Amod ko ye baat bilcul bhi hazam nahi hoti hai kyunki woh bhi Arjun ko usi nazar se dekhta tha jisse pura department...ek gusse waala khadoos jo kisi ke baare mein nahi sochta. Woh koi jawab nahi deta. Riya ye notice karti hai lekin comment nahi karti aur apni aankhein band karke so jaati hai. Use khud apni body bahot weak feel ho rahi thi...
Agle din Arjun office jaata hai. Conference room mein kadam rakhte hi Rathore us par bhadakta hai.
Rathore(apni seat se uthkar): Kaha Gayab Ho Gaye The Tum Kal?
Arjun arrogantly answer deta hai: tumse matlab?
Woh apni seat par jaane ki koshish karta hai par Rathore uska raasta rok leta hai. Arjun use glare karta hai
Rathore: ACP Arjun Suryakant Rawte Ek Baat Apne Dimag Mein Fit Kar Lo Ki Yaha Ka Chief Main Hun Aur Main Aisi Undisciplined Harkate Sehan Nahi Karunga! Chup-Chap Batao Ki Kaha Gaye The??
Arjun apne gusse ko control karne ki koshish karta hai: Aap Bhi Sun Lijiye Sir! Ki Emergency Ke Time Par Bina Inform Kiye Leave Li Jaa Sakti Hai! Mujhe Rules Na Hi Sikhao Toh Behtar Hai!!
Rathore: oh really? Emergency? Aisi kaunsi emergency aa gayi thi tumhe ki tumhe case chod kar beech mein jaana pada? Tumhe toh kuch hua nahi aur jaha tak mujhe pata hai tumhare pariwar mein...
Pariwar ka naam sunte hi Arjun ka baandh tut jaata hai: RATHORE!!!!
Uski awaaz se sab startle hote hai. Team mein tensed glances exchange hone lagte hai. Ayesha dono ke beech mein kudne ke liye ready hai. woh samaj jaati hai ki ye jhagda bahot bura hoga lekin baat aage nahi badhti.
Arjun(dangerously): Apni Had Mein Raho Warna Main Apni Hade Bhul Jaunga!!
Dono ek dusre ko glare karte hai. Arjun apne cabin mein chala jaata hai. Rathore use curse karke wahi baith jaata hai.
Rathore: Dammit! Ise toh main...(woh apna phone nikal kar commissioner ko phone karta hai) Jai Hind sir! Mujhe aapse zaroori baat karni hai.
Commissioner (Vikram): ha Rathore bolo
Rathore: sir, ACP Arjun Rawte ke transfer ka waqt aa gaya hai
Vikram(confused): what?
Rathore: Sir, that man is limits! Woh humesha apni manmaani karta rehta hai. Bina bataye kahi bhi chala jaata hai. Itna indiscipline maine kisi bache mein bhi nahi dekha. Main is admi ko aur nahi jhel sakta, aap use kahi bhi bhejiye I Don't Care! lekin ise yaha se nikaliye
Commissioner sigh karta hai mv "ab Arjun ne kya kiya? Use waha se nikal bhi nahi sakta. Maine use vaada kiya tha ki Sikandar ke khilaaf jab bhi koi sabut milega toh main ETF ko woh case saupunga, ab agar maine uska transfer kiya toh sabse pehle woh mere sar par bandook rakhega
Rathore: sir?
Vikram: ha...I'm listening. Dekho Rathore, I understand use jhelna thoda mushkil hai lekin...
Rathore: Mushkil? Sir Aap Mushkil Ki Baat Kar Rahe Hai, Main Ek Pal Bhi Uske Saath Nahi Reh Sakta!!
Vikram: tumhe uske saath ghar nahi basana Rathore, tumhari shaadi ho chuki hai. waise bhi main uska transfer nahi kar sakta. Woh wahi rahega and that's final!
Rathore(shocked): but sir...
Vikram: End Of Discussion!
Rathore(grumpily): as you say sir
Call disconnect
Rathore phone table par patakta hai: Dammit!!
Ayesha cautiously puchti hai: kya hua Sameer?
Rathore: commissioner sir ne uska transfer karne se mana kar diya
Shree: koi khaas wajah sir?
