CASE FF: GUNNAH - THE UNFORGIVABLE MISTAKE [SHIFTED TO BLOG] - Page 18

Created

Last reply

Replies

309

Views

23.1k

Users

48

Likes

491

Frequent Posters

cuteariya thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 5
Posted: 10 years ago
scary update
OMG who killed roshni like that 😲 😲
whoever did that was really curel 😡 😡
poor arjun was so heart broken 🥺 🥺
hope soon they will find the murderer
continue soon
Gold.Abrol thumbnail
Posted: 10 years ago

Originally posted by: pihu_angad

amazing...

continue soon..

Thanks Pihu dear
Stay tuned & keep commenting 😊
Gold.Abrol thumbnail
Posted: 10 years ago

Originally posted by: cuteariya

scary update
OMG who killed roshni like that 😲 😲
whoever did that was really curel 😡 😡
poor arjun was so heart broken 🥺 🥺
hope soon they will find the murderer
continue soon

Thanks Dear
glad you liked it
lets see dear
Stay tuned & keep commenting 😊
IshitaRocks015 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
i read all parts together...
nice start gm... but ek chhotu sa locha...
arjun roshni sam had such a sweet bonding... it was really nice to see them teasing each other..
but destiny had some other plan i guess...🤢
in a spur of moment everything went wrong...
i find ria suspicious now...
1stly gm...the prev banner... usse maine kuch gadbad guess kia,,now her missing when the incident occured... gm please last me change kardena iska..
now i understood what rimi di was saying that day😭
but koi nehi... i enjoyed reading it till here...hupdate soon...n sorry for thr delay😃

Gold.Abrol thumbnail
Posted: 10 years ago

Originally posted by: IshitaRocks015

i read all parts together...
nice start gm... but ek chhotu sa locha...
arjun roshni sam had such a sweet bonding... it was really nice to see them teasing each other..
but destiny had some other plan i guess...🤢
in a spur of moment everything went wrong...
i find ria suspicious now...
1stly gm...the prev banner... usse maine kuch gadbad guess kia,,now her missing when the incident occured... gm please last me change kardena iska..
now i understood what rimi di was saying that day😭
but koi nehi... i enjoyed reading it till here...hupdate soon...n sorry for thr delay😃

Thanks Ishi dear
glad you liked it 😃
ya it all changed into spur of moment
ye change waali baat yaha kehna zaroori tha 😡
well stay tuned & keep commenting 😊

Gold.Abrol thumbnail
Posted: 10 years ago

Originally posted by: jeharshu

Di update kab milega

Kal tak shayad 😊
Gold.Abrol thumbnail
Posted: 10 years ago




PART 3 A


Dhara & Pratap had purposely asked sameer to bring him home along as they knew arjun will be in a broken state & he needs support of his family & Pratap & Dhara knew that Suryakant Rawte is an arrogant man he never cared for anything except his business & money.

Arjun's happiness & his love didn't matter to him at all he only wanted to satisfy his vain pride & Arjun was firm on chasing his dreams & now he only had Roshni, Sameer & his family close to him & now he lost his half of the family today by losing Roshni .

Arjun felt grateful that he still had Pratap, Dhara & sam by his side to support him otherwise it was not possible to to handle such situation. Sam , Dhara & Praratap took continuous watch on Arjun. Next morning Arjun with a heavy heart arranged for the last rituals of Roshni & all the ETF members, Pratap too joined in. Arjun was lost in his own world when sam put his consoling hand on his shoulder & Arjun performed all the last rituals of Roshni. All came back to ETF office after that & started to work on Roshni's case now.

Sameer & arjun were in sameers cabin discussing things after a while sameer called everyone in the conference room & said "team hame postmortem report mil chuki hai hame jald ye case solve karna hai main aur rawte Dr Karan khanna se milne jaayenge further investigation ke liye Aisha aur riya tum loog Roshni ke friends se pooch taach karo shayad koi clue mile ki wo kisi aise shaks ko jaanti thi ya nahin shree tum roshni ki call details check karo shayad usme kuch mile kisis aise ka number jiski jaankari hae naa hoo aur chotu tum saare informers activate karo aur pata karo ki haal hi main koi aisa apraadhi bhaaga hai ya choota hai aur yadi haan to uski location ya wo khud shaam tak hamare paas honi chahiye" All nodded & started to work.

Sameer & Arjun made their way to Dr. Karan Khannas Clinic & in next 25 minutes they were at his clinic.

