FF:Yeh Zindagi..Part 12 Page 19 16/02/10 - Page 6

Created

Last reply

Replies

147

Views

29.6k

Users

25

Likes

27

Frequent Posters

yakkudimag thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#51
PART 5


Raj ki neend hi nahi khul rahi thi,raat bhar so nahi paaya hai woh,aaj court me koi hearing bhi nahi hai,woh bistar me leta tha.Mahant se mile hue kareeb dus din guzar gaye hain, mann hi mann Mahant ki kahi hui baatein Raj khud se kehta aaya hai,par matlab nahi samajh paa raha hai..aisa kyon kaha Mahantjee ne?Aur,Kranti k baare me bhi kaha..k woh bhi Raj se..Raj ko toh aisa nahi lagta..ajeeb ladki hai,is duniya me hokar bhi is duniya ka hissa nahi hai.Kyaa kare Rajveer?Aur usse jaa kar kyaa kahe?Bachpan k dost se rishta jodne me agar inkaar kar sakti hai..toh Rajveer toh ekdum hi anjaan hai Kranti k lia. Sohan Singh ne us ladke ki pairvi ki..Rajveer ki pairvi kaun karega?Aur Kranti apni marzi ki maalkin hai..us par zor daal kar kuchh nahi karavaya jaa sakta hai.Rajveer aisa karna chaahta bhi nahi.Kranti khud kyaa chaahti hai..yeh bhi Rajveer nahi jaanta.Par Raj ko aisa lagta hai k Kranti kuchh toh sochti hogi uske baare me..jis tarha woh baat karti hai Rajveer se..uske dil me koi toh jazbaat hai..jisse shaayad khud Kranti anjaan hai..

"Kyon?Kyaa hua?Tum toh kabhi aise nahi the Rajveer?Achanak se kyaa hua tumko?Case par concentrate karo..kyon us ladki k peechhe bhaag rahe ho?"

"Woh..ladki..samajh k baahar hai.."

"Haan..toh samajhne ki koshish mat karo..uske peechhe mat jaao.."

"Buajee se kyaa kahoonga?"

"Woh sathiya gayi hain..unko lagta hai shaadi k baad Kranti ghar par shaanti se baithegi, par aisa hoga nahi..tumhari zindagi barbad kar k rakh degi..Buajee k baaton me aa kar uske peechhe mat jaao Raj."

"Main Buajee k kahne se nahi milta usse..jis din se usko dekha hai..ussi din se usse dobara milne ki koshish karta rehta hoon.."

"Kyon?Aur koi kaam nahi hai?Court ka kaam kar k agar waqt bachta hai toh Baojee k karobar par dhyaan do..us nakhchadhi k peechhe waqt kyon barbad karte ho?Uske saath uljho mat..zindagi barbad kar degi woh.."

"Nahi..aisa nahi karegi.."

"Arre..uska Tau hai jail me..Krantikari..woh khud Krantikarion ki madad karti hai..tumhara usse meljol ..kuchh bhi ho sakta hai tumhare saath..Baojee ki Rai Bahaduri toh jaayegi hi.. upar se tumhara future bhi gaya samjho.."

"Nahi..Mahantjee ne kaha hai.."

"Arre us Mahant ko koi kaam nahi hai..achha khasa admi.Biwi mar gayi..bas ,usne sannyas lia..aur tumko ulti seedhi patti padha raha hai..aur tum ussi baat ko le kar uchhal rahe ho.. khud ko dekho..kyaa the tum..aur kyaa ho gaye ho in kai dino me..tum kab se in Mahant aur Sadhu jaise logon par yakeen karne lage?Itne kumzor toh kabhi nahi the tum..aur kyon baar baar Kranti k paas jaate ho..tumko samajhme nahi aati k woh tumko tabaahi ki taraf le jaa rahi hai?"

"Nahi...Kranti waisi nahi hai.."

"Aur uski zindagi me woh jo ladka hai..uske baare me kyaa kahoge?"

"Woh dost hai uska.."

"Mard aur aurat ki dosti?Kabhi hui hai?Aakhir kaar aag aur ghee jaise hote hain..dosti kab pyaar me badal jaaye..pata nahi chalta.."

"Nahi...aisa nahi hai..."

"Tum kaise keh sakte ho?"

"Main jaanta hoon..."

Raj k andar ek jungh chal rahi hai..Raj khud se ladh raha hai..khud se ladh kar kaun jeet paaya hai aaj tak?Koi nahi..Kranti ka wajood dheere dheere Raj k wajood par haavi ho raha hai.Kranti ka khayaal jaise koi ajgar hai..ahista ahista Raj ko nigal raha hai..Raj kho raha hai..aur is tarha kho jaana Raj ko bura nahi lag raha hai.Par,iska anjaam kyaa hoga?Kabhi kisi ne socha hai?Kya Raj ne socha tha Kranti se pyaar karne se pahle?Aur itni bechaini bhi dil me hai aaj kal.. Raj ki zindagi k panno par dil ki kalam chal chuki hai.. ehsaas k rang aur soorkh ho rahe hain,seene me ek kaanta sa choobha hai,ajeeb si ghutan hai..ajeeb si kashmakash hai..aisa kyon hua?


"Kaake..oo Kaake..kyaa hua?Neend me kisse baatein kar raha hai?Dekh toh..sooraj sar par chadh aaya..aur tu abhi tak bistar me hai?Uth jaa Kaake.." Buajee ne Raj ka haath pakad kar khincha..Raj ek jahtke se uth gaya...Buajee ne Raj ko dekha..kaha ,"Arre..tabiyat toh theek hai na teri?Dekh toh..chehra pura paseena paseena ho gaya hai..kyaa hua?Koi bura khwaab dekha kya?"

Raj--Nahi Buajee..woh zaroori case k baare me soch raha tha..aaj kal thoda pareshaan hoon ussi case ko lekar..