Rathore: bhagwan jaane! Kaam karo sab!
Sab uska ukhda mood dekhkar kaam silently kaam karte hai.
Aise hi din jaate hai. Sameer ka paara chadha hua hai. Woh kisi bhi tareeke se Arjun se chutkaara paana chahta hai lekin kya kare? Kaam ke maamle mein kuch keh nahi sakta kyunki pura department jaanta hai ki woh kitna sincere hai. Team work mein issues hai, ego issues hai lekin commissioner ne unhe already rule out kar diya hai.
Ayesha use tensed dekhkar khud tense ho rahi hai. Use samaj mein nahi aa raha hai ki woh use kaise shant kare. 5 mahine se Arjun ETF mein tha. woh jaisa bhi ho Ayesha ko kabhi bhi aisa nahi laga ki woh insaan bura hai par Sameer ke liye chup rehti hai. Kyunki woh ye bhi jaanti hai ki bina kisi baat ke Sameer kabhi itna hyper nahi hoga.
Dusri taraf Riya better ho rahi hai. Arjun roz usse baat karta hai. Kabhi- kabhi milne bhi chala jaata tha. uske discharge hone aur firse office jaane ke baad unki mulakaate bhi badh jaati hai. Us hadse ke baad kahi na kahi Arjun ke man mein Riya ko khone ka dar paida ho gaya hai, lekin woh asal mein kya feel karta hai use acknowledge nahi kar paata. Woh bas uske saath rehkar khush hai, ki koi hai jo use Samajta hai.
Arjun garden ke corner mein ek bench par baitha hai. Raat ka samay hai, thandi hawa chal rahi hai. Night flowers ki khushboo faili hui hai. Waha bahot kam log hai aur jo hai woh bhi waha se dur hai. Typical of Arjun to run from crowds. Woh environment ko enjoy karte hue softly gaane lagta hai.
Achanak: Oh My GOD!!...
Arjun startle hokar uski direction mein dekhta hai. Riya usi shock ke saath bench par uske opposite side par baithti hai.
Riya: aap kitna acha gaate hai!!
Arjun(nervously): main? Nahi..nahi mujhe gaana nahi aata
Riya: kya nahi aata? Arjun sir aapki awaaz kitni achi hai!!! (Arjun shrug karta hai) are seriously, aap agar ACP nahi hote na toh pakka singer hote. Aapki awaaz bahot achi hai, thoda aur gaiye na
Arjun negatively nod karta hai: no way Riya! Mujhe gaana nahi aata
Riya: Arjun sir agar ye aapka nahi aana haina toh mujhe lagta hai ki aapka aana na is duniya ki level mein hai hi nahi...please thoda gaiye na
Arjun: nahi Riya, main nahi gaa sakta
Riya: thoda sa..please...
Arjun: Riya...
Riya: acha aapko bhale lage ki aapki awaaz achi nahi hai, lekin mujhe bahot pasand hai. Please thoda sa...ek paragraph bhi chalega
Arjun: nahi Riya, mujhse nahi gaaya jaata
Riya arms cross karti hai: mujhe react nahi karna chahiye tha, kam se kam do-teen line aur sun leti
Arjun(amused): usme mein kuch nahi kar sakta
Riya last koshish karte hue pleading look deti hai par Arjun negatively nod karta hai.
Riya groan karti hai: fine! ( fir excite hokar) are aapko pata hai aaj office mein kya hua? As in case mein kya hua?
Arjun na mein sar hilata hai.
Riya: ek husband and wife ka murder ho gaya. Unka ek beta hai around 25 saal ka. Pehle hume laga ki shayad koi property issue ya fir business rivalry hogi lekin fir aage investigation ki toh dimag hi hil gaya mera
Arjun: kyun?
