PART 11
Rahela ko Shubhankar k hawale kar k..Kranti Lahore laut aai.Par aankhon k saamne humesha wahi nazara chhaya rehta hai.Pal bhar k lia chain nahi hai..Raj doshi hai..jaane anjaane me woh bhi is paap ka bhaagidar bana..yehi baat Kranti ko chain se rahne nahi deti hai. Ho sakta hai court me Raj British Sarkar k lia jo cases ladhta hai unme bhi bahut Hindustanion k jaan par ban aati hai..Sohan Taujee toh faraar ho gaye..par bahut se aise Krantikari hain jinke khilaaf Raj ladhta hai..unka kyaa?
Din guzar rahe hain..par haalaat bad se badtar ho rahe hain.Kranti k andar jo dheere dheere bada ho raha hai..yaa badi ho rahi hai..uska wajood ahista ahista Kranti ko apne lapete me le rahi hai.Kranti ki aulad ussike wajood par bhaari padh rahi hai..aise waqt par jisko sab se zyada kareeb laana chahie..ussi se Kranti bahut door jaa rahi hai.Rajveer sab kuchh dekhta hai..samajhta hai..par kyaa kahega samajh me nahi aata usko..Doctor ne keh dia hai..aise tanav me agar Kranti rahegi toh uske lia theek nahi.Raj ko khud par gussa aata hai..kyunki woh sab kuchh dekhte hue bhi kuchh nahi kar paa raha hai.
Saroj aati hai,Kranti k paas,padhne..chori chhupe aaj kal Saroj English novels bhi padhne lagi hai..Kranti se usne poochha,"Parjai..kya do bahut alag insaanon k beech pyaar ho sakta hai?Agar ho jaaye toh kisi ek ko toh peechhe hatna padta hai..samjhauta karna padta hai..yehan likha hai.."Love is not pity.."..main kuchh samajh nahi paai.."
Kranti--Of course,love is not pity..being in love never means that you have to loose your individuality..in love,if you owe something..you deserve something too.Par baat kyaa hai? Tu aaj kal aise novels padhne lagi hai,bataoon tere ghar me..?
Saroj--Nahi..aisa mat karo..par yeh kahani..Daniel aur Simon ..itne alag hai ek doosre se.. itne alag insaano me pyaar hota bhi hai?
Kranti--Tu school ki kitab padh..aise kitab padhegi toh dimag kharab ho jaani hai..imtehan sar pe hai..novels padhna chhod..
Saroj--Ek baat batao..naam kyaa socha hai?
Kranti--Kiska?
Saroj--Arre..honewala ya honewali jo hai..kyaa naam rakhoge uska..?
Kranti--Tere Veerjee ne socha hai..agar Beta hua toh Sooraj..agar Beti hui toh Seher..
Saroj--Aapne kyaa socha?
Kranti--Raunak..ek hi socha.Beta ya Beti..jo ho..dono par Raunak naam sahi banta hai..tere Veerjee ka naam R se shuru hota hai..iska bhi naam R se hoga..
Saroj--Waah..achha main ab chali.Mujhe ek saheli k ghar jaana hai..
Kranti--Achha..aur haan..jitna bhi aaj padhaya maine..dhyaan se aur padh lena..
Saroj--Haan..chalti hoon..
**********************
Raj kamre ki taraf hi aa raha tha..jab usne Kranti aur Saroj ki baatein suni.."Love is not pity..being in love never means that you have to loose your individuality..in love,if you owe something..you deserve something too."..hmm,achha hai,puri duniya ko paath padhanewali Kranti..khud kyun yeh nahi samajhti?Par saath hi saath Raunak k baare me jaan kar achha bhi laga..
Raj ko kamre me aate dekh..Kranti uth kar gayi uske paas..poochha,"Chai laaoon?"
Raj--Nahi..tum baitho..neeche jaaogi..aur fir upar..Chaijee ko kaha hai..waise Saroj aaj kal bahut novels padhne lagi hai..
Kranti ka chehra safed ho gaya,"Tum chhip kar humari baatein sun rahe the?",Kranti ne poochha..Raj ne kaha ,"Isme chhipne ki kyaa baat hai?Main kamre ki taraf aa raha tha..tum dono ki baatein sunne me aai..sach me..kya do bahut alag insaan ek doosre se pyaar kar paate hain?"
