Last Part...
Part (b)
Raah par chal padi hun kuch dooriyan mitaane...
Jaane kab yeh faasla manzil ko pohonchega...
Baarish ki kuch boondon se sab tham gaya hai... Jaane ka rastaa nahi mil raha...
Kab se iss bheed mein phase nikalne ka intezaar hai...
Suna tha... Baarish toh dilon ko jodti hai... Yeh kaisi baarish hai... Jo mujhe kisi se milne se rok rahi hai...
Kabse iss traffic se nikalne ka wait hai... 6.15 ho chuke hai... Ussne kaha tha... Woh 6-7 ke beech aa jayega...
Par mujhe bhi toh wahan pohonchna hai...
Aur main abhi uss restaurant se kaafi door hun...
Dil ki dhadkan aur tez ho rahi hai... Ghabrahat si lag rahi hai... Waqt ek aur milna do logon se hai...
Ek jisse samajhna hai... Ek jisse bhagana hai...
Vidhi: "tension na le meri jaan... Sab thik hoga... Pareshan na ho... "
Jaane sab kaise mumkin hoga...
Waqt ki nazaqat hai koi samjh na sake...
Dil ki jo haalat hai koi samajh na sake...
Kya karun... Car dheere dheere aage badh rahi thi... Baarish ruk gayi thi... Par yeh traffic hatne ka naam na leta...
Issi tarah 7.15 baj gaye... Mujhe der hone lagi...
Main usse call kar ke bataun bhi toh kaise... Woh apna phone hi nahi utha raha tha... Jaane woh aaya... Ya nahi...
Pata nahi... Main hi kyun deewaani hui jaa rahi hun... Main har 5 min par usse call laga rahi thi...
Par woh call na uthaya...jab mujhse bardasht na hua... Toh main Car se utarne lagi...
Vidhi :" kya kar rahi hai... "
Main apna aur tamasha bante nahi dekhna chahti...Main chal ke jaa rahi hun... Jaana hi hai... Aur milna bhi hai...
Ab thoda hi rasta bacha tha... Agar main chal kar jaati toh 15-20 min mein pohonch sakti thi... Agar intezaar karti toh aur der ho jaati...
Saamne se itni himmat dikha rahi hun... Par mera dil ander se tootne laga... Rone laga... Himmat dagmagaane lagi... Par phir bhi mujhe pohonchna hai... Aaj kisi bhi haal mein... Apne liye... Apne iss dil ke qaraar ke liye...
Uss traffic mein... Khichad mein... Itne horns ki awaaz se bhare... Maahol mein main apne dil ka sukoon dhoondhe chal padi...
Aakhir main chalte chalte jab wahan pohonchi... Meri haalat kuch thik na thi... Jitna socha tha... Usse zyaada waqt lag gaya... Shayad more than half and hour...pair ne jawaab diya tha... Par himmat ne nahi... Issiliye main pohonch gayi...
Uss restaurant ke bahar khadi itni khushi hui... Bass ab ander jaane ke der thi... Shayad darwaaza kholun aur woh dikh jaaye...
Jiss tarah uss ke liye aankhon mein chamak aur khumaar le aayi thi... Ab bhi woh qaayem hai...
Maine ander jaane ke liye... Darwaaza khola... Aur usse dhoondne lagi...
Jab sab taraf dekh mujhe woh na dikha... Toh jaane kyun meri aankhon se aansun chalak pade... Par phir unhe chhupa... Ek waiter ko awaaaz di...
Awaaz bhi saath na de rahi thi... Usse na paa kar... Mera dil toh rone laga...
Maine poocha...
"Kya aapne yahan kisi ladke ko dekha... Jo kisi ka wait kar raha ho... "
Waiter:" Ji haan... Ek ladka badi der se iss table par kisi ka intezaar kar raha tha...mujhe zyaada pata nahi... Main abhi aaya hun... Aap manager se pooch lo... "
Main manager ke paas gayi...
Usse poocha toh ussne kaha...
Manager: Ohhh toh you are Miss Tara... Actually Sir was waiting since more thn 1 and half hour... He came around 6.30...now its 7.55...he had given this message for u..."
Maine usska message apne haathon mein liya... Aise laga... Meri koi cheez mujh tak aa kar... Kisi ne mujhse cheen li...
