FF:Yeh Zindagi..Part 12 Page 19 16/02/10 - Page 12

Created

Last reply

Replies

147

Views

29.6k

Users

25

Likes

27

Frequent Posters

Bonai thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
Yeh Zindagi is going on a very natural way with strong R&K characters. Next part will be crucial. Raj is very clear in his heart abut his feelings for Kranti, he loves her and want her love back and after marriage he thinks it is his right. But how Kranti feels for his husband or as a person about Raj? It seems she is too ignorant about Raj, but now as they are sharing normal married life there should be some feelings from Kranti's side too, show that part also to us. Keep writing, shall wait for next part.
sasha722 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 16 years ago
the concern showed ofR 2wards k is so
natural, his love, belonging to her
i really loved the K character
Very Simple, kiddish, soft , a True by heart
selfless love 4 everyone
the best part dat she is shocked
dat she pregent.so innocent

Wait 4 the next part soon

namita25 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
ananya loved the update as usual.............😊
I was totally engrossed while reading it...................😳😳
so Raj wants Kranti to act the way he wants.............
you know I just love the way the character of Kranti is shaping up....
she is highly determined.....................and it seems she will act the way she wants to ............
waiting eagerly for the next part


Greenday thumbnail
Posted: 16 years ago

hey ananya...gud goin...please update soon...we all are waitin... :)

Dawn Idol thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
Ananya ... dear .... Wonderful ....
i read 2 parts together ..... loved it ..........
Raj is bent upon making Kranti's his .... in every way ...... almost bossing over her .....
Let's see how Kranti will react ......
Keep writing !!!!!!!
pennu thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 16 years ago
thanks lot for the update ananya...
so RK's life is going forward so fast...
but its sad to see that the true feeling and love is absent in their life....
will love read what is actually happening in K's mind...
yakkudimag thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
@ pennu

Yes..True feelings are yet to be expressed from Kranti's side..but don't worry..it will be expressed soon

@ Dawn Idol

Thanks..for the comment..keep reading..

@ Greenday

Updating is being hampered due to my exams..now I am free..

@ namita25

Raj is aggressive and Kranti is stubborn..let's see..what is next.

@ sasha722

Pregnancy is not an issue now..there will arise much more complications..

@ Bonai

Yes..you are right..life is not going to be so easy..it's going to be tougher..

@ aati1429

Raj is being stubborn..but all for Kranti..love for Kranti..


yakkudimag thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
Friends..last 2 months were hectic..my examinations were there..and then..I fell from the bike seat..my collar bone and rib got a great pain..thanks to God..no breakage..but I am back.. sorry for being so late.




yakkudimag thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago



PART 10


Kranti ka dum ghootne laga..ghar pe kaid ho kar rehna usko manzoor nahi..kisi bhi haal me nahi..aur gharwalon ki nazron se bachna bhi mushkil hi nahi..namumkin hai.Rajveer ka naya roop samajh me nahi aata..yeh woh Rajveer nahi jisse pehli baar mili thi Kranti. Rajveer ek pal k lia Kranti ko akela nahi chhodta.Maa banne ki khabar jab se mili hai.. Kranti khush hona chaahti hai..par is kaid se Kranti naraz hai.Woh pehli ladki nahi jo Maa ban rahi hai..fir ussi par aisa pehra kyun daal dia Raj ne?


Rajveer pareshaan hai..Kranti ko le kar..woh samajh sakta hai Kranti kaisa mehsoos kar rahi hai..par Rajveer koi risk nahi lena chaahta hai.Police ki nazar bahut tez hai in dino.. Kranti agar nazar me aai..toh khatra hai.Kranti agar Maa naa bhi bannewali hoti..toh bhi Rajveer aise sakhti karta..kyunki Kranti se badh kar aur kuchh nahi hai Raj k lia.Ab ek aur wajah jood gayi hai...Rajveer aur Kranti ka bachcha aanewala hai..ab toh aur pehra lagana hoga.Kranti bura maanegi..zid karegi..Raj ko ghalat samjhegi..par waqt aane par Kranti khud samjhegi k jo ho raha hai..jo Raj kar raha hai..Kranti k hi bhalai k lia.

Court me kai Police Officers milte hain..Raj bhaanp gaya hai..k Police jaal bichha rahi hai..


Raj court se lauta..tab shaam k saat baje hain...Chaijee ne kaha.."Puttar..bahut der kar di aaj.."

Raj--Chaijee..zaroori kaam aa gaya tha..sab theek hai?

Chaijee--Haan..tu haath muh dho le..main chai bhejti hoon..

