FF:Maurya- The Samrat [Part23 updated on pg 56] - Page 3

Created

Last reply

Replies

368

Views

89.2k

Users

35

Likes

534

Frequent Posters

ashi.melodyfire thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 13 years ago
#21
good character sketch !!!!!!!!
Ritu278 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#22
Cool yaar Jayati...👏
Grt characters...perfect for the roles👏
prachimishra85 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#23
Thanks 4 sharing
❤️ Prachi
justjayati thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#24

Part-1

The rise of new sun…


Megasthenes: Toh Shriman!!! Bataaiye aap kya batana chahte hain… Haan agar wahi jaani pehchaani kahaani hai….matlab dhana dwara Chanakya ka tiraskar… chanakya dwara Chandragupta ki khoj aur phir uska prashikshan ityadi…. Phir main aapko bata dun ki aap apna keval samay barbaad kar rahen hain…

The stranger: Nahin….. Nahin….[gives a smile] Jaisa ki maine kaha aapka gyaan abhi adhoora hai…Satya to yeh hai ke Chanakya ke akhand bharat ka sapna aur dhana ko apadast karne ka nischay unke bachpan se hi tha…

[A sign of surprise comes on the faces of both Megasthenes and Cornelia, who was hiding behind the wall close to them]

Cornelia: [to herself] Aakhir ye hai kaun jo magadh ke are mein itna jaanta hai?? Kya mujhe saamne jaakar dekhna chahiye?? Parantu agar use dekhne ke prayatna mein kahin main use dikh gayi toh??? Mujhe yahin chip kar un dono ke vartalap ko sunna hoga…. Ufff!!! Ye tivra varsha!!! Iski dhwani se to us insaan ki dhwani bhi swach sunai nahi de rahi jisse use pehchan paaun…..

The stranger: Yeh kahhani shuru hoti hai tab jab Dhananand naya naya raja bana tha… Us samay Magadh ke Maha Amatya the Amatya Shakhtar… Acharya Chanak unke ghanisht mitra the.. Wo dono hi galat ko nahi seh sakte the aur magadh ki janta ki bhalaai chaahte the… Parantu Dhana ke kuch aur hi vichaar the… Use to keval dhan batorne mein ruchi thi…Jaise hi Chanak aur Shakhtar ko ye baat paata chali..unhone iss baat ka virodh karne ka faisla liya aur janta mein soochna faila di… Parantu Dhana ko is baat ka abhaas ho gaya… isse pehle ki Amatya Shakhtar aur Acharya Chanak kuch kar pate Amatya Rakshas wahaan apne sainikon ke saath pahunch gaye aur Amatya Shakhtar ko badhi bana liya gaya… Isse pehle ki Acharya chanak ko bhi bandhi banaya jaata, unhone senapati Katyayan ke haathon Kusumpura, jahaan unki patni aur Putra, Vishnu rehte the , ek Sandesh bhijvaya jisme unhone Patliputra mein chal rahi saari sthiti ke bare mein bataaya aur us gaaon ke mukhiya se apne parivaar ki suraksha ka agraha kiya… Par Amatya Rakshas ke haathon jo ab Amatya Pramukh ban gaye the, Acharya Chanak zyaada der tak bach nahi paaye… Dhananand ne badi hi berehmi se Achaeya Chanak ka mastishk katvakar Sheher ke mukhya chaurahe par latka diya… Senapati Katyayan jo Chanak ke samarthak the, unhone unke antim sanskaar ka prabandh karvaya aur Vishnu ko iski suchna di… Parantu Vishnu ko apne pita ka who kata hua shish bhi chahiye tha…aur jab wo use mila tab who apne pita ke liye khub roya aur man hi man ek pratigya li, dhananand ko apadast karne ki aur us din se usne apna naam rakha Chanak ka putra Chanakya… Is paratigya ki agni par ghee dala dhana ke tiraskar ne…phir kya hua…aapko pata hi hai…

Megasthenes: Toh ye sab tab se shuru hua??? AAge kya hua wo toh mujhe pata hai par kya aap mujhe us raat ke bare mein bata sakte hain jis raat Chandragupta raja bana?

The Stranger: Haan… avashya… balki us raat ki yaadein toh mere mastishk mein ab bhi hari bhari hain… uss raat Magadha mein kuch zyaada hi shaanti thi… ye shaayad aane wali badlav ki aandhi ka nishaan tha… raat ko acharya Chanakya aur Chandragupta apni sena ki choti si tukdi ke saath Mahal par aakraman karne ke liye tiyaar the… Unhone raat ka samay isliye chuna tha kyounki wo jaante the ki Dhananda raat ke samay akraman ka kabhi aadesh nahi dega…Kintu kuch to galat tha… asal mein Mahal mein upasthit Dhanananda, Amatya Rakshas aur Dhana ki putrid Kalyani ko iss baat ka gyan tha ki Chandragupta unpar akraman karne wala hai… Aisa hote huye bhi jab Chandragupta ne aakraman kiya tab who uske josh aur dhrid nischay ke saamne tik nahi paye… aur Chandragupta ne senapati Katyayan ki sahayata se Amatya Shaktar ko bandhi grih se chuda liya aur Magadh ke Mahal par apni vijaya pataka ko fehraya… Agli subah Magadh ne na sirf dekhi nayi subah par dekha ek naya suraj jo unhe andhkaar ke andhere se mukt karrane aa gaya tha…….


Part 1 kaisa laga???? plz comment!! tried to make it as short as possible...😉

prachimishra85 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#25
Nice start
Update soon and thanks for the PM
❤️ Prachi
RoseFairy thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
#26
yar everything was happening in front of my eyes...awesome dear
swethasyam08 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#27
wow! Jayathi ur narration of story is excellent. superb 👏 not able to get any more words to express 😆. gr8 start. go ahead.



Swetha
justjayati thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#28
really??? And I was thinking that I ve made it boring...!!!!
But now...😃.
Thx prachi, aru and radhi and swetha4 sure...
will update soon...
tiny15 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
#29
@just jayathi gud job!! and i liked it! but in 2nd part u mentioned abt attacking at nite by CGM & chanyakya but in ancient India no1 ever attacked at nite bcoz it was considered not gud 2 attack at nite even on arch rival. these were considered as bad attiquetes of war. but still i may b wrong so try 2 find out abt it!!
justjayati thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#30
@ tiny15
yes u r partially ri8... that no one used to attack at night that's why cgm attacked at night...moreover it was not exactly night but few minutes away from the dawn... so that cgm's reign starts with the rising of new sun...that's a good infact excellent sign... any new king can get... hope u understand...😊

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

10 months ago

Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1018 page no 28 Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1018 page no 28

Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: abavi

4 years ago

Arhi FF: Destiny Games T6 (Chapter 23.2 Updated 3rd Mar 2025)

From the author's desk : Welcome to thread 6! I started to write this story years ago when the show was live and now when I look back on what...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

1 years ago

RiKara SS : Safed (chapter 7 updated)

[NOCOPY] Hello readers! I am Aditi, I have been writing stories here but this is my first short story on RiKara. Alike, you all have been...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

7 months ago

NehTaj SS ~ Written In The Stars (chapter 3 updated) NehTaj SS ~ Written In The Stars (chapter 3 updated)

[NOCOPY] Cover credits to Shibani aka oh_nakhrewaali P R O L O G U E The whole house was decorated like a bride. The lights were shimmering,...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".