Kranti--Zyada alag hona..doorie ki wajah ban jaati hai..
Raj--Humari tarha ..nahi?
Kranti--Aisa maine kab kaha?
Raj--Kahne ka matlab toh yehi tha..khair..kabhi mujhse toh nahi kaha Raunak k baare me.. tumne itna achha naam socha..mujhe toh bataya hi nahi..
Kranti--Malum ho gaya na..bas..ab bahes ka koi matlab nahi banta..
Raj--Rajveer ka Raunak..ya Rajveer ki Raunak..waise Raunak toh do hain meri zindagi me.. ek tum..Raunak Randhawa k naam se kitaab likhti ho..aur aanewala woh ..jiska naam Raunak hoga..
Kranti--Raunak Randhawa k baare me kaun sochta hai?Tumne toh usko kaid kar dia hai..
Raj--Humesha aisi baat kyun karti ho?Tumhari hifazat k lia hi toh..
Kranti--Achha..tum jeete,main haari..ab kapde badal lo..
*****************************
Aadhi raat ko Kranti ki neend toot gayi..aksar hota hai aisa..andar hi andar kuchh mehsoos hota hai..Raunak beech beech me haath paao maarta hai.Kranti uth kar baithi..Raj ki bhi neend tooti..usne poochha,"Kyaa hua?Uth kyun gayi?"
Kranti--Wahi..pair maar raha hai..sone nahi deta..
Raj--Zyada taqleef ho rahi hai..?Chaijee ya Buajee ko bulaoon?
Kranti--Nahi..roz ki baat hai..tum so jaao..
Raj--Doctor ko bulaoon?
Kranti--Nahi..kaha na..jaise tum waise yeh..mujhe pareshan karne me dono ko maza aata hai..
Raj--Hmm..samjha..
*****************************
Kranti ka waqt pura ho gaya hai..Raj chaahta hai k uska bachcha hospital me ho..Doctor ki dekh rekh me..Kranti ki haalat dekh kar gharwale bhi yehi soch rahe hain..do ek din me hi Kranti ko hospital me bharti karane ki baat hai.Buajee aai.."Kranti,Kaake ka woh coat de.. dhulne k lia dena hai..aur haan..zaroori kagzat ho toh nikaal lena ..Kaake bahut naraz ho jaata hai.."..Buajee khadi rahi..Kranti Raj k coat k pocket se kuchh parche nikaalne lagi..zyada tar chhootte paise aur handnote..par ek khat bhi tha usme..Kranti ne coat de dia..Buajee ko..
Buajee--Zaroorat ka saman ek bakse me rakh le..pata nahi kab aspatal jaana pade..
Kranti--Jee..
Buajee chali gayi..Kranti ki nazar khat par padi..lifafe me Kranti ka naam tha..matlab khat Kranti k lia tha..Kranti ne khat padhna shuru kia.khat me taarikh hai ek maheene pahle ka..
"Kranti,
Jab tak tumko yeh khat milega..pata nahi main zinda bhi rahoonga ya nahi.Police ko na jaane kisne khabar dia tha k main Amritsar me tumhare ghar me hoon..Rahela thi mere saath.Ek raat jab main apne kamre me baithe manifesto taiyyar kar raha tha..achanak Rahela k cheekhne ki awaz aai..British Police pahooch chuki thi ghar me..Rahela k saath badsulooki karne laga tha do gore officer..maine unko wahi dher kar dia..par mujhe andaza nahi tha k Police k aur log chaaron taraf se ghar ko gher chuke the.Rahela ko le kar main bachte bachate ghar k peechhe tak pahooch gaya..jab Police humen dhoondh nahi paai..toh ghar me aag laga di..socha aag dekh kar main baahar aa jaaunga..kisi tarha main Rahela ko le kar wahan se bhaagne me kamyab ho gaya..yeh khat main tumko Allahbad se likh raha hoon .Rahela ko uski ek Mauseri Bahen k ghar hifazat se pahoocha dia hai..uski fikar mat karo.. main yahan nahi rookne wala..main nahi chaahta meri wajah se Rahela ko aur koi taqleef uthani pade..mujhe yeh bhi nahi malum k kal ki subha dekhunga bhi ya nahi..mujhe dekhte hi goli maar dene ka order hai..agar zinda pakda toh seedhe Kalapani bhej denge..main tumko yeh sab sirf is lia bata raha hoon..k kisi bhi haal me tum Amritsar mat aana..agar aa bhi jaao..toh doosre kisi ghar me rooko..apne ghar me mat jaao..Police ki nazar hai..tum agar gayi toh Police ki karvahi tum par bhi hogi..yeh main nahi chaahta..Prem Babu us waqt Amritsar me the nahi..unki fikar mat karna..zindagi rahi toh fir mulakat hogi..
