Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 01 Sep 2025 EDT
Bigg Boss 19: daily Discussion Thread- 1st Sept 2025.
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 31 Aug 2025 EDT
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 26
CASE IN COURT 31.8
UMAR KHAYID 1.9
Why she gets bollywood movies
Bacha chor is such an incompetent lawyer🤦♀️
In this gen Cliff wali legacy maut will not happen
Happy Birthday wat_up 🎂
Celebs pictures during Ganesh Festival
I wanted Abheera’s fate for Akshara
Jee Le Zaraa Is Happening
Janhvi Kapoor In Talks For Chaalbaaz Remake
Mrunal Thakur Called Mean Girl
Ye sab log title se itna kyun hyper ho rahe hai? chill! waise bhi ye sirf first half of the story ke liye hi apply hota hai
Part 2
Rathore use glare karta hai. ab baakhi sabki nazar bachi hui ladki ki taraf jaati hai...
Riya conscious feel karti hai(low voice): aap sab mujhe is tarah kyun dekh rahe hai?
Isse Arjun aur Rathore bhi use dekhte hai. Rathore Arjun ko questioning look deta hai. Arjun ek pal Riya ko dekhta hai. asal mein woh jaana nahi chahta isliye khaamiyan nikaal raha hai. par Riya ko nervous dekh use kuch aisa kehne ka man nahi hota jisse woh hurt ho.
Arjun(attitude ke saath): chalegi!!
Rathore sigh karta hai: shukar hai
Riya Arjun ko shock ke saath dekh rahi hai mv "had hai yeh toh, us din Shree ke chakar us aunty ne Arjun sir ko mera pati samaj liya toh mujhe kitna sunaya aur ab...ghum gham kar mere peeche kyun pade hai?
Rathore: toh tay raha...Arjun tum aur Riya mangetar bankar jaoge! Waha, the closest you can get is till Surya Nagar. Ek chota sa gaav hai Mumbai ke border par. Lekin waha tak jaane ke liye tum dono ko ek raat jungle mein bitaani padegi taaki tum log asli tourist lago
Arjun: aur us gaav mein jaakar hum karenge kya?
Rathore: waha kuch din raho pata karo ki waha chal kya raha hai, humara ek source hai. usne bataya ki waha ek purana ghar hai. woh log ab shehar mein rehte hai toh tum log paying guest ban kar chale jaana jo waha ghumne ke liye gaye hai. hum owners se baat kar lenge.
Arjun: theek hai, hum kal jaayenge
Rathore: ok...Riya jaane ki taiyaari karo. Shree ek map banao, jaha ye log raat bita sakte hai aur fir waha se gaav tak ka rasta
Shree/Riya: ji sir!
Rathore: tum log subah saat baje nikloge yahase
Arjun: yahase kyun?
Rathore: kyunki maine kaha isliye
Arjun: tumne kaha matlab? Tum koi devta ho jo kuch bhi kahe aur woh pathar ki lakeer ban jaaye?
Rathore: nahi Arjun mein yaha ka chief hun jiski har baat uska har junior maanta hai
Arjun: oh really?
Rathore: yes!!
Arjun: ajeeb baat hai? girlfriend ke aage toh chalti nahi tumhari, toh bhi tum hum par order chala rahe ho?
Ayesha ke ilawa sab shock se chillate hai : KYAAA??? GIRLFRIEND?? AAPKI??KAUN??
Rathore Arjun ko glare karta hai lekin woh sirf challenging look de raha hai.
Rathore: meri girlfriend ki chinta karne ki zaroorat tumhe nahi hai Arjun...tum apni biwi(Riya ko refer karke) par concentrate karo toh behtar hai kyunki kya haina? Woh toh tumhari patni ban jaayegi lekin mujhe doubt hai ki tum uske pati ban paoge.
Ab Arjun use glare karta hai aur Rathore maze leta hai
Riya mv "ye Rathore sir mujhe kyun beech mein ghasit rahe hai? mujhe unke saath akele rehna hai inke gusse ka kya bharosa?
Shree: umm...Ri, ghar jaa kal jaldi uthna hai, packing bhi toh karni hai. zyaada stress mat le abhi-abhi theek hui hai. fir jungle mein bhi jaana hai
Rathore: ha Riya ...Shree sahi keh raha hai. tum jaao
Riya : ji
Woh sabko bye bolkar bina Arjun se nazre milaye ghar chali jaati hai. agle din woh aur Arjun dono subah ETF jaldi pahunchte hai. Shree unhe naksha deta hai. Rathore Arjun ko side pe le jaata hai
Rathore: Arjun, Riya ka khayal rakhna, tumhe pata haina woh kaisi hai? ek baar goli chalane se pehle sau baar sochegi lekin marne se pehle ek baar bhi nahi
Arjun ko thoda gussa aata hai: tujhe kyun itni fikar hai uski?
