FF:Yeh Zindagi..Part 12 Page 19 16/02/10 - Page 14

Created

Last reply

Replies

147

Views

29.6k

Users

25

Likes

27

Frequent Posters

yakkudimag thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
Hii..I have updated the fic and no one is to read!!
Sia889 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 15 years ago

hey ananya...........it was brillent..........too good😊

great emotional n touchin moments👏

i always look forward for ua ff's da....they r excellent...👏👏.each one

its always a treat readin ua ff's 👏👏
hope ua doin well now....take care pal🤗
manalee thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 15 years ago
hi ananya nice update😊
many things happening in raj kranti's life hope it will not affect thier relationship
pennu thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
Thanks for the update..
but it was sad to know about the loss kranti had...
hope something good will happen in upcoming updates...
yakkudimag thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
Thanks..namita and jyoti..I will not disappoint you..you can be assured.😳




Bhawna1004 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 15 years ago

Hi ananya how r u dear?very nice update.

Please update we all are waiting for the next update.
yakkudimag thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
Well..now my ffs are in this section..on MONDAY,I will update.


Sia889 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 15 years ago

Originally posted by: yakkudimag

Well..now my ffs are in this section..on MONDAY,I will update.



annayaji at last will get to read ua ff.....ahh...thanx🤗
yakkudimag thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago



PART-12




1945,12 August..


Rajveer court se laut raha tha..Hiroshima aur Nagsaki me Atom Boms geerne ki khabar se puri duniya hil chuki hai.Azad Hind Fauj ki khabar bhi koi khushi ki khabar nahi laai hai Hindustan k lia.Kudrat bhi is waqt bigad chuki hai..Imphal se khabar kuchh achhi nahi hai..chaaron taraf ashanti ka maahol..Muslim League bhi ab Congress se ulajh rahi hai.Rajveer pis chuka hai baahar aur andar ki ladhai k beech.

Rajveer ne sapne me bhi nahi socha tha k uski zindagi is modh par aa kar khadi hogi.Sanjay khush hai,kyunki Nirmal ka saath hai uske lia,par Rajveer bilkul akela pad gaya hai.Lala Kulbhushan ki tabiyat theek nahi hai aajkal..Kewal k zimme me jo karobar chhod rakha hai unhone,woh koi tarakki bhi nahi kar raha hai.


Madhumati ki koi aulad nahi hui ab tak..Kranti ki taraf se jo umeed dikhi thi..woh umeed bhi ab nahi rahi.Chaijee aur Buajee ki baatein sunta hai Rajveer.Woh dono bhi pareshan hain..

Chaijee--Pata nahi kyaa hoga..kis taraf jaa rahi hai humari zindagi..

Buajee--Karobar ki fikar hai Veer ko..pata hai..

Chaijee--Woh us baat se pareshan hai Nanhanjee..par sab se zyada chinta unko hai..toh hai khandan k aage badhne ki...kal bhi bata rahe the..k Laal Khandan ka koi waaris hi nahi aaya abhi tak is duniya me..koi naam lenewala nahi hoga kya? Nasal khatam hone se darrte hain aapke Veerjee..unka utra hua chehra aur nahi dekha jaata ..

Buajee--Baat toh sahi kahi Veer ne Parjai..Kranti ka bachcha aaj hota toh chalna sikh jata..pure ghar me daurta firta..par Rab ki marzi k aage koi zor to chalta nahi Parjai..par Bibirani ki taraf se koi khushkhabri toh aai hi nahi..shaadi ko itne baras ho gaye..

Chaijee--Wahi toh soch rahi hoon Nanhanjee..kyaa karoon?


Buajee--Kewal ka doosra biha kara de..

Chaijee--Yeh aap kyaa bol rahi ho?Kewal kabhi raazi na hoga..aur yeh baat agar Bibirani ne sun li..toh pura ghar sar pe utha legi..

Buajee--Main Kewal se baat karoon?

Chaijee--Aap apni tasalli karna chaho toh kar lo..kyaa pata Kewal raazi bhi ho..



"Kyun Buajee..kyaa bigada hai maine aapka?Meri zindagi kyun barbad karna chaahti ho aap?"..Madhumati ne kaha..woh chhip kar sun rahi thi sab kuchh..

Buajee--Bibirani..main bas itna keh rahi thi k..

Madhu--Haan..aap toh bas meri Sautan ko is ghar me laana chaah rahi thi..

Chaijee--Bibirani..tere Baojee bade pareshan hai..khandan ko aage le jaane wala koi toh chahie..


Madhu--Aisa mat kaho Chaijee..main kahan jaaungi?Mera kyaa hoga?

