..
Cornelia: [giving a sweet smile] Omegas!! Achcha laga ye jaan kar ki tumhe humari dosti yaad hai!!! Warna is "rajkumari Cornelia" ke shor mein Helen kahin dab si gayi thi…Meri chita mat karo main kal subah hone se pehle laut aaungi... Aur jahaan tak rahi dhyaan rakhne ki baat!!! Toh meri ek baat apne dhyaan mein aavashy rakhna!!!
Jabtak humare paas koi aisa lakshya ya uddeshya nahin jispar hum apne pran nyochavar kar sake tab tak hume jeene ka koi adhikaar nahin!!!!
[Cornelia rides her horse to the midst of jungle to the river bank]….
Part 4 done guys…… plz comment kaisa laga???? feel free to comment!!!
Precap for the next part: CGM and Cornelia finally meet but in an unusual situation and with a big twist!!!
Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...
From the author's desk : Welcome to thread 6! I started to write this story years ago when the show was live and now when I look back on what...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
[NOCOPY] Hello readers! I am Aditi, I have been writing stories here but this is my first short story on RiKara. Alike, you all have been...
[NOCOPY] Cover credits to Shibani aka oh_nakhrewaali P R O L O G U E The whole house was decorated like a bride. The lights were shimmering,...
281