loh ji kar loh gal... abh ghaur sey suno...
aik bar mera aik client almost ronay wala you know 😭😭 aisay ho geya mere aagay... meiney pocha kya maut aan pari hai, kuch phooto bhi... toh kehta yaar beti ki shaadi hai... etc etc etc... kuch samajh mein nahin aa raha kya karoon... meiney kaha, arrey budhu rona band kar, aur jaisa mein kahoon woh karna ok... kehta dr sahib baat ban jaye gi... meiney kaha haan re, tu tension mut lei... khair shaadi ka din bhi aa geya toh uss ney as told apnay damad ke haath mein aik chess (shatranj) ka set thama daala... us ka damaad pochta, arrey yeh kya, iss ki kya zaroorat thi... toh woh bola "bas beta kya bataoon, meri dili tamana thi ke beti ko shaadi mein Ghoday, oonth, aur haathi doon, aaj thanks to dr love meri khwahish poori ho gai hai... 👏
abh kon kehta hai ke mein dr nahin hoon... hunh... 😡