Rathore: kyun fikar hai ka kya matlab hai? tu ache se jaanta hai Riya ki ETF mein kya ehmiyat hai...tu kyun aise behave kar raha hai?
Arjun ko bhi realize hota hai ki over react karta hai par bahana banata hai: Sam! Main waha case ke liye jaa raha hun, babysitting karne ke liye nahi!! Woh 5 saal ki bachi nahi jo apna khayal na rakh sake...ETF officer hai, kudh ki raksha kar sakti hai woh bhi ache se, partner bankar aa rahi hai, koi damsel in distress nahi
Sameer confuse hota hai: tu?...tu uski taarif kar raha hai?
Arjun tiredly sigh karta hai: hum jaaye?
Sameer: hmm...aur khud ka bhi khayal rakhna
Arjun: ya fine!!
Dusri taraf sab Riya ko bye bol rahe hai
Shree: Ri, best of luck!
Chotu: ha ab toh bhagwaan hi tujhe bacha sakta hai...
Liza: seriously!! Arjun sir ki mangetar...baap re! bahot hi khatarnaak kaam hai
Sakshi: ha tumhe pata hai...ek baar maine use phool kya diye, bichare phulon ko bhi maar daala usne
Ayesha: aur nahi toh kya? Usme un bichare bejaan phulon ki kya galti thi?
Riya smile deti hai: tum log mujhe console kar rahe ho? (sternly) ya fir dara rahe ho??
Shree: are darling hum toh bas tujhe warn kar rahe hai
Riya: uski koi zaroorat nahi hai Shree! Kyunki main leave par jaane se pehle bhi unke saath kaam kar chuki hun
Arjun use pichese awaaz lagata hai: jaana hai ya pura din yahi bitana hai?
Riya immediately junior mode mein aa jati hai: aa rahi hun sir!
Arjun apna aur Riya ka saaman dickey mein daalta hai aur dono baith kar chale jaate hai.
Rathore: come on team!! Humare paas aur bhi cases hai!!
Ayesha: sir? Arjun aur Riya akele is case par work karenge?
Sameer: nahi Ayesha, unhe jab koi lead milegi ya culprit ka pata chalega toh woh hume inform kar denge tab tak ke liye unhe akele hi kaam karna hoga
Shree: aur hume firse paperwork khud karna hoga
Chotu use elbow se maarta hai, aur ishara karta hai...Rathore un dono ko glare karta hai
Shree dar jaata hai: mera matlab hai ki...(sweetly).Riya ke bagair office kitna suna lagega na sir, abhi toh aayi ab waapis bhi gayi
Rathore disbelief mein sar hila kar andar jaata hai. Shree bhi relief hota hai. sab work mode mein jaane ki taiyaari karte hai.
Gaadi mein
Riya: sir? Waha tak jaane ke liye kitna time lagega?
Arjun: atleast chaar ghante ...aur mujhe sir bulana band karo
Riya (confused): kyun?
Arjun: Riya...koi apne boyfriend ko sir kehta hai?
Riya ko apni galti ka ehsaas hota hai par fir jokingly mutter karti hai: mera kaunsa boyfriend hai jo mujhe pata hoga?
Lekin Arjun sun leta hai (Amused): abhi nahi hai...kabhi na kabhi toh boyfriend hua hoga na?
Riya sheepishly smile karti hai: nahi
Arjun: really? Ajeeb baat hai. hum jaha bhi jaate hai , ek do bande toh tumhe patane ki koshish karte hi hai, fir bhi tumhara aaj tak koi boyfriend nahi hua?
Riya: pyaar aur attraction mein farak hota hai sir...aap toh jaante hai, aapne bhi toh ek baar mujhse kaha tha?
Arjun: phir bhi Riya...kya tumhara dil kabhi bhi kisi ke liye dhadka?
Riya: dhadka tha na
Arjun: toh phir?
Riya: zaroori nahi na sir ki humara dil jiske liye dhadke uska dil bhi humare liye dhadke, woh apni life mein khush hai aur main apni
Arjun thoda hairan hota hai ki Riya ka one sided love tha par fir use cheer karne ki koshish karta hai : agar aisa hai...toh woh ladka ek number ka gadha hai. use nahi pata ki woh kisse muh fer raha hai
Riya: aisa mat kahiye sir, woh bahot acha hai, bas woh kisi aur se pyaar karta hai...aur pyaar toh bas ho jaata hai, puch kar thodi hota hai...haina sir?
