con soon
thnx 4 pm
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 29 Aug 2025 EDT
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 30 Aug 2025 EDT
MAIRAs SCHOOL 29.8
MAIRA KNOWS 30.8
Aneet and Ahaan on the cover of THR!!
Param Sundari opens well
Throw back! When katrina did not take 'gentle' gently from Shah!
Abhira : The self-respect queen
Monsoon Magic Micro-fiction Contest Felicitation Ceremony
Deepika Ranveer At Ambani Ganpati Festival
Anupamaa 29 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 30th Aug 2025 - WKV
Cannot decide who is most annoying
Bullying in the first week?
Nazar laga hua anda mein nahi khaata
Ijja-jjat hai
Unseen bollywood pics
Trailer - Do You Wanna Partner - Tamannaah Bhatia Diana Penty
Queen 2 Tanu Weds Manu 3 Get Rolling
Amaal has a message for his Phansss 😇
Riya: woh...um...jab hum Rathore sir ke friend ke ghar gaye the, unki maa gayab ho gayi thi isliye (Arjun nod karta hai) tab ek ladka mere peeche pada tha, woh seedhe apni maa ko lekar aa gaya rishte ke liye lekin Shree ne kaha ki main already shaadi shuda hun aur tabhi aap aaye aur usne aisa comment maara ki unko laga ki aap...woh sigh karti hai...
Arjun: I'm sorry
Riya(confused): Kya?!?!
Arjun: mujhe pata nahi tha, khamakha tumhe daant diya...(fir attitude mein)par tumne mujhe bataya kyun nahi? Tumhe bhi shauk hai daant khaane ka hai
Riya(sternly): aapne meri baat suni thi?
Arjun ko koi defence nahi sujhta: ha toh? Ho jaata hai, main bhi insaan hun galti kar sakta hun...chalo ab tent lagao warna khule mein sona padega
Riya mv "are ajeeb hai? Abhi sorry bola aur ab ... woh sigh karke Arjun ki help karti hai
Arjun aur Riya dono milkar tent lagate hai, aur apna saaman set karte hai. thand ka mausam hai isliye raat jaldi pad jaati hai. dono thak bhi gaye hai aur tent ki taraf retire hote hai. achanak...
Riya: Arjun sir rukiye!!!!
Arjun: kya hua? Aur sir bulana band karo!!
Riya: sorry... ek minute
Riya apne bag se ek bottle nikalti hai aur tent ke andar generously spray karti hai. Arjun use unbelievable look de raha hai
Arjun: bug spray?? Are you serious??
Riya(firmly): main keede makodo ke beech nahi so sakti
Arjun disbelief mein sar hilata hai aur tent ke andar enter karne ki koshish karta hai lekin...
Arjun: Damnit!!! Riya!!!!! Kitni badbu hai iski
Riya: mujhe pata hai, main ilaaj lekar aayi hun.
Aur fir apne bag se dusri bottle nikalti hai...is baar room freshner ki aur spray karti hai.
Riya: chaliye ab achi smell aayegi.
Itna Kehkar andar chali jaati hai. Arjun apne aap ko control karke andar enter karta hai and thankfully bug spray ki smell band ho gayi thi. Ab Riya apni bag se mosquito repellent ki tube nikalti hai. Lekin is baar Arjun irritate nahi hota, use realize hota hai ki use bhi uski zaroorat hai
Arjun mv "are yaar! Lagta hai aaj macharon ka dinner banne waala hun main
Lekin woh accept thodi karega? Ulti jalebi ghumane lagta hai
Arjun: Riya...agar tum thoda khoon bichare bhuke machar ko de dogi toh anemia nahi ho jaayega!!
Riya: mera khoon hai, mujhe nahi dena...aapko dena hai toh dijiye
Arjun(incredulously): main kyun dun?
Riya sigh karti hai. Woh Arjun ka haath pakad kar uske palm mein tube ko squeeze karti hai
Riya: toh mat dijiye!!!