Raj--Apni Chhoti Bahu se keh dijiye..wahi laa degi..aap aram kijiye..

Chaijee--Kranti?Woh toh nahi hai ghar par..

Raj--Kyaa?Kahan hai fir?

Chaijee--Nirmal aai thi..kuchh din Kranti ko apne saath rakhna chaahti hai..maine bhej dia uske saath.Do teen din baad tu jaa kar le aana..Sanjay k ghar se..

Raj--Jee..aap chai bhijwa dijiye.


Raj apne kamre ki taraf jaa raha tha..achanak usko laga..Madhumati ne usko ishare se bulaya..Raj thoda hairan hua..gaya Madhumati k kamre me.

Raj--Jee..Parjaijee..boliye..

Madhu--Nirmal aai thi..sach hai..par pura sach nahi hai.

Raj--Jee?

Madhu--Tum toh chale jaate ho kaam karne..peechhle teen din se..Kranti Nirmal ko phone kar rahi thi..k kissi bhi tarha..do yaa teen k lia..yehan se usko le jaaye..

Raj--Sanjay k ghar jaane k lia..Kranti ko itni mehnat kyun karni thi?Mujhse kehti..main court jaate waqt usko chhod deta wahan..

Madhu--Ek baat batao..Devarjee..Kranti tumhare saath khush nahi hai kya?

Raj--Jee?

Madhu--Fir Kranti Nirmal k gale lag kar ro kyun rahi thi?Bol rahi thi..k woh kaid ho kar reh gayi hai..in pinjre me..

Raj--Parjaijee..aaptoh jaanti hai Kranti ko..alag hai thodi si..din bhar school me padhati thi..ab ek dum se ghar pe rehna..uske lia bhi toh aasaan nahi hai..

Madhu--Kyaa pata...waise..Kranti kab tak lautegi?Kuchh pata hai aapko?

Raj--Chaijee ne toh kaha..k do teen din baad main jaa kar le kar aaoon usko..

Madhu--Haan..bhai..do teen din me uska kaam bhi ho jaayega..Lahore se Amritsar zyada door toh hai nahi..1 subha jaayegi..agli subha laut aayegi..fir tum usko le aaoge ghar par..

Raj--Ohh..haan..Amritsar..haan..kaafi dino se Kranti bata rahi thi..Amritsar jaana hai usko.. Harmindar Saahib me mattha tekna hai..main hi court k chakkar me fansa hua tha.. achha hai..Nirmal k saath jaayegi..Parjaijee..Kranti ghar par hai nahi..Chaijee ki tabiyat theek nahi..aise me..aap mera khayal nahi rakhogi..toh mera kyaa hoga?Kuchh toh rahem karo.. garma garam chai nahi peelayengi aap mujhe?

Madhu--Haan..zaroor..abhi laai..tum kapde badal lo..jaao..


********************************

Madhumati mann hi mann hansne lagi..Raj ne koshish toh achhi ki..par Raj itna achha vakil bhi nahi ban paaya hai..itni safai se jhoot nahi bol paata..uski zuban aur uski aankhe..dono alag hi baatein keh rahi thi..yeh baat toh tai hai..k Raj ko bahut bada jhatka laga hai..Kranti k is tarha ghar se jaane se..Raj kaafi gussa bhi hai..aur kaafi baukhla bhi gaya hai.Bada Tees maarkhan samajhta tha khud ko Raj..ek ladki par kaboo nahi kar paaya..Raj k naak k neeche se nikal gayi hai..kai baar..aur Raj kuchh nahi kar paaya.. Madhu ne pahle socha tha..Kranti ab shaant ho kar ghar pe rahegi..par nahi..aisi haalat me bhi..usme wahi josh hai..Kranti kaboo me aanewali hai nahi..Raj khamokha deewar se sar patak raha hai.



Raj ka dimaag tab hi garam hua tha..jab Chaijee se pata chala..k Kranti ghar pe nahi hai.. ab Madhumati ne aag me ghee daal dia.Kranti duniya bhar me cheekh cheekh k bayan kar rahi hai..k woh kitni dukhi hai..Raj kitna zaalim insaan hai..Biwi ko kaid kar k rakh dia hai usne.Nirmal kyaa sochti hogi Raj k baare me?Amritsar jaane ki baat kis lia uthi?Agar Kranti ko Harmindar Saahib me jaana hota..toh woh gharwalon se kehti..par Nirmal k ghar jaane ka bahana bana kar..is tarha jaane ka toh ek hi matlab hota hai..Amritsar me jaa kar Sohan Singh aur unke saathion se milna hai..Kranti kyun nahi samajhti..k kitna khatarnak hoga yeh raasta..


