MaYur Gallery - Updated OS Page 29 - Page 6

Created

Last reply

Replies

201

Views

29.1k

Users

50

Likes

695

Frequent Posters

DhanakZ thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#51
Oh dear that was simply Great
I know how its Feel when u looses the most imp person of Your life
a great piece of writing
thanks for pm
fahi91 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#52
Neelaaa 🤗 Kaisi ho?? Long time.. sach batao toh its ur writing i have missed more than any1s... sacchi.. coz i dunno what it is about ur writing that just captivates me every single time.. ur writing style is so different from everything else i read.. i love the way all ur pieces flow so beautifully, and its so poetic, the urdu just makes it all the more better.. but u know what i have to say that u really really love to write tragedies and sadness, not really complaining coz u do it so realistically but kabhi toh kuch happy happy likh diya karo plz.. 😆
And btw i know i still have to catch up with ur last FF. 😳 I know its been like ages but now i am back i will do it.. seeing as its one of my favourites.
Waise the ur note at the end of this OS just made it all the more special.. so sad.
I think u should carry this onto a second part and make them meet again.. would like to see how it turns out, as unlikely as that may be, but if ppl r destined to meet then they will na, would be nice to see.. just a thought.
Anyways.. keep writing.. take care. 😃
OddiYulle thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 14 years ago
#53
Neela. OMG. You are such an amazing writer. And this is the cutest OS I have ever read. It is sad still. Its amazing. The words , your style. I was actually stuck in it. Its flawless. I dont have words left fot your Os because its perfect.

Natasha
kirti123 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
#54
wow what a beautiful os
hope you get what you want in life
😊
shaheen_memon thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 14 years ago
#55
Neela superb
i had goosebumps after reading this...very touching
i jst pray every1 gets his/her love...
.SilentPrincess thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
#56

Hmm.. Ab kya kahein iss ko ...

Parthe waqt bilkul aisa laga jaise hum wahan hai aur sab dekh rahe hain parh nahin..
Bohat behtareen likha aap ne k hum toh kho gaye iss main.
Aur aise he parhte ge, ek baar bhi palkein nahi jhapki..
Aur akhir main bohat ajeeb sa laga ... thora sa afsoos bhi hua par ek umeed bhi jaghi.

Aur akhir tak muskurate gaye, aur parhne ke baad bhi muskurahat gaiy nahi... :)

Akhir main yehi kahein ge k ...
Apni zindagi kya yeh ehm hissa hamare sath share karne ke liye aur usse itni khubsoorati say likhne k liye shukriya... :)

Ab aur kya kahe.. humein nahi pata.. bas ab muskurahat he hain aap ko batane ke liye k humein kaisa laga yeh... :))

