Chapter 2 - Thoughts of a revolt.
Chandragupt - Hat jao Dhrupad, aur dekho bhaiyya humse kaisa vyavhar karte hain..
Kumardutt - Mahoday, aap yahan kya kar rahe hain?? zara batayenge?? 😡
Chandragupt - Kuch nahi! Hume sikhaya hi kya gaya hai ki hum kuch kare? 😡
Kumardutt - To tum yahan khade khade kya kar rahe ho??
Chandragupt - Hum aapke bechaare, peedha ke maare bhai ko sathane mein aapki sahayata kar rahe hain...
Kumardutt - To jaao, kam karo, mazdoori karo, ghaas charo, marjao jo bhi karo lekin humare maarg se hat jao...
Chandragupt - To kya hum aapke ghodon ke saath unke tabelon mein rahe? unke hi bhojan se apna pet bharen?
Humne aisa kya paap kar diya ki aap humse aisa vyavhar karte hain??
Kumardutt - Jaante ho tum kahan khade ho?? 😡
Chandragupt - Haan haan avashya! Aapke bagiche mein.
Kumardutt - Jaante ho kiske saamne khade ho??? 😡
Chandragupt - Haan haan kyun nahi??? humse behter aapko aur kaun jaan sakta hai?? Tum mere bade bhrata ho... aur main samajhta hoon ki jis mahanubhav se hume ye jeevan mila hai, unke putr hote hue tumhe bhi apne chote bhai ke baare mein pata hona chahiye!!
humare ragon mein ek hi khoon daudta hai par tum hume apna bhai maante hi nahi?!!! Hum maante hai ki aap humare bade bhai hain aur humare liye ishwar samaan hone chahiye the, aur ye hum tab bhi maante agar humare beech aur 20 bhai bhi hote!!!
Hum mein bhi pitaji ki utni hi chavi hai jitni ki aap mein hai, jabki ye bhi sach hai ki aap unki pahli santaan hai aur pahli santaan sada hriday ke thode adhik nikat hoti hai.
Chapter 2 done!!! plz read n comment!! 😊