Bua--Ohh..par aisa bhi kaunsa case..dekh Kaake..din bhar court kachhehri k baare me mat socha kar..aur tu kaisa insaan hai?Tere dost ki shaadi hai kuchh hi dino me..aur tu kamre me baitha hai..arre uske ghar jaa..haath bata uska..Sanjay humara bhi Beta lagta hai Kaake..

Raj--Jee Buajee..

Bua--Arre..main toh bolna hi bhool gayi..main abhi abhi mandir se aa rahi hoon..aur pata hai mujhe kaun mili thi?

Raj--Kaun?

Bua--Kranti...

Raj--Ohh..aaj fir kuchh keh dia usne?

Bua--Nahi,usdin k bartav k lia maafi maang rahi thi..yeh ladki bhi na..khamokha pareshaan hoti hai..log uski shaadi ki baat kyon kar rahe hain..toh usko gussa aa raha hai..

Raj--Achha..Buajee..mard aur aurat me dosti hoti hai?

Bua--Kyaa?

Raj--Main poochhna chaahta tha k mard aur aurat me dosti kaisi hoti hai..matlab..dosti pyaar me badal jaaye..aisa hota hai na?

Bua--Aisa zaroori nahi hai..yeh har kisi k maamle me nahi hota..

Raj--Agar ladka pyaar kare..aur ladki ki taraf se kuchh naa ho..tab?

Bua--Tab kyaa..?Kuchh bhi nahi..par tu yeh sab kyon poochh raha hai?Teri kisi ladki se dosti hui hai kya?Bhai..waqt badal raha hai..kuchh bhi ho sakta hai..bata..kyaa hua?

Raj--Aapne kabhi kisi se pyaar kia hai?

Bua--Haan..tere Foofajee se kia tha..main chaudha saal ki thi jab unse meri shaadi hui thi..unhi se pyaar kia..tere Foofajee tab unnees saal k the..

Raj--Foofajee k jaane k baad..Baojee ne aapki doosri shaadi k baare me nahi socha?

Bua--Haan..mere Sasooral me hi bahut log the,jo mujh par chaadar daalna chaahte the.. par mera mann nahi maana..tere Foofajee se bahut pyaar jo tha..aaj bhi pyaar hai unse., chal chhod...tujhse poochhna tha k kya main aur teri Chaijee jaaye?Kranti k Mama-Mami k paas?Uska haath maangne..?

Raj--Kranti..raazi hogi?

Bua--Tu raazi hai?Hai toh bata..baaki mujh par chhod de..

Raj--Jaisa aaplog theek samjhe..main kyaa boloon?

Bua--Haan..mann me toh laddoo foot hi rahe hain...

Raj--Buajee..main..yeh jaldbaazi nahi hai?

Bua--Nahi.Ab tu muh bandh rakh..main chali..bahut kaam hai..

************************************

Hazaron khwaishen aisi k har khwaish pe dum nikle..

Bahut nikle mere armaan lekin fir bhi kum nikle..

Mohabbat me nahi hai fark jeene aur marne ka..

ussi ko dekh kar jeete hain jis kaafir pe dum nikle..

Hazaron khwaishen aisi k har khwaish pe dum nikle..

Bahut nikle mere armaan lekin fir bhi kum nikle..

Mirza Ghalibh k is sher ko Kranti padh rahi thi..Nirmal k kahne par..Nirmal ko is sher ko samajhna hai..taa k woh Sanjay ko bata sake..aur Sanjay impress ho jaaye..ab itni gehrai se Nirmal soch nahi paati jis tarha Kranti soch sakti hai..issi lia Nirmal ko Kranti ka sahara lena pada..

"Dil me bahut si khwaishen jaagti hain..har pal ek nayi hasrat paida hoti hai is dil me..ab khwaishen badhengi toh dil par bojh bhi badhta jaayega..is bojh k tale dab kar kahi naa kahi insaan ka dum ghootne lagta hai..par fir bhi dil k armaan kum nahi hote..aur mohabbat..jo jeene ki wajah ban jaati hai..wahi kabhi kabhi marne par majboor kar deti hai..par fir bhi ussi maut k dum par yeh zindagi chalti hai..pal pal ka jeena aur marna..har pal k jeene me marna..aur har pal k marne me jeena..issi ko mohabbat kahte hain.."

Nirmal--Kranti..zara aasaan kar k bata..dekh..tu hai Literature me maahir...main toh nahi..Sanjay jhatke me pakad lenge mujhe..

Kranti--Tujhe yeh karne ki zaroorat nahi..tu aise hi unko pasand hai..

Nirmal--Fir bhi..thoda impression ban jaaye toh kyaa bura hai..

Kranti--Haan..yehi bhi hai..ek baat hai..maine faisla kia hai..

Nirmal--Kaisa faisla?

Kranti--Teri shaadi ho jaaye..uske baad main Amritsar chali jaaoongi..yehan nahi rehna mujhe..

Nirmal--Shubhankar k paas jaayegi?

Kranti--Nahi..main apne ghar lautoongi..jo barson pahle chhoot gaya tha..Shubhankar meri manzeel nahi..mera ghar hi meri manzeel hai..

Nirmal--Sun...aaj dopaher k teen baje mujhe Sanjay se milna hai..shaadi se pahle aakhri baar mil rahe hain..tu chalna mere saath..varna Maa mujhe akeli jaane nahi dengi..

Kranti--Lovely ko le kar jaa..

Nirmal--Main Maa ko hi le jaati hoon..kyon?Lovely yaa Maa..kyaa fark hai?Tu bhi naa.. chalna..iske baad toh shaadi ho jaayegi..

Kranti--Main jaa sakti hoon..par Jeejajee apne us dost ko saath le kar aa jaayenge..tu toh baat karne lagegi..main akeli unke saamne pad jaaoongi..

