Riya(surprised): wait a minute! ETF?!?! Matlab aap use report karte hai?...
Arjun: tumhe lagta hai main kisi ko report karta hun?
Riya: nahi waise nahi, I mean technically toh woh aapka senior hua na, woh Chief aur aap second-in-command toh isliye. Woh har waqt aapke saamne hota hai, aapko uski yaad nahi aati?
Arjun sigh karta hai: thodi aati hai par ab kya? Woh already mujhe Naina ke liye zimmedar maanta hai aur ab toh... pura department mujhe paagal Samajta hai.
Riya topic change karke smile karti hai: uske baad ki story mujhe pata hai. Ek case ke dauran aapki Roshni se mulakat hui, aap pehli nazar mein flat ho gaye, fir aapne unse dosti ki, fir unhe aapse pyaar hua, fir aapne unhe propose kiya fir (excitedly) aap dono ne shaadi kar li!!!
Arjun smile karta hai: conveniently main part cut kar diya tumne
Riya: main part woh nahi hai ki woh aap unhe kho chuke hai, main part ye hai ki aapne unhe paaya, samjhe ya samjhau?
Arjun(amused): samajh gaya
Riya: good,(achanak) are! main toh bhul hi gayi, aapke papa?
Arjun: jab unhe pata chala ki main unke business ke badle Police Force join karna chahta hun, toh humara ek ghar mein rehna bhi band ho gaya. Uske baad, unhone kabhi mujhse contact nahi kiya aur maine kabhi waapis jaane ki himmat nahi ki. Thak gaya tha koshish kar karke. Unhe khush karna impossible hai mere liye.
Riya: aapko bachpan mein apni maa ki bahot yaad aati hogi na? especially jab aap dusre bachon ko apne parents ke saath dekhte honge?
Arjun: ha, par...maa toh nahi thi. Papa toh hokar bhi kabhi mere papa nahi bane.
He squeezed her hand which was holding his. Silence prevailed for a few minutes as their gazes held each other.
Arjun: tumhari aankhein bahot khubsurat hai. Zyaada der tak dekhna mat kisi ko, pyaar ho jaayega
Riya(pleasantly surprised): aapko toh nahi hua?
Arjun achanak presence mein aata hai. Use jawab dena bhaari pad jaata hai. Jawab dena toh fir bhi second hai, use ye samaj mein nahi aa raha hai ki usne aisa kaha hi kyun? Fortunately for him, usi waqt uska phone bajta hai. Woh caller ID dekhkar groan karta hai. He'd rather answer Riya's question.
Arjun: Ha Rathore?
Rathore: Highway number 7 par 3 laashein hai. Fursat ho toh sabut dhundhne aa jaana
Arjun bina jawab diye call cut kar deta hai: mujhe jaana hoga, case hai
Riya nod karti hai: theek hai, hum baad mein baat karenge
Dono uthkar firse apne shoes pehante hai.
Riya: acha suniye
Arjun: ha?
Riya: aap theek haina?
Arjun: matlab?
Riya nazre jhukati hai: nahi...woh maine aapki purani yaadein firze taaza kar di isliye
Arjun lightly smile karta hai: tumse share karne mein mujhe kabhi dukh mehsoos nahi hota Riya, in fact mujhe toh tumhe apna dil halka karne ke liye thank you kehna chahiye lekin...woh kisi aur din (wink karke) Fursat mein. ( Riya smile karti hai) ghar pahunch kar ek message kar dena
Riya: ha kar dungi, kaunsa dur hai? Main toh chal kar 10 minute mein pahunch jaungi
Arjun(sternly): dur ho ya paas! Tum pahunch kar mujhe message karogi!!
Riya(innocently): maine kab mana kiya?
Arjun: mana karogi toh waha tak chod kar fir jaunga
Riya(khush hokar): fir toh main nahi karne waali
Arjun(taken aback): Riya!!