*********************************

Nirmal--Kranti..main kyaa kahoon?Rajveer tere Pati hain...unka hak hai tujh par..tu hi ukhdi ukhdi si rehti hai..insaan k bardasht ki had hoti hai..bas..tera bachcha ho jaaye..fir tu apna kaam fir se shuru karna..Raj toh itna hi chaahta hai..k aisi haalat me..tujhe koi nuksaan na pahooche..matlab..kissi bhi haalat me tujhe kuchh naa ho..

Kranti--Raj jaante the...k meri zindagi kaisi hai..sab jaan kar mujhse shadi ki..pahle badi badi baatein ki..ab mujhe kaid kyun kar rahe hain?

Nirmal--Kranti..dekh..hum Hindustani ladkian hain..kuchh bhi ho..humen parivar ki zaroorat hai.,.aurat ka farz ka daaira bahut bada hota hai Kranti..Krantikari k farz ka daaira hota hai uska desh..uske log..aurat k farz k daaire me puri kaayenat aati hai..yeh kaayenat aurat se hi banti hai..jis din tu yeh baat jaan legi..samajh legi..dekhna..us din Rajveer se itni naraz nahi rahegi..

Kranti--Main kyaa karoon?

Nirmal--Bas..khush raha kar..aise waqt par udaas nahi hote..

*********************************

Subha Rai Bahadur Kapoor k ghar pe..

Naukar ne darwaza khola..Rajveer khada tha...andar aaya...Kapoor Saab Chai pee rahe the..Nirmal aur Kranti rasoi me thi.

Kapoor--Arre..Raj Beta...aao..kaise ho?

Raj--Jee Sir..theek hoon..Sanjay kahan hai?

Kapoor--Aa raha hai..tum baitho..

Sanjay neeche hi aa raha tha..Raj ko dekh kar khush hua..bola,"Arre Raj..kaisa hai yaar..?"

Raj--Sab theek thaak..tu bata...

Sanjay--Pahle chai pee..Nirmal..dekho..Raj aaya hai..

Nirmal Naukar k haathon nashta bheijva chuki thi,,chai khud le kar aa rahi thi...bolne lagi.. "Bhai..maan gaye..kal shaam ko le aai Kranti ko..aaj subha aap aa gaye.."

Raj sharma gaya..

Kapoor--Main chala...mujhe zaroori kagzat dekhne hain..tum chaaron baatein karo.. Sanjay..Beta..aapki Mom kahan hain?

Sanjay--Garden me thi toh..

Kapoor--Theek hai..

Kranti rasoi se baahar aai..aur chauk gayi Raj ko dekh kar..

Sanjay--Kranti...Raj shayad tumko lene aaya hai..hai na Raj?

Raj--Haan..main lene aaya hoon..

Nirmal--Par..Chaijee se baat ki thi ..maine..Kranti kuchh din mere saath rahegi toh..

Raj--Humara ghar paas hi toh hai Parjaijee..jab mann chaahe aa jaayegi..rahne ki kyaa zaroorat hai?

Sanjay--Arre waah..kyaa baat hai!!!

Kranti--Main kal shaam hi aai toh..

Raj--theek hai..main court se roz gaadi bhej dia karoonga..tum dopaher k baad aa jaana yehan par..fir shaam ko tumko leta hua lautoonga..

Kranti ka chehra utar gaya..Nirmal muskura rahi thi..Sanjay bhi hans raha tha.

Nirmal--Jeejajee..shaadi k baad..mann tha..ek baar Harmindar Saahib me mattha tek aaye hum dono..main aur Kranti..


Sanjay--Haan..bhai..Nirmal mujhse keh rahi thi kal raat ko..


Raj--Koi baat nahi..hum sab chalenge..kal hi chalte hain..Chaijee,Baojee.Buajee.. Uncle.. Aunty..matlab sab log..

Nirmal--Yeh toh aur bhi achha hai..kyun Kranti..?

Kranti--Haan..achha hi hai..

Raj--Toh yeh baat tai hua..kal subha hum sab niklenge..Amritsar k lia..parso tak laut aayenge..theek hai?

Sanjay--Haan..bilkul theek..

Raj--Toh..hum chalte hain..abhi..taiyyari bhi karni hai..chalo Kranti..

Nirmal--Abhi?


Raj--Haan..abhi..kal subha nikalte hain sab...ab chalna hai..humen..


**********************************

Kulbhushan--Oooh...bahut dino se baahar nahi gaye..sab..


Chaijee--Haanjee..bahut din ho gaya...