Arjun : par Riya tumhara kya?
Riya: mera kya? Maine toh kabhi use apni dil ki baat bhi nahi kahi...
Arjun: kyun?
Riya: khamakha kyun complicate karna, main nahi chahti ki woh guilty feel kare
Arjun: aaj bhi usse pyaar karti ho?
Riya: pehla pyaar hai...itni aasaani se kaise bhulau?
Arjun ko Roshni ki yaad aati hai, woh koi jawab nahi deta
Riya: aur sach kahu toh, dobara aisa koi mila hi nahi jisse dekhkar, jiske paas rehkar uske saath zindgi bitaane ka man kiya ho.
Arjun: koyi aur? Agar mil gaya toh kya use bhul jaogi?
Riya: dusre ke liye jagah banane ka matlab pehle ko bhulna thodi hota hai? mera toh yahi maan na hai ki har rishte ki har insaan ki apni alag jagah hoti hai, koyi bhi kisi ki jagah nahi le sakta. Main nahi jaanti ki main kabhi aage badhungi ya mujhe firse pyaar hoga ya nahi lekin ek baat tay hai ki uski mere dil mein humesha special jagah hogi
Arjun uski taraf glance karta hai, Riya bhi use dekh rahi hai...najaane kyun Arjun ko bura feel hota hai ki Riya ka dil already kisi ke naam hai. woh firse driving par concentrate karta hai.
Thodi der dono ke beech silence rehti hai
Riya: sir...
Arjun: Riya sir bulana band karo!! Agar waha kisi ke saamne bol diya toh gaye hum dono barah ke bhaav mein!
Uske joke se Riya ke chehre par muskurahat aati hai: sorry...woh aadat haina...main koshish karungi
Arjun: kya keh rahi thi?
Riya: woh...main keh rahi thi ki, raasta lamba hai...if you don't mind main apna phone music system se connect karu?
Arjun: theek hai...par mujhe tumhari playlist nahi pasand aayi toh band kardunga!!!
Riya khush ho jaati hai: manzoor!!
Riya khushi khushi apna phone connect karti hai, aur bas...romantic melodies chalne lagti hai. Riya bas sunte hue peeche headrest par sar rakhti hai. Arjun bhi unhe enjoy karta hai
Arjun: Riya?
Riya: ji
Arjun: tumhara taste acha hai
Riya smile karti hai: thank you!
Baakhi ki ride silent rehti hai. dono ek dusre ki company aur music enjoy karte hai. chaar ghante baad woh outskirts par pahunchte hai aur Shree ke diye hue map se resting place par pahunchte hai.
Riya thodi choukti hai: ye ek hi tent kyun hai?
Arjun(thoda irritated): kyunki hum couple bane haina???
Riya darti hai aur firse unpack karne mein focus karti hai
Riya(muttering): shukar hai sleeping bag do hai
Par Arjun sun leta hai: obviously Riya!!!
Riya: lekin Shree ka bharosa nahi hai
Arjun: Riya...tumhe nahi lagta ki use pata hai ki agar usne aisa kuch kiya toh main uska transfer Nimbral mein kar dunga
Riya confuse hoti hai: woh kaha hai?
Arjun: exactly!!
Riya: ohh...lekin, woh shararat karte waqt anjaam ke baare mein nahi sochta hai, aur agar by chance pakda bhi jaaye toh dusre ko fasa kar khud bhag jaata hai
Arjun: woh mujhe chakma nahi de sakta
Riya: aapko bhi diya hai
Arjun choukta hai: kab?
Riya bolne waali hai par fir ruk jaati hai: Chodiye na, ab kya faayda
Arjun use glare karta hai
Riya: woh...um...jab hum Rathore sir ke friend ke ghar gaye the, unki maa gayab ho gayi thi isliye (Arjun nod karta hai) tab ek ladka mere peeche pada tha, woh seedhe apni maa ko lekar aa gaya rishte ke liye lekin Shree ne kaha ki main already shaadi shuda hun aur tabhi aap aaye aur usne aisa comment maara ki unko laga ki aap...woh sigh karti hai...
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...
Case of the Heart The usual crispness of the ETF office was tainted that morning by a peculiar scent — no, not coffee. Tension. Unspoken, oddly...
Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...
451