Dr. Khanna welcomed them in the clinic & arjun strated "Dr khanna hame aapki help chahiye aap jaante hai ki ye lorazepam nam ka sedative kis tareeke ke mareezo ko prescribe kiya jaata hai?"

Dr. Karan said "ye to sabhi tareeke ke mental patients ko dete hai khaas kar intermittent explosive disorder ke patients ko diya jaata hai unka gussa shant karne ke liye unka gussa unke control main nahin rehta is liye unhe shant karna padta hai"

Arjun said "agar koi normal insaan ye dava lee to usko kya hota hai"

Dr. Khanna replied "kuch khaas nahin dava ke side effects to hote hai isse lene se behoshi weakness aati hai isliye ye sirf special cases main hi dete hai khaas kar jab maeerz 2nd stage cross kar leta hai generally hum koshish karte hai ki sittings se uska marz door ho jaaye aur jab koi ummed nahi bachti to hame surgery karni padti hai"

Arjun said "par kya ye dava aasani se mil jaati hai?"

Dr. khanna said "Nahin ye order place karne pe milti hai aur bina prescription ke nahin kyuki ye high sedative hai" .

Arjun said "Dr Khaana ek aakhri sawaal aise logo ki kya pehchaan hoti hai kuch khaas harkat?"

Dr. Khana said "Nahin kuch khaas nahih bas ye mareez tab khatarnaak react karte hai jab inki koi aisi iccha poori nahin hoti jise ye bahut shiddat se chahte hoo ya fir koi unke aise kaam ke beech main aa jaaye us case main ye kisis ko maarne se bhi nahin chookte"

Arjun said "Thanks Sir aapki help ke liye aapki information se hame kaafi help milegi shayad main roshni ke quatil ko jald pakad paau?"

Sameer said "Doctor aap famous psychologist hai aapne bhi kati patients treat kiye honge aise koi aisa jo khoon karne ki hadd tak gaya hoo"

Dr. Khnna said "Sameer beta haan kiye hai par din main kareeb 50 se 100 patients se milta hoon haan aise bhi hote hai unhe hum mental ward main baandh ke rakhte hai" sameer nodded & both arjun & sameer left the clinic.

They both returned back to ETF after the meeting & went insde the premises. Sameer & arjun called everyone in the conference hall & asked them about the reports saying "aap logo ko kuch pata chala hai?"

Shree started "sir maine roshni mama ke call details check kiye kisis aise number se koi call ya kuch nahin tha call bhi sirf dhara aunty, arjun sir & aapse hui hai sir maine locations bhi trace ki par aisa kuch nahin mila ki wo kiis bhi mental patient ya hospital gayi hoo"

Sameer nodded to shree & chotu said "sir maine informers se pata kiya hai haal hi main koi bhi aisa case saamne nahin aaya hai khaas kar mumbai main aas paas ke ilako main aise 3 cases hue the 15 din pehle par ubki laash bhi mil chuki hai maine unse keh diya hai yadi kuch pata chalega to wo mujhe batayenge"

Riya said "sir maine roshni mam ki kuch 3 -4 close friends se poocha par wo to unse bhi nahin mili thi around 2 mahine se hafte bhar pehle jo unka exhibition hua tha wo uski ki preparations main aksar bahar rehti thi isliye kisis ko kuch pata nahin hai"

Arjun said "haan wo pichle 2 mahine se busy thi kabhi kabhi ghar pe bhi nahin hoti thi agar main jaldi jata tha to"

Aisha added "sir par unki ek dost ne ye bhi bataya tha ki unki ek painting thi jo ki ek aurat ko bahut pasand aayi thi mooh maangi keemat dene ko tayyiyaar thi par mam ne wo painting beechne se mana kar diya tha"

Arjun said "Haan koi rich industrialist ki biwi thi jo usse ek painting khareedna chahti thi par roshni us painting ko bechna nahin chahti thi kyuki wo painting uski aur meri dono ki favorite thi par wo aurat nahin maani bahut jhagda hua tha ye kuch 1 mahine pehle ki baat hai jab use pata chala ki main ETF main hoon to wo shant ho gayi fir pareshaan nahin kiya "

