OT: Mereko VFX ekdum chhapri laga. Aur trailer tha - chhapri VFX, ajeeb scene, chhapri VFX, doosra ajeeb scene, so on...
Away from topic, ek machhar ne batayela tha:
Khoon-ki-chuski With Machhar, S01 E01:
Machhar: Apan KJo ka khhoon chusne ku gayela tha. Tabhi udhar Ayaan Mukherjee dikh gaya. Woh kuchh discuss karrele the toh apun machhar on the wall ban gaya...
(Disclaimer 1: Original conversation English mein tha, apan idhar narrate kar relay sirf. )
Ayan: Apan ekdam dhasu pikchar banayenga. Ek superhero hai (bole toh Ranbir, obvious), aur uska superpower hoenga fire. Fire se attack karenga aur fire uska ghanta kuchh bigaad nahin sakta. Dragon maafik. Phir apan full too VFX dalenga. Blockbuster. Phod phaad ek dum bawaal.
KJo: Apan ismein Hindu mythology daalenga. Superhero pikchar mein God bhi aate fighting waeeting aur hero ka help karneku
Ayan: Pan woh superhero pikchar Greek/Roman/Norse religion ya ancient Egyptian religion ko use karte. Aaj koi bhi woh religion practice nahin karte. Toh kisiko ghanta farak nahin padta. Pan kuchh ultra religious Hindu public ko bura lag sakta agar Hinduism use kiya toh....
KJo: (woh achanak upar dekh rela tha. Uske pupil gayabich ho gaya. Bole toh eye roll.) Religion ka naam sunke public theater aayengi.
Ayaan: Phir apan Islam religion ke kuchh figures ko bhi use karein kya? More than 95% population cover ho jayenga
KJo: Yeda ho gayela hai kya?
Ayaan: Dekha? Tumko realize karwaaneka tha ki religion ko laana not good idea
KJo: Chalre jasti shyaana mat ban. (Noton ki gaddi nikalke) tereko pikchar banaaneko maangta ki nahin
Ayaan: Hau hau
KJo: Woh koi mythical weapon honeko maangta. Lord Shiv, aur 2 more Gods hain... ek koi unmein se ne banayela tha
Ayaan: Brahmastra?
KJo: (kood ke) WAHICH WAHICH. wahich naam honga. Kuchh God pe daalenge plot. Aur VFX VFX VFX aur VFX. Plus heroine sirf Alia honeko maangta. I mean obvious phirbhi bolrela hoon......
Yeh sab bataate hue us machhar ke moonh se foam aarela tha aur woh udharich (poisoning se) mar gaya bechara...
(Disclaimer 2: Yeh sab nahin bhi huela honga. Apun kisi bhi baat ke accuracy ki guarantee nahin le relay 🤓)
0