Arjun andar hi andar khush hota hai ki uska plan kamyab hua lekin dikhata nahi hai aur cream apply karta hai.
Riya(bina uski taraf dekhe): seedhe seedhe maangte toh mana nahi karti
Arjun jerk karke uski taraf dekhta hai, Riya use face karke smile karti hai
Arjun: go to sleep! Jaldi uthna hai. Aur let kar dusri taraf mudta hai
Riya : teen baje?
Arjun confuse hokar use face karta hai: teen baje uthkar kya karna hai? 5 baje kaafi hai
Riya: Arjun si...(Arjun glare karta hai) um...mera matlab Ar...jun...5 baje late hota hai
Arjun(sarcastically): really? Aur kya main jaan sakta hun ki tum roz kitne baje uthti ho?
Riya(casually): 4 baje
Arjun: What?!?!
Riya: ha
Arjun(baffled): itni jaldi uthkar kya karti ho?
Riya: kya karti hun matlab? Workout karti hun, ghar ki safayi karti hun, laundry, kisi case ki research karni hai toh woh karti Hun, news updates leti hun, breakfast banati hun, shaam ke liye dinner ki taiyaari karti hun...kitna kaam hota hai subah subah
Arjun: tum auraton ka kuch nahi ho sakta !!! aur firse dusri taraf turn ho jaata hai
Riya use glare karti hai...kuch der baad
Riya mv " ye kya ? ye toh sach mein so gaye? Mujhe bhook lagi hai aur ye...kabhi by chance agar ye apni aadaton ko apne aas paas hone waale logon ke saath adjust kyun nahi kar sakte?...oh God!!! Mujhe bhook lagi hai...koi toh chamatkar karo!!!
Tabhi bina mude Arjun ka ek haath ek chota bag uske haathon mein thamata hai. Riya curious hokar use kholti hai, usmein ek chota sa thermos nikalta hai
Riya: Maggi!!!!
Riya khush ho jaati hai aur fatafat khaana shuru karti hai. Khaane ke baad woh satisified feel karti hai aur sab kuch samet kar sone ki taiyaari karti hai. Uski nazar Arjun par padti hai. Uske man mein icha paida hoti hai, par fir hesitate karti hai. Finally apne man ko mana kar woh uski taraf lean karti hai.
Riya (uske kaan mein whisper karte hue): Thank you!
Aur agle hi second apni jagah par let kar so jaati hai. Arjun ke chehre par smile aati hai par nahi apni aankhein kholta hai aur na hi koi aur reaction deta hai...
Agle din subah dono jaldi uthte hai aur thoda naashta karke aage ki journey ki taiyaari karte hai.
Riya: si...(Arjun use glare karta hai) I mean...Arjun yaha se Surya Nagar kitni dur hai?
Arjun: shaam tak pahunch jaane chahiye?
Riya(horrified): matlab hume agle 8 10 ghanton tak chalna hoga?!?!?!!?!?
Arjun: ha...aur kuch?
Riya bas negatively nod karti hai. Dono Shree ke diye hue map ke according travel karte hai. Kuch ghanton baad Riya bahot thak jaati hai aur ek stone par baith jaati hai
Riya: break time!
Arjun rukta hai: Riya we still have to cover a lot
Riya: please 5 minute
Arjun nod karke uske paas baithta hai. Woh paani ki bottle nikalta hai Riya ko offer karta hai. Riya khushi khushi accept karti hai.
Riya: shukar hai ki December hai, garmi hoti toh main toh mar hi jaati. Bina sweater ke barf mein reh sakti hun main lekin garmi...my God!...bardaasht hi nahi hoti!!
Arjun smile karta hai: acha? Aur roz jab hum kadi dhoop mein cases solve karne ke liye ghumte hai tab kya?