Chaijee--Tu is ghar ki Badi Bahu hai..aur humesha rahegi..aisa kyun sochti hai tu.. ek waaris toh chahie..agar tujhe itna aitraz hai..toh ek pota de de humko..biha k itne baras ho gaye..

Madhu--Kranti bhi toh Bahu hai aapki..

Chaijee--Uski tabiyat abhi puri tarha se theek na hai..

Madhu--Pata hai Chaijee..aaplog usse kuchh na kahoge..woh padhi likhi..main anpadh murakh..mere saath hi yeh sab hoga..


Buajee--Bibirani..tera dimag kharab ho gaya hai kya?

"Haan..main pagal ho gayi hoon..meri koi aulad nahi hai..is baat ka dukh kya mujhe nahi?".
.Madhumati rone lagi...Kranti uska chikhna chillana sun kar neeche aai.."Kyaa hua Parjaijee?"..Kranti ne puchha..

"Kranti..yeh log..mujhe barbad karne par tule hain..tere Jethjee ki doosri shaadi kara rahe hain yeh log.."..Madhumati Kranti k gale lag kar rone lagi..Kranti ne dekha Buajee aur Chaijee ki taraf..

Chaijee--Bahu..aisi baat nahi hai..humlog bas soch rahe the..

Buajee--Tere Baojee ki tabiyat bigad rahi hai yeh soch kar k khandan ko aage chalanewala koi nahi hai..tum dono ki hi koi aulad nahi hai..


"Parjaijee..aap pareshan mat hoiye..aaiye..mere saath chalie..darrne ki baat nahi hai..chalie.."..Kranti yeh keh kar Madhumati ko le gayi apne saath..

****************************

"Tum fir se likhna shuru karo..."..Kranti zara chauk gayi..Raj ki baat sun kar..

"Likhogi na?"..Raj ne puchha..

"Ab likhne ka mann nahi karta.."..Kranti ne kaha..

"Toh kyaa karne ka mann karta hai?"..Raj ne puchha..

"Aaj Parjaijee ne bahut shor macha dia ghar me.."..Kranti ne baat ko ghuma dia..

"Kyaa ho gaya fir se?"..Raj ne puchha..

"Chaijee aur Buajee Bhaisaab ki doosri shaadi ki baat karne lag gayi..maine kisi tarha Parjaijee ko shant kia.."
..Kranti ne kaha..

"Main kyaa kahoon..Chaijee aur Buajee..sivaye shaadi k kuchh sujhta nahi inko.. hum dono Bhaiyon ki shaadi k peechhe padi thi..ab doosri shaadi..kal ko mujhse bhi kahengi..fir se shaadi karne.."
..Raj kahte hue rook gaya..

"Toh harj kyaa hai?"..Kranti ne kaha..

"Kranti..England se maine sirf yeh angrezi style hi adopt nahi kia,wahan ki jo achhi soch hai..woh bhi sikha..Auraton ko sirf ghar ka saman yaa aulad paida karne ka zaria banana..aisa main nahi sochta..aur jahan tak rahi Bhaisaab ki doosri shaadi ki baat..main bhi nahi chaahta..Parjaijee ka dukh kuchh kum nahi..aur abhi unke paas waqt hai bachcha hone k lia..aisi baatein sochna..matlab ghar ka maahol kharab karna.."..Raj ne kaha..

"Nahi,Baojee ki bimari ki wajah yehi fikar hai..k is khandan ko aage badhanewala koi nahi aaya,nasal khatam ho jaane ka darr hai unko,jitna mujhe pata hai.. Bhaisaab karobar bhi theek se chala nahi paa rahe hain.."..Kranti ne kaha..

"Main dono maamle me kuchh nahi kar sakta..karobar me main dakhal dena nahi chaahta..aur doosri shaadi main kabhi karoonga nahi..haan..kuchh aur kar sakta hoon..".
.Raj ne kaha..

Kranti ne kaha.."Kyaa?"

Raj ne kamre ki roshni bujha di..

*********************************

Rahela apne kaam se laut rahi thi,aise me uske saamne ek admi aa kar khada hua.Shubhankar..itne dino k baad usko saamne dekh kar Rahela ro padi..Rahela bahut buri haalat me thi..uski tankha itni zyada nahi hai nahi..kisi tarha apna guzara kar leti hai.Thaki hui Rahela ko dekh kar Shubhankar ko bahut taras aaya.. Shubhankar ne Rahela ka haath pakda..


Rahela ka badan bukhar se tap raha tha..Shubhankar ne Doctor ko bulaya..dukan se khaane ka bahut saman bhi kharid laaya Shubhankar..raat bhar Shubhankar Rahela k paas raha..Rahela ki tabiyat sach me bahut kharab thi..Rahela k chehre ki taraf zyada der tak dekhne ki himmat nahi hui..jalne ka woh nishan ,Shubhankar ko police dhundh rahi thi,asar Rahela k jism par reh gaya..par Rahela itni buri haalat me kaise?