Main woh haath mein lete hi ro padi... Manager meri taraf dekhne laga... Par inn sab ki parwaah kiye bagair main ussi table par baith gayi...agar waqt par pohonchi hoti toh Mrityunjay iss waqt mere saamne hota...yeh soch aur rona aa gaya... Aur usska msg padhne lagi...
Ussmein likha tha...
"SORRY
SORRY
SORRY
I AM EXTREMELY SORRY TARA...
MAINE TUMHARA INTEZAAR KIYA... AUR BHI INTEZAAR KARTA... PAR AAJ MUJHE BEHADD ZAROORI KAAM HAI... JISSE MAIN ADHOORA NAHI CHOD SAKTA... MERI ZINDAGI KA SABSE IMPORTANT KAAM... JO MERI ZINDAGI BADAL DEGA... WARNA MAIN AUR WAIT KAR LETA... EXTREMELY SORRY...
AUR HAAN... MAIN APNA PHONE BHOOL AAYA HUN... ISILIYE TUMHE CALL NA KAR SAKA... PLS UNDERSTAND... MAIN TUMSE KISI AUR DIN MILL LUNGA...
JAB TUM FREE HO... MUJHE CALL KAR LENA...
MRITYUNJAY... "
Main isse padh itna tez rone lagi... Apne donon haathon se apne chehre ko chupa... Bass dheeme lehje mein roye jaa rahi hun...
Yeh kaisa insaan hai... Mujhe laga usse mujhse lagao hai... Kuch bhi... Thoda sa bhi ehsaas hai... Par shayad main galat hun... Mere aalwa usski ZINDAGI mein aisi bhi cheezen hai... Jo usski ZINDAGI badalne waali hai...
Aur main usski iss ZINDAGI mein zabardasti ki jagah talaash kar rahi hun... Chup ho jaa Tara...
Har kisi ko haqq hai... Apni ZINDAGI apne tarike se jeene ka...
Jaanti hun... Meri galti hai... Par mujhe iss message se aisa bilkul ehsaas na hua jaise woh bhi mujhse milne ke liye utna hi beqaraar tha... Jitna main...
Waiter ne mujhe paani laa kar diya... Toh mujhe zara apne rone se hosh aaya... Ki main kahan baithi hun...
Main wahan se fauran bahar nikal gayi...
Ab mujhe jaana tha... Uss cafe... Bhai ke kabootar se milne...
Haath mein usska message aur besudh hokar... Dheemi raftaar mein bass yahi soche jaa rahi hun...
Aisa kyun hua... Aakhir kyun...kaash mujhe woh ek baar mil jaata... Par milta toh bhi kya...
Kya main usse apne ehsaasaat ka ehsaas dila paati... Ki woh meri ZINDAGI mein kitna important hai... Par uski ZINDAGI mein shayad kuch aur... Koi aur... Shayad wahi... Usski mohabbat bohot important hai...
Main kaun hoti apna apna ehsaas apni chahat kisi par thopne waali...
Phir woh mujhe milta hi kyun hai... Kya har baar bichadne ke liye...
Yeh sochte hue... Aankhon se aansun behte hue... Chal rahi hun... Achanak mera pair sadak ke ek pot hole mein pada... Aur mera pair dagamga gaya... Aur main gir kar zameen par baith gayi...
Ro ro kar haalat waise hi kharab thi... Bikhre baal... Bikhara kajal...aansun se bhara chehra... Laal aankhen... ..aur ab kapde bhi thode gande ho gaye...
Pata nahi Vidhi bhi traffic mein kahan reh gayi... Kyunki main toh uss restaurant se nikal gayi... Mera phone bhi main Car mein bhool gayi... Jaldi mein...
Maine sandal utaar haath mein le li... Ab main unn mein chal nahi paa rahi thi... Ek haath mein sandal... Ek haath mein Mrityunjay ka msg... Aur chalne lagi... Cafe ki taraf...
Achanak ek aurat se takra gayi... Woh mujhe chillane lagi... Kehti hai... Dekh ke chalna nahi aata...
Yeh kehte waqt meri nazar usske wrist watch par padi... 8.35 ho gaye...
Ohhh God... Yeh kya... Ek ghante se zyaada ho gaya... Agar woh bhi chala gaya toh bhai ko kya jawab dungi...
Main bhaagne lagi... Pair mein itni takleef ho rahi thi... Bina sandal... Moch khaya hua pair... Par jaana hi tha... Kyunki ek kaam bigad chuka tha... Aur ab main yeh wala nahi bigaadna chahti...