Tumhara dost
Shubhankar"
Kranti k aankhon k saamne andhera chhaa gaya..ek maheene pahle yeh khat Shubhankar ne likha tha Allahbad se..Raj ne usko yeh khat nahi dia.Kranti ka ghar jal gaya.. Shubhankar bhaagta fir raha hai..aur itni badi baat Rajveer ne usko batana zaroori nahi samjha?Aur Shubhankar us ghar me hai..yeh khabar Police ko kisne di?Kahin Rajveer ne hi toh..agar yeh sach hai..nahi..Raj aisa nahi kar sakta..
**************************
Raat ko Raj sar pe haath rakh k baitha raha..Kranti ne jhagda nahi kia..sirf itna kaha ,"Agar tum mujhe yeh khat de dete,toh tumse nahi kehti k Shubhankar ko bachao..tumhe tumhari Baristery mubakar ho..par yeh haque tumko nahi hai k tum itni badi baat mujhse chhupao.. k mera pushtaini ghar jal gaya.."
"Mujhe maaf kar do..maine yeh baat issi lia chhupai..kyunki ghar jal gaya ..ab kyaa batata tumko?Tumhari pareshani aur taqleef aur badh jaati..tumhe taqleef me dekh nahi sakta Kranti..Doctor ne mana bhi kia tha..mera yakeen maano.."..Raj baat puri nahi kar paaya.. Kranti ne kaha.."Khaao Raunak ki kasam..Police ko tumne yeh khabar nahi di.."
Raj--Kranti..yeh kyaa keh rahi ho?
Kranti--Kasam khaao..
Raj--Kyaa bachpana hai..!!
Kranti--Agar yeh kaam tumne kia hai..toh Raunak ki shakal bhi nahi dekh paaoge..
Raj--KYAA BAK RAHI HO?HOSH ME HO??
Ussi raat ko Kranti ko le kar gharwale hospital gaye..gharwale sab darr gaye the..aadhi raat ko kyaa ho gaya..subha tak Kranti ki haalat bahut zyada kharab thi..Kranti behosh padi thi..
***************************
Hospital se Kranti sooni goad le kar waapas aai..mari hui bachchi paida hui thi usko..Raj ka dukh aur badh gaya jab Kranti ne uske saath apna ghum baatne se inkaar kar dia.Ghar me dukh ka maahol..upar se Kranti ki berukhi..Raj ko samajh nahi aa raha tha k kahan jaaye,kyaa kare..sara gussa pahle gaya Shubhankar par..fir khud par gussa aaya..khat padh kar usko faadh k fekna tha..kyaa zaroorat thi usko pocket me lie ghumne ki..?Aur sab se badi baat..Kranti ki aankhon me ek boond ansoon tak nahi hai..Shubhankar k baare me jaan kar jis ladki par yeh asar ho sakta hai..k uski bachchi mari hui paida ho..aur mari hui bachchi k baare me jaan kar jiski aankhon me ek boond ansoon nahi..uske baare me kyaa keh sakte hain?
Kranti shaayad Shubhankar se pyaar karti thi..yaa aaj bhi ussise pyaar karti hai..bas dosti k aadh me chhupe pyaar ko nahi samajh paai aur Raj bewakoofon ki tarha Kranti k peechhe pada tha.ghar jal gaya toh Raj kuchh dino bad intezam kar deta..taa k ghar ki marmmat kar di jaaye..par yeh kaisa bartav hai Kranti ka?