"Toh chalte hain na Chaijee..kal hi..Harmindar Saab.."..yeh kahte hue Raj andar aa gaya.. Kranti ko saath le kar..


Chaijee--Arre..Kranti bhi chali aai?


Kranti--Jee..

Raj--Kal subha hum log chal rahe hain..Amritsar...kyun Baojee..theek hai na?


Baojee--Jeenda reh..mere mann ki baat keh di tune..


Raj--Toh..abhi main court jaata hoon..aap log taiyyari kar lo..shaam ko laut kar baaki ka intezam kar loonga main..aur haan..Sanjay aur Nirmal Parjaijee..aur Kapoor Saab..woh log bhi aa rahe hain saath me..


Kul--Aur bhi achhi baat hai..

Buajee puja kar k aa rahi thi..sun kar woh bhi khush ho gayi,boli ,"Kaake..bada nek khayal hai..Bibiraniiiiiiiiii..."

"Aai Buajeeeeeeeeeee..."

Madhumati aai...

Buajee--Kal subha Amritsar chalna hai..mattha tekne..Kewal aur apne lia taiyyari kar le..

Madhu--Sab log jaa rahe hain?

Buajee--Haan...

Madhu--Ghar khaali rakh kar?

Buajee--Ek hi din ki baat hai..Jagat rahega ghar pe..tu taiyyari kar..ghoom kar aayenge.. toh mann bhi achha hoga..



*************************************

Dopaher ko Kranti baagh me ghoom rahi thi..achanak se..ek aurat aai..roti hui..Kranti k paas..

Kranti--Bibi..kyaa baat hai?Ro kyun rahi ho?


"Kewal Lalajee ka ghar hai na?"

Kranti--Haan..

"Kyaa milega unko..humen barbad kar k?"

Kranti--Main samjhi nahi..batao..mujhe..main is ghar ki Chhoti Bahu hoon..

"Bibijee..mere Abbajee ne..matlab mere Sasoorjee ne..kuchh rupai lie the udhaar me.. Kewal Lalajee se..tai hua tha..paanch rupai byaaj lenge sau k hisaab se..ab baat se fir rahe hain..ab unko pachis rupai byaaj k taur par chahie..hum bahut ghareeb hai..mere khasam k ilaaj k lia paise lie the,woh toh guzar gaye maheena bhar gaya,ab bolo.. Bibijee..hum yeh paise kahan se de?Itna jyada paisa!!"

Kranti--Naam kyaa hai tumhara?

"Jee..Rahela Khatun..mere marhoom shohar ka naam hai..Hamid Akram Noor..Sasoor ka naam hai..Noor Baksh Amin..Kewal Lalajee se Abba aksar paise lete the..dukaan hai humara..waqt par paisa lauta bhi dete hain...kuchh garbar nahi tha..par ab k..Kewal Lalajee ne aisa kia..hum ghareeb dukaandar..kahan se laaye itna paisa?"

Kranti--Rahela..Bibi..main dekhti hoon..main koshish karoongi..tum rona bandh karo..main baat karti hoon..gharwalon se..abhi jaao..baad me milna..

Rahela--Bibijee..main Lahore ki nahi..hum log Amritsar k hain..aaj mushkil se Lahore aai..dobara aane ka..kharcha kahan se laoon?

Kranti--Achhi baat hai..suno..kal hum sab log wahi aa rahe hain..Harmindar Saab jaayenge..tum mujhe wahi milna..

Rahela--Jee Bibijee..shukriya..Abbajee k paas mere alawa aur koi nahi..aap hi kuchh karo..


Kranti--Haan..kal milna..tum..ek kaam karo..ruko..mere saath aao..

Kranti sab ki nazron se bacha kar..Rahela ko apne kamre me le gayi..usko ek khat dia.. boli.."Mera Maaika Amritsar me hain..isme mere ghar ka pata hai..wahan par jaao..yeh khat dena..tumhari madad zaroor karenge..mera naam lena..ghar me yaa toh mere ek Taujee honge..yaaa fir..Prem Babu naam k koi..yaa fir Shubhankar naam ka ek admi hoga..tum unse madad maango..paise mil jaayenge..aur paise tum Lalajee ko dena..theek hai?"

Rahela--Jee..Bibijee..shukriya..

Rahela chali gayi..

*********************************

Raj k study me baith kar Kewal usse baat kar raha tha..

Kewal--Noor Baksh ne paise lie hain..ab lautane ka naam nahi kar raha hai...

Raj--Usko kuchh waqt aur dijiye..Bhaisaab...

Kewal--Do maheene se waqt de raha hoon..Raj..uska ghar kabza karna hi achha..byaaj k paise aur asal ki wasooli hogi..