Subah Rahela ki neend tooti,Shubhankar uske bistar pe sar rakh kar zameen par hi so gaya tha..Rahela thodi hichkichai..fir Shubhankar ko jagaya.."Ohh..main yehi.. pata nahi kab aankh lag gayi..ab kaisa lag raha hai?"..Shubhankar ne poochha..

"Aap kyun aaye?"..Rahela ne puchha..

"Naa aata toh tumhari haalat dekh paata?Theek se khana nahi khaati ho lagta hai..kumzori hai bahut..Kranti ne tumhari koi madad nahi ki kya?"
..Shubhankar ne puchha..

"Haan..unhone paise bheje the..par unka khat bhi mila tha..unko mari hui bachchi paida hui..yeh baat bhi patachali..".
.Rahela ne kaha...

"Kyaa?"..
Shubhankar chauk gaya..

"Mera hi kasoor hai,agar main us waqt apni mushkilen le kar unke paas naa jaati," .
.Rahela rook gayi...

"Jis waqt ki baat kar rahi ho..maine bhi ek khat bheja tha usko..shayad ussi wajah se..bechari ladki..uski zindagi me kabhi koi khushi usko mili hi nahi...." ..Shubhankar ne kaha..

"Aap is waqt is shaher me?"..Rahela ne puchha..

"Haan..aana pada..lambe waqt se gayab raha.."..Shubhankar ne kaha...

*************************

Kuchh dino baad,jab Madhumati ka chikhna chillana bandh hua..Raj Kranti k saath apne kamre me tha..


"Yaad hai..jab pehli baar tumse baat ki..Rajkumar ki kahani sunai thi..tumne...aisa nahi ho sakta na..k sab kuchh theek ho Rajkumar ki zindagi me?"
..Raj ne puchha.. Kranti uski baahon me thi...

"Sahi..kyaa..ghalat kyaa..ab kuchh samajh me nahi aata..".
.Kranti ne khud ko chhudane ki koshish ki..

"Rajkumar k paas sab kuchh hai...par apni Patni ki murjhai si shakal dekh kar Rajkumar roz ek maut marta hai..jaise uske bas ka kuchh nahi hai..".
.Raj ne kaha...

"Doosri shadi kar lo..mujhse koi sukh nahi milega tumko..".
.Kranti ne kaha....

"Yeh kyaa keh rahi ho?"..Raj chauk gaya..

"Tumne bataya tha na..koi haan..Manpreet naam hai uska..uski shaadi ho gayi?" ..Kranti ne puchha...

"You know what..main tumhare kareeb aaya..ghalati ki...socha tumhare paas dil hai..but I was wrong..".
.Raj bistar se uth kar chala gaya...tab raat k kareeb 2 baje the..Raj chhat par gaya..usko vaakei me bahut gussa aa gaya tha..usne socha Kranti aayegi..par Kranti nahi aai..puri raat chhat par tahelta raha Raj...jab subah ki roshni aasmaan par dikhne lagi..Raj neeche jaane ka faisla kia..aur dekha Kranti seedhi me baithe baithe so rahi hai..matlab Raj ko bulane Kranti aai thi..chhat par hi nahi aai..Raj ne Kranti ko jagaya...Kranti ne kaha ,"Tum chale kyun aaye?"

Raj ko aur gussa aaya..par subah subah jhagadne ka koi irada nahi tha uska..usne kaha ,"Chalo..kamre me jaa kar kuchh der so lete hain..chalo.."..




Sia889 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 15 years ago

"Yaad hai..jab pehli baar tumse baat ki..Rajkumar ki kahani sunai thi..tumne...aisa nahi ho sakta na..k sab kuchh theek ho Rajkumar ki zindagi me?"
..Raj ne puchha.. Kranti uski baahon me thi. awww....... that was adorable

may b Kranti will b jealous or possessive for Raj only if Manpreet comes into his life....

very well written annanyaji
plz update soonnnn
👏
👏👏
Edited by sia88 - 15 years ago

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

10 months ago

Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1013 page no 26 Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1013 page no 26

Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

3 years ago

Ranveer's unsaid feelings #13 updated episode 971 page 155

Welcome you all to the new thread of RANVEER'S UNSAID FEELINGS #13 Keep Travelling in the world of ISHVEER LOVE Warm Regards sakshi ❤️ Index...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

9 months ago

PreRish FF ~ Purity Of Souls (ch 6 - page 5)

[NOCOPY] P U R I T Y O F S O U L S T E A S E R "bungle ke piche teri beri ke niche aha re aha....kanta laga!!!" The song was too loud in the...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".