FF:Maurya- The Samrat [Part23 updated on pg 56] - Page 4

Created

Last reply

Replies

368

Views

89.3k

Users

35

Likes

534

Frequent Posters

Ritu278 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#31
Nice writing Jayati👏
Man prasanna hua😛
update soon...
all d best👍🏼
ashi.melodyfire thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 13 years ago
#32

well done jayati 👏
as aru said same meri eyes ke samane bhi voh scene chal raha tha 😃
superb part !!!!!
justjayati thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#33

Part-2

Cornelia speaks'

Megasthenes: Yeh saari baatein toh mujhe vastav mein nahin pata thi'.

[all this while Megasthenes has been writing each and every word coming out of the stranger's mouth]

Cornelia:[to herself] ye saari baatein toh khud mujhe bhi nahin pata thi' yeh hai kaun??? Jo Acharya Chanakya aur Samrat ke bare mein itna kuch jaanta hai!!! Bas thodi pratiksha aur kar lo Cornelia' Thodi der baad toh khud hi pata chal jaayega'

Megasthenes: Toh Shriman' Uske baad kya hua??? Main janne ko ichchuk hun!!!

The stranger: Uske Baad Chandragupta ban gaya naya Magadh Naresh Chandragupta Maurya' Dheere Dheere unhone simant pradesho ko jitna shuru kiya'

Megasthenes: Simant pradesho ko kyon?? Magadh ke padosi desho ko kyon nahin??

The stranger: Hua ye tha ki pehle unka bhi yahi vichaar tha kintu ek din Acharya Chanakya ne ek maa ko apne putra ko daante huye suna' Who maa apne putra ko isliye daant rahi thi kyonki garam chawal se bhari us thaal se who naddan balak Madhya bhaag se chawal utha raha tha jisse baar baar uske haath jal rahe the' Us maa neis balak ko samjhaya ki jab thaal gara ho to pehle kinare se khaana arambh karte hain'

Megasthenes: Aur isi se Chanakya ko bhi simant pradesho par pehle akraman karne ka vichaar aaya'Hai na???

The stranger: Wah!! Aap toh meri soch se adhik hi budhimaan nikle!!! Khair'. Iske baad jaisa ki maine kaha' Magadh Maresh ne ek-ek kar ke kayi Pradesh par adhikaar paaya aur kayi simant pradesho se shaantipriya sandhi ki jiske antargat unhe mile bharat ke kayi rajya aur aisi hi ek sandhi se mili unhe unki pehle patni' Durdhara' jisne jald hi janm diya Maurya vansh ke pehle yuvraaj Bindusara ko' parantu durbhagya vash..!!! Bindusara ko janm dete huye Durdhara ki mrityu ho gayi'

Megasthenes: Who kaise???

The stranger: Uss kahani ko bataane ka yeh sahi samay nahin' Vishwaas rakhiye Megasthenes!!! Aapko aapke har prashna ka uttar aaj raat mil jaayega'.

Cornelia: [to herself] Kya!!!! Ye vyakti Rani Durdhara ke Vishay mein bhi jaanta hai??? Unke Vishay mein to keval Samrat, Acharya, kuch vishvasniya log aur main hi jaante hain' Ise kaise pata???

The stranger: Parantu sankat ke baadal abhi chate nahi the' Vyas[Beas] nadi ke paar ab Seleucus ki sena pahuch chuki thi Chandragupta ke bharat ko dasta ki bediyon mein jakadne'''''''''..

[10 years back]

Western Banks of River Beas'Greek camp'..

Cornelia: [to her servant] Omegas kahaan hai??? Jaao aur use shighra ati shighra yahhan bulao'..

[the servant just bowed his head and ran out of the camp to call Omegas]

Cornelia: Hey devtaaon!!! Sahi marg dikhaao!!! Mujhe nahin'. Mere Pitaji ko!!!!

[Soon A young and strong man dressed in Greek uniform of same age as Cornelia enters]

Omegas:[bowing his head] Aapne bulaaya Rajkumari??

Cornelia: Haan!! Yudhdha ki sthiti kya hai???

Omegas: Samrat Seleucus Byas nadi ke iss paar akraman karne ki puri tyaari kar chuke hain' Aur Byas nadi ke uss paar Sandrokottos ki Bhartiya sena bhi puri taiyaar hai' Kisi bhi pal yudhdha arambh ho sakta hai' keval nadi paar karne ki pratiksha hai'

Cornelia: Oh Zeus!!!! Koi samjhaye mere Pita ko!! Bahut badi Murkhta karne jaa rahen hain wo'

Omegas: Aap aisa kyon keh rahin hain Rajkumari??? Kya aapko Greek sena ki kshamtaon par koi sandeh hai??? Ya phir aapko sandeh hai apne pita ji ki kabiliyat par'..??