-SilentPrincess-
Edited by .SilentPrincess - 14 years ago
-SharNeela- thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
#57
~~~~~KehkashaaN~~~~~

Door…bohat door waqt ki uss paar aur iss duniya se paray kahin pe aik chota sa jazeerah hua karta tha. kudrati neyamat se bhari uss haseen jazeerah me aik jaadoowi musawwir rehta tha. uss musawwir ko apne Khuda se betahasha mohabbat tha per uss se bhi zyada lagao tha usse unnke takhleeq se. apne tanhayi k saath khush rehta tha woh…aasman se baatein karta, hawa k saath saath chalta…samundar ki lehron k saath gungunata woh. usse bas aik hi shaukh tha..junooni aur jaadoowi shaukh…tasweerein banana. kudrat ki be-jaan cheezon se rang laake woh apne tasweer me bharta aur uss tasweer me jaan aajata. usski chune hue aik aik rang me aik aik jazba zahir hota tha…kabhi usske tasweer me ashq hota tha to kabhi khushi. kabhi mayoosi to kabhi ummeed. dair raat tak…khule aasman k neeche sitaron ki raushni me woh apne tasweerein banata tha aur har woh jazba jisski tasweer woh banata tha…subhe uthke usse woh zinda paata…aik insaani libaas me. phir poora din woh uss jazba ko jeeta..usske saath apna waqt bita tha per raat hote hi woh insaani jazba phir se tasweer bann jaata. musawwir ko apne tasweeron se behudh pyar tha…aik aik tasweer woh bohat shiddath se banata tha aur junoon ke saath unhe saansein bakshta tha. per poora din uss jazba ko apne rooh me basaker jab usse raat ka saamna karna hota tha to woh bohat udaas hojaya karta tha. jis tasweer ne iss qayenaat ko mehsoos kiya usse phir se bejaan hoke tasweer me qaid hojaana usse accha nahi lagta tha. isi liye woh unhe samundar me doobon deta taaki tasweer ki qaid se unnko aazadi mil jaaye. rangon k mitnay k saath saath woh ahsaas bhi khatam hojaata tha.

aik din aise hi aik tasweer bana raha tha woh…kudrat se…iss qayenaat se har woh rang ussne liya per tasweer banate banate achanak usski ungli zakhmi ho gaya aur ussi ka aik boondh khoon usske rangon ke saath ghul gaya. musawwir ne khayal hi nahi kiya aur apne tasweer ko muqammal kiya. subhe usski aankh khuli ek meethi si awaaz se. palat ker dekha to uss ne uss tasweer ko zinda dekha dareeche ke saamne khadi woh samundar ko dekhi jaa rahi thee. musawwir usske paas aake khada hua aur usse dekha aur dekhta hi reh gaya! itni haseen…itni khubsoorat aisi tasweer ussne pehle kabhi nahi banaya. usske zuban se aik hi alfaz nikla bas..

M: Subhanallah..!

Tasweer ne muskuraake poocha apne khaliq se…

T: kya hua? aisa kya dekh rahe hai?
M: humnain apne poori zindagi me bohat tasweerein banayi per aap sa haseen tasweer pehle kabhi nahi bana. aankhon per yaqeen nahi horaha..
T: aap ki aankhon ko ya to wahem horaha hai ya phir aapko apne salahiyat ka ahsas nahi. aap to woh ho jo aankhein bandh karke bhi kisi bejaan me rang daal ke usse aik haseen anjaam de sakte hai. hum to bas unhi me se aik hai…na zyada na kam
M: kaash aap khudko hamare nazar se dekh paate
T: hum aap hi ke nazron se banay hai…dekhne ki naubat kyun aane laga bhala

…aik saadgi si muskaan hothon pe lekar woh bahar chali gayi. amoonan musawwir ko pata hota hai k usse kya karna hai per iss tasweer ki baat kuch aur hai. woh apna poora tawajju apne tasweer pe laga deta hai. pata nahi kyun itna lagao horaha hai usse iss tasweer se! woh usse apne dil ki har baat karta hai aur woh usse ghaur se sunnti….apne musawwir ko kabhi salah deti to kabhi dilasa…kabhi pyaar se usska haath thaamti to kabhi usske kaandhon pe sir rakh deti. aise hi baaton baaton me subah se dopahar hogayi…suraj apne urooj se dhalnay laga maghreb ki orre…musawwir ko bhi saath saath aik khauff sa hone lagah! yeh kaisa jazba hai jisse woh jee raha hai…yeh kaun hai saamne? usse ahsaas hone lagta hai k jisse ussne itne shiddath se banaya woh usski junoon ki wajah bann gayi hai. woh fiker me aagaya…raat hote hi tasweer bejaan hojayegi aur phir usse samundar me doobon dena hoga per yeh kya? iss khayal woh itna sehem kyun raha hai? usse apne tanhayi se khauff kyun ho raha hai? kisi bhi sawal ka koi jawab nahi mil raha usse…shaam hone ko hai. musawwir apne zinda tasweer k godh me sir rakkhe soya hai k achanak usski aankhon se ek boond aansoo jhalka. tasweer hairaan hoke poocha..

T: aap ki aankhon me yeh nami kyun?
M: humain kuch samajh nahi aaraha. pehli baar humain aisa mehsoos horaha hai.
T: kaisa mehsoos horaha hai?
M: aisa lag raha hai k hamari saansein khatam hone ko hai…jaise hum aik zinda laash bannewale hai jissme jism hai per rooh nahi. aik khauff sa baith gaya hai dil me…jaise koi azeez humse bicharne wala hai.
T: to rok lijiye unhe…mat bicharnay dijiye
M: yeh na mumkin hai. kudrat k khilaaf nahi jaa sakte hum
T: to aap khud unnke paas chale jayye

musawwir khamosh hojata hai. woh apne tasweer ko seenay se lagake kehta hai..

M: humnain tumhe jee liya hai aur ab humain aur nahi jeena

woh apne ghar wapas jaata hai aur ussi shiddath aur junoon se aik aur tasweer banata hai…usski khud ki tasweer. jab tak woh apni tasweer muqammal karta hai usse ahsaas hota hai k woh tasweer kab ki bejaan hochuki hai. musawwir uss tasweer ko seenay se lagah k neend ko tarjee deta hai. usske aakhri lafz bas yehi tha..

"aye mohabbat…humnain tumhe jee liya…"

kehte hai woh musawwir aur woh tasweerein aaj bhi uss jazeerah me rehte hai apne tasweeron me qaid per apne duniya me ek doosre ke saath. uss musawwir ka naam tha "Mayank" aur usski tasweer-e-mohabbat ka naam diya tha ussne "Nupur".


-Neela-
.SilentPrincess thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
#58
Reserved ...

Edited

Uff... yeh kya likh diya aap ne... 😍
Itni khubsoorat kahani... maine kabhi parhi nahin... Sab jazbaton say bhari ek kahani... Jis main alag jazbat hain, harr jazbah apne tareeke say khubsoorat. Par akhri jazbat sab say khubsoorat. "Muhabbat"

Kuch samjh nahi araha kya kahein...
Bohat he khoobsorati say likkha hai apne, k harr lafz dil main samaa gaya hain...
I'm speechless.
This is the most beautiful thing you have ever written. I'm left in awee.
This has to be your bes work so far. Jitni bhi tareef ki jaye... kum he hai...
Its simply beautiful ...
Aur kuch kaha nahi jaraha..
Bas shukriya... humein yeh khubsoorat kahani ko parhne ka mauqa diya... :)

-SilentPrincess-
Edited by .SilentPrincess - 14 years ago
.SilentPrincess thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
#59
I'm in love with this OS ... ❤️
drmaha thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#60
res
edited:
it was amazing update...
Edited by drmaha - 14 years ago

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: sakshi5050 · 11 months ago

Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1019 page no 29

Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: sakshi5050 · 3 years ago

Welcome you all to the new thread of RANVEER'S UNSAID FEELINGS #13 Keep Travelling in the world of ISHVEER LOVE Warm Regards sakshi ❤️ Index...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: abavi · 4 years ago

From the author's desk : Welcome to thread 6! I started to write this story years ago when the show was live and now when I look back on what...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: desidillse · 1 years ago

[NOCOPY] Hello readers! I am Aditi, I have been writing stories here but this is my first short story on RiKara. Alike, you all have been...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: desidillse · 8 months ago

NehTaj SS ~ Written In The Stars (chapter 3 updated)

[NOCOPY] Cover credits to Shibani aka oh_nakhrewaali P R O L O G U E The whole house was decorated like a bride. The lights were shimmering,...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".