PART- 5
PREVIOUS :-
nimrit ko hosh aa chuka hai...aur agam usaki dekhabhal kar raha hai...
CONTINUE :-
"Ab kaisi tabiyat hai dr. nimrit ki ? , drashti ne room me aate huye smile ke saath nimrit se pucha.
"i think tum ab pahale se behtar ho" , drashti ne nimrit ki pulse check karate huye kaha aur usaki medical report padhane lagi.
drashti ka dhyaan nimrit ki taraf gaya wo sirf door ki taraf dekh rahi thi...
" tumhari aankho ko jisaka besabrise intzaar hai wo abhi thodi der me aane hi waala hai ", drashti ne smile dete huye kaha.
"lo aa gaya "
"hi dr. agam" , drashti ne shake hand karane ke liye apana haath agam ki taraf badhaya.
"hi drashti. kaisi ho tum?" , agam ne usase haath milate huye pucha.
"mai to bilcule thik hu par ye nimrit ..."
"kya hua nimrit ko ??? koi comlication hai kya? " , agam ne tense awaaz me pucha.
"nahi nahi agam ,nimrit ko kuch nahi hua hai , ab wo bilcul thik hai ,tum jo aa gaye ho!!"
"matalab", agam ne confused andaaz me pucha.
"tum nahi samjhoge...anyways mai chalati hu...maine report dekh li hai, ab bahut improvment huyi hai nimrit ki haalat me...use friuts khila dena...aur phir medicines bhi ok... "
"thik hai drashti"
drashti jaate jaate ruk jaati hai
"aur haan nimrit abhi bi bahut weak hai isliye usake pairo me utani taakat nahi hai ki wo chal sake ,to kuch dino tak use wheel chair ka use karana hoga ..."
"ohhh , thik hai drashti"
drashti ke jaane ke baad agam nimrit ke side me rakhi chair par baith gaya.
"to ab kaisi ho tum?"
nimrit bolane ki koshish karne lagi,finaly usane kaha
"m...mai...mai thik hu agam...t...tum kaise ho??"
" waisa hi jaisa tum 3 months pahale chod ke gayi thi..", agam ne nimrit ki aankho me dekhate huye kaha...
"kya?? mai samajhi nahi? kya kaha tumne??", nimrit ne confused hokar pucha...
"a..a..kuch nahi , mai kah raha tha ki , mujhe kya hua hai..mai ekdum fit and fine hu..."
"chalo mai tumhe friuts kaatke deta hu"
agam dhyaan se fruits kaatna shuru karata hai aur nimrit bas uski tarf dekhati rahati hai sochati hai ki , kitana badal gaya hai wo ...na koi gussa , na koi ladai, kitana caring ho gaya hai...
" ye lo nimrit " , agam ne nimrit ko apple ka piece dete huye kaha.
nimrit ne haath aage badhaya aur pakad ne ki koshish ki par usaki haatho me lagi saline ki vajah se use pakad ne me taklif ho rahi thi... jaise hi usane pakada dard ki vajah se wo usaki haatho se chutke gir gaya...
agam ye baat samajh gaya tha ki nimrit ko dard ho raha hai
"koi baat nahi nimrit , do mai tumhe khila deta hu ! "
agam ne piece lekar nimrit ke saamne khilaane ke liye haath aage badhaya.
ek pal ke liye nimrit ko bahut hairani huyi...aur use thoda ajeeb bhi lag raha tha ...par phir bhi usane muh khola ... agam ne use wo aplle piece dheere se khilaya ...dono ki aankein ek dusare se takarayi... ek pal ke liye jaise sab kuch tham gaya...
" kaisi hai hamari dr. nimrit ab ?" , tej ne andar aate huye pucha.
agam aur nimrit ne chuak kar dekha...
"ab pahale se behatar hu."
"tum kaise ho ?" , nimrit ne waapas pucha.