Aisi haalat mein sadak par bhaag rahi hun... Bikhre baal... Pagalon jaise... Log mujhe dekhne lage...
Par mujhe aaj kisi bhi cheez ki parwaah na thi...
Main Tara... Masoom si... Sharam ki pudiya... Aaj sadkon par paglon jaise bhaag rahi hai... Jaane kyun...
Aakhir main Cafe pohonch gayi... Saans mein saans nahi aa rahi thi... Itna bhaagi jo thi... Par pohonch gayi yeh badi baat hai...
Thoda der Cafe ke saamne hi khadi ho gayi... Saans tham jaaye... Phir ander qadam rakhun...
Main ander jaane ke liye... Darwaaza kholne ke liye badhi... Jiss haath mein Mj ka msg tha... Kyunki dusre haath mein sandals the...
Pata nahi kaisa Cafe tha... Tha chota sa... Par bahar bht si lighting ki hui thi... Kuch log bahar baithe hue the... Tables par... Jaane kyun ander ek dam Andhera tha... Ek waqt toh mujhe ander jaane ke liye bhi darr laga...
Kyunki uss glass door se mujhe sirf ander ke roof lamp nazar aa rahe the... Aur kuch nahi...
Phir bhi himmat karke... Maine darwaaza kholi...
Jaise hi ander khol kar qadam rakha... Har ek table ki corner light jall gayi... Pura floor nazar aane laga... Pura environment dheeme se red lighting mein chaa gaya...
Yeh kya... Poora floor... Saare table phoolon se saje the...
Zameen par jaise mere har qadam par gende ke phool biche hai...Har table par Vas mein white orchid rakhe hai...har table par itne saare Candles jale hue...aur bhi pyaare lag rahe the... ..upar ki taraf dekha... Toh har taraf balloons...dewaaron par heart shape balloons... Pink and white... Uss red lighting mein aur bhi khoobsurat lag rahe the... Par yeh sab kya tha...Jaane kyun...
Kya main galat address par toh nahi aa gayi...
Yahan ka mahaul kuch aur hi hai...
Par ab bhi andhera chaya hua tha... Barabar se roshni nahi hui thi...
Main abtak bass darwaaze ko aadha khole hue... Pakde khadi yeh sab nazaare dekh rahi thi...
Ab maine ander jaane ki himmat ki... Aur pehla qadam badhaya... Darwaza band aur main ander...
Bohot darr lag raha tha... Pata nahi... Itne der se phaili maayoosi... Jaane kiss ehsaas mein badal gayi...
Yahan mere adhoore jazbaat aur milne ki chaah thi... Aur ab yahan... Hairaani aur ajnabee se milne ki baat... Par ek dam alag sa Mehsoos kar rahi hun... Yeh sab kya hua... Mujhe kuch samjh naa aa raha tha...
Jab maine pehla qadam floor par rakha... Mujhpar kisi ne phoolon ki barsaat hone lagi... Red rose petals...
Meri hosh-o-hawaas ude hue the... Yeh sab kya ho raha hai...
Achanak ek awaaz gunji...
❤️ Ae Waqt ab zara aahista chalna hai...
Mere dard ki maujo ka saahil aaya hai... ❤️
❤️ Nazuk si Adaa aur kashish beshumaar...
Ankhon ko usski deed ka tha kab se intezaar... ❤️
❤️ Dekh sakta hun uss nazuk si adaaon ko...
Pur kashish Noor si ghaayal nigaahon ko... ❤️
❤️ Awaaz teri sunne ko hun kab se baqraar...
Kuch lafz toh keh do mile dil ko yunh qaraar... ❤️
"Mrityunjay "
❤️ Khud ko kiya hawaale tere tu hi ab bata...
Izhaar ko woh raah mili tu thi jo waja... ❤️
❤️ Aamad hai iss Anjuman mera dil tha muntazar...
Bas ek jhalak ke sadke kiya kab se tha sabar...❤️
❤️ Iqraar ab karunga nahi koi ab mushkil...
Gar chaahe lakh zamana tujhe kar liya hai haasil... ❤️
❤️ Ehsaas mera ishq ki ab taqmeel ke dar hai...
Ab mere shab seher ki manzil tujhi mein hai... ❤️
Itna kehte kehte... Har ek baat par... Woh ek qadam badhata... Yahan main ab bhi wahi khadi thi...