Aisha nodded & liza said telling his findings "sir maine pata lagaya hai us chaaku ke baare main jisse mam ko maara gaya tha ye to Maine aapko bataya tha ki special surgical knife hai aur ye orders pe milte hai par ye 2 hi special companies banati hai ye 4 ya 5 ke set main bante hai main ek forensic doctor hoon sir isliye aise companies se maine pata lagaya ki aise knifes wo kis kis jagah supply karte hai to pata chala ki ye knife khas kar brain & heart ke hospitals main aur 6 forensic & anthropology centres main karte hai infact ETF main bhi abhi jo surgical tool kits or knife set aaye hai wo unhi ka tha so use ye kahah se mila hooga ye kehna to mushkil hai par yadi hum koshish kare to shayad kuch pata chale"

Arjun said giving a thought "liza shayad tum theek keh rahi hoon par ye pata lagane ka kaam tum hi karo aur kuch pata chale to hame batana kyuki abhi tak wo chaku hame mila nahin hai warna uske baare main bahut kuch pata chal jata"






Edited by GOLD.A - 10 years ago
Gold.Abrol thumbnail
Posted: 10 years ago




PART 3 B


Liza said "Sir aap theek keh rahe hai batch number ya fir make kuch aur hame yadi wo knife mil jaaye to aadhe question solve ho jaayenge par ek baat aur hai sir ye job hi bahut chaalak hai usne koi bhi saboot nahin choda kahin figure prints ya kuch bhi nahin hai"

Arjun said "wo kitna bhi challak ho liza bach nahin paaye ga kyuki jurm koi na koi suraag apne peeche jaroor chodta hai jo gunaah karne waale ke gale ka fanda banta hai"

Liza nodded & said "theek hai sir main pata karne ki koshish karti hoon kuch pata chale to main aapko bataungi"

Arjun nodded & left to his cabin & immersed himself in his work but the pain he was going through was clearly visible to all his team members they could feel that their 2nd in command is brojken to the core after the death of his love.

Sameer said breaking the silence "teams get back to work aur yadi kuch pata chale to hame batana"

All nodded & went to their work. In the conference hall shree said "yaar arjun sir ke liye bahut bura lag raha hai roshni mam kitni acchi thi yakeen nahin aata ki wo aise.." pauses for a while & says "hum yakeen nahin kar paa rahe hai pata nahin sir pe kya guzar rahi hogi?"

Aisha said "Shree baat bilkul sahi keh rahe hoo aur yadi hum sir ki madat karna chahte hai to hume quatil ko dhoondne main sir ki help karni chahiye"

Shree gives a nod & all resumed their work regarding the case & liza approaches to both the companies who manufacture such knifes to get the better detail specially to the sales person as they might be aware of the major deliveries that take place. She started her findings on her level & as it was a matter of murder, as well as case was related & handled by ETF so no one had the courage to ignore & all supported Liza. Finally after a while Liza got the full list of the recent purchasers to start with.

She took the list & went to Sameer & Arjun in sameers cabin. She knocked softly & said "May I come in sir"

Sameer nodded & she entered & said giving him the list "sir maine dono companies se list nikalwaa lee hai aur ek khaas baat pata chali hai ki total 8 hospitals main ye surgery items gaye hai aur wo bhi counted material isse hame help mil sakti hai kyuki bade hospitals se hame storeage aaram se pata chal sakta ki koi missing to nahin kyuki yadi kisis ko mila bhi haito yahi se mila hoga na aur hame koi clue mil jaaye"

Sameer said "fine ek baar check kar lete hai might be shayad koi raata mile ek kaam karo hum dodo hospital karke poochte isse time kam lagega aur info bhi mil jaaye gi" Liza & arjun nod at sameer & they made a team of 2 shree & chotu , aisha & sameer & arjun & riya they six will look at the hospital & liza will take care of all the 6 forensic centers for checking. So all moved out to the hospitals for checking shree & chotu covered the 3 hospitals & Liza started screening all the forensic centers.

Sameer & Aisha too covered the three hospitals & riya & arjun too covered their hospitals accordingly but to their surprise nothing suspicious came in front of their eyes right now as the tool tally was correct according 2 hospitals they had lended their gadgets to some centers & that was to be checked authentically.

All after completing their total checking's return back to ETF office. All gathered in the room in the conference room & were waiting for sameer & arjun to share their findings with them. After a while both entered the conference room & all started with their findings.