Nirmal--Tu Rajveer ki baat kar rahi hai?

Kranti--Haan..

Nirmal--Toh kyaa hua..baat karna usse..khaa jaayega tujhe?

Kranti--Tu nahi samajhti..

Nirmal--Baad me samajh loongi..tune pahle yeh jo matlab mujhe batayi hai..ek kaagaz me likh kar de..wahan jaa kar bhool gayi toh..jaldi likh..sher bhi likh ..aur matlab bhi..

***************************************

"Kranti..tumhara chehra itna utra hua kyon lag raha hai?"

Sanjay k is sawal se Kranti cheedh gayi..bina Rajveer k yeh admi kahi jaa nahi sakta?Aur yeh Rajveer usse ghoor raha hai,uski nazron me kuchh aisi baat hai,jo Kranti ko pareshaan kar rahi hai,jis din se Rajveer se jhamela hua hai us din k baad aaj mulakat hui hai.. Rajveer jaise jaanta hi tha k Nirmal k saath Kranti hi aayegi..Rajveer ki aankhon me ajeeb si shararat hai..

Kranti ne kaha ,"Didi..jab baat khatam ho jaaye..toh mujhe awaz dena.Main us pedh k paas baithi hoon..

Nirmal--Haan..

Kranti chali gayi..Rajveer Sanjay aur Nirmal k saamne khada raha..Nirmal ko ajeeb lag raha tha..achanak se Nirmal ne apna bag khola..aur meethai ka dabba dia Sanjay k haath me..kaha ,"Maine banai hai.."

Raj--Main bhi hoon..mujhe mil sakti hai meethai?

Nirmal--Haan..lijiye...

Ek kagaz meethai k dabbe k saath neeche geer gaya..Sanjay ne usse utha lia..poochha, "Arre Nirmal..Ghalibh ki shayeri..meethai k dabbe k saath?Dekhoon toh..arre baap re.. Nirmal..tumne likhi hai yeh sab?"

Nirmal--Nahi..Kranti ne likh kar dia hai..maine hi baar baar usko pareshaan kia yeh sab likhne k lia..sher aur uska matlab bhi..

Sanjay--Yeh sher-o-shayeri mere palle nahi padti..mujhe impress karne k lia meethai ka dabba hi kaafi hai..thanks..achhi bani hai..kyon Raj?

Raj--Haan..tum log baatein karo..main zara ghoom kar aata hoon..arre meri shoe less dheeli pad gayi..

Raj neeche jhoonka shoe less theek karne k bahane..aur jo kagaz Sanjay ne feka tha usko utha lia..jisme Kranti ne Ghalibh ki shayeri aur uska matlab likhi hai..

*******************************************

"Dil me bahut si khwaishen jaagti hain..har pal ek nayi hasrat paida hoti hai is dil me..ab khwaishen badhengi toh dil par bojh bhi badhta jaayega..is bojh k tale dab kar kahi naa kahi insaan ka dum ghootne lagta hai..par fir bhi dil k armaan kum nahi hote..aur mohabbat..jo jeene ki wajah ban jaati hai..wahi kabhi kabhi marne par majboor kar deti hai..par fir bhi ussi maut k dum par yeh zindagi chalti hai..pal pal ka jeena aur marna..har pal k jeene me marna..aur har pal k marne me jeena..issi ko mohabbat kahte hain.."

Kranti apne hi soch me magan thi..usne yeh sab baatein suni jo usne kagaz par likh kar Nirmal ko di thi..par Raj ki awaz hai yeh..Kranti ne Raj ki taraf dekha..Raj ne kaha ,"Us din aap is tarha chali gayi..mujhe samjhane ka mauka nahi mila.."

Kranti ne jawab nahi dia..Raj Kranti k saamne khada ho gaya..kaha ,"Tahelna ,shaam k waqt tahelna..sehat k lia achha hai..aaiye..".Kranti Raj k saath tahelne lagi..

Raj--Kuchh hi din bache hain..Sanjay ki shaadi ko..

Kranti--Haan..uske baad main Amritsar chali jaaoongi..

Raj--Kyaa?

Kranti--Haan...mere apne ghar..Amritsar hi mera ghar hai..

Raj--Waha par toh koi nahi hai aapka..

Kranti--Ghar toh hai na..bhale hi koi naa ho..

Raj--Woh ladka..jisko aapke Taujee ne choona hai..woh wahi par hai na?

Kranti--Uska hona naa hona ..mere lia koi maaine nahi rakhta..Amritsar me humesha k lia nahi rahega woh..usse mera koi lena dena nahi hai..

Raj--Itne din ki dosti k baad aap aisa keh rahi hai?

Kranti--Mujhe aisa kyon lag raha hai k agar main usse shaadi kar loon..toh aapko bahut khushi hogi..?

Raj--Main aapki baat kar raha hoon..

Kranti--Mat kijiye..

Raj--Arre..kyaa hua..?Achanak dimaag garam ho gaya aapka?Waise...us ladke ka naam jaan sakta hoon?

Kranti--Shubhankar..Shubhankar Sharma.

Raj--Aap se woh pyaar karte hain?

Kranti--Mujhe kyaa maloom..?

Raj--Aap unse pyaar karti hain?

Kranti--Faisla kijiye..main yehan se jaaoon..yaa aap jaayenge..bakwas bahut kar li aapne..

Raj--Okay..I am sorry..par aap Amritsar kyon jaana chaahti hain?

Kranti--Arre..purkhon ka ghar hai..uski dekhbhaal karni hai..

Raj--Lahore se Amritsar zyada door nahi..kabhi kabhar chali jaana..iske lia Lahore chhod kar jaane ki koi zaroorat nahi aapko..maan lijiye..Lahore me hi aapki shaadi ho gayi..tab?Aapka ghar agar Lahore me hi bas gaya..tab kyaa karengi aap?