Riya: unka jo beta haina? Woh actually unka asli beta nahi tha, adopted tha woh bhi illegal. Story yeh thi jo wife thi use still born hua tha aur uske husband ko samaj mein nahi aa raha tha ki yeh baat use kaise bataye. Utne mein by chance usi hospital ke mein kaam karne waale ek ward boy ko bhi bacha hua tha. aur woh ward boy character ka dheela tha, drunkard and all that. Toh use jab us husband wife ke baare mein pata laga toh usne husband se deal ki apne bache ko use de diya 25 hazaar mein, bina apni wife se puche. Us husband ko bhi umeed mili aur un dono ne bache exchange kar liye. Ab hua ye ki dono mein se kisi ki wife ko is baare mein pata nahi tha. fir achanak itne saalon baad us ward boy ki wife ko kisi tarah sachayi pata chal gayi toh woh us couple ke paas gayi aur us apne bache ko firse maanga lekin woh log bhi attached ho gaye the, aur logic ki baat hai waapis hi dena tha toh woh husband leta hi kyun? Toh apne bete ko paane ke liye usne un dono ka murder kar diya.
Arjun disbelief mein sar hilata hai: kya faayda? Jail jaa kar use apna beta thodi milega?
Riya: ha aur jab us ladke ko pata chala ki itni badi story hi woh toh bas behosh hona hi baakhi tha. itna roya ki pucho mat aur toh aur usne apne biological parents ki taraf mudkar bhi nahi dekha. Aur apni asli maa se saaf-saaf keh bhi diya ki woh anaath hai, kyunki usine usse uske parents cheene hai.
Arjun: aur tumhe saare chakkar mein apne parents ki yaad aa gayi?
Riya(surprised): ha...aapko kaise pata?
Arjun: itna toh tumhe jaanta hi hun...bahot yaad aati hogi na tumhe unki?
Riya: is baat ka gam utna nahi hota ki woh accident mein maare gaye par is baat se hota hai ki...
Arjun(in a trance): tum uske bavjud zinda ho. Uska man ek pal ke liye Roshni ke murder ke waqt chala jaata hai.
Riya (lost): ha...kitna pyaar karte the woh mujhse, kabhi socha nahi tha ki ek din achanak aise saath chut jaayega. Us bichare ko bhi kitna dard ho raha hoga. Ek hi jhatke mein uske parents chin gaye aur fir wajah pata chali toh itna bada golmaal nikla...pata hai kabhi-kabhi mujhe samaj mein nahi aata ki main kaise bach gayi? Maa back seat par thi. Papa ke saath aage main thi fir bhi, na jaane kaise main bach gayi par woh dono
dono apne loss ki yaad mein kho jaate hai.
Riya kuch pal baad presence mein aati hai: ek baat puchu?
Arjun: ha pucho na
Riya: meri toh majburi hai par aap is tarah akele kyun rehte hai? Aapki family?
Arjun sigh karta hai: jo rishte khoon se bandhe the woh kabhi asal mayino mein bandhe hi nahi Riya
Riya: kya matlab?
Arjun apna sar jhukata hai: chodo na, koi interesting story nahi hai.
Woh apne jute nikalkar apne pair bench par shift karke comfortably baithta hai. Riya bhi follow karti hai taaki use face kar sake.
Riya: agar batane se aapka dil halka hota hai toh main horror story bhi sun lu
Arjun: tumhe mujh mein itna interest kyun hai?
Riya: kyunki aap ek ache insaan hai aur aaj kal woh bahot shortage mein hai isliye, ab agar aapke sawal khatam ho gaye hai toh bataiye na
Arjun use mana nahi kar paata: mere papa mujhse nafrat karte hai, ek ghar mein hone ke bavjud baat toh kya ek dusre ki shakal bhi mushkil se dekhne ko milti thi. Mujhe janam dete waqt ma ki jaan chali gayi, isliye papa ko main bilcul pasand nahi tha. mujhe toh ye bhi nahi pata ki mere paida hone par unhone meri shakal dekhi bhi thi ya nahi. Mujhe kabhi samaj mein nahi aata tha ki woh kyun kabhi mujhse baat nahi karte the, meri taraf aankh uthakar bhi nahi dekhte isliye main humesha unka dhyaan kheenchne ki koshish karta hai. School mein padhaku keeda bankar, har class top karta tha, lekin fir bhi woh mujhe acknowledge nahi karte the, toh maine socha ki padhayi ke saath sports mein bhi aage badhu, sab kuch kiya lekin fir bhi
Arjun ki aankhein nam ho jaati hai. Riya uska haath pakadkar uske continue karne ki raah dekhti hai.
