Aur Mr. Kapoor has pleasantly surprised me yet again...
Shaadiyon main bhi kitni ajeeb si baatein hoti hain. Sab ki khushiyon ka khayal rakhna padta hai ... Sach hi kehte hai ke shaadi do logon ke beech nahin do parivaron ke beech hoti hai. Mr. Kapoor aur main to ek doosre ko samajhne ki koshish kar rahe hain & I don't think ke hamare parivaar hamare liye yeh safar asaan karenge.
Mr. Kapoor arrogant hain, motay hain, aur unka nature toh tauba tauba ... gussa to bas naak par hota hai, choti choti chezon ke liye dawaaiya khaate hain. Par jaise bhi hain, woh ek sensitive insaan hain. I was touched that unhnone apni dadi to sobha ki rasam ke liye mana liya.
Kaise manaya hoga unhe? Bas samajh nahin paa rahi hoon..kya Mr. Kapoor ne apni Dadi ko 'haan' kehnewale pills to nahin khila diye honge ... ya phir ... unke ghar ki aurton ko kya accha lagta hai ... mithai? Hmm ... paranthe ... chicken. Let me think harder ... come on Priya ... samose ... haan zaroor samose khilaye honge Dadi ko.
Par jaise bhi mana liya, bas hamare ghar ka kalesh to mit gaya. Nani to itni khush hain ke unke ghar ke badi poti ki shaadi hone ja rahi hai...Priya ki shaadi bina rasmon ke nahin ho sakti ... sab ko itna khush dekh kar mujhe itni khushi mil rahi hain. Bas main zindagi ke saare samjhaute karne ke liye taiyyar hoon!!! Saari rasme hanste hanste khatam ho jaaye.
Mr. Kapoor ka parivaar aur hamara parivaar ek doosre se bahut alag hain. Unka khaana chicken ki tangdi ke bina adhoora hota hoga ... ghee, parathe vagairah vagairah ... aur hum dal chawal khaane wale simple log ... I don't know ki chicken ghar par dekh kar main kaise react karoongi??? Oh god kaise adjust karoongi us ghar mein??
Bas ahista ahista yeh rishta koi toh mod lega? Aur Mr. Kapoor has pleasantly surprised me yet again...i hope shaadi ke baad bhi unke surprises pleasant hi ho !!!!!