Pahle dukh tha,ab dukh k saath jama hua gussa aur shak..
****************************
Naureen ne kaha Rahela se.."Tu ladkion ko seelai bunai ka kaam sikhana shuru kar..tera mann bhi bahel jaayega..aur kharch k lia tujhe kisike aage haath nahi failana padega, waise tu dobara nikaah kyun nahi karti?Yehan mere sasooral k bahut log hain..tere lia rishta milna mushkil nahi hoga..".
Rahela--Apa..mujh badsurat k saath kaun nikaah padhvayega?Aur ,kabhi,kisi din Shubhankar issi raste se guzra ,agar mujhe dhundhne laga..tab kyaa hoga?
Naureen--Woh Krantikari gaya apne raaste..pata nahi zinda bhi hai yaa nahi..
Rahela--Apa..usne mere lia jo kia..uska karz main zindagi bhar nahi chuka sakti...us raat asani se bhaag sakta tha..par meri jaan bachate hue khud zakhmi ho gaya..main itni khudgarz nahi..Shubhankar kabhi na kabhi toh mujhse milne aayega..
Naureen--Sun meri baat..tere Dulha Bhai k ek Chachere Bhai hain..haal hi me unki Biwi ka intekal hua hai..chaar bachche hain..bachchon ko Maa mil jaayegi..aur mujhe nahi lagta..woh inkaar karenge..
Rahela--Nahi..Apa..main yeh nahi kar sakti..aap zor mat daaliye..
Naureen--Jaisi teri marzi..
Rahela ne apna chehra aaine me dekha..aag se bach toh gayi..par ek nishaan reh gaya uske chehre se gardan tak..chehra jhulas gaya tha..aur fir Shubhankar..uska intezar bhi hai..Shubhankar bol gaya hai..k beech beech me Kranti ko khat likhti rehna..khabar lena woh kaisi hai..agar koi musibat aaye..toh Kranti ko khabar bhejna..woh zaroor madad karegi..
*********************************
Raj aur Kranti mile the 1942 me..jab barsaat jaa chuki thi..bahaar aanewali thi..mausam ka kyaa hai..beet jaata hai..waqt kisike lia nahi rookta..sirf apne nishaan chhod jaata hai insaan ki zindagi par.Waqt hi zakham deta hai..waqt hi zakham bharta hai..kuchh zakham aise hain jo nasoor ki tarha ubhar aate hain.Kranti k dil ka zakham issi tarha nasoor ban gaya.Raj ne khud ko masroof kar lia court cases me.
Waqt hai 1945 k March ka..Rai Bahadur Heerachand Kapoor k ghar se khushkhabri aai..k Nirmal Maa bannewali hai,Lovely ki shaadi Sanjay aur Rajveer ne mil kar karai..Lovely k Pati ka naam hai Mr. Harjeet Malhotra,ICS,unki Posting hai Gwalior me,shaadi k baad Lovely chali gayi Gwalior.Lahore me sab theek chal raha tha..
Political atmosphere toh garam tha hi..World war II khatam hone ki kagaar me tha..Azad Hind Fauj ne Hitler aur Mussolini se haath toh mila lia..par duniya badal chuki thi..Great Britain k jhande se zyada bada go gaya tha Eagle k pankh ka saaya..Statute of Liberty ka kadh bahut ooncha ho gaya tha, is jungh me America ka naam badh chadh kar saamne aaya..Germany se jin Scientists ko Hitler ne bhaagne pe majboor kar dia tha,wahi jaa kar America me bas gaye the..aur unhike kandhe par pair rakh k..ek baar fir duniya par apna kabza jamane ki baat sochne laga Britain,France aur America ki Allience..
Allahbad me Rahela ne apne rozgar ka rasta dhundh lia tha...seelai bunai ka kaam..ek darzi k wahan kaam karne lagi..oonche gharane ki auraton k wahan Rahela jaati thi..naap lene k lia..
Aur Shubhankar..pata nahi..woh kaun se andhere me ghum ho gaya tha..
Duniya ko andaza nahi tha k aanewale dino me maut ka kaun sa naya roop dikhne wala tha..
Edited by yakkudimag - 15 years ago
254