Arjun: School mein baakhi bache bhi mujhe chidhate the, kyunki woh kabhi bhi kisi function ke liye nahi aate the aur kyunki main humesha kitabon mein ghusa rehta tha, kabhi-kabhi bully bhi karte the, 8th std mein ek din kuch ladkon ne mujhe washroom mein lock kar diya. Teen ghante tak wahi tha. bas dum ghutna baakhi reh gaya tha mera, jab school khatam hone ke baad peon safayi karne aaya tab use main mila. Jab ye baat authorities ko pata chali toh uska issue ban gaya, pehli baar dad school aaye principal ke kehne par. Woh ladke aur unke parents bhi wahi the, mujhe laga ki atleast is bahane main papa ke kareeb jaa paunga lekin...papa ne mujhe hi daanta yeh keh kar ki main laparwah hun, mujhe dhyaan rakhna chahiye ki mere aage-peeche kya ho raha hai. Woh itna gussa ho gaye ki unhone mujhe boarding mein daal diya...
Riya(shocked): par usme aap par gussa hone waali kaunsi baat hai?
Arjun smiled sarcastically : is sawaal ka jawab toh mujhe aaj tak nahi mila Riya.
Riya: fir?
Arjun: fir main boarding mein tha, waha par mujh mein force join karne ki inspiration mili. Aur maine uski taraf work karna shuru kiya. IPS ki taiyaari aur college ki padhayi mein busy ho gaya...
Riya: aapka koi dost nahi bana jisse aap trust kar sake aur apni dil ki baatein share kar sake?
Arjun smiled sadly: ek bana tha, Sameer...Sam kehte the sab use. Hum kuch had tak close bhi hue the par fir...we had a fall out.
Riya: achanak? Kyun?
Arjun ek pal ke liye hichkichata hai par fir share karta hai: uski ek friend thi, Naina. Jab main Sam ke saath hota tha tab woh bhi aksar saath hoti thi. Woh dono bahot ache dost the. Unki dosti bahot gehri thi, mere aur Sam se toh hazaar gunah gehri. Woh mujhe pasand karne lagi thi lekin yeh baat mujhe pata nahi thi. Maine kabhi un sab Cheezon par dhyaan hi nahi diya. Ek din achanak usne confess karke, mujhe propose kiya...Mujhe kuch samaj mein nahi aaya, main uske saath friendly tha par sirf isliye kyunki woh Sam ke aaspaas rehti thi. I barely knew her. Pyaar karna toh dur ki baat hai. Maine politely use inkaar kar diya, par woh bahot upset ho gayi thi. Woh baar-baar ek hi baat repeat kiye jaa rahi thi par main? Main kaise use ha kehta? Jaanta tak nahi tha main use, woh rote hue waha se chali gayi. Agle din achanak Sam mere hostel aaya aur mujhe accuse karne laga...
Riya: accuse? Kis cheez ke liye?
Arjun apna sar jhukata hai: Naina ne suicide attempt kiya tha...
Riya(shocked): WHAT?!?!! Suicide?!?! Woh aapse itna pyaar karti thi?
Arjun: pata nahi...main kabhi usse milna nahi gaya. Main jaana chahta tha, bahot guilty feel hota tha, aaj bhi jab yaad aati hai toh lagta hai ki kaash maine apne baare mein na soch kar uska man rakh liya hota toh woh aisa nahi karti. maine kabhi sapne mein bhi nahi socha tha ki woh aisa kuch karegi, agar pata hota toh main kabhi use mana nahi karta. Maine Naina se contact karne ki koshish bhi ki lekin Sam mujhse bahot naraaz tha, usne mujhe Naina se milne hi nahi diya. Use bhi aisa hi lagta tha ki meri wajah se Naina ki jaan jokhim mein padi. Agar main uska proposal accept kar leta toh woh kabhi aisi harkat nahi karti. Humari dosti bhi wahi chut gayi...uske baad kya hua mujhe nahi pata. Bas itna pata hai ki woh ETF ka Chief hai.
Riya(surprised): wait a minute! ETF?!?! Matlab aap use report karte hai?...
22