Raj--Is tarha kisiko beghar karna theek na hoga Bhaisaab..

Kewal--Tu karobar ki baariki nahi samajhta..kitno ka byaaj maaf karenge bhai?Humara karobar bhi chalna chahie..

Raj--Sirf ek hi karobar toh nahi hai na..Bhaisaab..?Doosre bhi karobar hain humare.. ghareeb ko beghar mat kijiye..uska beta mara hai..maheene bhar pahle..aap itne kathor mat baniye..

Kewal--Tu kanooni madad karega k nahi..yeh bol..baaki main samajh loonga..Amritsar jaa hi rahe hain hum sab..wahi par rehta hai woh Noor Baksh..

Raj--Harmindar Saab mattha tekne jaa rahe hain Bhaisaab..aisa kaam karna theek nahi..

Kewal--Tu mera kaam karega k nahi?

Raj--Main pahle us admi se miloonga..fir faisla karoonga..

Kewal--Chal..yehi sahi...kal ka din aane de..

***********************************

Amritsar pahooch kar pehla kaam yehi kia sab ne..Harmindar Saahib me mattha teka..fir Kewal Raj k saath chala gaya Noor Baksh k ghar,Rahela ghar par nahi thi..Kranti k kahe mutabik woh uske ghar gayi thi..Shubhankar mila bhi.Kranti ka khat milte hi Shubhankar paise le kar Rahela k ghar k lia chal pada..Rahela ko le kar..par fans gaya..Police checking ki wajah se..der ho gayi...vaakei me der ho gayi.

Kewal--Noor Baksh..Mian..mere paise kab de rahe ho..?

Noor--Lalajee..maine kabhi der nahi ki aapke paise lautane me..ab k der ho rahi hai.. jawaan Beta mara hai mera..kuchh toh rahem karo..

Kewal--Toh main kyaa karoon?Mujhe bhi jawab dena padta hai..mere Baojee ko..

Noor--Bade Lalajee..itne berahem nahi ho sakte..aap aisa naa kaho..Kewal Lalajee..

Raj--Bhaisaab..inki haalat dekhiye..inko..waqt milna chahie..Bhaisaab..itna bura hua hai inke saath..bimaar lag rahe hain..chaliye..

Kewal--Noor Baksh..tumhara Beta mar gaya hai..tumhari Bahu nazar toh nahi aa rahi hai..

Noor--Lalajee..woh paison k lia yehan wahan ghoom rahi hai..kahin se bhi paison ka intezam ho..aapko paise mil jaayenge..bas..thoda waqt aur..

Kewal--Nahi..aur waqt nahi de sakta...

Raj--Bhaisaab..aisa mat kariye..itne se paison se yeh kitne ameer honge..aur kitne ghareeb hum ban jaayenge?Bhaisaab..




*****************************************

Rahela se uska ghar ka rasta maloom kia tha Kranti ne..dekha Raj nahi hai..toh Nirmal aur Sanjay ko le kar nikal padi..Rahela k ghar k lia..galli me jab pahoochi..tab dekha Rahela Shubhankar k saath aa rahi hai..

Shubhankar--Kranti...kaisi ho?

Kranti--Theek hoon..paise die isko?

Rahela--Haanjee..mil gaye..Police ka pehra tha..fans gaye the raste me..

Kranti--Kaunsa ghar hai tumhara?


Rahela--Aaiye..chailye..dikhaati hoon..



Aate waqt Sanjay aur Nirmal ko sab bataya tha Kranti ne..

Ghar k andar jaate hi jo nazara dekha..uske lia koi taiyyar nahi tha..

Kewal dhamka raha tha..Raj rok raha tha..

"ABBAJEEEEEEEEEEE...."..Rahela cheekhi..Noor Baksh ko paseena aa raha tha..Rahela dauri...Shubhankar gaya uske peechhe..Noor Baksh ko dil ka daura pada...

"ABBAJEE KO BACHAO..KOI..DOCTOR KO BULAAO...BIBIJEEEEE...."

Sanjay--Main Doctor ko dhoondh kar laata hoon...Kranti ka khayal rakho..

Raj khud chauk gaya tha..Kranti ko dekh kar...kaha.."Kranti..tum?"

Kranti ne thandi awaz me jawab dia.."Rahela kal aai thi..Lahore..humare ghar..usne sab bataya...paison ki zaroorat thi..maine socha..koi jhamela naa kar k paise lauta dene me samajhdaari hai..maine Rahela ko Shubhankar k paas bheja..paise le kar Shubhankar Rahela k saath idhar hi aa raha tha..maine bhi socha..Rahela se milti chaloon..par aap ko is tarha dekhoongi..yeh na socha tha.."

