main ne apni professional life ko seiours liya he nahi tha kabhe, or jab liya to kafi serious liya, wo sab ke samne hai aaj,
jab 2 log ya os se zeyada peak par hon na to wo apne junior ko agey nahi aney dete, peson ki power se ya jese bhe kafi mushkil peda karte hain, or mere samne bohot mushkil waqat tha, main ne apni nend kurbaan kar ke, apna dimaag kharab kar ke, ansu baha kar os manzil ko hasil kiya tha jo mere hath main 30 din bhe nahi reh saki thi.... or wo 30 din bhe os ko set karte he guzar gaye they,
main peson ki nazar se baat nahi kar raha, meri 1 pehchaan hai, main kisi company ka president director bhe hoon. jis ki value kya hai ye main janta hoon.. indonesia main ameer se ameer log bhe respect dete hain mujhe, wo meri respect nahi karte honnge, magar meri pehchaan jo hai os ki karte hain.
US embassy , mujh se pucha onhon ne bohot kuch, wahan onhon ne pucha ke tum ne jo kuch show kiya sab theek hai, tum 1 businessman ho bus 1 baat btao tumahra credit carad kiyon nahi hai?
to mera on ka jawab tha ke yehi to mere kamyaab hone ka proof hai, mere paas itna kuch hai ke mujhe credit card ki zarorat he nahi coz main sab kuch cash main buy karta hoon, to is liye mere paas credit card nahi jis se meri value zeyada hai, or mere is jawab par wo meri taraf dekhne lag geya ke ye kesa jawab hai,
mere paas indonesia ka passport nahi hai lekin main apni company ke documents de kar koi bhe property buy kar sakta hoon, ye hai power meri company ki...
main ne jin ko bhe vise diye wo main kafi soch samjh kar or dar dar kar diye, meri baat to bohot he alag hai on se, magar 2 indian or 2 pakistani larke eyse hain jin ko main ne eyse vise diye hain ke main on ko company se bahir nikaal he nahi sakta, ager main ne on ko nikalne ki koshish ki to immigration ne on ko bula kar puchna hai , jab wo log jin ko main ne visa diya on ke paas itni power hai to bhala meri kitni hogi...
ye jo vise main ab de raha hoon ye to chotte level ke hain na, is main bhe main ne show karna hota hai ke inhon ne business main kam se kam 2 million USD ki inevestment ki hai, abhe wo log ager itne ameer hote to or baat thi, par wo nahi hain. on keyliye sab kuch mujhe karna parta hai, company ke pese idhar udhar ghuma kar ye show karna hota hai ke invest onhon ne he kiye hain, ye kafi mushkkil kaam hai,
meri koi pehchaan nahi hai, magar eysa bhe nahi hai ke bilkul nahi hai, is time os company or os company main kaam karne walon ki or sab kuch mila kar ager investment ki baat ki jaye to koi 30 se 35 milion USD main baat ati hai, or os ka boss main hoon.. duniya ki nazar main kiyon ke wo sab kuch KSA ke naam pe chal raha hai or wo mere naam hai,
main khud peson ko kuch nahi samjtha coz jeene keyliye khushi zarori hai, magar bohot se log peson ki zubaan samjhte hain, jo samjhte hain wo meri kadar karte hain ke ye banda bohot successful hai, jab ke andar ki baat on ko malooom he nahi.
meri Mama chahti thin main doctor ban jaon, Dad chahte they main engineer ban jaon, main ne sab kiya, bus uni ko pura nahi kiya, main ne socha ke mujhe achi life jeene keyliye koi degree nahi chahiye medical ki, main le sakta tha bus khud he beech raste main socha ke nahi,!
degree lena asaaan nahi, or lene ke baad bhe log pagal ho jate hain sari zindagi kaam kaam or bus kaam.
or jo main ne kiya os main wesa nahi tha, koi mera boss nahi, main khud he akela he sab kuch tha,
---
ager main apne future ke bare main itna acha soch kar os ko eysa bana sakta tha to phir kuch to eysa hova na ke main wo sab sambhal nahi saka..
mere paas degree nahi, or meri company main jitne bhe larke hain sab ke paas koi na koi degree hai, to behtar kaam kis ne kiya then?
main os time pagal nahi tha, is liye sab kar liya, jab os dard ki waja se pagal hova to meri samjh main bhe kuch nahi aya or hath main bhe kuch nahi raha, mere dimaag ne chalna he band kar diya...
main koi gareeb insaan nahi tha, lekin jab main ne sab start kiya to gareeb insaan ki tarhan kiya, ye soch kar ke mere paas kuch nahi, main ne DAD ki help nahi li, ager main on ki help leta to main 2013 ka yahan hota, bina kisi hardwork ke, lekin mujhe khud ki 1 pehchaan banani thi... or kitna time laga ye karne main? april 2014 se nov 2015 tak,! itna time laga or main 0 se millions tak aya.. din kitne hain count kar lo april 2014 se nov 2015. 2 saal se bhe kam time main.
ager kisi ko mujhe hurt karne ka maza ata hai to its ok, jitna rulana hai rula le, lekin ye na kahe ke main over react kar raha hoon, ya os ko funny lag rahe hain mere ansu, wo mujhe pagal samjh kar kuch bhe keh le its ok,, normal nahi samjhna chahiye os ko mujhe..
ager main normal hota na to os jesi keyliye apna sab kuch barbaad na hone deta,
931