Kranti--Mera ghar Lahore me nahi basega..Amritsar hi mera ghar hai..aisa mera dil kehta hai..

Raj--Kyaa?

Kranti--Haan..mera dil baar baar kehta hai..main bahut jald Amritsar jaaoongi..humesha k lia..mera ghar Amritsar me hi basega..mujhe apne ghar jaana hi hoga..jo ghar mujhse chhoot gaya hai..mujhe jaana hoga..

Raj--Aapke apne log yehi par hai..Amirtsar me koi hai bhi toh nahi..

Kranti--Mera ghar hai..

Raj--Ek din aap hi ne kaha tha..k desh zameen ka tookda nahi..desh deshvaasion se banta hai..ussi tarha ghar sirf chaar deewaron darwaazon se nahi banta..gharwalon se banta hai..pyaar se banta hai..tanhai ki buniyad par ghar nahi banta..

Kranti--Meri kismat mujhe le jaayegi ..Amritsar..main jaanti hoon..aisa mera dil kehta hai..

Raj--Aapka dil kabhi kuchh achha soch sakta hai?Yaa humseha aisi ulti seedhi baatein hi chalti hai iske andar?


Kranti is baat ka jawab dene hi jaa rahi thi k Sanjay ki awaz aai.."RAAAAAAAJJJ..CHAL.. DEEEEEERRRRRR HOOO GAYI.."

Rajveer jeep ki taraf jaane laga..achanak Kranti ne kaha .."Aaj kal aap bahut badi uljhan me hai..hai na?"

Raj chauk gaya..bola ,"Aapko kaise pata?"..Jawab me Kranti ne muskura kar kaha ,"Pata chal jaata hai...aapke dil aur dimaag ki jaddo jahed..aapki aankho se saaf pata chal raha hai.."


*******************************************************

Raj ghar laut kar Buajee k paas gaya..kaha ,"Jo karna hai jaldi kijiye....Sanjay ki shaadi hote hi woh Amritsar chali jaayegi..us tak pahoochna mushkil hoga..".Ussi raat Buajee ne Chaijee se keh dia,"Kaake k lia uski laayak ladki mil gayi hai..ussise Kaake ki shaadi karani hai..Sanjay ki shaadi k pahle hi rishtey ki baat chalaani hai..dono shaadian ek hi mandap se ho jaaye toh bahut achha hoga."

Kranti Raj ki aankho me dekh sakti hai..yeh khabar nayi hai Raj k lia..Raj khud se ladh raha hai..yeh baat Kranti samajhti hai..jo itna samajhti hai..kya woh Raj k pyaar ko nahi samajhti?Zaroor samajhti hai..


Edited by yakkudimag - 16 years ago
sim_ran thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 16 years ago
#52
woow great i wish the show had also progressed like this
Bhawna1004 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 16 years ago
#53
ohhhhhhhhhhhhhhh wowwwwwwwwwwwwwww
its awesome
raj kranti
mwaaaaaaaaaaah
i love them yaar.

yaar plz don't stop writing.
i know this is so close to your heart ananya
but same here we also love this.
i love kranti's instinct.
tell me one thing which year you are showing.
i want to see raj krantii marriage but in a very different manner.
i love you sense of thinking yaar ananya.

keep writing dear.

yakkudimag thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#54


Thanks a lot..you just keep reading..
pari29 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
#55
yakky dat was awwsome sorry for late reply par kay karo upset thi isleye anyways toooooo good mindblowing
Dawn Idol thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
#56
Awesome Ananya .............
What a splendid story .............
This was how the serial should have gone ........ R & K are such strong characters ...........
I simply love the way they meet and talk ........
Not really necessary to fight all the time ..... right ????
Their convos are really mind blowing ............
You command over the language is great ..........
Thanks dear for such a wonderful treat ...........
This makes us forget all the sorrow of MRD ending ...........
yakkudimag thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#57

Originally posted by: bhawna_dhunna

ohhhhhhhhhhhhhhh wowwwwwwwwwwwwwww
its awesome
raj kranti
mwaaaaaaaaaaah
i love them yaar.

yaar plz don't stop writing.
i know this is so close to your heart ananya
but same here we also love this.
i love kranti's instinct.
tell me one thing which year you are showing.
i want to see raj krantii marriage but in a very different manner.
i love you sense of thinking yaar ananya.

keep writing dear.

Thanks for the comment..the story began,almost at the 1942..suppose September..
as it's going on gradually..you can assume present time is November..mid of November..the marriage will take place..
I also love Kranti..I love my fic a lot..
Bhawna1004 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 16 years ago
#58

Originally posted by: yakkudimag

Thanks for the comment..the story began,almost at the 1942..suppose September..
as it's going on gradually..you can assume present time is November..mid of November..the marriage will take place..
I also love Kranti..I love my fic a lot..

hey ananya
we also love your ff.
it is dose for us.
and yes plz send next part soon i am waiting.
plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz
yakkudimag thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#59

Originally posted by: Dawn Idol

Awesome Ananya .............

What a splendid story .............


This was how the serial should have gone ........ R & K are such strong characters ...........


I simply love the way they meet and talk ........


Not really necessary to fight all the time ..... right ????


Their convos are really mind blowing ............


You command over the language is great ..........


Thanks dear for such a wonderful treat ...........


This makes us forget all the sorrow of MRD ending ...........




Thanks Dawn..yes..everything should be subtle..I hate anything loud..I am not an extremist..I have a moderate nature..so I am depicting the characters with my moderate point of view.. Yes..language is my weakness..I can't stand any linguistic error..I am really biased to it..



yakkudimag thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#60
PART 6
Kranti shaam k waqt lauti school se aur jab lauti tab Lovely usko pakad k le gayi Mamijee k paas.Kranti jab us kamre me gayi tab dekha Raj ki Buajee k saath ek aur aurat bhi baithi hain Mamijee k saath..aur Sanjay ki Maa bhi hain..Sanjay k Dad Rai Bahadur Heerachand Kapoor baahar baagh me tahel rahe hain..Kranti ne socha unhike saath sab aaye hain..