Raj--Main Bhaisaab ko rok raha tha...

Kranti--Agar rokna chaahte..toh unko le kar yehan tak nahi aate..kyaa mila?Ek bimaar insaan k saath aisa kar k..kumzor k upar hi zor azmana jaante hain aap log..taakatwar logon ka kyaa bigaad lia aaplogon ne?Unki Jee Huzuri karte zuban nahi thakti aap logon ki..


Rahela Noor Baksh k seene me apna haath ragad rahi thi..ro rahi thi.. "Abbajee..bas.. Doctor ya Hakim Saab ko le kar aate hi honge woh Saab..aap himmat mat haarna.. bas.. thodi sabar rakhen.."

Shubhankar--Inko leta do..pankha karo..Nirmal..paani laao..Kranti..apne Shohar se baat baad me karna..yehan inki jaan jaa rahi hai..yehan aao..


Kranti--Haan..aa rahi hoon...

Kewal--Yeh kyaa ho gaya bhai?

Raj--Aapko mana kar raha tha Bhaisaab..dekh lia aapne?


Doctor nahi mila..Sanjay ek Hakim Saab ko le kar aaya ...

Hakim ne Noor Baksh k..nabz dekhe..aur bole.."Allah inki rooh ko sukoon bakshe..thodi der pahle inka intekaal ho chuka hai.."


Rahela toot padi uske Abbajee k seene me..ro rahi thi..Shubhankar uth kar khada hua.. bola.. "Woh guzar gaye hain..janaze ka intezam karna hai..main aata hoon..rishtedaron ko khabar bhej do Bibi.."

Udhar Lalajee pareshan the..baaki sab pareshaan the..Sanjay ne maholle k ek ladke k haathon ek khat bhijvaya..apne Dad k paas.Sab kuchh likha tha ..woh log shaam k pahle laut nahi paayenge..sab saath me hain..yehi bharosa hai..


****************************************

Marhoom Noor Baksh Amin k is duniya me kuchh zyada rishtedar nahi the..aas paas k log aaye..janaze ko kandha dene..dopaher tak unko dafnaya gaya..Rahela zinda laash ban chuki thi..kuchh din pahle shohar ki maut..ab Abbajee bhi chal base..is puri duniya me is yateem ka aur koi nahi tha..Nirmal aur Kranti Rahela ko le kar ghar par the..Shubhankar

gaya logon k saath kabarstan..Kewal jaane wala tha..Rahela chilla uthi.."NAHIIII..TU NAHI..LALA..ABBAJEE KI BEIZZATI HAI YEH..TU NAHI..DONO DAFA HO JAAO.."

Kranti--Rahela..woh jo khade hain..Lalajee k saath..mere shohar hain..

Rahela--OHH...YEH HAI VAKIL SAAB..LALAJEE KAI BAAR INKI NAAM KI DHAMKI DE CHUKE HAIN HUMKO..AAJ DEKH BHI LIA..KYAA KAR SAKTE HAIN YEH..

Raj--Aap gusse me hain...agar mujhe aisa karna hota..toh yehan tak nahi aata..court se notice bhejta..main aaya tha..aapka haal maloom karne..yakeen maaniye..aap ki haalat main Baojee ko batata...woh aapko aur waqt dete..kyaa pata..apka karza
maaf karte..par usse pahle aapke Abbajee ko dil ka daura pad gaya..meri begunahi aapke Abbajee bata sakte the..par ab woh rahe nahi..main kyaa karoon?

Rahela--Mare hue ka naam le kar kuchh bhi bolna aasaan hai Vakil Saab..

Raj--Apni safai me main kyaa kahoon?Mujhe kos kar aapko shaanti milti hai..toh yehi sahi Bibi..par main begunah hoon..



Kranti chup chaap baithi rahi...uska gussa dheere dheere badh raha tha..

Shubhankar laut aaya...bola.."Main dena bhool gaya tha..Lala Kewal Laal..aapke paise..geen lijiye..poore hain k nahi.."

Kewal--Main...Oo Bhai..main aisa nahi chaahta tha..sach me..


Shubhankar--Aap apna paisa chaahte the...lijiye..aur dafa ho jaaiye..

Kewal chala gaya..

Raj khada tha..

Shubhankar--Barister Saab..ab aapka yehan kyaa kaam?Aap kyun rooke hain?

Raj--Rahela ko Kranti ki zaroorat hai..aur Kranti ki akela main chhodoonga nahi...