"hum to bilcul thik hai ji...mi tumhae liye wheel chai leke aaya hu...ward boy andar leke aao"
wardboy ne wheel chair andar laakar rakh di.
"ye sirf kuch dino ke liye hai nimrit , jab tak tum strong nahi ho jaati tab tak..." , tej ne nimrit ki taraf dekhate huye kaha.
tej kuch der baad waha se chala gaya...
"ye baaki ke slices tumhe khatm karane hai nimrit", agam ne ek slice nimrit ki taraf badhate huye kaha"
agam ne nimrit ko pure slices khila diye...
tabhi drashti phir se nimrit ka check up karne phir se aayi... wo nimrit ke wounds ko dekh rahi thi ki kuch thik huye hai ya nahi...bandha hua bandage wo khol hi rahi thi dressing karane ke liye ki ek wardboy andar aaya
"dr. drashti, aapako senior dr.nitin jaldi bula rahe hai ...ek emergency case aaya hai isliye..."
"kya ? par maine to bandage khol bhi diya half, ab...", drashti ne pareshaan hokar kaha.
"tum jaao drashti...its an emergeny...nimrit ki dressing mai kar lunga...", agam ne drashti ko samjhaate huye kaha.
"par nimrit ki incharge doctor hone ke naate ye meri zimmedaari ha agam!"
"haan par abhi isase bhi imp kaam hai us case ko handle karana,... tum jaao ,mai kar lunga aur waise bhi i m too a doctor drashti..."
"nahi wo baat nahi hai agam ...thik hai mai jaati hu ...tum nimrit ke wounds ki dreesing kar dena ...and thanks help ke liye...", kahate huye drashti waha se chali gayi.
agam dheere se aage badha aur bahut saavdhaani se nimrit ki bandage kholane laga...nimrit kie haatho par, thodi si pairo par , neck ke peechale hisse me , aur forehaed par wounds the...agam ne dhhere se saare bandage khole ...aur cotton se pahale usane un wounds ko achhe se saaf kaya... usake baad usane wuonds medicinal tube lagani start ki...jaise hi agam ne nimrit ke forehead ko touch kiya nimrit ko phir se waisa hi ehsaas ek baar phir hua jaisa use manaali me hua tha...agam ne halke se usake saare wounds ko saaf kar diya aur uspar medicine lagana start kiya...
"oucchh"
"kya hua nimrit??", agam ne tensed awaaz me pucha.
"bahut dard ho raha hai na? "
" thoda sa", nimrit ne dheere se kaha.
"kitani ghahari chot aai hai tumhe nimrit, par koi baat naih ye jaldi hi thik ho jaayegi..."
agam ne aur dheere se medicine lagayi taaki nimrit ko jyaada dard na ho ...phir bandage achhe se baandh diya usane...aur nimrit ki dressing puri ho gayi ...
pure time tak nimrit sirf agam ki taraf dekh rahi thi aur use agam ki aankho me khud ke liye itani fikr dekhakar bahut achha lag raha tha...
" ye lo tumhari dressing puri ho gayi"
nimrit ne chuak kar agam ki taraf dekha ...
"thanks"
"arey thanks kis liye ,patients ka khayaal rakhana doctor ka farz hota hai,bhul gayi kya!!..."
"par mai ek doctor ko nahi ek dost ko thanks kah rahi hu"
agam ne chuak kar nimrit ki taraf dekha
"dost kahati ho aur thanks bhi...tumhe dosti ke rules pata nahi hai kya...no thanks , no sorry"
"achha thik hai agali baar se nahi kahungi bas"
dono smile kar kar rahe the ek dusare ki taraf dekhkar...
kitane mahino baad nimrit ne smile di thi...usaki bezaan body me jaan aa gayi thi...usake hotho par muskurahat thi...aur chahare par khushi...agam ko jaise ab apani purani nimrit sahi salamat waapas mill gayi thi...
TO BE CONTINUED...
dear friends kaisa laga jarur batayiega...