Cornelia: [ in angry tone] Mujhe kisi ki bhi kshamtaa par koi sandeh nahi hai.. Sandeh hai to bas iss badle huye samaye aur usse bhi badhkar badle huye bharat par' Ab bharat ki sthiti wo nahi reh gayi jaisi Alexander ke samay thi'. Wahan ke naye raja Sandrocottos ne Bharat ko nayi urja se bhar diya hai jiski liye Pitaji abhi mansik roop se taiyaar nahin the' Unhe to bas apni shapat puri karni thi Bharat wapas aane ki' Hume kuch to karna hi hoga'

Omegas: Hum ab chahe to bhi kuch nahi kar sakte' kal subah tak greek sena nadi paar karke akraman karne wali hai'. Agar avsar mila toh'.

Cornelia: Kya matlab "agar avsar mila toh"

Omegas: Mausam ko toh aap dekh hi rahin hain' Bahut tez varsha kuch dino se ho rahi thi jisse koi bhi sena nadi paar karne ki himmat nahi juta paa rahi thi' parantu [in slow voice] mujhe apne sutro se pata chala hai ki humari sena kal subah hote hi nadi paar kar ke akraman kar degi' Aise mein Uss Sandrokottos ki sena bhala kya kar paayegi??? Humari jeet nishchit hai' Aur waise bhi humari sena mein unse kayi zyaada saini hain'

Cornelia: Pehli baat'. Apne shatruon ko durbal nahi samajhna chahiye' Dusri baat'. Mujhe nahi lagta ki Sandrocottos ko itni asaan yojna se harayaa ja sakta hai '. Aur tisri baat''''. Meri pehli do baatein yaad rakhna!!!!

The real story has started!!!

Guys part 2 kaisa laga'.plz do let me know!!!

Edited by justjayati - 13 years ago
swethasyam08 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#34
good going Jayathi! 👏 😊





Swetha
prachimishra85 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#35
Very good
Thanks for the PM
❤️ Prachi
ashi.melodyfire thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 13 years ago
#36
so good jayati 👏
wow ab selu aur chandu ka yudh hoga !!!!!

thnxxx fo pm
ashi.melodyfire thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 13 years ago
#37
cgm ko mat marna yaar 😔
Edited by ashiach14 - 13 years ago
RoseFairy thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
#38
i just got news that yami is doin a film
justjayati thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#39

Part -3

God spare my enemies because I won't'

Indian Camp

CGM: Acharya! Jaisa humne socha tha thik waisa hi hua' In yavano ne humari sena ka galat ankalan kiya' Gupt sutro se yeh pata chala hai ki who log kal subah nadi paar kar ke humpar akraman karne walen hain' parantu unhe humari yojna ke bare mein nahin pata'


Chanakya: Nahin Chandragupta ' Yeh sab itna saral nahin hai' Koi toh hai uss greek chawni mein jise humari yojna ka abhaas ho gaya hai'


CGM: Aap aisa kyon keh rahen hai acharya?


Chanakya: Maine suna hai ki koi Seleucus ko chetavni dete huye abhi ke liye piche hatne ko keh raha hai.. jo humare liye labhdayak sthiti kabhi nahi hogi'


CGM: Kaun hai vo jise humari yojna ka abhaas ho gaya hai???


Chanakya: Pata nahi par mujhe Rajkumari Cornelia par sandeh hai'


CGM: Rajkumari???[giggles] Bhala rajkumariyaan kabse yudhdha mein ruchi lene lag gayin???


Chanakya: Cornelia ko kam mat samjho' maine suna hai uske bare mein' Poore Greece mein abhi uske samaan budhdhimaan stri nahin hai' parantu prasannta ki baat toh yeh hai ki iska koi laabh nahi hoga un yavano ko' kyonki Seleucus bal, ghamand, aur krodh mein andha ho chuka hai' use naa toh sunayi degi apni putri ki sahi salah aur nahi dikhega uska aane wala kaal' Tumhe pata hai na hume kya karna hai???


CGM: Bilkul' Prarthna karta hun ki Unka devta un par daya kare'. Kyonki main nahi karne wala!!! Ashirvaad dein Acharya!!!


Chanakya: Vijayi Bhava!!!


