Bhaiyo aur beheno. Aaj ki taaza khabar suno. Raghuvanshi Mansion main Rajasthan festivel hone ja raha hai...sabhi logon ko bulaya hai. Aur sab kuchh Nandini Bahu ke zimme.Ab yeh huyi na baat: waise Rajveer was helping Nandini...Just too cute to describe in words.
Nandini is pukka all rounder: kya lessons diye apne staff ko: Lean Management, Time Management, Stretch goals, team work and to top it all, team motivation! Wow. mazaa aa gaya. Bina kissi B school ki seedhiyan chadhe aapne yeh sab kar dikhaya? Ha, waise kehte hai na: Management is not rocket science. Just common sense. GD ke shabdo main, it is science of the common man! or woman?
Bhai kya takkar thi! Hume to Newton's third law ki yaad aa gayi. Action is equal to minus reaction. Sahi hai bhai: Nandini was staring at her husband and her husband is asking "aise kya dekh rahi hai aap?" Oye! aapko nahi pata? she is ogling at you! Ullu kahi ke? Jao Mummy ke pass...aur kuchh practical lessons lekar aao. Waise aapki bachelor party nahi huyi kya?
Daadi Sa ne bhi kya support diya...isse kehte hai external support. Theek waise hi, jaise ek political party doosri ko deti hai...Snooty aur Beauty ke chehre phir se dekhne layak the.
Munna Bhai ekdum apni biwi ki peechhe (sorry...aage aage) ghoom rahe they. Nandini ji ne apne purane contacts ko yaad kiya...again a vital lesson from the Management. Involve everybody. Team work. Delegation skills to koi inse seekhe. Kya set up tha...aur wo cute scene...Wow...Munne ke haath main lag gayi...Humne socha ab inki biwi uss ungli ko apne muh main dalengi aur ek scene ho jayega...GD inhe hygiene ka matlab sikhayengi. Magar nahi. Ain mauke par Parda Gira re! Iss Jodi ke iss pyaar main...
Oye Hoye...Aur wo GD ki nazar. Humne phir socha, ab yeh Khatarnaak ko phone karengi aur dono milkar khamba nochenge. magar nahi. Aaj Republic day haina, Khatarnaak miya ko chhutti hai.
Ab yeh Snooty Bhabhi...apni karnaamo se baaz aane se rahi. Jakar fridge off kar diya. Aur parde bhi phhad dale...Aur aapko aisa karte waqt kissi ne nahi dekha? Wahan Nandini Bahu jara sa paani lene gayi to kissi na kissi nauker se takra gayi thi.
Daadi Sa ne bhi kya farmaan rakh diya: Kulvadhu aur kul ki izzat. Yaani ki Kul milakar zero. Nandini Ji ko ek ghante main kya kya nahi karna? Magar yeh to crisis and disaster management ke courses kar chuki hai na. Ab to kissi bhi top B school main honorary lecturer ban sakti hain, and Munne miya unke PA banenge...
GD ne taana maara: Ab to aap chah kar bhi flag hoisting karne nahi ja sakti. Ajji Sasuma, jab inke saath Aapka beta ho aur Daadisa, to inhe kissi aur cheez ki zaroorat nahi.
Wahan Daadisa ne googly maari: Kulguru aa rahe hai. Ab yeh kaun mahashay hai ji? Hamare yahan University main inhe registrar kehte hai Ji. Wohi honge. Samne aaye to shakl bhi dekhana mushkil ho gaya. Kya baal they. lagta hai Janam se kissi barber ke pass nahi gaye. Ya phir bachpan main kissi baal ugane ki dawa ki bhatti main gir gaye they, (theek Obelix jaise shaktivardhak magic potion ki Bhatti main gira tha na, ussi tarah). Unko inhone gud khilaya aur Kulguru Ji ne ashirwaad de diya, Very good. Phir Dadi Sa ne inhe Good Luck diya and GD ka saara kiya karaya gud-gobar hogaya. Too good!
Munna bhai inke wahan Chalak bane...kehte hain aapko waqt pe pahunchane ki zimmedari hamari. Theek kehte hai hi. AB saare drivers ko bhi chhutti deni padi na? republic day hai!
Wahan GD pahunch gayi (I have a basic doubt: inki gaadi kissne chalayi?) kya kehti hai. Ghar ki zimmedariyan aur bahar ke kaam sambhalne sabhi ko nahi aate. Ajji aap ko kya aata hai ji? Aajtak aapko ghar ke kissi kaam main haath lagaate nahi dekha. Bahar ke kaam to khair..dekhenge hum ki aap kya kar sakti hain! Aur wo ladies bhi kya...itne main bharosa uth gaya aapka? Aage kya nibhayengi?
Magar wahan Nandini pahunch hi gayi. Kya getup tha. Itni jaldi baal banaliye aur saadi bhi pehen li? Haan, agar aap itni jaldi cake bake kar sakti hai to saadi pehenna kya baat hai ji. waise Munne miya ne aapko zaroor madad ki hogi, pleats etc banana main...humne to nahi dekha. Magar kalpana kar sakte hain...
Khair, Nandini pahunch gayi...driven by Munna Bhai. Kya catwalk tha...Hum chal rahe hain, tum chal rahe ho...magar duniya walon ke dil jal rahe hai...
Nandini aur GD ne kya joint flag hoisting ki...Nandini ko shayad dar laga hoga ki flag main se kahin ande mere ooper gir na jaye, GD ka oi bharosa nahi. Kuchh bhi kar sakti hai Yeh. Isiliye Saasuma ko nahi jaane diya. Jo hoga, mil ke bhogenge ji.
Precap: Finally some bed room scenes: zaroorat hai, Zaroorat hai, Zaroorat hai...