Riya hasti hai: are baba mazaak kar rahi hun, aap bhi na, choti-choti baaton par serious ho jaate hai.
Arjun disbelief mein sar hilata hai: good night!
Riya: sweet dreams! Bye!
Arjun: Bye!
Arjun apni car lekar highway ki taraf chala jaata hai aur Riya apne ghar. Woh ghar pahunchkar Arjun ko message kar deti hai. Arjun smile karke reply deta hai.
Highway-
Arjun is the last to reach there. Use dekhkar saare juniors stiff ho jaate hai. Arjun sabko ignore karke seedhe laashon ko check karta hai. Teeno ko car se kuchla gaya hai lekin stab wounds saaf-saaf dikh rahe hai. Do ladke aur ek ladki. Unke kapdo se lag raha tha jaise woh kisi party se aaye ho.
Rathore: Shree! Aaspaas jitni parties ho rahi thi aaj uski list banayi?
Shree: sir bas..
Arjun: ye khoon yaha nahi hua!
Rathore groan karta hai.
Sakshi(dreamily): toh fir kaha hua hai Arjun?
Arjun uski sawaal ko ignore karte hue laashon ko observe karna continue karta hai.
Rathore: kuch bologe bhi?
Arjun: in par chaaku ke ghaav hai jinhe gaadi se kuchal kar chupane ki koshish ki hai. Either way yaha aaspaas itna khoon nahi hai jo dono mein se kisi ko bhi justify kar sake
Chotu: matlab?
Arjun: matlab ye Chotu ki agar in par chaku yaha maara gaya hota toh yaha par zyaada khoon hota. Inhe kahi aur maar kar yaha daal diya aur fir un par gaadi chala di. Lekin us situation mein bhi marne ke baad insaan ka khoon nahi behta isliye gaadi chalane ke bavjud zyaada khoon raaste par nahi gira...samjhe ya samjhau?
Ayesha: toh ab kaise pata chalega ki inhe kaha maara hai?
Rathore: Shree! List expand karo! Pure shehar mein jitna bhi parties ho rahi hai unke baare mein pata karo, sabko puch-tach ke liye bulao! Koi na koi inhe zaroor pehchan lega.
Arjun: aur agar zyaada time waste na karna ho toh aise jagah dhundho jo beach ke paas hai
Rathore(irritated): ye tum kaise keh sakte ho?
Arjun: inke baalon mein ret aur sea salt dono fase hai ab iska matlab samjhe ya samjhau?
Rathore sigh karta hai Shree ko look deta hai just do as he says'. Shree nod karke apne kaam mein lagta hai.
ETF thoroughly uski investigation shuru kar deti hai. Agli shaam tak woh bhi solve ho jaata hai jiske baad sab baithkar paperwork shuru karte hai. Ayesha mauka dekhkar Sameer ke cabin mein chali jaati hai.
Darwaaze par knock sun kar Sameer smile karta hai: ayiye Mrs. Rathore, aapka hi intezaar tha
Ayesha surprise hokar enter karti hai: aapko kaise pata ki main hun
Rathore use apne paas kheenchta hai: woh isliye madam kyunki aapke ilawa aur kisi ki himmat nahi hai ki kaam ke waqt use chod kar break le woh bhi Rawte ke hone ke bavjud. Aur wink karta hai
Ayesha: acha? Aapko sach mein meri himmat par confidence hai ya fir dusro ke dar par?
Rathore: of course tumhari himmat par sweetheart.
Ayesha smile karti hai: chaliye woh sab chodiye, mujhe aapse baat karni hai
Rathore: tum mujhse milne nahi aayi?
Ayesha(confused): saara din aapke saath toh hoti hun, office mein ghar mein. Milne kyun aaungi main aapse?
Rathore offended look deta hai: tumhe meri yaad nahi aati? Mujhe toh humesha tumhari yaad aati hai. Jaise hi tum nazro ke saamne se nikal jaati ho immediately yaad aani shuru ho jaati hai
Ayesha eyes roll karti hai: Sam mujhe aapse baat karni hai, uske baad aap apna drama continue karenge?