Mami--Lo jee..aa gayi..idhar aa..kitni der kar di tune..

Bua--Arre Puttar..idhar toh aa..mujhe toh tu jaanti hi hai..yeh meri Parjaai hain..Rajveer ki Maa..tu toh jaanti hai Raj ko..Sanjay ka dost..

Kranti--Jee..Sat Sree Akal...

Chaijee ne Kranti ko dekha,bahut achhi ladki dhoondhi hai Raj k Buajee ne Raj k lia.

Unhone bulaya Kranti ko apne paas..Kewal aur Madhumati se jaan pehchaan karai Buajee ne.."Yeh Rajveer k Bade Bhaisaab..Kewal..aur uski Parjaai..Madhumati..arre Veer kahan reh gaya?"

Kewal--Buajee..Baojee toh Kaushik Saab k saath us kamre me baithe hain..

Bua--Bula k laa Puttar..Bibi Rani..tujhe pasand hai na Kudi?

Madhu--Shakal toh bahut achhi hai Buajee..par Devarjee ko pasand aayegi yaa nahi..main bata nahi sakti..

Bua--Usse poochhtaachh kar le..

Madhumati ne Kranti ko apne paas bithaya..

Kaushik Saab se baat karte karte Lala Kulbhushan Laal aaye.Madhumati ne kaha, "Baojee..yeh hai Kranti.."

Kranti ne dekha Lalajee ko..kaha,"Sat Sree Akal.."

Kul--Jeeti raho..tumhare lia hi aaye hain hum..

Kranti--Jee?

Madhu--Tum baitho toh..Buajee se tum mili ..Nirmal k saath tum mandir gayi thi..Buajee ko tum bahut pasand aai..hum tumse milne aaye hain..

Bua--Bibi Rani..usse poochh le..kahan tak padhi hai..Kaake ko jaa kar batana hai..

Kranti k saamne sab golmaal ho gaya..yeh Buajee kyaa keh rahi hain..Rajveer toh jaanta hai uske baare me aur itne log usse kyon milne aaye hain?Rajveer kahan hai?Aur achanak se kaun sa bhoot sawaar ho gaya hai sab par?Aur Mamajee aur Mamijee itne khush kyon ho rahe hain?Aur Lovely aur Nirmal Didi bhi muskura rahi hai..hua kyaa hai?

"Kranti..kahan kho gayi Puttar?Kranti?"..Kranti ne dekha Mamajee bula rahe hain...

Kranti--Kuchh nahi..

Madhu--Toh bataao..kahan tak padhi ho?

Kranti--B.A. tak..

Kul--Arre..yeh toh bahut padhi likhi hai..kahan se padhi hai Puttar?

Kranti--Calcutta University..wahi reh kar padhti thi..

Mama--Jee..mere ek dost hain wahan..unki Beti bhi padhti thi ..usike saath yeh rehti thi..

Madhu--Kyaa kyaa padhi ho?

Kranti--Sanskrit,Phillosophy aur English..

Madhu--Bhai..humen toh samajh me nahi aati yeh sab ..Devarjee ko laana tha..main apne hisaab se poochhti hoon..ghar ka kaam kar sakti ho?

Kranti--Jee..

Madhu--Khana bana sakti ho?

Kranti--Haan..

Madhu--Tum yehan k school me padhati ho..

Kranti--Jee..

Madhu--Par Chaijee..shaadi k baad yeh school me kaise padha sakti hai?Ghar ka aur Devrajee ka dhyaan toh isne hi rakhni hai..

Kul--Ek dum sahi baat hai..aur humare ghar ki Bahu ..ko school me padhane ki koi jaroorat naa hai..raees khandan hai humara..

Kranti khamosh rahi...Mamajee aur Mamijee ka chehra khushi se bhara hai..Sanjay ki Maa ne kaha.."Toh kyaa khayaal hai sab ka?Mujhe nahi lagta Rajveer inkaar nahi karega,rishta pakka samjhe?"

Kul--Meri taraf se haan hai..

Chaijee--Mujhe bhi pasand hai Kranti..Bibi Rani..tujhe toh pasand hai na teri Devrani?

Madhu--Haan jee..Chaijee..bilkul pasand hai..

Heerachand Kapoor aaye..kahne lage ,"Toh mangni ki baat tai kar li jaaye..?"

Kul--Mangni ki kyaa jaroorat hai?Iske baad ..ka koi shubh din dekh kar dono ka biha kara dete hain..

Heerachand--Bada nek khayaal hai Lalajee..

Bua--Agla muhurat toh Sanjay ki shaadi k din ka hi hai..

Heerachand--Theek hai..ek hi mandap me dono doston ki shaadi karaaye dete hain..kyon Mr.Kaushik?

Mama--Jee..ek saath ..intezam karne me toh waqt lagta hai...

Mami--Sab ho jaayega..tum aitraaz mat karo jee..toh baat tai hai Lalajee..


Baat pakki bhi ho gayi,sab ka muh meetha kara rahi hai Nirmal..Nirmal aur Kranti ki shaadi ek hi din,ek hi mandap me hogi,aas paas ki baatein Kranti k kaano tak nahi pahooch rahi thi,apne khayaalon me woh kho rahi thi,aisa lag raha hai usko k bahut kuchh toot raha hai..bikhar raha hai..Sohan Taujee ka pata nahi kyaa hoga..aur yeh baat saamne aa gayi.. Mamajee ko aisi bhi kyaa jaldi thi?