Shubhankar--Haan..main toh bhool hi gaya..aap Kranti k shohar hain,...Sohan Singhjee ko bada naaz tha..k Kranti ka biha aapse hua hai..fikar mat kijiye..unko pata nahi chalega.. unki ghalatfaimi bani rahegi..kabhi nahi jaanenge..k jiske haath me Beti ko saunp kar befikar hain..woh insaan kitna bada khudgarz hain..jiska koi imaan nahi..jiske dil me koi rahem nahi...


Raj--Listen..Mr...

Shubh--Mera naam Shubhankar hai..

Raj--Aap kuchh zyada bol rahe hain...

Shubh--Kranti k shohar ho..issi lia bol raha hoon..koi aur hote..toh zameen me gaar deta ab tak..

Kranti--Shubhankar..soch kar bolo..kyaa bol rahe ho..dimaag theek nahi hai tumhara..

Shubh--Tumhe kyaa hua hai?Tumhe kyaa hua tha..jab tumne aise ghatiya admi se shaadi ki thi?Sochna aur samajhna bandh ho gaya tha..tumhara?Haan?Ab is ladki ka kyaa hoga? Iska koi nahi tha..shohar tha jo chal basa..abhi iska aakhri sahara..iska sasoor chala gaya.. ab iska kyaa hoga?Bolo..jawab hai tumhare paas?


**************************************

Shubhankar Rahela ko..uske maholle k auraton k zimme chhod kar ghar aaya..yeh wada kia usne Rahela se..k jaldi hi uske lia kuchh karega..taa k aage ki zindagi Rahela chain se jee sake..Sanjay Kapoor Saab ko sab batane laga...Lala Kulbhushan bhi the..Kranti khadi thi..

Kul--Bahu..tune mujhe kyun nahi kaha?

Kranti--Kyaa kehti Baojee?Socha..parivar me jhamela kar k kyaa faaida..aasaan sa rasta nikaal dia..taa k sab ki baat ban jaaye..Jethjee ko paise mil jaaye..aur us ghareeb se uska ghar naa chheen jaaye..intezam sahi kia tha..par itne kam waqt me aisa hoga..mujhe kahan pata tha?Aur main kaun hoti hoon..karobar k beech kuchh kahnewali?


Kul--Oye..mera karobar ..kisi mazloom ki jaan se zyada nahi..Kewal..tune sahi nahi kia..ab us mazloom ki bad-dua ka asar..akele tujhe nahi..hum sab ko bhugatna hoga..main tere ko bataoon..mujhse poochhna zaroori nahi tha?

Kewal--Baojee..main..

Kul--CHOOP KAR....DOOR HO JAA..MERI NAZRON SE..

Chaijee--Shubh shubh bolo jee..aisa mat kaho..

Kul--Aur fir kyaa boloon main..tu bata...tere sapoot ne muh kala kar dia mera..ab us bechari ladki ka kyaa hoga?


Kranti--Uski fikar aap naa kare..usko koi takleef nahi hone dega Shubhankar..


Kul--Yeh kaun hai?


Kranti--Hum saath hi bade hue hain Baojee..mere bachpan ka dost hai..Noor Baksh k janaze ka intezam ussi ne kia..Rahela ko kuchh nahi hone dega woh..aap fikar naa kare..

Kul--Chalo..koi toh hai..mere ghar me..jo soojh boojh se kaam karti hai..tu jaa..Bahu.. Bahen..isko le jaa..thaki hai..aram karne de isko..hum do roz aur rookenge yehan..main us ladki se milna chahoonga..aur Kranti k dost se bhi..nek bachcha laga mujhe..Shubhankar..milna hai usse..Sanjay..teri zimmedari hai yeh..k tu mujhe Shubhankar se milvaye..

Sanjay--Jee..

Kul--Oye Raj..tu kyaa kar raha tha?Jab tera Bhai aisa anarth kar raha tha..


Raj--Baojee..main issi lia milne gaya tha..taa k unki haalat dekh kar aapko bata sakoon aur unke lia aur waqt maang sakoon..mujhe yakeen tha..aap unka karza maaf karenge..par Mian Saab ko dil ka daura pad gaya..main doshi hoon Baojee..mujhe pahle hi aapko batana chahie tha..

**************************************

Raj Kranti k paas aaya..Kranti taiyyar hi thi..Raj par barasne k lia..

