Chapter 3 - Revolt finalised.
Kumardutt - Ye sab tum kya keh rahe ho? shishtachaar mein raho. 😡 😡
Chandragupt - Oh hohoho... aap bade mahaan hain in cheezon mein! 😡 ( holds him in a wrestler's grip )
Kumardutt - To ab tum humpar haath uthaoge, rakshas kahinke!!! 😡 😡 😡
Chandragupt - Hum koi rakshas nahi hain! Hum Shriman Vishnugupt Maurya ke putr hain.. Vo humare pita the, aur agar aap hume rakshas keh rahein hain to iska arth hai ki aapne unhe bhi rakshas kaha!!
Agar aap humare bhrata na hote, to hum aap ki iss kanth se tab tak apna haath na hatathe jab tak aapki ye gandi jivha na kheench li!!!!😡 😡 😡 😡 😡
Dhrupad - Mere swamiyon, kripa karke shaanth ho jaiye, apne pita ki saugandh, shaanth ho jaaiye.
Kumardutt - Hume chod do!!! Hum kehte hain jaane do hume..
Chandragupt - Nahi! Jab tak hum chahein, nahi chodenge!
Pitaji ne aapko hume pal poskar, padha likhakar accha vyakti banane ka daitva saupa tha aur aap , aapne hume dehati ki tarah pala hai, humse vidya, shiksha, bade aur sammanit vyaktiyon ke chaal dhaal aadi ko koson door rakha!!
Humare Pitaji ki aatma humare bheetar hai aur humse keh rahi hai ki ye atyachaar aur sehna uchit nahi, isliye ya to hume sarvgunsampann vyakti banne mein sahayata karo ya phir hume humare hisse ka dhan de do, jo karna hai hum swayam karlenge!!!
Kumardutt - Aur tum uska karoge kya???
jab sara dhan samaapt ho jayega, tab kya bheek mangoge??? Hume tumse aur nahi sunna... apna hissa lelo aur hume mukt karo!
Chandragupt - Ab hum aapki ninda nahi karenge bas hume humara hissa de dijiye...
Kumardutt - O buddhe, ab tum hume kya taak rahe ho??? Tum bhi nikal jao yahan se!!!
Dhrupad - Kya ' buddhe' hi humara puraskaar hai?? Humne apna pura jeevan aapki seva mein laga diya!
Ishwar Vishnugupt ji ki aatma ko shaanti de... ve kabhi aisa nahi karte...
Chapter 3 done!!!! plzzz read n comment!!!!!! 😊 😊