*******************************

Apni zimmedari se mukt ho kar Mamijee bahut khush hui..keh rahi hain,"Kaun se kalam se apni kismat likhva k laai thi Kudiye?Itna achha rishta aaya tere lia..itna achha ghar..ladke ki tasveer dekhi maine..bada sona munda hai...tere Mamajee bata rahe the k adalat me bhi kai baar dekh chuke hain usko..naam bhi bahut achha hai ..Rajveer."

Mama--Kranti..Puttar..tu bahut khush rahegi ..wahan..bade achhe log hain..


Lovely--Mummyjee..Nirmal Didi aur Kranti Didi ..dono ki shaadi itne achhe ghar me honi hai..meri shaadi bhi aise ghar me karani hai aapne...

Nirmal--Haan..zaroor..tere dono Jeejajee dhoondhenge tere lia rishta..


Ghar me Nirmal ki shaadi ki khushi pahle se thi..ab Kranti ki shaadi bhi tai ho gayi..khushi doogni ho gayi.Par jiski wajah se yeh khushi hai..uski shakal dekh kar aisa lag raha hai k usko faansi di jaa rahi hai.Uski aankho k saamne andhera chhaa gaya..sab se badi baat.. woh school me nahi padha paayegi..usko kaid hona hoga chaar deewaron k andar.Jab chaahe tab baahar nahi jaa paayegi..aur bandeesh bhi hogi..Rajveer hoga..aur yeh baat kuchh hazam nahi hoti k Rajveer kuchh nahi jaanta k Kranti k ghar uske gharwalen aa rahe hain..rishtey ki baat karne.


Rajveer k ghar pe jashan ka maahol tha..Rajveer ki shaadi tai ho chuki hai..aur bahut jald shaadi karni hai..kuchh hi din bache hain.Rai Bahadur Heerachand Kapoor k saath unki wife bhi aai thi Lalajee k ghar..Sanjay ko le kar hi ghar lautna hai..Sanjay Rajveer k saath hi tha uske ghar me.Sanjay idhar udhar ki baatein kar raha tha..Rajveer case files check kar raha tha.Aise me ghar k sab log laut aaye..Jagat ko kaha gaya khana lagaane k lia.


Sab khana khaa rahe the..Sanjay Raj k saath hi baitha tha..Kapoor Saab Lalajee k saath baithe hue the..Sanjay ki Maa ne kaha ,"Tum dono ki shaadi ek hi din..ek hi mandap me kara di jaaye toh kaisa ho?"

Sanjay k gale me khana atak gaya.."Kyaa keh rahi hain aap?"

Chaijee--Haan..Puttar..tere dost ka rishta tai kar k aaye hain humlog..abhi kuchh hi der pahle..

Sanjay--Kiske saath Chaijee?

Kul--Teri honewali Saali k saath Puttar...

Sanjay--Kaun?Lovely?

Chaijee--Nahi..Kranti k saath shaadi tai kar k aaye hain...

Sanjay--Kranti..lekin Chaijee..

Chaijee--Kyon?Koi baat hai..jo humen pata nahi?

Sanjay--Nahi..aisi koi baat nahi..par woh toh school me padhati hai..

Kul--Ohh..maine saaf saaf bol dia usko..k Laal khandan ki Bahu ko school me padhane ki koi jaroorat nahi hai..hum raees log hain..aur apne dost se tu poochh le Sanjay..k is baar koi nakhre toh naa dikhaayega?Peechhli baar ..rishta nahi hua..chal..koi baat nahi..woh padhi likhi nahi thi..par is baar..ladki bahut jyada padhi likhi hai..yeh vilaayet se padh kar aaya hai..toh woh bhi Calcutta k achhe college se padh kar aai hai..angreji jaanti hai..ab k koi nakhra main bardasht nahi karoonga..main tere ko bataoon..

Chaijee--Haan..Puttar..is baar teri koi baat nahi sunenge hum..ladki dekhi hai humne..aur hum log shaadi tai kar k aaye hain..

Sanjay--Arre..Chaijee..Raj toh mil chuka hai Kranti se..

Raj ko issi baat ka darr tha...

Kul--Tu mil chuka hai us Kudi se...

Sanjay--Haan..main aur Raj ek din guzar rahe the ..Kranti mili...maine milvaya toh tha..

Buajee ne samhaal lia..kaha ,"Haan..main aur Kaake ek din gaye the mandir..Nirmal se mulakat hui..Kranti uske saath thi..maine wahi par dekha Kranti ko..tab se pasand hai mujhe,issi lia toh rishtey ki baat chalai...Kaake ..tu toh dekh chuka hai ladki..bhool gaya ?"

Sanjay--Haan Raj..Kranti se toh mil chuka hai tu...

Raj--Haan..tune mulakat karvaai thi...par main usse theek se nahi jaanta Chaijee..aise kaise..

Kul--Chup kar tu...teri Maa se jab meri shaadi hui thi tab..main kitna jaanta tha isko?Tere Bhai ki shaadi jab hui thi teri Parjaai se..tab jaanta tha usko?Tujhe shaadi se pahle hi jaan pehchaan karni hai?

Raj--Par Baojee...

Kul--Oye..khote...maine bol dia na..teri shaadi is Kudi se hi honi hai..main apna faisla nahi badloonga..main tere ko bataoon..

Chaijee--Haan..Raj..tu ab naa mat kar..humen pasand hai ladki..main toh khamokha hi uski tasveer le aai...tujhe dikhaane k vaaste..Bibi Rani..tu Raj ko dikha dena fir se uski tasveer.. theek se dekh lega..

Bua--Kaake..achhi ladki hai..padhi likhi hai...aaj k zamane ki hai..tere saath uski jodi achhi rahegi..humari baat maan le..

Raj ne aage kuchh nahi kaha..