Mere pairon ke neeche se zameen khisak gayi thi...
Apni baat kehte kehte... Aakhiri lafz par woh mere paas aa pohoncha...
Sab kuch ek khwaab sa lag raha tha...
Woh mere ek dam rubarooo aa khada ho gaya...
Yeh khwaab hai ya haqeeqat dekhne ke liye maine usse haath laga kar choona chaha...
Usske chehre ko choote hue dekha ki yeh haqeeqat hi hai...aur keh padi...
Khwaab aur haqeeqat ke beech parda hai nazron pe...
Choo kar teri maujoodgi ka pataa chaahun...
Main usse pehle aur kuch kehti ya sunti... Maine zor se rote hue... Mrityunjay ka naam pukara aur usse gale se laga liya...
Ussne bhi mujhe ek dam khud mein samet liya...
Meri tadap intehaa ke uss muqaam par thi... Gale lagte hi main keh padi...bina kisi duje mauke ka intezaar kiye...
"I LOVE U ❤️ Mrityunjay❤️ "
"I LOVE U TOO❤️ TARA❤️"
Tadap ki intehaa aur phir milne na sukun itna tha... Ki kitna der tak hum yunh khade rahe pata nahi...
Usske baad Mrityunjay ne... Apne donon haathon se mere chehre ko samate hue kaha...
"Main jaanta tha... Tum zaroor aaogi... "
Usska yeh kehna aur mera dimaag thikaane aaya... Aur main keh padi...
" par main toh yahan... Bhai ke kabootar se milne aayi thi... "
" Haan toh Miss Tara... Aapke bhai ka woh kabootar main hi hoon... "
" Tum... Par kaise... Kab... Aur tum toh mujhse wahan milne aane waale the... Phir yahan kaise... Aur yeh sab kaise... Kab... Kaise kiya... "
" Miss Tara Oppps would be Mrs Tara Mrityunjay... Ab toh main yeh keh hi sakta hun... Kyun... "
Maine halke se mukura di... Ishaaron mein ussne mujhe shaadi ka proposal bhi de diya... Aur meri muskurahat se maine accept bhi kar liya... Iska matlab jiss meeting ke liye main aayi thi... Woh toh safal ho gayi... Jaane aanjaane mein... Bhai ka kabootar toh mujhe dil-o-jaan se pasand aa gaya... Woh bhi mere atrange hulye ke saath...
Mj:" Pehle aap shaanti se yahan baithiye... Inn flowers ko dekhiye... Dekho kaise yeh tumse rashq kar rahe hai... "
Main kya kehti... Pehle haal yeh tha... Aansun nahi ruk rahe the... Aur ab yeh haal hai... Muskurahat nahi jaa rahi hai... Munh pe alfaaz nahi... Kya kahun kya nahin... Hairaani bhi yeh... Achanak yeh kya hua hai... Yakeen nahi aa raha...
Mj:"itni bhi bechain na ho... Tumhare har sawaal ka jawaab hai mere paas..."
Sidd ke plan ke hisaab se... Mujhe tumse milna na tha... Tumhe kisi baat ka pata nahi chalne dena tha... Agar zara sa bhi pata hota...
Toh jab tum aayi... Tumhari aankhon ki uss chamak ko kaise dekhta... Uss chamak ki gehraayi ko miss kar deta... Main chahta tha... Jab tumhe propose karun... Pehle iqraar tum karo humari mohabbat ka... Aur waisa hi hua...
Kyunki pehle bhi hum iqraar kar chuke hai... Aur tum bhool gayi woh sab... Uss dard ka marham toh yahi hai... Ki ab iss baar tum pehle iqraar karo...
Tara:"Pehle matlab "
Mj:" Tumhare accident ke baad... Khair chodo inn baaton ko... "
Phir kya tha... Mujhe pata tha... Tunhe yaad nahi... Iss baat ne mera iraada aur pakka kar diya...
Apne ehsaas ko mukammal karna... Meri ZINDAGI ka maqsad ban gaya... Uss maqsad ke chalte...
Pehle Sidd ne tumhare Bhai se dosti banayi...
Humne sab kuch pata kiya... Hum waise bhi bhai aur papa ki Nazar mein sharif toh the hi...
Humne plan banakar... Ussi Area mein property ko lekar... Kuch zaruri papers ke liye... Uss Lawyer ko pakda... Jo tumhare Papa ke bhi saare problems deal karta tha...
