Jemimah90 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#1
sach kya hai?
Jo hum dekhte hain ? Jo hum suntey hain? Jo hum bolthe hain ?
Nahin !!!!
Sach woh hai jise hum mehsoos kar sakein..
Jisey hum parak sakhein...
Jisey hum samajh sakhein...
Jise hum jaan sakhein...
Swa ke paas koi proof koi evidence nahin hai n usey inn cheezon ki zaroorat bhi nahin hai apney aap ko tasalli dilaney ke liye ki jilaanis are innocent souls coz she can very well visualise feel n understand them better than her family...or any other third person...
But sach yeh bhi hai ki court , judge , public sach ko ya haadse ko mehsoos karney se zyaada prrofs evidences par believe karthi hai!!!!
Sach kya hai ??
Jo hum padhein , jo hum sunien , jo hum dekhein ?
Ya sach in sab ke peeche ki padat , ya humare andar ka koi fitoor hai??
Aajkal taaqat , paisa aur power ke beech apne aap mein sachai ka koi mol nahin hai!!!

Loktantra mein bahuumath mein woh taqat hai .. Jiska agar sahi istemaal na kiya jaaye toh kisi apradhi ko satta mein laya ja sakta hai... Aur kisi nirdosh ko apradhi saabit kiya ja sakta hai...
insaaf saboot mangta hai...ilzaam gawahi... Har sikke ke do pehlu hote hai.. Bina jawaabdehi ke azadi bemani.
Nazar aur Nazariye mein bahut farq hota hai...Aap jante hai, wohi Glass Adha khali, aadha bhara hua... ...Zindagi hume kya deti hai...usse kuch farq nahi padta...
hum zindagi ko kis andaaz se jite hai, Farq, usse farq padta hai...

sach aur haqeeqat bahut kareeb hote huye bhi, bahut dur hote hain.
Sach humare saath jeeta hai, lekin hume haqeeqat mein jeena padta hai.
Sach se phirbhi bhaga jaa sakta hai, lekin haqeeqat ka saamna karna padta hai!



Created

Last reply

Replies

1

Views

683

Users

2

Likes

6

Frequent Posters

shruthiravi thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#2
Truth has to be felt. You are so right Gayatri

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".