Heerachand--Toh baat tai hai...shaadi ussi din hogi...dono ghar se baaraat nikal kar ek hi ghar jaayegi..

********************************

Sanjay--Raj..ab main chaloonga..shukar hai..tune mera bhanda nahi phoda k main chhoop kar Nirmal se milne gaya tha..

Raj--Haan ,koi baat nahi..par Kranti theek lagti hai tujhe?Mere lia?

Sanjay--Tu toh achhe se baat kar raha tha us din jab Nirmal se milne gaye the hum..ab tujhe kyaa pareshaani hai?

Raj--Nahi..pareshaani nahi hai..

Sanjay--Bas..fir kyaa hai..shaadi kar le..Beta..sab k gale me fanda padta hai..tere gale me bhi padega..aur soch kahi agar us Lajjo se teri shaadi ho jaati ..toh tu kyaa karta?Aur tere Baojee naraz ho jaayenge agar tune is baar aana kaani ki toh..

Raj--Samjha...


Raj sone ki taiyyari kar raha tha..Buajee aai...

Raj--Aaiye..

Bua--Sab theek hai..aur tu naatak achha karta hai..

Raj--Itna toh karna padta hi hai..par Buajee..mujhe darr lag raha hai...

Bua--Arre..shaadi tai hai..ab kyon darrta hai?

Raj--Pata nahi..mujhe darr lag raha hai..

Bua--Kaake..usse shaadi ho jaaye..tera sara darr ghayab ho jaayega..ab so jaa...aur yeh baat tere aur mere beech hi rahe toh hi achha..samjha?

Raj--Jee..

Buajee k jaane k kuchh der baad Madhumati aai..Kranti ki photo le kar...kaha,"Dekh lo Devarjee..apni honewali ko..meri Bahen naa sahi..ummeed hai Nirmal ki Bahen tumko pasand aayegi.."

Raj thoda baukhla gaya..Madhumati abhi tak naraz hai ..Raj se..Raj ne kaha, "Parjaaijee.. main koi apni marzi se toh shaadi nahi kar raha hoon..aap log rishta le kar gaye..aur ek hi baar me shaadi tai kar aaye..isme mera kyaa kasoor hai?"

Madhu--Kasoor ki baat nahi hai Devarjee..shaadi biha..sanjog ki baat hai..par Lajo se agar tumhari shaadi hoti..toh tum chain se reh paate..jisko ghar me laanewale hain..seedhi toh mujhe kahi se bhi nahi lagti..padhai likhai dekh kar biha ho raha hai..dhyaan rakhna..yehi sab k lia musibat naa bane..tedhi kheer hai Devarjee..samhal kar..aage tumhari kismat.. aur uski samajhdaari..raat bahut ho chuki hai..so jaao..

***********************************

Kranti sirf leti thi..Nirmal ne mehsoos kia k Kranti soyi nahi hai..usne poochha ,"Arre..meri bhi aisi haalat thi..jab meri shaadi ki baat pakki hui thi..tu fikar mat kar.."

Kranti--Sab ek jaise nahi hote Didi..kyaa soch kar meri shaadi tai kar di..sab ne?

Nirmal--Arre..Rajveer se toh teri achhi banti hai..toh fir tujhe inkaar kyon hai?

Kranti--Mujhe shaadi nahi karni..

Nirmal--Yeh kyaa baat hui Kranti..fir se paagalpan shuru ho gaya tera?

Kranti--Kuchh nahi samajhta hai koi...

Nirmal--Tune kabhi socha..k humari aksar mulakat hogi..main toh sochti thi..k naa jaane teri shaadi kahan hogi..kab milegi?Hum dono Bahenon ki shaadi aise do insaano se ho rahi hai..jo bilkul Bhai jaise hi hain..tujhe is baat ki khushi nahi hoti?Kranti..Kranti..so gayi kya?

Nirmal ko jawaab nahi mila..


Agle din Raj gaya shaam ko,school k paas,par Kranti nahi mili,ek baar Kranti se poochhna zaroori hai..uske lia sab kuchh ek bade jhatke se zyada kuchh nahi hai shaayad..ek baar baat toh karni hai.Bahut der tak khada raha Raj..par Kranti nahi aai..Ghar lauta toh dekha Saroj aur Saroj ki Maa aai hain..Chaijee khushkhabri de rahi hain dono ko...Chaijee ne kaha ,"Raj..Puttar..tu aa gaya..ek kaam kar..woh tasveer laa de..Saroj ko dekhna hai.."..

Raj apne kamre se woh tasveer le aaya.Saroj Kranti ki tasveer dekh kar uchhal padi, "Arre..yeh humari teacher hain?Miss Randhawa..ooh...inki shaadi ho rahi hai Veerjee se?Tabhi..aaj dopaher ko woh isteefa de kar gayi school se..baaki ki teacher log baat kar rahe the..k abhi toh padhane aai thi..abhi kyon chali gayi..mujhe bhi bura laga..par ab yeh nayi Parjaijee ban kar mere itne kareeb aa rahi hain..."

Chaijee--Tu jaanti hai isko?

Saroj--Jee Taijee..humko Sanskrit aur Angrezi padhati hain...khair..ab toh yehi aana hai unko..main kabhi kabhar agar unse padhne aaoon..toh aap bura toh nahi maanengi?

Chaijee--Nahi..bilkul nahi..waise Saroj..yeh achhi lagti hai tujhe?

Saroj--Taijee..bahut achha padhaati hain..aur..haan..theek hi hain..zyada baat toh kisi se karti nahi hain..sab kahte hain k ghamandi hain..par aisa nahi hai..sab issi lia kahte hain.. kyonki yeh kisi faltoo baat me nahi padti..kisike baare me chugli nahi karti..khamokha kisiko pareshaan nahi karti..aur aise logon se door rehti hain..Taijee..bahut achhi hain nayi Parjaijee..