Hum yeh jaante the... Aur entry bhi ussi waqt maari... Jab tumhare Papa aur bhai... Usske office mein ho...
Unhe aisa lage... Hum achanak... Coincidentally mile hai... Par hum toh planning se gaye the...
Phir kya... Apna hone ke naate... Papa ne Lawyer se humare saare masle kam fees par jaldi karne ke liye kaha...
Par hum... Har baar... Lawyer ko phone karne se pehle bhai se baat karte... Usse problems discuss karte...
Problem kya tha... Sidd ke liye... Rent par flat lena... New flat dhoondna... Kyunki estate agent aur lawyer ka office saath mein tha...
Pichle 4 mahine se hum ne na jaane tumhare area mein kitne flat dekhe...
Har ek mein nuqs nikaalte...
Kabhi kitchen pasand nahi... Kabhi bedroom chota hai... Kabhi bahar ka view thik nahi... Kabhi Vastu shastra ka bahana... Ufff...
Sidd apna kaam karta gaya... Aur main bhai ko impress karta gaya...
Ek din achanak ussne mujhse khud kaha...
Bhai:" Ek baat puchun... Kya tum engaged ho ya... Koi ladki tumhe pasand hai... "
Maine ek dam sharafat se kaha... Nahi... Kyun...
Bhai:" woh Actually main chahta hun... Tum Tara ke baare mein ek baar soch kar dekho... Kya khayaal hai tumhara... Tum achche ladke ho... Iss liye tumse pooch raha hun... Phir tumhare parents se... Agar tumhe sahi lage... Toh main tumhe Tara se bhi milwa dunga... Tum dekh toh chuke ho usse... Jaisa tumhe thik lage... "
Ahhh yahi sunne ke liye maine kitne papad bele the...
Maine ek dam dheeme lehje mein kaha... Ji bilkul sochunga... Iss baare mein...
Ab usse kya pata... Tara ke siwaa mera iss waqt koi khayaal nahi...
Issi tarah humaari meeting fix ho gayi... Aur Bhai ka yeh kabootar tumhare saamne...
Tara zor se khilkhila kar hass padi... Usski hassi ruk hi nahi rahi thi...
Main zor se hass padi... Yeh sab kahani sunnn... Itna full proof planning... Mujhe nahi pata tha... Tum itne tedhe bhi ho sakte ho...
Upar se tum... Issmein tadka dene ke liye... Mujhe restaurant bulaya... Ab main wahan aaun... Toh meri yeh saari mahinon ki planning barbaad...
Kya kehta... Wahan tumse... Woh toh iss barish ka bhala ho... Jissne traffic karwaya aur mujhe bacha liya...
Sach hai... Baarish waqai mohabbaton ko jodti hai... Mera kaha hua sentence mujhe ab samjh aaya...
Phir bhi Main wahan tumhara intezaar karne laga... Achcha hua tum na aayi wahan... Aur main sada sa message wahan chod aaya...
Ab tak woh msg mere haath mein tha... Toh ab usse dobara padhun... Toh maane badal gaye...
Adhoori chahat ZINDAGI ki poori ho gayi...
Usski woh Mohabbat... Adhoora aur important kaam jisse usski zindagi badalne waali hai woh main hun...
Apne ehsaas ko main nahi balki woh mere ehsaas ko pura karne mere liye hi chala gaya tha...
Mere aane par kahe hue usske ek ek alfaaz sahi saabit ho gaye...
Iqraar bhi hua izhaar bhi hua...
Ab Mrityunjay ne... Zameen par knee par bend ho kar poocha ek pyaare se box ko kholkar pyaari si ring dikhaate hue...
"Will u be mine forever ... Mere ehsaas ki taqmeel...
"Yes "
Mj ne mujhe ring pehnaayi aur phirse kaha...
❤️ Mukammal ehsaas ki bass itni si kahani hai...
Sab tujhse ibteda aur aur tujhpe faani hai... ❤️
Usske har lafz meri dil par utar gaye...
Uss shaam woh ussi tarah mera haath thame mere saamne... Meri aankhon mein dekhte hue...
Uss laal rangini mein... Candles... Flowers ke beech... Haathon mein haath aur bas uska saath...
Aur uss MULAQAAT KA EHSAAS jo uss waqt de gaya... Ek baar phir...
Edited by ShagufElina - 11 years ago