Chapter 1 - Is he my brother??
Scene - ( orchard near Kumardutt's bungalow)
Chandragupta - Jitna hume gyaat hai, Pitaji humare liye bas 10,000 swarn mudraen hi to chod gaye the... Bhaiyya se keh gaye ki humara dhyan rakhe, hume paal poskar accha aur sushikshit vyakti banaye. Puru ( purushdutt ) ko to gurukul bhej diya aur uske mukh ke tej se hi uske shikshit hone ka pata chalta hai ... aur hum aise ke aise hi rah gaye. Ve kehte hain, tum ghaas charti bhens ke samaan ho...
Aur mithya bhi nahi kehte, hum gavaar hi to hain... unke ashv bhi humse sukhad jeevan jeete hain... unhe santulit aur paushtik bhojan ke saat saat aachar ka gyaan bhi diya jaata hai, isiliye to unhe ucch damon par kharida jaata hai.
Par hum, unke bhrata hokar bhi hum unki chatra chaaya mein bhi koi gyaan prapt nahi kar rahe. Unke praani unke prati swaami bhakti dikhate hain kyonki ve unhi ke tukdo par palte hain..
Ye sharirik bal aur parakram bhi hume niyati ne diya hai... Ve humse unke sevkon ke saath baithkar bhojan karvaate hain, humari shaktiyon ko andekha karte hain ..
Yahi baat hai dhrupad, jo hume sadaiv dukh pahuchati hai. Humare pitaji ki aatma jo ab humare bheetar hai, humse keh rahi ki iss peedha ke, iss jyaagti ke viruddh avaaz utani chahiye... aur hum ab nahi sahenge. hum avashya kuch karenge.
Parantu hum jaante hi nahi ki ye sab kaise kiya jaaye??😕 😕
Dhrupad - Bade maalik padhaar rahe hain...
Sorry frndz coz udpts will be small hereby except for some special days.. 😊
Chapter 1 done!!! plz comment!!