Raj ne kaha .."Saroj..tere lia ek achhi kitaab dhoondh k rakhi hai maine..dekhegi?Baojee k baithne k kamre me rakha hai maine.."


Saroj aai Raj k saath..Raj ne poochha ,"Sach bata Saroj..teri honewali Parjaijee ne sach me isteefa de dia?"

Saroj--Haan Veerjee..

Raj--Unko dekh kar tujhe kyaa laga?Matlab..naukri chhod kar unko bura lag raha tha?

Saroj--Veerjee..jitna maine unko dekha..woh koi bhi baat kare..unka chehra kabhi badalta nahi..naa hi dukhi lag rahi thi..naa hi khush..main samajh nahi paai..


*****************************

Raj apne kamre me baitha tha...ghoom soom..Chaijee aai.."Puttar..kyaa baat hai?"

Raj--Kuchh bhi toh nahi..Chaijee..


Chaijee--Kranti tujhe zara bhi pasand nahi?

Raj--Baat woh nahi Chaijee..sunne me yeh baat aai hai..k yeh jo hai..jisko aapne pasand kia hai..mere lia..jisse meri shaadi hogi..dimaagi taur pe bimaar hai..log kahte hain k woh paagal hai..

Chaijee--Teri Buajee ne jab mujhe Kranti k baare me bataya..tab maine bhi yeh socha..par main jab mili usse..mujhe toh theek hi lagi..uske Mamajee se pata chala..kaise uske Maa-Baap ki maut hui thi..aur uski Mami..mujhe nahi lagta k unhone kabhi dil se usse pyaar kia hain..shaayad yehi baat hai..k woh khul kar baat nahi karti kissi se bhi..khamosh rehti hai.. issi baat ka log ghalat matlab nikaalte hain..mujhe toh achhi hi lagi..dekhna Puttar.. uske saath tu khush rahega..aur yeh toh achha hai..kum bolti hai..din raat bolti rahegi toh tu kachehri ka kaam kaise karega?Tere Baojee,tujhse naraz hain,unko aur naraz mat kar.. unhe bhi ladki bahut pasand hai..woh toh ab yehi keh rahe hain k achha hua k us Lajjo se teri shaadi naa ho saki..varna itni achhi ladki kaise milti..hum sab ko bahut pasand hai..

Raj--Jee Chaijee...

Chaijee k jaane k baad Rajveer ka mann kia bhangda karne ko..dil se bahut bada bojh utar gaya..par ek baar Kranti se milna chaahta hai Raj..Sanjay bhi toh Nirmal se milta hai..

Raj ne himmat joota kar..Nirmal ko phone kia..asal me usko Kranti se baat karni thi..


Nirmal ne Kranti ko phone pakda dia.

Raj--Main hoon..Rajveer..

Kranti--Hmm..

Raj--Sab kuchh itni jaldi tai hua..main aapse baat nahi kar paaya..

Kranti--Ohh..ab?

Raj--Aap zara mujhse mil sakti hain?Kal?Mandir me?

Kranti--Nahi..Mamijee ne ghar se baahar jaana bandh kar dia hai..Nirmal Didi ko bhi ijazat nahi hai..unki shaadi ko aur ek hafta hi baaki reh gaya hai..

Raj--Haan..ussi din hum dono ki bhi shaadi hai..

Kranti--Mujhe..jaana hai..mere sar me dard hai..main baat nahi karna chaahti..rakhti hoon..

Raj--Par..Kranti..suno toh..Kranti...

Phone kat chuka tha..

Shaadi k theek do din pahle..Shri Charan Kaushik k ghar pe hungama hua..raat k andhere me Kranti bhaag rahi thi..Lovely ne usko pakad lia..aur Mami k saamne le gayi..Kranti k gaalon par Mami k unglion k nishaan pade..khari khoti sunne ko mili..Mamajee kyaa kahenge samajh nahi paaye...

Mami--Aaj iski saari padhai rang dikha rahi hai..badtameez ladki..tune yeh nahi socha k tere Mamajee ki izzat ka kyaa hoga?Nirmal ka kyaa hoga?Aur toh aur..tujhe Lala Kulbhushan Laal ki izzat ki bhi parvaah nahi?

Nirmal--Kranti..yeh kyaa bachpana hai?

Mami--Aur sar chadha isko..main kehti thi..k isko baahar mat bhejo..dekh lia anjaam..itna achha ghar mila hai..itna laayak ladka hai..aur Maharani par bhoot sawaar hai...bhaag kar kahan jaayegi?Apne Krantikari Tau k paas..jail me?

Mamajee kuchh keh nahi paaye..Kranti kuchh dino se pareshaan thi..yeh woh jaante hain.. Sohan Singh ko lekar woh bhi pareshaan hain,par Bhai Sohan Singh ne hi kaha hai..k jitni jaldi ho sake..Kranti ki shaadi kara di jaaye..

Mamijee Kranti ko kharikhoti sunane lagi..Nirmal samjhaane lagi..

Par sab kuchh sun kar bhi Kranti ne ek hi baat kahi.."Mujhe nahi karni shaadi..main Rajveer se shaadi nahi karoongi.."..


Edited by yakkudimag - 16 years ago

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

10 months ago

Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1013 page no 26 Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1013 page no 26

Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

3 years ago

Ranveer's unsaid feelings #13 updated episode 971 page 155

Welcome you all to the new thread of RANVEER'S UNSAID FEELINGS #13 Keep Travelling in the world of ISHVEER LOVE Warm Regards sakshi ❤️ Index...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

9 months ago

PreRish FF ~ Purity Of Souls (ch 6 - page 5)

[NOCOPY] P U R I T Y O F S O U L S T E A S E R "bungle ke piche teri beri ke niche aha re aha....kanta laga!!!" The song was too loud in the...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".