Riya: gaadi mein toh A.C hota haina? Compensate ho jaata hai...(aur ek bada sip leti hai) ekto meri samaj ke baahar ki seedhe car se jaayenge toh aadhe se bhi kam samay mein pahunch jaayenge fir bhi ye tourist aise ulte haath se kaan kyun pakadte hai unke chakkar mein hum fas gaye
Arjun: kyunki woh ghumne aate haina Riya? Tum agar Taj Mahal dekhne jaogi toh Agra bhi ghumogi na?
Riya: hmm...point noted khair Chodiye...aage jaate hai
Dono apni journey continue karte hai, gaav mein pahunchti tak almost sunset ho jaata hai
Riya: hey bhagwaan tera laakh laakh shukar hai!!! Finally pahunch gaye!!
Arjun Aaspaas dekhta hai, ek admi cycle par waha se guzar raha hai, Arjun use rokta hai
Arjun: Bhaisaab, Seth Karamchand ka ghar kaha hai?
Admi dono ko dekhta hai: naye aaye ho?
Arjun: ha!
Admi: kaha se?
Arjun irritate hota hai, Riya ye notice karti hai
Riya: umm, bhaiya hum bahot thak gaye, please hume Sethji ke ghar ka pata de dijiye
Admi(ek direction mein point karke): is raaste par seedhe seedhe jao, kuch duri par gaav ka bada chowk aayega waha se baye mudo jis ghar ke baahar lohe ka darwaaza hai woh unka hi hai
Riya: thank you
Admi: kya?
Arjun: shukriya...chalo
Bina dubara mude Arjun Riya ko waha se le jaata hai. Dono uske direction follow karke Sethji ke ghar pahunchti hai. Riya garden aur ghar dono ko admire karti hai
Riya: ghar toh acha hai lekin...thoda bada nahi hai?
Arjun: ab jo bhi hai isi se kaam chalana padega
Riya: hmm...chaabi aapke paas hai?
Arjun: nahi mere humshakal ke paas. Kehkar ghar ka taala kholta hai
Riya mv "seedhe se sawaal ka seedha sa jawab nahi de sakte?
Dono enter karte hai, Riya ki aankhein fati ki fati reh jaati hai. Woh subconsciously kuch steps aage leti hai aur agle hi second shock ke maare behosh ho jaati hai
Arjun: Riya!!!
Arjun reflexively use girne se bachata hai. Apni bag ke saath struggle karke woh use neeche rakhta hai aur Riya ke face ko pat karte hue use uthane ki koshish karta hai
Arjun(tensed): Riya!!! Riya!! Aankhein kholo!!! Riya!!!
Riya dheerese apni aankhein kholti hai: kya main zinda hun?
Arjun: of course tum zinda ho...kaisi baatein kar rahi ho? Achanak kya hua tumhe?
Riya jhatke se seedhe khadi hoti hai: kya hua? Seriously? KYA HUA?? GHAR KI HAALAT DEKHIYE!!!! Itni dhul, mitti,(worriedly Aaspaas dekhte hue) aisa lag raha hai jaise hazaron saal se iski safayi nahi hui
Arjun mv " yaha meri dhadkan almost ruk gayi aur ise saaf safai ki padi hai?!?!?!
Arjun(annoyed): Are Uske Liye Koi Itna Overreact Karta Hai??
Riya: Main Over React Kar Rahi Hun? Aap Toh Aise Bol Rahe Ho Jaise Aap Is Kabade Mein Chain Se So Jaoge
Arjun: ha
Riya: kya?
Arjun: you heard me Riya... in fact main sone jaa raha hun, I'm tired... bye!
Itna Kehkar woh seediyon ki taraf badhne lagta hai
Riya: rukiye!
Arjun: ab kya hai?
Riya: aap aaj ke liye neecha ka kamra le lijiye, main safayi ki shuruwat upar se karungi
Arjun: kyun?