"Kyaa mila?Aisa kar k?Amritsar tak mera peechha karna kum nahi tha?Harmindar Saab me mattha tekne k bahane yeh sab karna tha tumko?Apne Bhaisaab ko kyun nahi roka? Ghareeb ki bad-dua se darr nahi laga tumko?Kal dopaher ko Rahela aai thi mere paas... maine uske haathon khat dia..Shubhankar k lia..maamla nipat jaata..par nahi..tumko beech me aana tha..ghareeb admi ko dhamkana tha.."
..Kranti bole jaa rahi thi..

Raj--Main kyaa kahoon?Haalaat ki wajah se doshi ban gaya hoon..Shubhankar ne jo kaha.. mujhe bura laga..par maine kuchh nahi kaha..kyunki uske saamne mujhe kuchh saabit nahi karna tha..par Kranti..tum bhi mujhe hi doshi maanti ho?


Kranti--Ek wajah bata do..jisse main tumko gunahgaar naa manoon...

Raj--Kranti..aaj tum gusse me ho..tumhari baaton ka bura nahi manoonga..mujhe bhi dukh hai..Noor Baksh k lia..Rahela k lia..us mazloom parivar k lia..main itna gaya guzra nahi hoon..Kranti..asal baat toh yeh hai..k Prem Babu k press chheen jaane k lia tumhara gussa abhi gaya nahi..upar se yeh haadsaa..main aur bhi doshi ban gaya..yakeen karo..main kuchh nahi kia..us waqt main Doctor ko lene jaa sakta tha..par ghar par koi nahi tha.. Bhaisaab k zimme kaise chhod deta?

Kranti--Ohh...sach?

Raj--Sach hai..Kranti..par tum dekh nahi paa rahi ho..kyunki,tumhara mann pahle se khatta ho chuka hai..meri wajah se..YEH ZINDAGI..tumne likhi hai..bahut achhi likhi hai.. par yeh zindagi sirf safed yaa kala nahi hota..sahi aur ghalat nahi hota..sach aur jhoot nahi hota.. beech me bahut se pehlu hote hain..ussi bhanwar me yeh zindagi fansi hui hai.. zindagi par kitaab likhna aasaan hai..Kranti..par..zindagi ko samajhna itna aasaan nahi.. uske lia zindagi puri tarha se jeena padti hai..Kranti..tum woh zindagi jeena hi nahi chaahti..bas.. ek chattaan sa khada kar dia hai..hum dono k beech..ek lakeer hai..ek barf ki deewar hai..yeh doorie..sirf humdono ka rishta nahi..hum dono ki zindagi kharab kar rahi hai.. main us doorie ko meetane ki koshish kar raha hoon..sachche dil se..par tumhare kadam uthte hi nahi..main kyaa karoon?Kadam badhao..pehla kadam badhao..fir dekhna baaki ka safar bhi aasaani se tai kar logi..jis din yeh doorie khatam ho jaayegi..us din shayad tum mujhe jaan jaao..samajh jaao..main ussi din ka intezar karta hoon..har roz..har pal..

Kranti--Kab tak karoge intezar?

Raj--Yeh zindagi kaafi hogi Kranti?Yaa aur bhi waqt lagega..tumko..apne dil k darwaze mere lia kholne k lia?Aaj ..ek baat apne dil se kehta hoon..pure hosh me..yeh zindagi.. tumhare naam main kar chuka hoon..yeh zindagi..tumhare lia..tumhare saath..tum ho..toh sab hai..varna kuchh bhi nahi hai..yeh zindagi sirf desh k lia ladhna nahi...yeh zindagi..har zindagi me is pure jahan k raaz hote hain..bas..unko dekhne k lia aankhe kholne ki der hai..aankhe kholo Kranti..sirf ek insan ban kar is zindagi ko dekho..dekhna..fir koi pareshaani nahi rahegi..naa main itna bura lagoonga..naa meri mohabbat tumko pinjar lagegi....



Bonai thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
Thank god you r well now and good u r back, we were waiting for ur updates, Hopefully ur exams also went good, saved this part, will come back with comments later. take care
Edited by Bonai - 16 years ago

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

10 months ago

Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1014 page no 26 Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1014 page no 26

Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...

Expand ā–¼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ā–¼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

3 years ago

Ranveer's unsaid feelings #13 updated episode 971 page 155

Welcome you all to the new thread of RANVEER'S UNSAID FEELINGS #13 Keep Travelling in the world of ISHVEER LOVE Warm Regards sakshi ā¤ļø Index...

Expand ā–¼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

9 months ago

PreRish FF ~ Purity Of Souls (ch 6 - page 5)

[NOCOPY] P U R I T Y O F S O U L S T E A S E R "bungle ke piche teri beri ke niche aha re aha....kanta laga!!!" The song was too loud in the...

Expand ā–¼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ā–¼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".