[At night only CGM's army crossed the flooded river silently' while Seleucus was sleeping in his tent dreaming about conquering India. In the morning when he woke up, he saw that he was surrounded on three sides by CGM's army and on one side by the flooded river' He had no option other than surrendering himself to CGM and so he did']



Meanwhile in Magadh

[Bindusara is sitting quietly at the window looking out when a servant comes to him]


Servant: Ye lein Rajkumar'. Rani Kalyani ne aapke liye kuch fal bheje hain' aapne subah se kuch nahi khaya'


Bindusara: [expressionlessly] Hume bhookh nahin hai' jisne bhijvaya hai use hi de do'


Meanwhile Kalyani also enters'


Kalyani: Kya hum jaan sakte hain ki Rajkumar ko Bhookh kyon nahin hai???


Bindusara: [turning towards her] Aur kya hum ye jaan sakte hain ki aap ye prashna kis adhikaar se poonch rahi hain?


Kalyani: Hum tumhari maa ke samaan hain'


Bindusara:[in an angry tone] Maa toh nahin hai naa!!! Hume samajh nahi aata iss mahal mein koi hume shan bhar ke liye bhi akela kyon nahi chod deta'[then suddenly realizing that he has said something wrong] [in a soft voice] Dekhiye' Hum aapka niradar nahin karna chahte' is samay hum bahut dukhi hain isliye hum chahenge ki aap hume shan bhar ke liye akela chod dein' ise humara namra nivedan samjhe' maharani!!!


[Without uttering a single word, Kalyani steps out and after some time a sweet voice comes from the door while Bindusara was busy in watching at the birds through his window]


"Rajkumar Bindusara krodh mein bilkul achche nahi lagte"


[Listening to the voice a smile comes on his face]


Bindusara: yashodhara tum!!! Abhi ? yahaan? Kaise? Kab? Kyon? Matlab achcha huya aa gayi par bataya kyon nahin?


Yashodhara: Baap re baap itne saare prashna ek hi baar mein??? Humein koi snatak samajh rakha hai kya??? Isse achcha toh ye hota ki hum apne rajya mein hi baithe hote' kam se kam itne saare prashno se to bach jaate'


[Yashodhara is the princess of one of the states on the boundaries of India with which CGM was in peaceful treaties' She is the best friend of Bindusara as she often visits Magadha due to very good relations of CGM and her father, Bhimdev and many trade contacts of the two states' She is a very sweet girl with whom Bindusara shares his every secret]


Yashodhara: Ab bataao' itne dukhi kyon ho!!! Apne chehre ko dekho' lagta hain mano nachte huye mor ke pairon mein kaanta chub gaya ho!!![Laughs loud]


[Eventually Bindusara also laughs]


Yashodhara: Chalo ye chehra toh thik ho gaya ab bataao kya baat hai???


Bindusara: Dhara tum toh jaanti ho na humne apne pitaji ko pichle 6 mahine se nahin dekha' Kabhi yahaan jaatein hain toh kabhi wahaan' Pata nahin unhe yaad bhi hoga ki nahin ki agle mahine humara janmdim hai'. Kabhi kabhi aisa lagta hai ki unhe humari koi chinta hi nahin'


Yashodhara: Oh!!! toh ye baat hai' tab to hum tumhe bataa dein ki soochna mili hai ki Magadh Samrat arthat aapke pitaji yudhdha jeet gaye hain' Aur jahaan tak hum jaante hain, ye unka aakhiri yudhdha hai kyonki iske baad unhe kisi bhi rajya ko jitney ki koi avashyakta nahin hain jiska matlab ye hai ki woh jald hi magadh wapas lautenge!!!


Bindusara: Sach mein???[surprised] Ye soochna humein pehle kyon nahi mili???


Yashodhara: Tumhe in pakshiyon ko dekhne se fursat milegi tab na??? Chalo ab humne dekha ki tumne Maharani kalyani se kaise baat ki' jaao aur unse pehle kshama maango!!!


Bindusara[ with a big smile on his face]: Abhi jaata hun'



Part-3 done... plz comment kaisa laga?????😉

Edited by justjayati - 13 years ago
RoseFairy thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
#40
pehle ye to bol ye yashodhara tune kis actress ko liya hai??

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

10 months ago

Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1019 page no 29 Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1019 page no 29

Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: abavi

4 years ago

Arhi FF: Destiny Games T6 (Chapter 23.2 Updated 3rd Mar 2025)

From the author's desk : Welcome to thread 6! I started to write this story years ago when the show was live and now when I look back on what...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

1 years ago

RiKara SS : Safed (chapter 7 updated)

[NOCOPY] Hello readers! I am Aditi, I have been writing stories here but this is my first short story on RiKara. Alike, you all have been...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

7 months ago

NehTaj SS ~ Written In The Stars (chapter 3 updated) NehTaj SS ~ Written In The Stars (chapter 3 updated)

[NOCOPY] Cover credits to Shibani aka oh_nakhrewaali P R O L O G U E The whole house was decorated like a bride. The lights were shimmering,...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".