Rathore use chodta hai: had hai tum auraton ki toh, pyaar karo toh bhi problem na karo toh bhi problem
Ayesha: Sam bas abhi! Mujhe aapse zaroori baat karni hai aur aap hai ki time pass kiye jaa rahe hai?
Rathore muh fula kar baith jaata hai: bolo kya baat karni hai
Ayesha: aapke favourite officer ACP Rawte ke baare mein
Rathore(concerned): usne tumhe kuch...
Ayesha: Sam! Pehle meri baat suniye!
Rathore: jaldi bolo!
Ayesha: Sam relax! Koi tension ki baat nahi hai. Main toh bas ye puchna chahti hun ki aap dono ke beech problem kya hai?
Rathore ka chehra utar jaata hai: Ayesha hum is baare mein baat na kare toh hi behtar hai
Ayesha: par kyun Sam? Aapne kaha ki woh yaadein achi nahi hai, aap unhe yaad nahi karna chahte maine maan liya. 5 mahino mein kabhi pucha maine aapse firse? Nahi na?
Rathore: Ayesha tum samaj nahi rahi ho..
Ayesha: nahi Sameer! Aap nahi samaj rahe hai! Dekhiye, main samajti hun ki kuch baatein zyaada personal hoti hai lekin Sam agar ye aap tak hota toh issue nahi thi. It concerns him as well. Aur uski wajah se aap dono ke beech kitna issues ho rahe hai. Roz-roz jhagde kahi bhi kabhi bhi ye sirf case mein difference of opinions nahi hai aap dono ki saalon purani khunas hai jo baahar nikal rahi hai
Rathore: koshish ki na maine? Kaha tha commissioner sir se lekin woh maane tab na
Ayesha: main us par focus nahi kar rahi Sam balki is baat par focus kar rahi hun ki aap dono ab ek team mein hai. Aap chahe ya na chahe aap dono ko ek dusre ko jhelna hai ab ya toh aap maturely bina bacho ki tarah behave kiye professional tareeke se use handle ya fir ek hi jhatke mein is kisse ko khatam kijiye!
Rathore: Ayesha main...
Ayesha: and Sam jitna maine dekha haina usse ye saaf-saaf zaahir hai ki is sab ka asar sirf aap par pad raha hai. Aap Frustrate Hote Hai Tensed Rehte Hai Par Chahe Kuch Bhi Ho Unke Maathe Par Shikan Tak Nahi Hoti! You Are The One I Care For! And I Can't See You Suffering Like This! No Matter Who Or What The Cause!
Rathore(taken aback): okay relax! Mujhse zyaada toh tum hyper ho rahi ho
Ayesha: toh aur kya karu main?
Rathore uske haath pakadta hai: Ayesha main jaanta hun tumhe meri fikar hai par tum itni chinta mat karo...(gehri saans lekar) tum apni jagah sahi ho Ayesha, ye jhagde hume kisi solution par nahi le jaayenge lekin main chahe kitni bhi koshish kyun na kar lun, main uske gunah ko bhula nahi sakta
Ayesha(shocked): gunaah? Kya matlab hai aapka? Agar unhone gunaah kiya tha toh woh force mein kaise hai?
Rathore sigh karta hai: it's complicated Ayesha jaane do
Ayesha: NO WAY!!! I'M NOT WORKING WITH A CRIMINAL!!!
Arjun, Ayesha ke chillane ki awaaz sunkar ek pal ke liye wahi cabin ke baahar ruk jaata hai.
Rathore: dheere Aye...
Ayesha: Sam What's Wrong With You? Aap...
Tabhi cabin ka darwaaza khulta hai. Sameer aur Ayesha immediately step back from each other. Arjun andar aata hai. Ayesha involuntarily looks at him with an accuse in her sight. Arjun use dekh leta hai. internally uska dil chubta hai. externally, as Ayesha said uske maathe par Shikan tak nahi aati.