Shree started "Sir jahah main aur chotu gaye the koi issue nahin tha bas ek hospital ne kahah hai ki ki unke kuch gadgets kisi centre pe hai lease ke liye is liye jo unhone info di uske hisaab se sab poora tha koi dikkat nahin "

Liza said "Sir maine jitney bhi forensic labs dekhe unme bhi koi gadbad nahin nikli hai sab theek hai saare gadgets theek the aur count bhi theek tha" sameer nodded & aisha said "rathore sir aur main jahah gaye the waha bhi sab theek hi lag raha tha check bhi sahi tha unhone kahah ki camp ki vajah se abhi poore gadgets bahar hai yadi unka kehna sahi hai to unka count bhi sahi hai"

Arjun said "sam jahah main aur riya gaye the waha bhi sab thekk tha par surprisingly usme Dr. karan Khanna ka hospital shamil hai hum wahah bhi gaye the "

Sameer said "Par isme itne surprise ki baat kya hai? Wo ek bahut acche brain surgeon hai unka bahut bada hospital hai to isme chaukne ki kya baat hai?"

Arjun said "wo ye hai sam ki unka hospital baaki hospital se bada hai par tools ki quantity us hisaab se bahut kam hai I am not sure but .." Sameer said "aisa kuch nahin hai arjun unke yaha ke nahin balki bahar ke gadgets use hote hai aur ye main khud jaanta hoon kyuki wo hamare family friend bhi hai so unme doubt karna shayad theek nahin hoga "

Arjun nodded & said "shree tum baaki jinke instruments complete nahin mile the unhe cross check karo authentically aur liza khud jaa ke unke instruments check karke aaye gi 4 din baad jaisa unhone ne humse time maanga hai" shree & liza nodded accordingly. After a while sameer called the day off for the team assigning them the work for the next day.

All started to move out of the office when suddenly Liza said to aisha "Asha tum kya ghar jaa rahi hoo?" Aisha nodded in positive then liza said "tum mujhe bhi drop kar doogi actually kaafi late ho gaya hai is waqt kuch nahin milega tumhara gar mere ghar ke raste main hai so..."

Aisha smiled & said "Liza come on itni formal kabse ho gayi man yahi hoon tum pack karke aao fir saath chalet hai I will drop you" Liza gives a sweet smile goes to her lab to collect her belongings.

It was 15 minutes now when liza didn't turned back from the lab then aisha felt something is really wrong. She went to the lab & saw whole lab was in a mess & liza was searching for something important tension was visible on her face.

Aisha went to her & asked "Kya hua Liza kya dhoond rahi hoo?"

Liza said in a choaked voice "aisha mere tool box main 6 knife set the unme se 1 gayab hai nahin mil raha"

Aisha yelled "Kya ye kaise ho sakta hai theek se dekho kahah jaayega"

Liza said "trust me aisha maine isi main knife sets rakhe the kal jab roshni mam ki death ki khabar aayi to jaldi main count nahin kiya tha aur aaj 1 set gayab hai?"

Aisha said "kya lab main se koi saman kaise le jaa sakta hai? Don't worry hame turant rathore sir ko report karna chahiye chalo"







P-RECAP: ETF gets a new led in the case & few add on given by Dr Khanna 😊


So how was it guys please drop in ur comments as I write for u guys so please do let me know all ur bashing, feedback & suggestions are more than welcome excuse for typing & formatting errors love u all


Regards Goldie & Rimi

Edited by GOLD.A - 10 years ago
savali thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
Res/unres
awesome update.
Feeling bad for arjun,
accha hua sam aur uske parents use apne sath le aye.
Arjun to khud ka khayal rakhnese raha.
Everyone in the team is supporting n helping arjun to find culprit.
Case proceding was nice but still they dnt have any clue.
Aisa kya dene se mana kar diya rosh ne jo itna berehmi se mara?
Dr khanna,arjun ko uspe shaq hai.
Love the team concern for arjun.
Last me kya tha?
Etf ke lab se Chakuset gayab
hai aur sab dusri jagah dhund rahe hai.
Ye to wahi hua na Bagal me chura,
shehar me dhindora(par yaha chura hi gayab hai).
Manna padega khuni ko etf ka chaku gayab kar diya.
Waiting to unfold the mystry.
Thnks fr pm
cont soon.
Edited by savali - 10 years ago
Anika_PreRish thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 10 years ago
Awesome update.
Investigation going on smoothly..
Everyone is really sad for Arjun.
Everyone helping Arjun to find the murderers of Roshni.
Bapusa and Maasa keeping a watch on Arjun.
New clues n leads are coming.
Precap is amazing.
Continue sooonish.
Thanks for the pm.

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".