..tumhari email se lagta hai meri woh choti si pyari si Nupur ab bohat bari hogayi hai. hamesha kya aise hi suljhakar baatein karti ho? pehle to aisi nahi thee. hamesha mujhse kisi na kisi baat ko lekar jhagra karti thee…mere khilone le jaaya karti thee. ab to aisa lagta hai meri woh Nupur kahi kho gayi hai..saamne se guzar jaaye to shayed main pehchaan naa paaoon.
Europe bohat hi khubsoorat hai. hamesha se hi…these countries are a good mixture of both traditions and modernism. kahi kahi pe jaao to hazaron saal purani imaartein dikhti hai…churches, castles and palaces ..its all amazing. aur phir jab shehe me jaate hai to modernism kick in big time. The facilities, the transport system, the fast-food generation all just clicks like that! tum ek kaam kyun nahi karti..aajao yahan pe. I promise, guide bannke tumhe poora Europe ghumaoonga..woh bhi muft. kya kehti ho?
ab ijaazat de do…emails jab hai to ummeed hai k aise emails ab milte hi rahenge akser…hai na? kaushish karenge hum bhi k tumhe jald se jald hi jawab de. We have lots to catch up with. bohat saare baatein karni hai…bohat kuch batana hai tumhe abhi to. per tum itni closed kyun ho? iss dost pe bharosa nahi raha kya? kuch bhi to nahi bata rahe ho apne baare me. kya karti ho…kya parti ho. Write all the details…intezar me hai hum..hamesha ki tarha.
-Mayank
p.s. tumhare naik tamannaon k liye bohat shukriya. haan…zindagi me kaafi aage barh gaye hai per manzil abhi tak haasil nahi hui. abhi bhi kuch raastein hai jinnse guzarna hai abhi..abhi bhi kuch manzar hai jinhe dekhna baaki hai. yeh alag baat hai k unn raahon me humsafar agar saath ho to shayed safar aur bhi dilchasb bann jaaye.
Nupur is sitting in front of the PC and reading Mayank's reply. Although days have passed by and Nupur is a bit more comfortable with her arch enemy (ok I am talking about the computer, not Tanmay) but she still can't help but feel a bit shy after reading this email. Then again she comes out of her world rapidly and starts looking around wondering if anyone is noticing her.
"ufff kya musibat hai…shaanti se email bhi nahi parh sakte. yeh poori duniya hamari hi computer ko kyun ghoor rahe hai. kya inhe pata to nahi chal gaya kuch..hamari shakal se to kuch pata nahi chal raha na (as she wipes her face with her dupatta). per yeh khat ghar kaise le jaayen…kaise printout nikalte hai. yaar hum itne buddhu kyun hai! arree…ghalti hamari kahan! duniya me jis cheez se humain hamesha chirh rahi…jisse hum hamesha bhaagte rahe ab wohi aake humse chipak gaya. ab kya kaer…kya kare..!"
Thats when she notices Tanmay…as usual waiting in the queue to get an available PC. Nupur rushes to him..
N: arrey Tanmay..tum! arrmm yahan kaise aana hua?
T: bas…hawa khaane aagaya. bhook lagi thee..kuch aur mila nahi to socha iss queue me khare hoke hawa hi khaa loon
N: arre..yahan iss bheer me…hawa khaane me maza kahan? apne is choti sheher me hawa khaane k aur bhi bohat acche acche jagah hai. hum le jaayenge tumhe..issme kya baat hai?
T: wah…aaj saamne se aake itni meherbaani kar rahi ho! matlab kya hai tumhara?
N: arre…hum dost bann gaye hai na ab. to meherbaani kaisi. aakhir ek dost hi to dost k kaam aata hai na.
T: ohho…to janab ko mujh ghareeb se kuch kaam hai
N: arre maine aisa kab kaha..
T: nahi nahi..aap kyun kehne lagi bhala. main khud keh raha hoon k main aap k liye kya kar sakta hoon Ms. Nupur Sharma
N: woh Tanmay…mujhe ek printout nikaalna tha per samajh nahi aaraha k kaise nikaaloon
T: hahhaa…bas itni si baat. chalo aao yahan..main dikha deta hoon.
So Nupur gets her 1st lesson in computing from Tanmay but promises him to show him around the town as a favour returned.
In the evening, they decide to start the tour. Nupur takes him around her favourite places and does not hesitate to elaborate on the history behind each place.
N: yeh hai iss choti si pyari si sheher ki sabse khubsoorat jagah…iss sheher ki jaan maano. (she shows him the waterfall).
T: beautiful…jitna socha tha isse bhi zyada hasseen hai yeh jagah
N: socha tha matlab?
T: I mean poori raasta bakbak karti aayi k jharna yeh jharna woh…so andaaza laga raha tha actually yeh jharna kya hai. jo bhi kaha kam kaha. waqai me bohat acchi jagah hai
N: iss jharne ki ek ajeeb kahani hai. Baba batate hai k sadiyon pehle iss jharne k paas do premi mila karte the per unnki family me kuch annbann hone ki wajah se larki ki shaadi kahi aur hogayi. aur shaadi k din hi ussi larke ne yahan pe aatmahattya karli. *sigh* uss din k baad se yeh jagah iss sheher ki TajMahal jaisi hogayi. yahan pe akser couples ko dekha jaata hai…hai na kahani ajeeb?
T: ajeeb to hai. per aaj k daur me yeh sirf kahani hi bannke reh gayi hai. aisa pyaar..aisi jazba iss yug me nahi dikhta.
N: pyaar aur jazbaat ka kisi yug ya daur se kya talluk. dil ki baat hai…dil agar saccha ho..jazbon me agar woh shiddath ho to sau saal pehle ho ya aaj se sau saal baad…ishq me jaan dena kabhi bhi iss duniya k liye purani baat nahi hogi
Tanmay is staring at Nupur's face who seems to be lost in some other thought whilst she utters those words. In true sense, she is actually thinking of Mayank.
Has Nupur already started to feel that way about Mayank? At the revival of their communication, has this relationship has actually become something merely more than just childhood friendship? Above all…does Mayank feel the same way as Nupur does!
All on the coming updates…
-Neela
Writer's note: sorry for the short update…from this point on, things will start changing soon but its not something that can be rushed. I am taking my time so that the characters are justified for their future actions.
khaffa khaffa si hai yeh aahein to kya
na kuch maanga Khuda se jo maanga tumhe
beasar hai magar meri duayein to kya
~~~~~~~~~~~~~~~~
35