Arjun: commissioner sir ka phone tha, kal subah 9 baje meeting hai
Aur fir bina uska jawab sune waha se nikal jaata hai. Rathore apna phone check karta hai ye sochkar unhone uske bajay Arjun ko kyun phone kiya...dead. Woh use charge par lagata hai.
Rathore: Ayesha! Maine tumse kaha tha na ki use door raho? Acha hua usne kuch suna nahi.
Ayesha: lekin...
Rathore: hum baad mein baat karenge Ayesha, tum jao abhi. Aur ha ye baat hum dono ke beech rehni chahiye
Ayesha situation samaj kar agree karti hai. Woh sar hila kar conference room mein chali jaati hai. Arjun apni jagah par baithkar file pad raha hai. Ayesha apne kaam ko lekar baithti toh hai par woh unknowingly Arjun ki taraf hi dekhe jaa rahi hai. Use sach mein yakeen nahi ho raha ki usne koi gunaah kiya ho. Jo admi dusro ko insaaf dilata hai, apne duty ki taraf itna diligent hai woh khud kisi ke saath Nainsaafi kar sakta hai?
Arjun bhale hi file padh raha hai lekin use mehsoos ho raha hai ki Ayesha use dekh rahi hai. Ayesha ke chillane aur uske look se woh samaj gaya ki zaroor Sameer ne use past ke baare mein bataya hoga. Mv "Great! Ek aur...get in line Ayesha. Lekin uski tamam koshishon ke bavjud he couldn't help but feel sad "Kyun Sam? Kya kisi anjaan se pyaar na karna itna bada gunaah hai?
Later, Rathore's house-
Ayesha dinner bana rahi hai lekin uska dhyaan uski aur Sameer ki conversation par hi atka hai. Sameer kitchen mein paani peene ke liye aata hai aur uski cooking ko dekhkar smile karta hai.
Sameer: aaj khaane mein ubla hua paani hai?
Ayesha presence mein aati hai: huh? (fir gas ko dekhkar) are nahi...(woh vegetables andar daalti hai) main bas, yuhi
Sameer uska haath pakadta hai: kya hua?
Ayesha: aap mujhe batate kyun nahi?
Sameer(calmly): Ayesha...
Ayesha: dekhiye! Ab aap bahane mat banaiye! Agar mujhe pata nahi chala na toh mujhe tension ke maare heart attack aa jaayega
Sameer(confused): wahi bata raha hu...tum bolne toh do
Ayesha(flustered): oh...sorry. Boliye jaldi
Sameer: Tumhe Naina ke baare mein toh pata hai?
Ayesha: ye bhi koi puchne ki baat hai? Humari shaadi mein humse zyaada woh excited thi... (sochkar) par humari shaadi ke baad woh kabhi firse India aayi hi nahi, but aapki baat toh hoti hogi na usse?
Sameer smile karta hai: ha hoti hai kabhi-kabhi, par kya kare? humari job, uski job aur upar se time zone alag par jab bhi baat karte hai aisa lagta hi nahi ki humne barso se baat nahi ki
Ayesha smile karti hai: aapki bahot khaas dost haina?
Sameer: ha...bahot (fir stern hokar) aur meri wahi khaas dost tumhare us ACP Rawte ki badaulat laash bante-bante bachi thi
Ayesha(shocked): kya? Ye...ye aap kya keh rahe hai?
Sameer: sach!
Ayesha(confused): Sam aap kya keh rahe hai mujhe kuch samaj mein nahi raha, saaf-saaf bataiye na
Sameer sigh karta hai: Naina bhi humare saath college mein thi. Mere hi through woh Rawte ko jaanti thi. Woh aksar humare saath hoti thi. Mujhe pata hi nahi chala ki kab woh usse pyaar kar baithi. Mujhe is sabke baare mein pata nahi tha. ek din achanak jab main uske hostel gaya toh...
22