Riya: kyun ka kya matlab hai pehle neeche saaf karungi , fir upar karungi toh upar ka saara kachra neeche aayega na? faaltu mein double mehnat kyun karu main?
Arjun(annoyed): fine!! Jo karna hai karo...par mujhse madad ki umeed mat karna
Riya: aap saamne se kahoge toh bhi mana karungi!!!!
Arjun: whatever!!
Aur Arjun kamre mein chala jaata hai. Bed par se covering sheet nikalkar side par fek deta hai aur let kar so jaata hai. On the other hand Riya pure ghar ko tensely dekhti hai
Riya mv " ye acha hai...pehle jungle safari karo aur fir ghar saaf karo!! Huh!!
Woh bhi ghar ki safayi mein lag jaati hai, ek ek cheez ko saaf kar rahi hai fir chahe woh farsh ho ya deewar...
Aadhi raat ko achanak kuch awaaz se Arjun ki aankh khulti hai. Woh apni ghadi mein time dekhta hai...1:30
Arjun mv "ye ladki soyi na nahi?
Sochte hue baahar aata hai. Waha Riya curtains nikaal rahi hai.
Arjun mv "what the...? Ye toh sach mein pura ghar saaf kar rahi hai uski nazar upar jaati hai. Woh pehchaan mein hi nahi aa raha hai. Koi nahi keh sakta ki kuch der pehle uski haalat kitni kharaab thi. Riya dust ki wajah se cough karne lagti hai. Arjun paani ki bottle laakar use deta hai. Riya choukti hai par le leti hai. Peene ke baad...
Riya: aap? Abhi tak soye nahi?
Arjun dekhta hai ki Riya bahot thaki hui lag rahi hai
Arjun: kuch madad karu?
Riya: ji nahi!
Arjun: Riya apna ego side par rakho! Aur uske haath se curtains lene ki koshish karta hai
Riya pulls the curtains out of his reach: hum dono ye baat achese jaante hai ki ego ki problem kise hai
Arjun: excuse me?
Riya: you're excused. Aur jaane ki koshish karti hai
Arjun uska haath pakad kar kheenchta hai(apni annoyance control karte hue): Miss Riya Mukherjee! Agar mujh mein ego problem hota toh main aadhi raat ko apni neend chodkar tumhe madad karne ki offer nahi deta
Riya: aur main bhi aapse keh rahi hun ki aapko itni takleef lene ki koi zaroorat nahi hai!
Arjun: Riya!! (calm hote hue) dekho tum thak gayi ho, akele... (Riya glare karti hai) mujhe tumhari kabiliyat par koi shak nahi hai Riya lekin agar tum zyaada thak gayi aur tabiyat kharaab ho gayi toh Sameer meri band bajayega jiska mujhe koi shauk nahi hai...samjhi ya samjhao
Riya mv "had hoti yeh ...galti nahi maan sakte abhi bhi Rathore sir ka naam le rahe hai : nahi samjhi !!.aur apna haath chudwaakar curtains ko dhone ke liye jaati hai
Arjun irritate hota hai : fine! Karo jo karna hai!!
Andar se Riya: kar hi rahi hun!!
Arjun mv "iski toh...khair chodo! Use madad nahi leni toh main kya karu?
Aur woh firse sone chala jaata hai...Riya baakhi ka ghar saaf karne lagti hai. agli subah jab Arjun taiyaar hokar baahar aata hai toh dekhta hai ki
Arjun mv "ye kya? Is ladki ne sach mein pure ghar ki safayi akele kar di? Maine toh socha akeli hogi toh thak kar chod degi
Waha Riya sofa par baithe hi so gayi hai
Arjun mv "paagal!
Arjun andar se blanket le aata hai aur usse Riya ko cover karta hai...
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...
Case of the Heart The usual crispness of the ETF office was tainted that morning by a peculiar scent — no, not coffee. Tension. Unspoken, oddly...
Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...
450